kamdev99008
FoX - Federation of Xossipians
- 9,218
- 36,349
- 219
Ab John ya Rahul Shaq ke daayre me hain kyonki Jagdish aur is shadi dono jagah Shweta ke jaane ka confirm pata Sameer aur Shweta ke alawa inhi donon ko tha... Aur shadi me ane ki John ne dhamki di thi and Rahul ne vada... Lekin Rahul ko Sameer ne mana kar diya tha aur John bilkul silently gayab raha....Part 50: 18 december 2024
aaj shweta ka mood bhi thik hai aur tabiyat bhi thik hi lag rahi hai... per abhi main usko news bataunga, uske pairon se jameen nikal jaane wali hai. army uncle ko subah maine sab kuchh bata diya tha, jab shweta uthi usse pahle. ki hamen police station jana padega. sorry police station nahin bulaya tha, ham logon ko hotel jana hai.
mai: shweta sab theek hai na?
shweta: han sab kuchh theek hai kya hua?
mai: tum mere pass baitho main tumhen kuchh baat batana chahta hun.
maine shweta ko apne pass bithakar usko baat batana shuru kar diya. shweta ekadam chaunk gai. vah ekadam dar gai thi. uska chehra ekadam utar chuka tha.
shweta: yah to javed nahin ho sakta na...
mai: pata nahin kaun kya kar raha hai...
shweta: aisa bhi to ho sakta hai ki, divyesh ka kuchh alag lafada ho. uske khoon ke sath, jagdish ke khoon ka koi vasta hi na ho.
mai: vah ham kaise bata sakte hain shweta? abhi to aisa hi lag raha hai ki tum jiske bhi bahon mein ja rahi ho... uska khoon ho ja raha hai. tajjub ki baat hai ki john ko kuchh nahin ho raha. na rahul ko kuchh ho raha hai. na mere sath kuchh hua hai. yah sab ishara isi baat per kar raha hai ke, yah jo bhi koi kar raha hai, use ham teenon se koi problem nahin hai. problem sirf tera kisi aur mardon ki bahon mein jana hai.
shweta: ya fir ham over think kar rahe hain. theek hai main police ka samna karne ke liye taiyar hun.
mai: har kisi ko bulaya hai. jo bhi shaadi mein aaya tha usse poochhtaachh ho rahi hai. vaise hi puchenge ki kisi samay per kaun kahan per tha. uske alava to koi... kaise jante ho, kab mile the, uska kisi ke sath jhagada tha ya nahin tha... aise sab sawal puchenge.
shweta: yah sare message mujhe kyon nahin aaye?
mai: maine tumhare message sare delete kar diye the. main tumhen kuchh kal nahin batana chahta tha. ek to tumhari tabiyat bhi theek nahin thi kal.
shweta: theek hi kiya jo bhi kiya... chalo koi baat nahin main aane ke liye ready hun.
mai, shweta aur army uncle teenon nikal pade hotel ki aur...
vahan jo bhi kuchh hua, usko main aapko sankshipt mein batane ki koshish karta hun. kyunki bahut kuchh chal raha hai abhi life mein. sab kuchh agar batane jaunga, to kafi waqt nikal jaega. waqt rahte hain aapko sab batate jaunga. jiski vajah se rat ko fire alarm laga tha, usko pahle police ne ham me se bula liya. jab ham ghar ja rahe the tab army uncle ne bataya ki usko kya poochha gaya tha. aur fir jo hamari baat hui usko bhi sath mein bata deta hun.
police: uncle 5 star hotel mein cigaret nahin peete aapko kisi ne bataya nahin tha kya?
army uncle: beta aisa suna to hai, main tera army wala buddha insan. pata to tha per, maine jiske sath cigaret pi thi, unhone mujhe bataya tha ki, ye cigaret se koi dhua nahin nikalta.
police: kya uncle aap bhi masti kar rahe ho? koi bhi cigaret mein dhua to nikalega na. cigarette se nahin nikalega, tum munh se to nikalega na.
