• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy DARD

Hero ko aage kya karna chahiye

  • Revenge lena chahiya

    Votes: 185 83.3%
  • Sabko maaf kardena chahiye

    Votes: 33 14.9%
  • Ya sabse dur chale jana chahiye

    Votes: 30 13.5%

  • Total voters
    222

Calm_777

Hum bewafa hargiz naa thee....
260
1,792
124
nice update..!!
noor ko reyansh ke dil me khud ke liye pyaar jagana hoga..reyansh samaira ke dhoke ki wajah se pyaar se dur bhaag raha hai aur uske dil me samaira ke liye nafrat bhar gayi hai..!! noor toh pyaar karti hi hai reyansh se..ab usse sirf reyansh ke dil me khud ke liye pyaar jagana hai kyunki reyansh noor ko ek jimmedari ke roop me dekh raha hai..lekin noor yeh kabhi nahi chahegi ki reyansh usko ek jimmedari samajh ke apna le..woh toh yahi chahegi ki reyansh bhi usse pyaar kare, shaadi kare..lekin iske liye noor reyansh ke dil samaira ki buri yaade hatani hongi apna pyaar dekar..reyansh ka past janana hoga aur reyansh jaise usse apna dukh halka karne ke liye khud ka khanda de raha hai waisa hi sahara noor ko dena hoga reyansh ko..jiske chalte noor ke liye reyansh ke dil me apne aap loverwala, patiwala pyaar aajayega..!!
reyansh ko jo dard diya hai uske gharwalo ne(reyansh kimaa, baap, janhavi, chachi, chachi ki beti)..sabko unke karmo ki saja milegi aur inki saja bhi reyansh hi decide karega..!! bas india me jab bhi jaye reyansh toh apni behen swara aur saima maa ko apne sath rakh le kyunki saima ne hi maa ka pyaar diya hai reyansh ko aur swara bhi hamesha apne bhai ke sath khadi rahi hai..!! iss samaira ko bhi saja milegi bewafayi ki..!!
They will be punished.
 

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
15,896
39,791
258
Update - 30

reyansh ne bhi uske bal sehlake sulane ka prayas karne laga kyuki usko pata tha ki iss waqt noor ko emotional support ki jarurat hai.

Aabbb aaagggeee.........

Noor reyansh ke godh me let to gyi thi par neend uski akhoon se koso door thi aur Reyansh bhi is baat ko janta tha iss liye uske baalo me hath fira raha tha taki noor jaldi se so jaye. Thodi der me noor ki aakhn lag gyi aur woh so gyi lekin reyansh ke chehre pe abhi bhi kathor bhav the.

Reyansh : (man me) mai noor ko kabhi dukhi nhi hone de skta aur maine uske abbu se wada bhi to kiya hai. Kal ka din ahem hai, kal noor ke rishtedaar bhi ayenge. Kya pata noor unke sath chali jaye. Par kya wo log noor ka khayal rakh payenge. Par mai noor pe jabardasti bhi to nhi kar skta apne sath rehne ki isliye Noor jo chahegi wahi hoga.

Phir reyansh ne noor ka sar dhire se urha kar baju me rakha aur uthkar niche chala gaya.
Niche aa kar reyansh ne gadi me se sharab ki botale nikali kyuki noor ke ammi abbu jane ka dukh use bhi tha fark bas itna tha ki noor ro kar apna dukh bata sakti thi par reyansh nhi kar skta tha isliye usne sharab ka sahara lena hi thik samjha. Noor to reyansh ke kandhe ko sahara bana kar roo leti par reyansh ko kiska sahara tha.

Reyansh sharab lekar noor ke room me agaya aur noor ke bed ke paas hi niche baith gaya. Aksar log gum, Dard aur dukh me pite hai aur reyansh ke paas DARD ki to kami hi nhi thi.
Reyansh ne ek neat ki bottle kholi aur pina shuru kar diya aur kuch hi der me khali kar di phir ek aur phir aur. Ye sil sila tab tak chala jab tak reyansh ko nasha na hua. Reyansh ko pine ki aadat samira ke bewafai ke baad se lagi thi . Reyansh ne nashe me apne jeb me hath dala aur usme se apna wallet nikala aur usme se ek shaks ki photo nikali aur use dekhte hue bolne laga.

