• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller DARK GIRL (Completed)

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
Saloni ke jaane ke baad maine kayi baar Nisha ko phone karne ki koshi ki, ye jaanne ke liye ke office band kyun tha par uska phone mujhe sara din not reachable hi mila.Shaam ko main khud office pahuncha toh Saloni bahar khadi mili. Aur ummeed ke khilaff, mujhe mera office ab bhi band mila.
"I am sorry main zara traffic mein phans gaya tha isliye thoda late ho gaya" Main usedekhte hue muskuraya aur jeb se office ki chaabhi nikali.
"Nahi its ok" Vo bhi jawab mein muskurayi"Par i thought aapne kaha tha ki aapki ek assistant bhi hai jo office sambhalti hai?"
Office ka darwaza khol kar ham log andar aaye.
"Ji haan hai toh par pata nahi aaj kahan reh gayi. Usually aisa hota nahi hai ke office band ho. Ya toh vo hoti hai aur agar vo chhutti par ho toh main office mein hota hoon. Par aaj ham dono hi gayab the"
Kehkar main halke se hasa aur office ki sab lights on karke ek chair par Saloni ko bethneka ishara kiya.
"You know i cant thank you enough for taking up my case. Police par mujhe vaise himujhe bilkul bharosa nahi" Vo table ke doosri taraf mere saamne bethkar boli.
"Its no problem, mera toh kaam hi yahi hai"Kehte hue maine A.C on kiya "But before wedo that, i think its better than we run through a few things first and then you can make up your mind"
"Yeah sure" Usne apne purse table par ek side kiya aur khisak kar apne dono haath table par rakhti hui thodi aage ko ho gayi. Vo ab bhi unhi kapdo mein jin mein vo subah mere ghar aayi thi.
"Good, first things first. kuchh baatein shurumein hi clear ho jaayen toh better rehta hai"
"I agree" Vo muskurate hue boli.
"Dekhiye main koi policewala nahi hoon aurna hi James Bond ya Sherlock Holmes. Main sirf ek aisa banda hoon jisne bachpan mein bahut saari jaasoosi kahaniyan padh li aur uske nateeja ye nikla ke maine isi ko apna profession chun liya."
"I guess you are lucky in a way ke aapke apne shauk ko hi apna kaam bana liya"
"Yeah i guess you can say that but again, main jasoos hoon nahi. Sirf khoye hue logonko dhoondhne ki koshish karta hoon. Aur koshish shabd par maine isliye zor diya kyunki 100% success ki guarantee main nahi de sakta. Main koshish karunga par aapki behen ko dhoondh hi loonga, is baat ki guarantee main nahi de sakta. I hope we are clear on that aspect"
"Crystal" Usne jawab diya.
"Doosri baat. Agar main aapki behen ko dhoondh bhi loon, toh vo aapke liye ek khush khabri hi hogi, is baat ki guarantee bhi main nahi de sakta" Maine apne drawermein rakhe cigarette packet ko nikalte hue kaha.
"Main samjhi nahi"
"Dekhiye aapki behen ek mahine se lapata hai. Kahan hai, kaisi hai, uspar kya guzri, what she went through, ye koi nahi janta. Ye bhi ho sakta hai ke ....." Main keh hi raha tha ke usne meri baat kaat di.
"Ke vo mar chuki ho, zinda hi na ho aur aapko uski jagah uski maut ki khabar ya uski laash mile"
"Right" Maine kaha.
"Understood" Usne pehle ki tarah hi jawab diya par ab vo muskura nahi rahi thi.
"Ok. That brings us to the third point. My fee. Main ek standard per week base par charge karta hoon aur meri fees ke alawa iscase mein jitna kharcha aur hoga, vo sab aapko pay karna hoga"
"Jaise ke?"
"Jaise ke kai cases mujhe ek shehar se doosre shehar le jaate hain toh un cases mein flight tickets, hotel bills etc etc. Kai baar logon ko pay off karna padta hai, rishwat you know. Ye sab kharche."
"All right" Main ummeed kar raha tha ke vo shayad is baat par thoda rukegi, sochegi par usne kuchh nahi kaha aur meri haan mein haan mila di.
"Good, then that birngs us to the final point and thats my fee and paper work" Kehte hue maine ek drawer se ek file nikali.
Agle 15 minute ham kaagzi karyavahi mein lage rahe. Maine usse kuchh forms sign karvaye aur uski behen ki ek passpot size tasveer lekar apne purse mein rakh li. Meri fees sun kar vo ek pal ke liye thodi jhijhki thipar phir usne apne purse se ek cheque booknikal kar meri kahi gayi amount usmein bhar di.
Uske jaane ke baad maine ek cigarette nikali aur case ke baare mein betha sochne laga. Amooman taur par main ek waqt par 2 se zyada cases handle nahi karta magar iswaqt mere paas vaise hi koi client nahi tha balki pichhle ek mahine se nahi tha toh main apna poora waqt is ek case ko de sakta tha.
Nisha ka number maine ek baar phir milayapar cell not reachable hi mila. Maine office se bahar nikal kar gate lock kiya aur apni purani Maruti 800 mein beth kar paas hi apne pasand ke ek pub ki aur chal pada.
______________________
nice update ...saloni ne saari sharthe maan li 🤔..par ye nisha subah se office nahi aayi aur naa hi uska phone lag raha hai aisa lagta hai uske saath kuch bura hua ho shayad 🤔🤔..
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
Chapter 2 - Sharafat Bar

Jab main pehli baar Sharafat Bar aaya toh naam dekh kar meri hasi chhut gayi thi.
Ye Mumbai ka ek typical bar tha jahan Auto Driver se lekar bigde raees-zaade tak sab milte the. Andar ghuste hi saamne ek hall mein tables aur chairs lagi hui thi jinpar bethe log sharab pi rahe hote the. Hall ke beech mein ek stage type gol sa platform bana hua tha jispar kuchh ladkiyan dance karti milti thi. Dance kya karti thi bas ek kamar ke kaafi neeche bandha hua lehenga aur bade gale ki tight si choli pehni hue apne jism ko aise hi hilati rehti thi. Shayad vo bhi jaanti thi ke yahan unka dance koi nahi dekh raha, bas unka jism hi dekh rahe hain.
