Thanks bro... Update was amazingPosting 1 more update today. Enjoy bhai.

Chipku gaya toh thodi der baad hi Nisha aa gayi.
"How are you feeling now?"
"Not any different than yesterday actually" Vo andar aa gayi toh main phir bed par ja leta.
"I bought you something to eat. I will heat itup" Kehti hui vo kitchen mein daakhil ho gayi.
"Anything new with the Saanwli case?" Kitchen se hi uski aawaz aayi.
"Nahi not much. A few pieces of informtion here and there but nothing solid" Maine jawab diya.
"Pity"
Main bed se utha aur uske saath hi kitchen mein ja khada hua.
"Ek baat bata. Vo Maya ke baare mein koi information mili kal?"
"Nahi i forgot to ask about that. Ham log saman pack karke vaapis aa gaye. Kisi ladki se itni baat hui nahi hui vahan ke is baare mein puchhti aur sach kahun toh mujhe dhyaan bhi nahi raha" Vo paranthe garam karte hue boli.
"Yeah dont worry i will go back there. I think Maya ne jaate hue apna koi toh forwarding address chhoda hoga hostel records mein. Ek aadmi hai jo shayad ye address lakar de sake" Maine sochte hue kaha.
"Ye Maya kahan se beech mein involve ho rahi hai?"
"Dekh filhal hamare paas koi zyada information nahi hai aur jo thoda bahut pata hai unpar shartiya taur par yakeen nahi kar sakte jab tak koi ye baatein confirm na kar de. Ab vo zyada kisi se baat karti nahi thi, ghar par usne kuchh apne baare mein khaas bataya nahi tha ke Mumbai mein kya kar rahi hai, hostel wale kehte hain ke paas koi information nahi tohis situation mein ek Maya hi hai jo thodi bahut dhang ki information de sakti hai hamein"
"Hmmm, you are right" Usne ek parantha plate mein rakh kar meri taraf badhaya "So what do we know so far?"
"Not much" Main kitchen ke bahar hi rakhi table aur chair par beth gaya jise dining table ki tarah use karta tha "Jo ab tak inforamtion mili hai agar uske hisaab se chalun toh vo ek middle class family se thi, Mumbai job ki talash mein aayi, takreeban ek saal se yahan thi, ghar par phone karke bataya tha ke yahan use koi job mil gaya hai. Mumbai mein ek saal tak vo kya kar rahi thi uske gharwalo ko isse zyada nahi pata"
"Interesting" Vo apne liye ek doosri plate mein parantha liye aur chaai ke 2 cups lekarkitchen se bahar aayi aur mere saath hi table par beth gayi.
"Mili hui information ke hisaab se vo pehle kuchh din tak Mumbai mein naukri dhoondhti rahi, kahin job mili bhi shayad par kahan ye nahi pata, uske baad dheere dheere uske rehan sehan badalne laga, hostel ke rent vo time par hi deti thi toh ye assume kar sakte hain ke paise ki kabhi use dikkat nahi rahi"
"Yep" Nisha ne haami bhari.
"But uske cell se hamein ek message mila hai jisse filhal ye andaza laga sakte hain ke uska koi boyfriend tha jo ki koi badi baat nahi hai Mumbai mein. Na hota toh ajeeb baat hoti"
"True" Nisha ne muskura kar kaha.
"Uska aadhe se zyada saman hostel se nahi mila toh jahan tak mujhe lagta hai, ye saman uske boyfriend ke ghar par hai"
"You mean she was planning to move in with some guy?"
"Possible hai"
"Then all we gotta do is find the boyfriend"
"Yeah. But ek recent information ke hisaab se ye bhi ho sakta hai ke vo ek Bar mein waitress ka kaam kar rahi thi"
"Really?"
"Yeah but information solid nahi hai filhal. Rely nahi kar sakte"
"Toh matlab hamare paas koi zyada information nahi hai"
"Yep" Maine chaai khatam karte hue kaha.
"So whats next?"
"Not sure. I think filhal i will go find about this girl Maya. Aage ki jo information milni hai, usi se milegi. Aur doosra vo Bar jahan ke vo kaam kar rahi ho sakti thi, vahan jakar ek baar pata karunga"
"Tabiat allow karegi? Bukhar toh ab bhi hai tumhein"
"Nahi i think i will be fine. Abhi doctor ke paas bhi chala jaoonga. Kal se ghar par hi pada hoon. I need to get out"
Kuchh der baad hi Nisha office ke liye chali gayi. Main thodi der aur bed par ja leta aur phir uth kar bahar jaane ke liye taiyyar hone laga. Tabhi mere phone ki ghanti baji. Call Khan ki thi.
