Svin
Active Member
- 542
- 1,903
- 138
Akhir sala khuch to Kam AyaKuch bhi kaho Suraj ne khud ki jaan danw par lagakar Sumit ka kam aasan kar diya
Amazing update
Akhir sala khuch to Kam AyaKuch bhi kaho Suraj ne khud ki jaan danw par lagakar Sumit ka kam aasan kar diya
Amazing update
Bdiya update champ bhaiUPDATE 112
Sumit:- Aarav...Ye glass pakad.
Itna keh kar Sumit glass Aarav ki aur fenkta hai...Aarav pakad leta hai.
Sumit:- Bahut sahi Aarav...Agar gira deta to 100 rupaiya ka chuna lag jaata.
Megha ko samajh mein nahi aa raha tha ki aakhir Sumit kar kya raha hai.
Aarav:- Kya bhaiya aap bhi? Abb itna kamaate ho fir bhi 100 ki fikar?
Sumit:- Apne mehnat ka ek ek rupaiya ka mahatwa hai...Abb thodi na baap ke kamaai ka aish kar sakta hun.
Ek najar Sumit ne Megha ki aur dekha...Kuch khurafaat dimaag mein aaya.
Sumit:- Waise bhi shaadi ho jaayega to biwi aur bacche chhain se jeene kaha denge.
Bacche baap ka paise hawaa mein udaayenge jaise mai udaata tha aur Biwi...Ghar chalaane ke liye pura ka pura jeb khaali kar degi...Fir bhi uska man nahi bharega...Behtar hai abhi se ek ek rupaiya bacha kar rakho.
Ye line Sumit ne sirf Megha ki aur dekh kar bola...Megha bas Sumit ko ghurti hai.
Tab tak Sumit bade hi chalaaki se coke ki bottle se sticker faad kar fenk deta hai aur bottle ko hawaa mein uchaal kar dusre se pakad leta hai.
Fir Aarav aur apna glass ko acche se saaf karke dono mein coke daal kar Megha aur Anita ki taraf badha deta hai.
Anita glass pakad leti hai lekin Megha nahi.
Megha:- Ye kya hai jiju?
Sumit:- Itni der se tum dono yaha ho lekin thanda yaa garam bhi puch nahi sakta...Kyuki garam ke liye chaai aur coffee banane ki samaan nahi hai...Issi liye thanda hi de raha hun.
Megha:- Aur thanda mein dusro ko vodka pilaaya jaata hai?
Megha saamne Aarav ke paas ke black vodka ke bottle ko ghurti hui boli.
Sumit:- Are kuch nahi hota...Bas gatak jaao.
Megha:- Apne jaisa hi bewda samajh rakha hai kya?
Iss baar Megha ki aawaj mein gussa tha...Maahaul ekdum se shaant ho gaya...Fir Sumit Anita ko ishaara karta hai peene ke liye.
Anita:- Nahi jiju...Mai nahi peeti hun.
Sumit:- Mujh par bharosa hai?
Anita:- Megha se bhi jyada.
Megha:- Bahut hansi aa rahi hai tujhe
Sumit:- Fir kya hai...Bas jiju par bharosha rakho aur gatak jaao.
Anita ek boond peeti hai...Usse swaad jaana pehchaana lagta hai...Ek ghunt peene ke baad puri glass gatak jaati hai.
Megha ko ajeeb lagta hai...Jis ladki ne aaj tak daaru ko haath nahi lagaya usne puri glass khatm kar di ...Confusion mein khud se hi bolti hai.
Megha:- 42% concentration
Ye sunte hi Sumit hasne lagta hai...Megha Sumit ki haath se glass cheen kar ek ghunt peeti hai.
Fir jaise hi Megha Sumit ko dekhti hai...Sumit ke saath saath sabhi hasne lagte hai.
Sumit:- Maaf kijiye madam...Aapke saath chhota se bina camera wala prank hua hai...Aap chaahe to camera ki jagah mujhe dekh sakti hai.
Iss baat par Anita aur Aarav hanate hai.
Megha:- Chal Anita yaha se.
