• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Ajeeb si love story (completed)

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143
Update # 12

Himansh ke itna kahte hi phone ki doosri side se mamta aur aashirwad ki jhadi lag gayi . Himansh se ab ruka nahi gaya aur wo Pari ko jor se hug kar ke rone laga jabki Pari Himansh ke aisa karne se hairan thi par usne khud se Himansh ko alag nahi kiya balki uske peeth ko sahla kar chup karane lagi .wo khud bhi ro rahi thi par maa bete ko milwane par wo khush bhi bahut thi .

Himansh ko 25 saalon ke baad ahsas hua ki wo kitna adhoora tha apno ke bina . Uske gusse par sabhi ne aaj tak ghee hi dala tha kisi ne use Pari ki tarah samjhaya hi nahi tha . Wo aaj bahut hi jyada khush tha usne Pari ko achchha sa lunch karwaya wo bhi khud banakar uske baad Pari ke jidd karne par use uske orphanage chhod aaya .

Jab laut kar aaya to sab kuchh badal chuka tha . Dad ka bhi phone aaya . Ab to mom dad har pal uski khabar lene lage the . Doosri taraf Himansh ko Pari ke bin sab adhoora sa lagne laga tha . Baar baar man karta ki usase mil kar aaye lekin Pari ne sakht mana kiya tha kyu ki orphanage wali aunty ko nahi pasand tha ki koi wahan baar baar milne aaye . Upar se Pari ke paas phone bhi nahi tha . Himansh 3 dino se office bhi nahi gaya tha to wo club chal diya .

Club pahunch kar bhi wo khoya khoya tha . Aisa nahi tha ki wahan koi tha nahi ya sab use ignore kar rahe the balki Himansh hi akele rahna chah raha tha . Use Pari ke khayalon me khona achchha lag raha tha . Pichhle 5 dino me jo kuchh bhi hua tha wo baar baar uski aankhon ke samne ghoom ja raha tha khas kar Party ki raat wala hadsa jab wo khud ko Pari ko choomne se rok nahi paya tha . Wo lamha yaad kar uska dil wapas se waise hi joron se dhadak utha .

Himansh akele hi baitha tha ki wahan Reveka aur Monty aa gaye . ( Monty bhi Himansh ke office me hi job karta hai ) . Hi hallo ke baad baat shuru huyi . Reveka thoda sa Himansh par upset thi par ye un dono ke beech hota hi rahta tha to kisi ko koi fark nahi padta tha .waise bhi un dono ka rishta sirf matlab ka tha wo alag baat hai ki Reveka ko achha khasa fayeda tha Himansh ke sath relationship se .

Monty - kya bhai saab kidhar gayab ho aaj kal ?

Himansh - kuchh khas nahi bas aise hi .

Reveka- weekends ka koi aur plan mat rakhna ham sab Manali chalenge .khoob maje karenge .

Himansh- sorry par mom dad aa rahe hain to mera to unke sath hi programme hai .

Reveka - wow par tum to unse door i mean utni banti nahi thi .

Himansh - hmm doori thi kyu kabhi kisi ne pahal karna nahi sikhaya tha par abb aisa kuchh nahi hai .

Reveka- wowowo life barbaad mat karo dude .

Momty- chhod na Reveka waise bhai shadi wadi ka koi plan bhi hai kya ?

Himansh- shadi ke liye ladki chahiye hoti hai dude .

Monty- Reveka hai na ?

Reveka - no ways guys , shadi wadi mere bas ki nahi hai . Mujhe meri life ko freedom ke sath jeena pasand hai aur waise bhi Himansh ke rules and regulations mujhse follow nahi hote hai meri life me mere apne rules chalte hain . Usme shadi jaisi bewkoofi ki koi jagah nahi hai .

Reveka thodi hi der me bye bol kar nikal gayi kyu ki use ye baatein bore kar rahi thi aur haan jate jate Himansh ke ghar " raat ko aane ka bolna nahi bhooli ." Monty uske vyohar se sakte me tha .

Monty- bhai aisi ladki ko kaise jhelta hai tu ?

Himansh- paise se .

Monty- chhod na yaar iski baat ko khair tere mom dad ke baare jaan kar bahut achchha laga btw ek baat poonchhu ?

Himansh- kyu nahi .

