Fabulous update yr sach kaha ke gussa aur ghamand hi sab Kuch nahi hota hai hame sab bhul kr sakoon aur pyar se bhi baat krni chahiye .UPDATE 129
At Park
Pratap:- Jaldi bol kyu bulaya tune? Jyada vakt nahi hai hamaare paas.
Aate hi Pratap ne attitude ke saath kaha...Sameer ne dekha ki Pratap aur Ramesh dono saath hi aaye hai.
Sameer:- Kuch baatein karna hai tum dono se.
Ramesh:- Kaisi baatein?
Sameer:- Baat karne se jyada samjhaane aaya hu...Bas itna kehna chaahta hu ki aage se mere life me koi dakhal mat dena...Abhi tak jo hua wo hua lekin aage se aisa kuch nahi hona chaahiye.
Ramesh:- Aur tujhe lagta hai ham samajh jaayenge aur teri baat maan lenge.
Ramesh ne hanste hue kaha...Wo kuch iss tarah se hansa jaise wo Sameer ka majaak udaa raha hai.
Pratap:- Accha to tu shaanti samjhauta karne aaya hai.
Itna keh kar Pratap bhi hasne laga.
Sameer:- To tum dono nafrat aur ladaai hi chaahte ho.
Sameer ne serious ho kar kaha.
Ramesh:- Ha...Aur ye nafrat aur ladaai tak tak chalega jab tak ham tujhe barbaad nahi kar denge.
Pratap:- Aaj bhi nahi bhule hai hamne wo beizzati jo college me tujhse maar khaane ke baad hua tha.
Ramesh aur Pratap ki baat me Sameer ke liye bahut nafrat tha.
Sameer:- Accha...Maine galti kiya...Maine tumhe maara...Lekin ye bataao mujhe aisa karne par kisne majbur kiya.
Pratap:- College students hai ham...Aur ham tere senior bhi thhe...Ragging ka hak har senior ke paas hota hai...Hamaare paas bhi hai...Lekin tune kya kiya ragging ke against me jaa kar sabhi ke saamne hame peet diya.
Kya ham mandir ke ghanti hai jo koi bhi aayega baja kar chala jaayega.
Aaj tak nahi bhula hu wo beizzati...Dost to kya dushman bhi hamaara majaak banaane lage ki ek junior se peet gaya.
Ye nafrat ka badla aisa lunga ki tu bhi yaad rakhega tune kisse panga liya tha...Jab tak ham dono hai teri life kabhi khushi se kat nahi paayega.
Sameer:- Maanta hu tumhe bahut bura laga ki maine tum dono ko maar kar tumhaara beizzati kiya...Lekin tumne kya kiya ragging me...Priya ko kiss karne ke liye bola.
Abb bataao ye kaunsa tarika hai ragging ka...Socha hai Priya ko kaisa laga haoga jab tum dono ne public me aisa ghatiya task diya tha...Jis tarah se tumhe bura laga socho usko kitna bura laga hoga.
Mujhe uss vakt jo sahi laga maine wo hi kiya...Ye to tum bhi maante hoge ki galti usa vakt tum dono ka hi tha.
Sameer abhi bhi shaant tha aur dono ko samjhaane ki koshish kar raha tha.
Ramesh:- Tu to sach me shaanti samjhauta karne aaya hai...Chal bhaag hame teri koi baat nahi sunna hai...Hamaara badla tabhi pura hoga jab tujhe ham barbaad karenge.
Lekin ek baat samajh me nahi aaya tu aise shaant kaise ho gaya aur hamse itna dar kyu raha hai...College me to bahut hero banta tha na.
Pratap:- Ye mohobbat aisi hi cheej hai yaar...Hero ko bhi zero bana deta hai...Majbur ho jaate hai aise log apne aur apno ke baare me soch kar.
Iss ka bhi yahi haal hai...Dar raha hai ki koi isse aur Priya ko alag karke barbaad na kar de.
Itna keh kar Ramesh aur Pratap dono hasne lagte hai ussi andaaz me jaise dono Sameer ka majaak udaa rahe hai.
Sameer:- Zero nahi banaya hai...Balki matured banaya hai...Agar aaj pehle wala Sameer hota jisse pyar, mohobbat me vishwas nahi hota to uska jawaab kuch aisa hota.
Tune mere saath jo kuch bhi kiya hai, bahut galat kiya hai...Galat aadmi se galat vakt me panga liya hai...Abb tera khair nahi hai...Count down suru ho gaya hai...Chhodunga nahi tum dono ko...Ek ek galti ka sabak sikhaaunga.
Aur wo Sameer gusse me tum dono ka wo haal karta jo mai bhi soch nahi sakta...Gussa mujhe haiwaan bana deta hai...Jis Priya se mai abhi itna pyar karta hu uske saath itna galat kiya to socho tumhaara kya haal hota.Tum dono se badla lene ke liye mere paas bahut vajah hai.
Sameer ka aisa badla hua roop dekh Ramesh aur Pratap ek dam se chaunk gaye.
Ramesh:- To tu sach me ladna chaahta hai.
Sameer:- Nahi...Abb nahi...Priya se pyar hone ke baad bahut kuch badlaaw aa gaya hai mujhme.
Har baar gusse me decision nahi leta hu abb...Iss baar tum dono ke baare me thanda dimaag se socha...Fir mehsus kiya ki har baar badla aur nafrat jaruri nahi hai...Kabhi kabhi kuch baatein ignore bhi karna padta hai.
Abb mera life me sab kuch thik chal raha hai...Hamesha saath nibhaane wale Mata Pitaa aur mujhse beintehaa pyar karne wali Priya mili hai aur saath me Priya ki jindagi me bhi khushiyon ki baarish ho gaya hai...Abb isse jyada mujhe kya chaahiye.
Fir mai kyu kisi se dushmani rakhu aur kisi ke saath galat karu.
Pratap:- Lekin ye khushiya bas kuch hi pal ka mehmaan hai teri jindagi me.
Sameer:- Fir wohi baat...Mai tujhe samjhaane aaya hu nafrat aur badla hi sab kuch nahi hota hai life me...Agar hota to mai abb tak apna badla le chuka hota aur mere paas iske liye tujhse bhi badi vajah hai.
