Woh bag leke main apne room mein aaya
phir us bag mein se ek tshirt aur ek jeans nikaalke pehen liya
pehli baar main yeh kapde pehen raha tha
thoda ajeeb lag raha tha
main apne room se bahar aaya aur neeche pahuncha
b nani apne room se bahar nikli
b nani- tu toh pura hero lag raha hai
dilip- ek kaam karo aap bhi chalo mere sath
b nani- na baba na main budhiya tere sath jaake kya karungi
yeh le paise
dilip- yeh kuch jyada nahi hain
b nani- nahi tu pehli baar apni behno ke sath ghumne ja raha hai
agar kam pad gaye toh
dilip- achchha theek hai ab main jata hoon
phir main ghar se bahar aya
avni seeti bajane lagi
dilip- [main avni ke paas pahunch ke bola]
kya jamana aagaya hai
ab ladkiya ladko ko chherne lagi hain
yeh sunke sab hansne lage
vidya- waise aaj tu bahut handsome lag raha hai
aruna- tu toh bikul hero lag raha hai
dilip- meri taarif baad mein karna
pehle gaadi mein baithte hain
phir hum sab gaadi mein baithe
humara driver aur koi nahi lakhan tha
lakhan ne gaadi chala di
dilip- aap ne yeh kapde kab liye
vidya- kal jab tu bahar gaya tha
dilip- aur mujhe bataya bhi nahi
vidya- meri marzi
gaadi apne raftaar se chal rahi thi
hume pahunchne mein abhi 45 minute lagne wale the
tabhi vidu ne woh baat keh di mere kaan mein
jo mujhpar kiye gaye kisi wisfot se kam nahi tha
hua yeh ke vidu mere kaan ke paas apna munh leke aayi
vidya- mujhe abhi kiss chahiye
main vidu ko ghurke dekha
vidu muskura rahi thi
main vidu aur arunadi peeche wali seat pe baithe hue the
mere ek side woh ladki baithi hai
jo mujhse beintehaa pyar karti hai
aur ek side woh ladki
jo baat baat pe mujhe thappad maar deti hai
main apni ankh band kar liya
tabhi gaadi jor se hili
dilip- kya hua lakhan
lakhan- ek khadda tha
meri nazar vidu pe padi
main dekha vidu ki ankho se ansu beh rahe the
mujhe achchha nahi laga
main jaanbujh ke apna mobile neeche girake apne pairo ke neeche daba diya
dilip- vidyadi mera mobile uthao na
vidu jhuk gai aur mera mobile dhundne lagi
main jhat se neeche jhuka
vidu mujhe dekhne lagimain apne hont vidu ke hont pe rakhke halka sa chum liya
aur wapas baith gaya
vidu bhi baith gayi
phir main apna mobile wapas apni jeb mein rakh liya
ab main vidu ko hi dekhe ja raha tha
phir main apne aap ko controle kiya
thodi der baad lakhan ne ek bade se mall ke samne gaadi rok di.
hum sab gaadi se neeche utre
Dilip- Lakhan aap bhi ghumo phiro
lakhan bina kuch bole gaadi leke chala gaya
vanya- pehle shopping kare ya movie dekhe
dilip- pehle movie dekhte hain
aap ladkiyo ki shopping matlab 5 6 ghante
sab mujhe ghurne lagi
Dilip- vidyadi aap mere sath chalo
vidya- kaha
dilip- ab main toh pehli baar yaha aaya hoon
mujhe kya pata ki aap sab konsi movie dekhenge
vidya- chal
phir hum dono tc ki taraf badh gaye
dilip- aap ne aisa kyun kiya
vidya- maine kya kiya
dilip- main apse baat nahi kar raha
main apni vidu se baat kar raha hoon
vidya- main bhi apne dilip se baat kar rahi hoon
dilip- toh phir bataiye meri vidu ke ankhon mein ansu kyun agaye
vidya- kyunki maine tujhe dukh pahunchaya
dilip- woh kaise
vidya- main itni bewakoof hoon
ki sabke samne maine tujhe kiss karne ki baat keh di
please mujhe maaf karde
dilip- ismein maafi mangne ki baat kaha se agayi
aapka mujhpe pura haq hai
ab rona band bhi karo
warna sab kahenge ki is duniya ki sabse khubsurat ladki ko main rula raha hoon
vidu muskurane lagi
phir main vidu ke kehne pe ek romantic film ka tickets le liya
waise mujhe drama ya action film dekhna achchha lagta hai
hum dono bahar aaye
vanya- kitna time laga diya tumne
dilip- meri koi galti nahi hai
jaldi chalo aap sab warna movie shuru ho jayegi
phir hum theatre mein jaake baith gaye
hum sab ek hi sath baithe hue the
main ek baat pe dhyan diya kuch ladke meri behno ko ghur rahe the
subah ka show aadha theater toh khali hi tha
thodi der mein movie shuru ho gayi
ab aaj kal ki romantic film mein kissing scene na ho
aisa toh ho hi nahi sakta
thodi der baad movie mein kissing scene shuru ho gaya
meri sab behne sharmane lagi
main apni ankh band karke let gaya
thodi der baad neend agayi
mujhe koi jor jor se hilane laga
main apni ankh kholke dekha toh yeh vanya thi
dilip- kya hua
