• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller DARK GIRL (Completed)

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
wonderful update bhai waise ye jo joshi nawa police wala hai sayad akdu hai abhi usse hosiyaar rahne ko bola hai
 
  • Like
Reactions: The Immortal

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
waiting nawa nawa update
:vhappy:
 
  • Like
Reactions: The Immortal

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter 5 - HOSTEL


Main Saanwli ki talash mein 3 kadam utha chuka tha aur ab waqt chauthe aur sabse zyada zaroori pehlu par nazar daalne ka aur vo thi uski apni niji zindagi.
Jaisa ki Saloni ne mujhe bataya tha, Saanwliek working women's hostel mein rehti thi. Vo ek sada si 2 manzila imarat thi jise baharse dekh kar hi ye andaza ho jata tha ke ye kabhi kisi ka ghar rahi hogi jise phir baad mein badal kar ek paying guest type hostel ka roop de diya gaya.
Bahar gate par watchman se baat karne ke baad main kuchh der baad hi us hostel ki maalik Kamlaben ke kamre mein betha hua tha.
Vo ek had se zyada moti aurat thi. Uske naam aur Jism par bandhi hui saree ke styleko dekh kar main andaza laga chuka tha ke vo Gujarati thi. Umar koi 50-60 ke beech, aankho par bada sa chashma, sar mein zaroorat se zyada laga tel, jism par zarooratse zyada gehne, aur gaalon par halki laali.
Kul mila kar bachchon ko darane ka full package.
"Dekho Mr. tum jo koi bhi hai" Vo naak sikodti meri taraf anguli utha kar boli "Ham idhar ye ladkiyon ko apni bachchiyon ki tarah rakhta hai. Inka izzat hamera apna izzat, samjha. Tamere ko aisa kyun laga ke tum idhar ko aayinga aur ham tumko aise hi kisi bhi ladki ka information yun hi de dega?"
Naam aur pehnava to uska Gujrati par jab vo boli toh mujhe samajh hi nahi aaya ke voGoa se thi ya Sindhi thi?
"Dekhiye main ek agency chalata hoon aur gumshuda logon ko dhoondhna mera kaam hai. Khud Saanwli ki behen mere paas aayi thi. Unka sign kiya hua ye letter bhi mere paas hai ...." Maine jeb mein haath dala hi tha ke vo mota kaddu phir bola.
"Hoyinga koi letter tamere paas, apne ko parwah nahi samjha. Abhi tum jaldi utho aur phooto idhar se" Usne apne daayen haath se xxxxxki bajayi.
"Aap chahen toh main aapki baat kara sakta hoon Saloni se"
"Tum kya koi policewala hai jo aisa sawal karta hai?"
"Nahi policewala toh nahi hoon magar aap chahen toh policewale ko bhi saath la sakta hoon"
"Haan toh leke aao pan abhi utho idhar se. Hamko kaam hai bahut"
Uske baad usne meri ek nahi suni aur mujhehostel se bahar nikal kar hi dam liya. Mera shayad din hi kharab tha ke bahar nikalte hidoosri museebat aan padi.
"Tu yahan kya kar raha hai?" Bahar police kijeep khadi thi. Main gate se bahar nikal raha tha aur Joshi hostel ke gate ke andar aa raha tha.
"Kuchh khaas nahi" Maine taalne ke andaaz mein jawab diya.
"Toh yahan kya kar raha hai?"
"Yun hi dekhne aaya tha ke yahan ke charges vagerah kya hain"
"Kyun tu yahan shift ho raha hai?"
"Nahi tere liye dekhne aaya tha. Tu yahan rehta zyada achha lagega, nahi?"
Meri baat sunkar vo achanak meri aur badha par phir ruk gaya.
"Bahut hua mazak, ab dhyaan se sun. Saanwli ke case se bahar reh. Mujhe apne cases mein koi aur taang adata hua achha nahi lagta"
Kehkar vo hostel ke andar daakhil ho gaya.
Inspector Diwakar Joshi. Vo ek aisa policewala tha jinki nasl ab hamare desh mein vilupt hoti ja rahi thi. Pehli baat toh yeke aise policewale ab banne band hi ho gaye the aur jo bache the vo dheere dheerekhatam hote ja rahe the. Yaani ke ek imandar policewala.
Vo apne kaam ko bahut seriously leta tha aur har kaam imandari se karta tha. Aur yahi vajah thi ke uske aas paas ka har insaan usse pareshan rehta tha. Vaise bhi aaj ke zamane mein jahan duniya ka aadha kaam be-imani se hota ho, vahan imandaar aadmi sirf doosron ke liye sardardi hi ban sakta hai aur aisa hi kuchh mamla Joshi ke saath bhi tha. Dharam Karam mein uska poora yakeen tha aur roz police station mein kadam rakhne se pehle vo Mandir ka chakkar laga kar aata tha. Aur to aur, chhutti wale din Mandir mein pujari ban karpuja path tak karata tha. Pagal tha sala.
Dikhne mein bhi vo policewala kam ek Doctor zyada lagta tha. Sehat ka bahut khyaal rakhta tha, saaf safai par bahut dhyaan deta tha aur hamesha achhe kapde pehenta tha.
Yaani ke ek ideal citizen.
Us mote kaddu jaisi aurat ne mujhe koi bhi kaam ki information nahi di thi. Main apni gaadi mein bethne hi laga tha ke mere dil mein khyaal aaya ke shayad hostel ki koi ladki mujhe kuchh information de de. Main ek pal ke liye ruk kar ghar ki taraf dekhne laga aur tab meri nazar gate ke paas khade us buddhe watchman par padi jo bahut hi shakki nazar se mujhe dekh raha tha. Use ek nazar dekh kar hi main samajh gaya ke mujhe kya karna tha.
Jeb se maine 500 ke 2 note nikal kar hawa mein lehraye. Usne ek pal ke liye idhar udhar dekha aur jhapat kar meri taraf aaya.
"Shaam 5 baje, vo us paan ki dukaan par" Kehte hue usne mujhe gali ke aakhir mein bani ek paan ki dukaan ki taraf ishara kiya aur jitni tezi se vo mere paas aaya tha utni hi tezi se 500 ke note mere haath se khinch kar vaapis apni jagah par ja khada hua.
_______________________
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
:reading:
 
  • Like
Reactions: The Immortal

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
wo mara papad wale ko ab wo budhdha jarur kauno suraag dega waise ye joshi ji achcha police wala banda bole to imaandaar aadmi hai
 
  • Like
Reactions: The Immortal

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
Mai fir se waiting :jump:
 
  • Like
Reactions: The Immortal
Top