Maine tujhe sabke saamne maara, lekin tune kya kiya mera jindagi barbaad karne me koi kami nahi chhoda wo bhi mera best friend ka istemaal kar ke...Mai kitna ghut raha tha apne galti ki vajah se ye mai nahi bata sakta...Bahut galat feelings aane laga tha aur khud se hi nafrat hone laga th
Aur Priya uss bechaari ki kya galti tha...Mujhse badla lene ke liye tum dono ne uska jindagi barbaad karne se bhi piche nahi hate...Wo to accha hua ki ham dono ki jindagi fir se badal gaya aur jindagi fir se sahi raah me chal pada.
Aur Rajesh...Apne badle ke liye tum dono ne uska accident bhi kara diya.
Abb bol badla lene ke liye mere paas tujhse accha vajah hai ya nahi.
Agar pehle wala Sameer hota to iss baare me kuch sochta bhi nahi...Sidha apne kaam suru kar deta...Lekin lucky ho tum dono ki uss vakt apne problem me tum dono ko bhul gaya tha.
Ramesh:- To kisne mana kiya hai tujhe kuch karne se...Tu apni taraf se koshish kar aur ham apni taraf se...Tera ye do chaar baatein hamaara badle ki iccha ko badal nahi sakta.
Sameer:- Thik hai...Jo chaaho wo karo...Lekin yaad rakhna mai pehle se kamjor nahi hu...Bas shaanti se baat karne aaya tha...Agar nahi samajhna chaahte to kya kar sakte hai.
Pratap:- Samajhna tujhe chaahiye tha...Ki jab bhi koi insaan kisi ko barbaad karne aur badla lene ka soch le to usko samjhaya nahi jaa sakta do chaar mithi baato se...Pehle thappad maar aur fir chocolate de kar mana le...Itna buddhu hai kya ham?
Sameer:- Buddhu nahi samajhdaar socha tha. Khair.
Pratap:- Kya matlab?
Sameer:- Tum dono acche khaase padhe likhe ho...MBA padhe ho...Laga tha meri baat ko acche se sunoge, samjhoge aur fir kuch faisla karoge...Lekin tum dono sunne ko taiyaar hi nahi ho...Bas badla lene ka jidd par hi tike hue ho.
Itna keh kar Sameer chup ho gaya aur dono ki taraf dekhta hai...Dono chup the.
Sameer:- Kuch pal ke liye mujhe bhul jaao aur bataao dosti bada hai ya dushmani.
Ramesh:- Dosti.
Sameer:- Ye to tum bhi maante ho...Abb bataao faisla jaldbaazi aur gusse me lena chaahiye ya fir samajhdaari aur shaanti se.
Ramesh:- Samjahdaari aur shaanti se.
Sameer:- Abb ye bhi bataao ki kya hamaara life sirf hamaara hi hai ya fir hamaari life me hamaare pariwar jisne hame paala, hame bada kiya, hamse ummeed rakha, unka bhi koi hak hai.
Ramesh:- Hamaara pariwar ka bhi hak hai.
Pratap:- Ye tum dono kaisi baatein kar rahe ho.
Sameer:- Bas kuch der acche se sunna meri baatein aur aage faisla tumhaare haath me hai.
Accha abb ye socho...Agar ham dono aapas me lade aur maan lo kisi ek ko bhi kuch ho gaya to hamaare pariwar par kya guzrega.
Ek Maa Baap ka beta yaani budhaape me sahara khatm ho jaayega wo bhi kis vajah se college ki kuch students ki group war ki vajah se.
Sunne me accha lagta hai kya? Hamaare chhoti si jidd kisi pariwar par kya nukshaan pahuncha sakta hai...Apne ego satisfy karne ke liye dusro par kya bit sakta hai.
Sameer itna keh kar chup ho gaya aur fir se Ramesh aur Pratap ko dekhne laga...Dono abb chup the aur Sameer ki baat par seriously soch rahe the.
Sameer:- Badla to mai bhi le sakta hu...Bas issi soch se maine ye khayal apne dimaag se nikaal diya.
Mai tum dono ko bura insaan samajhta tha...Kuch din pehle jab tumhaare baare me pata kiya to pata chala ki tum dono me bahut acchaaiyan bhi hai...Apne pariwar ke prati jimmedaari aur majbur logon ka saath dena...Ye baatein maine notice kiya hai.
Bas ek badla lene ka jidd tum dono ko galat bana raha hai.
Tumhaare baare me jaane ke baad socha ki agar tumse badla liya to mai jeet jaaunga lekin tumhaare Maa aur Papa bhi haar jaayenge jinhone 25 saal se tum dono ko paaala hai iss ummeed me ki tum dono budhaape me unka sahara bano...Lekin mujhe unhe haraana nahi hai wo bhi ek chhoti si vajah ke liye.
Aur yaar badla aur nafrat me kya rakha hai...Ek baar kisi se dosti kar ke dekh lo...Dekhna duniya kitna alag hoga.
Aur hamaare paas badla lene ka sirf vajah ye hai ki maine tum dono ki beizzati kiya aur tumne mere life ko barbaad karne ki koshish kiya jaha fir se sab kuch thik ho gaya hai...Abb badla lene ka matlab sirf ego satisfy karna hai.
Abb tum dono hi bataao kya ham aisi chhoti chhoti baaton ko ignore karke aage nahi badh sakte jaha khushiyan aur safalta hamaara intejaar kar raha hai...Ya fir apne life me ek hi mission rakhe ki dusro ko barbaad kar ke apna badla pura kar sake.
Acche se socho...Aur fir bataao badla hi sab kuch hai ha kuch baato ko ignore karke life me khushi aur shaanti se aage badhna jaruri hai...Kahi ham badla lene me khud ko hi badal to nahi rahe hai ki hame abb sahi galat ka pehchaan tak nahi raha?
Abhi tak hamaare bich jo bhi hua usme dono taraf se galti hua hai...Jyada aur kam ki baat na kare to dono taraf se galti hua hai...Aur tumhe abhi bhi lagta hai ki galti sirf mera hi hai to mai dil se tum dono se maafi maangta hu.
Aage tumhaara marzi...Agar badla lena hi chaahte ho to mai bhi taiyar hu aur sab kuch bhula kar dosti karna chaahte ho to bhi mai taiyar hu.
Itna keh kar Sameer chup ho gaya.
Pratap:- Kyu itna soch raha hai Ramesh? Ye dar ki vajah se hame uljhaana chaahta hai....
Pratap aage kuch kehne hi wala tha ki Ramesh ne usse bich me hi rok kar kaha.
Ramesh:- Iski baato se nahi lagta ki ye dara hua hai...Paisa aur dosto ki kami nahi hai iske paas...Agar chaahe to aasani se hame hara sakta hai...Ye baat accha kaha iss ne ki dushmani se bada dosti hota hai...Aur kuch baato ko hame ignore bhi karna chaahiye.
