"Usne tujhe kyun phone kiya? Aur number kahan se aaya tera uske paas?" Kehte hue maine ek cigarette jalayi.
"Arrey aapne kaha tha na mujhe ke main uske ghar phone karke uska Puna ka address loon to kiya tha maine uske ghar phone. By chance us waqt ghar par koi nahi tha, naukrani ne phone uthaya. Maine kaha ke main Maya ki dost bol rahi hoon aur apna number chhod diya tha ke jab uske maan baap aayen toh vaapis aakar mujhe phone kar lein. Kismat se maan baap ki jagah khud Maya ka hi phone aa gaya. Uskegharwalo ne mujhe phone karne ki bajay khud use hi phone karke mera number thama diya"
"Ok great. Kya boli vo?"
"Usne phone kiya toh maine jhooth bol diyake main asal mein Saanwli ki behen ki dost hoon aur kyunki Saanwli itne din se gayab hai isliye ham log use dhoondh rahe hain"
"Jhooth kyun?"
"Ab sidha sidha ye toh nahi bol sakti thi na ke main ek jasoos ki secretary hoon, use mamla kuchh gadbad lag sakta tha. Filhal toh behen ki dost hoon, ham log dhoondh rahe hain, ye sunke vo bhi thoda personal level par baat karne lagi thi"
"Awesome. Samajhdaar hoti ja rahi hai tu. Phir kya boli vo?"
"Asal mein maine zyada puchha hi nahi. Mujhe samajh hi nahi aaya ke kya puchhun.Mujhe laga ke aap hi baat karo toh behtar hai isliye maine usse keh diya ke agar mainPuna aakar usse milna chahun toh kya vo mil sakegi. Vo maan gayi. Address de diya usne apna"
"Yaar baat toh teri theek hai par main is waqt kaise ja sakta hoon. Main toh yahan shakal chhupaye betha hoon"
"Ye na actually mere dimag mein us waqt baat aayi hi nahi. Phone rakh kar mujhe yaad aaya ke aap khud kaisi museebat mein pade hue ho aur filhal Saanwli ko dhoondhna baad ki baat hai, filhal toh apni jaan bachani hai"
"Ek baat sach kahun toh mujhe poora yakeen hai ke ye dono baatein aapas mein judi hui hain" Maine sochte hue kaha.
"Matlab?"
"Matlab ye meri jaan ke ise meri hunch kehlo, ya gut feeling ya mehez veham par jaane kyun mujhe lagta hai ke Geentanjali isliye mari kyunki vo mujhe kuchh Saanwli ke baare mein batana chahti thi"
"Aisa lagne ki koi khaas vajah?"
"Koi khaas vajah nahi hai, filhal toh sirf andhere mein teer chala raha hoon aur sach maan toh ye Saanwli ke case ko lekar shuru se ab tak saare teer andhere mein hichalaye hain. Ye ladki toh jaise kahin thi hi nahi. Aisa lagta hai jaise kisi bhoot ko dhoondhta phir raha hoon"
"Ye toh hai" Nisha meri baat se sehmat hote hue boli.
"Aisa bilkul mumkin hai ke Geetanjali apni kisi dushmani ke chalte mari aur meri soch mehaz mera veham hai aur mera andaza galat par is baat ko nazar andaaz nahi kiya ja sakta ke vo mujhe call aur message karne ke mehaz 2 ghante ke andar maari gayi. Us jaisi aurat ko marna aasan kaam nahi tha aur aaj tak koi uska baan baanka nahi kar paya tha. Uski pahunch itni uper tak thi ke log darte the usse par phir bhi mere involve hote hi kisi ko use marna pada"
"Baat toh sahi hai"
"Aur jab main uske ghar par pahuncha toh kamre ki har cheez saleeke se rakhi hui thi, sharab ke 2 glass the, cigarettes ke butt ash tray mein the, koi cheez ulat pulat nahi thi toh saaf si baat hai ke vo qatil ko jaanti thi. Usne apni marzi se andar aane diya aurmauka milne par us insaan ne uski peeth mein chhura ghonp diya. Koi jaddo-jehad nahi hui, koi hatha paayi nahi hui."