Monty- Valentine's Day party ke din wo ladki kaun thi tere sath ?

Himansh- meri sab kuchh .

Himansh bina Monty ki ore dekhe uth kar bahar chala gaya . Monty to Monty khud Himansh bhi hairan tha apne behaviour par . Himansh ka club me dum ghutne laga to wo wahan se nikal kar seedhe Pari ke orphanage ki ore chal diya . Usne aaj Pari ko dil ki baat batane ka soch liya tha .

Assassin

Staff member
Moderator
4,493
3,988
159

:love: this update
 
  • Like
Reactions: Notebook

crazyrex

Banned
2,871
3,634
158
very nice and fantastic update
 
  • Like
Reactions: Notebook

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143

FRIDAY

Active Member
559
1,569
123
Kia update di ha bhai lajawab. Ye reveka himansh ko kab chore ghi?
Aab dekhte hai PARI Himansh ki pyar ko sikar korte ha ki nahi.
Ye story din ke din best hote ja raha hai.
Super lovely update....
Keep it up.....
 
Thanks :yo: pari kaise haan bolegi ye tedi kheer hai badi mehnat karni hogi himansh ko :D
 
  • Like
Reactions: FRIDAY

Gully Boy

Member
353
603
93
Very nice update !!!!!

Ho sakta hai.... Ki pari ke Dil mein pyaar ho... Par.... Kehte hai na... Majburi.
Ya phir situations.... Aise ho jateh hai.... Ki hum kuch Nahi Kar pateh....!!!!

Life mein joh hum sochte Hain.... Woh Asani se Nahi miltah....

Keep it up !!!
 
  • Like
Reactions: Notebook

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,670
259
Update # 11

Apne apartment pahunch kar Himansh seedhe parking chala gaya aur wahi ki lift se Pari ko baahon me uthaye apne floor ki taraf badh gaya . Use na jane kyu apne andar kuchh badlta sa feel ho raha tha . Pari ko bed par lita kar pahle wo bahar jane ke liye palta lekin jane kaun si magnetic power use wapas Pari ki ore le gayi . Himansh ne Pari ke maathe par halke se kiss kiya aur " happy Valentines day my dear " bol kar teji se room se bahar nikal gaya .

Room se Bahar aakar Himansh seedhe terrace ki ore tej kadmo se badh gaya . Is wakt use taazi hawa ki sakht jaroorat mahsoos ho rahi thi . Uski dhadkne itni tez thi ki agar koi samne khada hota to bina stethoscope ke sun leta . Himansh ka poora sharir kamp raha tha aur lips par jaise smile chipak gayi thi .jo bhi thodi der pahle usne kiya tha uske liye bilkul naya ahsas tha . Wo khud se hi baatein karne laga .

Himansh - ye kya hua hai aaj mujhko . Pahle to kabhi bhi bhi aisa nahi hua tha . Ye mera pahla kiss nahi tha par mujhe kyu lag raha hai jaise aaj mera ye pahla ahsaas tha . Ye feelings Reveka ke sath kyu nahi aati hain . Aaj kyu meri aankhein us par se hat nahi rahi thi . Uski aankhein kitni badi hain aur uske lips kitne pyare hain , Wo sach me itni cute kyu hai :love: ohh my god kahi mujhe Pari se sach much wala pyar to nahi ho gaya . Nahi nahi ye kaise ho sakta hai par ho gaya to ?

Himansh khud ko badi mushkil se shant kara paya doosri taraf Reveka ne use 50 calls sath hi 10 " go to hell " ka msg kiye sari raat me par Himansh to Pari ke khayalon me khoya tha aur sote hi uske khwabon me kho gaya .

subah jab Pari uthi to uska sir bhari tha . Raat ki koi bhi baat use yaad hi nahi aa rahi thi ki wo yaha kab aur kaise aayi . wo baal bikhere aadhi khuli aankhon se Himansh ko khojte huye hall me pahunch gayi jahan Himansh sofe par so raha tha . Pari Himansh ke sir ki taraf farsh par baith gayi aur kisi chhote bachche ki tarah uska kandha hilane lagi .

Pari - sir uthiye na please dekhiye mera sir kyu ghoom raha hai aur meri aankhein bhi nahi khul rahi hai .