Agar dekha jaaye to galti hamaara bhi hai...Badla ki chaahat me hamne bhi kayi galtiyan kiya hai...Baat to sahi hai Sameer ka.
Itna keh kar Ramesh bhi chup ho gaya.
Sameer:- To kya faisla hai?
Ramesh:- Abhi koi faisla nahi liya hai...Acche se soch kar baad me bataaunga.
Sameer:- Ok...Intejaar rahega...Lekin mujhe faisla pata chal gaya hai...Ek aur baat bataana tha...Ek mahine baad mera shaadi hai...Jarur aana...Card jaldi bhejunga.
Sameer ne bahut confidently kaha...Atul ki iss baat se Pratap aur Ramesh dono ko hansi aa gaya.
Pratap:- Confident bahut hai...Yakin nahi hota sach me bhul gaya ye badle ka plan...Sach hi kaha tune chhoti chhoti baaton ko bhul kar dosti karna hi behtar hai.
Ramesh:- Accha hai ki kuch baatein abhi clear ho gaya...Badla lene ka hi sochte to hamaara hi nukshaan tha...Family ki baato ko bahut acche se kaha tune ki ham jo bhi karte hai usse hame hi nahi hamaare family par bhi asar padta hai.
Shaayad pehle hi ye baatein college me hi suljha lete to jyada accha hota...Aaj baat yaha tak nahi pahunchta.
Aaj mehsus ho raha hai isa badle ke chakkar me ham sach me bahut badal gaye the..Badla ke liye na jaane kitne galti kiya aur aage bhi karne wale the.
Sameer:- Abhi bhi sab kuch thik ho gaya yahi bahut hai...Aur rahi baat college ki to shaayad uss vakt ye possible nahi tha.
Uss vakt ham sabhi me ego aur ghamand kuch jyada hi tha...Koi apna galti nahi maanta aur khud ko dusro se accha dikhaane ki koshish karte.
Bahut accha laga ki tum dono samajh hi gaye meri baat.
Ramesh:- Socha nahi tha...Badle ka plan dimaag se iss tarah se niklega...Thanks yaar iss tarah se sochne par majbur karne ke liye.
Abhi mehsus hua ki galti hamaara hi jyada tha aur accha hua ki abhi ehsas hua...Abb ji hua usse badal to nahi sakte...Koshish karunga aage se aisa kuch na ho.
Ham galat insaan nahi the...College me thoda masti aur badle ki chaahat ne bura bana diya...Sorry yaar abhi tak jo kuch bhi hua uske liye.
Sameer:- Sorry mat bolo...Uss vakt mera bhi galti tha...Mera ghamand aur nafrat ki vajah se Priya aur tum dono se relation kharab ho gaya tha...Bas itna koshish karte hai ki aage se aisi galtiyan na ho.
Fir Sameer ka dono se kuch der aise hi baat hota hai...Kuch der baat karne ke baad Sameer ka dono se relation me bahut sudhaar aata hai.
Fir Sameer dono se bidaa le kar apne ghar ki taraf badhta hai.
Sameer :- (In his mind) Ye kaam bhi acche se ho gaya...Accha hua ki abb ye dushmani dushmani nahi raha...Insaan ko kabhi kabhi jhukna bhi sikhna chaahiye...Aaj thoda jhuka to sab kuch thik ho gaya.
Unn dono ke baare me pata karne ke baad pata chala ki koi bhi insaan waisa nahi hota hai jaise ham sochte hai...Acche se jaane ke baad hi ye baatein pata chalta hai...Har insaan me acchaai hota hai aur kuch vajah se hi galat raaste ki taraf chalte hai.
Jaldbaazi se jyada samajhdaari se liya hua faisla behtar hota hai...Aur acche se aur politely baat karte hai to dusri taraf se bhi log waise hi baat karenge...Aaj ye baat bhi sikh liya...Priya aur Papa se kiya hua ek vaada pura kar diya maine.
Vaada kiya tha ki kabhi gusse me faisla nahi lunga aur gusse pe kaabu karunga...Aaj bina gussa ke apna kaam kiya aur kaamyaab bhi raha.
Aise hi baatein sochte hue Sameer apne ghar pahunch jaata hai.
[Story ka next update last update hoga...Aur wo kal post karunga...Chaahta to aaj hi post kar deta lekin ek din intejaar karaane ka majaa lunga. ]
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।UPDATE 1
Mera Sameer kaha hai...Abhi tak kuch pata nahi chala...2 mahine se jyada ho gaya hai wo abhi tak ghar nahi lauta....Phone bhi nahi lag raha hai...Aakhir kaha chala gaya...College khatm hone ke baad kitna khush ho kar ghar lauta tha...Acchanak kaha gaayab ho gaya...Police bhi abb tak usko dhund nahi paaye hai...Pata nahi kis haal me hoga mera beta....Aap usko jaldi se dhoond kar laaiye.
Ye aawaaj kisi aur ki nahi Sameer ki Maa ki thi...Achanak Sameer ke do mahine se gaayab ho jaane ki vajah se aur koi khabar naa milne ki vajah se uski Maa ki ro rokar haalat bahut kharaab ho chuki thi...Wo apne pati Mr. Sharma ke saamne gidgidaakar ro rahi thi aur apne beta ko dhund kar laane ko keh rahi thi.
Mr. Sharma:- Shaant ho jaao....Aise rone se Sameer aa jaayega kya? Mera bhi beta hai wo...Mujhe bhi uski fikar hai...Jald aa jaayega...Shaayad koi kaam me fanss gaya hoga.
Mr. Sharma ne bass itna hi kaha tha ki Mrs. Sharma ne chillate hue kaha.
Mrs. Sharma:- Aisa kaun saa kaam hai ki wo do mahine tak gaaayab ho jaaye...Kam se kam ek baar to phone karta...Pata nahi kis haal me hoga wo.
Itna keh kar Mrs. Sharma ekdam shaant ho gayi aur nichhe baith kar rone lagi.
Mr. Sharma ke pass bhi abb kuch kehne ki himmat nahi tha.....Unko bhi Sameer ki bahut fikar ho raha tha....Jaise taise khud ko sambhaal ke rakhe the...Unki haalat bhi Mrs. Sharma ke jaise hi ho gayi thi...Bas wo ro nahi rahe the...Kuch der baad wo apni patni ko sambhaalne ke liye kehte hai.