vanya- tum yaha sone aaye the
dilip- maine pucha kya hua
tabhi main dekha ki intervel hua hai
main aap sab ke liye kuch leke aata hoon
phir main bahar aake coldrinks aur popcorn liya
jaise main peeche muda
main kisi se takra gaya
mere samne nimmi khadi thi
mujhe toh jhatka laga
bhale hi maine nimmi ko sabkuch bata diya tha
par main usse kabhi nahi milna chahta tha
dilip- i m sorry mujhe maaf kar dijiye
nimmi- dilip tum yaha kaise ho
dilip- lekin aap hain koun
nimmi- very funny
main bina uski taraf dekhe hue aage badh gaya
aur theatre mein apni behno ke paas pahuncha
Dilip- yeh rahe aapke popcorn aur coldrinks
aur kuch laoon
vidya- nahi ab tu aake baith ja
thodi der baad phir movie shuru ho gayi
movie mein ek aisa scene bhi aaya
jise dekhke hum sab ki ankho mein ansu aagaye
sab behne popcorn khate hue ansu baharahi thi
main dekha ki woh ladke abhi bhi meri behno ko ghur rahe hain
main apna mobile nikaala
photo kheenchke wapas apni jeb mein rakh liya
thodi der baad film khatam ho gaya
hum sab theatre se bahar aaye
aruna- ab chalke shopping karte hain
sab behne ek shop mein chali gayi
main shop ke bahar bor hone laga
tabhi mujhe samne se nimmi aati hui dikhi
isko kya hua mere peeche kyun padi hai
main jaldi se shop ke andar jaake vidu ke paas khada ho gaya
maine dekha 5 6 dress samne padi hai
ek se badhkar ek
tabhi mujhe usmein se ek dress pasand agayi
dilip- aap yeh lo ismein aap bahut sundar lagogi
vidya- [sales girl se] aap yeh pack kar dijiye
sg- wow miss aapke boyfreind ki choice bahut achchi hai
[vidu sharmane lagi]
aruna- yeh hamara bhai hai
sg- oh sorry
, aap yeh try kar lijiye
vidya- uski koi jarurat nahi hai
[tabhi sunitadi aur meghadi hamare paas agayi]
sunita- hamari shopping toh ho gayi
dilip- waah
arunadi mujhe ghurne lagi, main vanya ke paas gaya
dilip- kya hua
vanya- koi dress pasand hi nahi aarahi hai
main sg ki taraf dekha
lag raha tha ki abhi abhi uski kisi ne maar li ho
Dilip- tum ek kaam karo yeh wali dress le lo
vanya- theek hai
main wapas vidu ke paas gaya
Dilip- aap sab ki shopping ho gayi
sab ek sath- haa
dilip- dono mami aur b nani ke liye bhi kuch le lete hain
vidya- le liya
dilip- theek hai ab chaliye aap sab 4 ghante se shopping kar rahi hain
phir main payment kiya aur bahar aagaya
hum sab mall se bahar nikle
tabhi meri najar nimmi pe padi
use kuch ladke pareshan kar rahe the
ab main toh ja nahi sakta tha
dilip- [chillake] lakhan
tabhi lakhan daudta hua aaya
lakhan- jee chhote maalik
dilip- woh samne un ladko ko dekh rahe ho
un sab ki ek haddiya tod do
ek hi todna
lakhan bina kuch bole chala gaya
vidya- dilip yeh tune kya kiya
kahi use kuch ho na jaye
dilip- usko kya hoga
aruna- woh 5 6 ladke hain
dilip- abhi agar aap mein kisine agar kuch bola hai
toh main khud chala jaunga
vanya- aap sab ko chinta karne ki jarurat nahi hai
lakhan ko kuch nahi hoga
uske baad un ladko ki cheekh sunai dene lagi
thodi der baad lakhan aur nimmi hamare paas pahunche
nimmi kuch bolti usse pehle hi kuch ladkiya hamare paas aagayi
ladki- thankgod nimmi tu theek hai
hamara dhyan toh un ladko ki cheekh sunke teri taraf gaya
phir hum sab gaadi mein baithe
lakhan gaadi chalane laga
thodi der baad hum pahunche ghar.
ghar pahunchte hume shaam ho chuki thi
jaise main ghar mein enter hua
samne mujhe sofe pe simita maasi priya aur priti baithe dikhe
sab behne s masi ke paas gayi
4 saal pehle ek car accident mein simita maasi ke pati ki maut ho gayi
waise b nani mujhe har saal mere pure khandan walo ki photo dikhati thi
pata nahi kyun
isiliye main priti ko pehchaan liya
warna priti ko toh main aaj tak nahi dekha tha
main s masi ke paas gaya
woh mujhe dekhne lagi
main unke pair chhua
s masi- hamesha khush raho beta
tabhi b naani agayi
main b nani ke gale lag gaya
b nani- agaya mera beta
chal baith
main b nani ke sath sofe pe baith gaya
waise priti ko dekhke lag raha tha woh abhi bachchi hi hai
vidya- bua aap hume toh bhool hi gayi
s masi- main apni beti ko kaise bhool sakti hoon
aruna- mujhe toh bhool hi gayi
s masi- tum sab meri betiya ho
main tum sabko kaise bhool sakti hoon
dilip- mere munh se apne aap nikal gaya
ek anar 100 beemaar