Jaise ki mujhe ummeed bhi thi, vo ab tak so raha tha.
"Kya hua, sab khairiyat?" Nisha ki tarah vo bhi subah savere meri call dekh kar hairan tha.
"Haan kuchh nahi, tabiat thodi theek nahi thi toh jaldi aankh khul gayi?" Maine bataya.
"Kya ho gaya?"
"Bukhar hai thoda"
"Dawai le le koi" Uski aawaz ab bhi neend se bhaari thi.
"Oh really? Mujhe toh ye khyaal aaya hi nahi. Main toh soch raha tha ke 2 peg laga loon" Maine tana sa maarte hue aha.
"Not a bad idea actually. Dawa daru ek hi baat hoti hai" Uspe jaise meri baat ka koi farak hi nahi pada.
"Yeah right. Achha ek baat bata. You said kevo Saloni ke baare mein police records meinkuchh nahi hai?" Main matlab ki baat pe aaya.
"Usse mujhe bhi yaad aaya, kal shaam Joshi milne aaya tha" Usne meri baat ka jawab diye bina doosri baat shuru kar di.
"Ok. And?"
"Phone par dhamkane ke baad dil nahi bhara tha shayad bhai ka isliye in person dobara hadkane aaya tha"
"About Saloni wala case?"
"Haan"
"Kya keh raha tha?"
"Vahi purani kahani. Ke main teri madad karna band karun aur tujhe is case se door karun varna meri complain kar dega ke main police information leak kar raha hoon"
"Wow. But you havent really told me anything"
"Yeah even he knows that coz there is nothing in police records about that girl. Uske khud paas koi information nahi hai aurbhanwar mein haath paon maar raha hai"
"Hmmmmm"
"Meri baat maan toh ye case rehne hi de. Tujanta hai ke vo vaise bhi kaafi time se tujhe lapetne ki taak mein hai" Khan ne phir samjhaya.
Kaash maine uski baat maan li hoti.
Meri aur Joshi ki pehli mulaqat koi 5 saal pehle hui thi. Us waqt ek ladka missing tha, case Joshi ke paas tha aur ladke ke baap ne mujhe hire kiya tha. Joshi is baat par ada hua tha ke ladka ghar se bhaga hai jabki meri information ke mutaabiq uska kidnap hua tha. Kuchh din baad meri baat sach nikliaur Joshi is baat par mujhse sad gaya. Doosra jab ladke ka pata chala toh mere mana karne ke bavajood Joshi police force ke saath us jagah pahunch gaya jahan information ke hisaab se ladke ko bandi banakar rakha hua tha. Hua vahi jiske liye maine warn kiya tha. Ladka toh vahan nahi mila par agle din uski laash zaroor mil gayi thi.
Joshi ke khilaff enquiry hui aur usmein maine bhi testify kiya tha. Ladke ki maut ka zimma uske sar daal diya gaya tha aur vo kaafi time tak force se suspend bhi raha. Bas usi din se uska aur mera pyaar parwan chadh raha tha. Pichhle 5 saalon mein vo kayi baar man-ghadant cases mein mujhe fasane ki koshish kar chuka tha par kar nahipaya tha.
"Nahi yaar. I cant back off now. I will have to do this" Maine khan se kaha.
"Matlab maanega nahi. Ziddi hai bhai tu bhi.Ek dam ziddi murge ki taraf ziddi hai"
"Kiski tarah ziddi hoon?" Mujhe laga ke shayad maine uski baat theek suni nahi.
"Ziddi murge ki tarah"
"Ye kaun sa murga hai?" Matlab maine uski baat theek suni thi.
"Ziddi murge ki kahani nahi suni tune?"