Mr. Sharma:- Kuch nahi hoga hamaare bete ko...Abb wo bada ho gaya hai...Har paristhiti se lad sakta hai...Bas kisi kaam me uljha hoga wo...Dekhna jald laut aayega wo.
Mr. Sharma ne ye keh to dia lekin wo hi jaante the ki kitna himmat jutaa kar unhone ye kaha tha...Mrs. Sharma unki iss baat ka koi jawaab nahi deti...Bas chup chaap ro rahi thi niche baithkar....Ab Mr. Sharma bhi kuch nahi kehte....Wo bhi wahi baith jaate hai aur soch rahe the ki kaise Sameer ko dhundha jaaye....
Wo dono kuch der aise hi baithe the ki tabhi unn ke ghar ke main door par kisi ka knock hota hai...Knock sunte hi Mrs. Sharma ekdam se utth jaati hai aur Mr. Sharma se kehti hai.
Mrs. Sharma:- Sameer hi hai.....Mujhe pata tha wo laut aayega.
Itna keh kar Mrs. Sharma gate kholne chali jaati hai....Mr. Sharma ko nahi lag raha tha ki ye Sameer hoga...Lekin fir bhi Mrs. Sharma ko kuch nahi kaha....Bas wo gate ki taraf dekh rahe the ki raat ka 10:00 baje kaun aaya hai.....
Jaise hi Mrs. Sharma gate kholti hai.....Baahar khade shakhs ko dekhkar bahut khush ho jaati hai aur chilla kar kehti hai.....
Mrs. Sharma:- Aa gaya Sameer tu...Kitne din se gaayab tha....Itne dino baad laut kar aaya hai...Apni Maa ko kitna pareshaan kiya tune...Kyu bina bataye chala gaya tha...
Mrs. Sharma ne Sameer ko dekh kar rote huye kaha lekin agle hi pal Sameer ke saath khadi ladki ko dekh bolti band ho gayi...Unko samajh me hi nahi aa raha tha ki kya kahe.....Jab unnhone Sameer aur uss Ladki ko gaur se dekha toh bahut bada jhatka laga.....Wo achanak se pichhe hatt gayi....Mr. Sharma bhi Sameer ka naam sunkar jaldi gate tak aa pahunche.....Lekin jab unhone bhi Sameer aur uss ladki ko gaur se dekha to wo bhi bahut shocked ho gaye aur pal bhar me unke chehre me pareshaani ki jagah gussa ne le liya.....
Sameer bhi apne maa aur papa ka aisa roop dekh kar dar gaya....Wo bhi darte huye haanth jodd kar maanfi maangte huye bola.....
Sameer:- (Rote hue) Maa aur Papa....Please mujhe maaf kar dijiye.....Bahut majbur ho gaya tha mai.....Meri ek bhool ne mujhe aisa majboor kar diya ki mujhe ye kadam uthaana pada....Please maaf kar dijiye....
Sameer ye kehkar aur rone laga...Mr. Sharma ka gussa Sameer ka aise rone se pighal gaya...Unhone bhi Sameer ki haalat samajhte hue kaha
Mr. Sharma:- Sameer...Tum aur bahu abhi apne room me jaao....Ye vakt baat karne ka nahi hai....Kal iss baare me baat karenge.
Sameer ne ye baat sun kar thoda raahat ki saans liya...Lekin wo bhi jaanta tha ki Papa se bas aaj raat tak hi wo bachega...Kal usko saara sach maa aur papa se kehna padega.....Ye sab sochte hue Sameer aur wo ladki Sameer ke kamre me chale jaate hai....
Sameer ke jaate hi Mrs. Sharma hairaani se Mr. Sharma se kehti hai.
Mrs. Sharma:- Ye sab kya kar dia Sameer ne...Hamse bina bataaye shaadi kar liya...Agar hame bata deta to kya ham manaa karte? Ye Sameer ne accha nahi kiya.
Mrs. Sharma jo kuch der pehle dukhi thi abb uski jagah hairaani ne le liya.
Mr. Sharma:- Iss baare me kal baat karenge....Sameer hi batayega ki usne aisa kyu kiya...Abhi itni raat ko mai ghar me koi hangaama nahi karna chahta....Kal hi iss baare me baat karenge....Abhi sone ke liye chalo......Sahi vakt pe sahi kaam hoga.
Mr. Sharma ki aawaj se hi laga raha tha ki wo kitne gusse me hai...Jaise taise unhone apna gussa par kaabu kiya tha.
In Sameer's Room
Sameer apne room me pahunch kar bistar par gir gaya...Uski aankho se thoda aanso gir rahe the...Wo uss manhoos ghadi ko yaad karke pachta raha tha jis vakt usne ye bhool kiya tha...Jaise hi wo Ladki Sameer ke room me aayi usne chillate hue Sameer se kaha.
Ladki:- Tumne mere saath aisa kyu kiya Sameer....Mai tumse nafrat karti thi aur mai Karan se pyaar karti thi....Tumne mujhse shaadi karke meri jindagi barbaad kar diya...Tum bhi to mujhse nafrat karte the na to mujhse shaadi kyu kiya? Tum mujhse badla lena chahte the...Issliye...Sameer tumne ye accha nahi kiya....Mai tumhe kabhi maanf nahi karungi.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।UPDATE 2
Wo Ladki gusse me sirf itna hi bol paayi...Shaadi se lekar abb tak ke khaamoshi ko todkar usne bahut gusse me Sameer se kaha...Sameer ko to samajh me hi nahi aa raha tha ki uss Ladki ki sawaal ka kya jawaab de? Jindagi me pehli baar khud ko itna kamjor mehsoos kar raha tha Sameer...Fir bhi usne uss ladki se najar hata kar dhire se kaha.
Sameer:- Mujhe maaf kar do Priya...Mai bahut majboor ho gaya tha...Tumhe bachaane ke liye mujhe tumse shaadi karna pada...Shaayad koi aur raashta bhi nikaal sakta tha.....Lekin vakt bahut kam tha mere pass...Issliye kuch samajh me nahi aa raha tha aur majboori me mujhe tumse shaadi karna pada.
Sameer ki aawaj se hi pata chal raha tha ki wo kitna majboor tha...Wo to acche se bol bhi nahi paa raha tha...Jaise taise usne Priya se itna keh kar chup ho gaya.
Priya:- Abb apni galti chhupaane ke liye koi bahana dhundh rahe ho...Kya keh rahe the tum...Mujhe bachaane ke liye tumhe mujhse shaadi karni padi...Tum aur mai to college me dushman thhe naa...To tum mujhe kyu bachaane lage...Jarur iss shaadi me tumhaara ko faaidaa hoga yaa fir tum meri life barbaad karna chahte ho.
