• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Devil

Pratik98

Member
261
287
78
Lajawab update bhai
Waiting next
 

Arjun Singh 72

Well-Known Member
8,137
15,026
143
bhai ye story to dushre writer ki h aap ne baat ki h likhna ka bhi bas likhna start kar diye
 

The rock

New Member
72
219
33
bhai phir theek se likho na
Bhai main pely hi btaa chuka hon ya mainy nhi likhi kisi or ki hy mujhy achi lagi to main yahan post kar raha hon baki next update main khayal rakhon ga
 
Last edited:

The rock

New Member
72
219
33
bhai ye story to dushre writer ki h aap ne baat ki h likhna ka bhi bas likhna start kar diye
Main pehly hi keh chuka hon mujhy ya story achi lagi isi lia yahan post kar raha hon Ab jitny update pehly likhy gaye hain utny tak to jaisy likhi gai hy wohi post karon ga us k agy jab main khud likhon ga to btaa don ga
 
Last edited:

The rock

New Member
72
219
33
Update 3




(Ab sy kashif ki jaga main likhon ga)




Admi.chalo koi bat nhi main bhi wahin ja raha hon tum bhi sath chalo mery sath mery ghar hi reh lena




Main.nhi uncle bas ap mujhy wahan tak pohnha do baki main khud kr lon ga or pls uncle es k lia force na krna




Admi.chalo thek hy jaisy tumhri marzi



Us k bad main us admi k sath nikal para wahan ja k us ny phr mujhy us k sath chlny ko kaha per mainy mana kr dia us ny bhi zaida force na kia per jany sy phly kuch paisy us ny mujhy dy dia jis k lia mainy mana na kia wahan sy nikal k mainy socha ab kaam ka kuch krna chahiye kamai ho gi to parhai ka kuch kr sakta hon 2 din kaam ki talash krta raha mujhy jo us uncle ny paisy diye thy wo bhi khtam ho gaye thy 2 din bad aik local hotel main waiter ki job mili mainy malik ko apny rehny ka btaya to is ny wahin rehny ki ijazat dy di din ko waha kaam krta rat ko wahin so jata us ny mujhy kuch purany kapry bhi diye mery pass to thy nhi




Kuch din bad mainy jo kuch sikander k pass reh k sekha tha us ki practice start kr di socha kabhi to kaam ay gi 6 month din rat mehnat or imandari sy kaam krta raha 6 month bad kuch books ly k wahin per study krny laga schol to ja nhi sakta tha es lia wahin beth k thora boht parh leta tha




Malik ko bhi kushi hoti thi jab main parhny k lia bethta jab main books ly k bethta us wakt zaida kaam nhi hota tha per agr hota bhi to malik mujhy kuch na kehta mery hisy ka kaam bhi wo dosry larkon sy karwata tha wakt guzrta gaya or main 13 saal ka ho gaya tha




Aik din kaam krty hovy mainy 2 logon ki bat suni wo apas main bat kar rahy thy jis say mainy kamai karny ka socha



Admi1.yar tu nhi janta k street fighting main kitna paisa hy jo pass ki city mai hoti hy




Admi2.wo thek hy per agar pakry gay to kia ho ga




Admi1.kuch nhi hoga aj tak to kisi ko pata bhi nhi chala or police bhi kuch nhi karti is k liya un ko bhi paisa dia jata h




Mujhy laga k yahan sy main boht paisy kama sakta hon jis sy mujhy study mai bht help mily gi 2 din bad main apni daily ki practis kr k wapis aa raha tha k mujhy rasty mai kuch log nazar ay jo aik admi ko mar rahy thy mujhy laga yahin sy start krna chahiye es sy mujhy ya bhi andaza ho jay ga k main fight kr bhi sakta hon k nhi or mujhy kia kuch aata hy or main kia kr sakta hon inshort mainy khud ko azmana tha main un k pass chala gya




Main.kia bat hy bhai ap log isy Q tang kar rahe ho


G1(gunda1).bachy chala ja yahan say warna tu bhi bemout mara jay ga




Ab zahir hy wo 20 sy 22 saal k aadmi or main aik 13 saal ka larka un ki bat sun k




Main.uncle




G2.abe kon uncle




Main.ab main bacha hon or ap bary to ap ko hi kahon ga




G3.beta ghar jao or ja kar apni maa ka dood pio yahan ap ka koi kaam nhi




Main.wesy ap isy mar Q kar rahy hain




G4 thora gusy mai.beta chly jao wrna ap ko bhi maryn gay



Main.abe halwa hy kia mujhy maro gy mujhy hath bhi lagaya to hadi pasli tor don ga