Reyansh : ( nashe me khud se) dekho aaj tumhari chaht ne kitna barbaad kar diya hai mujhe ki sharab ka sahara lena pad raha hai.
Aaj tak ki zindagi me kar tarah ke gum mile par tera tum kuch aur hai. Aaj bhi chehre pe shikan nhi hoti chahe kitne piche waar ho na hi dushmano se harna manzoor hai par dil ke tukde tab hote hai jab dushmano me yaar ho.
Mera aaj jo hal hai na khuda na kare wo kal tera .dekh lena tu bhi kabhi chaht me bebas ho gi. Aur jo mai ye sharab pi raha hu ye sharab nhi nafrat ke ghut hai tere diye hue Samira...tere diye hue hai....

Yes wo photo samira ki hi thi She jush filled Reyansh's heart with hate.
Uhi bad badate hue 4 bottle neat khatam karne ke baad reyansh ki nazar noor ke room me rakhi hui ek photo pe gayi to reyansh jhumta hua utha aur ladkhada kar chalte hue
Photo ke paas gaya aur use hath me utha ke dekhne laga. Us photo me noor uski ammi ke sath baithi hui thi kafi khush nazar aa rahi thi.
Us photo ke taraf dekhte hue reyansh muskura diya aur khud se bola.

Reyansh : noor kitni kush nazar aa rahi hai ias photo me aur noor ki ammi bhi to kitna khayal rakhti thi noor ka aur kitna pyaar karti thi. Kash meri maa bhi aisi hoti....

Ye bolte hue reyansh ka gala bhar aya tha aur akhen bhi bhar ayi thi kyuki use apne bachpan se judi yaaden yaad aa ne lagi.

Flashback

Reyansh jab 5 th class me tha tab ek din jab wo school se wapas aya toh uske dadaji use papa ke sath bahar gye the. Usne apne room me jakar bag rakha aur khana lene kitchen me ja hi raha tha ki use waha Janvi mil gyi jo hall me khel rahi thi apne dosto ke sath. Reyansh bina unke tarf dekhe waha se nikal raha tha kyuki wo janta tha ki yaha rukne par uski bezzati ki jayegi.
Reyansh ke aane se pehle janvi ki ek dost ke hath se janvi ki mummy ka favorite flower vase gir gaya tha jo 12 lakh ka tha aur janvi ko uske dost ko uske mummy ke gusse se bachana ne ka koi upaye nhi such raha tha tabhi uski nazar reyansh pe gyi jo apne room se bahar aa raha tha aur use dekhte hue janvi ke chehre par muskurahat aa gyi.

Jaise hi reyansh waha se guzarne ko kua janvi ne use awaz di.

Janvi : Reyansh idhar aa.

Reyansh ne mud ke dekha halaki wo waha jana to nhi chahta tha lakin agar wo baat talta to janvi is baat ko namak mirch laga kar use papa ko batati jo phir reyansh ki pitayi karte. Isliye na chahte hue bhi reyansh janvi ke paas chala gaya.

Reyansh : (kapte pairo ke sath ) ji didi .
Janvi : tujhe kitni baar bola hai mujhe didi mat bola kar. Tu yaha ka naukar hai aur mai iss ghar ki owner to mam bola kar.
Reyansh : jjii
Janvi : sun idhar aa aur ye table sarka kar mere dost ka rumal nikal de uske niche gir gaya hai.

Reyansh bina kuch bole table sarkane laga. Jaise hi reyansh table sarkane laga janvi ne mauka pa kar tute hue flower vase ko dhakka de kar phir se gira diya. Jo tut kar aur pieces me bikhar gaya. Janvi ne bhi mauke ka fayda utha kar drama karna shuru kar diya.

Janvi : ye kya kiya haramkhor mummy ka favorite flower vase gira diya.
Reyansh : (darte hue) n nhi maine nhi kiya ye to phele se tuta huema tha.
Janvi : to mai kya jhut bol rahi hu hum sab ne dekha ki ise tumbe hi giraya hai.
Dost : ha ha humne dekha
Janvi : pata bhi hai wo flower vase pure 12 lakh ka tha. Jakar khud ko bhi bech aao to utne paise nhi milenge.
Reyansh : m m maine nhi k kiya ye.
Janvi : (chillate hue) mummy... Mummy dekho is kutte ne apka favorite flower vase tod diya.


