Update 3
Break tak Shraddha aur Shriya mai baat nhi hui thi,Shriya ki aadat thi who samne se kabhi nhi aati thi jo bhi use dosti karna chahata hai who khud aata hai,use Shriya apna Ghulam bana leti hai.
Break se pahile,2 ladke aur 3 ladkiyan uske dost ban chuke the kam samay mai shriya ki popularity class mai bad gyi thi.ek ladke ka naam Aman joshi tha yeah wahi Aman hai jisko Shraddha ne sunaya tha dusra ladkiyan mai Misti Sen,yeah logon ka kaam hi amir log dekhe nhi unke talve chatna,in dono ke maa baap bhi yehi karte hai,in sab ke parents ka introduction apko baad mai mil jayegi tab tak intezaar.
Break Mai humesha ki tarah Shraadha aur Karan baithkar apna tiffin share kar rahe hai ek baat batana bhul gya,humesha school mai Karan aur Shraddha ek sath baithkar apna tiffin share karte hai,yeah dono ka koi dost nhi hai jo the naam ke the woh bhi shriya ke aage piche ghum rahe hai.
Dono apna tiffin share karte karte baat karne lag jate hai sabse pahile sharaddha bolti hai
Shraddha:Aunty ne aloo kofte and puri bahut badiya banaya hai maza aa gya kha key ,yeah khane ke liye mai kisi se bhi lad jaun yummy yummy.
Shraddha ka aise harkat karte hue dekhkar Karan ko acha lagta hai,sharaddha nadani mai ya kabhi kabhi janbuzkar aisi harkaten karti hai jaise Karon ko acha lage,Karan jawab deta hai
Karan:aisi baat hai,tu meri ghar akar reh le pura din aloo kofte khati reh aur moti gol matol bhaisi ban ja waisi gol matol ladoo hai.
Shraddha ko is baat ka gussa aa gya aur bolne lagi
Shraddha:Mai gol matol bhaisi hun ruko batati hun tumhe,yeah bolkar Karan ko marne lagti hai.
Karan bhagne lag jata hai Shraddha marne ke lie uske piche bhagne lag jati hai,Shraddha gusse mai bolti hai
“Jidhar ho udhar ruk jao warna bahut maar khaoge”
Karan bhi bolne lag jata hai
“Kha khake bhaisi ho gyi hai himmat hai toh pakad le”bolkar bhagne lag jata hai.
Bhagte Bhagte Shriya se takra jata hai Karan shriya se mafi mangne lagta hai
“I am sorry,galti se tumse takra gya”
Shriya apni adat ke anusar,natak karke rote hue bolti hai
“itna jor se koi marta hai,mere hath par chot lag gyi,mummy kar ke rone ka natak karne lagti hai”
Baki shriya ke chamche bolne lagte Aman sabse pahila bolta hai
“Dekh kar chalne nhi hota kya bichari ke hath mai kitna jor se laga,bhais jaisa ho gya hai akal ek paisa ka nahi.
Misti dusri chamchi bhi bolne lag jati hai kahan se akal kahan se hogi baap toh hai nhi maa ne sanskaar diye nhi isliye tamiz nhi hai kaise chala jata hai.