army uncle: mujhe to beta hai sab bataya tha ki, dhuan nikalega hi nahin.
police: yah batao ki, aapane kab dekha tha last divyesh ko?
army uncle: raat ko main use kya kamre mein soya tha. fir yah kand hua, mujhe niche sulaya gaya. main yahan rukne hi nahin wala tha. main apne cousin bhai ke ghar chale jaane wala tha. per vah jaldi chale gaye. to mai aaj subah vahan per gaya.
fir police ne mujhe aur shweta ko bhi andar bulaya.
police: aap log jaldi kyon chale gaye the ghar?
mai: darasal sir, shweta ki tabiyat kharab thi. to ham to khana khane ke bad turant nikal gaye the.
police: aur uske bad aap aaye hi nahin.
mai: nahin sar uske bad ham log yahan per aaye nahin.
police: aur madam aap kahan per thi?
shweta: main to idhar hi thi... mere pati ke sath hi...
police: apne aakhir mein divyesh ko kab dekha tha?
shweta: maine ham jab nikale, tab mile the bus...
police: per kisi ne usko aapke sath dekha tha.
shayad vah ladka ladki... usse poochhtaachh hui hogi. ya fir usko chahte hue kisi ne dekha ho.... shweta ne acche se sambhal liya....
shweta: han sir, shaadi ke mahaul mein mile the, ham logon per bhi gaye the. per kamre mein nahin gaye the. meri tabiyat theek nahin thi. mere pati ne hi bola tha divyesh ko ke vah upar lekar jaaye. per vahan per mujhe hamare parivar ke do bacche mil gaye. ek ladki aur ek ladka, aapko pata hoga shayad. unhone hamen dekha tha. vah donon nadan hai, thoda data tha. per uske bad meri tabiyat theek ho gai. kyunki mera dhyan bhatak gaya. yah sab sochne laga ki, bacchon ko is umra mein... mera bhi ek beta hai... rahul karke... bus uske khyal aane lage.. uske bad main bhi... main niche wapas aa gai thi... ham log 10 minut bhi upar nahin the, per yah to dopahar ki baat hai na.
police: uske sath koi jhagada hua tha?
shweta: nahin koi jhagada nahin hua tha.
police: nahin aapane bataya na ki, uske bad aap ghar chale gaye.
shweta: nahin sahab, meri tabiyat pahle se hi kharab thi. aap chahe to mere doctor se baat kar sakte hain.
shweta ne police ke kahane per doctor ko call laga kar diya. doctor ke sath police ne verification kar liya. uske bad doctor ki najar humse hat gai. aur hamen bahar bhej diya. fir sirf army uncle se baat hui.
police: to uncle ji yah batao, aapke alarm bajane ke karan, room pura gila ho gaya hoga. uske bad rahul kahan soya tha?
army uncle: police sahab maine pahle hi bataya, mujhe to niche hi sulaya gaya tha. main wapas upar gaya hi nahin. kyunki kamre nahin the. aap manager sahab ko bulakar poochh lijiye.
police: vah poochhtaachh humne kar li hai. mujhe sirf yahi confirm karna tha. ek baat batao... jab yah alarm baja hoga, tab divyesh ko bahut gussa aaya hoga nahin?
army uncle: are nahin, ulta ho to dar ke mujhe bahar lekar ja raha tha. fir maine bola ki mujhse galti hui hai. to vah to hansne laga tha. kyunki pure hotel ko jaga diya tha.
fir vah bahar aa gaye. raste mein army uncle mujhe poochh rahe the.
army uncle: sameer beta yah batao, yah sare sawal to manager ko puchna chahie. mujhe kyon poochh rahe the yah sab?
mai: kya hai ke uncle, poochha hi hoga manager se sab kuchh. per manager bhi kitna sach bol raha hai ya jhooth bol raha hai, police ko cross verification karna padta hai. aapki baat aur manager ki baat agar match kar gai, to fir vah aapko kuchh nahin puchega bad mein. uski stratagy rahti hai. police hai usko ham log halke mein thodi le sakte hain. per main aapse ek baat puchun?
