• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 111


Sameer…Sameer…Abb utth bhi jaa…Kab tak aise hi sota rahega?

Agle din subah ke 11:00 am me Mrs. Sharma Sameer ko uthaa rahi thi…Sameer itna gehri neend me soo raha tha ki usse bilkul bhi fark nahi par raha tha…Wo bina hile sota raha.

Mrs. Sharma ki kuch der tak Sameer ka naam le kar chillane ke baad aur hilaane ke baad Sameer neend se jaaga…Lekin neend ka asar abhi bhi uss par tha…Usne aankh khole bina hi kaha.

Sameer:- Sone do na Priya…Bahut neend lag raha hai…Raat me 3:00 am me soya tha…Tumse baat karne ke baad bhi kuch der tak jaag raha tha.

Sameer ne to ye baat keh diya iss baat se anjaan ki usne jo kuch bhi kaha hai usne Priya se nahi balki apna Maa se kaha hai.

Mrs. Sharma:- To fir utna raat tak kya kar raha tha?

Mrs. Sharma ne thoda gusse ke saath pucha…Iss baar Sameer ne apni Maa ki aawaj pehchaan liya…Wo hadbada kar utha aur Maa ki taraf dekha…Jab usse yakin aaya ki yaha uska Maa hi hai to fir thoda darte hue kaha.

Sameer:- Maa…Aap yaha…Kab se? Aur itni jaldi kyu uthaaya?

Ek hi saans me Sameer ne ye saari sawaal puch diya.

Mrs. Sharma:- Itni jaldi? Tujhe ye itna jaldi lag raha hai…Ghadi dekh…11 baj raha hai.

Mrs. Sharma ki baat sunne ke baad Sameer ne ghadi me time dekha…Time dekh ke wo thoda chaunk gaya…Wo jitna bhi late sota tha 10:00 am tak utth jaata tha…Aaj late hone par usse khud par hi hairaani ho raha tha.

Sameer:- Aaj late ho gaya…Raat me bahut late soya tha.

Sameer ne der utthne ki vajah bataya.

Mrs. Sharma:- Aisa kya ho gaya ki tujhe itna der se sona pada.

Abb Sameer ka neend lagh bhag gaayab ho gaya tha…Wo puri tarah se hosh me laut aaya.

Sameer:- Kal raat jyada khushi ki vajah se neend nahi aaya.

Sameer ne khushi ke saath jawaab diya…Usko Papa ne maaf kar diya hai ye baat yaad karke wo abhi bhi khus tha.

Mrs. Sharma bhi Sameer ko itne din baad khus dekh kar wo bhi khus ho gayi thi.

Mrs. Sharma:- Ha khushi ki baat to hai…Bahut dino baad tujhe Papa se maafi mil hi gaya…Lekin ek baat bata tu keh raha tha ki tu Priya se raat me baat kar raha tha…Kya baat kar raha tha usse?

Mrs. Sharma ne pehle ki kuch baatein khushi ke saath kaha aur aakhiri ki kuch baatein Sameer se iss tarah pucha jaise unhe shak ho gaya tha ki Sameer aur Priya ki dosti kuch jyada hi badh gaya hai.

Sameer jis sawaal se bachna chaahta tha fir ussi sawal me atak gaya…Kisi tarah baat sambhaalne ke liye usne kaha.

Sameer:- Kal raat mai fresh hone ke liye chhat me gaya tha…Waha Priya bhi aa gayi…Kal raat to waise bhi khus tha, baat karne ka accha mood ban gaya tha…Issi tarah se baat karte hue bahut raat beet gaya.

Sameer ne kuch hi sach baat bataya…Daily raat me chhat me ek dusre se baat karne ki baat usne Maa se chupaa liya.

Mrs. Sharma:- Sameer maine mehsus kiya hai ki tera aur Priya ki dosti thoda jyada hi gehra ho gaya hai.

Mrs. Sharma ne iss baar indirectly Sameer se pucha ki wo Priya se pyar karta hai ya nahi…Sameer ne bhi unki ye baat samajh liya…Fir bhi usne kaha.

Sameer:- Ha Maa…Bahut gehra dosti ho gaya hai…Khud mujhe bhi nahi pata kaise aise haalat me itni jaldi usse itna gehra dosti ho gaya…Saare nafrat aur galat fehmi kuch hi pal me gaayab ho gaya…Iss baat se mai bahut khush hu ki itna galat hone ke baawjood sab kuch thik ho gaya.

Sameer ne bhi Mrs. Sharma ki baat ka jawaab ghumaa kar diya.

Mrs. Sharma:- Mai bhi bahut khush hu ki itni jaldi sab kuch thik ho gaya…Priya ke saath kuch galat nahi hua, Tune apni galti ko maan liya aur vakt rehte sudhaar liya, Tujhe tere Papa aur Priya ne maaf kar diya aur tu Shruti se bhi bach gaya…Itne din me kitna kuch badal gaya…Sach me tere chehre me khushi dekh kar mai bhi bahut khus hu.

Mrs. Sharma ne bhi khus ho kar kaha.

Sameer ne unki iss baat ka koi jawaab nahi diya.

Mrs. Sharma ko fir picchli baat yaad aa gaya aur unhone fir pucha.

Mrs. Sharma:- Sameer ek baat sach sach bata…Tu Priya se pyar karne laga hai na?

Iss baar Mrs. Sharma ne directly ye baat puch liya…Sameer ne jab unka ye baat suna wo fir se uljhan me padd gaya…Kuch jawaab nahi de paa raha tha…Khud ke jawaab me hi ulajh gaya…Kisi tarah usne jawaab diya.

Sameer:- Nahi Maa…Lekin aapko aisa kyu laga.

Sameer ki aawaj se hi pata chal raha tha ki wo kitna ulajh gaya hai…Uski iss baat ko Mrs. Sharma ne bhi mehsus kiya.

Mrs. Sharma:- Jab bhi tum dono baat karte ho ya fir ek dusre ko dekhte ho to kisi ko bhi lagega ki tum dono ek dusre se pyar karte ho…Maine tum dono ko dekha tha kabhi kabhi chhat me ek dusre se baat karte hue…Yahi sab ki vajah se mujhe laga ki tum dono ek dusre se pyar karte ho.

Mrs. Sharma ne unko aisa lagne ki vajah bataya.

Sameer:- Nahi Maa…Mujhe Priya se pyar nahi hua hai…Mai to usse apna dost manta hu…Aur aap ko jo bhi laga wo dosti hai pyar nahi.

Sameer ne bhi apna jawaab diya…Sameer ne bahut mushkil se ye jawaab diya…Mrs. Sharma ne bhi uska ek aur jhuth pakad liya…Lekin wo Sameer ko iss baat ke liye jyada jawaab nahi dena chaahti thi.

Mrs. Sharma:- Accha koi baat nahi…Shaayad mujhe hi galat fehmi ho gaya hai…Agar tujhe Priya se pyar ho bhi gaya to koi baat nahi…Priya ko bahu maane me mujhe koi problem nahi hai.

Mrs. Sharma ne hans kar iss baat ko kaha…Sameer unke iss baat par koi jawaab nahi de paaya…Wo khud me hi uljha tha ki wo Priya se pyar karta hai ya nahi….Aur aise me Maa ka iss tarah ka sawaal…Usse kuch bhi samajh me nahi aa raha tha ki usse kya jawaab dena chaahiye.

Sameer ko chup dekh kar fir Mrs. Sharma ne pucha.

Mrs. Sharma:- Abb aha kho gaya.

Sameer:- Kahi nahi…Office ki kaam ke bare me soch raha tha.

Baat ko taalne ke liye Sameer ne kaha.

Mrs. Sharma:- Aaj itni der se uttha hai…Abb to tera office band hone ka time hai…Chal niche aa khaana khaane ke liye…Pehle hi itna late ho gaya hai.

Mai bhi tujhe khaana khaane ke liye bulaane aayi thi…Uthne me hi bahut deri kiya tune aur jab utha to baato me hi ulajh gaye…Abb der mat kar…Fresh ho kar khaana khaane niche chal.

Pyar ki topic ko band karke iss baar unhone Sameer ko khaane ke liye bulaaya.

Sameer:- Ok Maa…Nahaa kar aata hu.

Sameer ki iss baat par Mrs. Sharma ne manjuri dekar wo niche chali gayi.

Apne kapda uthaa kar Sameer bhi bathroom me chala gaya.

Sameer ne nahaane ke liye Shower on kiya.

Shower body par padte hi usne khud ko kaafi halka mehsus kiya.

Aise me hi usse khayal aaya ki aaj wo kyu Mrs. Sharma ko kuch jawaab nahi de paa raha tha jab unhone usse ye pucha tha ki wo Priya se pyar karta hai ya nahi.

Wo iss baat ko sochte hue khud se hi baat karne laga.


Sameer:- (To Himself) Kya ho gaya hai mujhe…Itne aashaan sawaal ka jawaab nahi de paaya…Aashaani se jawaab de sakta tha ki mujhe Priya se pyar nahi hua hai…Lekin dhang se jawaab nahi de paa raha tha…Khud me hi ulajh gaya tha.

Kya vajah ho sakta hai…Jab bhi baat Priya ke bare me hota hai yaa fir usse alag hone ka…Kabhi dhang se koi faisla nahi le paata…Aakhir kyu aisa ho raha hai…Iss tarah se to kabhi uljhaa nahi tha.

Kahi mujhe Priya se pyar to nahi ho gaya hai.


Sameer itna keh kar chup ho gaya…Uske chehre me aise bhaaw aa gaya jaise wo apne hi iss soch me chaunka hai.

Fir wo sochne laga.


Sameer:- (To Himself)Abb to mujhe bhi shak ho raha hai…Shaayad mujhe Priya se pyar ho gaya hai…Jab bhi wo hansti hai, mujhse hans kar baat karti hai mera najar uss par hi tik jaata hai…Man karta hai ki uske chehre se najar kabhi na hataau…Hansti hui Priya sach me bahut pyari lagti hai.

Sameer ne Cinema Hall me Priya ka hansta hua chehra ko yaad kiya.

Sameer:- (To Himself) Jab bhi Priya ka alag hone ka khayal aata hai tab dil me achanak hi ghabraahat paida ho jaata hai…Aisa lagta hai ki wo hamesha mere saath hi rahe aur kabhi mujhse dur na ho.

Uske saath rehne me alag hi khushi aur dur hone ki khayal se hi maayusi chaa jaati hai.

Abb to uski har adaa, har baatein pyari lagne laga hai.

Kya yahi pyar hai?


Sameer ne khud se hi pucha.

Kuch der sochne ke baad usne khud hi jawaab diya.


Sameer:- (To Himself) Shaayad Haa…Abb to mujhe aisa hi lag raha hai…Maa ne bhi kaha tha ki jo bhi ham dono ko dekhega wo kahega ki ham dono ek dusre se pyar karte hai.

Lekin dil kyu nahi maan raha hai ki ye pyar hi hai? (Kuch der baad) Lekin inkaar bhi to nahi kar paa raha hu ki ye pyar nahi hai.

Shaayad ye pyar aisa hi hai…Shaayad badhte vakt ke saath ehsaas ho jaayega ki mujhe sach me pyar ho gaya hai.

Agar ye pyar hai bhi to kya ye thik hai…Kya mujhe pyar par bharosha kar lena chaahiye ki iss duniya me saccha pyar naam ka koi cheej hota bhi hai? Jitna bhi pyar dekha hai, suna hai sab dhokhebaazi aur bewafaayi me hi badal jaata hai…Kahi mai bhi wohi galti to nahi dohra raha hu jo Mahesh ne kiya tha?


Iss khayal se Sameer fir khayal me pad gaya.

Sameer:- Lekin har baar pyar ka manjil bewafaayi aur dhokhebaazi hi ho aisa jaruri to nahi…Priya kehti hai ki saccha pyar aaj bhi hota hai…Itna to yakin hai ki Priya mujhe kabhi dhokha nahi degi…Haa ye ho sakta hai ki wo mujhse pyar nahi karegi lekin wo dhokha bhi nahi degi…Uss par mai vishwas kar sakta hu.

Iss khayal ne Sameer ko yakin dilaaya ki sacchaa pyaar aaj bhi duniya me hota hai.

Sameer:- Agar sachaa pyar ho bhi gaya to kya faaidaa…Bahut jald hamaara divorce bhi hone wala hai…Aur fir wo mujhse hameshaa ke liye alag ho jaayegi.

Iss soch ne Sameer ke dil me ek dar paida kar diya…Fir khud ko sambhaal kar aatma vishwas ke saath usne kaha.

Sameer:- Nahi nahi aisa nahi hoga…Divorce ke liye abhi bhi 8 months bache hai…Bas ek baar yakin ho jaaye mai Priya se sach me pyar karne laga hu…Tab mai usko apne pyar ka ehsas dila kar hi rahunga…Usse itna pyar dunga ki wo mujhe chhod kar jaane ka sochegi bhi nahi…Mujhe khud par itna vishwas to hai.

Itna sochne ke baad Sameer ke chehre me santushti ke bhaaw aa gaye…Baaki ka faisla usne vakt ke haath me chhod diya…Wo jaldi se naha kar niche dining table ki taraf jaane laga.

Kuch hi pal ke soch ne uske dil aur dimaag me ye ehsas paida kar diya ki wo bhi Priya se pyar karne laga hai.
Gajab update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 112


Lunch karne ke baad Sameer waapas apne room me aa gaya…Der se uthne ki vajah se wo office ke liye late ho gaya tha…Abb uske paas karne ke liye kuch nahi tha…Baithe baithe wo bore ho raha tha.

Kuch der aise hi baithne ke baad usne Rajesh ko phone karne ka socha.

Phone utha kar usne Rajesh ko call lagaya…Rajesh ka phone busy tha…Sameer ne 2 minute baad fir try kiya aur fir se wahi response.

2, 3 baar aur try karne ke baad bhi jab Rajesh ka phone busy hi raha to thoda sa muskuraate hue usne kaha.

Sameer:- Girl friend kya mil gaya…Ye to 24 hrs gf ke saath hi phone par busy hone laga.

Fir Sameer ne Mahesh ko phone lagaya…Iss baar phone me switch off ka reply aaya.

Sameer:- Ye bhi ajeeb ladka hai…Mobile aur Internet ke duniya se to jaise iska koi rishta hi nahi hai…Modern version of sanyasi…Kabhi kabhi mushkil se hi phone lagta hai.

Bahut ajeeb dost mila hai mujhe bhi…Ek ko gf se fursat nahi aur dusre ke paas mobile ke liye vakt hi nahi.

Itna keh kar Sameer ne mobile me fb on kiya…Kuch der fb chalane ke baad wo fir bore hone laga…Tv on kiya to usme bhi boring programs…Abb usse samajh me nahi aaya ki kya kare.

Kuch der yunhi wo room me idhar udhar tehalne laga…Usne chhat me jaane ka socha…Fir usne socha ki abhi dopahar me bahut garmi hoga.

Abb uske paas kuch sochne ke liye nahi bacha…Ghadi me dekha to 1:00 pm baj raha tha.

Sameer:- Karne ke liye abb kuch nahi hai…Bore bhi ho raha hu…Soo kar hi time paas karna padega.

Itna keh kar wo bed par chala gaya sone ke liye…Bed me laite 15 minute ho gaya fir bhi usse neend nahi aaya.

Vakt ke saath wo aur bore ho raha tha…Kuch der baad uske dimaag me achaanak ye khayal aaya.

Sameer:- Aise to aur bore hota rahunga…Priya ke room me jaana chaahiye…Uske saath baat karne se vakt kab beet ta hai pata hi nahi chalta.

Sameer itna keh kar vakt se utth gaya fir kuch sochte hue ruk gaya.

Sameer:- Lekin mai Priya se kya kahunga…Agar usne pucha ki mai kyu uske room me aaya hu to kya jawaab dunga?

