• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Destiny ko koi nhi badal sakta jo likha h hoke rahega.

Htcw456

Something that never happened......
591
2,137
123
Naya member hu par naya reader ya naya writer nhi hu, samjhdaar ko ishara kafi h. Main ye nhi bolunga ki update din mein ik bar aayega ya week mein ik bar kyunki plot clear h aur mostly har update bhi pahle hi type kiye ja chuke h par agar kabhi network ki problem hui to wo exceptional case h. Story meri file mein complete h pichle 1 saal se likh raha hu is story ko. Yaha jab dekha ki jyadatar writer 1-1 saal, 1-1 week mein 1 update dete h aur fir story ko adhura chhod bhag jate h to sabse jyada dukh mujhe hota kyunki main har story ko dil se jodkar read karta. Meri pahli preference fantasy supernatural powers aur adultry h but aisa nhi h ki mujhe incest se parejh h. Yaha apko sab colours milenge par pariwar ki ijjat maan maryada sabse upar aur behan and maa wo sakshi hote jisko kabhi us najar se nhi dekh sakta main. Haalanki yaha mom aur sis ka bol bala h but apne apne sanskar and morals h isliye different mindset ke log mind na kare.

Anyways ye story h eik aise pariwar ki jo ki bahut pahle se ik gaon, ik kasbe, ik sehar ke nhi balki ik puri khaap ke mukhiya rahe h jaise baliyan khap ke 84 gaon, thakur ki chobisi isi tarah bahut si biradri ki alag alag khap h aur ik aisi hi khap ke mukhiya h is story ke mukhya kirdar. Ye kahani ik aise ladke ki jo is khaap ke mukhiya ke ghar paida to hua par badkismati se uski maa chote umar main chal basi aur fir kisi karanwash uske baap ki nayi shadi aur uski soteli maa ki mahtvakansha ke chalte uske sath hue durvyavahaar aur uska pratishod uske bad sachai ka gyan aur supernature ki entry aur ik bade yudh ki taiyari. Supernatural powers ke sath mili jimmedari aur sath mein pariwarik jimmedariyan aur apni jiwansangini/yo ke sath bitaye yaadgar pal ki ik vishesh dimag ki upaj apke samne prastut h.

Main apke reply/ comment (positive negative) ka wait nhi krunga bas is story ke update krunga. Agar pasand aaye to apne vichar jarur rakhe.

Dhanyawaad.
( shuruat kal se)

congrats-1
For new thread mitr.....
 
Naik

Well-Known Member
20,985
76,651
258
Note:- Waise to bahut si khaap h humare bharat desh mein aur main tahe dil se un khap ki ijjat bhi karta hu. Yaha liye gaye kisi bhi khap ya vyakti ya place ka naam kalpnik h, in khas namo ka hona sirf sanyog matra h. Ye story sirf manoranjan ke uddeshya se likhi ja rahi h is story ka irada kisi bhi vyakti, samudaye ko hurt karna nhi h.