"Nahi"
"Toh sun" Uske bolne ke andaaz se lag raha tha ke vo ab bistar par sidha hokar betha hai "Maine bhi bahut pehle kisi TV Show par suni thi"
"Ok"
"Toh bhai ek tha ziddi murga. Bada shararti,bada ziddi. Sara din shararat karta tha aur maalik ko pareshan rakhta tha. Ek din maalik ne pareshan hokar gusse mein use ek pinjare mein band kar diya. Murga itna ziddi tha ke pinjare ke pichhe se bahar aa gaya. Maalik ne phir pakadke pinjare mein band kar diya, murga itha ziddi tha ke phir pichhe se bahar aa gaya. Maalik ne teesri baar band kiya, murga itha ziddi tha ke phir pichhe se bahar aa gaya. Ab Maalik ko bahutgussa aaya aur gusse mein usne murge ko kaatkar biryani mein daalkar kha liya. Murga itna ziddi tha ke ....... Baaki toh tu samajhdar aadmi hai hi" Vo hanste hue bola.
"Thats the worst story ever" Ek toh bukhar aur uper se uski bakwaas kahani.
"Oh come on, you know it was funny"
"Ab teri bak bak band ho gayi ho toh main kaam ki baat karun?"
"Haan bol" Vo ab bhi apni hi sunayi kahani par has raha tha.
"Pehle hasna band kar aur sun" Maine batana shuru kiya "Mujhe information mili hai ke Saloni ko kai baar raat ko police ki gaadi hostel tak chhod kar jaati thi toh isliye main soch raha tha ke tu ek baar phir dekh. Agar vo itni baar arrest hui hai toh shayad kahin koi report vagerah mil jaaye"
"Dekh information mujhe yakeen hai ke koi hai nahi kyunki main hi nahi Joshi bhi police files chhan chuka hai. Use bhi kahin kuchh nahi mila ye maine usi ke munh se suna hai" Vo ab sanjeeda aawaz mein bola.
"Haan par pehle ham sirf murdon ki list mein dekh rahe the, vo bhi sirf pichhle ek mahine ki. Ek baar dekh ke uske naam se kuchh nikalta hai toh, in last 1 year "
"Theek hai main nazar dalta hoon dobara par jo tu bata raha hai uske chalte ummeedkam hi hai"
"Matlab?"
"Matlab saaf hai yaar. Jis ladki ko raat ke waqt police ki gaadi ghar chhod kar aaye vokis tarah ka kaam karti hogi ye jaanne ke liye zyada dimag lagane ki zaroorat nahi padegi. Is tarah ki ladkiyan arrest hoti hai, unhein police gaadiyon mein bithaya jata hai, ya toh police station lakar kuchh de betha kar chhod diya jata hai ya vahin gaadi mein koi police wala behti ganga mein haath dhokar vahin chhod deta hai. Yahan murder cases khatam hone ka naam nahi lete, kiske paas time hai ke is tarah ki ladkiyon ke cases banaye"
"Yeah i know. Tu dekh phir bhi ek baar"
"Theek hai, dekhta hoon main. Shaam ko aata hoon tere yahan. Bethke baat karte hain"
Uske baad maine apne ghar ke paas hi ek chemist shop par phone kiya jiske maalik komain janta tha aur use kisi ladke ke haath bukhar ke liye koi dawai bhejne ko kaha. Thodi der baad hi ladka kuchh hari neeli goliyan de gaya jinhein kahakar main ek baar phir bed par let gaya. Pata hi nahi chala ke kab aankh lag gayi.
Phone ki ghanti se neend tooti toh 11 baj rahe the. Phone Chipku ka tha.
"Adi bhai" Phone uthaya toh uski aawaz aayi "Apun ko lag ich raha tha ke abhi tak toh uth gayele honge aap"
"God" Maine dil hi dil mein socha "Does everyone that i sleep till late?"
"Vo chhokri ka tasveer dikhayele the na aapmere ku" Vo bola "Kuchh pata chala hai. Shayad yahich chhokri hai"
_______________________
Too good. Woh ziddi murge ki kahani ne bada hsnssaya yaar