Hall ke ek taraf Bar bana hua tha jahan se sharab serve ki jaati thi. Jo bhi order hota, ek ladki jisne ki dance karne wali ladkiyon ke jaise hi kapde pehne hote the, tray mein sharab lekar table tak pahunchati.
Pure hall mein aur khaas taur se dance floorpe paas kuchh ladke ghoomte rehte the. Kehne ko vo sab bouncers the par ek bouncer jaisi unmein koi baat nahi hoti thi. Kuchh toh itne duble patle ke hawa ke jhokeke saath ud jaane ka khatra ho jaaye. Par Hall mein maujood har insaan ko pata hota tha ke unke paas ek aisi cheez hai jo unhein sabse zyada taaqatwar bana deti hai aur vocheez thi unki kamar mein laga hua tamancha, pistol.
Ye tha saamne ka nazara. In sabke pichhe Sharafat bar ke pehle maale par jua ghar tha jahan log bethe jua khelta karte the.
Aur neeche basement mein hota tha jism-faroshi ka dhandha. Uper jo ladkiyan choli aur lehenga pehne naachti thi vo thode zyada paise lekar neeche basement mein bane chhote cabin type kamro mein poore kapde utar kar naachti thi.
Toh in short, yahan koi kaam aisa nahi hota tha jise aam bhasha mein sharafat ka kaamkaha jaaye. Par phir bhi Bar ka naam Sharafat Bar tha. Pehle mujhe laga tha ke ye naam mazak mein rakha gaya hai par phir baad mein pata chala ke Bar ke maalik ka naam Sharafat Bhai tha aur bar ka naam uske naam par rakha gaya tha.
Ab sawal ye paida hota hai ke main yahan kya kar raha tha?
Iski 2 vajah thi. Pehli toh ye ke mujhe is waqt ek drink ke bahut zaroorat mehsoos ho rahi thi aur ye Bar mere office se thodi hidoor tha.
Doosri ye ke mujhe Chipku se milna tha aur vo aksar shaam ko yahin milta tha. Bar mein bouncer bankar ghoom rahe ladkon mein ek vo bhi hota tha.
Chipku ka naam Chipku kaise pada ye khud uske siwa koi nahi janta. Har koi bas use isi naam se janta hai. Ek do baar maine puchhne ki koshish ki toh vo taal gaya aur phir maine kabhi puchha bhi nahi. Vo Mumbai ka ek un hazaron tapori ladkon mein se tha jinka agla pichhla, maan baap, kunba khandan koi nahi janta. Vo yahin Mumbai ki sadkon aur slums mein pale badhe aur inki ko apni zindagi bana liya.
________________________
nice update ..sharafat bar me sabkuch ho raha hai
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
Kuchh saal pehle ek case ke dauran main usse takra gaya tha aur usne jo mujhe information di vo mere bahut kaam aayi. Uske baad main aksar usse contact karne laga. Uske Mumbai Underworld mein kaafi gehre contacts the aur na jaane kaise par uske paas us kaali duniya ke baare mein bahut information hoti thi. Aur mera kaam aisa tha ke kai baar mujhe us information kizaroorat padti thi.
Main Bar mein dakhil hokar ek table par ja betha aur aas paas nazar daudayi. Hall meinkhade ladkon mein mujhe Chipku kahin bhi nazar nahi aaya. Maine apna phone nikal kar uska number milaya.
"Kahan hai?" Usne phone uthaya toh maine puchha.
"Main idhar apni kholi mein hai Adi Bhai" Vo pehle mujhe sahab aur phir pehchan badhne ke baad Bhai kehkar bulane laga tha.
"Aaj Bar nahi aaya?"
"Nahi thoda tabiat kharab tha isliye udhar se thoda jalti kalti ho gaya. Batao"
"Kya ho gaya? Sab theek?" Usne tabiat kharab batayi toh maine puchha.
"Haan aisa kuchh nahi hai. Pata nahi sala kya kha liya ke subah se sandas ke chakkar laga raha hai main. Isliye socha ke ghar aakar sandas mein hi kursi laga kar beth jaoon" Usne haste hue kaha.
"Mil sakta hai abhi?" Main uski baat sunkar has pada.
"Haan bolo kidhar aane ka hai" Usne aaj takkabhi mujhe kisi baat ke liye inkaar nahi kiya tha.
"Bar mein hi aa ja. Main tujhse milne yahin aaya tha. Yahin wait karta hoon tera"
"Theek hai. 15 minute do. Apun pahunchta hai udhar" Kehkar usne phone rakh diya.
Maine Bar ke pichhe khade ladke ko ek Beer laane ka ishara kiya. Thodi hi der baad ek ladki aakar meri table par ek Beer ki bottle, ek glass aur kuchh namkeen rakh gayi. Maine jeb se cigarette ka packet nikal kar ek sulgayi.
Wo aaj aaye hain mehfil mein chaandni lekar
Ke roshni mein nahaane ki raat aayi hai
Mere pichhe se ek ladki ki aawaz aayi aur main bina palte hi jaan gaya ke vo kaun hai.Vo mere pichhe aakar ruki aur mere baalon mein haath ghumati saamne rakhi ek chair par aakar beth gayi.
"Bijli" Maine cigarette ka kash lagate hue uski taraf dekha.
_______________________
nice update.
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
"Aditya Sharma" Vo muskurati hue boli"Aapki tashreef yahan kaise? Aap toh us din bade josh mein keh rahe the ke na ye jagah aapke layak hai aur na yahan ke log"
"Main aaj bhi yahi kehta hoon" Maine uski baat ka jawab diya.
