• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek anjani si love story

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 3

Maa- koi baat nahin chal main tumko sabse milwa deti huun..

Ab aage;

Phir main aur mummy dono Sonu ke ghar pahuche uske ghar mein sabhi the uske didi,bhai,papa,mummy aur badi mummy aur same ghar ajay ka bhi hain.dono chachere bhai hain.main yahan undono ke mummy ko c1 aur C2 karke likhunga...

C2 - are didi aayiye aayiye ( phir dono mere mummy ka pair chuti hain) baithiye are beauty chachi ke liye pidha la ( pidha hamare yahan lakdi ke pette ka baithne ke liye bana hota hain usko bolte hain like chota stool )..
Beauty - lai mummy
Phir wo pidha lake mere mummy ke paas rakhti hain main bhi sabhi ke pair chuta huun main wahan pe laja raha tha kyunki main sabhi ko ache se nahin janta aur main thoda shy type ka bhi tha( sorry ye hero ki jubani)main beauty di ke paas gaya unka pair chua to wo boli main budhi nahin hui huun main sirf 2 saal badi huun main kuch nahin bola sirf sir jhuka liya..
C2 - bahat sarmila hain chotu ( gaon mein sabhi mujhe chotu ,ritu ,aur bhi kai naamo se bulate hain chachi log chotu jayadatar)
Mummy - nahin kisi ko janta nahin hain na isliye sarma raha hain lekin hain bahot sidha..
C1 - haan dikhne mein heen lag rahlatin ha(lag rahe hain .sorry wo flow gaon ka ban jata hain )
Phir sab log hasne lagta hain phir mummy aur chachi ye logo ka suru hota hain ladies talk jo chalte rehta hain aur main wahan bore hote rehta huun phir kijh ke mummy se bolta huun mummy humlog kisi kaam se aaye the na..
Mummy - haa wo to bhul heen gayin ( mummy chachi ko bolti hain) iska bhi school mein naam likhaya hain Sonu aur ajay ke saath kal se le jane ke liye bolne aaye thi.aur dhyan rakhne ke liye aur help kar dega naya hain na aur aadha syllabus khatam hone ke baad aaya hain so tanik madad kar dega.
C1 - didi kaisi baat kar rahi hain chotu bhi to bhai hain upar se sab eke umar ka hain so leke jayega aur help kar dega.
Mummy - kitne baje se school hai.
C2- didi e log saadhe saat baje nikal jata hain jane mein bhi paidal ek ghanta lagta hain..
M- haan u to hain tiffin bhi le jate hain na e sab .
C2 - haan didi le jata hain sab ..
M- thik hain phir ..chalte hain...
Dono chachi boli thik hain phir humdono ghar wapas aa gayen saam bhi ho gaya tha aur hamare area mein light bhi nahin tha ustym so hum sabhi lalten aur diya mein padhte the humare maa logo ne ek naya awiskar kiya tha jo bhi dawai ka jo kaanch ka bottle hota hain hamare yahan usko shishi bolte hain uske dhakkan mein ched (hole) karke cotten ka batti banake aur shishi mein carocin ka oil daal ke diya banati thi padhne ke liye ya Roshni ke liye..main jab ghar aaya to maa saanjh dikhne gayin aur main apne kitab nikal ke baith gaya tha yahan ke hisab se book mummy mere cousin se second hand li di thi wo mera senior tha to uska book mujhe mil gaya tha.paiso se ..main apna kitab nikal ke dekh raha tha ki kya kya padhna padega but jo bhi mila math chodke wo sab main padh chuka tha(u all know bihar ka math kafi tough hota hain)to mujhe acha laga then do ghanta padha aur khana khake so gaya . Phir subah mummy uthai boli tayyar ho jane ke liye school ke liye humare gaon mein ustym kisi ke yahan washroom nahin tha sablog khet mein jate the so main bhi ek lota liya pani bhara chapakal se aur chala gaya fresh hoke aaya nahaya ye sab kiya tab tak sab aa gaye the bulane school ke liye main shoes pehen raha tha to ajay bola .
Ajay- shoes mat pehen re phat jayega itni durr chalte chalte phir mummy mujhe boli ki wo sahi bol raha hain phir main hawai chappal ( sleeper) pehen ke school ke liye sabke saath nikla main dekha ki bahot log the saath 20 se 25 Jan hum sab ladka ladki milake.humlog Masti karte karte school pahuche main bhi unsabme ghul mil gaya tha ustym main thoda helthy tha isliye sabhi mujhe motka bulate the ..hum school pahuche apne class mein gayen main 7 th mein B section mein tha but us tym a aur b eksaath baithte the so humlogo ko last ka bench mila hum ek gaon se 6 ladke ek section ke the aur 2 dusre section ke aur Sonu ki didi bhi same section ki thi aur bhi teen ladki bhi hamari gaon ki...hum sabhi ladke ek bench par baithe 6 log then ghanti baji hum prathna mein gayen prathna hua us tym mera dhyan gaya....