Sumit:- Lekin tum kuch bataane aayi thi...Shayad jaruri tha...Warna faaltu ki baat tum bataane itni dur kyu aati?
Iss baar Sumit ki aawaj mein vyang tha.
Megha fir Sumit ke paas aa jaati hai.
Megha:- Jaruri baat hi hai...Lekin tum bolne doge to naa!!
Sumit:- Bolo...Kaan khada kar ke sunn raha hu.
Megha:- Majaak band karo.
Iss baar Megha ka gussa dekh..
Sumit:- Accha bataao.
Megha:- Uss din tumne Raju ke saath jo kiya tha uss vajah se Raju aur Suraj gusse me hai..Tumhe sabak sikhaane ki soch rahe hai.
Sumit:- Accha...Mai to dar hi gaya.
Sumit iss baar serious hone ki acting nahi kar paaya...Aur aakhir mein jor jor se hasne laga.
Megha:- Har baat majaak nahi hota...Samjha rahi hu...Samajh jaao.
Sumit:- Hmm...aur bataao.
Megha:- Ye koi kahaani hai jo sunaati rahungi?
Bas saawdhaan raho.
Sumit:- Satark bhi rahunga.
Fir Sumit ko hansi aa gaya.
Megha:- Ye kya majaak lag raha hai tumhe?
Sumit:- Nahi...Tum mujhse ruthne ki dawaa karti ho aur meri fikar ke liye yaha tak aa gayi...Bas issi khushi mein.
Iss baar Sumit ki aawaj mein sukun tha.
Megha:- Jyada khush mat ho...Baad mein tumhara haal dekh kar afsosh naa ho...Issi liye pehle hi bataane aa gayi.
Itna keh kar Megha jaane lagi.
Sumit:- Picchli baar aaya tha to Shoulder dislocation kar ke bheja tha...Iss baar Hip dislocation kar ke bhejunga.
Uska ilaaj to surgery hi hai...Aise hi khel khel mein thik nahi hoga...Fir sochta rahega baithna kaise hai aur uthhna kaise hai.
Megha pichhe mud kar kehti hai.
Megha:- Iss bar wo akela nahi hai...Mera bhai Suraj bhi uske saath hoga.
Sumit:- Shayad kuch bhul rahi ho?
Megha:- Kya?
Sumit:- Yaad hai hamaare pehla gaanw bhraman...Ussi vakt tumhare bhaai ke baare mein kuch kaha tha.
Iss baar Megha ko yaad karne mein koi dikkat nahi hua.
Sumit:- Aur kaisa bhai hai ye tumhara Suraj? Didi ki khushi ke liye Jiju se maar bhi nahi khaa sakta?
Sumit ne hanste hue kaha lekin Megha utna hi gussa ho gayi.
Megha:- Khabardaar jo mere bhai ko haath bhi lagaya to.
Sumit:- Pata hai tumse bura koi nahi hoga.
Iss baat se Megha ka gussa aur bhadak gaya...Wo gusse mein sidhe waha se nikal gayi.
Anita:- Itna kyu tang karte ho usse...Dekha na aapne gussa ho gayi wo.
Sumit:- Gusse se ho sahi kuch to bolti hai...Warna kaan taras gaye hai uski aawaj sunne ke liye...Aankhe bhi thak jaate hai uske ek jhalak ke liye.
3 din ho gaye usse mile...Milne bhi to nahi aati...Intejaar mein pura din nikal jaata hai...Bas yahi clinic ka thoda sahara hai vakt kaatne ke liye.
Abb aise mein ek yahi to raaata hai thoda pareshaan kar do gussa dilaao...Jo bhi dil mein hai sab pata chal jaayega.
Anita:- Waah jiju...Bahut chalaakh ho aap.
Sumit:- Abhi tumne chalaakhi dekha hi kab hai
Anita:- Dekhne ke liye utsukh hun.
Itna keh kar Anita bhi waha se nikal jaati hai.
Aarav:- Waah bhaiya...Aap to kamaal ho...Thoda hume bhi sikha dijiye ladki pataane ki kala.
