Update 6
Aapko bata duun ki koi ground nahin hain gaon mein sabhi kheto mein khelte hain fasal jab kat jati hain tab..nahin to ye road pe khelte the aur apne hero ko nani ghar se chaska laga tha wahan pe ground tha isliye ye cricket khelne jate the ...
Phir ye sabhi dost aur gaon ke ladke leke nikal diye Cricket khelne .main bata duun ki inme sabhi garib family se the ajay aur Sonu ka bata duun isme Sonu ke papa teacher the private school mein so wo yahan nahin rehte the aur ajay ke papa ghar pe rehte the khet tha unka aur kuch gayen thi ajay inse heen pareshan rehta tha wo isko khelne jane nahin dete the..so isi ke leke hum sabhi dost ajay ko bahot chidhate the ye aapko aage pata chal jayega...
Hum sabhi log kuch 15 se 16 ladke ek heen cast wale sabhi nikle apna bat aur ball leke nadi ke paas wale kheto mein main gaya unke saath dekha kya field thi wo sarso ka khet tha jisme fasal kat gaya tha isi bich mein apna pitch bhi tha to sabhi log isi mein mst cricket 2 hours ke aas paas phir sabhi aa gayen apne ghar main bhi ghar pe aake haath muuh dhoya aur thoda der heen padha tha ki ajay bulane aa gaya bagiche mein chalne ke liye . Main maa ko bata ke gaya bagiche mein mst aam aur lichi ke ped tha uspe chadh ke sablog khel rahe the dol paat ( aap log bhi khele honge jo log gaon se honge) so unke saath mst hoke khela.
Mera sabhi dosto ke saath mst jam gaya tha ek acha bonding ho gaya tha khash kar ajay aur Sonu ke saath do heen dino mein wo log mujhse wahan bokaro ke bare mein puchte main unko sabkuch batata kyunki wo log gaon ke bahar kabhi gayen nahin the isliye unlogo ke liye ye bahot badi baat thi..aise heen khelte khelte main ek tym chor ban gaya apni galti se unlogo ne mujhe bahot thakaya jab tak main ro na diya .jab main ro diya tab jake unlogo ne khela band kiya mera to bahot halat kharab ho gaya tha.phir humlog ghar aayen ajay bhi saath aaya aur mere mummy se bola.
Ajay - chachi chotu ke apna saath ghar leke ja raha huun wahin padhega ye raat tak hamare saath ..
Mummy - thik hain ..
Ajay - chal re jaldi se apna basta utha jaldi se motka bhainsa..
Me- ha re chal na..
Phir main uske ghar pe apna book ye sab leke aa gaya phir hum sabhi main ,beauty,ajay ,Sonu aur ajay ki di sabhi log baith ke padhne lage saam tak ..saam ko hum teeno dost apna bat aur ball leke nikal gayen cricket khelne aise heen humlogo ka ek saptah nikal gaya kuch new nahin hua hum sabhi ka wahin routine tha school jana mera padhana 2 hour aur ghar cricket yahin ..aise heen ek saptah nikal gaya main bhi unlogo mein ghul mil gaya hindi bolna bhi chod diya sabke saath apna language bolne laga...sabne mujhe mst gali ye sabkuch sikha diya ek saptah mein heen main nani ghar se aane tak sidha sadha tha inke saath ek saptah mein mst tej tarrar banda ban gaya ...
Aise heen ek din hum school pahuche to dekhe humara classroom change ho gaya hain hum jisme pehle padhte the usme ab a section wale heen the uske bagal wala b section walo ko de diya gaya tha.mujhe koi problem nahin tha but yahin se problem bhi suru hua ...mere class mein kuch naye ladke aa gayen the jinko main nahin janta tha Sayed wo log kahin bahar gayen hue the humara school jis gaon mein padta hain usi gaon ke ladke the hum jab pahuche to roj ki tarah hum teen baith gayen aur teen humare dusre gaon ke same biradri ke ladke the wo so hum 6 baith gaye. Bell baja hum prathna mein gayen Jab prathna ke baad hum aayen to dekhe humara basta niche hain hum sabhi ka aur wahan pe dusra ladke logo ka basta hain hum sabhi chup chap uthayen apna basta hum piche aa gayen ajay to mst gusse mein aa gaya tha but hum usko samjha ke saant karwa diyen ..phir hum log baith gayen sir aayen hajri hua hum sabka jab mera bari aaya to sir mujhe piche dekhe to bole ..
Sir - Ritesh piche kyun baithe ho ..
Main sir ko sabkuch bata diya phir sir bole koi baat nahin hota hain jane de kal se dusre no .bench pe baith jana..ajay ko us tym bahot gussa aaya sir ki baat ko sunke but maine aur Sonu ne ajay ko saant kar diya ..phir sir mujhe class handover kar ke chale gayen main padhane jab aaya to wo jo ladke the wo mst disturb kar rahe the main unko kuch nahin bola main apna chalk aur duster liya aur mst board pe likhne laga bolne ki jagah ...aise heen unko ignore karte hue main apna hour khatam kiya .isse unlogo ko aur bura laga but unhone mujhe kuch nahin kaha...but ek naya naam jarror rakh diya vilayeti babua.. aise heen aaj bhi bina koi vighn ke aaj ka din school ka humara khatam ho gaya ...
Hum sab nikle school se ajay bechara jo apne andar gas leke baitha tha wo blast kiya mere aur Sonu ke upar.
Ajay - tora mamani ke humko tumlog rok kyun raha the ..
Sonu- bhai thandha ho le tanik dimag laga abhi ladne se koi fayeda nahin hone wala..
Ajay - bolna kya chahta hain .?
Sonu - humlog dusre gaon se hain humlog unke gaon mein aate hain so lafda karne se acha hain saanti se jane de exam mein batayege unko ..
Ajay - exam mein kaise batayenge..
Sonu - bhul gaya kya pure class mein teen subject mein humse acha koi nahin hain is motke ka to pata nahin English ke alawa kya kya acha hain but hum dono ka science ,math ,aur sanskrit acha hain na yaad hain pichla saal kaise ye log humdono ke aaju baaju ghumta tha cheating ke liye ki tani likhba se re bhaiba ..
Ajay- haa bhai yaad hain is baar nawmahi pariksha mein batayege saalo ko ..
Main ustym se dono ko chupchap sun raha tha ki tabhi ajay mere se bola..
Ajay - motka re tera kon kon sa subject acha hain .
Me- sabhi sirf sanskrit chodke u sar ke upar se jata hain
Ajay - thik hain phir tu English thik kar humsabke hum sanskrit thik karenge tera..
Me- okk done .
Aise heen baat karte karte hum sabhi ghar pahuche main jab ghar pahucha to dekha pitaji kahin ja rahe the. Aise mujhe unse koi matlab nahin tha phir bhi maa se pucha kahan ja rahe hain maa boli Delhi ja rahe hain naukri karne..main bola paisa kahan se aaya jane ke liye mummy boli ki unka jo kaan ka bali tha wo girwi rakh diye hain jabardasti us tym mera khun to bahot khaula but rista samajh ke chup ho gaya ..main fresh hoke khana khaya aur nadi ke kinare nikal gaya ...jisse jane ke tym unse milna na ho ...
Aaj ke liye itna heen dosto aage ka agla update mein PLZZ apna Dhyan rakhen
thanks and keep supporting..