Agla bhaag next update mein thank you all of u saath bane rahiye and keep supporting...
awesome update
 
  • Like
Reactions: Avinashraj

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 4

Ab aage;

Main us ladki ko dekh raha tha jo prathna karwa rahi thi wo do ladki thi but mera dhyan ek pe gaya ekdum cute golmatol cute si mujhe durr se bahot achi lag rahi thi main use heen dekh raha tha haath jode aur dusra reason ye bhi tha ki mujhe ye prathna yaad bhi nahin tha infect kabhi suna nahin tha isliye main usi ko dekh raha tha aur mujhe acha bhi lag raha tha mera dhyan tuta jab jaikara hua ..phir main khudse jhep gaya phir humlog class mein aaye aur sanyog se wo bhi mere class ki nikli but wo first bench pe bathi thi aur main second last pe phir main socha mann mein chodo padhai karte hain phir teacher aa gayen aur sanyog se first class English ka tha wo sabka hajri bole (attendees) mera jab roll no.aaya mujhe pata nahin tha actually ki kitna hain phir wo khud heen bole koi new ladka aaya hain kya phir main khada hua then sir bole.
Sir- new ho .
Me- ji sir
Sir- kahan se ho ( then main bataya sabkuch )
Sir phir bole baith jao main baith gaya unhone phir sabhi ko book nikalne ke liye bola humsablog nikal liye phir sir padhane lage wo ek poem padha rahe the achanak sir se mistake hua ek word mein main turat utha phir sir ko bola sir ye nahin ye word hain sir mujhe ghurr ke dekhe bole tum jayada jante ho ya main phir main bola sir aap jo sentence padhaye hain wo galat hain usko ye bolte hain sir bole mujhe aage aao.main gaya aage main wahan pe hamesha aage baithta tha isliye mujhe darr nahin laga phir sir bole pura poem padh sakte ho main bola ji haan unhone bola ratta marke to nahin rakhe ho main bola sir aap jo bhi puch lo padh ke bata deta huun uske hijjye ke saath(translate)wo mujhe ghurr ke dekhne lage wo heen nahi pura class dekhne laga jaise main koi alian huun phir tabhi ek ladki uthi aur boli (wo wahan ke mukhiya ki beti thi) thik hain phir ye wala paath padh ke batao main bola thik hain didi .phir main apne bench pe ja raha tha book lane ke liye phir sir bole ye wale book se heen padhao( hamare school mein ladka aur ladki kabhi baat nahin karte the but wo mukhiya ki ladki roll no.first thi isliye unko jalan hua but mujhe acha bhi laga)

main apna dhunn mein suru ho gaya mujhe kya pata tha ki sabko samjhana hain ki tabhi master ji bole ki baua aaram se sabko pata lagna chahiye tum to khud heen padhe ja rahe huun kavita ki tarah tani aaram se main bola sorry sir ,then phir main har ek paragraph ka English aur hindi batate gaya do heen bataya tha ki ghanti baj gayi master sahab mujhse bahot khush hue aur bole principal sir ke office mein aane ke liye lunch tym mein . Phir main apne bench pe gaya sablog mujhse gale mile aur Sonu bola tu to chappad phad diya bhaiba .phir aise heen do class hua . .

phir lunch tym mein gaya principal sir ke office mein sir ka pair chua wo aashirwad diye phir wahin introduction liye phir bole tumahara English acha hain to kyun na tum sir ki jagah apna class ko heen padhao sir sirf hajri leke aa jayenge aur Tum padhana do ghanti English ka lagatar main unko bola sir main kaisa sir bole kar sakte ho tum acha rahega na teacher bhi kam hain ek ka tum dekhlo aur tumko jo book chahiye hoga iske badla mein hum dilwa diya karenge ya aur bhi kucho chahiye hoga phir hum bole thik hain sir padha denge .

unke cabin se aaya tab tak lunch over ho gaya tha class mein ek teacher the wo padha rahe the math main gaya pucha may I come in sir , sir bole kya bola phir main wapas repeat kiya unko English samajh mein nahin aa raha tha phir ajay mujhe ishara kiya phir main hindi mein bola mins apne language mein ghusu sir (andar aaun sir) wo bole ghuso ghuso phir mere se puche wahin sab intro aur kahan gaya tha ye sab aur aakhir mein puche ye tum pehle kya puch raha tha bolo.phir main bola sir andar aane ka ijjajat mang raha tha wo bole ki hindi aata hain hum bole haan phir bole hum jab bhi ho apna bhasha mein baat karoge hum bole thik hain phir wo padhaye then last mein chutti ho gaya phir humlog basta leke nikle paidal raste mein beauty di puchi ki sir kya bole unko sab bata diye ki kya bole phir wo boli aaj se tu to humsabka sir ho gaya phir wo log mujhe chidhane lage aise heen masti karte hum ghar aa gaye...