Sumit:- Jo banda apni ruthi hui premika ko manaane ke liye iss kafi dhoop mein dimaag khujaaye jaa raha hai ...Abb usse sikhega tu?
Aarav:- Aapko abhi bhi lagta hai ki bhabhi aapse pyaar nahi karti?
Sumit:- Itna bewkuff bhi nahi hu ki Megha ki dil ki baat abhi bhi samajh na paau.
Aarav:- Fir?
Sumit:- Kya fir?
Aarav:- Mujhe bhi sikhaiye.
Sumit:- Fursat mein...Abhi so jaa.
Aarav:- Abb aap bhaaw khaa rahe hai.
Sumit:- So jaa abhi...Warna raat ko mera dimaag khaayega tu.
Aarav:- Matlab?
Sumit:- Shaam ko mela hai gaanw mein...Jo raat tak chalega...Mai to apne Megha ke saath busy ho jaaunga...Tu bore ho kar mera dimaag khayega waapas lautne ke liye ki tujhe neend aa raha hai.
Aarav:- Aur aap sure kaise hai ki bhabhi bhi aayengi?
Sumit:- Intelligenece report hai.
Aarav fir hanste hue jaata hai aaram karne ke liye.
Shaam
Mela ka taiyaari suru hua hi tha ki Sumit ki khushi ka koi thikaana nahi tha...Megha jo dikh gaya tha usse.
Megha ke paas jaise hi wo pahuncha Megha waha se nikal jaati hai.
Jaise hi road ke dusri aur khada Suraj ye dekhta hai uska gussa niyantran ke baahar chala jaata hai.
Gusse mein wo Sumit ki taraf badh hi raha tha ki ek out of control overspeed jeep Suraj ko takkar maar deta hai...Aawaj itna tej tha ki sabhi ka dhyaan aakarshan uss taraf ho jaata hai.
Karib 20 meter dur jaa kar giraa Suraj...Girte hi khoon se lath path thodi der mein hi hosh kho baitha...Jeep bhi mauka ka faaidaa uthaa kar bhaag gaya.
Megha daud kar Suraj ke paas pahunch jaati hai...Doctor hone ki vajah se Suraj ko dekh uske haalaat ka andaaza ho gaya tha...Aur aakhir mein haar maan kar Suraj ke paas hi baith kar rone lagti hai...2 minute mein hi Megha ki Maa aur Papa bhi aa jaate hai jo yahi mela mein thhe...Sabhi ka haal waisa hi tha.
Shayad Sumit ka bhi...Wo bhi bas ek jagah baith dekh raha tha...Usne apne career mein bahut logo ko marte dekha tha...Lekin aise apne aankho ke saamne kabhi nahi.
Megha:- Ye kya hai jiju?
Gajab update champ bhaiUPDATE 113
Sumit teji se uthh kar Suraj ke paas pahunchta hai aur thoda examination karne ke baad...
Sumit:- Primary survey kar liya hai...Airway aur breathing thik hi lag raha hai...Bleeding ko rokna jaruri hai...Sir pe chot laga nahi hai...Bach sakta hai.
Achanak hi aatmavishwash se Sumit ne kaha.
Megha:- Lekin...
Sumit:- Lekin wekin kuch nahi...Abhi explanation dene ka bhi time nahi hai.
Jaldi se kisi gaadi taiyar karo.
Yaha hospital bhi to hona chahiye.
Bich mein se ek aadmi bola.
20 km dur hai.
Dusre aadmi ne jawaab diya.
Lekin wo to haddi aur accident ke liye hai.
Pehla aadmi ne kaha.
Sumit:- Kaam ho jaayega...Koi gaadi ki vyavastha kijiye.
Pehla aadmi:- Pagla gaye ho kya...Keh raha hun uss hospital mein haddi ke doctor hai aur iska (Suraj) khoon pet aur chhaati se beh raha hai.
Sumit:- Mai hun.
Aadmi:- Jhar fukh karne yaa fir praathna?
Sumit:- Surgery.