Baki baad me.....
Zabardast update
 

Calm_777

Hum bewafa hargiz naa thee....
260
1,792
124
Aaj ka update raat ko 1 baje ke aas paas aayega
 

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
15,896
39,791
258
Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Smith_15

Calm_777

Hum bewafa hargiz naa thee....
260
1,792
124
Update - 31

Janvi : (chillate hue) mummy... Mummy dekho is kutte ne apka favorite flower vase tod diya.

Aaabbbb aaaaggggeeee......
(Flash back continuous )

Reyansh ko ye sunte hi dar sa lagne laga tha. Janvi ki awaj bhi Shikha Rajput (Mom) ke Kanoon Tak pahunch chuki thi aur flower pot tutane Ki Baat sunkar Shikha Rajput bhi jaldi mein hall mein pahuch gyi.
Hall Mein pahunchne ke bad Jaise hi usne flower pot ki or Dekha use Tuta Hua Mila Jise Dekhkar vah gusse mein Lal Pili Hone Lagi aur gusse mein chillake pucha.

Shikha rajput : (gusse me chilla ke) kis ne yah Behuda harkat ki hai??

Reyansh to uski maa ki ye gusse bhari awaz sunkar hi sehem gaya kyuki usko pata tha galti uski ho ya na ho par maar to use hi padegi uper se janvi ka jhut.

Shikha : Maine poochha kisne kiya yah?
Janvi : mom harkat isi kutte ki hai isi Ne aapka favourite flower pot Gira ke Tod Diya.
Shikha : (gusse se daat piste hue) Teri Itni Himmat Ki Tune Mera Itna mahanga flower vase Tod Diya.
Reyansh : nhi m maa maine nhi kiya ye pehele se hi tuta hua hai.
Shikha : yani tu bolna chahta hai ki meri beti jhut bol rahi hai. tujhe pata bhi hai vo flower vase kitne ka tha. Aaj mai batati hu tujhe jhut bolne aur itna mehnga flower vase todne ki kimat kya hoti hai.

Ye bol shikha rajput palti aur apne room me kuch dhoondh ne lagi. Reyansh bechara waise hi dara hua tha aur apni maa ke muh se ye shabd sunkar to dar se kapne hi laga ki ab aage kya hoga. Wo yaha se bhag bhi nhi sakta tha kyuki agar wo bhagta to ye baat aur badh jati kyuki phir ye baat uske baap ko bhi batayi jati jo reyansh ke liye achcha nhi hota is liye majburi me reyansh wahi dar se kap kapate hue khada tha.

Janvi : dekh ab tera kya haal hota hai.
Reyansh : didi ye aapne achcha nhi kiya.

Ye baat chote se reyansh ne akhon me mote mote asoon liye kahi thi. Reyansh aaj bohot hi bebas aur asahay mehsus kar raha tha. Aaj uski akhon me janvi ke liye nafrat jalak rahi thi. Kaisi ladki thi janvi jise apne chote bhai ki aakhon me asun nhi dikhai de rahe the, na hi use reyansh ki masumiyat dikhai de rahi thi.

Tabhi shikha apne hath me chamde ka belt liye room se bahar aayi aur gusse me bolne lagi.

Shikha : aaj ke bad tum yaad rakhoge ki galti karne ki saza kya hoti hai.

Ye kehte hue qo reyansh ke pass aayi aur use ek jor ka chata de mara
Ccchhhhhaaattttaaakkkkk.....
Jisse reyansh jamin par niche gir pada aur subakte hue aasun bahane laga. Par kisiko us bechare ke asoono ka koi mol nhi tha na hi uske dil ke masumiyat ka.
Shikha itne me hi nhi ruki aur jamin pe pade reyansh pe belt ke mar ki bauchar kar di
Sat... Sat... Sattt saattt
Reyansh bas chilla raha tha dard me uski akhon se nirantar asun beh rahe the.
Reyansh : aaahhh.... M maine kuch nhi kiya p plz mat maro aahhh...
Reyansh ab pet ke bal aa chuka tha aur shikha uske pith par belt barsa rahi thi. Anyasa hi reyansh ke muh se nikla.

Reyansh : aaahhhh maaaa.... DARD ho rha hai aaahhh maaaa...

