• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy DARD

Hero ko aage kya karna chahiye

  • Revenge lena chahiya

    Votes: 185 83.3%
  • Sabko maaf kardena chahiye

    Votes: 33 14.9%
  • Ya sabse dur chale jana chahiye

    Votes: 30 13.5%

  • Total voters
    222

tpk

Well-Known Member
12,757
17,216
228
waiting
 
Calm_777

Hum bewafa hargiz naa thee....
260
1,792
124
12 ke pehele de dunga
 
  • Like
Reactions: Smith_15 and Naik

Calm_777

Hum bewafa hargiz naa thee....
260
1,792
124
Aaj ka pakka hai
 
  • Like
Reactions: Smith_15 and Naik

Calm_777

Hum bewafa hargiz naa thee....
260
1,792
124
Update - 30

reyansh ne bhi uske bal sehlake sulane ka prayas karne laga kyuki usko pata tha ki iss waqt noor ko emotional support ki jarurat hai.

Aabbb aaagggeee.........

Noor reyansh ke godh me let to gyi thi par neend uski akhoon se koso door thi aur Reyansh bhi is baat ko janta tha iss liye uske baalo me hath fira raha tha taki noor jaldi se so jaye. Thodi der me noor ki aakhn lag gyi aur woh so gyi lekin reyansh ke chehre pe abhi bhi kathor bhav the.

Reyansh : (man me) mai noor ko kabhi dukhi nhi hone de skta aur maine uske abbu se wada bhi to kiya hai. Kal ka din ahem hai, kal noor ke rishtedaar bhi ayenge. Kya pata noor unke sath chali jaye. Par kya wo log noor ka khayal rakh payenge. Par mai noor pe jabardasti bhi to nhi kar skta apne sath rehne ki isliye Noor jo chahegi wahi hoga.

Phir reyansh ne noor ka sar dhire se urha kar baju me rakha aur uthkar niche chala gaya.
Niche aa kar reyansh ne gadi me se sharab ki botale nikali kyuki noor ke ammi abbu jane ka dukh use bhi tha fark bas itna tha ki noor ro kar apna dukh bata sakti thi par reyansh nhi kar skta tha isliye usne sharab ka sahara lena hi thik samjha. Noor to reyansh ke kandhe ko sahara bana kar roo leti par reyansh ko kiska sahara tha.

Reyansh sharab lekar noor ke room me agaya aur noor ke bed ke paas hi niche baith gaya. Aksar log gum, Dard aur dukh me pite hai aur reyansh ke paas DARD ki to kami hi nhi thi.
Reyansh ne ek neat ki bottle kholi aur pina shuru kar diya aur kuch hi der me khali kar di phir ek aur phir aur. Ye sil sila tab tak chala jab tak reyansh ko nasha na hua. Reyansh ko pine ki aadat samira ke bewafai ke baad se lagi thi . Reyansh ne nashe me apne jeb me hath dala aur usme se apna wallet nikala aur usme se ek shaks ki photo nikali aur use dekhte hue bolne laga.

Reyansh : ( nashe me khud se) dekho aaj tumhari chaht ne kitna barbaad kar diya hai mujhe ki sharab ka sahara lena pad raha hai.
Aaj tak ki zindagi me kar tarah ke gum mile par tera tum kuch aur hai. Aaj bhi chehre pe shikan nhi hoti chahe kitne piche waar ho na hi dushmano se harna manzoor hai par dil ke tukde tab hote hai jab dushmano me yaar ho.
Mera aaj jo hal hai na khuda na kare wo kal tera .dekh lena tu bhi kabhi chaht me bebas ho gi. Aur jo mai ye sharab pi raha hu ye sharab nhi nafrat ke ghut hai tere diye hue Samira...tere diye hue hai....

Yes wo photo samira ki hi thi She jush filled Reyansh's heart with hate.
Uhi bad badate hue 4 bottle neat khatam karne ke baad reyansh ki nazar noor ke room me rakhi hui ek photo pe gayi to reyansh jhumta hua utha aur ladkhada kar chalte hue
Photo ke paas gaya aur use hath me utha ke dekhne laga. Us photo me noor uski ammi ke sath baithi hui thi kafi khush nazar aa rahi thi.
Us photo ke taraf dekhte hue reyansh muskura diya aur khud se bola.

Reyansh : noor kitni kush nazar aa rahi hai ias photo me aur noor ki ammi bhi to kitna khayal rakhti thi noor ka aur kitna pyaar karti thi. Kash meri maa bhi aisi hoti....

Ye bolte hue reyansh ka gala bhar aya tha aur akhen bhi bhar ayi thi kyuki use apne bachpan se judi yaaden yaad aa ne lagi.

Flashback

Reyansh jab 5 th class me tha tab ek din jab wo school se wapas aya toh uske dadaji use papa ke sath bahar gye the. Usne apne room me jakar bag rakha aur khana lene kitchen me ja hi raha tha ki use waha Janvi mil gyi jo hall me khel rahi thi apne dosto ke sath. Reyansh bina unke tarf dekhe waha se nikal raha tha kyuki wo janta tha ki yaha rukne par uski bezzati ki jayegi.
Reyansh ke aane se pehle janvi ki ek dost ke hath se janvi ki mummy ka favorite flower vase gir gaya tha jo 12 lakh ka tha aur janvi ko uske dost ko uske mummy ke gusse se bachana ne ka koi upaye nhi such raha tha tabhi uski nazar reyansh pe gyi jo apne room se bahar aa raha tha aur use dekhte hue janvi ke chehre par muskurahat aa gyi.

Jaise hi reyansh waha se guzarne ko kua janvi ne use awaz di.

Janvi : Reyansh idhar aa.

Reyansh ne mud ke dekha halaki wo waha jana to nhi chahta tha lakin agar wo baat talta to janvi is baat ko namak mirch laga kar use papa ko batati jo phir reyansh ki pitayi karte. Isliye na chahte hue bhi reyansh janvi ke paas chala gaya.

Reyansh : (kapte pairo ke sath ) ji didi .
Janvi : tujhe kitni baar bola hai mujhe didi mat bola kar. Tu yaha ka naukar hai aur mai iss ghar ki owner to mam bola kar.
Reyansh : jjii
Janvi : sun idhar aa aur ye table sarka kar mere dost ka rumal nikal de uske niche gir gaya hai.

Reyansh bina kuch bole table sarkane laga. Jaise hi reyansh table sarkane laga janvi ne mauka pa kar tute hue flower vase ko dhakka de kar phir se gira diya. Jo tut kar aur pieces me bikhar gaya. Janvi ne bhi mauke ka fayda utha kar drama karna shuru kar diya.

Janvi : ye kya kiya haramkhor mummy ka favorite flower vase gira diya.
Reyansh : (darte hue) n nhi maine nhi kiya ye to phele se tuta huema tha.
Janvi : to mai kya jhut bol rahi hu hum sab ne dekha ki ise tumbe hi giraya hai.
Dost : ha ha humne dekha
Janvi : pata bhi hai wo flower vase pure 12 lakh ka tha. Jakar khud ko bhi bech aao to utne paise nhi milenge.
Reyansh : m m maine nhi k kiya ye.
Janvi : (chillate hue) mummy... Mummy dekho is kutte ne apka favorite flower vase tod diya.

Baki baad me.....
 
Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,065
244

Nice update

Par update itna chotaaa. Yeh toh suru hote hi khatam hogya.
 
Top