"Toh yahan ham shareefon ki duniya mein kya kar rahe hain aap?" Usne meri table parrakhe cigarette ke packet se ek cigarette nikali "Kya main ye kahun ke aapka bhi levelgir kar hamare barabar ho gaya hai ya aap ham sabka level apne barabar karna chahtehain?"
"Na toh mera level kabhi itna gir sakta hai" Maine lighter jalaya aur uske munh mein lagi cigarette ko aag dikhayi "Aur na yahan ke logon ka level kabhi itna uper aa sakta hai"
"Bahut ghamand hai tumhein apne uper, hai na?" Usne cigarette ka dhuan mere munh par chhodte hue kaha.
"Kya karun. Ab khuda ne mujhe banaya hi is qadar qabil-e-tareef hai"
"Tumhari is baat se toh main bhi sehmat hoon" Usne aankh maari "Vaise aaj yahan kaise?"
"Kyun nahi aa sakta? Ye jagah tumhari hai?"
"Aji janab ye jagah agar hamari hoti toh kabki aapke naam ho gayi hoti. Bilkul hamari tarah" Usne meri Beer ki bottle uthakar apne munh se lagayi aur ek lambhi si ghoont maari.
"Tum jaisi agar kisi ek ke naam hone lagi toh ye Bazaar kaise chalega?" Maine uski baat ka jawab ek taane se diya.
"Aur agar bazaar band ho gaya toh tum mardon ka kaam kaise chalega, hai na?" Usne palat kar taana mara.
"Munh bahut bada hai tumhara" Maine ek cigarette se doosri jalayi.
"Tumhare dil se toh bada hi hai" Usne usi hazir-jawabi ke saath jawab diya.
"Haan jaise tum toh mere dil mein ghus kar dekh kar aayi ho na ke mera dil bada hai ya chhota"
"Vahi toh koshish kar rahi hoon Sharma Sahab. Kab se khatkhata rahi hoon par aap hain ke apne dil ka darwaza kholte hi nahi"
"Achha?" Main mazak banate hue hasa"Kyun tumhare baaki chahne wale kahan gaye?"
"Sabko chalta kar diya. Ab toh ham apne dil ka darwaza sirf aapke liye khole bethe hain.Magar aap janab na apne dil mein hamein aane dete hain aur na khud hamare darwaze tak aate hain"
"Tum jaisi ladkiyan sirf ek hi darwaza khol sakti hain, tumhari taango ke beech ka darwaza. Bas" Maine daant peeste hue kaha.
Meri baat se yaqeenan use bahut takleef pahunchi. Usne cigarette saamne rakhi ash tray mein bujhayi aur chup chap bina kuchh kahe uthkar chali gayi.
Vo kaun thi, kahan se thi main nahi jaanta tha. Uska asli naam Bijli hi tha ya kuchh aur, nahi janta. Pehle main takreeban roz hi shaam ko office ke baad yahan aakar ek do drinks lagata aur phir ghar jaata tha. Sharab main sirf ek had tak hi peeta tha kyunki zyada mujhse sambhalti nahi thi. Ek shaam nasha kuchh zyada hi ho gaya. Mera mood bahut kharab tha aur sharab ka daur ek baar jo chala toh ruka hi nahi. Maine bethe bethe itni pi li ke apna hi hosh nahi raha aur phir jab aankh khuli toh main neeche basement ke ek cabin mein Bijli ki bagal mein soya hua tha.
Kya hua kya nahi mujhe yaad nahi tha par vo meri zindagi mein pehli baar tha ke mainek call girl ke saath soya tha jo ki meri usoolke bilkul khilaff tha. Mujhe apne aap se itni ghinn aayi ke uske baad maine sharab pina takreeban band hi kar diya aur nateejatan mera yahan aana bhi band sa hi ho gaya. Usne baad jab bhi aaya kaam ke silsile meinhi aaya aur phir vo jab bhi milti, mujhse yun hi aashiqana andaz mein baatein karti.
Zindagi ne jo ek baat mujhe sikhayi vo ye thi ke insaan ko hamesha do cheezon par kaabu rakhna chahiye. Ek apna gussa aur doosra apni zubaan aur main aisa karta bhi tha. Par kabhi kabhi zubaan kaabu se bahar ho jaati thi jaise ke abhi thodi der pehle Bijlike saath hua. Vo uthkar chali gayi toh mujhe apni kahi baat par afsos hone laga. Maine Bar mein apni nazar idhar udhar daudayi ke use dhoondh kar usse maafi maang sakun par vo kahin dikhi hi nahi.
_______________________
nice update
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
"Aur sun ... " Maine kehna shuru hi kiya tha ke Chipku ne hi meri baat poori kar di.
"Haan malum hai bhai ke kisi ko bolne ka nahi hai ke aap dhoondh rahe ho, ladki ka exact description kisi ko batane ka nahi hai aur jo bhi pata karna hai chup chap khamoshi ke saath karna hai. Pata hai Adi bhai. Thodi si zaheeniyat khuda ne hamein bhi bakhshi hai" Phir se urdu.
"Samajhdaar hota ja raha hai" Main chair seutha aur jeb se paise nikale "Ye rakh"
"Sohbat ka asar hai Adi Bhai" Usne paise lete hue kaha "Kuchh pata chalta hai toh main khabar karta hoon aapko"
"Good. Chal main nikalta hoon abhi. Pet kaisa hai tera?"
"Theek hai abhi. Jitna aaj sandaas mein betha hoon akkhi life mein kabhi nahi betha"
Uski baat sunkar meri hasi chhut padi.
"Beer ke paise de dena"
"Haan koi waanda nahi hai Bhai. Niklo aap"
Bar se nikalte nikalte maine phir nazar uthakar dekha ke shayad Bijli kahin dikh jaaye par vo nazar nahi aayi. Bahar aakar maine ek baar phir Nisha ko phone kiya par number ab bhi band hi tha. Parking se car nikal kar main ghar ki taraf chal pada.
