Jaguaar
Well-Known Member
- 17,679
- 60,544
- 244
Nice updateUpdate - 32
Ek ye maa thi jo reyansh ke liye itna sab kuch kar rahi thi jo uska saga bhi nhi tha aur ek shikha thi jo sirf reyansh se nafrat karna janti thi.
(flashback end)
Aaabbb aaagggeee.....
(Present)
isi Tarah Reyansh Apne bite gamo Ko Yad Karta hua Sharab Peete Peete So Gaya. Yeh Raat Na reyansh ke liye acchi thi na Noor ke liye. Jaise Taise raat cut gai aur naya Savera aya Aaj bahut Kuchh Hona Tha Noor ki Jindagi Mein Par Noor ko is baat ki bilkul bhi Chinta Nahin thi Kyunki uska Reyansh uske sath Khada tha.
Khair nyi subah bhi aa gyi sabse pehle noor ki neend khuli .wo angdayi lete hue uthi to paya reyansh uske bed ke niche uske sir ke paas sir tikaye baitha hai. Use ye dekh kar reyansh pe bada pyaar aya ye soch kar ki reyansh uska kitna khayal rakhta hai. Par jaise hi wo bed se utri to dekha reyansh jaha ser tika ke baitha hai waha kafi sharab ki khali bottles padi hai. Pehele noor ko ye dekh ke gussa ata hai ki reyansh ne sharab pi par thodi hi der me use samajh ata hai ki wo to reyansh ka kandha liye ro li par reyansh kya karta. Ye sab sochte hue noor ko khud par hi bohot gussa ane lagta hai. Phir wo uth ke sidha niche kitchwn me chali jati hai aur nibu pani banane lagti hai. Nibu pani banane ke bad noor sidha apne bedroom me reyansh ke pass chali gyi aur use paas baith kar use uthane lagi.
Noor : (reyansh ko hilate hue) Reyansh uthiye naa subah ho gyi hai mehmaan aur hospital wale bho aaate honge.
Noor ke jagane se reyansh bhi kunmunate hue uth gaya aur apni aakhen kholten hi usne paya ki noor nibu paani liye uske paas baithi hai. To reyansh ne glass ki taraf ishara karte hue kaha.
Reyansh : ye kya hai.
Noor : (muh fulate hue) nibu pani hai.
Reyansh : aur wo kis liye.
Noor : (tana marte hue )ye jo maine itni sari sharab ki bottles pi hai kal raat to sir dukh raha hai iss liye apne liye layi hu.
Reyansh : ( sir niche jhuka ke) sorry raat ko control nhi hua.
Noor me jhat se reyansh ka chehra apne hathon me pakad liya aur utha ka uski aakhon me dekhte hue boli.
Noor : sorry bolne ki jarurat nhi hai galti meri hi hai ki mai aap ki tarah aap ka sahara na ban ski aur haa aaj ke baad ye ser kisi ke aage jhukna nhi chahiye mere bhi nhi samaje
Reyansh : (sar ko hilate hue) hmmm..
Phir thodi der me dono fresh ho gue aur nashta kar liya. Noor ye sab reyansh ke liye upri man se kar rahi thi andar se wo poori tarah toot kar bikhar chuki thi. Thodi der me hospital wale noor ke ammi abbu ki dead bodies lekar aaye jise dekhte hi noor ko phir se sadma lag gaya aur wo un bodies ke paas baith kar unhe niharne lagi .reyansh noor ke sath baith kar uska dard batna chahta tha lekin baki ke kaam bhi baki the thodi der me noor ke rishtedar aur mehman bhi aane wale the to reyansh ko uski bhi taiyari karni thi to reyansh akhri widayi ki taiyariya karne laga.
Thodi hi der me mehmaan ane lage aur iss ghatna pe apna shok vaykt karne lage. Aurate noor ke paas baith kar use dilasa dene lagi aur saare admi reyansh ke paas the usse baat kar rahe the aur puch rahe the ki ye accident kaise hua. Kuch hi waqt bacha tha janaza nikal ne ke liye tabhi ghar me entry hui 3 logo ki jo aate hi noor ke paas chal diye.
Inme 2 aadmi the aur ek aurat.
Aurat : (rote hue) beta ye sab kaise ho gaya.
Noor : ( subakte hue) chachi dekho na abbu uth nhi rahe hai... Smm.. Smmm.
Ji haa ye aurat noor ki chachi thi aur do aadmi noor ke chacha aur unka beta tha.
( aima baig (noor ki chachi) : 46 age hai. Dikhne me average gehua rang .nature aur niyat ka aage pata chal hi jayega.
Hafiz baig (noor ke chacha) : 49 age hai. Multi national company me job karte hai. Sidhe sadhe admi hai simple life jite hai.
Nature se bohot helpful hai.
Zafar baig ( noor ke chacha ka beta) : 25 saal age hai ye bhi apne baap ke sath usi company me job karta hai. Niyat se hi harmi hai. Hawas kut kut ke bhari hai. )
N Chachi : beta aise rote nhi himmat rakh.
Zafar uaki chachi ka ladka jo aaj noor ko pehli baar bina nakab ke dekh raha tha wo to jaise noor me kho hi gaya aur bas use ghure ja raha tha wo bola..
Zafar : haa noor chinta mat karo mai hu na.
Noor uske iss baat pe kuch na boli. Aur reyansh ki taraf dekhne lagi.