Priya abhi bhi bahut gusse me thi...Jaise hi wo itna keh kar chup huyi Sameer ne fir se apna himmat juta kar apni safaayi pesh ki.
Sameer:- Ha...Maanta hu tum meri dushman thi....Shaayad aaj bhi ho...Lekin mai apna dost ho ya dushman kisi ko pareshaan karne ke liye itna niche tak nahi girr sakta...Mai tumhe iss liye bachaana chahta tha kyu ki meri hi vajah se tumhaari life barbaad hone jaa raha tha....Anjaane me mujhse aisi bhool ho gayi thi jisko sudhaarne ke liye mujhe tumse shaadi karna pada...Maaanta hu ki shaadi karke maine koi accha kaam to nahi kiya lekin aur paap karne se khud ko rok liya...Please ek baar mera puri baat sun lo...Mera aisa karne ki picche kya vajah hai.
Sameer aage bahut kuch kehna chahta tha lekin Priya ne usko bicch me hi chup kara diya aur bolne lagi.
Priya:- Nahi sunni mujhe tumhaari koi baat...Maine tumse ye expect nahi kiya tha ki tum itna gir jaaoge...Iss Shaadi ka pura dosh mai tumhe nahi de sakti kyuki iss me mere parents bhi utna hi doshi hai...Maine kitna manaa kiya tha ki mai ye shaadi nahi karungi lekin meri baat nahi suna...Jabardasti mera shaadi karwa diya....Paise ke liye meri jindagi barbaad kar diya.....Papa to paise ke liye laalchi hai hi...Wo kisi bhi hadd tak gir sakte hai lekin Maa ne aisa kyu kiya? Ye samajh me nahi aa raha....Khair jo bhi ho....Ek baat sun lo Mr. Sameer Sharma mai abb bhi iss shaadi ko nahi maanti.....Ye to mai nahi jaanti ki tumhaare mujhse shaadi karne ki picche kya makshad hai par ye jaan lo ki mai tumhaare wo makshad kabhi kaamyab nahi hone dungi...Mujhe tumse divorce chahiye.....Mai tumhaare saath nahi reh sakti...Tumse divorce lene ke baaad mai Karan se shaadi kar lungi.
Priya ki aankhe gussa se laal ho chuki thi aur andar se bahut dukhi bhi thi apni jabardasti ki shaadi ki vajah se...Wo chilla chilla kar Sameer se baat kar rahi thi.....Sameer ko dar bhi lag raha tha ki kahi uske Maa aur Papa Priya ki baat na sun le...Sameer ne bhi Priya ka gussa dekh abbhi jyaada bolna sahi nahi samjha aur Priya ko shaant karne ke liye bas itna hi bola.
Sameer:- Ok Priya....Thik hai...Mai tumhe divorce de dunga aur tum Karan se shaadi kar lena....Chalo abhi so jaao.....Abb kya karna hai wo kal sochenge.
Itna keh kar Sameer bed par se uthh gaya aur sofe pe chala gaya sone.....Priya bhi bed par lait kar kuch der tak apni iss shaadi ko yaad karke roti rahi aur fir kuch der baad so gayi...Idhar Sameer ki aankho se neend koso dur tha...Wo baar baar uss manhoos ghadi ko yaad karke pachtaa raha tha.....Wo soch raha tha ki kal Maa aur Papa ko kya jawaab de...Apne dost ko kya jawaab dega.....Samaaj me kitna badnaami hogi.....Aur to aur Shruti ko kya jawaab dega....Bas yahi soch aur tension me usne saari raat jaag kar kaat liya.
Subah jab 5:00 baja to Sameer nedekha room me Priya so rahi thi...Abb bhi uske chehra ka dard dikh raha tha...Wo jaldi se room se baahar nikal kar ground floor par hall me chala gaya...Usko yakin tha ki uske Maa aur Papa abhi wahi maujood honge...Jab wo hall me pahuncha tab usne dekha uske Maa aur Papa Sameer ka hi wait kar rahe the...Sameer apna Papa ka gussa bhara chehra dekh dar gaya aur sir(head) jhuka kar saamne rakha hua sofa par baith gaya...Uske baithte hi uske Papa ne usse raubdaar aawaj me kaha.
Mr. Sharma:- To aa gaye janab shaadi karke.....Shaadi karne ki itna jaldi tha ki hame ek baar bataana bhi thik nahi samjha?
Sameer apne Papa ki gusse bhari aawaj se dar gaya...Kya kehna hai kuch samajh me nahi aa raha tha...Bas sir jhuka kar darte huye itna hi kaha.
Sameer:- Maaf kar dijiye Papa...Mai bahut majboor ho gaya tha...Ek bhool kar diya tha jiski praayaschit karne ke liye mujhe ye shaadi karna pada.
Mr.Sharma:- To kya majboori thi ye bataaane ki kasht karenge? Aur aisi bhi kya majboori thi ki aap hame phone bhi nahi kar paaye?
Mr. Sharma ki baat se hi lag raha tha ki wo kitne gusse me hai aur Sameer ka aisa chhup rehna unko aur gussa dila raha tha...Wo gusse me fir se bole.
Mr. Sharma:- Chhup kyu baitha hai...Itna bada kaand kar diya aur abb chup baitha hai...Abb kuch bolega ya nahi.
Mr. Sharma ka achanak itna gussa ho jaane se Sameer bahut dar gaya...Uske munh se aawaj nahi nikal raha tha...Sameer ko abb bhi chup dekh kar Mr. Sharma ka gussa saatwe aasman me pahunch gaya...Wo apni jagah se ekdam se utth gaye aur gusse se bole.
Mr. Sharma:- To tu nahi batayega? Aaj to mai tera jaan hi le lunga.
Itna keh kar wo Sameer ki taraf badhne lage...Lekin bich me hi Mrs. Sharma aa gayi aur Mr. Sharma ka gussa shaant karte huye boli.
Mrs. Sharma:- Please aap shaant ho jaaiye...Uski baat to suniye...Shaayad koi bahut badi majboori rahi hogi uski.
Itna keh kar Mrs. Sharma Sameer ki taraf dekhti hai aur Sameer se kehti hai.
Mrs. Sharma:- Sameer beta...Aise chup kyu baitha hai....Bata de apne papa ko sach....Darne ki koi jarurat nahi hai...Mai jaanti hu tu kabhi galat kaam nahi karega...Bata de beta...Sab sachh bata de.