Ye sawaal karte hue Sameer ruk gaya…Wo Priya ke room me jaane ka bahaana dhundne laga…Kuch der sochne ke baad usne kaha.

Sameer:- Keh dunga baat karne aaya hu…Bore ho raha tha to baat karne aa gaya.

Bekaar hi itna soch raha tha…Mujhe nahi lagta wo aise sawaal puchegi…Agar puch liya to jawaab de dunga ki aise hi baat karne aaya hu.

Itna keh kar Sameer Priya ki room ki taraf jaane laga…Aaj usse Priya ke paas jaate hue kuch alag sa feel ho raha tha.

Kuch der baad wo Priya ke room ke pas pahunch gaya…Gate knock karne ke liye haath uthaaya aur wo gate knock karne hi wala tha ki usne apna haath picche khinch liya.

Usse khud apni iss harkat ka vajah pata nahi chala…Wo apne man me thoda frustrated ho kar sochne laga.

Sameer:- (In his mind) Pata nahi kyu bevajah dar raha hu.

Itna keh kar usne iss baar gate me knock kiya.

Kuch der baad Priya ne gate khola...Priya ne Sameer ko iss vakt apne room me expect nahi kiya tha...Thoda hairaani se wo Sameer ko dekhne lagi.

Sameer kuch kehta usse pehle hi Priya ki room se Mrs. Sharma ki aawaj aaya.

Mrs. Sharma:- Priya...Kaun hai gate par?

Priya ko bahut der tak gate par khada dekh kar unhone pucha.

Priya:- Sameer.

Thoda hadbada kar jawaab diya Priya ne.

Sameer ka naam sunte Mrs. Sharma ko pehle thoda ajeeb laga lekin agle pal unhone soch liya kya vajah ho sakta hai Sameer ka Priya ke room me aane ka...Unhone kuch nahi kaha.

Priya ne gate thoda aur khol diya aur Sameer bhi andar chala aaya...Sameer andar jaate vakt soch raha tha ki usse andar jaana chaahiye ya nahi...Maa ki maujudgi me usse andar jaane ki himmat nahi ho raha tha...Lekin waapas lautne ka bhi vajah nahi tha uske paas.

Himmat karte hue wo room me chala gaya.

Usne dekha ki uske Maa bed ke ek side baithi thi...Maa ki yaha maujudgi ki vajah usse samajh me nahi aaya...Aur wo ye baat puchne ki haalat me bhi nahi tha.

Wo bhi jaake bed ke ek side me baith gaya lekin bola kuch nahi...Kuch der baad Priya bhi Sameer aur Mrs. Sharma ke paas aa gayi.

Priya:- Sameer...Tum yaha iss vakt...Kya baat hai?

Priya ne thoda serious ho kar pucha...Sameer pehli baar uske room me aaya tha dono ke iss room se alag hone ke baad...Priya ko laga jarur koi serious baat hai issi liye Sameer yaha aaya hoga.

Sameer:- Bore ho raha tha...Issi liye baat karne aaya tha.

Sameer ne kuch der baad jawaab diya...Wo soch kar jawaab de raha tha...Yaha Priya hi nahi thi jisse wo dil ki baat kar salta tha yaha par uski Maa bhi thi.

Mrs. Sharma:- Bore hone par tujhe Priya hi yaad aayi...Pehle to jab bhi bore hota tha mere paas aata tha baat karne ke liye...Priya aa gayi to tu bhi badal gaya.

Mrs. Sharma ne Sameer ki haalat ka majaa lete hue kaha.

Mrs. Sharma ki iss baat se Sameer aur Priya dono ke ajeeb sa haalat ho gaya...Dono ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya jawaab de.

Sameer:- Nahi Maa...Aisi koi baat nahi hai...Priya se ek jaruri baat karna tha issi liye yaha aaya tha.

Sameer ne baat ko sambhaalne ke liye kaha...Lekin uska uska ye jhuth uske Maa se chhup nahi saka...Mrs. Sharma iss baar kuch nahi boli.

Kuch vakt beet jaane ke baad bhi khaamoshi pehle ki tarah hi kaayam raha...Koi kuch bol nahi raha tha.

Mrs. Sharma:- Tujhe Priya se baat karna tha na?

Sameer ko bahut der se chup dekh kar Mrs. Sharma ne pucha.

Sameer:- Rajesh keh raha tha ki uska aur Divya ka engagement hone wala hai bahut jald.

Sameer ne Priya ki taraf dekha aur kaha...Iss baar Maa ki sawaal se bachne ke liye usne jhuth ka sahara liya...Usse isse behtar jhuth mila hi nahi.

Priya:- Kya?

Sameer ki iss jhuth par Priya ko vishwaas hi nahi hua...Hairaani ke saath usne kaha.

Priya:- Divya ne itni badi baat abhi tak mujhe bataya kyu nahi? Bahut baatein chupaane lagi hai aaj kal.

Priya ne Divya se naarajgi jataate hue kaha.

Sameer:- Phone me puch lena.

Kuch der baad Sameer ne kaha.

Mrs. Sharma:- Tu itni der baad kyu jawaab de rahi hai.

Mrs. Sharma ko Sameer ke haalat ka majaa lene me bahut majaa aa raha tha.

Priya:- Sameer aisa hi hai aunty.

Iss baar Priya ne jawaab diya.

Mrs. Sharma:- Kaisa hai?

Mrs. Sharma Priya ki baat ka matlab acche se samajh nahi paayi thi.

Priya:- Ladkiyo se baat karne me sharmaata hai...Aur aise hi der se jawaab deta hai...Lekin dil ka accha hai.

Iss baar Priya ne bhi Sameer ka majaa lete hue kaha...Sameer ko Priya se aisi baat ka ummeed nahi tha...Usne Priya ki taraf dekha...Priya Mrs. Sharma ki najro se chhup kar Sameer ko dekh kar hansne lagi...Uske hansi se lag raha tha ki wo Sameer ko chhidha rahi hai...Priya ka ye hansi se Sameer ka thoda bahut gussa bhi gaayab kar diya...Fir bhi apne bachaaw me usne kaha.

Mrs. Sharma kuch bolti usse pehle hi Sameer ne kaha.

Sameer:- Mai kisi se bhi sharmaata nahi hu...Abhi mood thik nahi hai issi liye acche se jawaab nahi de paa raha hu...Love shove aise topic me mai believe nahi karta to fir sharmaane ki baat to aata hi nahi.

Sameer ne josh me jawaab diya...Josh me wo ye bhi bhul gaya tha ki Mrs. Sharma bhi waha maujud hai...Mrs. Sharma bhi dono ke bahas ka majaa le rahi thi.

Priya:- Sach mein.

Priya ne Sameer ko chhidhaate hue pucha.

Sameer:- Ha sach mein.

Sameer ne bhi Priya ki aankh me aankh daal kar confidently jawaab diya.

Priya:- Lekin mujhe to nahi lagta.

Sameer:- Aisa kyu.

Sameer ne bhi Priya ke andaaj me hi jawaab diya.

Priya:- Accha ek baat bataao?

Sameer:- Pucho.

Priya:- College ke time tum kitne ladkiyo se baat karte the?

Sameer:- Bas Shruti se.

Priya:- Tum Shruti se baat nahi karte the...Shruti tum se baat karti thi...Maine to tumhe kisi se baat karte hue nahi dekha...Yahi baat prove karta hai ki tumhe ladkiyo se baat karne me sharm aata hai.

Sameer:- Wo sharm ki vajah se nahi tha...Wo mera style aur attitude hai...Jo bhi mujhse baat karta hai ya karti hai mai bhi ussi se baat karta hu...College me Shruti ko chhod kar tumse aur Neha se hi baat hua tha...Tumse aur Neha se to fight hua tha...Baaki ki ladki bhaaw khaati thi to mai bhi ignore karta tha.

Sameer ne apni baat kehne ke baad usko Neha ki yaad aaya...Wo hi to thi jiski planning me fass kar Sameer ne bhool kiya tha...Usne socha ek baar principal sir ke ghar jaane ka.

Mrs. Sharma:- Accha abb mai chalti hu...Tum dono bhi ladna band karo.

Itna keh kar Mrs. Sharma apni jagah se uth kar jaane lagi...Unke chehre me muskaan tha jo keh raha tha ki unhone Sameer aur Priya ke iss fight ko acche se enjoy kiya.

Mrs. Sharma ki baat sunne ke baad Sameer aur Priya ko ehsas hua ki dono Mrs. Sharma ke saamne kutte aur billi ki tarah lad rahe the.

Sameer:- Acche se beijjat kar diya Maa ke saamne.

Sameer ne jhutha naarajgi dikhaate hue kaha.

Priya:- Isse beijjat karna nahi kehte hai buddhu...Isse majaa lena kehte hai...Aur dosti me itna to chalta hi hai.

Priya ne abhi bhi Sameer ko chidhaa kar kaha.

Priya ki aakhiri baat sun kar Sameer ke chehre me bhi ek muskaan aa gaya.

Sameer:- Dosti ka galat faaidaa utha rahi ho.

Sameer ne hanste hue hi kaha...Uska thoda bahut naarajgi Priya ki muskaan aur dost kehne se khatam ho gaya.
Super update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 113


Priya:- Sameer kya hua? Tumhaara mood off kyu hai?

Dinner ke baad Sameer ko chhat me akele dekhne ke baad Priya ne pucha.

Sameer:- Hmm…Thoda sa mood off hai.

Priya:- Kyu? Dopahar tak to bilkul thik the…Aur achanak se bina bataaye hi room se nikal gaye…Aur fir bike lekar baahar chale gaye…Ar jab se aaye ho tumhaara mood off hai.

Kya mera wo majaak tumhe itna bura laga?

Priya ko Sameer ka mood off hona aur chhat me iss tarah se aakar akela baithna bilkul bhi accha nahi lag raha tha aur usse kuch samajh me bhi nahi aa raha tha ki vajah kya ho sakta hai.

Sameer:- Aaj Principal ke ghar gaya tha…Issi liye mood off hai.

Sameer ne bina kisi bhaaw ke jawaab diya.

Sameer ki iss baat se Priya dusre uljhan me padd gayi…Sameer ka Principal ke ghar jaane ki vajah Priya ke samajh me nahi aaya.

Priya:- Kyu?

Hairaani me Priya ne bas itna hi kaha.

Sameer:- Neha ke bare me baat karna tha unse…Neha hi thi wo planning karne wali jiski planning me mai fans gaya aur wo bhool kar baitha jo aaj bhi yaad karne se khud par hi gussa aata hai.

Sameer ke chehre me abb dhire dhire gussa ke bhaaw aane laga.

Priya ko abb Sameer ki baat samajh me aaya ki wo Principal ke ghar kyu gaya tha…Lekin usne Sameer ka gussa ko mehsus kar liya jab Sameer Neha aur Principal ka naam le raha tha…Usse dar lagne laga ki kahi Sameer ne Principal ke ghar me jaake kuch galat to nahi kiya.

Priya:- Tum to gusse me lag rahe ho…Waha kuch hua kya?

Sameer:- Nahi…Kuch nahi kar paaya…Uss kamini ne mera life ke saath itna bada majaak kiya lekin mai kuch kar nahi paaya…Khud par hi gussa aa raha hai…Man to kar raha hai ki usse wohi jinda gaad deta lekin kuch nahi kar paaya…Pata nahi kyu ho gaya tha mujhe ki mai kuch kiye bina hi aa gaya.

Sameer ne gusse me diwaal me ek punch maar kar kaha…Uski ye harkat dikhaa raha tha ki wo kitna gussa me hai…Usne apni najar Priya ki taraf se hata liya aur diwaal ki taraf gusse se dekhne laga.

Priya Sameer ka achanak itne jaldi iss tarah gussa hone ka kaaran jaan paati usse pehle hi Sameer ne kaha.

Sameer:- Lekin itna to kiya ki aaj Principal aur uski beti Neha ko acche se jawaab diya.

Wo Buddha Principal mujhe discipline sikhaa raha tha jab maine kuch galti nahi kiya tha…Usne mujhe aur Papa ko bahut kuch sunaaya tha…Papa ki baat maan kar mai uss vakt chup ho gaya tha…Lekin aaj khud par control nahi kar paaya.

Usse keh diya ki agar Neha ne fir se koi saajish ki planning kiya to mujhse bura koi nahi hoga…Aisi haal kar dunga dono ki jindagi bhar sochte rahenge ki kisse panga liya hai…Mai accho ke liye accha hu aur buro ke liye unse bhi kahi jyada khatarnaak…Vakt rehte hi maine usse apni beti ko sambhaalne ke liye keh diya.

Aur uss kamini Neha ko bhi acche se samjhaa diya…Ye bhi kaha ki agar mai galatfehmi aur puri sacchaayi jaane bina Priya ke liye itna khatarnaak soch sakta hu to uske saath koi action lene se pehle bilkul bhi nahi sochunga.

Itna keh kar Sameer ne thoda saans liya aur Priya ki taraf dekha.

Sameer:- Agar usne fir se kuch karne ki koshish kiya aur mujhe uski saajish pata chal gaya to uski jindagi ko nark se bhi bura bana dunga…Jindagi bhar sochegi kyu mujh se panga liya tha.

Man to kar raha tha acche se sabak sikhaau usko lekin kisi tarah gusse par kaabu kar liya…Socha ek baar acche se usse samjhaata hu usko…Agar maan gayi to thik hai warna mera gussa ka saamna karna padega usko…Waise bhi abb jindagi thik thaak chal raha hai…Issi liye badla lene ka soch se sirf tension hi hoga…Abb mai jindagi me sirf khushi aur shaanti chaahta hu…Issi liye ek baar usko samjhaa kar chhod diya.

Itna keh kar Sameer abb chup ho gaya…Uska laal aankh aur teji se chal raha saansein iss baat ka sabut tha ki wo abhi bhi bahut gusse me hai.

Priya:- Principal aur Neha ne kya kaha?

Sameer:- Unki bolne ki himmat hi kaha tha mere saamne…Neha ko dekh kar aisa lag raha tha ki wo meri baato se dar rahi hai…Aur Principal aisa dikhaa raha tha ki wo Neha ki kartut se anjaan hai aur Neha ko daant raha tha…Mujhe to wo sab buddhe ka acting lag raha tha.

Sameer ki aawaj me gussa pehle jaisa hi tha.

Sameer ki baat sun kar Priya ko thoda raahat mila ki gusse me Sameer ne koi gadbad nahi kiya…Warna gusse me wo kuch bhi kar sakta tha…Sameer ne Neha ko acche se jawaab de diya yahi bahut tha uske liye…Abb wo bh confirm thi ki Neha aage se uske aur Sameer ki life me kuch nahi karegi.

Wo bhi abb Neha ki chapter ko bhul jaana chaahti thi…Abb Neha ko fir se yaad karne ka matlab apni buri past ko yaad karna jaise tha…Abb wo sirf aage ka sochna chaahti thi…Neha ki uss planning me ulta Priya ke saath bahut kuch accha ho gaya...Wo ek hokha aur chhal se suruwat hua rishta se bach gayi aur apne aas paas ke sabhi insaan ka asli roop pehchaan paayi thi.

Ye sab baatein sochne ke baad usne Sameer ko dekha…Abb Sameer ka gussa dhire dhire kam ho raha tha…Wo Sameer ka mood thik karne ka soch rahi thi.

Kuch der wo chup rahi aur Sameer ko bhi akela chhod diya…Jab usse laga ki Sameer ka gussa abb bahut kam ho gaya hai tab usne kaha.

Priya:- Cigarette piyoge…Saari tension dur ho jaayega aur mood bhi thik ho jaayega.

Priya ne muskuraate hue kaha…Wo Sameer ko Principal ki ghar wali yaadon se baahar nikaalna chaahti thi.

Sameer ne Priya ki iss baat par Priya ko iss tarah se dekha jaise usko apne kaano par yakin hi nahi hua…Jab Priya ne apni baat ko dobaara dohraaya tab usne kaha.

Sameer:- Mai cigarette nahi peeta.