Update-1
Bharat desh ka eik khubsurat sa pradesh hai uttar pradesh aur us uttar pradesh ka pachim bhag jo jaatland ke naam se bhi jana jata h. Usi paschim u.p ke eik jile mein ik gaon h xyz, us gaon mein ik pariwar h chaudhary pariwar, ye pariwar sirf naam ka chaudhary nhi hai, ye chaudhrahat is pariwar ne kamai hai, is pariwar ke purvajo ne apne logo ko haq dilane ke liye kayi bar andolan kiye, jail bhi gaye pr apna haq, apne logon ka haq leke rahe, ye silsila aj bhi aise hi chalta aa raha h. Chaudhrahat milna sirf takat aur satta milna nhi h, takat se milti h jimmedari, ye pariwar is bat ko ache se janta bhi h aur samjhta bhi h.
Yahi sab sochte hue, apna ithihas yaad karte hue aj is khap jiske kareeb aspas ke 150 gaon aate the aur is area ki jansankhya lakho mein thi aur kareeb 8 vidhansabha aur 3 loksabha seat isi area ki thi jiska sidha sidha faisale isi khap ke mukhiya hi tay krte the. To sidhi si bat h aise bahubali wale vyaktitva ko kon si political party naraaj karna chahegi. Jis kisi party ne satta ke nashe main aisa karna chaha wo agle hi vidhansabha ya loksabha mein usne mooh ki khayi, ab ye bat sabhi political party samjh chuki thi aur isliye hi is chaudhary pariwar ka dabdaba sirf state ke CM tak nhi balki central ministers tak bhi tha.
Itna powerful admi aj kuch vyathit tha aur apne hi soch mein gum tha aur ye admi koi aur nhi is khapke mukhiya Ch. Harendar the jinki umar 70 saal thi. Unke 3 bete aur 2 beti thi. Harendar ke sabhi bache vyask the aur sabki shadi ho chuki thi. Harendar ke dono damad mein se bada damad sunil dusre khaap ke mukhiya ka beta tha, harendar ke samdhi Surendra ki khaap harendar ki khap jitni badi to nhi thi pr jab dono khap milkar bahut deadly ho jati thi ( baki ke character ke naam dhire dhire btata rahunga).
Harendar ke chintit hone ka karan tha uska pota Sunny Chaudhary jo abhi sirf 10 saal ka tha jab uski maa aur Harendar ki sabse badi putravadhu Gayatri is duniya se kisi bimari ke chalte rukhsat ho chuki thi. Wo gayatri hi thi jisne apni saas shanti devi ke dehant ke bad is pariwar ko iksutra mein piroya hua tha aur is kaam mein uska sath uska pati Karamveer Chaudhary Sunny ke pita bakhoobi sath dete the. Karamveer ik suljhe hue vyakti the bachpan se hi apne pita ko khaap ke faisle aur chintit hote dekha tha aur umar ke sath sath us jimmedari ko samajhte bhi the aur aj wo apne pita harendar ka adha kaam apne kandhon pr le chuke the. Harendar is bat se ashwast the ki unka beta karamveer unke bad is khaap ko sambhalne mein saksham h aur prabal davedar bhi aur waise bhi unke baki ke do chote bete is sab mein na to interested the balki delhi mein apna karobar ache se sirf jama hi nhi liya tha balki usko apni mehnat se ik ache mukam pr phoncha chuke the. Aj wo dono delhi ke hi nhi balke pure desh ke jane mane industrialist the. Harendra isliye vyathit the kyunki na sirf Sunny 1 saal purva apni maa ko khoya tha balki uske baap karamveer ne Sunny ki achi parvarish aur dekhbaal ke liye (jaise aksar kaha jata h ik vidhur ko dusri shadi ke liye aur yahi tark deke samjhaya bhi jata h) dusri shadi sunita se kar li thi jo eik vidhwa thi aur 1 bachi (priya)ki maa bhi. Priya ki umar 7 saal thi. Is shadi ke piche kahi na kahi Harendar bhi jimmedar the kyunki sabse jyada dabab Karamveer pr Harendar ne hi dala tha pr aj Harendar ko us faisle pr pachtava ho raha tha aur uska karan tha Sunny ke sath ho rahe durvyavahaar. Halaki abhi ye sab parde ke piche chal raha tha pr itne umardaraj hone ke sath sath unhone duniya sirf dekhi hi nhi thi balki wo us duniya mein pariwar ke apsi matbhed, jhagde mein faisle bhi diya krte the isliye Harendar us durvyavahaar ko sungh sakte the aur aane wale khatre ko bhi kyunki Harendar Ke tau- chacha ke bacho aur unke pariwar ke man mein chaudhrahat paane ka lalach bhalibhanti jante the bhi the aur khud bhi kayi shadyantra ka shikaar bhi ho chuke the pr unhone un shadyantr ko kabhi kamiyab hone nhi diya pr aj wo Sunny ke liye aane wale khatre ko sungh sakte the pr aj wo lachar the kyunki wo pahle hi Karamveer ko apni khaap ka mukhiya aur sath sath apni sari jaydad Karamveer ke naam kar chuke the aur ab wo kuch nhi kar sakte the. Kafi der aatmachintan karne ke bad wo apne kamre se bahar aate h to dekhte h ki unki nayi putravadhu Sunita living room me tv dekh rahi thi, sunita ko najarandaj krke wo Sunny ko dhundte h pure ghar mein Sunny ko nhi dhundpate to wo samjh jate h aur wo ghar se bahar nikal wo ghar se thodi dur talab ke kinare phonch jate h aur dekhte h ki unka sochna sahi tha talab kinare ik ped( tree) ke kinare gumsum baitha tha sunny. Harendar uske pass jate h to dekhte h ki sunny ki aankh mein aansoo h aur wo iktak talab ko dekhe ja raha h. Sirf 10 saal ka hi to tha sunny.
To be continued.
Behtareen shaandaar shuruwat bhai
 