Aage ka next update mein keep supporting thank you
superb update
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,119
56,356
304
तीसरा भाग
बहुत बढ़िया।।
कहानी गांव के माहौल के हिसाब से बहुत अच्छी है। लालटेन ढिबरी ये सब जैसे विलुप्त से हो गया है नई पीढ़ी के साथ। वैसे जीवन का असली आनंद गांव में ही मिलता था, लेकिन गांव में अब ये माहौल नहीं रह गया है। शहरीकरण गांव पर हावी होता जा रहा है।
नायक की मम्मी ने अपने पट्टीदारों के बच्चों सेअपने बेटे को मिलवाने गई तो कई महिला मिलकर महिलाओं वाली पंचायत करने लगी उन्हें याद ही नहीं रहा कि किस काम के लिए वो आई हैं। बाद में सोनू और ब्यूटी से परिचय हो जाता है अपने नायक का।
सुबह सभहि बच्चों के साथ नायक हवाई चप्पल पहनकर स्कूल के लिए निकल जाता है। वैसे नायक का नाम बढ़िया है मोटका। गांव देहात में ऐसे उपनामों की भरमार होती हैं कक्षा में पहुँचकर पिछके की बेंच पर नायक अपने गांव के कुछ लड़कों के साथ बैठ जाता है।।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,119
56,356
304
चौथा भाग

बेहतरीन

स्कूल में प्रार्थना का जिक्र बहुत ही अच्छा लगा। पुराने दिन याद आ गए। आजकल स्कूल से ये प्रथा भी गायब होती जा रही है। और जो भी हो रही है वो अंग्रेजी में हो रही है जो छोटे बच्चों के सिर के ऊपर से गुजर जाती है स्कूल में मोटका ने मास्टर साहब की ही खटिया खड़ी कर दी। वैसे मास्टर भी होशियार आदमी था उसने अपना काम मोटका से ही निकाल लिया और प्रधानाचार्य के कक्ष में भी बुलावा भेज दिया

प्रधानाचार्य महोदय ने मोटका को अपनी कक्षा में अंग्रेजी पढ़ाने के लिए कह दिया। वैसे ये छोटी उम्र में बड़ी जिम्मेदारी जैसा है कुछ।। अब तो हमारा मोटका मास्टर बन गया है।।
 
Last edited:

Avinashraj

Well-Known Member
2,000
5,643
159

ThAnk u aise detail mein describe karne ke liye...
 
  • Like
Reactions: mashish

Avinashraj

Well-Known Member
2,000
5,643
159
चौथा भाग

बेहतरीन

स्कूल में प्रार्थना का जिक्र बहुत ही अच्छा लगा। पुराने दिन याद आ गए। आजकल स्कूल से ये प्रथा भी गायब होती जा रही है। और जो भी हो रही है वो अंग्रेजी में हो रही है जो छोटे बच्चों के सिर के ऊपर से गुजर जाती है स्कूल में मोटका ने मास्टर साहब की ही खटिया खड़ी कर दी। वैसे मास्टर भी होशियार आदमी था उसने अपना काम मोटका से ही निकाल लिया और प्रधानाचार्य के कक्ष में भी बुलावा भेज दिया

प्रधानाचार्य महोदय ने मोटका को अपनी कक्षा में अंग्रेजी पढ़ाने के लिए कह दिया। वैसे ये छोटी उम्र में बड़ी जिम्मेदारी जैसा है कुछ।। अब तो हमारा मोटका मास्टर बन गया है।।

Thank u ji but jimedari uthana bahot badi baat hain abhi bhi kuch gaon aise hain bihar mein jahan english itni sahi se teachers bhi nahin jante aur ye to 2007 ki baat hai
.
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,286
304
Update 4

Ab aage;