Meri bat sun k wo hasny legy




G2.hahahaha dakho yar aik bacha hmari hadi pasli tory ga



Is sy phle k koi kuch or bolta mainy g1 ko aik kick mari jis say wo 4 say 6 feet door ja gira or main wesy hi usi trhan khara raha usy kick marny k bad tang uper uthay hovy un logon ny jab ya dakha to sab mujhy ghoor k dakhny legy G2 meri taraf aya or mujhy muka marny laga to mainy usy wahin block kr dia or us ka hath pakr kr mor kar us ki kamar ki taraf ly gaya mainy us ki bazo per thora zor lega kr aik jhakta mara or us ka bazo tor dia wo dard sy chilany lega mainy usy utha kr door phaink dia sab ya dakh kar heran thy k aik 13 saal ka larka kaisy aik moty haty katy admi ko utha sakta hy us k bad G3 or G4 2no ny mill kr hamla kiya achnak hovy hamly say main bach na saka or gir gaya jis sy thori mujhy bhi lagi mujhy gusa aany laga to mainy uth kr G3 ko aik muka mara wo nichy gir gaya mainy us k face per mukon ki barsat kr di G4 ne mujhy pichy say laat mar di main thora door ja k gira wo meri taraf bhag k aany lega mainy bhi us ki taraf dor laga di




Is sy phly k wo kuch smjh pata main ne chlang laga kr us ki chati per aik muka mara jis sy wo sambhal na paya or nichy gir gaya pass hi aik lakri ka danda para tha mainy wo utha k un ki jam k thukai ki wo sab dar kr bhag gay tab wo admi mery pas aya




Admi.tmhra naam kia hay



Main.kashif or ap ka




Admi.mera naam zeshan hy



Zeshan.kia karty ho



Main.yahin pass aik hotal main nokri krta hon wo ap ko marna Q chaty thy



Zeshan.kuch nhi bas wo meri 1 zamen per kabza krna chata hy usi k admi thy ya isi lia mujhy mar kar dara rahy thy



Main.ap karty kia ho



Zeshan.kabhi Z builders ka naam suna hy


Main.g wo to **** city k sab say amer admi hain



Zeshan.kabhi mily ho us sy




Main.nhi mila to nhi na kabhi dakha bas naam suna hy




Zeshan.main wohi hon


Main.kiaa ap hain wo



Zeshan.mery sath kaam kro gay



Main.nhi main tab tak koi or kaam nhi kron ga jab tak mery hotal k malik han nhi kehty



Zeshan.kia per agar unhon ne mana kr dia to



Main.to main nhi kron ga



Zeshan.or wo Q



Main.wo is liya k unhon ne mera boht sath dia hy mujhy us wakt nokri di jab koi mujhy apny pass bhi nhi aany deta tha mujhy tab unhon ne shara dia jab mery pass khany k lia bhi kuch nhi tha mujhy unhon ne apni olad ki trhan rakha hy to main aisy to un ko nhi chor sakta



Zeshan.agr mai un say bat kron to



Main.agar unhon ne haan kr di to thek hy wrna nhi



Wait 4 next
 

The rock

New Member
72
219
33
Update 4



Intro



Zeshan ansari.***** city ka sab say amer insan per dushman bhi boht hain per sirf aik hy jo esy or es k khandan ko jan sy marna chata hy



Sara.zeshan wife ya bht achi hain house wife



Rani.zeshan daughter boht khubsorat jitni khobsorat utni khtarnak bht ghamndi paison ka ghroor



Wo mery sath hotal tak aa gya or ja k malik sy mila us sy pata nhi kia kaha mujhy nhi pata phr malik ny mujhy bulya




Main.g



Malik.kia tu in k sath kaam krna chata hay



Main.jaisa ap kaho agar ap kaho gay to jaon ga wrna nhi



Malik.dakh main tujhy rokon ga nhi teri zindgi ka sawal hy tujhy bhi agay barhny ka haq hy kab tak yahin rahy ga main bhi to tujhy zaida kuch nhi deta



Main.mujhy zaida ki lalch nhi hy ap janty ho



Malik.mujhy pata hy per tu ja in k sath (zeshan sy) meri aik shart hy



Zeshan.mujhy ap ki har shart manzor hy kia krna hoga mujhy



Malik.zaida kuch nhi bas isy parhny likhny ka boht shok hy to usi ka bandobast krna ho ga