Talash ke liye pehla kadam main utha chukatha. Doosra kadam tha jism faroshi ki us duniya ki taraf dekhna jo marzi se chalti hai.Jahan maine Chipku Ko dekhne Ko kaha tha vo aisi jagah thi jahan ladkiyon ko zabardasti unki marzi ke khilaff ghusaya jata tha. Middle class aur gareeb gharon ki vo ladkiyan jo majboor hokar ye kaam karti thi. Apne har khwaab ko bhoolkar har raat majboori mein kisi ka bistar garam karti thi ab chahe vo nashe mein dhoot koi rickshaw chalane wala
ho, ya paseene ki badbu marta koi mazdoor. Ek 50-100 ke note ke badle apni asmat bechne par majboor ladkiyan.
Par in sabse alag Jism faroshi ki ek aisi duniya bhi hai jo marzi se chalti hai. Jahan ladkiyan apni marzi se aati hain aur jahan ke rate 50-100 ka ek note nahi balki hazaron mein jaati hain. Ye vo ladkiyan hain jo 2 zindagiyan jeeti hain. Uper se sharafat ka chola aur apni ayyashi ka kharcha poora karne ke lilye pichhe se jism faroshi. In short call girls, ya escort jo
ameeron aur bade logon ko available hoti thi kyunki inke rates efford karna har kisi ke bas ki baat nahi thi. Ye hona tha meri talash ka doosra kadam.
Phir teesra kadam tha police files par ek nazar. Aur chautha kadam tha Saanwli ki apni niji zindagi.
nice update ..
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
Chapter 3 - Policewala

Agle din subah uthkar maine Nisha ko phone kiya toh usne utha liya.
"Kal kahan thi sara din? Kitna phone kiya maine tujhe. Aur office kyun band tha?" Maine uske call receive karte hi sawalon ki jhadi laga di.
"Kitna phone kiya tha maine aapko kal subah ye batane ke liye ke office nahi aa paoongi. Par aap toh aise ghode bech kar sote ho ke murde bhi sharma jaayen" Usne jawab diya.
"Achha maine phone nahi uthaya toh tune bhi apna phone band kar diya?"
"Office aa rahe ho na aaj. Vahin milo, poori baat batati hoon"
"Theek hai. Main thoda der se aaoonga" Maine bed se uthte hue kaha.
"Ismein kaun si nayi baat hai" Usne kaha aur haste hue phone rakh diya.
Kuchh der baad main taiyyar hokar ghar se nikla aur sidha Chembur police station pahuncha.
Vo mera bachpan ka dost tha, mera langotiya yaar. Bachpan mein ham ek hi school gaye, ek hi colony mein rahe, saath khele aur saath saath hi apni professional life shuru ki. Usne Mumbai police join kar li aur maine apni agency khol li.
Inspector Munawwar Khan, short mein Munna, Chembur police station mein bataur Police Inspector tainaat tha. Chunki mera kaam aisa tha ke mera wasta aksar policewalo se padta tha toh vo mera bachpan ka dost hone ke naate hamesha mere kaam aata tha.
"Vo aaye hain mehfil mein chandi lekar,
Ke Roshni mein nahane ki raat aayi hai "
Mujhe aata dekh vo uth khada hua aur apnebaahen phailata hua meri taraf badha.
Uska sunaya sher sunkar main chaunk pada.
"Ye kahan suna tune?" Maine use gale lagate hue puchha. Kal raat yahi lines mujhedekh kar Bijli ne bhi kahi thi.
"Jagjit Singh ki bahut famous ghazal hai, kyun?" Vo ghoom kar vaapis table ke doosri aur apni seat par ja betha aur main uske saamne beth gaya.
"Nahi aise hi. Kal bhi mujhe dekh kar kisi ne same lines kahin thi" Maine apna cigarette ka packet nikala.
"Pehli baat toh ye thi ke cigarette agar tunejalayi toh baaki ka poora din yahin jail mein bitayega aur doosra ye ke kaun thi vo?" Usne muskurate hue puchha.
"Pehli baat toh ye ke Jail jaane ko main taiyyar hoon basharte ke andar tu cigarettepine de" Maine usi ke andaaz mein uski baat ka jawab diya "Aur doosra ye ke tujhe kaise pata ke vo ladki hi thi, ladka bhi toh hosakta hai"
"Dekh unless tu haal filhal mein Gay ban gaya ho, mujhe poora yakeen hai ke koi ladki hi hogi pakka. Aur agar tu sahi mein Gay ho gaya hai toh bhai sahab darwaza udhar hai, utho aur chalte bano. Mujhe apni izzat pyaari hai" Uski baat par ham dono hi dil khol kar hase.
"Nahi fikar mat kar teri izzat abhi salamat hai " Maine kaha.
"Kya lega. chaai mangaoon?" Usne puchha.
"Nahi rehne de. Nashta ghar se karke hi nikla tha. Ek kaam se aaya hoon"
"Haan bol na meri jaan, tere liye jaan haazirhai"
Vo bachpan se hi kaafi dabang mijaaz ka raha tha. Hamesha apni akad mein rehta tha aur apne dil ki hi karta tha. Kisi ko faaltubolne nahi deta tha aur agar koi bol jaaye toh pal bhar mein haath chhod deta tha. Aaye din school aur college mein uske jhagde hote rehte tha aur mahine mein kam se kam ek baar toh uske maan baap kouski shikayaten sunne ke liye school aana hipadta tha.
Aur shayad uska ye nature hi uske police mein bharti hone ki sabse badi vajah tha. Vo hamesha apni hi chalane ki koshish kartatha aur vardi pehenne ke baad toh use aisa karne ka sarkari license mil gaya tha.
Police force join karne ke baad vo theek vaisa hi policewala bana jaisa ke hamari hindi films mein dikhaya jata hai. Ek bahut hi kaaiyyan kism ka insaan jise Uper ki kamai se use koi shikayat nahi thi, rishwat lene ko hamesha taiyyar rehta tha, Had darje ka be-imaan, 2 second mein apni baatse palat jaaye aur munh ke bajaay haath se zyada baat kare.