Main us ladki ko dekh raha tha jo prathna karwa rahi thi wo do ladki thi but mera dhyan ek pe gaya ekdum cute golmatol cute si mujhe durr se bahot achi lag rahi thi main use heen dekh raha tha haath jode aur dusra reason ye bhi tha ki mujhe ye prathna yaad bhi nahin tha infect kabhi suna nahin tha isliye main usi ko dekh raha tha aur mujhe acha bhi lag raha tha mera dhyan tuta jab jaikara hua ..phir main khudse jhep gaya phir humlog class mein aaye aur sanyog se wo bhi mere class ki nikli but wo first bench pe bathi thi aur main second last pe phir main socha mann mein chodo padhai karte hain phir teacher aa gayen aur sanyog se first class English ka tha wo sabka hajri bole (attendees) mera jab roll no.aaya mujhe pata nahin tha actually ki kitna hain phir wo khud heen bole koi new ladka aaya hain kya phir main khada hua then sir bole.
Sir- new ho .
Me- ji sir
Sir- kahan se ho ( then main bataya sabkuch )
Sir phir bole baith jao main baith gaya unhone phir sabhi ko book nikalne ke liye bola humsablog nikal liye phir sir padhane lage wo ek poem padha rahe the achanak sir se mistake hua ek word mein main turat utha phir sir ko bola sir ye nahin ye word hain sir mujhe ghurr ke dekhe bole tum jayada jante ho ya main phir main bola sir aap jo sentence padhaye hain wo galat hain usko ye bolte hain sir bole mujhe aage aao.main gaya aage main wahan pe hamesha aage baithta tha isliye mujhe darr nahin laga phir sir bole pura poem padh sakte ho main bola ji haan unhone bola ratta marke to nahin rakhe ho main bola sir aap jo bhi puch lo padh ke bata deta huun uske hijjye ke saath(translate)wo mujhe ghurr ke dekhne lage wo heen nahi pura class dekhne laga jaise main koi alian huun phir tabhi ek ladki uthi aur boli (wo wahan ke mukhiya ki beti thi) thik hain phir ye wala paath padh ke batao main bola thik hain didi .phir main apne bench pe ja raha tha book lane ke liye phir sir bole ye wale book se heen padhao( hamare school mein ladka aur ladki kabhi baat nahin karte the but wo mukhiya ki ladki roll no.first thi isliye unko jalan hua but mujhe acha bhi laga)

main apna dhunn mein suru ho gaya mujhe kya pata tha ki sabko samjhana hain ki tabhi master ji bole ki baua aaram se sabko pata lagna chahiye tum to khud heen padhe ja rahe huun kavita ki tarah tani aaram se main bola sorry sir ,then phir main har ek paragraph ka English aur hindi batate gaya do heen bataya tha ki ghanti baj gayi master sahab mujhse bahot khush hue aur bole principal sir ke office mein aane ke liye lunch tym mein . Phir main apne bench pe gaya sablog mujhse gale mile aur Sonu bola tu to chappad phad diya bhaiba .phir aise heen do class hua . .

phir lunch tym mein gaya principal sir ke office mein sir ka pair chua wo aashirwad diye phir wahin introduction liye phir bole tumahara English acha hain to kyun na tum sir ki jagah apna class ko heen padhao sir sirf hajri leke aa jayenge aur Tum padhana do ghanti English ka lagatar main unko bola sir main kaisa sir bole kar sakte ho tum acha rahega na teacher bhi kam hain ek ka tum dekhlo aur tumko jo book chahiye hoga iske badla mein hum dilwa diya karenge ya aur bhi kucho chahiye hoga phir hum bole thik hain sir padha denge .

unke cabin se aaya tab tak lunch over ho gaya tha class mein ek teacher the wo padha rahe the math main gaya pucha may I come in sir , sir bole kya bola phir main wapas repeat kiya unko English samajh mein nahin aa raha tha phir ajay mujhe ishara kiya phir main hindi mein bola mins apne language mein ghusu sir (andar aaun sir) wo bole ghuso ghuso phir mere se puche wahin sab intro aur kahan gaya tha ye sab aur aakhir mein puche ye tum pehle kya puch raha tha bolo.phir main bola sir andar aane ka ijjajat mang raha tha wo bole ki hindi aata hain hum bole haan phir bole hum jab bhi ho apna bhasha mein baat karoge hum bole thik hain phir wo padhaye then last mein chutti ho gaya phir humlog basta leke nikle paidal raste mein beauty di puchi ki sir kya bole unko sab bata diye ki kya bole phir wo boli aaj se tu to humsabka sir ho gaya phir wo log mujhe chidhane lage aise heen masti karte hum ghar aa gaye...

Aage ka next update mein keep supporting thank you
Kya baat hai hero ko heroine bhi dikh gayi apne liye :D
Kamal hai.. master sahab bhi khush ho gaye uski talent aur padhayi ke prati uski ruchi ko dekh ...
So ab english subject ko Hero hi padhane wala hai puri class ko...
Khair..... ( ; , ? .) :declare: likhte waqt ye sab use kiya kijiye..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills writer sahab :yourock: :yourock:
 
Avinashraj

Well-Known Member
2,000
5,643
159
Thank you thanks ☺️ ☺️ for supporting...ji

Top