Yeah baat Shraddha jo wahi Karan ke paas khadi thi use bahut bura laga who gusse mai aakar Misti ko ek chamaat laga deti hai,Misti gusse mai
“Hey you”
Shraddha gusse mai bolti hai
“chup ek awaaz nhi kya Karan ulta sulta bol rahi hai uske parents ko bich mai la rahi hai,tameez toh tuzme nhi hai,koi amir ladki mili talve chatne lag jati hai,tu kya jane,Aunty kitni achi hai sabki madat karti hai,yahan par bahut bachon ka karan ne bhi padai mai madat ki hai”
Shraddha ne class ke kuch students ko bulaya,usme se ek student megha thi Shraddha ne megha se pucha
“Us din maths mai kuch sum samaj nhi aa rahe the,Karan ne hi teri madat ki thi ,toh usne kuch bola tumhe ya mana kiya”
Megha jawab mai bolti hai
“Nhi usne pyar se samjhaya sare concept samaj aya”
Shraddha misti ke upar ankh dikhakar bolti hai
“Dekha aise usne bahut sare students madat ki hai,badon ki respect karna janta hai,teacher ka favourite hai”
Yeah sab use aunty ke diye hue sanskaar se mil rahe hai
“Agli baar phir se aisa kuch bola tera muh noch lungi”
Misti gusse mai ati hai bolti hai
“Tu kya uski naukar hai jo uski tarafdari kar rahi hai,arey haan mai toh bhul gyi thi,tera baap iske yahan talve chatta hai na isliye tub hi chatt rahi hai”
Is baar gussa ane ki bari Karan ki thi
“Bol kaun raha hai pura Shimla janta Mohan sen(misti ke dad) kaisa admi hai,amir logon ke pass dum ilata rehta hai,tera baap furniture ka kaam karta hai na humare yahan aya tha dhakke marker nikala tha maa ne bhul gyi kya,aur beizatti nhi karana chahti chup chap nikal,Uncle hamari madat karte hai jiska hum sab respect karte hai,unke jaisa nek insaan puri Shimla mai kahi nhi hai,unki tulna kisi ki sochna bhi mat,Shraddha meri ek lauti best friend hai,agli baar usko kuch bola,main hi janta mai kya karunga”
Itna sabkuch sunne ke baad Shriya Khamosh thi ek evil smile ke sath kehti hai “common guys shant raho,meri wajih se aapas me jhagada mat karo,ek sath ek hi school mai padte hai aise jhagada karenge kaisa chalega,dost ban jate hai”
Karan bhi bolne lag jata hai
“sorry hum tumhare servants nhi hai,jo tum jaise logon se dosti karunga,tumne waise hi do chamche pale hai,unhi se seva karao aur baksh do hume”
Aisa bolkar Karan Shraddha ko wahan se le jata hai.
Aman Shraddha ke gusse ko ache se janta hai,isliye jab jhagada hua tab woh ek jagah darr ke shanti se baith gya
Jaise hi woh log gye Aman ne bhi apna asli roop dikhana chalu kar diya,aur bolne laga
“Sala samajta kya hai apne aap ko,ek din iska badla mai jarur lunga usko uski asli jagah dikha ke hi rahenge”
Misti gusse mai ati hai,
“Tum chup raho woh dayan mujhe itna suna rahi thi,tum chupkar tamasha dekh rahe the,aj tak sharaddha ka kuch bigad nhi paye aye bada Karan ka bigadne wala”
Shriya shant raho guys,waqt ane par iska badla hum jarur lenge abhi shant raho.
Shriya ko bahut gussa aya tha karan aur Shraddha par unlog ko apna dushman bana li hai,Shriya apni dushman ko itni asani se nhi chorengi kuch toh iske dimag mai chal raha hai dekho kya karti hai.
Karan Shraddha ko le chalte hue Shraddha ke upar gussa karte hue bolta hai
“Kitni baar kahan hai faltu ka gussa mat kiya karo,dekha kitna bada bawaal ho gya,jo bol rahi thi mujhe bol rahi thi mujhe farak nhi padta”
Shraddha kuch nhi boli uske ankh mai anshu aa gye jakar apne bench par baith gyi,Karan ki jaan nikal gyi use rota hua dekhkar.
Karan jakar use manane lagta hai
“Shraddha sorry,maaf kar do mai tumhare ache ke liye keh raha tha,unlog ki wajih se tumhara mood kharab ho gya,please maaf kar do ab kabhi tumpar gussa nhi karunga shant ho jao”.
Shraddha jab muh upar kar ke dekhti hai karan ke ankhon mai bhi anshu the woh chup ho jati hai uska ankh pochti hai
“tum pahile mujhe gussa dilate ho phir manane ate tumhe kahi baar kahan hai,koi tumhare aur aunty ke bare mai ulta sidha bole mujhe pasand nhi hai isliye gussa aa gya,tumhe bhi aa gya tha na gussa papa ko ulta bola toh phir”
Karan bhi pyar se bolta hai
“acha baba sorry agli baar se kuch nhi bolunga tumhe bas jisko phodna hai phod dena uske baad mai dekh lunga,bolkar hansne lagta hai”
Shraddha bhi mukurakar bolti tum kabhi nhi sudhroge dono ek dusre ka ankhon ka anshu pochte hai hasi Mazak karne lagte hai kuch logon ko yeah hasi Mazak bilkul pasand nhi ata hai aap jaan hi gaye kaun who log hai.Shriya and her gang.
Aj ke liye itna hi
Apna review aur like jarur dijiyega mai wait karunga.