Sameer ne hairaan ho kar jawaab diya.

Priya:- Lekin daru to peete ho.

Sameer:- Wo bhi nahi peeta hu…Shaadi ke baad 2 din tension bhulne ke liye piya tha…Uske baad fir kabhi nahi piya.

Lekin tum ye kyu puch rahi ho?

Priya:- Mai to aise hi ye jaane ke lie puch rahi thi ki tum cigarette aur alcoholic products peete ho ya nahi?

Priya ne baat taalne ke liye kaha…Wo jo chaahti thi usne kar diya…Usne Sameer ka dhyaan Principal ke ghar se nikaal diya.

Sameer:-Waise soch raha hu ki abb tumne maaf kar diya hai to fir 1 bottle peekar khushi manaata hu…Dekhte hai khushi me kaisa taste hota hai?

Sameer ne bhi iss baar majaak karte hue kaha tha…Kuch der akela rehne par aur Priya se baat karne ke baad wo apna gussa lagh bhag bhul hi gaya tha…Abb wo bhi kuch pal Priya se acche se baatein karke mood thik karna chaahta tha.

Priya:- Agar firse peena suru kar diya to kabhi maaf nahi karungi.

Priya ki baato me request kam challenge jyada tha.

Sameer:- Tab to mai daru ki bottle ko kabhi haath bhi nahi lagaunga.

Sameer ne muskura kar kaha.

Priya:- Issi me tumhaara bhalaayi hai.

Itna keh kar Priya bhi hasne lagi…Iss baar Sameer ne bhi uska saath diya hansne me.

Maahaul abb pura badal gaya…Dono saath saath hansne lage aur hanste hue Sameer sochne laga.

Sameer:- (In his mind) Yakin nahi hota…Kuch der pehle itna gussa aa raha tha ki kuch samajh me nahi aa raha tha ki agle hi pal kya kar baithunga…Paagal hi ho gaya tha…Lekin abb hansi aa rahi hai…Aur iss hansi me ek alag sa sukun hai.

(Priya ko dekhte hue) Jab bhi Priya ke saath hota hu…Baatein karta hu…Gam bhi khushi me badal jaata hai…Ek alag hi sukoon milta hai…Man karta hai baatein karta hi rahu.

(Khud se naarajgi jataate hue) Kitna galat tha mai aur mera soch…Itni acchi ladki se choti si baat ke liye jhagada kiya aur dusmani kar liya…Mai bhi gadha hu…Agar pehle hi Priya se dosti kar leta to life kitna alag hota…Shaayad Shruti ki jagah Priya se pyar ho jaata.

Itna sochne ke baad Sameer apne soch se baahar aaya…Fir se apni iss soch par hanste hue sochne laga.

Sameer:- (In his mind) Mai sach me paagal ho gaya hu…Pata nahi kya kya sochne laga hu…Pyar aise thodi hi hota hai…Priya ki baatein aur mere saath uska behavior accha lagta hai iska matlab ye thodi na hai ki mujhe Priya se pyar ho gaya hai…Pata nahi kya kya sochne laga hu aaj kal.

Sameer ne ek baar fir se apne dil me paida hua pyar ke ehsas ko alag hi naam de diya.

Isse aage wo kuch sochta…Priya ki baato se wo waapas hosh me aaya.

Priya:- Kya soch rahe ho?

Sameer:- Kuch nahi.

Sameer ne kuch iss tarah se jawaab diya jaise abhi bhi soch me vyast ho.

Sameer ka iss jhuth se fir se Priya ki chehre me muskaan aaya…Wo Sameer ko dekh kar aur bhi muskuraane lagi.

Sameer ne bhi Priya ko dekh kar smile kiya.

Achanak Sameer ko kuch yaad aaya aur usne kaha.

Sameer:- Thanks a lot.

Sameer ne dil se Priya se thanks kaha.

Priya:- Kis liye?

Priya ne thoda hairaan ho kar pucha…Sameer ka thanks bolne ki vajah usse samajh me nahi aaya.

Sameer:- Aaj jab mai shaam me Maa ke room me gaya tha tab gate me pahunchne ke baad dekha ki tum bhi waha room me thi…Maa ko halka bukhaar tha…Tumhaara unka care karna dekh kar bahut accha laga…Chehre me koi swarth ke bhaaw nahi tha…Aisa lag raha tha ki tum dil se wo sab kar rahi thi.

Thanks a lot Priya…Utna to shaayad mai bhi nahi karta…Thoda sa bukhaar samajh kar utna care nahi karta jitna tumne kiya…Bahut saaf aur nekdil ho tum.

Ussi vakt tumhe thanks kehna chaahta tha…Lekin mood off tha.

Sameer ne ek baar fir se Priya ko dil se thanks kaha.

Priya:- Maine to wohi kiya jo mujhe laga ki karna chaahiye uss vakt…Agar kisi ko bhi taklif hota hai to mai jitna ho sake utna madad karti hu.

Priya ko Sameer ki taarif bahut accha laga.

Sameer:- Yahi to tumhaari acchaayi hai.

Sameer ki iss baat par Priya ne koi jawaab nahi diya…Wo Sameer ki taarif se itna khus ho gayi thi ki usse samajh me nahi aa raha tha ki wo kya bole.

Sameer:- Maa ki uss baat par kya khayaal hai?

Sameer ne chehre me shararati muskaan late hue kaha.

Priya:- Kaunsi baat?

Sameer:- Wohi baat…Jab Maa ne kaha tha ki unhe tumhe apna bahu banaane me koi problem nahi hai.

Ye kehte hue Sameer ki chehre par wo shararati muskaan aur badh gaya…Wo Priya ki jawaab ka intejaar karne laga.

Sameer ki iss baat se Priya ekdam se shocked ho gayi…Usne bilkul bhi expect nahi kiya tha ki Sameer itni jaldi ye baatein puchega…Priya Sameer ki iss baat se bahut khus ho gayi thi…Shocked hone ki vajah se aur thoda sharm se wo jawaab nahi de paa rahi thi.

Sameer:- Pata tha tum kuch bol nahi paaogi aur aise hi shocked ho jaaogi…Chaunkne ki jarurat nahi hai…Mai majaak kar raha tha.

Priya ki dil ki haal se anjaan wo itna keh kar Sameer thoda hansne laga.

Priya ko Sameer ka ye majaak wali baat bilkul bhi pasand nahi aaya…Usse aisa lag raha tha ki wo koi haseen sapne dekh rahi thi aur kisi ne usse paani daal kar jaga diya hai.

Thode gusse me usne kaha.

Priya:- Aage se aise majaak kabhi mat karna.

Itna keh kar wo utth kar apne room ki taraf chali gayi.

Room me pahunchne ke baad kuch der tak usko bahut gussa aa raha tha…Gussa jab kam hone laga tab usne socha.

Priya:- (In her mind) Shaayad maine kuch jyada hi over react kar diya…Sameer bas majaak hi to kar raha tha aur usse abhi apne pyar ka ehsas bhi to nahi hua hai…Mujhe iss tarah se gussa ho kar nahi aana chaahiye tha.

Itna sochne ke baad wo waapas chhat me gayi Sameer se maafi maangne lekin jab wo chhat me pahunchi tab Sameer waha nahi tha…Uske baad Priya Sameer ke room ke paas gayi…Gate locked tha aur aisa lag raha tha ki lights bhi off hai…Use room knock karne me thoda dar bhi lag raha tha…Usne man me hi kaha.

Priya:- (In her mind) Kal maafi maang lungi…Shaayad Sameer abb soo raha hai…Disturb karna nahi chaahiye.


Dusri taraf jab Priya chhat se apne room ki taraf jaa rahi thi…Tab Sameer ko fir khud par gussa aaya…Usne bhi socha.

Sameer:- (In his mind) Mai bhi bewkoof ho gaya hu…Bahut bakwas majaak kiya…Apni baat kehne se pehle socha bhi nahi ki mai kya keh raha hu aur Priya kya sochegi.

Thoda sa dosti kya ho gaya mai apni hadd bhul gaya…Priya ne mera mood thik kiya aur maine hi usse gussa dilaaya.

Mai to apne feelings ke bare me soch raha tha ki Priya mujhse pyar karti hai ya nahi aur Mai usse pyar karta hu ya nahi lekin meri baat se wo pyar karna to dur kahi dosti bhi na tod de.

Sab meri bewkufi hai…Acchi khaasi dosti bhi tut sakta hai meri iss bewkufi se.

Kal subah maafi maangta hu…Kaash wo maaf kar de…Aage se aisi bewkufi bhul kar bhi nahi karunga.

Itna soch kar Sameer bhi apne room me chala gaya…Abb chhat me rukne ke liye uske paas koi vajah nahi tha.

Jab wo room ke andar pahuncha tab son eke liye bed par lait gaya…Room me aaye usse 5 minute hua hi tha ki tabhi Priya uske room ke paas aa kar chali gayi thi.

Laite hue 20 minute ho gaya tha…Abb Sameer ko neend aane hi wala tha ki phone ki ring tone ne uska neend tod diya.

Usne mobile ke screen me dekha to Mahesh ka number tha.

Sameer:- Ye gadha kabhi kabhi hi phone karta hai…Aur jab bhi karta hai manhus vakt me hi karta hai…Mujhe pata hai abb ye koi manhus baat hi bataane wala hai phone me.

Itna keh kar Sameer ne phone utha liya aur kaha.

Sameer:- Haan bol.

Itna keh kar Sameer ne phone kaan me laga liya…Dusri taraf se Mahesh ne ek manhus baat bataya Sameer ko…Baat manhus to bilkul bhi nahi tha lekin Sameer ke liye manhus baat se kam nahi tha…Uska saara neend gaayab ho gaya…Aur na khus aawaj me usne bolna suru kiya.
Nice update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 114


Sameer:- Nahi…Bilkul nahi…Mai kahi nahi jaaunga...Ghar se baahar nikalne ka man nahi hai.

Mahesh:- Please yaar…Bahut din baad kahi saath jaa rahe hai…Aakhiri baar BBA ke last year me tour me saath gaye the…Tab se aaj tak 3 saal ho gaya hai…Life me itne busy ho gaye ki kahi baahar ghumne gaye hi nahi.

Aaj dimaag me aaya ki vakt aur haalat dono badal gaya hai…Kyu na kahi baahar jaaye ghumne ke liye…Mind fresh ho jaayega aur boring jindagi me firse maja aa jaayega.

Sameer:- Mera mind ek dam fresh hai…Na koi tension aur na hi koi problem. Mera last tour MBA last tour me tha…Aur wo itna ghatiya tour tha mera life ka ki mai bata nahi sakta. (Wohi tour jab Karan ne Sameer ka ghadi churaya tha.) Abb to mujhe tour aur kahi baahar ghumne jaane me koi interest bhi nahi hai.

Aur agar tu chaahta hai ki teri boring jindagi me majaa aajaaye to kamine gf bana le…Uske baad jindagi maje me beet jaayega.


Mahesh:- Banaya to tha…Aur ussi vakt se jindagi ekdam boring aur bojh jaisi ho gayi hai…Breakup ke pehle ke kuch din tak samajh me hi nahi aa raha tha ki kya karu aur kya na karu…Jeene ka makshad tak pata nahi tha…Suicide karne tak ka soch liya tha…Lagta tha jindagi me sab kuch haar gaya hu…Lekin kisi tarah nahi kar paaya.

Job karne laga khud ko uss haalat se nikaalne ke liye aur busy rehne laga…Tab se aaj tak wohi haal hai…Jindagi ke puraane din jab ham saath me hanste the, masti karte the, ek dusre ka majaak udaate the, ladte the sab kuch miss kar raha hu.

Sameer ne anjaane me kahi hui baton se Mahesh apne ateet me chala gaya…Ek aisa ateet jo wo aaj tak bhula nahi paaya tha aur baar baar uss yaad me tadapta rehta tha.

Sameer:- Sorry yaar…Anjaane me fir se tera bhara hua jakhm tajaa kar diya.

Sameer ne pachtaate hue kaha…Usne Mahesh ki aawaj me pehle wala dard mehsus kiya…Usko Mahesh ko samjhaane ke liye koi baat bhi nahi mil raha tha.

Mahesh:- Koi baat nahi…Aadat ho gaya hai…3 saal ho gaya hai…Khud ke feeling par control karne ki aur aage badhna sikh liya hai…1 ghanta baad sab thik ho jaayega…Bhul jaaunga puraane kadwi yaadein.

Sameer:- Maana padega yaar…Bahut strong hai tu andar se…Itna pyar ke baawjud tujhe dhokha mila lekin tu fir bhi aage badhta raha.

Sameer ne Mahesh ki taarif karte hue kaha…Kehne ke liye uske paas isse jyada lafz baaki nahi tha…Sameer abb yahi chaahta tha ki kisi tarah topic ko badal kar dusri topic par baat karne ke liye.

Wo baatein soch hi raha tha ki kuch hi der me Mahesh ne kaha.

Mahesh:- Tu keh raha tha ki koi girl friend banaunga to jindagi maje me beet jaayega.

Kuch sochte hue Mahesh ne kaha.

Sameer:- Ha…Kya galat kaha?

Sameer ko Mahesh ki baat ka matlab samajh me nahi aaya…Itna to wo jaanta tha ki Mahesh ki har baa ke piche koi na koi matlab jarur hota hai…Wohi matlab Sameer jaane ki koshish kar raha tha.

Mahesh:- Tu itna yakin ke saath kaise keh sakta hai…Aaj se pehle to tune mujhse pyar aur gf wali topic par kabhi baat nahi kiya hai…Pehle to tu inn sabse dur rehta tha…Aur aaj tu mujhe gf banana ki suggestion de raha hai.

Itna badlaaw kaise aaya tujh me aur tera soch me…Kahi tune koi gf to nahi banaya aur tub hi mujhe aise suggestion de raha hai…Daal me jarur kaala hai?

Mahesh ko Sameer par abb doubt hone laga…Lekin usse kya pata tha ki usne daal me kaala nahi dekha hai balki pura daal hi kaala ho gaya hai.

Mahesh ki baatein sunne ke baad Sameer ke dimaag ne kaam karna band kar diya…Wo soch bhi nahi sakta tha ki Mahesh ki baat me itna bada matlab hai.

Mahesh ki baato ka jawaab to Sameer ke paas bhi nahi tha…Wo to abhi tak issi baat ko soch raha tha ki Priya uski bas friend hai ya wo Priya se pyar karne laga hai.

Sameer:- Kuch jyada hi soch raha hai…Mera dil koi itna aasani se nahi chura sakti hai mere bhai…Mai soch raha tha ki vakt ke diye hue jakhm ko vakt hi bharta hai…Issi liye tujhe wo suggestion diya tha…Lekin tera dimaag kuch jyada hi fast chalta hai.

Sameer ne topic badalte hue kaha.

Mahesh:- Lekin tu itna hakla kar kyu jawaab de raha hai.

Mahesh ne muskuraate hue pucha.

Sameer:- Wo iss liye kyu ki mujhe abb neend aa raha hai…Neend me acche se jawaab nahi de paa raha hu.

Abb kal baat karte hai…Good night.

Sameer ne baat khatam karne ki koshish kiya.

Mahesh:- Aise kaise good night…Pehle bol kit u bhi ghumne ke liye jaa raha hai.

Mahesh ne jaise kasam khaa liya tha ki wo Sameer ko bhi apne saath lekar hi jaayega.

Sameer:- Yaar fir ghuma fira kar baat wohi le aaya.

Sameer ne maayus aawaj me kaha.

Mahesh:- Baat to wohi tha…Tera bakwas baato ne topic ko divert kar diya.

Sameer:- Yaar tujhe mai hi ek bakra mila hu kya…Kisi aur ko jaa kar dhund…Kyu mera sukhi aur shaanti se bhara hua life ko barbaad karna chaahta hai.

Sameer ne pareshaan hone ki acting karte hue kaha...Wo Mahesh ko direct naa bhi nahi keh sakta tha…Lekin usko ghar chhod kar baahar jaane ka man bhi nahi tha.