"Tu kab chupke se nikal gaya subah?" Mainephone utha kar puchha.
"Tu aaram se so raha tha toh main uth kar nikal gaya. Tujhe jagana theek nahi samjha.Achha sun, vo number ka pata kiya maine"
"And?"
"Ek naam aur address nikla hai. Message kar raha hoon tujhe"
"Cool" Mujhe ummeed ki ek kiran dikhai di"Thanks man"
"Tere liye kuchh bhi yaar. Aur koi sewa?"
"Filhal toh nahi" Maine haskar kaha.
Phone rakhne ke thodi der baad hi uska message aa gaya. Number kisi Sunil Chauhan ke naam par registered tha. Address Borivali ka tha.
_______________________
Apka hukum sar-aankho pe sir jiNice going.
Post more Immo bro
Hahahahahaha....Chanda mil Gaya Bhai...hahahaha....bahut hi funny updateChapter 7 - Sunil Chauhan
Nisha ke jaane ke baad maine us chemist kophone kiya jahan se maine apni dawai mangvayi thi. Use bataya ke mere bukhar mein koi farak nahi aaya tha. Pehle toh vo mujhe salah dene laga ke main jakar kisi Doctor se milun par phir mere kehne par bola ke vo ladke ke haath koi aur tablets bhej dega.
Main 2 din se nahaya nahi tha. Ek pal ke liye socha ke jakar naha loon par phir bukhar mein himmat nahi padi aur main munh haath dhokar taiyyar hone laga.
Mera is din ka plan tha ke main Chipku ke bataye Bar mein jakar us waitress ke baare mein pata karne ki koshish karunga aur phirshaam ko Saanwli ke hostel jakar Maya ke baare mein pata karunga. Par ab Khan ka phone aane ke baad maine apna plan badal diya tha.
Ab plan pehle Borivali jaane ka tha, vahan se Kalyan aur phir shaam tak Hostel.
Main joote pehen hi raha tha ke Chemist ke yahan se ek ladka aakar phir neeli peeli goliyan de gaya. Maine uske bataye anusar dawai li, dopahar aur shaam ke liye 2 doses jeb mein daali aur gaadi ki chaabhi utha karghar se nikla.
Jab aap beemar hon toh mijaz kaafi chidchida ho jata hai aur har baat aapko pareshan karti hai. Chhoti chhoti baatein jo aap aam taur par nazar andaz kar jaate hain tab bahut zyada akharti hain. Har baat gussa dilati hai. Har insaan pareshan karta hai aur agar koi aapse ek lafz zyada bol jaaye toh dil karta hai ke vahin thappad maar do.
Aisa hi kuchh mere saath bhi ho raha tha. Ghar se nikalte hi mera swagat gaadiyon keek lambi line ne kiya. Traffic cheenti ki chaalchal raha tha. Bukhar ki vajah se gaadi ka ACmujhse bardasht nahi ho raha tha isliye jab use off karke maine sheeshe neeche kiya toh mere intezaar mein sadak ki dhool, garam hawa aur tez dhoop thi.
Ek pal ko maine socha ke vaapis ghar chala jaoon par phir apna irada badal kar dheere dheere gaadi aage badhata raha.
Mere pichhe wali gaadi mein bethe insaan ko shayad bahut jaldi thi. Phanse hue trafficaur itne lambe jam mein bhi vo baar baar horn baja raha tha jis baat se mujhe sakht chid ho rahi thi. Kuchh der tak toh main bardasht karta raha par phir jab usne horn bajana band nahi kiya toh main gaadi ka darwaza khol kar bahar nikla.
Mere pichhe ek Tata Sumo thi.
"Kya takleef hai?" Main driver ki taraf dekh kar chillaya.
Mera bas itna hi kehna tha ke gaadi ke pichhle do darwaze khule aur 3 kam se kam 6 foot ke lambe chaude haiwan bahar aa khade hue.
"Haan, kay baat ho gi?" Ek hariyanvi andaz mein chilla kar bola.
"Kuchh nahi Bhai Sahab, sorry" Unki kad kaathi dekh kar main chup chap phir gaadi mein beth gaya. Aur uper se vo 3 the.
Kismet se next red light cross karte hi traffic khul gaya aur main kuchh der baad Borivali pahunch gaya.
Main Mumbai mein kaafi arse se tha par Borivali pehli baar aaya tha. Kuchh der tak main sadak par lage sign boards dekh kar Khan ke bataye address ka andaza lagane kikoshish karta raha par phir pareshan hokar sadak ke kinare khade ek sabzi wale ke paas gaadi roki.