army uncle: kya puchna beta kya hua?
mai: uncle aapane mujhe yah bataya, ki aapane police ko yah bataya, ki aapane cigaret... matlab ki vah cigaret aapki nahin thi... kisi ne aapko di thi.
army uncle: han vah meri cigaret nahin thi. mere pass is brand ki cigaret hi nahin hoti.
mai: kaun se brand ki bata rahe ho aap?
army uncle ne, cigarette brand ka khokha hath mein diya...
mai: yah aapko kisne diya?
maine khokha upar karke shweta ko dikhaya. uncle mere pass baithe the. aur shweta piche baithi thi. maine aaine se dekha, shweta ko nahin pata yah kiska ho sakta hai? actually main poochh raha tha ki yah brand ke bare mein kabhi javed se suna hai kuchh bhi? per javed cigaret ke daru pita hai yahi baat nahin pata hai shweta ko to. vah batchit hui thi vah mujhe yad aai.
army uncle: main aise hi bahar gaya tha. shaadi mein bor ho jaate hain. hotel ke bahar chai ki tapri hai na. vahan per baithkar chai pi raha tha. waha mujhe ek ladka mila tha. usne mujhe yah cigaret peene ke liye di thi. bol raha tha ki isase dur nahin aata. give me brand ki sab brand hai. dekho na iske box per sab likha hua hai.
main kuchh jyada soch raha hun. khoon karne wala itni lambi soch rakhega kya? usko kya pata ki army uncle yahan per rukne wale the, ya fir raat ko hamare sath nahin aa paye isliye, divyesh ke room mein sone wale the. fir yah cigaret jalayenge aur, yah sab hoga. iske bare mein to hamen bhi nahin pata tha. ke army uncle aise hi ghar mein tapak jaenge. to itni sari baten to kaise pata ho sakti hai javed ko bhi? ya kisi ko bhi. ho sakta hai ki sach mein is company ne apna dusra brand is tarah ka banaya ho. research karenge to pata chal jaega. ham ghar per pahunche, uske bad maine internet per search kiya. sach mein aisa hi lag raha hai yah ek sirf ittefaq hai. dhua na chhodane wali is type ki hi brand isi packet wale graphics mein bik rahi hai. aur aise hi shaukeen logon ko, test ke liye diya ja raha hai muft mein. maine confirm kiya army uncle se, muft mein hi mili thi.
per ab isase yah baat bhi samne aati hai. ke agar, sach mein yah cigaret dhua nahin chhodati. to raat ko alarm kaise baja? matlab company to dawa karti hai, ki vah cigaret mein se dhua nahin nikalta. humne khana khaya. aur fir army uncle sone ke liye chale gaye. vah bechare masti karne aaye the. aur ab yah saja jaisa ban gaya. police ne usko kahin per bhi jaane ke liye mana kiya tha. matlab agar ghar bhi jana hai, to pahle police ko inform karna padega. sabko normally yahi bola tha. shaadi wala joda to achcha hua ki shaadi karke sham ko hi flight mein honeymoon per chala gaya tha. varna uska honeymoon bhi ruk jata. 10 din mein agar nahin pakda gaya khooni, to usko bhi sidha police station hi aana padega. achcha hai ki ladke aur ladki ke maa baap hajir hai aur har tarike se support karne ke liye ready hai. is vajah se police ne usko wapas nahin bulaya. varna usko bhi wapas bulane wale the.
main aur shweta donon kamre mein the. maine shweta ko mere dimag mein chalne wali sari baat batai.
shweta: to iska matlab yah hua ki hamen cigaret jalakar check karni chahie.
mai: maine kabhi bhi nahin hai.
shweta: are hamen cigaret peene ki kahan jarurat hai? hamen to sirf jalani hai. dekh lenge ki dua hota hai ki nahin hota. vaise maine pi bhi hai.
mai: tu cigaret pi hai?
shweta: han pi hai.
mai: kab pi?
