The more i thought about it and the more itmade sense.
1. Saanwli sharafat ke yahan kaam karti thi.
2. Sharafat Raghuvanshi ke liye kaam karta hai.
3. Raghuvanshi ka Sharafat ke yahan aana jana tha.
4. And the most important of all which i didnt think about until now, Sharafat ne mujhe Saanwli ko dhoondhne se mana kiya tha. Use kya farak padta hai ke vo mile ya na mile, vo uske Bar mein kaam karne wali ek mamuli si ladki thi. Nahi, aisa vo nahi, koi aur chahta hai ke main Saanwli ko talash karna band karun. Mujhe aakar dhamkane ka kaam usne kisi aur ke kehne par kiya tha, Raghuvanshi ke.
Toh in short, ek hi aadmi tha jo ye confirm kar sakta tha ke Saanwli ka Raghu ke saathkuchh toh len den tha. Aur Raghu ko lekar har baat ek hi nateeje par aakar ruk jaati thi ke vo saamne nahi aata aur koi use nahijanta. Bahut mumkin tha ke Sharafat ke paas isse badhkar koi aur information ho, aakhir vo use ke liye toh kaam karta tha.
Ab sawal ye uthta tha ke Billi ki gale mein ghanti baandhi kaisi jaaye? Maine ye toh decide kar liya tha ke kaun si billi ke gale mein ghanti baandhni hai par sochna ab yetha ke kaise?
Ek aur baat jo mujhe kayi din se parishaan kar rahi thi vo ye ke kis tarah se ye case jaise mere aas paas hi sulajh raha tha. Co-incidence bhi ho sakta hai par uske chance bahut kam the. Mumbai jaise bade shehar mein main ek ladki ko dhoondhne nikla aur us ladki ke nishan mujhe har us jagah mile jisse mera lena dena tha. Aisa malum ho raha tha jaise mere ghar ke pichhe hi kahin dhool mein dabi hua ek kagaz ka tukda tha, maine thodi dhool udaayi toh numaya ho gaya.
Bahar-haal, main apni soch ke dariya se bahar nikla aur is paheli ki kadiyan jodne ki taiyyari mein jut gaya.
First stop, vo office jahan Saanwli kaam karti thi.
Vo ek chhoti si hardware factory thi jahan nails, screws and bolts banaye jaate the. Makeup mere chehre par ab bhi tha. Aakhri baar Maya ne andaza laga kar kaha tha ke main ek policewala hoon. Is baar maine poori koshish ki thi ke main saade kapdo mein ek policewala hi lagun. Chehre par moti moonch jo neeche ke aur aati hui meri thodi tak jaati thi, kaan mein moti si baali, gale mein moti si chain, Tucked out shirt aur ek baar phir se shave kiya gaya poori taraf se saaf sar.
"Can i help you sir?" Reception par bethi ladki ne muksura kar mujhse puchha.
Main plan bana kar aaya tha. Ye ladki mera mouth-piece banne wali thi. Isi ne sabko batana tha ke main ek policewala hoon taaki iske baad koi meri ID ko question na kare.
"Inspector Khan" Maine apna introduction karaya "Mumbai police"
Jaisa ke maine socha tha, reaction vaise hi hua. Vo ek koi mushkil se 22-23 saal ki middle class ladki thi. Policewala sunte hi jaisa ke hamare desh mein aksar kaam karta tha, uske aadhe dimag par darr aur jhijhak ne kabza kar liya. Uper se kuchh mera huliya us waqt aisa tha ke policewalanahi toh gunda toh main zaroor lag raha tha.
"Ji kahiye"
"Factory ke maalik se milna hai" Maine aawaz bhaari karte hue poore rob se kaha.
"Ji vo toh is waqt yahan nahi hain"
"Managar kaun hai yahan ka?" Main chaaron taraf dekhte hue is tarah se puchh raha tha jaise ye jagah mujhe dahej mein mili ho.
"Mr. Rao" Ladki ne bataya.
"Bulake lao" Andaaz aisa tha jaise koi mereghar ke naukar ko bulana ho.
Mere hukum ko fauran baja laya gaya. Ladki fauran office ke andar daakhil hui auruske saath mein ek 50-55 saal ka aadmi bahar aaya.
"Inspector Khan" Maine seena chauda karte hue jhooth bola "Baat karni hai kuchhaapse"
"Ji andar aaiye" Usne ek office ki taraf ishara kiya.
Kuchh der baad main uske air conditioned office mein betha Pepsi pi raha tha.
"Kuchh khane ke liye lenge sir?" Manager Rao ne apni chair par bethte hue kaha. Shareef aadmi toh jaise uske poore chehre par bold letter mein likha hua tha, underline karke.
"Nahi thanks. Mujhe ek ladki ke baare meinpata karna hai jo shayad aapne yahan kaam karti thi"
"Ji zaroor" Usne fauran co-operate kiya.
"saanwli Mitra" Maine naam bataya.
"Saanwli Mitraaaaaaa " Vo soch mein pad gaya.
"Aap kabse yahan manager hain?"
"Ji main toh yahan naya hoon, ek mahina hihua hai" Usne bataya.
"Toh aapko nahi pata hoga. Usse pehle kaam karti thi vo yahan"
"Ek minute" Kehte hue usne apne computer par kuchh check karna shuru kiya.
"Yes she is here" Kehte hue usne apne computer ka monitor meri taraf ghuma diya.
Vo unka employee data-base tha aur screen par Saanwli ka profile khula hua tha.Maine dekhna shuru kiya par vahan sirf vahi details thi jo ek company aam taur parapne employees ke baare mein rakhti hai. Uska naam, phone, pata, educational qualification vagerah vagerah. Zyadatar details aisi thi jo main already janta tha ya jo mere kaam ki nahi thi.
"Ye toh mujhe pata hai" Maine monitor phir uski taraf mod diya "I want to know the details ke jab vo yahan kaam karti thi toh uske dost vagerah kaun the, kiske saath uthna bethna tha, uska behaviour kaisa tha vagerah"
"I am sorry but is mamle mein main aapki koi madad nahi kar paoonga. Main us waqt yahan tha hi nahi"
"Koi purana employee jo pichhle saal dedh saal se yahan kaam karta ho?"
"Bahut hain par actually yahan par staff do hisso mein bata hua hai. Factory ke workers aur hamara staff. Yahan is building mein sirf hamara front staff bethta hai. Factory shehar ke doosre hisse mein hai"
"Matlab yahan jo aate hain unka factory walo se koi lena dena nahi"
"Nahi aur factory mein toh sab labour class log hi aate hain. Jo accouting vagerah dekhte hain vo yahan bethte hain"
"Kitne log hain?"
"Ji sirf 8. Ek employee hai jo pichhle 3 saal se hamare saath hai. Shayad vo kuchh batapaaye."
______________________________