Mahesh:- Ek bakra ko pehle hi fasa chukka hu…Rajesh…Abb dusra bakra yani tujhe fasaane jaa raha hu.

Sameer:- Kya…Rajesh jaane ke liye taiyaar ho gaya? Kaise mana liya tune usse? Abhi abhi uska aur Divya ka pyar ki gaadi aage badha hai aur wo tere saath iss bakwas topic par jaane ke liye taiyaar ho gaya?

Sameer ne chaunkte hue kaha…Rajesh ka Mahesh ke saath jaane ke liye maan jaana bahut hairaani ka baat tha Sameer ke liye.

Mahesh:- Wo khud aane ke liye ready nahi tha…Mujhe ready karna pada…Abb ussi tarah se tujhe bhi ready kar raha hu…Aur jyada jaankaari ke liye tu ussi se puch lena.

Sameer abb kuch bol bhi nahi paa raha tha…Uske paas abb koi idea nahi tha jisse wo iss tour me jaane se bach jaata.

Achanak uske dimaag me ek idea aaya.

Sameer:- Mai chaah kar bhi tere saath nahi chal sakta hu…Maa ko fever hai yaar…Mujhe hi unka khayal rakhna padega…Sorry yaar.

Itna keh kar Sameer bahut khus ho gaya…Usse pata tha ki Mahesh uski iss baat par kuch nahi keh paayega.

Mahesh:- Mai kal jaane ki baat nahi kar raha hu…1 week baad ka program hai.

Abb Mahesh ne Sameer ki sabhi darwaaja band kar diya.

Kuch der sochne ke baad Sameer ko kehna hi pada.

Sameer:- Chal thik hai…Ek aur ehsaan kar deta hu tujh par.

Sameer ko na chaahte hue bhi kehna pada…Bahut dino baad uske aur Priya ke bich acche se baat hone laga tha aur ghar me sab kuch thik thaak chal raha tha…Aur abhi Mahesh ka phone karke 1 week ka tour par chalne ki baat usse bilkul bhi pasand nahi aaya.

Lekin wo bhi kya kar sakta tha…Ek majburi bhi tha…Bahut dino baad Mahesh ne usse kuch karne ke liye kaha tha…Direct mana bhi nahi kar sakta tha.

Mahesh:- That's my friend…Jaanta tha tu majaak kar raha hai…Socha nahi that u itni jaldi maan jaayega…Waise koi problem to nahi hai.

Mahesh ne khus hokar kaha.

Sameer:- (In his mind) Agar koi problem hoga to bhi tu thodi na samjhega…Itna samjhaaya lekin tujhe majaak lag raha hai sab kuch…Abh tujhe thodi keh sakta hu ki kuch din mai ghar me hi reh kar Priya se baatein karna chaahta hu.

Tera iss tour ke program ne sach me mood off kar diya hai.

Sameer ka ye soch Mahesh ki baato se hi tuta.

Mahesh:- Hello.

Sameer:- Nahi…Koi problem nahi hai.

Sameer ne jabardasti kaha.

Mahesh:- To fir thik hai…Ready ho jaa…Next week challenge tour me…Fir se puraani yaado ko dohraayenge aur bahut masti karenge.

Mahesh ki baato me Sameer ne bahut dino baad excitement mehsus kiya.

Sameer:- Ok…Thik hai yaar…Location aur Date message kar dena.

Mahesh:- Thik hai yaar.

Itna keh kar Mahesh ne phone kaat diya.

Sameer:- (In his mind):- Keh to diya lekin jaane ka mood bilkul bhi nahi hai…1 week tak bore hona padega.

Sameer yahi sab soch kar pareshaan ho raha tha tabhi dusre khayal uske dimaag me aaya.

Sameer:- (In his mind) Lekin accha bhi lag raha hai Mahesh me aaya hua iss badlaaw ko dekh kar…Abb ye bhi pehle ki tarah life ko enjoy karna chaahta hai…Warna iska life ghar aur office tak hi tha…Tera iss khushi ke liye 1 week to kya 1 month bhi bore ho sakta hu.

Bahut dino baad tere liye kuch karne ka mauka mila hai.

Ye soch aate hi Sameer mentally prepare ho gaya tour par jaane ke liye.


Next Day at Dinner Time


Sameer aaj dinner ke liye bahut late ho gaya tha office ki kaam ki vajah se…Usne pehle hi ghar par phone karke bata diya tha ki wo dinner time me hi aayega.

Aur apne kahe hue baat jaise hi wo dinner time me hi apne ghar pahuncha.

Ghar ke andar jaate hi dekha dinner ki taiyaari ho raha tha…Wo bhi jaldi hi fresh ho kar baith gaya chair me khaane ke liye.

Sameer:- Maa…Abb aapki tabiyat kaisa hai?

Chair par baithte hi Sameer ne pucha…Subah jab wo office ke liye nikla tha tab uski Maa ki tabiyat me sufhaar ho raha tha lekin iss vakt unki taiyat ke bare me usse pata nahi tha.

Mrs. Sharma:- Thoda sa bukhaar tha…Dawaai khaane ke baad thik ho gaya. (Priya ki taraf dekhte hue) Dawaai khaane ki jarurat bhi nahi tha…Aise hi thik ho jaati lekin isne jidd karke dawaa khilaaya.

Sameer:- (To Priya) Thanks…Maa ko jidd karke dawa khilaane ke liye…Pata nahi tumhaari baat kaise maan liya…Aaj tak shaayad hi mera koi jidd maana hai inhone.

Sameer ne Priya ko fir se dil se sukriya kaha.

Mrs. Sharma:- Jidd ko manana har kisi ki bas ki baat nahi hota hai…Tera bas a to bilkul bhi nahi hai…Priya se jaake sikh.

Mrs. Sharma ne bhi majaak karte hue kaha.

Sameer:- Jaise aap sabhi ki iccha(choice)…Jald hi training lunga.

Sameer ne bhi muskuraate hue kaha.

Priya bhi apni taarif par bahut khus thi…Sabhi ke saamne wo kuch bol nahi paa rahi thi lekin Sameer aur Mrs. Sharma ki taarif se wo bahut khus ho gayi.


Mr. Sharma:- Aaj itna late kyu hua office me?

Kuch der ki khaamoshi ko tod kar topic badal kar Mr. Sharma ne pucha. Unki aawaj me aaj koi bhi gussa aur rukhapan nahi tha…Unhone aise hi normal tarike se pucha.

Sameer:- Aaj office me resignment ke process me thoda time lag gaya.

Sameer ki iss baat se sabhi ko hairaani hua.

Mr. Sharma:- Resignment lekin kyu?

Sameer:- Mai wo job nahi karna chaahta hu abb…Koi acchi si job dhundne ka soch raha hu jaldi se…Aaj bahut din ke baad office gaya to office walo ne mujhe nikaalne ki baat kiya tha…Issi liye maine socha khud hi resign kar deta hu.

Waise bhi maine wo job time pass ke liye kiya tha…Itna padhne ke baad aur acche marks lane ke baad wo job karne ka koi sochta bhi nahi hai…Jald hi apne laayak ka job dhundta hu.

Sameer ne apni baat bataya…Usse thoda dar bhi lag raha tha ki kahi Mr. Sharma fir naaraj na ho jaaye.

Mr. Sharma:- Koi baat nahi...Dusra job dhund lena…Lekin iss tarah se tujhe resign nahi dena chaahiye tha…Acche se tujhe unhe office na aane ki vajah samjhaa kar respectfully resign karna chaahiye tha…Har chij me discipline jaruri hai.

Mr. Sharma gussa to nahi the lekin unhone Sameer ko samjhaate hue kaha.

Sameer:- Maine koshish kiya tha samjhaane ka…Lekin wo log sunne ko taiyaar nahi the…Issi liye resign kar diya taaki baat aage na badhe.

Mr. Sharma:- Ok thik hai….Abb aage ka kya program hai? Kab se next job join kar raha hai?

Sameer:- Next job join karne me abhi thoda time hai…Isse pehle soch raha hu ki Mahesh ke saath 1 week ke liye ek tour par jaane ka soch raha hu…Bahut dino ke baad usne kuch kaha hai mujhse.

Sameer ka 1 week ke liye tour par jaane ka baat Priya ko bhi accha nahi laga…Sameer ki tarah wo bhi soch rahi thi ki bahut dino ke baad sab kuch thik ho gaya hai aur fir aise me Sameer ka iss tarah baahar jaane ka sochna wo bhi 1 week ke liye.

Usne socha ki wo Sameer se raat me iss topic par acche se baat karne ke liye.

Mr. Sharma:- Accha thik hai…Mujhe koi problem nahi hai…Lekin kis baar kuch galat mat karna…Aadat ho gaya hai tujhe jab bhi tour par jaata hai kuch na kuch galat karke hi aata hai.

Mr. Sharma ne hanste hue kaha…Sameer bhi samajh gaya ki wo majaak kar rahe hai.

Sameer ne unki baat ka jawaab muskura kar diya.


Sameer ne to tour ke liye haa keh diya...Lekin wo iss baat se puri tarah se anjaan tha ki ye tour uske life ka ek turning point hone wala tha.
Amazing update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 115


Tour ke liye 1 week ka time baaki tha…Sameer ne job se resign kar diya tha…Abb karne ke liye uske paas kuch nahi tha…Din me 2, 3 baar Priya se baatein karne ke liye mauka mil jaata aur wo ussi me khus tha…Har beet te din ke saath uske dil me Priya ke liye feelings aur badhne laga…Ye baat wo bhi mehsus kar raha tha ki uska aur Priya ke bich dosti bahut gehra ho chuka hai…Lekin wo apne pyar ke ehsas ko mane ke liye abhi bhi taiyaar nahi tha.

Raat me chhat me baat karte hue aur din bhar kisi tarah time pass karte hue ye 1 week bhi beet gaya…Abb usse na chaahte hue bhi tour ke liye jaana tha…Usne kisi tarah fir se khud ko prepare kar liya tour ke liye.


Next Day


Agle din Sameer subah hi apne bike se nikal pada tour ke liye…Rajesh aur Mahesh ne bhi bike se hi jaane ka decide kiya…Teeno dost ne pehle hi bus stand me aane ka decide kiya tha aur wohi se teeno ne apne safar ke suruwat karne ka decide kiya tha.

Kuch der baad Sameer bus stand pahunch gaya…Wo abhi akela hi tha…Rajesh aur Mahesh abhi tak nahi pahunche the waha par.

15 minute ke baad Rajesh aaya.

Sameer ko dekhte hi Rajesh ki chehre me ek alag sa smile aaya…Aate hi usne Sameer se pucha.

Rajesh:- Jyada wait to nahi karna pada na?

Rajesh ne muskuraate hue pucha.

Itna wait karne se Sameer pehle hi frustrated ho gaya tha…Fir bhi gusse ko control karte hue usne kaha.

Sameer:- Dekh bhai…Pehle hi mood off hai…Abb jyada dimaag kharaab mat kar.

Rajesh:- Aaj ke din me bhi tera mood off hai…Chehre pe thoda smile laa yaar…Aise din roj roj nahi milte.

Sameer:- Aisi bakwaas din na aaye to hi accha hai…Mahesh ke liye chalne ke liye taiyaar ho gaya…Warna aisi bakeaas tour ke bare me soch bhi nahi sakta.

Sameer ki baat se hi pata tha ki wo kitna frustrated hai…Sameer ke baat sun kar Rajesh ke chehre me fir se smile aa gaya…Ek aisa smile jo bata raha tha ki uska koi plan kaamyaab hone wala hai jald hi.

Rajesh:- Bakwaas tour…Tour kab se bakwaas hone laga bey?

Sameer:- Ye bakwaas tour hi to hai…Mere paas aur koi kaam nahi hai kya…Jo aise bakwaas tour me time waste karu?

Rajesh:- Tune to abb job se bh resign bhi kar diya…Abb tere paas kya kaam baaki hai?

Rajesh ne Sameer ko aur ukshaate hue kaha.

Sameer:- Ha office ka kaam nahi hai…Ghar ka to hai na.

Rajesh ki sawaal ne Sameer ko soch me daal diya jawaab dene ke liye…Fir bhi usne kisi tarah jawaab diya.

Rajesh:- Wo to tere Papa karte hai ghar ke liye kharche ke kaam…And I am sure baaki ke ghar ke kaam jaise khaana pakana, kapde dhona, ghar saaf karna tu nahi karta hai…To fir tu ghar me kya kaam karta hai.

Rajesh ki iss sawal ne Sameer ko uski hi baato me fasa diya…Abb usse koi jawaab nahi mil raha tha…Wo ye to nahi keh sakta tha ki Priya se baatein karna uska kaam hai.

Sameer:- Hai kuch kaam…Jo tere samajh se baahar hai.

Kisi tarah baat sambhaalne ke liye Sameer ne kaha.

Rajesh:- Mere samajh se baahar hai…Aisa kya kaam karta hai tu?

Rajesh bhi jaanta tha ki Sameer abb uski baato me fass gaya hai…Aur wo Sameer ko aasani se apne jaal se baahar nikalne dena nahi chaahta tha.

Sameer:- Kya har baat jaana jaruri hai…Waise bhi aaj ke din to dimaag kharaab mat kar yaar…Pehle hi mood off hai…Aur upar se teri baatein aur pakaa raha hai.

Sameer ne iss baar gusse ke saath kaha…Apna bachaaw ke liye usse yahi idea sabse best laga.

Sameer ki baat se Rajesh ko laga ki abb Sameer ko jyada ukshaana bhi thik nahi hai…Lekin Sameer ka frustration dekh kar uske chehre me fir se wohi kutil muskaan aa gaya…Sameer ka bhi najar Rajesh ka chehra par nahi tha aur usne kabhi Rajesh ka chehra padhne ka aur uski baato ke piche ka matlab samajhne ka koshish nahi kiya.

Kuch der tak dono ke bich ek gehra khaamoshi chaa gaya…Sameer ka mood off tha aur Rajesh jyada bolna nahi chaahta tha.

Achaanak hi Sameer Rajesh ki taraf muda aur muskuraate hue usne Rajesh se pucha.

Sameer:- Sach bata…Kya tu apni khushi se iss tour par aaya hai?

Rajesh ko samajh me nahi aaya ki Sameer ka iss sawaal ka kya matlab hai…Wo khud me hi uljha tha ki Sameer ne hi kaha.

Sameer:- Mere saath saath usne tera bhi acche se band baja diya…Mera to bas tour me jaane ka mood nahi hai…Lekin tera to aur bura haal kar diya usne…Pyar ka suruwat acche se hua nahi ki tujhe bhi apne saath ghasit kar le jaa raha hai.

Itna keh kar Sameer Rajesh ki haalat par hasne laga.

Acche se hansne ke baad usne Rajesh ko dekha.

Rajesh:- Sach kahu to mujhe bhi ye tour ka idea bakwaas hi lag raha hai…Lekin bahut dino ke baad usne kuch kaha hai karne ke liye to maana hi pada…Dosti ke liye hi taiyaar ho gaya.

Rajesh ne Sameer se itna kaha aur apne man me khud se kaha.

Rajesh:- (In his mind) Ha jo kar raha hu…Dosti ke liye hi kar raha hu.

Sameer:- Yahi vajah tha mera bhi tour me jaane ke liye…Warna aisi tour par jaane ka sochta bhi nahi.

Rajesh:- 3 ya 4 din ki hi to baat hai…Fir uske baad sab thik ho jaayega…Mahesh bhi khus aur sabhi khus.

Rajesh:- (In his mind) Ye 3, 4 din hi kaafi hai iss plan ko successful banana ke liye…Sameer tera frustration hi kaafi hai hamaare plan ko kaamyaab banana ke liye…Hame jyada kuch karna bhi nahi padega…Bas aag me ghee daalne ki jarurat hai.

Rajesh yahi sab soch raha tha ki Mahesh bhi aa gaya.

