Update
..............
To hua aisa ki jab veersen ne yudh krne ka faisla kiya to unke kulguru ne veersen ko samjayea ki vo rajghar se sandhi kr le.. pr veersen or Arjun nahi maane to kulguru ne tejaghar ko dilawar ke kehar se bachane ke liye guru ramanand ke paas Jana uchit samja. Phir vo guru ramanand ko saath lekar us kisaan ke paas gye jiska beta rajkumari Riya ke ghode ke neeche aa kr maara gya tha.. ab guru ramanand jaante the ki sirf vo kisaan hi tejaghar ki raksha kr sakta hai...
To vo log kisaan ko saath lekar Dilawar ke paas aye.
Ab agge
................
Dilawar -- theek hai gurudev hum sandhi ke liye tyar Hain.....or sandhi ki sharte bi hum ap pr hi shodte Hain....
Ramanand -- theek hai Maharaj.
Phir Ramanand veersen se bolte Hain..
Ramanand -- Rajan Kya apko sandhi manzoor hai..
Veersen -- guru ji sandhi do raja ke beech hoti hai ... Or jab hum raja hi nahi rahe to sandhi kaisi guru ji.
Ramanand -- je faisla to maharaj hi kr sakte Hain Rajan.
Dilawar -- gurudev hum kabi bi kisi ki bhoomi pr adikaar nahi krna chahte. Pr ab hum tejaghar ka raaj Rajkumar Deva ko somp chuke Hain .. es liye je faisla ab Deva hi karega.
Deva -- maharaj apka faisla hi antim faisla hai..
Dilawar -- theek hai to hum Tejaghar ka raaj veersen ko vapis karte hai.... Ab gurudev sandhi ki sharte bta dijiyea.
Ramanand -- ( veersen se) Rajan Kya ab ap sandhi ke liye tyar Hain.
Veersen -- ji gurudev.
Sandhi ki sharte
...........................
Tejaghar pr veersen ka hi raaj hoga pr tejaghar ke rajdarbar me rajghar ka visesh sathan hoga.
Yudh me hui hani ki bharpai tejaghar krega.
Tejaghar kabi bi rajghar kisi dushman ka saath nahi dega.
Or jab maharaj dilawar ki Sena vijaynagar pr chadai kregi to tejaghar vijaynagar ki sahaiyata nahi krega.
Tejaghar maharaj dilawar ko samrat maanega.
Je bol kr Ramanand chup ho jaate Hain.