Iss baar Sumit ko bhi gussa aa gaya lekin wo filhaal gaadi ki jugaad mein laga tha...Abb tak Megha ke Papa utth kar gaadi ki vyavastha ke liye nikal pade thhe.
Aadmi:- Abb to koi bhi aira gaira surgery karne ki baat kar raha hai...Dekho beta aise emotional hone ki jarurat nahi hai...Thande dimaag se kaam lo aur vaastavikta ko swikaar kar lo.
Ek to pehle se tanaab ka maahaul upar se ye bakwaas baatein...Abb Sumit se raha nahi gaya.
Sumit:- Abb surgeon surgery nahi karega to kya aap jaise badbola karega?
Aadmi:- Surgeon...Dekhne se to nahi lagta.
Sumit:- Dikhne mein to aap bhi gadha lagte hai...Lekin hai kya?
Sumit ki iss baat par sabhi hasne lagte hai.
Sumit:- Free ka comedy show chal raha hai...Abb agar kisi ke paas thoda bhi vakt ho sahi kaam ke liye to raashta bataane ka kasht karenge?
Har beet raha pal Sumit ki bechaini badha raha tha.
Ek aadmi aa kar Sumit ko raashta bataata hai...Tab tak Megha ki papa bhi ek gaadi le kar aa chuke thhe.
M. Dad:- Ye raha beta gaadi.
Gaadi mein Suraj ko bithaane ke baad..
Sumit:- Koi teji se gaadi chala sakta hai?
Aarav:- Mai...Accha experience hai...Aapse hi competition tha...Aap bike tej chalaate thhe to mai car...
Aarav kuch bolta usse pehle hi...
Sumit:- Ye baatein baad mein...Tu tej chala sakta hai yahi badi baat hai...Megha tum bhi gaadi mein baitho...Bas yaad rakhna pressure se kisi bhi artery aur vein ka bleeding roka jaa sakta hai...Koshish karo baahar ke blood vessels ke jyada se jyada bleeding rokne ki.
Megha sir haa mein hilaati hai.
Sumit:- (To Aarav) Haan yaad aaya gaanw ke thoda hi baahar ek jagah hai jaha se tu koi bhi fluid Ringers Lactate yaa fir Normal Saline le kar Suraj ko chaddha dena...Circulation maintain karna important hai.
(To Megha) Blood group kya hai Suraj ka.
Megha:- A Positive.
Sumit:- Tum log jaldi pahucho...Mai uss Trauma Hospital mein jaa kar baat karta hun aur sabhi preparation jald hi suru karta hun jo bhi jaruri hai.
Itna keh kar thodi dur park apni bike ki aur jaata hai...Kuch hi second mein Sumit ki bike hawaa se baat karne lagta hai.
Megha ki haalat kharab tha...Aur waisa hi uske Maa aur Papa ka bhi.
Abhi bhi Megha ke dil aur dimaag mein bahut si baatein chal raha tha...Dar par bhi koi kaabu nahi tha...Bas ek chamatkaar ki hi ummeed tha.
Sumit ko Surgical gown mein dekh ummeed to badha lekin Suraj ki haalat yaad aate hi dar fir se haawi kar diya.
Wo Sumit ke karib jaa hi rahi thi ki Sumit ne ishara se rok diya.
Sumit:- Puri tarah se sterile hun abhi dur raho...Infection ka risk nahi le sakta...Suraj ke liye thik nahi hoga.
Suraj ke OT room pahunch jaane ke baad.
Sumit:- Bharosha rakho...Ek ek pal amulya hai ... Bekaar jaane nahi dunga.
Fir Sumit OT room mein chala deta hai...Assist karne ke liye Aarav aur wohi ke Orthopedic Surgeon bhi thhe.
Baahar ka mahaul naajuk tha...Aur usko badhaane ke kaam dheemi gati se badh raha vakt kar raha tha.
Megha ek kone mein khadi thi...Uske Papa paas aate hai.
Megha:- Papa...Suraj ko kuch hoga to...
Wo aage kuch bolta usse pehle...
M. Dad:- Bharosha hai mujhe...Sumit sab kuch thik kar dega...Abb to itna mulakaat ho chuka hai ki wo kya kya kar sakta hai aur kitni kaabiliyat hai ye aasani se bata sakta hun.