Mahesh jab Sameer aur Rajesh ke paas pahunch kar bike se utra tab Sameer ne kaha.

Sameer:- Aa gaye bhai sahab?

Sameer ne kuch iss tarah se kaha jaise wo Mahesh ke late aane par bahut gussa tha.

Mahesh:- Sorry yaar…Thoda late ho gaya.

Mahesh bhi Sameer ki baat ka matlab samajh gya aur usne muskuraate hue maafi maanga.

Sameer:- Raat me phone karke tune hi kaha tha kisi tarah 8:00 am par pahunch jaane ke liye lekin tu khud 9:00 am par aa raha hai…Aur 1 ghante tak iss Rajesh ki baatein sun kar pak gaya hu.

Sameer ne frustrated ho kar kaha.

Mahesh:- Traffic me fass gaya tha…

Mahesh isse aage kuch kehta usse pehle hi Sameer ne usse rok kar kaha.

Sameer:- Naa tu school student hai aur naa mai teacher…Aisi ghatiya excuse dene ki jarurat nahi hai.

Pehle hi late ho gaye hai…Abb aur der karna thik nahi hai…Hill station jaana hai aur wo bhi 200 km dur…Baaki ki baatein baad me bhi hota rahega…Filhaal hame safar ka suruwaat karna chaahiye.

Sameer ki baat par kisi ne kuch nahi kaha…Sab bike par baith gaye aur start karne hi lage the ki Sameer ne hi kaha.

Sameer:- 5 minute ruko…Mai kuch cold drinks lekar aata hu…Raaste me jarurat padega…Cold drinks aur bike ki safar…Maja aayega.

Itna keh kar Sameer bike se utar gaya aurkisi ki baat sune bina shop ki taraf chala gaya.

Sameer ke kuch der pahunchne ke baad Mahesh ne Rajesh se pucha.

Mahesh:- Kya kya hua ye ek ghante me?

Rajesh:- Mujhe yakin hai…Bahut jald hamara plan successful ho jaayega…Sameer abhi se frustration me hai jo bahut jaruri hai.

Mahesh:- Nice…Waise ham thik kar rahe hai kya…Kahi bhi kuch galat ho gaya to bahut mushkil ho jaayega…Tune hi plan kiya tha iss tour ka…Maine kisi tarah se Sameer ko manaya hai…Agar plan me kuch bhi gadbad ho gaya to mai fass jaaunga sabse pehle.

Mahesh apne soch me uljha hua tha…Wo abhi tak soch nahi paaya tha ki usne job hi kiya hai thik kiya hai ya galat.

Rajesh:- Are kuch galat nahi hai yaar…Tu bekaar me dar raha hai…Maine sab kuch soch liya hai…Kya karna hai aur kaise karna hai…Bas tujhe mera saath dena hai.

Rajesh ne confidence ke saath kaha.

Iske baad dono ke bich koi bhi baat cheet nahi hua…Baat karne ke liye koi topic bhi nahi tha aur Sameer ka aane ka bhi dar tha.

Kuch der ke baad Sameer bhi Coke ka 3 bottle lekar aa gaya…Aur chal pade apne safar ke liye.


Ek aise safar par jaha kya hoga iske baare mein Sameer kuch soch bhi nahi sakta tha…Apne doston ka planning uske life me kya badlaaw lane wala hai uske bare me usse bilkul bhi khabar nahi tha aur naa hi soch sakta tha ki uske dost uske saath aisa kuch kar sakte hai.
Awesome update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 116

2 Days Later


Sameer hotel me apne room me khidki ke paas khada tha…Wo baahar ki taraf dekh raha tha…Lekin uska dhyaan baahar ki taraf bilkul bhi nahi tha…Wo apne soch me khoya hua tha…Ek gehri soch jo usko 2 din se bechain kar raha tha.

Sameer:- (In his mind) Ye kya ho raha hai mujhe…Kabhi itna bechaini nahi hua…Lekin ye 2 din se lag raha hai ki life me kuch miss kar raha hu…Kuch karne ka man nahi karta aur naa hi baahar ghumne ka…Dono ke saath ghumne se bhi yahi feel ho raha hai ki jaise mai koi duty nibhaa raha hu…Ye tour bilkul bhi tour nahi lag raha hai…Bahut bore feel ho raha hai…Pata nahi kab tak aise hi bore hota rahunga.

Shaayad ghar se dur aane ki vajah se aisa hua hoga…Lekin ghar se to bahut baar dur raah hu mahino tak…Ye 2 din me itna bechaini home sickness ki vajah nahi hai…Kuch aur hi baat hai jo mujhe samajh me nahi aa raha hai.

Agar aise hi yaha raha to pakka paagal ho jaaunga…Mujhe yaha se nikalna hi padega.

Itna sochne ke baad Sameer ne time dekha…Shaam ka 5:00 am baj raha tha.

Sameer:- (In his mind) Abhi dono soo rahe honge sin bhar ki thakaan ki vajah se…Kal hi bataaunga dono ko abb mai yaha aur ruk nahi sakta.

Lekin vajah kya bataaunga…Iss bare me socha bhi nahi hai…Lekin yaha aur din beeta bhi nahi paaunga…2 din beeta liya wo bhi bahut hai…Saaf keh dunga ki mai yaha aur nahi ruk sakta…Agar dono ne mana kiya to bhi unki baat nahi maanunga…Abb bahut ho gaya.

Sameer ne decide kar liya ki wo kal pakka yaha se chala jaayega.

Wo time pass karne ke liye apna mobile on karta hai…Mobile on karte hi screen me Priya ka 2 missed call dekhta hai…Dono hi missed call kuch ghante pehle ka tha.

Sameer:- 2 missed call aaya hai…Aur mujhe pata bhi nahi chala…Ye tour sach me bahut hi ghatiya aur manhoos tour hai mere liye…Kuch bhi accha nahi ho raha hai iss tour me.

Itna kehne ke baad Sameer Priya ko call lagaata hai…Lekin Priya ki mobile switch off hone ka reply aata hai…Wo ek do baar aur try karta hai lekin same reply…Switch off.

Sameer ko samajh me nahi aa rha tha ki aisa kyu ho raha hai…Aaj se pehle to kabhi phone karte vakt Priya ka mobile switch off hone ka reply nahi aaya tha…Lekin abhi kya hua uske mobile ko.

Issi bare me sochte hue Sameer 15 minute tak wait karta hai…15 minute baad usne fir phone kiya lekin wohi reply…Issi tarah Sameer ek ghante tak try karta hai lekin phone nahi lagta.

Abb Sameer ko bechaini ke saath ghabraahat bhi hone lagta hai.

Sameer:- Ek ghante tak phone switch off hi hai…Kahi koi problem to nahi hai…Abb to dar bhi lag raha hai.

Kya karu…Kuch samajh me bhi nahi aa raha hai...Kis tarah se ghar ke bare me pata karu.

Ghabraahat me Sameer ka dimaag acche se kaam bhi nahi kar raha tha…Mushkil se usse apne Maa ko phone karne ka idea aaya.

Usne jaldi se Maa ko phone lagaya…Maa ne jaldi hi phone uthaa liya…Sameer ne bhi apne ghabraahat par kaabu karke ghar ke bare me puch liya…Jab uski Maa ne bataya ki sab thik hai tab usse thoda raahat mila…Kuch der baat karne ke baad usne phone cut kiya.

Sameer:- Thanks God…Sab kuch thik hai…Shaayad battery low hone ki vajah se Priya ka phone switch off ho gaya hai…Mai bhi kuch jyada hi dar gaya tha.

Itna keh kar Sameer ne mobile ko bed ke ek kone me rakh kar rest karne laga.


In Rajesh's Room


Mahesh bhi Rajesh ke room me abhi abhi aaya tha…Din bhar Sameer ke saath rehne ki vajah se dono thik se baat bhi nahi kar paaye the…Dono ko abhi iss bare me baat karne ka mauka mila tha.

Rajesh:- Yaar bahut late kiya tune…Mai 15 minute se tera hi wait kar raha hu.

Mahesh:- Ek phone aaya tha…Ussi me thoda vakt lag gaya.

Rajesh:- Kya socha tune Sameer ke bare me?

Rajesh ne sidha matlab ki baat kiya.

Mahesh:- Matlab?

Mahesh ko Rajesh ki baat saaf samajh me nahi aaya.

Rajesh:- Tu kya soch raha hai…Kya agle chaal chalne ka vakt aa gaya hai?

Rajesh ne agla kadam uthaane se pehle ek baar Mahesh se puch lena thik samjha.

Mahesh:- Shaayad haa…Maine Sameer ka bechaini to ye 2 din me saaf mehsus kiya hai…Yakin ke saath to nahi keh sakta lekin mujhe lagta hai ye sahi vakt hai hame apne kaam karne ka.

Rajesh:- To fir chal Sameer ke room me.

Mahesh:- Lekin risk bhi bahut hai…Sameer ko pata chal sakta hai ki ye hamaara planning hai…Agar usse pata chal gaya to hame usko vishwaas dilaana bahut mushkil ho jaayega.

Mahesh ne thoda darte hue kaha.

Rajesh:- Tu kitna darta hai yaar…Mera yakin kar aisa kuch nahi hoga…Hamne pehle hi acche se planning kar liya hai ki hame kya karna hai…Tu dar mat…Apni baat kuch iss tarah se kahunga ki usse ham par bilkul bhi shak nahi hoga…Aur ye mat bhul ki ye hamaara farz bhi hai.

Rajesh be Mahesh ko yakin dilate hue kaha.

Mahesh:- Abb suruwaat kar hi diya hai to ending bhi kar hi dete hai.

Itna kehne ke baad Rajesh aur Mahesh dono Sameer ke room ki taraf chale jaate hai.

Sameer ke room ke pass pahunch kar Rajesh gate knock karta hai…Gate locked nahi tha aur thoda sa khul jaata hai…Rajesh gate ko thoda aur dhakka de kar khol deta hai aur bina puche hi andar chala jaata hai…Mahesh bhi uske piche piche aa jaata hai.

Dono ko ek saath room me aata dekh kar Sameer ko samajh nahi aata ki dono iss vakt iss tarah se kyu aaye hai.

Sameer:- Tum dono…

Sameer isse aage kuch bolta usse pehle hi Rajesh ne kaha.

Rajesh:- Ek jaruri baat bataana tha…Issi liye aaye hai.

Rajesh ne serious ho kar kaha.

Sameer bhi sochne laga ki aise achanaak Rajesh kya bataane aaya hai…Aur wo bhi jaruri baat.

Sameer:- Kya baat hai?

Sameer ne bhi serious ho kar pucha.

Rajesh:- Mera Divya se baat hua tha kuch der pehle…Usne Priya ke bare me bataya…Priya apne ghar jaana chaahti hai…Aur wohi se tujhe divorce degi.

Rajesh itna keh kar chup ho gaya…Abb wo Sameer ka reaction dekhna chaahta tha.

Sameer ne jaise hi ye baat suna usko bahut bada jhatka laga…Wo kuch bhi react nahi kar paa raha tha…Priya ka divorce dene ki baat se uske dimaag me bahut saare soch aur sawaal paida kar diya.

Sabse pehle to usse Priya ka iss achaanak se liya hua faisla ka vajah samajh me nahi aaya…Lekin dusre hi pal uske dil me achanak ye dar aaya ki Priya abb usse dur jaa rahi hai…Pehli baar Sameer ne ye dar mehsus kiya tha.

Sameer apne soch me vyast tha aur dusri taraf Rajesh aur Mahesh uske chehre ki bhaaw ko gaur se dekh rahe the.

Rajesh:- Sameer.

Thodi tej aawaj ke saath Rajesh ne bulaaya…Lekin Sameer Rajesh ki baat sunne ki haaalat me nahi tha.

Uske baad Rajesh Sameer ke paas pahunch kar uske kandhe ko hilaa kar bulaata hai…Tab Sameer hosh me aata hai.

Sameer:- Ha…Kya hua.

Udaasi se bhari hui aawaj ke saath Sameer bola.

Rajesh:- Kya hua…Tu kuch pareshaan sa lag raha hai?

Rajesh ne aag me ghee daalte hue kaha.

Sameer:- Nahi…Kuch bhi to nahi.

Sameer apne dil ki haal chupaane ki koshish kar raha tha…Lekin uski aawaj uske dil ki haal ko acche se bata raha tha.

Rajesh:- Lekin tu itna darte hue aur dheere se kyu bol raha hai?

Sameer:- Thoda mood off hai yaar.

Sameer abhi bhi apne dil ki haal chupaane ki koshish kar raha tha…Usse Rajesh ki sawaalo par bahut gussa aa raha tha…Lekin wo apna gussa dikhaa bhi nahi sakta tha…Priya ki divorce wali baat ki vajah se usse bahut buraa lag raha tha aur wo kisi se baat bhi nahi karna chaahta tha.

Mahesh:- Kahi tujhe Priya se pyar to nahi ho gaya?

Sameer sambhal nahi paa raha tha ki Mahesh ne ek aur sawaal puch diya…Iss sawaal ne Sameer ko fir se soch me daal diya…Ek baar fir wo apne aur Priya ke bare me sochne par majbur ho gaya…Lekin iss baar maahaul aur vakt kuch alag tha.
Majedaar update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 117


Lekin Sameer ki haalat aisa ho gaya tha ki wo kuch soch bhi nahi paa raha tha…Dimaag me ek baar me hi bahut saare alag alag sawaal aa raha tha…Priya ka usko chhod kar jaana, divorce wali baat aur wo Priya ke bare me kya feel karta hai…Aise hi sawaalo se wo confuse ho raha tha.

Kuch der tak Sameer ne kuch nahi kaha…Usko aise hi khade dekh Mahesh ne kaha.

Mahesh:- Kya soch raha hai Sameer?

Sameer:- Kuch nahi.

Sameer ne bahut dheere se kaha…Uske aawaj se lag raha tha ki usse bahut bura lag raha hai.

Mahesh:- Tu pareshaan sa lag raha hai…Kya baat hai?

Mahesh ki iss baat se abb Sameer se nahi raha gaya…Pehle hi wo bahut pareshaan tha aur abb Mahesh ki baatein usko bahut irritating lag raha tha.

Sameer:- Pata nahi…Kya ho raha hai mujhe…Kuch bhi accha nahi lag raha hai…Mai kuch der akela rehna chaahta hu.

Rajesh:- Lekin…

Rajesh apna baat pura kar paata…Usse pehle hi Sameer ne kaha.

Sameer:- Please mujhe kuch der akela chhod do…Pehle hi dimaag kharaab hua hai…Abb kuch sunna nahi chaahta…Jo bhi kehna hai baad me aa kar kaho…Lekin abhi mujhe akela chhod do.

Sameer ne order dete hue kaha.

Rajesh ko bhi laga ki Sameer ko abb aur pareshaan karna thik nahi hoga…Wo room se baahar ki taraf nikalne laga…Mahesh bhi uske piche piche room se baahar nikal gaya.



Dono ke room se baahar jaane ke baad Sameer ne gate lock kar diya aur aakar bed par gir gaya…Kuch der tak usse kuch samajh me hi nahi aaya ki ye sab kya ho raha hai aur usse kya karna chaahiye…Wo bas itna feel kar raha tha ki usse kuch bhi accha nahi lag raha hai…Dil me kuch toot ta sa mehsus ho raha tha.

Kuch der baad usne mehsus kiya ki uski aankho se aansu nikalne laga hai.

Wo jaldi se utth kar bed me baith gaya…Apne ungliyon ko aankho ke paas le gaya tab mehsus kiya ki wo soch me rone laga hai.

Sameer:- ( To himself) Ye sab kya ho raha hai…Mujhe itna bura kyu lag raha hai aur abb to aankho me aansu bhi aa gaya…Priya ki jaane ki baat se itna bura kyu lag raha hai mujhe?

Kahi mujhe Priya se pyar to nahi ho gaya??