Mrs. Sharma ne ye baat laghbhag rote hue kaha....Unko dar tha ki kahi Mr. Sharma gusse me Sameer ko kahi kuch kar na de...Wo bhi jaanna chahti thi ki aakhir Sameer ne itna bada decision apne Maa Baap ko bina bataaye kaise le liya!
Mrs. Sharma ki baat sunne ke baad Sameer me thoda himmat aaya...Wo bhi darte darte bolne laga.
Sameer:- Papa....Jab mai Priya ke gaanw gaya tha to waha par network nahi aa raha tha...Aur sab kuch itne jaldi me ho gaya ki bataane ka mauka hi nahi mila....
Mr. Sharma:- Wahi to mai pucch raha hu...Aakhir kya baat ho gayi ki tujhe shaadi karna pada wo bhi bina hame bataaye.
Mr. Sharma ki aawaj me abhi bhi gussa tha...Unka aisa roop dekh Sameer ne bhi sab kuch jaldi se bata dena hi sahi samjha...Aur usne suru se lekar ant tak jo bhi hua wo sab batata chala gaya.
Sameer ki puri baat sunne ke baad Mr. Sharma aur Mrs. Sharma ke chehre ke bhaaw ekdam badal gaye...Unn dono ko to viswaas hi nahi ho raha tha ki Sameer aisa ghatiya kaam bhi kar sakta hai.
Mr. Sharma Sameer ke pass gaye aur uske gaal pe do jordaar thappad laga diya aur gusse se bole.
Mr. Sharma:- Mujhe tujhse iss baat ki ummeed nahi thi...Tu kaise itna gir sakta hai...Ek ladki ki jindagi ko tune barbaad karne ka socha...Kaash tujh jaisa beta paidaa hi nahi hota to accha rehta.
Itna keh kar Mr. Sharma Mrs. Sharma ki aur dekh kar kehne lage.
Mr. Sharma:- Kal tum iss naalaayak ke liye ro rahi thi na...Kaash sach me ye marr hi jaata to accha hota...Hamne iske liye kya kuch nahi kiya...Bachpann se lekar aaj tak iss ka harr zidd ko pura kiya...Kabhi kisi cheej ki kami nahi hone diya.....Aur issne hame aaj kaisa din dikhaya? Isne hame hamaare hi najar me giraa diya...Kuch din me iss naalaayak ki Shruti ke saath engagement hone waali thi...Abb uss bechaari Shruti par kya beetegi jab usse iss naalaayak ki kartut ke baare me pata chalega...Isne uska bhi bharosa aur pyaar dono hi todd diya...Kisi aur se shaadi karke aa gaya...Pure society me hamaara naam badnaam kar diya...Naak kaat diya isne apni harkato se.
Itna keh kar Mr. Sharma chup ho gaye...Sameer ko bahut bura lag raha tha ki uske papa ne aaj usko itna kuch keh diya...Mar jaane tak bol diya...Lekin wo bhi feel kar raha tha ki usne galti hi aisa kiya hai...Wo thodi der chup rehne ke baad himmat jutaa kar itna hi bol paaya.
Sameer:- Papa...Aapko mujhe jo bhi kehna hai keh lijiye...Jitna bhi maarna ho maar lijiye...Lekin please Priya ko kuch mat kahiye...Uski koi galti nahi hai...Sab meri vajah se hua hai.
Sameer ne darte darte Mr. Sharma se kaha ...Mr. Sharma ne uski baat sunkar Mrs. Sharma se kaha.
Mr. Sharma:- Chalo yaha se...Kuch der yaha par baitha to naa jaaane kya kar dunga...Mujhe abhi iss ka chehra bhi nahi dekhna.
Mr. Sharma itna keh kar gusse se apne room me chale gaye...Mrs. Sharma bhi Sameer ko dekhte dekhte Mr. Sharma ke piche piche chali gayi...Unke chehre me bhi aascharya ki bhaaw thhe...Unko yakin hi nahi ho raha tha ki Sameer aisi harkat bhi kar sakta hai...Jab Mr. Sharma aur Mrs. Sharma apne room me chale gaye to Sameer waha akele khada reh kar rone laga...Usko pata tha ki uske Maa aur Papa usse bahut gussa ho jaayenge...Lekin usne ye nahi socha tha ki wo dono aise bhi react karenge...Wo khada hokar hi ro raha tha aur aage abb aur kya kya sehna padega wo soch raha tha.
बहुत ही बेहतरीन और शानदार महोदय।।UPDATE 3
Sameer apne parents ke jaane ke baad kuch der tak khade khade rota raha...Kuch der rone ke baad wo wahi sofe par baith gaya...Uske pass itna himmat nahi bacha tha ki waapas room me jaaye.....Room me chala jaata to Priya ki baatein sunni padti...Pehle hi wo apne Papa ki kadwi baatein sun chuka tha...Abb himmat nahi tha kisi ki baat sunne ka...Bahut toot chuka tha wo andar se...Wo sofe par baithkar apne kiye gaye bhool ko kosh raha tha aur aane waali kal ko soch kar aur pareshaan hote jaa raha tha...Usne apne saath saath Priya ki jindagi ko bhi daaw par laga diya tha...Wo kuch der hi baitha tha sofa par tabhi ek ladki ki aawaj ne usko aur pareshaan kar diya.
Ladki:- Sameer...Kaha chale gaye thhe tum itne dino se? Ek baar to phone kar dete? Pata hai mai kitna intejaar kar rahi thi...Tumhe to meri koi parwaah hi nahi hai.
Sameer jaise hi iss aawaj ke taraf muda, Door se Shruti ko aate hue dekha...Shruti ke saath uske mom aur dad bhi the...Shruti Sameer ke ghar uske parents se uske baare me pucchne aayi thi lekin jaise hi usne Sameer ko dekha usne khushi se jaldbaazi me ye sab bol diya...Sameer Shruti aur uske parents ko aise aate dekh aur bhi ghabra gaya...Abb kya kehna hai, kya karna hai kuch samajh me nahi aa raha tha...Usse iss vakt Shruti ka yaha aane ki koi ummed nahi tha...Fir bhi darte darte ussne itna hi kaha.
Samer:- Shruti tum iss vakt yaha?
Ghabrahat ke kaaran Sameer ke munh se aur koi aawaj nahi nikla....
Shruti:- Tumhaare baare me hi puncchne aayi thi...Lekin tumne to ham sabko surprise de diya....Yaha aa gaye thhe to raat me phone kar sakte the naa? Aur ye bataao itne dino se kaha gaayab the...Ek baar bhi phone nahi kiya...Mujhe nahi kiya koi baat nahi lekin apne mom aur dad se to kar lete...Pata hai wo kitna ghabra gaye thhe?