Par in sabse alag mere liye vo aaj bhi vahi Munna tha jo mere bachpan ka dost tha. Mere liye kuchh bhi karne ko hamesha taiyyar rehne wala mera vo dost jo mere liye mere sage bhai se kam nahi tha aur yahi darja mera bhi uski nazar mein tha. Bahar ki duniya ke liye bhale vo kitna hi bada kamina aur be-imaan kyun na tha, mujhe usne kabhi kisi baat ke liye inkaar nahi kiya aur jo kaha, vo hamesha kiya.
"Abhi haal filhal mein koi ladki ka case aaya hai kya kahin? Koi gumshuda, koi rape vagerah, kahin kisi ladki ki koi laash baramad hui ho ya kisi ladki ne koi complaint file ki ho?" Maine puchha.
_________________________
nice update ..shayad munna kuch madad kar sake aditya ki
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
"Abhi haal filhal mein koi ladki ka case aaya hai kya kahin? Koi gumshuda, koi rape vagerah, kahin kisi ladki ki koi laash baramad hui ho ya kisi ladki ne koi complaint file ki ho?" Maine puchha.
"Naya case liya hai koi tune?"
"Haan" Maine bataya.
"Kya scene hai?"
"Vahi purana kissa. Ek insaan gayab hai, main dhoondh raha hoon" Maine phir se cigarette nikalni chahi par phir Khan ki baat yaad karke irada badal diya.
"Tu na saale, koi aur kaam kyun nahi kar leta. Ye gumshuda logon ko dhoondhte dhoondhte mujhe toh lagta hai ke tu hi kahin ek din na gumshuda ho jaaye"
"Ho bhi gaya toh mujhe dhoondhne ke liye tu hai na" Maine kaha "Aaya hai koi naya case aisa?"
"Ye Mumbai hai meri jaan" Vo kursi par aaram se pasarta hua bola "Yahan roz naye aise kisse aate hain. Kabhi rape, kabhi murder, kabhi kidnap. Tere sawal ka jawab bahut bada hai. Ek poori lambi list nikal kar de sakta hoon main tujhe"
"Yeah i guess you are right" Vo sahi keh raha tha "Anyways, ye tasveer dekh"
Maine Saanwli ki tasveer nikal kar uski tarafbadhayi. Tasveer dekh kar uske bhaav ek pal ke liye badle, chehre par ek expression aaya aur chala gaya.
"Means iske baare mein kuchh aaya hai?" Uske chehre ke badalte bhaav ko padhte hue maine kaha.
"Yeah i think so. Jaani pehchani shakal lagti hai. Shayad kuchh information main de sakta hoon tujhe" Vo utha aur apne pichhe rack par rakhi files mein kuchh dhoondhne laga.
Kuchh der baad usne ek file kholi aur tasveer ko file ke andar lagi photo se milane laga.
"Nahi, shakal milti zaroor hai par koi aur hai" Kehte hue usne file meri taraf badhayi.
File ke andar kisi ladki ke gumshuda hone ke F.I.R darj thi aur ek photo lagi thi. Us ladkike aur saanwli ke nain naksh halke ek jaise zaroor the, rang bhi saanwla tha par vo koi aur thi.
"Nahi not her" Kehte hue maine file use vaapis kar di.
"Tu photo chhod ja mere paas. Main scan karwata hoon police data base aur dekhta hoon kuchh nikalta hai toh. Naam kya hai ladki ka?"
"Saanwli Mitra" Maine bataya.
"Address?"
"Poora toh mujhe yaad nahi, baad mein message kar doonga tujhe par idhar kahin Kalyan mein rehti thi kisi ladies hostel mein"
"Theek hai main dekhta hoon agar kuchh milta hai toh. Kal shaam ko kya kar raha hai?" Usne photo apne drawer mein rakhte hue kaha.
"Kuchh khaas nahi, kyun?"
"Milte hain kahin. Dinner karte hain saath. Bade din ho gaye saath bethe hue"
"Pichhle Sunday hi toh tu mere ghar par pada hua tha"
"Haan toh pichhla Sunday gaye 5 din ho gaye mere bhai aur 2 din mein agla sunday aa jaayega"
"Theek hai" Main hanste hue bola "Ghar aa jana shaam ko. Vahin se nikal lenge kahin"
Police station se bahar aate hi maine sabse pehle ek cigarette jalayi. Vo mujhe kabhi smoke nahi karne deta tha. Jitna waqt bhi saath hota, mujhe cigarette jalane ki permission nahi hoti thi. Hamesha yahi hota tha ke uske jaate hi mera sabse pehla kaam cigarette sulgane ka hota tha.
Khan se milkar maine thodi der ke liye socha ke office jaoon par phir irada badalkar main Juhu ki taraf chal pada. Sooraj sar par aa chuka tha aur sadkon par traffic duguna ho gaya tha. Manzil tak pahunchte pahunchte mujhe khasa time laggaya.
Ghar ke gate ke bahar pahunch kar maine doorbell bajayi. Bahar lage intercom par kuchh pal baad ek aurat ki aawaaz sunai di.
"Kaun hai?"
"Aditya"
"Kaun Aditya?"
"Aditya Sharma"
"Kaun Aditya Sharma?"
"Kitne Aditya Sharma ko jaanti hain aap?"
Mere sawal ka koi jawab nahi aaya. Intercom par kuchh der khamoshi rahi aur phir lohe ke bade se gate ke andar bana ek chhota darwaza apne aap khul gaya. Gaadi mujhe bahar hi chhodni padi aur main ghar ke andar daakhil ho gaya.
Darwaza mere pichhe phir apne aap hi band ho gaya.
________________________
nice update ..ab kalyan me jaake dhundna padega saawli ke baare me .aur ye phone par kaun hai 🤔🤔.
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
Chapter 4 - Geentanjali Thakkar

Is ghar mein main pehle bhi kai baar aa chuka tha isliye janta tha ke kahan jana hai. Lawn se hota hua main sidha drawing mein room mein aa khada hua.