Khud se hi kiya hua iss Sawaal ne Sameer ko chup kara diya…Kuch der tak aise hi chup reh kar sochne ke baad usne fir kaha.

Sameer:- Shaayad sach me mujhe pyar ho gaya hai…Aur aage ki jindagi me Priya ke saath na milne ki vajah se itna bura lag raha hai…Shaayad mujhe abb Priya ki aadat si padd gayi hai.


Abb Sameer ne mehsus kiya ki usse Priya se pyar ho gaya hai.

Abb Sameer fir se apne aur Priya ke bare me suruwaat se sochne laga…Abb usko yakin ho gaya ki wo Priya se sach me pyar karne laga hai…Beete hue kuch dino ko wo aur acche se yaad karne laga…Priya se baatein karne par khus hona…Priya ka chhoti chhoti baato me bhi saath milne par khus hona, Priya ki gaanw ki kuch yaadein aur lagh bhag chhat me roj Priya se baatein karna.

Sameer ko abb wo pal baar baar yaad aa raha tha…Kuch der tak to wo inn yaadon ki duniya me hi khus hota raha…Wo apne pyar bhare pal ko chehre me smile ke saath mehsus kar raha tha…Lekin jaise hi wo apni yaadon ki duniya se baahar aaya uske dil aur dimaag me fir se ek niraasha chaa gaya.

Sameer:- Bahut badnaseeb hu mai…Jab pyar hua tab pyar ka ehsaas bilkul bhi nahi hua…Pyar ko dosti ka naam de kar khud ko hi dhokha deta raha…Kabhi acche se uss pal ko khul kar nahi jee paaya.

Aur aaj jab iss baat ka ehsaas hua tab shaayad bahut der ho chuka hai…Abb Priya meri life se jaa rahi hai…Mai usko apne pyar ka ehsas dila bhi nahi paaya…Itne din wo mere saath thi lekin tab mujhe apne pyar ka ehsas bilkul bhi nahi hua…Lekin jab aaj usko khone ka dar hai tab apne pyar ka ehsas ho raha hai…Kitna unlucky hu mai.

Sameer ne niraash ho kar kaha.

Kuch der tak wo baithe baithe aise hi baatein soch raha tha…Achanak uske dimaag me ek khayal aaya.

Sameer:- Shaayad abhi bhi der nahi hua hai…Mai kal hi apne ghar jaaunga aur Priya ko apne dil ki haal bata dunga ki mai usse kitna pyar karta hu.

Itna kehne ke baad Sameer fir chup ho gaya aur fir niraash ho kar bola.

Sameer:- Fir bhi kya faaidaa…Wo kyu rukegi…Usne pehle hi divorce lene ki baat keh diya tha mujhse…Mai usse pyar karti hu lekin wo to nahi karti…Fir kyu rukegi wo…Aur itni jaldi mai usse kuch samjha bhi nahi sakta…Kaash mere paas kuch vakt aur hota.

Sameer kuch der tak aise hi iss baat ko har tarah se sochne laga…Lekin har taraf se usse niraasha hi haasil ho raha tha…Wo kabhi khud se gussa ho raha tha ki usse itna der se apne pyar ka ehsaas kyu hua aur kabhi vakt ke kami aur Priya ko dur jaate dekh bebas sa mehsus karne laga.


Aisi hi baatein sochne ke baad usne ek faisla le liya.

Sameer:- Chaahe kuch bhi ho jaaye…Ek baar mujhe Priya ko apne dil ki haal bataana hi hoga…Agar nahi batay to jindagi bhar ghut kar jeena padega aur jindagi bhar ek pachhtaawa hoga…Jindagi me pehli baar kisi se pyar hua hai…Wo bhi saccha pyar…Mai apne pyar ko aise hi nahi jaane de sakta…Kuch to karna hi padega…Agar pyar kiya hai to propose bhi karna hi padega…Bhale hi Priya mana kar de lekin mera dil ka bojh to kam ho jaayega.

Haa yahi thik rahega…Kal ghar jaa kar Priya ko har haal me propose karunga…Aur ye decision uss par chhod dunga ki aage wo kya karna chaahti hai…Chaahe to wo mere paas reh sakti hai ya fir mujh se dur bhi jaa sakti hai…Mai uske kisi bhi faisle ko bina birodh kiye maan lunga.

Lekin bhagwaan agar ho sake to please Priya ko mujh se alag mat karna…Samajh me nahi aata uske bina kaise jiunga…Uske saath ki aadat pad gaya hai mujhe.

Sameer ne faisla lene ke saath saath ek dua bhi maanga…Abb usse kal ka intejaar tha…Priya ko dekhne ke liye aur usse apne dil ke haal bataane ke liye usse raha nahi jaa raha tha…Dar aur kal ki intejaar ki utshukta ke saath usne puri raat jaagte hue kat liya.


Next Day
Jaandaar update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 118

Next Day at 6:00 am


Sameer se abb raha nahi jaa raha tha…Wo raat bhar subah ka intejaar kar raha tha…Aur jab 6:00 baja tab usne khidki se baahar dekha subah ho chuka hai…Wo utth kar wash room me gaya aur fresh ho kar aa gaya.

Fresh hone ke baad wo apna bag pack karne laga…Tabhi gate par knock ki aawaj aaya…Sameer ko thoda ajeeb bhi laga ki itni subah kaun knock kar raha hai gate par…Yahi sochte hue usne jaa kar gate khol diya.

Gate ke baahar Rajesh aur Mahesh the…Sameer ko samajh me nahi aa raha tha ki abb dono fir kyu aaye hai aur wo bhi saath me.

Sameer:- Tu dono yaha aur iss vakt?

Thoda hairaani ke saath Sameer ne pucha.

Mahesh:- Ha…Kuch der baat karna hai tujhse.

Sameer:- Kaisi baat? Aur wo bhi itni subah.

Sameer ne na khus aawaj me kaha…Sameer ko dono ki maujudi iss vakt bilkul bhi accha nahi lag raha tha.

Rajesh:- Gate par hi khada reh kar bataau.

Sameer thoda side hat gaya lekin uske chehre me frustration saaf dikh raha tha.

Rajesh aur Mahesh dono hi bed par jaa kar baith gaye…Mahesh kin ajar bed se thoda dur niche packed bag par pada.

Mahesh:- Sameer ye room pura khaali dikh raha hai aur bag bhi pack kar liya hai tune…Kahi jaa raha hai kya?

Mahesh bhi acche se jaanta tha ki Sameer waapas jaane ki taiyaari kar raha hai lekin wo Sameer ke munh se hi jawaab sunna chaahta tha.

Sameer ko bhi samajh me nahi aaya ki kya jawaab de…Wo baat sambhaalne ke liye ye bhi nahi keh sakta tha ki usne aise hi bag pack kiya hai…Wo aaj kisi bhi haal me apna ghar jaana chaahta tha aur ye baat wo dono se chupaa bhi nahi sakta tha.

Sameer:- Mai aaj ghar jaa raha hu…Issi vakt.

Chhota sa jawaab diya Sameer ne…Wo baat karke time waste bhi nahi karna chaahta tha.

Rajesh:- Iss vakt…Lekin kyu…Koi emergency hai kya?

Sab kuch jaante hue bhi Rajesh ne anjaan bante hue pucha.

Sameer:- Nahi koi emergency nahi hai…Fir bhi jaana chaahta hu.

Frustrated ho kar fir se Sameer ne chhota sa jawaab diya…Rajesh aur Mahesh ki maujudgi aur baato se uska time waste ho raha tha…Jo usse bilkul bhi accha nahi lag raha tha.

Rajesh:- Koi reason to hoga? Aise kaise chala jaayega…Abhi to 2 din aur maje karenge.

Rajesh ne hanste hue kaha…Aur Sameer ko aisa laga jaise Rajesh usse chhidhaa raha hai.

Sameer:- Mai bore ho gaya hu iss tour se…Ye bhi koi tour hai…Naa koi ghumne ki jagah, aur naa hi koi shaant jagah…Pak gaya hu tum dono ke saath ghum kar…Abb aur nahi reh sakta mai yaha…Ghutan si feeling ho raha hai…2 din to kya 2 ghante bhi nahi rukunga abb yaha.

Sameer ne iss baar apne saare frustration nikaal kar kaha…Ye kehne ke baad wo thoda shaant hua…Abb wo kisi tarah baat ko khatam kar key aha se nikalna chaahta tha.

Rajesh:- Kya yahi vajah hai tera jaane ka?

Rajesh ne kuch alag tarah se ghur kar pucha…Rajesh ki iss sawal se Sameer ko ek aur jhatka laga…Wo kuch bol bhi nahi paa raha tha…Apne jaane ki vajah wo bataana bhi nahi chaahta tha…Wo chup raha.

Rajesh:- Khaamosh reh kart u baat ko taal nahi sakta…Acche se jaanta hu yaar tujhe…Tu apne jaane ki asli vajah chupa raha hai.

Agar tour boring hone ki vajah hai to tu iss tour me aata hi nahi…Agar aa bhi gaya to iss tarah jaane ki baat nahi karta…Itna to jaanta hi hu tujhe ki tu aisi choti choti vajah se aisi decision nahi leta hai...Jarur koi aur vajah hai kit u yaha rehna nahi chaahta.

Itna keh kar Rajesh thoda muskuraaya…Wo jaanta tha ki abb Sameer uski baat nahi taal sakta hai…Rajesh ki baat ne Sameer ko soch me daal diya…Sameer ko abb koi bhi baat nahi mil raha tha kehne ke liye.

Wo chup hi raha aur sochne laga ki wo aise chup to nahi reh sakta…Wo pehle hi late ho chuka tha aur wo ye bhi jaanta tha ki Rajesh aur Mahesh usse sach jaane bina jaane nahi denge…Wo dono ko sach bataane ka soch hi raha tha ki tabhi Mahesh ne pucha.

Mahesh:- Priya se pyar karta hai na?

Mahesh ne mauka dekh kar direct hi puch diya…Mahesh ki baat sun kar Sameer ko ek aur jhatka laga aur usne Mahesh ko iss tarah se ghur kar dekha jaise usko yakin hi nahi hua.

Mahesh:- Tu ham se to jhut bol sakta hai lekin khud se nahi…Abhi tera reaction ne bhi saabit kar diya ki maine sach kaha hai…Tune mujhe iss tarah se dekha jaise tu ye pata karna chaahta hai ki mujhe ye baat kaise pata chala…Meri baat jhuth hai aisa reaction bilkul bhi nahi dikhaaya tune.

Ek baat kahunga…Dost hu tera…Tera madad hi karunga…Agar fir bhi batana nahi chaahta to koi baat nahi…Aage se iss bare me baat nahi karunga.

Itna keh kar Mahesh chup ho gaya…Usse yakin tha ki abb Sameer usko sab kuch bataayega…Itna majbur to usne Sameer ko kar hi diya tha.

Mahesh ki baat sunne ke baad Sameer ko bhi laga ki usse sacha bataana hi chaahiye…Chupa kar bhi koi faaidaa nahi hoga…Agar bata dega to wo kuch madad bhi kar sakta hai…Aur waise bhi aisi baatein chupaa kar bhi kaha chupta hai?

Sameer:-
Ha mai pyar karta hu Priya se.

Sameer ne abb ye baat maan hi liya…Lekin usne ye baat dheere se kaha.

Rajesh:- Kya?

Rajesh ne hairaan hone ka acting kiya…Wo fir se Sameer ki munh se ye baat sunna chaahta tha.

Sameer:- Haa mai Priya se pyar karta hu…Aur issi vajah se jaana chaahta hu yaha se.

Iss baar Sameer ne thoda tej aawaj me kaha…Iss tej aawaj ka matlab tha wo khule dil se apne pyar ho jaane ki baat maan raha hai.

Rajesh:- Kya tu sach bol raha hai?

Rajesh Sameer ki haalat ka maja lene ka soch raha tha.

Sameer:- Tujhe meri baat me kya majaak ya jhuth dikh raha hai?

Thoda gusse ke saath Sameer ne kaha…Apne sache dil se pyar hone ki baat maane ke baad Rajesh ka ye baat usse bilkul bhi accha nahi laga.

Rajesh:- Are cool down yaar…Yakin nahi ho raha hai ki tujhe bhi kisi se pyar ho sakta hai?

Sameer:- Kyu nahi ho sakta hai mujhe kisi se pyar?

Rajesh:- Apne 2 saal pehle ki Sameer ko yaad kar…Tu hi tha wo jo hamesha kehta tha ki mujhe kisi se pyar nahi ho sakta…Aur aaj ke vakt me pyar naam ki koi cheej hota hi nahi hai…Na tu pyar ke bare me sochta tha aur chaahta tha ki mai bhi Divya se pyar na karu.

Rajesh ne Mahesh ko puaani baatein yaad dilate hue kaha.

Sameer:- Itna to tub hi jaanta hai ki vakt ke saath insaan me bhi badlaaw aata hai…Aur mai saccha pyar ke khilaaf kabhi nahi tha…Bas Priya jaisi ladki nahi mili thi ya fir usse acche se pehchaan nahi paaya tha.

Mahesh:- Sameer socha nahi tha yaar tu itna darpok niklega…Itna vakt ho gaya tujhe pyar ka ehsas hue…Lekin aaj tak tune kisi ko nahi bataya…Pyar kiya to darna kya.

Sameer ki maje lene me Mahesh bhi picche nahi rehna chaahta tha.

Sameer:- Kal raat hi mujhe ehsaas hua apne pyar ke bare me…Jab pata chala ki wo mujhse dur jaa rahi hai tab apne pyar ka ehsas hua…Aur yahi baat mai usse bataane jaa raha tha tabhi tum dono bich me aa gaye.

Waise bhi pehle hi bahut late ho gaya hu...Abb to jaane do.

Sameer ko fir yaad aaya ki wo yaha se jaane wala hai…Iss baar usne jaane ki request bhi kiya.

Rajesh:- Pehle apne chehe ko aayina me dekh.

Iss baar Rajesh ne serious ho kar kaha.

Sameer:- Kyu? Kya hua?

Rajesh:- Tera chehra dekh kar hi bata sakta hu kit u raat bhar soya nahi hai.

Sameer:- To kya hua?

Sameer ko Rajesh ki baat ki matlab samajh me nahi aa raha tha.

Rajesh:- Paagal hai kya jo aisi baatein kar raha hai…Mujhe yakin hai tu bike se jaayega ghar…Kya tu iss tarah se chala paayega bike…Kuch der baad raat bhar jaagne ki thakaan aur bike chalaane ki thakaan se neend aane lagega…Fir kaise chalaayega bike…Accident hone ki accha chance hai.

Jaanta hu pyar ka ehsas hua hai to tu yaha nahi reh paa raha hai…Jitna jald ho sake utna jald tu Priya ke paas jaana chaahta hai…Lekin haalato ka bhi khayal rakh…Deewana banna acchi baat hai lekin dimaag ka bhi istemaal kar liya kar kabhi.

Rajesh ne samjhaate hue kaha.

Sameer:- To fir mai bus se chala jaaunga…Abb mujhse aur nahi raha jaa raha hai.

Rajesh:- Fir bhi kya faaidaa hoga…Saari raaste tu aise hi thakaan ke saath ghar pahunchega…Aur kya yahi thakaan se bhara hua shakal le kar jaayega Priya ke saamne aur propose karega.

Accha maan liya tu aise hi propose kar dega Priya ko…Lekin kya kahega…Meri baat maan tu kuch nahi keh paayega aisi haalat me…Thakaan ki vajah se kuch kehna to dur sochna bhi mushkil ho jaayega.

Mera baat maan…Kuch ghante soo ja acche se…Shaam tak aaram se apna ghar pahunch sakta hai tu…Aur raat ko acche se apne dil ki baat keh dena.

Rajesh ne Sameer ko sabhi haalaton ke bare me acche se samjha diya…Sameer ko bhi Rajesh ki baat sahi laga…Lekin usse yaha aur ehne ka bilkul bhi man nahi tha…Fir bhi kuch der aur intejaar karna uska majburi ban gaya tha…Abb usse khud par gussa aa raha tha ki wo raat bhar kyu nahi soya.