Shruti Sameer se pyaar se ye sab baatein keh rahi thi...Wo itne dino ki judaai ke baad milne se Sameer se bahut saari baatein karna chahti thi....Wo toh bahut kuchh bolne waali thi...Lekin uski mom ne usko bicch me hi rok diya.
S.mom:- Abb bas bhi kar Shruti...Kitna sawaal pucchegi? Sameer ko bhi toh bolne ka mauka de...Kab se tu hi badbadaye jaa rahi hai.
Shruti ki mom aur dad ki baatein sun kar Mr. and Mrs. Sharma bhi baahar aa gaye...Unka room ground floor par hi tha to wo log sab baatein sun rahe thhe...Suru me to unhe bhi samajh nahi aaya ki abb kaise Shruti ki mom aur dad se najarein milaaye...Lekin iss tarah se darte huye andar baithne se baahar aakar baat karna hi thik samjhe aur aa gaye...Unke baahar aane se hall me maujood sabhi logon ki dhyaan unn par chala gaya...Shruti ki mom aur dad ki chehre me khushi tha to Sameer ki chehre me chinta aur pareshani.
Shruti ki dad kuch bolne hi waale the ki Mr. and Mrs. Sharma ki chehre ki pareshani ko dekh kar chup ho gaye aur Shruti ki mom ko bhi chup rehne ka ishaara kar diya...Kuch der baad Shruti ke dad bole....
S. Dad:- Kya hua bhai sahab? Sab thik to hai na...Aap ka beta ghar aaya hai...Aap khus hone ki jagah pareshan lag rahe hai?
Shruti ke dad ki iss sawaal ka Mr. Sharma ne koi jawaab nahi diya...Wo Shruti ke dad ko Sameer aur Priya ki shaadi waali baat kaise samjhaaye yahi soch rahe the...Kuch der chup rehne ke baad wo bole.
Mr. Sharma:- Hame maaf kar dijiye bhai saahab...Abb ye shaadi nahi ho sakta.
Mr. Sharma ne haath jodd kar maafi maanga...Unke chehre me sharmindgi saaf najar aa raha tha...Sameer ko uske Papa ki aisi haalat dekh khud par hi bahut gussa aa raha tha...Usne apni mutthi kaske bheench liya...Shruti ki mom dad to ye khabar sunke shocked reh gaye...Shruti ko toh jaise jhatka lag gaya ho...Wo bilkul chup ho gayi...Lekin uske dad ne fir se Mr. Sharma se pucha
S.Dad:- Kyu bhai saahab? Hamse koi galti ho gayi kya? Agar aisi baat hai to please bata dijiye...Ham sudhaar lenge...Lekin iss tarah shaadi mat todiye...Meri beti Sameer se bahut pyaar karti hai...Uske baaare me bhi toh sochiye.
Shruti ki dad ne ye baat bahut hi dukh bhari aawaj me kaha...Unko vishwaas hi nahi ho raha tha ki Mr. Sharma ne shaadi ko todne ki baat kahi hai...Unko thoda vishwaas thaa ki unki baat sunne ke baad Mr. Sharma apna shaadi ko todne waala faislaa waapas le lenge...Mr. Sharma kuch kehne hi waale the ki siddhi se Priya neeche aa gayi...Sabhi Priya ki taraf dekhne lage...Shruti Priya ko yaha aise achaanak dekh kar aur bhi shocked ho gayi...Sameer ki haalat aur kharaab ho gaya.
Mr. Sharma:- Nahi bhai saahab aapse koi galti nahi hua hai...Galti to iss naalayak(Sameer) ne kiya hai...Kal hi ye waapas aaya tha aur wo bhi shaadi karke...Hame bhi nahi bataya tha iss ne...Kal hi pata chala ki ye shaadi karke aaya hai...Mai to kahunga ki ye naalayak Shruti ko deserve hi nahi karta hai.
Itna keh kar Mr. Sharma chup ho gaye...Unki aawaj se sharmindgi aur Sameer ke liye gussa saaf najar aa raha tha...Sameer to har ek pal khud ko apni hi najar me giraa hua mehsoos kar raha tha...Shruti toh apne jagah par hi jamm gayi thi Sameer aur Priya ki shaadi ki baat sunkar...Wo apni jagah se hil bhi nahi paa rahi thi...Munh se koi aawaj bhi nahi nikal raha tha.
Kuch der tak mahaul me ek khaamoshi chaa jaati hai...Jisko todkar Shruti ki mom kehti hai.
S.Mom:- Bhai saahab...Jarur koi majboori rahi hogi Sameer ki...Warna wo aisa nahi karta...Jarur iss ladki ne fasaya hoga Sameer ko...Aise ladkiyon ko mai acche se jaanta hu...Paison ke liye bade ghar ke ladkon ko fasaa kar shaadi kar leti hai...Mai jaanti hu aisi ladkiyon se piccha chhudaane ki tarika.
Shruti ki mom itna keh kar chup ho gayi aur Priya ko gusse se ghurne lagi...Priya bhi unki baat sunkar bahut gussa ho gayi aur gusse se Sameer ko dekhne lagi...Priya kuch bolne hi waali thi ki Sameer ne haalat ko aur naa bigaadne ke liye Priya se pehle hi bol diya.
Sameer:- Aunty ...Please Priya ko kuch mat kahiye...Saari galti meri hai...Maine hi jabardasti shaadi kiya tha Priya se....Priya to mere hi kaaran fanss gayi thi iss shaadi ki lafdon me...Par yakin kijiye Aunty mai bahut majboor tha...Iss liye naa chahte hue bhi ye shaadi karna pada....
Shruti ki mom ne jab Sameer ki baat sua tab unhonne gusse me Sameer se kaha.
S.Mom:- Chahe jitni bhi majboori kyu na ho tumhe Shruti ko dhokha nahi dena chahiye tha...Tumne iss ladki ke liye Shruti ko dhokha diya...Jaante ho Shruti tumse kitna pyaar karti hai...Jab tum yaha nahi thhe to ye har vakt tumhaare liye dua karti thi ki tum jaha bhi ho sahi salamat raho...Har vakt tumhaara fikar karti thi...Lekin tumne kya kiya Shruti ko dhokha de diya...(Mr. Sharma ki taraf dekhte hue) Accha sanskaar diya hai bhai saahab aapne apne beta ko...Meri beti ki jindagi barbaad kar diya...Abb pata nahi Shruti ka kya hoga...Kitni khush thi Sameer se shaadi ki baat se lekin abb sab khatam ho gaya.