Buhat bhatreen shandar hai dost.....
Kuch to alag hai mitr.......
Ab dakhateen hain ap apane andaz ko kis tarah nibhate ho.....
👏🏾👏🏾👏🏾👏🏾👏🏾👏🏾👏🏾👏🏾👏🏾👏🏾👏🏾👏🏾👏🏾👏🏾🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩
 
Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,768
17,818
189
Waiting
 
MasterShubham

New Member
4
27
13
Update-2
Harendar dhire se jakar Sunny ke baju mein baith gye par sunny ko khabar bhi na hui to Harendar ne dhire se sunny ke balon mein hath firane lage to Sunny bhi kam nhi tha use eik pal bhi nhi laga samjhne mein ki kon aisa kar sakta h kyunki Harendar pahle se hi Sunny ko isi tarah pamper karta aya h. Khair sunny apni soch se bahar aata h, kahne ko to sunny sirf 10 saal ka tha but pichle 1 saal mein wo bahot kuch seekh chuka tha kyunki na sirf usne apni maa ko khoya tha balki uske daddy jo uski aankh mein eik ansoo nhi aane dete the wo usse dur ja rahe the, sunny ko to ye bhi yaad nhi ki last time karamveer ne sunny ko kab pamper kiya tha aur wo nayi maa kitna khush hua tha sunny jab use pata chala tha ki uski nayi maa aane wali h, wo apni khoyi hui maa ki chavi apni nayi maa mein dhund raha tha pr uska bhram jald hi tut gya kyunki uski so called nayi maa usko sabke samne na sahi akele mein sotela vyavhaar karti thi, ik baar priya aur sunny khel rahe the aur priya sunny ko apne naye khilone dikha rahi thi, harendar aur karamveer dono kisi panchayat mein bahar gaye hue the, sunita tv dekhne mein busy thi, ab bache to masoom hi hote h isliye priya aur sunny ka apas mein koi bair na tha, to dono khel rahe the tabhi sunita ki najar dono pr pad jati h to wo priya ko dant deti h ki aise apne khilone kisi ko bhi degi to khilona tut jayega blah blah ab use kon samjhaye ki kisi ki khushi ke aage khilono ki kya bisat, par kahte h na jisne kabhi sukh suvidha dekhi na ho aur achanak se itna kuch mil jaye to hajam nhi hota kisi kisi ko aisa hi kuch hua tha sunita ke sath kaha uska mayka jisme mushkil se 2 kamre aur chota sa ghar, kuch bigha jameen usme parivar ka bharanposhan aur kaha pushtaini haveli aur kayi naukar chakar, croro ka bank balance 1000-2000 bigha khet. Khair sunny sunita ki bat sunke man hi man muskuraya bhale hi 10 saal ka tha wo pr wo batien aur taunt ko achi bhati samjhta tha, gayatri ne usko choti si umar se hi din duniya ki samjh deni shuru kar di thi, wo apne daddy karamveer aur harendar ke sath panchayat mein jata tha har cheej ko dhyan se sunta tha halaki kuch batein uski samjh se pare hote the pr ghar aakar wo un baton ko apne dada ya daddy se puch liya krta tha, wo apne daddy aur dada se pucha karta tha ki unhone ye faisla kyu kiya blah blah. Khair sunita ki bat pr wo muskuraya aur priya ko bola ki " Nayi maa thik kahti h naye khilone kharab ho jayenge ap mere khilono se khel lo" Ye kahkar wo apni almirah khol deta h almirah ke ander dekh kr priya ki hi nhi sunita ki bhi ankh badi ho jati h kyunki us badi si almirah mein rakhe kayi so khilone aur kuch mitti ki gullak, sunny ko aaj tak mili sone aur platinum ki chain, rings, aur kuch note ke bundle. Kul mila kr Ye chand saman hi sunny ke status ko dikhane ke liye kafi tha, aisa nhi tha ki sunny show off karta tha, bus sunny ko shuru se hi aadat thi ki jo bhi gift, ashirwad ke rup mein mile kuch khilone ya uske pariwar ke sneh mein mile aabhushan ya kapde ya fir paise wo sab ik yaad ki tarah sanjo kar