Sameer ko gehri soch me dekh Rajesh samajh gaya ki Sameer uski baat jarur maanega.

Rajesh:- BTW congrats yaar…Aakhir tujhe pyar ho hi gaya.

Rajesh ne Sameer ko dil se congratulate kiya.

Sameer:- Agar Priya nahi maani to kya faaidaa mujhe pyar hone ka.

Samer ne thoda darte hue kaha.

Mahesh:- Kitna pessimistic hai yaar tu…Kuch to shubh baatein soch…Mujhe yakin hai Priya jarur maan jaayegi.

Khair ham dono tujhse jaane aaye the ki tujhe abhi tak Priya se pyar ka ehsas hu ya nahi…Hame apna jawaab mil gaya…Abb tu rest kar…Ham dono jaate hai apne apne room me.

Itna keh kar Rajesh aur Mahesh dono Sameer ke room se baahar nikal gaye.

Mahesh:- Tune mujhe bataane kyu nahi diya ki hamne Sameer se jhuth kaha tha ki Priya uske ghar se jaane wali hai…Khud bhi nahi bataya aur jab mai bataane wala tha tab mujhe bhi ishaara se rok diya.

Rajesh:- Agar bata deta to plan hi bigad jaata…Agar Sameer ko pata chalega ki Priya uske paas hi rahegi to usse bahut vakt lag jaayega apne dil ki baat Priya ko bataane ke liye…Shaayad itna der ki jab sach me Priya ka jaane ka time aa jaayega tab wo bataane ka himmat karega.

Divya ne mujhe bataya hai ki Piya bhi Sameer se pyar karti hai…Wo Sameer ka proposal kabhi bhi accept kar legi…Lekin ye vakt sahi hai ki Sameer darte hue hi sahi jaldi se Priya ko popose kar dega…Warna usse propose karne me bahut vakt lag jaayega.

Mahesh:- Ek baat to accha hua ki ham Sameer ko uske pyar ka ehsas dilaane me kaamyaab rahe.

Rajesh:- Hmm…Aakhi plan kaamyaab ho hi gaya.

Aise hi baatein karte hue dono apne apne room me chale gaye.


At Night


Sameer apne ghar raat ke 8:00 pm me pahuncha…Ghar me jaate hi usne dekha ki sabhi dinner kar rahe the…Wo bhi jaldi se fresh ho kar aaya aur saath me hi dinner par baith gaya.

Dining table me Priya ko dekh kar usko ek alag sa sukoon mila…Bahut vakt beet gaya tha usse baat kiye hue aur usko dekhe bina…Dinner ke time me kuch baatein hota raha…Priya Sameer ko aaj kuch jyada hi khubsuat lag rahi thi.

Sameer apne Maa aur Papa ko chhoti chhoti jawaab de raha tha apne tour ke bare me…Wo dinner ke vakt bhi apne Maa aur Papa ki najro se bach kar Priya ko dekhe jaa raha tha.

Wo Priya se baat karne ke liye bechain tha lekin baat karne ke liye maahaul thik nahi tha.

Usne mobile nikaal kar Priya ko message kar diya. "Kuch kehna hai tumse…Dinner ke baad chhat me milunga."

Message sent hone ke baad Priya ne bhi padh liya aur Sameer ki taraf dekha…Sameer ne bhi haa me sar hila diya…Priya apna dinner kar chuki thi aur fir wo chhat me chali gayi.

Sameer ne bhi 5 min baad apna dinner kar liya au wo bhi chhat par chala gaya.

Chhat ke gate par pahunch kar Sameer ne dekha ki Priya ek kone me uska intejaar kar rahi hai…Priya ki peeth Sameer ki taraf tha.

Sameer aage jaane ke liye utshuk tha lekin uske man me dar sa paida ho gaya tha…Wo bahut koshisho ke baad bhi apne pair aage badha nahi paa raha tha.

Abb usse pata chal raha tha ki apna pyar ka izahaar karna kitna mushkil hota hai.

Wo apna koshish kar hi raha tha ki Priya achanak se uski taraf palti…Priya ka iss tarah se palatne ke baad Sameer ke paas abb koi raasta hi nahi bacha…Abb wo bhi man me thoda sa dar ke saath Priya ki taraf badh gaya.
Atisunder update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 119


Sameer dhire dhire Priya ki taraf jaane laga…Wo aage badhte hue bas yahi soch raha tha ki usko kya kehna chaahiye aur kaise kehna chaahiye…Usne to pehle bahut kuch soch liya tha ki wo kaise propose karega lekin abb Priya ko saamne dekhte hi uska confidence bahut ghat gaya…Ek dar bhi usko sata raha tha ki agar wo Priya ko mana nahi paaya to Priya hamesha usko chhod kar chali jaayegi.

Yahi sab sochte hue wo Priya ke paas chala gaya.

Priya:- Ha Sameer kaho…Kya kehna chaahte the tum.

Priya ne thoda confuse ho kar kaha…Wo jab se chhat me aayi thi tabhi se Sameer ke bare me hi soch rahi thi…Sameer 3, 4 din pehle hi aa gaya iss baat se Priya bahut khus thi…Ye baat uske liye kisi surprise se kam nahi tha…Lekin dinner ke vakt wo Sameer ke expression samajh nahi paa rahi thi…Sameer kabhi khus dikhta tha to kabhi pareshaan…Aur message me chhat me milne ke baat usse aur confuse kar raha tha.

Bas wo itna hi samajh paayi thi ki Sameer pareshaan sa hai aur chhat me koi important baat bataane wala hai…Aur yahi baat jaane ke liye wo Sameer ka besabri se intejaar kar rahi thi.

Sameer:- Ek baat bataana hai tumhe.

Sameer ne dhire se aur thoda dar ke saath kaha…Priya ke saamne aate hi wo acche se apni baat keh bhi nahi paa raha tha.

Priya:- Kaho?

Priya ne thoda utshuk aur chintit ho kar pucha…Sameer ka itna dhire se bolne se Priya ko lag raha tha ki kuch serious baat hai jo Sameer keh nahi paa raha hai.

Dusri taraf Sameer bhi fir se himmat jutaa raha tha apne dil ki haal bataane ke liye…Wo koshish to kar raha tha apne dil ki baat ko jubaan pe lane ke liye lekin wo baar baar naa kaamyab ho raha tha.

Wo frustration me baar baar idhar udhar dekhne laga lekin fir bhi apne dil ki haal bata nahi paa raha tha.

Baar baar yahi dar Sameer ke man me aa raha tha ki Priya uske feeling ke bare me kya sochegi, Agar usne inkaar kar diya to fir kya hoga aur fir Priya ko khone ka alag sa dar.

Wo to ye bhi nahi jaanta tha ki Priya uske bare me kya sochti hai…Abb Sameer khud ko hi kos raha tha itna der se pyar ka ehsas hone ke liye…Wo man hi man yahi keh raha tha ki
"Kash thoda aur vakt milta mujhe…Pehle ye jaane ki koshish karta ki Priya mere bare me kya sochti hai aur fir mai bhi Priya ko apne pyar ka ehsaas dilaa kar acche se propose kar deta…Lekin abb wo mauka bhi nahi hai mere paas…Kaise apne dil ki haal bataau kuch samajh me nahi aa raha hai."

Sameer yahi baat soch raha tha…Uske sabhi planning par uska ye dar bhari pad gaya…Priya ko apne dil ki haal bataana to dur uski hontho se koi aawaj bhi nahi nikal paa raha tha…Wo bas idhar udhar dekh kar khud se hi shikaayat kar raha tha.

Dusri taraf Priya bhi Sameer ki iss ajeeb si harkat ko gaur se dekh rahi thi…Sameer ki aisi harkat dekh usse kuch bhi samajh nahi aa raha tha ki Sameer ko aakhir hua kya hai aur kyu aisi ajeeb harkat kar raha hai…Sameer ke chehre me dikh raha dar aur frustration uske samajh me bilkul bhi nahi aa raha tha.

Priya:- Sameer.

Jab 15 minute beet gaya aur Sameer ne kuch nahi kaha tab Priya ko hi usse bulaana pada.

Sameer:- Ha.

Sameer ne bhi achaanak se Priya ki taraf dekh kar jawaab diya aur fir apna chehra hata liya…Abb wo Priya se aankh bhi nahi milaa paa raha tha.

Priya:- Tum thik to ho na.

Priya ki aawaj me abb Sameer ke liye fikar tha…Sameer ko aise Priya ne kabhi nahi dekha tha…Sameer ke chehre me maujood dar, confusion aur frustration Priya ko bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha…Sameer ne usko chhat me kuch kehne ke liye bulaya tha lekin yaha to Sameer khud hi ajeeb sa behave kar raha tha.

Sameer:- Ha…Haa…Mmai thik hhun.

Sameer ne haklaate hue jawaab diya…Abb to usse Priya ko jawaab dena bhi mushkil ho gaya tha.

Priya:- Tum kuch bechain lag rahe ho…Koi problem hai?

Priya ka ye sawaal se Sameer ka haalat aur kharaab ho gaya.

Sameer:- Nahi…Kkoi problem nahi hai.

Sameer ne ye baat to keh diya…Lekin uska haklaane ki vajah se aur idhar udhar dekhne se hi Priya ko pata chal gaya ki Sameer jhuth bol raha hai aur kuch chupa raha hai.

Priya:- Tum mujhe kuch bataane waale the na…Lekin tumhe dekh kar to lag raha hai ki tum khud me hi confuse ho aur hakla kar bol rahe ho.

Sameer ko abb Priya ko propose karna to dur usko jawaab dena bhi mushkil ho raha tha…Abb usse pata chal gaya ki wo Priya ko apne dil ki baat to nahi keh paayega…Wo khud se hi niraash ho kar topic change karne ke liye sochne laga.

Sameer:- Shaayad thakaan ki vajah se aisa ho raha hai…Pata nahi kyu abb baat karne ka bhi man nahi kar raha hai.

Aawaj me ek niraasha ke saath Sameer ne kaha…Ye kehte vakt Sameer ko khud par hi bahut gussa aa raha tha lekin wo kuch bhi nahi kar paa raha tha...Itna keh kar usne apna sar jhuka liya.

Priya:- Mai paani le kar aati hu.

Itna keh kar Priya niche jaane lagi.

Sameer khud ko hi apne khayaalo me kos raha tha aur wo Priya ki ye baat nahi sun paaya.

Jab usne dekha ki Priya yaha se jaa rahi hai to usse laga ki Priya uske jindagi se hi dur jaa rahi hai…Aur issi dar se usse ek alag hi himmat aa gaya aur usne thoda tej aawaj me kaha.

Sameer:-
Priya…I love you. :love:

Ek dard bhari aawaj me Sameer ne Priya ko propose kar hi diya…Priya ka uske jindagi se dur jaana usse bardaast nahi ho raha tha…Aur issi vajah se uski aankho me thodi aansu bhi aane laga.

Sameer ko khud vishwas nahi ho raha tha ki usne ye kaise keh diya…Lekin usse thoda raahat bhi mila ki usne apne dil ki baat aakhir keh hi diya hai…Abb wo bhagwan se pray bhi kar raha tha ki Priya uske pyar ko apna le.

Dusri taraf Priya ko yakin hi nahi hua apne kaano par…Lekin wo jaanti thi ki usne kuch galat suna nahi hai…Sameer ka ye proposal sun kar wo bahut khus ho gayi…Aur yahi to wo 3 shabd tha jisse sunne ke liye wo itna bekarar thi…Abb jaake usse Sameer ka uss bechaini ka matlab samajh me aaya.

Lekin usse ye abhi bhi samajh me nahi aa raha tha ki Sameer agar usse pyar karta hai to itna dar kar kyu propose kar raha hai…Khair wo abhi iss baat ko sochna nahi chaahti thi...Abb usse raha nahi gaya…Usne bhi piche mud kar Sameer ko dekha.

Jab Priya ne Sameer ko dekha tab Sameer ka chehra hi bata raha tha ki wo kitna sach bol raha hai…Lekin Sameer Priya se aankh nahi milaa paa raha tha…Usne apna sar jhuka liya.

Lekin agle hi pal uske man me khayal aaya, "Maine to apne dil ki baat keh diya hai…Abb jo hoga dekha jaayega…Agar Priya bhi mujhse pyar karti hai to wo mera pyar ko apna legi warna mai kar bhi kya sakta hu…Mujhe aise dar kar sar ko jhukaana nahi chaahiye…Pyar kiya hi hai to kyu daru…EK baar aankh me aankh daal kar apna feelings kehta hu…Aage uski marji"

Fir Sameer ne apna sar upar uthaaya aur Priya ki aankh me aankh daal kar kehna suru kiya.


Sameer:- Ha sach hi suna hai tumne…Pata nahi kyu, kaise aur kab se lekin tumse pyar ho gaya mujhe…Jab se tumhe acche se jaana hai aur apne bhool ka ehsas hua hai tab se tum mujhe acchi lagne lagi thi…Khud par hi gussa aata hai aur afsos hota hai ki maine tumhe pehchaane me galti kar diya aur tumhe apna dushman bana liya tha.

Lekin jab se maine asli Priya ko pehchaana tab se mera soch tumhaare liye ek dam se badal gaya…Ek pacchtawa sa hone laga tha ki maine itni acchi ladki ke saath aisa kiya…Mai to apne hi najro me iss tarah gir gaya tha ki khud hi upar uthhna nahi chaahta tha…Mai khud ko maaf nahi kar paa raha tha…Lekin fir bhi tumne mujhe maaf kar diya…Ek mauka diya khud ki najro me upar utthne ka.

Mai tumhe apna dushman manta tha lekin tumne mera uss bhool me bhi saath diya jab mujhe kisi ka saath ka bahut jarurat tha…Aisi haalat me bhi mujhe apna dost maana tumne…Shaayad issi vajah se mere dil me tumhaare liye respect bahut badh gaya.

Aur vakt ke saath tumhaari aur acchaiyon ka pata chalne laga…Khaas kar tumhaara mera Maa aur Papa ke saath behavior...Tumne hamesha unka respect hi kiya tumhaare saath itna galat hone ke baawjood…Iss vajah se tum mujhe aur accha lagne lagi.

Aur jab mai tumhaare saath tumhaare gaanw jaa raha tha tab jab tum baccho ko khilaa rahi thi tab mujhe pata chala kit um dil se kitni acchi ho aur tum sach me ek nek dil ladki ho.

Aur fir tumhaara mujhe maaf kar dena aur roj mujhse baatein karna…Ek baar gaanw me jab mujhe haath me chot laga tha tab tumhaara mujhe care karna…Mera sabhi problems me saath dena…Shaayad yahi vajah se mujhe tumse lagaaw sa ho gaya hai…Tumse dosti karne ke baad mera tumhaare liye soch ek dam se badal gaya…Tumse baatein karna itna aaccha lagta tha ki hamesha chaahta tha ki tumse baatein karta rahu.

Jab bhi chhat me tumse baat karta tha tab dil ko ek alag sa sukoon milta tha…Saari tension aur problem bhul jaata tha aur tumse baat karne me kho jaata tha…Tumse apne feelings aur dil ki baatein share karne me bhi ek sukoon nilta tha…Aur shaayad issi vajah se umhaara aadat sa padd gaya hai abb mujhe.

Tum me wo saari baat hai jo mujhe apne patni ke roop me chaahiye…Tumhaara mujhe samajhna, mujhse acchein se baatein karna, meri feelings ko samajhna aur sahi galat bataana, mera saath dena…Jimmedaarion ka ehsaas hona aur mere Maa aur Papa ko izzat dena aur sabse badi baat ki tum ek saaf dil ladki ho…Shaayad yahi vajah hai ki mujhe tumse pyar ho gaya.

