Chapter 3 - Policewala
Agle din subah uthkar maine Nisha ko phone kiya toh usne utha liya.
"Kal kahan thi sara din? Kitna phone kiya maine tujhe. Aur office kyun band tha?" Maine uske call receive karte hi sawalon ki jhadi laga di.
"Kitna phone kiya tha maine aapko kal subah ye batane ke liye ke office nahi aa paoongi. Par aap toh aise ghode bech kar sote ho ke murde bhi sharma jaayen" Usne jawab diya.
"Achha maine phone nahi uthaya toh tune bhi apna phone band kar diya?"
"Office aa rahe ho na aaj. Vahin milo, poori baat batati hoon"
"Theek hai. Main thoda der se aaoonga" Maine bed se uthte hue kaha.
"Ismein kaun si nayi baat hai" Usne kaha aur haste hue phone rakh diya.
Kuchh der baad main taiyyar hokar ghar se nikla aur sidha Chembur police station pahuncha.
Vo mera bachpan ka dost tha, mera langotiya yaar. Bachpan mein ham ek hi school gaye, ek hi colony mein rahe, saath khele aur saath saath hi apni professional life shuru ki. Usne Mumbai police join kar li aur maine apni agency khol li.
Inspector Munawwar Khan, short mein Munna, Chembur police station mein bataur Police Inspector tainaat tha. Chunki mera kaam aisa tha ke mera wasta aksar policewalo se padta tha toh vo mera bachpan ka dost hone ke naate hamesha mere kaam aata tha.
"Vo aaye hain mehfil mein chandi lekar,
Ke Roshni mein nahane ki raat aayi hai "
Mujhe aata dekh vo uth khada hua aur apnebaahen phailata hua meri taraf badha.
Uska sunaya sher sunkar main chaunk pada.
"Ye kahan suna tune?" Maine use gale lagate hue puchha. Kal raat yahi lines mujhedekh kar Bijli ne bhi kahi thi.
"Jagjit Singh ki bahut famous ghazal hai, kyun?" Vo ghoom kar vaapis table ke doosri aur apni seat par ja betha aur main uske saamne beth gaya.
"Nahi aise hi. Kal bhi mujhe dekh kar kisi ne same lines kahin thi" Maine apna cigarette ka packet nikala.
"Pehli baat toh ye thi ke cigarette agar tunejalayi toh baaki ka poora din yahin jail mein bitayega aur doosra ye ke kaun thi vo?" Usne muskurate hue puchha.
"Pehli baat toh ye ke Jail jaane ko main taiyyar hoon basharte ke andar tu cigarettepine de" Maine usi ke andaaz mein uski baat ka jawab diya "Aur doosra ye ke tujhe kaise pata ke vo ladki hi thi, ladka bhi toh hosakta hai"
"Dekh unless tu haal filhal mein Gay ban gaya ho, mujhe poora yakeen hai ke koi ladki hi hogi pakka. Aur agar tu sahi mein Gay ho gaya hai toh bhai sahab darwaza udhar hai, utho aur chalte bano. Mujhe apni izzat pyaari hai" Uski baat par ham dono hi dil khol kar hase.
"Nahi fikar mat kar teri izzat abhi salamat hai " Maine kaha.
"Kya lega. chaai mangaoon?" Usne puchha.
"Nahi rehne de. Nashta ghar se karke hi nikla tha. Ek kaam se aaya hoon"
"Haan bol na meri jaan, tere liye jaan haazirhai"
Vo bachpan se hi kaafi dabang mijaaz ka raha tha. Hamesha apni akad mein rehta tha aur apne dil ki hi karta tha. Kisi ko faaltubolne nahi deta tha aur agar koi bol jaaye toh pal bhar mein haath chhod deta tha. Aaye din school aur college mein uske jhagde hote rehte tha aur mahine mein kam se kam ek baar toh uske maan baap kouski shikayaten sunne ke liye school aana hipadta tha.
Aur shayad uska ye nature hi uske police mein bharti hone ki sabse badi vajah tha. Vo hamesha apni hi chalane ki koshish kartatha aur vardi pehenne ke baad toh use aisa karne ka sarkari license mil gaya tha.
Police force join karne ke baad vo theek vaisa hi policewala bana jaisa ke hamari hindi films mein dikhaya jata hai. Ek bahut hi kaaiyyan kism ka insaan jise Uper ki kamai se use koi shikayat nahi thi, rishwat lene ko hamesha taiyyar rehta tha, Had darje ka be-imaan, 2 second mein apni baatse palat jaaye aur munh ke bajaay haath se zyada baat kare.
Par in sabse alag mere liye vo aaj bhi vahi Munna tha jo mere bachpan ka dost tha. Mere liye kuchh bhi karne ko hamesha taiyyar rehne wala mera vo dost jo mere liye mere sage bhai se kam nahi tha aur yahi darja mera bhi uski nazar mein tha. Bahar ki duniya ke liye bhale vo kitna hi bada kamina aur be-imaan kyun na tha, mujhe usne kabhi kisi baat ke liye inkaar nahi kiya aur jo kaha, vo hamesha kiya.
"Abhi haal filhal mein koi ladki ka case aaya hai kya kahin? Koi gumshuda, koi rape vagerah, kahin kisi ladki ki koi laash baramad hui ho ya kisi ladki ne koi complaint file ki ho?" Maine puchha.
_________________________