rakhta tha wo aj bhi bta sakta tha ki usko platinum ki chain kisne, kab aur kyu di thi. Yahi batien thi jo sunny ko sabse alag banati thi. Khair sunny ka collection dekh kr sunita khud ko chota feel karne lagi thi but sunita to sunita h usne ye bhi mauka nhi chora sunny ko nicha dikhane ka, halaki tab wo jhuti muskurahat se priya ko boli ki dekho tumhare bhaiya ke pass kitne ache toys h chalo inse khel lo par rat ko jab wo apne karamveer ke sath thi tab usne sunny ke is behavior ko dusri tarah represent krke ki sunny mein ghamand aa gya h usne priya ko apna rutba dikhaya ki uspe khilono ki kami nhi h wo in chote khilono se nhi khelta blah blah. Kya chal chali thi usne, priya ko victim banake priya ke liye wahi sab cheeje pane ke liye make sure kr diya tha for future but usne ye bhi make sure kar diya tha ki sunny ko aise mehnge toys aur pocket money aage na mile but karamveer ne sunita ki baton ko jyada seriously nhi liya and baat aayi gyi ho gyi. Aise bhot se incident ho chuke the ab tak jaha sunny koi kasar nhi chor raha tha apne naye pariwar ke close jane ki wahi sunita koi kasar nhi chor rahi thi sunny ko sirf naye pariwar hi nhi sunny ke purane pariwar ko bhi usse dur karne ki, yahi sab sochte hue sunny ki fake smile hote hue bhi sunny ki ankhon se ik ansoon tapak gya. Jise uske dada ne dekh bhi liya aur samjh bhi liya. To harendar ne sunny ko apni gaud mein le liya aur apne seene se laga liya, sunny ko yahi to chahiye tha sunny apne dada ka sneh pate hi tut sa gaya aur pahle dil bhar ke ro liya aur fir aj ka incident kah sunaya uske dada bhi bade gaur se sab sunte rahe aur apne tajurbe se cheejo ko analyze karte rahe. Ye pahla mauka nhi tha ki jab sunny apne dil ki bat, apne incidents apne dada ke sath share kr raha ho, sunita ko bhale hi na pta ho but jab se sunny chalne ke kabil hua h, jab se usne school jana shuru kiya tha tab se har sham ko wo 1 ghanta apne dada ke sath bitata tha aur har bat share karta tha, ye bat sirf gayatri janti thi shayad yun kahe ki ye aadat gayatri ne hi sunny ko di thi taki wo apne dada ke tajurbe aur sanskar ko ache se samjh aur apna sake. Khair jab sunny ne apna dukhra kahi sunaya to harendar ne bade sneh se pucha
Harendar: kya tumhe gussa nhi aata apni maa pr
Sunny : Aata to h par hai to meri nayi maa na aur apno par kaisa gussa, haan unki soch galat h pr agar main bhi wahi soch rakhu to unmein aur mujhe mein anter kya.
Kitni achi bat boli thi sunny ne shayad yahi sanskar the, yahi maturity thi jo gayatri ne bhare the sunny mei, itni gehri soch kisi 10 saal ke bache mein milna bahot rare chance hote h jise harendar ne bhi samjha fir bat ko continue krte hue bola
Harendar: apni sadness ko apni kamjori nhi apni takat banao, apne gusse ko palo, apne gusse ko apne sharir pr lagao, itna majboot ban jao ki tumhe unki nhi balki unhe tumhari jarurat ho, bahot se log hote h jinhe hum importance dete h but unhe humari qadar nhi hoti aur jab hum majboot ho jate h apne mein saksham hote h tab wo humari importance ko samjhte h isliye apne ap ko banao.
Sunny: par wo sab kaise hoga?
Harendar: kasrat se, ache khane pine se aur achi yog sadhna se.
Sunny: par mujhe to insab mein se kuch nhi ata.
Harendar: koi bat nhi beta main hu na, main karta hu vyavastha.
To naya aghaj ho chuka tha sunny ko ab ik goal mil chuka tha jo shayad uske liye jaruri bhi tha.
To be continued.
 
Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,514
188
:congrats::congrats::congrats::congrats::congrats::congrats:for new thread bro
 
  • Like
Reactions: Naik

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,514
188
Well kuch hat k lag Rahi h story

Is Mai boht Maza ane Wala h
 
  • Like
Reactions: Naik

aalu

Well-Known Member
3,073
13,047
143
ek shaktishaali pariwar ka mukhiya bhi ghar pariwar ke aage bebas ho jata hain.... akhir pariwar se koi kaise lar shakta hain,,, larne se toh shab bikhar hi jayenge,,, ek achhi soch kee kamna se unhone sunny ke liye nayee maa le ke aaye,,, lekin wo soch sahi shabit na hui....

wakt jaroor laga lekin sunita karamveer ko apne hi bete se door karne mein kamyab ho gayee,,, lekin kya wakai karamveer apne bachhe se door ho gaye hain,,, akhir priya hain toh sauteli hi na,,, apna khoon hamesha jyada pyara hota hain insan ko...

lekin harendra jee ne saari sampatti apne bare bete ko hi de dee,,, akhir unke iss faisle pe baaki dono bete aur betio ne sawal nahin kiye,,, mana kee ameer ho lekin idhar bhi toh kam daulat na hain... khair sunita ek gareeb gurba pariwar se aaj mahlo kee raani ban chuki hain,,, aur usse yeh shara khajana khud ka dikh raha hain aur sunny unki raah ka rora....

yeh lalach,,, se utpann dwesh,,, kab krodh aur phir samay ke saath nafrat ban jaye.. harendar jee kab tak saath denge agar wo na rahe toh phir kaun sambhalega sunny ko,,, kiske najdeek jaa ke apni dil kee baat kahega... waise harendar jee ne apne jeete jee apne jaydad ko sthanantrit kar dala,,,, waise yeh jaydad pushtaini hain toh ek tarah se ispe haq toh sunny ka jaroor hain,,, na toh unke pita na hi unki mata isse vaanchhit kar shakti hain unhe...

lekin wo bachha ek pariwar pana chahta hain,,, shayad wo na mil paye...
 