"Hello?" Drawing room khali tha. Maine aawaz lagayi.
"Be with you in a minute" Andar ke ek kamre se aawaz aayi. Main vahin rakhe ek couch par aaram se beth gaya.
Geetanjali Thakkar kehne ko ek busniess woman thi aur uska apne import / export aur real estate ka business tha par vo sirf ek upari dikhawa tha. Main shart laga kar keh sakta tha ke na toh usne pichhle 10 saalmein koi property deal close ki thi aur na hi kuchh import ya export kiya tha. Sara kaam sirf fake papers aur documents par hi hota tha taaki vo apni moti kamayi ka ek zariya Income Tax walo aur samaj ko dikha sake.
Nahi actually main galat keh raha hoon. Uska sach mein property dealing aur importexport ka hi kaam tha. Bas uski properties aur import export ke items zara hat kar hote the. Jin properties mein vo deal karti thi vo the insani jism. Jo items vo import aur export karti thi vo thi khoobsurat ladkiyan.
Mumbai ka har ameer tharki aur ayyash ye baat janta tha ke jis tarah ki ladkiyan Geetanjali provide kar sakti thi, vaisi poore shehar mein kahin aur avaiable nahi thi. Paisa phenk tamasha dekh ka system tha uske yahan. Agar paisa hai aur keemat bharne ka gurda hai toh har fantasy, har shauk poora kiya ja sakta tha. BDSM se lekarrole play tak, natural se lekar un-natural sextak, jo bhi maang ho poori ho jaati thi basharte ke saamne wale ki jeb mein tina maal ho.
Uske rates poore shehar mein sabse zyada hote the par business chalta bhi sabse zyada usi ka tha. Indian se lekar Italian, American se lekar Australian, Hindu, muslim, christian, sikh har tarah ki ladki uske paas maujood thi.
Uske paas jo ladkiyan thi unhen vo khud chunti thi, sab handpicked. Uski list of girls mein sab behad khoobsurat aur shandar jism ki maalik ladkiyan thi jinhen vo dhyaan se parakh kar apne saath kaam karne deti thi. Aur in sab mein sabse aam baat ye thi ke ye saari ladkiyan ek dogli zindagi jeeti thi. Matlab ek social life aur ek call girl life. Uperi taur par koi student thi toh koi kisi company mein kaam karti thi.
Ladkiyon ki tarah hi Geetanjali ke clients bhihand picked hote the. Sab ameer businessman, actors, sports personalities, politicians the jo zaroorat ke hisaab se Geetanjali ko phone karke address de dete aur paise transfer kar dete. Phir Geetanjali apni list of girls mein se kisi ek ko chunti aurphone par hi usko saari instructions de deti aur vo ladki uske bataye address par pahunch jaati. Saari ki saari dealing phone par hi hoti thi.
Maine toh yahan tak suna ke vo khud bhi ek lesbian thi aur uska khud ka interest ladkiyon mein hi tha. Is baat mein kitni sachchai thi, ye main nahi janta tha.
Kadmon ki aahat sunkar maine apni band aankhen kholi aur sidha hokar beth gaya.
"Hello Aditya" Vo haath mein ek wine ka glass liye drawing room mein daakhil hui"How are you my dear?"
Uski umar lagbhag 45-50 ke beech. Ek nazardekh kar hi koi bhi ye keh sakta tha ke jawani mein vo kabhi bala ki khoobsurat rahi hogi. Aur is umar mein bhi usne khud ko bahut hi achhi tarah se maintain kiya hua tha. Jism par faaltu charbi ka kahin nishan tak nahi tha. Chehre par umar nazar aane lagi thi par khoobsurati ab bhi barqarar thi.
Uske baal gile the jo khule hue kamar par bikhre hue the. Usne ek safed rang ka patla sa robe dala hua tha jo saamne ki taraf se kamar par ek strap se bandha hua th. Rob kilambai sirf jaangho tak thi aur chalte hue uska 70% jism saaf dikhai de raha tha.
Maine ek nazar use dekha aur phir apni nazar ghuma li.
"Ha ha ha" Vo samajh gayi "You havent changed a bit dear. Still so shy"
"How are you?" Vo mere saamne aakar beth gayi toh maine uski taraf dekhte hue puchha.
"I am very well. How have you been?" Wine ka sip lete hue usne jawab diya.
"I have been better but cant really complain"
Vo ek bade aalishan bungalow mein akeli hi rehti thi. Uski family, relatives ke baare mein kisi ko jaankari nahi thi or at least main toh kisi aise ko nahi jaanta tha jo mujhe kabhi uske background ke baare mein kuchh bata paya ho. Vo ek aisi aurat thi jise doosre sirf utna hi jaante the jitna ke vo chahti thi. Ye uski aadat mein shumar tha ke kabhi vo kisi ko apne zyada kareeb nahi aane deti thi. Na kabhi kisi ki party mein dikhai deti thi aur na kabhi kisi ke saath, a total loner. Aur ye uske akelepan ki intehaan hi thi ke itne bade ghar mein ek naukar tak nahi tha. Vo vahan kisi bhoot ki tarah bilkul akeli rehti thi.
"How do you manage to keep it all so clean. I know you dont have any servants" Maine apne chaaron taraf dekhte hue kaha,
"I dont have any that can stay here and bug me all day. They come in the morning, finishthe chores and leave" Usne jawab diya.
"Hmmmm" Maine sar hilaya.
"But you didnt come here to discuss the cleanliness of my house, did you?" Wine ka khaali glass ek taraf rakhte hue usne puchha.
_________________________
nice update ..
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
Chapter 5 - HOSTEL


Main Saanwli ki talash mein 3 kadam utha chuka tha aur ab waqt chauthe aur sabse zyada zaroori pehlu par nazar daalne ka aur vo thi uski apni niji zindagi.