shweta: actually jagdish cigaret pita tha. usne jab pi thi tab usne mujhe offer ki thi. main usko mana nahin kar pai. uske sath maine bhi pi li thi.
mai: daru pi piya hai kya?
shweta: many non veg bhi kha liya hai. main uske sath thi 48 ghante tak. main uski gulam thi. usne meri khubsurti ke paise diye hain... matlab dene wala tha... mujhe istemal karne ka, mujhe uske sath rahane ka hi paisa diya jaane wala tha. to fir use client ko khush karne ke liye mujhe jo karna chahie tha vah sab kar rahi thi.
mai: chalo koi baat nahin... to tum pi kar check kar sakti ho...
shweta: are maine sirf ek bar pi hai. roj thodi piti hun? ham jalakar check kar lenge. ya fir army uncle ko hi bolkar, uske sath check kar lete hain. main to sirf bata rahi hun. ke ab main pahli wali shweta nahin rahi.
yah bhi idea sahi hai, ham army uncle se to direct poochh hi sakte hain. usko cigaret jalane ke liye bolenge, sirf yah dekhne ke liye, ki usmein se dhuan nikalta hai ya nahin.... sham ko hi poochh lete hain. abhi aaram karne dete hain use.
ham sham ko army uncle ke pass jakar usko poochhne lage.
mai: ek baat batao uncle. ismein se sach mein dhua nikala tha kya?
army uncle: uske bad maine pi hi nahin hai.
mai: abhi jala kar dekh lo. pata to chale ki, ismein se dhua nikalta hai ki nahin nikalta?
army uncle ne cigarette chalai, usmein se bilkul bhi dhua nahin nikal raha tha. ek cigaret ki smell aa rahi thi. per dhue jaisa kuchh bhi nahin tha. yah bilkul aisa tha, ki mano kisi ne apne upar perfume lagaya ho. dhue jaisa bilkul bhi nahin tha. main vah jalti hui cigaret ko lekar, hamare society ke play house mein lekar gaya. yah playhouse me fire alarm lage hue the. kyunki yahan per bacche bhi khelte hain. abhi koi tha nahin, to main usko lekar andar chala gaya. aur andar mein fire box ke pass bhi lekar gaya. properly check kar liya ki fire aaram chalta hai ki nahin chalta. per fire alarm baja hi nahin. to yah shak sahi nikala, ki jo bhi alarm baja tha, army uncle ke karan nahin baja tha. aa cigarette electric cigaret bhi nahin thi. per maine dekha ke material kuchh alag type ka istemal kiya gaya. yah passive smoking ko band karne ke liye nahin brand ki testing ke liye market mein rakha gaya hai.
isase ek baat to pata chal gai. ki army uncle ke karan fire alarm nahin baja tha. usne cigaret chalai hogi, usi waqt shayad ho sakta hai, ke fire alarm baja ho. use bhagdad mein, divyesh ko kahin kisi room mein shift kiya gaya hoga. ab yah hamen nahin pata. ki usko kahan per shift kiya gaya hoga? vah yahan se to room se nikal gaya... army uncle niche chale gaye. to divyesh kis room mein gaya hoga? vahin per jo kuchh bhi hona tha vah ho gaya hai. uski lash kahan se mili thi yah mujhe abhi tak nahin pata chala. yah pata chal jaaye baat, tu bhi kafi kuchh pata chal sakta hai. per yah pata kaise chalega? kaun hai main bata sakta hai? group mein message dalta hun. koi na koi to reply kar hi dega..... maine group mein message kar diya...
mai: jo bhi hua bahut galat hua, army uncle to niche chale gaye the, reception mein soye rahe the. to kisi ko kya nahin pata ki divyesh kiske sath kis room mein chala gaya tha?
aur fir main message ka reply ka intezar karne laga.... koi na koi to bolega... bahut der raat ho chuki thi. main so gaya. kal subah ab iska jawab aane wala hai.
Think about it
Aur sochna..... Sameer bhi badla le sakta hai, lekin vo Shweta ke sath tha, Rahul ko wahan jyadatar log jante the... Lekin John ko koi nahin jaanta