Zeshan.mujhy manzor hy



Us k bad main malik sy mill k apna jo thora sa saman tha le kr zeshan k sath chla gaya malik or main boht roye bhi itny salon ka sath hy or wesy bhi mujhy unhon ny apny bety ki trhan rakha tha per phr khud ko sambhal lia or chal pary zeahan k ghar usi city jahan sy bhag k main yahan aya tha per ab us ki fikr nhi thi rasty sy ham usi jungle k kareb sy guzr rahy thy to mujhy Leo ki yad aai mainy zeshan sy gari rukwai



Zeshan.kia hova yahan Q rok dia



Main.kuch kaam hy



Zeshan.yahan kia kaam hy



Main.kisi sy milna hy



Zeshan.es jungle mai kis sy milna hy



Main.hy koi 5 saal ka tha jab usy mila tha ab pata nhi wo kesa ho ga



Main jungle k andr chal para zeshan bhi mery pichy any laga thora andr jany k bad main Leo ko awaz deny laga



Zeshan.Leo ya kesa naam hy



Main.mainy hi rakha tha



Zeshan.pata nhi tum kia keh rahy ho meri kuch smjh nhi aa raha



Main us ki bat ko un suna krty hovy Leo ko awaz deta raha kafi dair tak jab wo nhi aya to mujhy laga k ya to wo mar chuka hy ya kahin chala gaya hy ham dono wapis jany k lia palty hi thy k aik zor dar dhaar sunai di jisy sun k mery hoton per muskan aa gai or zeshan dar gaya



Zeshan darty hovy.kashif chalo yahan sy yahan khatra hy



Mainy us ki suny bina agy chal para zeshan mujhy rokty hovy pichy any laga thori dur chalny k bad aik shair bhagta hova hmari taraf aany laga zeshan usy dakh k boht dar gaya



mery kareb aa k us ny mujh per chalang lagai or mera pura face chatny laga us k pichy aik sherni or sath 1 bacha bhi aa gaya zeshan ya sab dakh k heran hova or dar to wesy raha tha



Leo zeshan ko dakh k us ki taraf barh raha tha usy laga k wo mujhy koi nuqsan pohnchay ga es lia wo zeshan per hamla krny laga tha



Main.Leo nhi ya mery sath hy



Leo mery mana krty hi ruk gaya us ny mujhy halki si takar mar di or pichy mur gaya


Main.naraz hy acha yar maaf kr dy main yahan tha nhi es lia tujhy milny nhi aya



Mainy bachy ko dakh k us ki taraf barha to sherni hoshyar ho gai or dahaar mari jaisy main us k bachy ko koi nqsan pohnchaon ga jis k jawab mai Leo ny bhi aik dhaar mari jaisy usy kuch na kehny ko kaha ho main bina dary us bachy k pass gaya or usy utha k goad main betha lia



Main.Leo kia ya tumhra bacha hy



Us ny bhi han mai garden hila di main Leo sy batyn karta raha or zeshan ya sab dakh k aik to boht dara hova tha or sath hi heran bhi tha mainy usy apny pass bulaya or sath betha dia wo dar to boht raha tha per mery sath beth gaya thori bad main zeshan k sath wapis aa gaya wo dara hova to bht tha or boht sawal bhi thy us k mind mai per wo chup hi raha or mainy bhi usy Leo k bary mai kisi ko na btany ka kaha wo bhi zeshan bhi meri bat maan gaya



Ham zeshan k ghar aa gay us ka ghar boht khobsort tha mainy aj tak aisa ghar nhi dakha tha main to ghar ko hi dakhy ja raha tha wo ghar nahi mehal tha us k hilany sy mujhy hosh aya



Zeahan.kia dakh rahy ho



Main.kuch nhi ap ka mehal dakh raha tha aj tak mainy filmon main bhi aisa ghar nahi dakha



Zeshan.ab chalo andar



Wait 4 next
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,277
38,702
258
STory bahut achchi hai maine ise pahne bhi padha hai par yeh adhuri thi weha par yaar agar aap is likh rahe ho to plz puri jarur karna adhuri mat rkhna aur ab tak ke sabhi update nice hai tks
 

The rock

New Member
72
219
33
STory bahut achchi hai maine ise pahne bhi padha hai par yeh adhuri thi weha par yaar agar aap is likh rahe ho to plz puri jarur karna adhuri mat rkhna aur ab tak ke sabhi update nice hai tks

Main apni taraf say isy pura kron ga in updates mai bhi mainy thora sa apni taraf say change kia hy bas thora sa hi umed hy ap ko pasand ay ga
 
Top