Htcw456

Something that never happened......
591
2,137
123
Update-2
Harendar dhire se jakar Sunny ke baju mein baith gye par sunny ko khabar bhi na hui to Harendar ne dhire se sunny ke balon mein hath firane lage to Sunny bhi kam nhi tha use eik pal bhi nhi laga samjhne mein ki kon aisa kar sakta h kyunki Harendar pahle se hi Sunny ko isi tarah pamper karta aya h. Khair sunny apni soch se bahar aata h, kahne ko to sunny sirf 10 saal ka tha but pichle 1 saal mein wo bahot kuch seekh chuka tha kyunki na sirf usne apni maa ko khoya tha balki uske daddy jo uski aankh mein eik ansoo nhi aane dete the wo usse dur ja rahe the, sunny ko to ye bhi yaad nhi ki last time karamveer ne sunny ko kab pamper kiya tha aur wo nayi maa kitna khush hua tha sunny jab use pata chala tha ki uski nayi maa aane wali h, wo apni khoyi hui maa ki chavi apni nayi maa mein dhund raha tha pr uska bhram jald hi tut gya kyunki uski so called nayi maa usko sabke samne na sahi akele mein sotela vyavhaar karti thi, ik baar priya aur sunny khel rahe the aur priya sunny ko apne naye khilone dikha rahi thi, harendar aur karamveer dono kisi panchayat mein bahar gaye hue the, sunita tv dekhne mein busy thi, ab bache to masoom hi hote h isliye priya aur sunny ka apas mein koi bair na tha, to dono khel rahe the tabhi sunita ki najar dono pr pad jati h to wo priya ko dant deti h ki aise apne khilone kisi ko bhi degi to khilona tut jayega blah blah ab use kon samjhaye ki kisi ki khushi ke aage khilono ki kya bisat, par kahte h na jisne kabhi sukh suvidha dekhi na ho aur achanak se itna kuch mil jaye to hajam nhi hota kisi kisi ko aisa hi kuch hua tha sunita ke sath kaha uska mayka jisme mushkil se 2 kamre aur chota sa ghar, kuch bigha jameen usme parivar ka bharanposhan aur kaha pushtaini haveli aur kayi naukar chakar, croro ka bank balance 1000-2000 bigha khet. Khair sunny sunita ki bat sunke man hi man muskuraya bhale hi 10 saal ka tha wo pr wo batien aur taunt ko achi bhati samjhta tha, gayatri ne usko choti si umar se hi din duniya ki samjh deni shuru kar di thi, wo apne daddy karamveer aur harendar ke sath panchayat mein jata tha har cheej ko dhyan se sunta tha halaki kuch batein uski samjh se pare hote the pr ghar aakar wo un baton ko apne dada ya daddy se puch liya krta tha, wo apne daddy aur dada se pucha karta tha ki unhone ye faisla kyu kiya blah blah. Khair sunita ki bat pr wo muskuraya aur priya ko bola ki " Nayi maa thik kahti h naye khilone kharab ho jayenge ap mere khilono se khel lo" Ye kahkar wo apni almirah khol deta h almirah ke ander dekh kr priya ki hi nhi sunita ki bhi ankh badi ho jati h kyunki us badi si almirah mein rakhe kayi so khilone aur kuch mitti ki gullak, sunny ko aaj tak mili sone aur platinum ki chain, rings, aur kuch note ke bundle. Kul mila kr Ye chand saman hi sunny ke status ko dikhane ke liye kafi tha, aisa nhi tha ki sunny show off karta tha, bus sunny ko shuru se hi aadat thi ki jo bhi gift, ashirwad ke rup mein mile kuch khilone ya uske pariwar ke sneh mein mile aabhushan ya kapde ya fir paise wo sab ik yaad ki tarah sanjo kar rakhta tha wo aj bhi bta sakta tha ki usko platinum ki chain kisne, kab aur kyu di thi. Yahi batien thi jo sunny ko sabse alag banati thi. Khair sunny ka collection dekh kr sunita khud ko chota feel karne lagi thi