Jaisa ki Saloni ne mujhe bataya tha, Saanwliek working women's hostel mein rehti thi. Vo ek sada si 2 manzila imarat thi jise baharse dekh kar hi ye andaza ho jata tha ke ye kabhi kisi ka ghar rahi hogi jise phir baad mein badal kar ek paying guest type hostel ka roop de diya gaya.
Bahar gate par watchman se baat karne ke baad main kuchh der baad hi us hostel ki maalik Kamlaben ke kamre mein betha hua tha.
Vo ek had se zyada moti aurat thi. Uske naam aur Jism par bandhi hui saree ke styleko dekh kar main andaza laga chuka tha ke vo Gujarati thi. Umar koi 50-60 ke beech, aankho par bada sa chashma, sar mein zaroorat se zyada laga tel, jism par zarooratse zyada gehne, aur gaalon par halki laali.
Kul mila kar bachchon ko darane ka full package.
"Dekho Mr. tum jo koi bhi hai" Vo naak sikodti meri taraf anguli utha kar boli "Ham idhar ye ladkiyon ko apni bachchiyon ki tarah rakhta hai. Inka izzat hamera apna izzat, samjha. Tamere ko aisa kyun laga ke tum idhar ko aayinga aur ham tumko aise hi kisi bhi ladki ka information yun hi de dega?"
Naam aur pehnava to uska Gujrati par jab vo boli toh mujhe samajh hi nahi aaya ke voGoa se thi ya Sindhi thi?
"Dekhiye main ek agency chalata hoon aur gumshuda logon ko dhoondhna mera kaam hai. Khud Saanwli ki behen mere paas aayi thi. Unka sign kiya hua ye letter bhi mere paas hai ...." Maine jeb mein haath dala hi tha ke vo mota kaddu phir bola.
"Hoyinga koi letter tamere paas, apne ko parwah nahi samjha. Abhi tum jaldi utho aur phooto idhar se" Usne apne daayen haath se xxxxxki bajayi.
"Aap chahen toh main aapki baat kara sakta hoon Saloni se"
"Tum kya koi policewala hai jo aisa sawal karta hai?"
"Nahi policewala toh nahi hoon magar aap chahen toh policewale ko bhi saath la sakta hoon"
"Haan toh leke aao pan abhi utho idhar se. Hamko kaam hai bahut"
Uske baad usne meri ek nahi suni aur mujhehostel se bahar nikal kar hi dam liya. Mera shayad din hi kharab tha ke bahar nikalte hidoosri museebat aan padi.
"Tu yahan kya kar raha hai?" Bahar police kijeep khadi thi. Main gate se bahar nikal raha tha aur Joshi hostel ke gate ke andar aa raha tha.
"Kuchh khaas nahi" Maine taalne ke andaaz mein jawab diya.
"Toh yahan kya kar raha hai?"
"Yun hi dekhne aaya tha ke yahan ke charges vagerah kya hain"
"Kyun tu yahan shift ho raha hai?"
"Nahi tere liye dekhne aaya tha. Tu yahan rehta zyada achha lagega, nahi?"
Meri baat sunkar vo achanak meri aur badha par phir ruk gaya.
"Bahut hua mazak, ab dhyaan se sun. Saanwli ke case se bahar reh. Mujhe apne cases mein koi aur taang adata hua achha nahi lagta"
Kehkar vo hostel ke andar daakhil ho gaya.
Inspector Diwakar Joshi. Vo ek aisa policewala tha jinki nasl ab hamare desh mein vilupt hoti ja rahi thi. Pehli baat toh yeke aise policewale ab banne band hi ho gaye the aur jo bache the vo dheere dheerekhatam hote ja rahe the. Yaani ke ek imandar policewala.
Vo apne kaam ko bahut seriously leta tha aur har kaam imandari se karta tha. Aur yahi vajah thi ke uske aas paas ka har insaan usse pareshan rehta tha. Vaise bhi aaj ke zamane mein jahan duniya ka aadha kaam be-imani se hota ho, vahan imandaar aadmi sirf doosron ke liye sardardi hi ban sakta hai aur aisa hi kuchh mamla Joshi ke saath bhi tha. Dharam Karam mein uska poora yakeen tha aur roz police station mein kadam rakhne se pehle vo Mandir ka chakkar laga kar aata tha. Aur to aur, chhutti wale din Mandir mein pujari ban karpuja path tak karata tha. Pagal tha sala.
Dikhne mein bhi vo policewala kam ek Doctor zyada lagta tha. Sehat ka bahut khyaal rakhta tha, saaf safai par bahut dhyaan deta tha aur hamesha achhe kapde pehenta tha.
Yaani ke ek ideal citizen.
Us mote kaddu jaisi aurat ne mujhe koi bhi kaam ki information nahi di thi. Main apni gaadi mein bethne hi laga tha ke mere dil mein khyaal aaya ke shayad hostel ki koi ladki mujhe kuchh information de de. Main ek pal ke liye ruk kar ghar ki taraf dekhne laga aur tab meri nazar gate ke paas khade us buddhe watchman par padi jo bahut hi shakki nazar se mujhe dekh raha tha. Use ek nazar dekh kar hi main samajh gaya ke mujhe kya karna tha.
Jeb se maine 500 ke 2 note nikal kar hawa mein lehraye. Usne ek pal ke liye idhar udhar dekha aur jhapat kar meri taraf aaya.
"Shaam 5 baje, vo us paan ki dukaan par" Kehte hue usne mujhe gali ke aakhir mein bani ek paan ki dukaan ki taraf ishara kiya aur jitni tezi se vo mere paas aaya tha utni hi tezi se 500 ke note mere haath se khinch kar vaapis apni jagah par ja khada hua.
_______________________
nice update ..ye kaddu type aurat to ekdam ghatiya lagi mujhe ,,,koi bhi jaankari nahi di saanwli ke baare me ..
aur ye inspector imandar hai to us ladki ko dhundne me aditya ki madad kyu nahi karta shayad jaldi mil jaaye wo 🤔🤔🤔..
ab lagta hai watchmen se kuch pata chal jaaye 🤔🤔.