"Aur aisa bhi ho sakta hai ke vo jo koi bhi tha usne bandook ki nok par ya maybe kisi aur tarike se use is baat ke liye majboor kiya ke vo aapko call ya message karke bulaye taaki jab aap vahan aao toh uski laash padi mile aur khoon ke ilzaam mein aapko phasaya ja sake jaisa ke hua bhi."
Uski baat 100 taka sahi thi. Hairat ki baat thi ke ye khyaal mere dimaag mein ab tak nahi aaya tha.
"Baat to tu sahi keh rahi hai par 2 cheezen hain"
"Kya?"
"Ek toh ye ke main vahan jakar, apni saari bevakoofiyan karke shanti se bahar nikal aaya. Kisi ne roka nahi, kisi ne toka nahi. Doosri ye ke main apne akalmand kaarnamo ki vajah se khud phasa hoon. Na main vo saboot chhodta aur na main phasta toh aisa lagta nahi ke kisi ne mujhe vahan phasane ke liye bulaya tha"
"Ya ye bhi ho sakta hai ke vo insaan vahan us waqt maujood tha aur usne dekh liya tha ke aapne khud apni dhoti mein itne chhed kar liye hain ke use kuchh karne ki zaroorat hi mehsoos nahi hui"
"A very valid point" Maine sochte hue kaha aur mujhe dhyaan aaya ke jab main Geetanjali ke ghar pahuncha tha toh darwaze mein us waqt bhi vo Pepsi ki bottle phasi hui thi yaani ye mumkin hai kevo insaan tab bhi vahin maujood tha. Agar chala gaya hota toh vo bottle bhi shayad hata kar jata.
"Khair" Maine kuchh pal chup rehne ke baad kaha "In sab baaton ke chalte hi mujhe lagta hai ke is murder ka bhi Saanwli ke case se ho na ho kuchh toh lena dena hai"
"Toh matlab aap chhup kar bethne ke bajaay Saanwli ki talash jaari rakhoge?"
"Mera dimaag mujhe aisa na karne ki salahde raha hai par option nahi hai mere paas. Yahan chhup kar kab tak betha rahunga. Kuchh na kuchh toh haath paon maarne padenge"
"Toh batao kya karna hai phir?"
"Tu ja sakti hai Maya se milne?"
"Haan ja sakti hoon. Kal hi ja sakti hoon"
"To ek kaam kar. Tu kal Puna ja aur dekh kya information nikal sakti hai Maya se aur phir mujhe phone kar"
"Theek hai. Kal niklungi subah"
"Ya ek kaam kar" Maine fauran apna irada badla "Tera jana theek nahi rahega. Mujhe uska address bata"
"Aap khud jaoge?"
"Haan"
"Dimag kharab hua hai? Mumbai ki har sadak par police ka pehra hoga, aapko dhoond rahe honge. Khaas taur se Mumbai se bahar jaane walo raasto par"
"I know par tu address toh bata. Main sambhal loonga"
Nisha se baat karne ke baad main thodi der beth kar sochne laga. Ye sach thi ke mera dimag mujhe is waqt aisa kuchh bhi na karne ki hidayat de raha tha jiske liye mujhe Khan ne mana kiya tha par ye bhi utna hi sach tha ke is tarah chhup kar choron ki tarah bethna mujhe manzoor nahi tha. Main ek akele Khan ke bharose hi nahi betha reh sakta tha, Kuchh na kuchh toh khud bhi karna hi tha.
______________________________
To kia ab Adi khud jaega Maya se milne? Fanssega nahin phir se ye.
Chalo teenon updates kamaal k hein. Maza aya yaar. Magar aaj update nahin kiyan tumne Immo bro?