Accident ke time se hi dekha hai uska josh Suraj ko bachane ke liye...Vishwash hai ki wo kuch bhi kar sakta hai apne lakshya tak pahunchne ke liye raashta bhale hi kitna bhi mushkil ho.
Megha:- Sumit ki kaabiliyat par shak nahi hai...Lekin Suraj ka haal dekh kar bahut dar lag raha hai...Khoon bahut beh chuka hai...Aur shayad doctor nahi hoti to bharosha karke sab kuch Sumit par chhod deti lekin doctor hone ki vajah se pata hai ki kitna naajuk case hai.
M. Mom:- Wo kitna accha doctor ban sakta hai iss baat ka andaaza ussi vakt ho gaya tha jab pehle hi mulaakaat mein teri Dadi ko dum (asthma) ki dawaai kaise lena hai wo sikha diya...Jab ki tum log ka padhai suru hi hua tha.
Bas aise hi baaton se manobal ko badhaane ki koshish kar rahe thhe sab...Bich bich mein dar bhi haawi hota tha to kabhi ummeed ki kiran.
Abb surgery ko 5 ghante se bhi jyada ho gaya tha...Sabhi ke man bichalit hone ke saath dhairya bhi jawaab dene laga tha.
Tabhi OT room ka gate khul gaya...Aur sabse pehle baahar nikla...Sumit.
Sumit ko dekhte hi sab uske paas pahunch gaye.
Sabhi ko dekh Sumit ke honth mein ek muskaan aaya...Muskaan aisa tha ki kisi ko samajh mein nahi aaya ki ye khushi ka hai yaa dukh ka...Surgery safal hone ki khushi ki muskaan yaa itni koshish ke baawjud asafal hone ki dukh ka muskaan.
Sumit aankhein band kar leta hai...2 boond aansu aankhon se niche gir padta hai.
Megha:- Kya hua Sumit?
Dar bhari aawaj mein Megha ne pucha.
Sumit kuch bolne hi wala tha lekin achanak se wo waha se nikal gaya aur thodi dur bench mein jaa kar haath se aankho ko band kar wohi baith gaya.
Isse sabhi dar gaye...Megha Sumit ke paas jaane hi wali thi ki gate se Orthopedic Surgeon bhi aa gaye.
Megha:- Doctor...Kya hua? Abb kaisa hai mera bhai?
O. Surgeon:- To aap hai unke relative?
Megha:- Haan...Abb please bataiye kaisa hai Suraj?
Megha se aur raha nahi jaa raha tha.
O. Surgeon:- Ye ek hopeless case tha...Pehle hi pata chal gaya tha ki kuch nahi hone wala iss case mein...Khoon hi itna beh chuka tha...Upar se multiple internal injuries bhi...Grade 2 liver and spleen injury...Aur saath hi bahut jagah se blood vessel rupture aur bleeding jisko itne kam time mein repair karne ke liye ek experienced trauma surgeon ki jarurat padta jo ki yaha nahi tha.
Abb shayad sabko unka jawaab mil gaya tha...Kuch hi pal mein aankho se aansu ki dhaara behne laga aur gale se rone ki aawaj nikalta usse pehle hi
O. Surgeon:- Aapko waha baithe Surgeon (Sumit) ko shukirya kehna chahiye jisne ek hopeless case mein bhi jaan funk diya aur mujhe galat saabit kar diya...Uska wo Surgery...Gyaan aur Kala ka wo drishya...Itne saal ke anubhav mein bahut hi kam dekha hai.
Pehle to mai iss surgery ke bilkul khilaaf tha...Time waste lag raha tha...Lekin uski baatein...Pata nahi kaise lekin apni baat manaa hi liya...Baat karne sele kar har ek cheej bilkul perfect...Knowledge aur Skill...Bataane ke liye shabd kam pad jayenge.