but sunita to sunita h usne ye bhi mauka nhi chora sunny ko nicha dikhane ka, halaki tab wo jhuti muskurahat se priya ko boli ki dekho tumhare bhaiya ke pass kitne ache toys h chalo inse khel lo par rat ko jab wo apne karamveer ke sath thi tab usne sunny ke is behavior ko dusri tarah represent krke ki sunny mein ghamand aa gya h usne priya ko apna rutba dikhaya ki uspe khilono ki kami nhi h wo in chote khilono se nhi khelta blah blah. Kya chal chali thi usne, priya ko victim banake priya ke liye wahi sab cheeje pane ke liye make sure kr diya tha for future but usne ye bhi make sure kar diya tha ki sunny ko aise mehnge toys aur pocket money aage na mile but karamveer ne sunita ki baton ko jyada seriously nhi liya and baat aayi gyi ho gyi. Aise bhot se incident ho chuke the ab tak jaha sunny koi kasar nhi chor raha tha apne naye pariwar ke close jane ki wahi sunita koi kasar nhi chor rahi thi sunny ko sirf naye pariwar hi nhi sunny ke purane pariwar ko bhi usse dur karne ki, yahi sab sochte hue sunny ki fake smile hote hue bhi sunny ki ankhon se ik ansoon tapak gya. Jise uske dada ne dekh bhi liya aur samjh bhi liya. To harendar ne sunny ko apni gaud mein le liya aur apne seene se laga liya, sunny ko yahi to chahiye tha sunny apne dada ka sneh pate hi tut sa gaya aur pahle dil bhar ke ro liya aur fir aj ka incident kah sunaya uske dada bhi bade gaur se sab sunte rahe aur apne tajurbe se cheejo ko analyze karte rahe. Ye pahla mauka nhi tha ki jab sunny apne dil ki bat, apne incidents apne dada ke sath share kr raha ho, sunita ko bhale hi na pta ho but jab se sunny chalne ke kabil hua h, jab se usne school jana shuru kiya tha tab se har sham ko wo 1 ghanta apne dada ke sath bitata tha aur har bat share karta tha, ye bat sirf gayatri janti thi shayad yun kahe ki ye aadat gayatri ne hi sunny ko di thi taki wo apne dada ke tajurbe aur sanskar ko ache se samjh aur apna sake. Khair jab sunny ne apna dukhra kahi sunaya to harendar ne bade sneh se pucha
Harendar: kya tumhe gussa nhi aata apni maa pr
Sunny : Aata to h par hai to meri nayi maa na aur apno par kaisa gussa, haan unki soch galat h pr agar main bhi wahi soch rakhu to unmein aur mujhe mein anter kya.
Kitni achi bat boli thi sunny ne shayad yahi sanskar the, yahi maturity thi jo gayatri ne bhare the sunny mei, itni gehri soch kisi 10 saal ke bache mein milna bahot rare chance hote h jise harendar ne bhi samjha fir bat ko continue krte hue bola
Harendar: apni sadness ko apni kamjori nhi apni takat banao, apne gusse ko palo, apne gusse ko apne sharir pr lagao, itna majboot ban jao ki tumhe unki nhi balki unhe tumhari jarurat ho, bahot se log hote h jinhe hum importance dete h but unhe humari qadar nhi hoti aur jab hum majboot ho jate h apne mein saksham hote h tab wo humari importance ko samjhte h isliye apne ap ko banao.
Sunny: par wo sab kaise hoga?
Harendar: kasrat se, ache khane pine se aur achi yog sadhna se.
Sunny: par mujhe to insab mein se kuch nhi ata.
Harendar: koi bat nhi beta main hu na, main karta hu vyavastha.
To naya aghaj ho chuka tha sunny ko ab ik goal mil chuka tha jo shayad uske liye jaruri bhi tha.
To be continued.
Shandar aur jhakkas update hai mitr...
Bus Thora size chota hai...
👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩🤩
 
  • Like
Reactions: Naik
Top