Himansh- aur peelo vine sharbat .

Pari- wo vine tha:eek:

Pari ko khud par joron se gussa aa rahi thi .

Himansh - hmm ruko tum mai tumhare liye nimbu pani banata hoon . tumko achha lagega .

Himansh ko Pari ab koi ajnabi ladki nahi uske sapno wali Pari lag rahi thi jabki Pari Himansh ki smile dekh kar uski wajah Reveka se patch up ko soch rahi thi .

Himansh - aaj mausam kitna achchha hai na Pari .

Pari- hmm kyu ki aap ko to Reveka madam ke milne ka nasha hai par mujhe to thand lag rahi hai upar ye ajeeb se kapde uff pahle mai inko change kar loon waise mujhe aap le kab aaye party se mujhe to kuchh yaad bhi nahi .

Himansh - Reveka koi sharbat thodi hai jo uska nasha hoga baki tumko god me utha kar laya kyu ki tumhare kiko aur tito ne chalne se mana kar diya tha .:lol:

Pari - dekhiye aap mujhe chidhayein nahi :( abb kya karu koi nahi hai jise apna kahti to kiko aur tito ko hi apna dost bana liya . Ye dono mera sara bojh uthate hain aur uff tak nahi karte .

Himansh- sorry mera matlab wo nahi tha .

Pari- pata hai mujhe sir aap bahut achchhe ho . Aap ke hi bharose to thi mai wahan . Aap ka jitna bhi shukriya ada karu kam hai .

Himansh- mujhe tumhare sath ki jarurat hai Pari tumhare shukriya ki nahi baki maine jo kiya wo mera farz tha .

Pari - aap bahut achhe hain sir agar bura na mane to ek baat poonchhu ?

Himansh - hmm

Pari - Aap ko apne mom dad ki yaad nahi ati hai ?

Pari baat sun aaj Himansh ko gussa nahi aya balki uski aankhein nam ho gayi .

Himansh - kyu nahi aayegi yaar . Nafarat bhi to usi se ki jati ho jis se koi rishta ho . Mujhe bhi man karta hai ki maa ke aanchal ki chhanw mile . Papa ka margdarshan mile . Kyu Reveka jaisi ladki ke peechhe ghoom raha hoon mai yaar kyu ki akela hoon . Khalti hai ye tanhai mujhe . :( .kisi akele bande ka dard koi nahi samjh sakta hai .

Himansh emotional ho gaya .

Pari- mujhe pata nahi tha ladke bhi rote hain .

Himansh - to kya ladke insan nahi hote hai ?

Pari- isi baat par aap abhi call kariye apne mom ko please .

Himansh- oh no no mujhse nahi hoga please change the topic .

Lekin Pari kahan man ne wali thi jid par ad gayi khud hi Himansh ka phone liya aur mom ka no bhi khoj liya aur call bhi kar diya . Call ko Speaker mode par kar ke wo uth kar jane lagi to Himansh ne uska haath pakad kar apne bilkul paas bitha liya .

Call ko Doosri taraf Himansh ki mom ne uthaya tha . Dono taraf se sirf siskiyon ki awaaj aa rahi thi .Pari ke bhi gaalon par aansu ki boonde ludhak gayi . Himansh ke liye bahut kathin samay tha . Uske 25 saalon ke gile shikawe aur gussa pal par me mom ke aansuon me bah gaya . Jab doosri taraf se rone ki awaaj tej hone lagi to Himansh ne badi mushkil se khud ka rona roka aur bade ki pyar se bola " mom " .

Himansh ke itna kahte hi phone ki doosri side se mamta aur aashirwad ki jhadi lag gayi . Himansh se ab ruka nahi gaya aur wo Pari ko jor se hug kar ke rone laga jabki Pari Himansh ke aisa karne se hairan thi par usne khud se Himansh ko alag nahi kiya balki uske peeth ko sahla kar chup karane lagi .wo khud bhi ro rahi thi par maa bete ko milwane par wo khush bhi bahut thi .

good one.
emotional update.
aakhir kaar ek bada update de diya, thanks.
to ab kia hoga? himansh ko ab ehsaas to hua ke ussko pari se pyar ho raha hai
agguey padh ke dekhta hoon
 
  • Like
Reactions: Notebook
Top