Par bechara wo pukar bhi kise raha tha jo uapar belt barsa rahi thi. jab maa hi ye sab kare to bachcha ummid lagaye bhi to kisse. Janvi aur uske dost ye sab dekh kar enjoy kar rahe the na unhe iss baat ka dukh tha aur na hi pachtava.
Par reyansh ki ma ki pukar kisi aur ne sun li thi aur wo daudte hue awaz ki taraf aayi aur jab pohoch kar dekha reyansh per belt barsaye ja rahe hai to bhagte hue aayi aur reyansh ko cover kar liya aur belt ki maar khud khane lagi. Ye shaks aur koi nhi balki reyansh ki saima maa thi jo uske bachav me aa chuki thi. Shikha ko iss baat se bhi farak nhi pada aur wo saima pe bhi belt barsane lagi.
Jab reyansh ko belt lagni band hui to usne apni asun se bhari aakgen khol ke dekhi to usne paya ki use uski saima maa ne cover kar liya hai aur uske badle ki maar wo kha rahi thi.
Saima : (rote hue) aahh.. Malkin mat mariye reyansh ko aahhh.... Chod dijiye malkin

Par shikha to jaise pathar dil ho gyi thi uspe iska koi asar nhi hua. Par reyansh se ye sab dekha nhi gaya.
Reyansh : ( chikh chikh ke rote hue ) mat maro meri maa ko.
Ye bolte gue reyansh ne saima ko palat diya aur khud uper ki aur ho gaya jis karan uska muh saima ki aur tha aur pith shikha ki aur ab maar reyansh kha raha tha aur bas chup chap asun baha raha tha. Jab saima ne dekha to bol padi.
Saima : nhi betaa...
Shikha bas belt barsa rahi thi reyansh ki puri pith chotil ho gayi thi wo bas apni saima maa ki aur dekte hue shikha ki maar ko jhel raha tha. Reyansh ki halat adhmari ho chali thi. Saima bohot koshish kar rahi thi reyansh ko hatane ki par reyansh use hatane nhi de raha tha kyuki use pata tha agar wo hata to belt uski saimaa maa ko lagegi iss liye reyansh sirf chup chap asun bahate hue mar jhel raha tha .
Reyansh ne itne dard me bhi saima ki tarf dekha aur halka sa dard me muskurate hue bola.
Reyansh : m mere r rehte meri maa ko koi nhi marega..

Saima ye sunke chikh chikh ke rone lagi kyuki reyansh use palatne nhi de raha tha to wo kuch kar bhi nhi sakti thi.

Aaj reyansh ko janm dene wali shikha rajput ko keval flower vase tutne ki awaj sunayi di par aaj kuch aur bhi tuta tha wo use nhi sun payi aur wo tha chote se reyansh ka masum dil kyuki dil tutne ki awaj nhi hoti na. Reayansh aur maar na jhel paya aur saima ke uper hi gir kar apni akhen band karli . Reyansh ke yun akhen band karne se to jaise saima ka dil hi muh me aa gya usne turant reyansh ko palta .
Saima : (rote Hue)ye kya kar diya aap ne mere reyansh ke sath..

Reyansh ke behosh hone ke karan shikha bhi thodi dar gyi kahi mar to nhi gaya to usne marna band kiya aur boli.
Shikha : kuch nhi hua hai ise maar se bachne ke liye natak kar raha hai. Iss bar chood rahi hu agli bar aisa kiya to anjam isse bhi bura hoga ye bol wo waha se chali gayi.
Reyansh ki chachi aur beti bhi ye sab dekh ke muskura rahi thi. Janvi hi unhe yaha bula layi thi ye bol kar ki free ka action show chal raha hai.
Saima ne turant reyansh ka chehra apne god me liya
Saima : (subakte hue) uth na reyansh beta dekh teri maa ko koi nhi marega uthna... Betaaa... Smmm.. Smmm

Saima ko kuch suja nhi to usne reyansh ko godh me utha liye hospital jane ke liye .jaise hi usne reyansh ko godh me uthaya to dekha reyansh ki puri pith khun se sarabor thi puri pith chil aur udhad chuki thi. Sara khun riste hue saima ke pure kapde bhiga raha tha. Saima kisi tarah reyansh ko uthake ghar se bahar nikli aur auto dhudne lagi hospital jane ke liye par use auto nhi mil raha tha unki halat dekh kar. Saima jaise taise padal 8 km chal kar reyansh ko hospital le gyi aur uska ilaj kar waya.

Ek ye maa thi jo reyansh ke liye itna sab kuch kar rahi thi jo uska saga bhi nhi tha aur ek shikha thi jo sirf reyansh se nafrat karna janti thi.

(flashback end)


Baaki badme

Reviews dena tum sab padh ke chale jate ho aur like aur review nhi dete.
 
Last edited:
Top