Maine use address batakar puchha ke ye jagah kis taraf hai.
"Achhaaaaaa" Vo sar khujate hue aisi gehri soch mein pad gaya jaise maine pata nahi kaun si adbhut baat puchh li ho "Kaam hai kuchh udhar?"
Ye kaisa vaahiyat sawal tha?
"Nahi" Main chidte hue bola "Chidya-ghar dekhne jana hai vahan."
"Chidya-ghar?" Vo aur gehri soch mein pad gaya "Par udhar toh koi chidya-ghar nahi hai"
Isse pehle ke main kuchh bolta, vo apne saath khade doosre sabzi wale ki taraf dekhkar chillaya.
"Aey Kausik. Idhar koi chidya-ghar bhi hai kare?"
Doosre wale ne apni gardan aur haath ek saath inkaar mein hilaye.
"Aapko galti lagi hai koi. Idhar nahi na hai koi chidya-ghar"
"Aap mujhe please address bata dijiye" Maine apne gusse par kaabu karta hua bola.
Kuchh der aur sar khujane aur sochne ke baad usne mujhe aage ka rasta bata diya. Aage mujhe gaadi vahin sadak ke kinare chhodni padi aur paidal chalta Sunil Chauhan ke ghar tak pahuncha. Ghar kya bas ek chhota sa kamra hi tha.
Darwaze ki ghanti bajayi toh ek koi 60 saal ki aurat bahar aayi.
"Ka hai?" Usne is andaz mein puchha jaise maine use kisi bahut zaruri kaam mein disturb kar diya ho.
"Ji main Mr. Sunil Chauhan se milna chahta hoon" Maine badi vinamrata se jawab diya.
Usne mujhe ek nazar uper se neeche tak dekha. Meri aadat hai ke main jab kisi case ke silsile mein puchh taachh karne nikalta hoon toh usually ek chhoti si notebook aur pen saath rakhta hoon. Us waqt bhi mere haath mein meri notebook aur pen tha.
"Phir aa gaye chanda maangne?"
"Ji?" Maine hairani se puchha.
"Koi chanda vanda nahi milega. Jao yahan se" Vo phir chilla kar boli.
"Ji main chanda nahi maang raha hoon"
"Toh ye chande ki raseed kyun laaye ho?" Uska ishara mere haath mein pakdi notebook ki taraf tha.
"ye chande ki raseed nahi hai "
"toh phir chanda kyu maang rahe ho?"
"maine kab chanda maanga?"
"toh ye raseed dikha ke aur kya maang rahe ho?"
"ji mai kuch nahi maang raha" mai baukhlata hua bola .
"toh phir yahan kyu aaye ho?"
"sunil chauhan se milne"
"wo chanda nahi dete"
"par mai chanda nahi maang raha"
"toh phir ye kyu kaha ke chande wale ho"
"maine kab kaha?"
"toh ye chande ki raseed kyu laaye ho"
"ye chande ki raseed nahi hai"
"bina raseed ke chanda maang rahe ho"
"nahi aisi baat nahi hai"
"toh jaao pehle jakar raseed leke aao"
"
"par mujhe chanda chahiye hi nahi"
"toh raseed kis cheez ki laani thi?"
"chande ki"
"par abhi toh tum bole ki tum chande wale nahi ho?"
"haan nahi hun"
"toh phir chanda kyu maang rahe ho?"
mujhe khade khade chakkar aane lage.
"sunil chauhan ko marke 4 mahine ho gaye. wo nahi milega abhi" mere pichhe khade ek aadmi ne chilla ke kaha. shayad use meri haalat par taras aa gaya tha . " usse milne ke waste uper jaana padega aur thodi der aur yahan khade rahe toh ye budhiya bhej bhi degi upar"
Chapter 7 - Sunil Chauhan

To jaa soja, itni raat gaye kyun jaag raha hai tu bhai?Meri bhi halaat update 7 me jaise jasus ki ho gayi hai tabiyat bahut kharaab hoi gayi hai
Ye Mera is story Ka fvrt update hai.Hahahahahaha....Chanda mil Gaya Bhai...hahahaha....bahut hi funny update
Same mere sath bhi hua tha aur jitni Baar bhi ye update padh lo update Ka Maza jara bhi Kam nhi hota .Wow what a funnu update maza agaya. Very well written yaar.
Rassed, chanda, chanda rassed.....
Tumne sahi kaha tha bhai hanste hanste peth mein bal agaye