Jaise hi pet ko chir kar andar badha har ek artery aur uska branch ka knowledge tha usse. Yaha tak ki artery ke aakhir tak ke branch ko ligate (stopping bleeding by surgical procedure) kiya. Hamara operation centre itna bhi advanced nahi hai...Electrocautery nahi hai...Jisse aasani se bleeding stop kiya jaa sake...Bas ligation hi ek option tha...Jismein usse maharath haasil tha...Itne kam time mein itne arteries aur vein ko ligate kar diya dekh kar hi hairaani ho raha tha.
Uss surgeon ki aawaj mein abhi bhi hairaani tha...Kabhi wo Sumit ko dekhte to kabhi Megha aur uske pariwar ki aur dekh Sumit ki bhar bhar ke taarif karte.
M. Dad:- Aapse bhi accha surgery kiya Sumit ne?
O. Surgeon:- Mera to main focus Orthopedic Surgery mein hai...Ye uska field tha mai to bas assist kar raha tha...Lekin vishwash kijiye iske field mein aaj jo isne kar dikhaya hai bahut kam surgeon kar paate hai...Wo bhi itne kam experience mein.
Abb Megha teji se Sumit ki aur badhti hai.
Sumit:- Paani...Jaldi se paani le kar aao....Thanda paani...Fridge ka.
Dard bhari aawaj mein Sumit ne kaha.
Megha paani laa kar deti hai...Sumit wo paani peene ki jagah tej gati se chal kar OT ke paas ke washroom mein jaata hai.
2 minute baad waapas nikalta hai...Chehra aur Baal puri tarah se bheenga hua tha.
Sumit:- Maaf kijiye...Tabhi baat karne ki haalat mein nahi tha...Thak chuka hun...Mentally...Ek to kal raat bhar soya nahi tha aur aaj ye accident...Suraj ko bachane ke liye khud ki thakaan se bhi ek yuddh lad raha tha...Jo bholenath ki kripa se sab kuch thik raha.
O. Surgeon:- Kitna bhi bada surgeon kyu naa ho...Har surgery ke pehle uparwala hamesha yaad aate hai...Especially emergency surgery mein.
M. Dad:- Pata nahi beta...Kya jahu kuch samajh mein nahi aa raha hai...Bas tumhara ye ehsaan....
Sumit:- Ehsaan ki baatein fir kabhi karenge uncle...Abhi haalaath thik nahi hai...Aankh aur sir mein bahut dard ho raha hai...Neend ki bahut shakht jarurat hai.
Megha:- Kal raat kyu nahi soye?
Megha ki aawaj mein bahut badlaaw aaya.
Sumit:- Tum sone dogi to na?
Kisi tarah muskura kar Sumit ne kaha.
Sumit:- Tumne jo bomb foda tha ki tumhara shaadi hone wali hai...Neend kaha se aayegi
Fir Sumit waha se nikalne laga.
O. Surgeon:- Kuch contact to dete jaao?
Sumit:- Kal aaunga sir...Abhi kuch der aur rahunga to sach mein paagal ho jaaunga...Fir aapko mere liye psychiatric ward alag se kholna padega.
Iss baat par sabhi muskuraane lage.
Sab khush thhe...Jo ummeed Megha aur uske Maa, Papa aur ghar baithi daadi chhod chuke thhe wo chamatkaar aakhir ho hi gaya...Sumit ke liye sabhi ki ijjat aur badh gaya...Abb bas unhe Suraj se milna tha...Jiske liye kuch der ka intejaar aur baaki tha.
Is Bhosdiwale chacha ko kya taklif h bhai..Dekho beta aise emotional hone ki jarurat nahi hai...Thande dimaag se kaam lo aur vaastavikta ko swikaar kar lo.
Welcome on the story Pappu bhai ...Keep supporting.Superb update
Thanks Smith bhai for your support and comment...Keep supporting.Awesome
Update
Welcome Karan bhai on the story ...Keep supporting.Nice update bro
Thanks Lionheart bhai for your support and comment...Keep supporting.Great yrr mazaa Agaya .
Thanks mbindas bhai for your support and review...Keep supportingKuch bhi kaho Suraj ne khud ki jaan danw par lagakar Sumit ka kam aasan kar diya
Amazing update