Itna keh kar Sameer chup ho gaya…Priya usse hi dekh rahi thi…Sameer ka baatein aur uske liye taarif sun kar wo bahut khus ho gayi thi aur thodi si sarma bhi rahi thi.

Sameer:- Lekin mai bhi bewkoof hi hu…Mujhe tumse pyar ka ehsas kab hua ye bhi pata nahi hai…Hamesha iss pyaar ko mai dosti ka naam deta raha…Hamesha se pyar se dur hi raha hu…Issi liye shaayad apne pyar ka ehsas bhi nahi hua…Lekin jab tumhe khone ka dar lagne laga tab mujhe apne pyar ka ehsas hua...Tab mujhe pata chala ki mai tumse kitna pyar karta hu aur jab mujhe ye pata chala ki tum mujhse dur jaa rahi ho to bata nahi sakta kitna bura laga tha mujhe…Aisa lag raha tha ki jindagi se sab kuch jaa raha hai aur abb mai kuch bhi nahi kar sakta hu.

Jab aur duriyan bardaast nahi hua to aa gaya tumhaare paas…Ye bataane ke liye ki mai tumse kitna pyar karta hu…Lekin pyar ka ehsas hua kuch hi din hua hai…To samajh me nahi aa raha tha ki kaise propose karu aur kaise apne dil ki haal bataau…15 minute issi bechaini me lag gaya…Tum mere bare me kya sochogi iss baat ka bhi dar tha…Maine aisa kuch kiya bhi nahi hai ki tum mujh se pyar karogi…Ulta maine tumhaare saath galat hi kiya hai.

Pata nahi mai tumhaare pyar ke laayak hu ya nahi lekin abb tumhe sacche dil se kehta hu bahut pyar karta hu mai tumse…Aur tumhaare bina mai apne jindagi me aage ka kuch soch bhi nahi sakta hu…Agar tumne mera pyar apna liya to ye mere liye bahut bada khus nasibi hai aur agar tum mujhe chhod kar jaana chaahti ho to bhi koi baat nahi…Mai tumhaara dono hi faisle ka samman karunga.

Last me bas itna kahunga ki "I love you and without you my life is nothing."


Itna keh kar Sameer chup ho gaya…Usne apne dil ki baat keh diya aur Priya ki jawaab ka besabri se intejaar karne laga aur saath hi man me dua bhi karne laga.

Priya:- Sameer mai tumhaare feelings ki respect karti hu…Lekin mai tumhaari tarah nahi sochti hu…Mai tumhe bas apna dost maanti hu aur tumhaare liye pyar jaisi feelings nahi hai mere liye.

Priya itna keh kar mud gayi aur waapas jaane lagi.

Jaise hi Sameer ne ye suna usko andar ek jordaar jhatka sa laga…Wo jo nahi sunna chaahta tha wohi sunna pada…Lekin abb wo kuch kar bhi nahi sakta tha…Wo abb thik se khada bhi nahi reh paa raha tha aur piche ki taraf chalte hue ek deewar ke sahaare khada ho gaya…Aankho me abb aansu aane laga.

Priya bhi 4 ya 5 kadam aage badhne ke baad achaanak se piche mud gayi aur daudti hue Sameer ko gale laga liya aur kaha.

Priya:-
Stupid…I love you too. :love:

Priya ne bhi feelings ke saath kaha.

Sameer ko Priya ki iss baat par jaise vishwaas hi nahi hua…Lekin Priya ko gale lagta dekh wo samajh gaya ki usne kuch galat nahi suna…Pal bhar me saara dard khushi me badal gaya aur usne bhi Priya ko jor se apne baaho me bhar liya…Sameer aur Priya dono hi iss pal ko acche se mehsus karne lage.

Karib 10 minute baad Sameer ne kaha.

Sameer:- Dara hi diya tha tumne…Aisa bhi koi karta hai kya.

Sameer ki aawaj se hi pata chal raha tha ki wo kitna khus hai…Usse jaise duniya bhar ki khushi mil gaya tha.

Priya:- Tumne ye baat bataane me itna der kar diya…Ye ussi ki sajaa hai.

Priya ki baat me Sameer ke liye shikaayat tha.
Parsanshniye update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 120


Sameer ne Priya ki baat ka koi jawaab nahi diya…Wo bas Priya ko apne baaho me mehsus karne laga aur apne pyar aur sukoon ko mehsus karne laga…Karib 15 minute tak dono ek dusre ke pyar ko mehsus kar rahe the…Yahi to wo pal tha jisse dono ko itne vakt se intejaar tha…Aur abb wo iss pal ko dono acche se jee rahe the.

Uske baad Priya Sameer se alag ho gayi aur Sameer ki aankho me dekhne lagi…Sameer ki aankho me uske liye pyar dekh kar Priya thoda sarmaane lagi…Usne apna chehra thoda jhuka liya.

Sameer:- Bahut khubsurat lag rahi ho tum aaj.

Sameer ka ye dil ki aawaj apne aap jubaan se baahar nikal gaya.

Sameer ki iss baat se Priya ki hontho me bhi muskaan aa gaya…Muskuraate hue usne kaha.

Priya:- Pehle khubsurat nahi thi kya?

Priya ne fir shikaayat karte hue pucha.

Sameer:- Nahi…Tum to hamesha se hi khubsurat ho…Meri aankhein aur dil hi nahi pehchaan paaya tha tumhaare khubsurati ko.

Sameer ne bhi thoda romantic ho kar kaha.

Sameer ki iss baat par Priya ko samajh me nahi aaya ki kya kahe…Wo chup rahi.

Sameer bhi chup hi raha…Usse bhi samajh me nahi aa raha tha usse kya bolna chaahiye.

Jab dono ke bich ye khaamoshi aur badh gaya tab Priya se raha nahi gaya.

Priya:- Kya hua? Itne chup kyu ho gaye?

Iss baar Priya ne Sameer ki aankho me dekh kar pucha.

Sameer:- Mujhe vishwas nahi ho raha hai ki ye sach hai ya sapna…Khud ko yakin dilaane ki koshish kar raha hu ki ye sach hai.

Sameer ki aawaj hi bata raha tha ki wo kitna khus hai…Sameer ki baat khatam hone ke baad Priya ne uske haath ko pakad kar apne taraf kheencha aur thoda jor se pinch kar diya.

Sameer ki hontho se thoda ouch ka cheenkh nikal pada aur usne sawaliya najro se Priya ko dekha.

Priya:- Abb yakin ho gaya na ki ye sapna nahi sach hai…Tum hamesha buddhu hi rahoge.

Itna keh kar Priya khil khila kar hasne lagi…Sameer bhi uska ye hansi dekh kar muskuraane laga aur muskuraate hue usne kaha.

Sameer:- Tum kabhi nahi sudhrogi…Baar baa raise hi shock deti ho…Pehle kaha ki tum mujhse pyar nahi karti ho…Aur jaane lagi aur abb achaanak hi pinch kar key akin dila rahi ho ki ye sach hai.

Sameer ki baato ka jawaab Priya ne bhi hanste hue diya.

Priya:- Ye to mera pyar karne ka style hai Mr. Sameer…Aage dekhte jaao aise shock aur bhi milenge tumhe.

Sameer:- Bahut hi khatarnaak style hai.

Priya:- Tumhaara hi choice hai.

Sameer:- Ha mera hi choice hai…Aur bahut accha choice hai…Mera life ka sab se badhiya choice me se ek hai…Tumhaare issi style se hi to pyar hua hai mujhe.

Sameer apne pyar ki taarif karte hue bilkul bhi nahi thak raha tha.

Priya:- Kya baat hai…Aaj to bahut bade bade dialogue bol rahe ho.

Priya Sameer ko aur ukshaane ki koshish kar rahi thi…Usse bhi Sameer ka iss tarah baat karna bahut accha lag raha tha.

Sameer:- Ye dialogue nahi hai darling…Mere dil se nikla hua baatein hai.

Sameer ne ye to keh diya lekin kehne ke baad usse pata chala ki usne kya keh diya hai…Wo fir dhire se bolne laga.

Sameer:- Pata nahi kya kya bak raha hu…Jo man me aa raha hai wo hi bolte jaa raha hu.

Sameer ne to bahut dhire se bola tha lekin Priya ne uski baatein sun liya aur wo Sameer ke iss paagal pan par fir khil khilaa kar hasne lagi…Priya ko fir iss tarah se hansta dekh Sameer bhi saath me hasne laga.

Jab Priya hans kar shaant hui tab Sameer ne kaha.

Sameer:- Priya…Mai aaj khud ko bahut lucky feel kar raha hu…Tumne jab mera pyar ko apna liya tab aisa mehsus ho raha hai jaise mujhse duniya bhar ki khushiyan mil gaya…Ek alag sa sukoon mil raha hai…Aaj pata chal raha hai ki pyar ka jindagi me kya matlab hai…Jab college join kiya tha shaayad ye sukoon mai miss kar raha tha aaj iska ehsas ho raha hai.

Aaj pata chal raha hai ki pyar karna koi galat kaam nahi hai…Bas sacche insaan ko chunna jaruri hai…Aur maine iss kaam me koi galti nahi kiya hai…Der se hi sahi lekin mujhe apne pyar ka ehsaas ho hi gaya aur maine bahut hi acchi ladki ko chuna hai iss baat se mai bahut khus bhi hu.

Soch raha hu ki mujhe jindagi ke sabhi khushi mil gaya hai…Maa aur Papa ka saath aur pyar…Tumhaara pyaar aur Dosto ka sachha dosti aur bure vakt me saath…Maine to itna galat kiya tha tumhaare saath lekin fir bhi mujhe itni saari khushiyan mil gaya…Abb yahi soch me hu ki kya mai iss khushi ke laayak hu.

Sameer ne bahut gambhir ho kar ye baat kaha…Agar Priya ne usko bich me na roka hota to wo aur bhi bahut kuch bolne wala tha.

Priya:- Abb galat soch rahe ho tum…Bhale hi tumne galti kiya tha lekin jaan bujh kar tumne koi galti nahi kiya tha aur naa hi tum aisa karna chaahte the…Tumne apne galti ko vakt me hi pehchaan kar usko sudhaarne ki koshish kiya issi vajah se maine tumhe maaf kiya aur yahi acchai shaayad iss baat ki vajah bhi hai ki mujhe tumse pyar ho gaya…Aisi kayi khubiyan hai tum me jis vajah se mujhe tumse pyar hua hai.

Lucky to mai khud ko maanti hu…Jab tum mere life me aaye tab mera life ek dum se badal gaya…Pehle bas Maa ka pyar aur Divya ka saath hi tha mere paas…Lekin jab tum mere life me aaye tab mujhe bahut saari khushiyan mil gaya…Saccha pyar aur mera bikhra hua pariwar bhi waapas mujhe mil gaya…Mai jis khushi chhahti thi wohi khushi aaj mere paas hai.

Ye kehte hue Priya bhi bahut emotional ho gayi.

Sameer:- Hmm…Iss pyar ne hamaare jindagi ko badal diya aur issi pyar se bahut saari khushiyan bhi mil gaya…Aaj ye bhi pata chal gaya ki pyar dushmani aur nafrat se kitna bada hota hai aur pyar se jindagi me kitna sukoon milta hai.

Sameer ne ye baat to Priya ko keh diya lekina apne man me bhi wo sochne laga.

Sameer:- (In his mind) Ha pyar aur nafrat ke bich koi comparison hi nahi hai…Jis din mai Priya se badla lene gaya tha aur kaamyaab bhi ho gaya tha…Tab bhi mujhe utna chain nahi mila tha jitna aaj mil raha hai…Sach me Pyar mahaan hai.

Sameer ne apne man ki baat Priya ko nahi bataya kyu ki wo ye baat keh kar aaj ke iss shubh din me Priya ko wo manhoos pal ki yaad dilaana nahi chaahta tha.

Sameer:- Priya.

Sameer ne Priya ko soch me dube hue dekh kar hosh me laate hue kaha.

Priya:- Haa.

Sameer:- Kyu na ham kal coffee peene chale saath me?

Sameer ki iss baat se Priya ke chehre me bhi smile aa gaya.

Priya:- Matlab indirectly dating ki baat kar rahe ho?

Priya ne bhi muskura kar pucha.

Sameer:- Keh sakti ho.

Sameer ne bhi thoda hanste hue jawaab diya…Kuch der hasne ke baad wo achaanak ruk gaya aur thoda serious hokar usne Priya se pucha.

Sameer:- Priya…Tum kuch dino me apne ghar to nahi jaa rahi ho?

Priya:- Nahi…Abhi aisi planning to nahi hai…Lekin tum ye kyu puch rahe ho?

Priya ne bhi thoda hairaani ke saath pucha…Sameer ka ye baat wo bhi iss vakt Priya ko bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha.

Priya ki iss baat ne Sameer ko chanka diya aur usko thoda gussa bhi aane laga…Wo apne man me sochne laga.

Sameer:- (In his mind) Iska matlab dono ne mere saath majaak kiya…Aur aisi bakwaas majaak wo bhi mre pyar ke saath…Tum dono ne accha nahi kiya.

Sameer apne man me soch raha tha lekin wo iss soch aur gusse ki vajah se aaj ki raat ko barbaad bhi nahi karna chaahta tha.

Sameer:- Nahi…Aise hi puch diya…Bahut din ho gaya tumhe apne ghar gaye issi liye pucha.

Sameer ne baat badal diya…Priya ko Sameer ka ye baat ka matlab samajh me nahi aaya aur usne bhi iss baat ko ignore kar diya.

Fir dhire dhire dono pehle ki tarah romantic baatein karne lage…Iss baat cheet me dono ne dono ko apne dil ki bahut saari baatein bataya, dono apne past ko yaad kar ke hansi majaak karne lage aur saath me apne future ke bare me sochne lage…Sameer bhi baato me iss tarah kho gaya tha ki wo apna saara gussa bhul gaya.

Aise hi baato ke dauraan Priya ne mobile me time dekha…Raat ke 1:00 am baj raha tha…Tab jaa kar Priya ko apne neend ka ehsas hua.

Priya:- Sameer abb bahut raat ho gaya hai…Hame abb sone jaana chaahiye.

Sameer:- Bas 1 hi to baja hai…Thodi der aur baat karte hai…Pehle bhi to baat karte hue 2, 3 baj jaata tha…Aaj to hamaara special raat hai.

Sameer ki baato se hi lag raha tha ki abhi tak uska man bhara nahi hai Priya se baat karne me.

Priya:- Nahi abb kal baat karenge…Agar koi upar aa gaya aur kisi ne dekh liya to.

Priya ne thoda fikar ke saath kaha.

Priya ki iss baat par Sameer ne hanste hue thoda tej bola.

Sameer:- Kya baat hai…Madam ko aaj dar bhi lag raha hai…Pehle to aap jab 2 baje tak bhi baatein karti thi tab to aisa dar kabhi nahi dekha tha…Aaj pyar kya ho gaya madam ko dar lagne laga hai.

Sameer ne majaak karte hue kaha.

Sameer ki iss baat se Priya ko thoda sarm bhi aane laga…Usne utth kar kaha.

Priya:- Koi dar war nahi hai stupid…Mujhe neend lag raha hai issi liye sone jaane ki baat kar rahi thi.

Itna keh kar Priya waha se chali gayi…Sameer ka wo majaak usse accha to laga tha par jawaab nahi de paa rahi thi.

Priya jab chhat ke gate se nikalne hi wali thi ki Sameer ne piche se kaha.

Sameer:- Bhulna mat…Kal subah coffee shop me dating hai.

Sameer ki baat sun kar Priya ka muskaan aur bhi gehra ho gaya lekin wo koi jawaab diye bina hi chali gayi.

Priya ke jaane ke baad Sameer bhi apne room ki taraf jaane laga…Wo bahut khus ho kar apne room ki taraf jaa raha tha…Uska chehre ki bhaaw aur chalne ki style dekh kar lag raha tha jaise usne bahut bada jung jeet liya hai.
Sarahniye update hai mitr.
 
Top