• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy DARD

Hero ko aage kya karna chahiye

  • Revenge lena chahiya

    Votes: 185 83.3%
  • Sabko maaf kardena chahiye

    Votes: 33 14.9%
  • Ya sabse dur chale jana chahiye

    Votes: 30 13.5%

  • Total voters
    222

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,404
28,424
218
UPDATE - 10

Mai nikl gya tha uske baad sab apne apne room me the. Swara ko uske room me band kar diya tha papa ne. Jab saima maa aai to kaam nipta ke jab mere room me aayi to mujhe nahi paya

Abbb aaaggggeeeee.........

Ab kahani 3rd point of view se chalegi.

Jab saima ne Reyansh ko uske room me nhi dekha to. Unka maan vichilit ho gya kyuki reyansh aksar uske room me hi rehta tha. Usne bathroom me bhi check kar liya waha bhi nhi tha kitchen me bhi dekh liya. Ab saima ko dar lagne laga to usne badi himmat juta ke shikha rajput (so called maa) ke kamre me gyi aur boli.
Saima maa : malkin kya apko pta hai reyansh kaha hai sara ghar dekh liya kahi nhi dikh rha hai??
Mummy : mujhe kya pta acha hi ho agar ghar chod ke chala jaye to.

Saima maa chup chap room se nikal jati hai aur phir se ek baar sab ke rooms me check karti hai. Sab ke room me check karne ke karan sab ko pta chal jata hai ki Reyansh mil nhi raha hai. Jab swara ko ye sab pata chala to uski to mano duniya hi ujad gyi. Wo wahi jamin pe baith ke jor jor se rone lagti hai. Jab janvi ko ye pata chala to use bhi dil me tez dardsa ho rha tha aur guilt bhi lag rha tha kyuki usne reyansh ke sath kya nhi kiya tha.
Sara ghar dhundhne ke baad saima ka sabr ka band toot gya aur wo zor zor se rone lagi. Use itne zor se rota sun sab waha jama ho gye tabhi mom boli.
Mummy : kyu us manhoos ke liye aasoon bahati ho wo to tumhara saga beta bhi nhi tha.
Saima maa (gusse me) : bas bohot ho gya ab mere bete reyansh ke liye koi ek shbd bhi nhi kahega. Kaisi maa ho tum dhikkar hai tumhari mamta pe.
Mummy : naukar ho to wo hi raho samjhi.
Saima maa : mai to yaha sirf reyansh ke liye aati thi. Naukri to mujhe kahi aur bhi mil jati.
Ab yaha mera reyansh hi nhi hai to mai yaha reh ke kya karungi. Mai aaj se hi ye naukri chodti hu.
Ye keh kar saima waha se chali gyi. Reyansh ke ghar chod ke jane ki baat se chachi, mummy aur papa kush the. Swara ka to ro ro ke bura haal tha. Janvi bhi bohot udas ho gyi thi aur rone lagi thi apne pashyatap ke karan.

Ab chalte hai Reyansh ki taraf.......
(Reyansh ki point of view se)
Jab subhe meri aaken khuli mai bench par uthkar baith gya. Sochne laga ki aaj kaam doondh na padega nhi to guzara karna mushkil hoga. Phir mai uth kar chal pada market ki aor kaam ki talash me. Mai din bhar ghumta raha kaam to nhi mila lekin logo ki dhutkar aur galiya zaroor mili. Aise hi din nikal gaya raat ke waqt thoda kuch kha liya ab paise bhi khatam hone aaye the. Ab to kaam dhoondna bhot zaroori ho gya tha. Agla din aya paise the nhi nashta karne ke liye to aise hi nikal gaya kaam doondhne ke liye. Dophar tak kaam dhoondhne ke baad kuch log dikhai diye khudayi ka kaam karne jaa rhe the ab koi kaam to mil nhi raha tha to socha yehi kaam sahi. Mai unke paas pahucha air poocha.
Mai : kaka kya mai bhi ye kaam kar sakta hu aapke sath.
Wo admi : are ye kaam koi bachcho ka nhi hai beta tum nhi kar paoge bohot kathin aur mehenat ka kaam hai.
Mai : kaka please karne dijiye mujhe bohot zaroorat hai kaam ki.
Wo admi : aisi bhi kya zaroorat beta ki itna kathin kaam bhi karne ko taiyar ho.
Mai : bas aisa samajh lijiye kaka ki agar aaj kaam nhi mila toh raat ka khana nasib nhi ho payega.
Meri baat sunke us aadmi ke paas kuch kehene ko nhi reh gaya tha isliye usne bhi apne sath kaam pe aane diya.
Hum construction site pe pahuch gye yaha bohot kaam the majdoori ke . Ab tha to 16 saal ka ladka aur itne kathin kaam ki adat bhi nhi thi to jada kaam na kar saka jis karan paise bhi kam mile. Jisse raat ke khane ke samay pura to nhi par adha pet bhar gya. Phir kya wahi apne bech par jake so gya kyuki shareer itna dukh rha tha ki bta nhi sakta tha hath bhi chil gye the .

Aise hi 6 mahine nikal gye iss beech mijhe swara aur saima maa ki bahut yaad aati thi.
In 6 mahino me kaam aur thakan me hi din nikal rahe the kuch paise bhi bacha rha tha mai. Ab mere liye acha din wo hota tha jis din pet bhar khana milta tha jaise koi tyohar ho to ma*ndir me pet bhar kha leta tha, kabhi friday ko masji*d me to kabhi gurudwar*e me.

Aggee dekhte hai kya hota hai........
Awesome update
 
  • Like
Reactions: Naik
1,256
4,553
144

Update to thk hai but bohot chota hai aur late bhi aata hai to slow ja rahi is liye story
 
  • Like
Reactions: Rony 007

richad

Well-Known Member
3,182
6,782
159
Nice update
 
Zatchx

New Member
81
262
53
Update bruhh?
 
  • Like
Reactions: andyking302
Top