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
Hostel se hokar main vaapis office pahuncha toh vahan Khan mera intezaar kar raha tha.
"Tu yahan kya kar raha hai?" Maine use dekh kar puchha.
"Bhajiya tal raha hoon, khayega?" Usne jawab diya.
"Haan par chatni sirf hari wali dena, laal wali mujhe pasand nahi" Maine bhi usi ke andaaz mein jawab diya.
"Haan of course, teekha hi pasand hai tujhe toh tabhi itna teekha bol bhi leta hai"
"Matlab?" Maine apni chair par beth kar cigarette ka packet nikala par jab Khan ne mujhe ghoor kar dekha toh maine vaapis rakhd diya.
"Idhar se guzar raha tha toh socha tujhse milta chalun. Joshi se mila tha tu aaj?" Usne sawal kiya.
"Bada tagda network hai tera, abhi ghanta bhar bhi nahi hua aur tujh tak khabar bhi pahunch gayi" Maine hairan hote hue dekha.
"Usi ka phone aaya tha mere paas"
"Achha? Kya keh raha tha?"
"Keh raha tha mujhse ke main apne paaltu kutte ko uske case se bahar rakhun" Usne kaha.
"Kutta bhi hai tere paas?" Maine haste hue puchha.
"Mazak mat uda Aditya. Tu achhi tarah janta hai ke vo kaafi khatarnaak aadmi hai. Ye jo usne sharafat ka choga pehen rakha hai na, iski vajah se kaafi uper tak pahunch hai uski"
"Haan toh?" Main dono kohniyan table par rakh kar aage ko hota hua bola "Kehna kya chah raha hai?"
"Sirf ye kehna chah raha hoon ke thoda dhyaan se chal. Aur main toh kahunga ke case chhod hi de, koi doosra pakad le"
"Case chhod doon? Rozi roti pe kyun laat maar raha hai yaar. Aisa toh kuchh bhi nahi hua abhi"
"Hone se pehle hi baat maan le. Tu Joshi ko janta nahi. Na vo tujhe pasand karta hai aurna mujhe aur agar tu uske raaste mein aaya toh tujhe lapente ke liye usse jo ban padega karega"
"Dekh" Maine aage badhkar uska haath pakda "I appreciate your concern. Bhai hai tu mera aur main teri baat sun bhi raha hoon. Main sambhal kar rahunga. Filhal mujhe aisa koi andesha lag nahi raha par phir bhi agar aage baat bigadti hui nazar aayi, to jo tu kahega main vahi karunga. Happy now?"
Usne bhi haan mein sar hilaya.
"Tu sirf ye batane aaya tha mujhe?"
"Nahi aaya toh isliye tha ke yahin paas mein kuchh kaam se aaya tha. Ittefaq ki baat thi ke jab is taraf aa raha tha, tab hi Joshi ka phone aa gaya.
"Hmmm. Khayega kuchh?" Maine sawal kiya.
"Nah" Usne inkaar kiya "Abhi khaake hi aaya tha"
"Vo ladki ke baare mein kuchh pata chala?" Maine Saanwli ke baare mein puchha.
"Dekh bhai jahan jahan tune dekhne ko kaha tha maine dekha par kuchh nahi mila"
"Nothing at all?"
"Nahi. Maine traffic accidents ke records check kiye. Sadak haadso mein koi aisi maut nahi hui jiski shinakht na hui ho. Koi aisi laash filhal morgue mein nahi padi jiski pehchan na ki gayi ho. Municipality walo ne ek laash jalayi zaroor thi par vo Saanwli ki ho nahi sakti.
"Matlab?"
"Matlab ke ek buddhi aurat ki laash mili thi kuchh din pehle, koi nahi janta tha ke kaun thi na koi pucchhne aaya aur na records mein koi complaint mili. Kuchh din intezaar karke Municipality walon ke jala diya"
"Hmmm ... that was a dead end"
"Tu ajeeb hai vaise" Usne haste hue mujhsekaha "Koi khota hai toh log pehle ye pata karte hain ke vo aakhri baar kahan tha, kiske saath tha, kisne dekha tha use, kahan rehta tha, kya karta tha vagerah vagerah you know taaki kuchh pata lage. Tu sidha hi use laashon ki list mein dhoondh raha hai"
"Apna apna kaam karne ka tarika hai yaar" Maine kaha "Jahan tune dekha vo bhi ek aisijagah thi ke jahan mujhe us ladki ka naam mil sakta tha par mila nahi. Toh shuru mein hi maine ye option apni list se nikaal diya. Mil jaati toh mujhe dhakke hi na khane padte. Ab at least case ke shur mein hi mainye janta hoon ke vo kisi sadak durghatna mein nahi mari aur na hi uski laash kahin lawaris batake jalayi gayi"
Khan ke jaane ke baad main kaafi der tak betha sochta raha. Jaane kyun mujhe kaafi ummeed si thi ke uske paas se mujhe koi nako matlab ki information zaroor milegi. Aisalagne ki mere paas ek bhi thos vajah nahi thi par ye gut feeling ya sixth sense keh lijiye, meri ummeed kaafi zyada thi jo ki ab nakaam nikli.
"Chal kahin bahar khane chalte hain yaar" Maine ghadi ki taraf dekhte hue Nisha se kaha. Dopahar ka waqt ho gaya tha.
"Aur ye jo ghar se laayi hoon?" Usne apne tiffin box ki taraf ishara kiya.
"Ise raat ko ghar par hi kha lena. Ab chal, main khila raha hoon. Its on me"
Ham dono uthe hi the ke office ka darwaza khula aur Saloni andar daakhil hui.
_________________________
nice update ..joshi ne khan ko phone karke bata diya aur khan ne aditya ko is case se dur rehne ko kaha ..
abhi tak saanwli ko mare huye logo me dhund raha hai aditya 🤔..
 
  • Like
Reactions: The Immortal
Top