Shruti ki Mom itna keh kar chup ho gayi .....Mr. Sharma ne sharmindagi se gardan jhukaa liya....Sameer ko ye bardaasht nahi hua....Jab tak Shruti ki mom ne sirf uske baare me kaha tha tab tak wo chup tha lekin jab unhone Mr. Sharma ke baare me kaha usko bardaasht nahi hua aur gusse me usne bhi jawaab diya.
Sameer:- Bas Aunty bas....Bahut bol liya aapne...Maine kisi ko dhokha nahi diya hai....Pucchiye aap Shruti se...Maine kabhi usko pyaar karne ki baat kahi hai kya? Mai toh usko bas apna dost maanta hu...Jab usne mujhe propose kiya tha tabhi maine manaa kar diya tha aur kahaa tha ki mai ussko sirf apna dost maanta hu...Mere dil me uske liye pyaar jaisi koi baat nahi hai...Lekin ye apni jidd me addi rahi...Aur Papa aur Maa se shaadi ka rishta bhijwaya aap dono ke haatho...Maa aur Papa ko bhi koi problem nahi tha to unhone iss rishta ko accept kar liya...Maine bhi apni Papa ki baat maaan kar shaadi ke liye haa keh diya....Ek na ek din to shaadi karni hi thi...Mujhe laga Papa aur Maa ko Shruti pasand aa gayi hai to mere liye bhi yahi sahi rahega...Iss tarah se Shruti ka dil bhi nahi tootega.
Shruti ko ye baat pehle hi samajh jaani chahiye tha ki one sided love me kayi baar dil toot ta hai...Pyaar kiya hai to anjaam ka fikar nahi hona chahiye...Pyaar ka matlab sirf paana hi nahi hota hai...Agar Shruti mujhe sacch me pyaar karti hai to meri majboori jarur samjhegi...Mera har haal me saath degi.
Agar buraa laga ho to maaf kijiye...Mai apne Papa ke khilaaf koi baat nahi sun sakta...Unki koi galti nahi hai...Mera bhi iss maamle me koi dosh nahi.....Mai toh sirf Priya ka doshi hu.
Itna keh kar Sameer chhup ho gaya...Jaise hi wo chup hua khud usse bhi samajh me nahi aaya ki usne kaise gusse me itna kuch bol diya...Abb gusse me bol to diya abb aage kya hoga iss baat ka dar uske chehre pe dikhaayi dene laga...Sameer ki baat sunne ke kuch der baad Shruti ke dad bole.
S. Dad:- Shruti abb chalo yaha se...Abb ye rishta toot chuka hai...Koi matlab nahi yaha baith ke abb.
Itna keh kar Shruti ke dad waha se chalne lage lekin Shruti toh hill bhi nahi paa rahi thi...Usko Sameer aur Priya ki shaadi se sadma laga tha...Usko naa hilta dekh Shruti ki maa usko jabardasti apne saath khincch kar le kar gayi...Uske chehre me dukh aur Priya ke liye gussa aur nafrat tha.
Shruti aur uske mom dad ke jaane ke baad Sameer darte hue apne Papa ko dekhne laga...Jab usne Papa ko dekha to uske Papa gusse ke saath uski taraf hi baddh rahe the.
बहुत ही लाजवाब महोदय।UPDATE 4
Jaise hi Mr. Sharma Sameer ke pass aaye unhone fir se ek thappad Sameer ke gaal par maar diya...Sameer ne bhi apna gardan niche jhuka liya...Usne jab apne Papa ko aate dekha ussi vakt soch liya tha ki fir se thappad khaane ka vakt aa gaya hai...Usko iss thappad se koi khaas fark nahi pada...Wo to bas sir jhukaa kar soch raha tha abb kaise Papa se baat kare...Usse to baat karne par bhi sharm aa raha tha...Wo aise hi gardan jhukaa kar baithaa tha ki Mr. Sharma ne bolna shuru kar diya...
Mr. Sharma:- Abb kya hua...Kyu sir jhuka kar khada hai...Kuchh der pehle to bahut badi badi baat kar raha tha Shruti ki maa se...Abb kya shaanp sungh gaya tujhe...Bolta kyu nahi.
Mr. Sharma ki baat sunkar Sameer kuch der ke liye chup raha...Usne socha ki galti uski hi hai to iss maamle me chup rehkar apni galti par parda nahi daal sakta...Kuch der baad himmat karke wo bola.
Sameer:- Papa...Mai kewal aapka , Maa ka aur Priya ka gunehgaar hu...Kewal aap log ko adhikaar hai mujhe kuch kehne ka....Koi aur aakar aap par ungli uthaaye aur kuch kahe mai ye bardaasht nahi kar sakta...Maanta hu ki jo bhi hua accha nahi hua...Shaayad Shruti ka dil toot gaya hoga lekin maine pehle hi usko bata diya tha ki mere dil me uske liye koi feelings nahi hai...Aur ye shaadi mere liye sirf ek arranged marriage hai jo mai sirf apne family aur uski khusi ke liye kar raha hu.
Mr. Sharma:- Koi mujh par ungli uthaaye ye tujhe pasand nahi...Lekin kaam tune aisa kiya hai ki har koi ham par hasenge, hamaare upar sawaal uthaayenge...Saamne se aur peeth picche bhi...Tab kya karega tu? Kitno ko rokega? Sabhi reputation, maam maryada aur izzat mitti me mil jaayega.
Mujhe uss baat ko lekar itna tension nahi hai...Mujhe to dukh iss baat ka hai ki tu mera beta hokar kaise aisa kar sakta hai?Kitna garv tha mujhe tujhe apna beta kehte hue...Kitna accha sanskaar diya tha...Teri parwarish me bhi koi kami nahi rehne diya tha...Mai ek doctor hu...Fir bhi tere liye hamesha vakt nikaala hai maine...Kabhi tujhe akela mehsoos nahi hone diya...Hamesha tera saath diya...Maine har ek zimmedari ko acche se nibhaaya jo ek acche pita ko nibhaana chahiye...Lekin tune kya kiya...Mere diye sabhi sanskaaro ko mitti me mila diya...Meri izzat par daag laga diya...Shruti ke parents ke saamne sir jhukaa diya...Ek ladki(Priya) ki zindagi barbaad kar diya...Bas apna badla puraa karne ke liye aur apna ego satisfy karne ke liye...Mujhe tujh se ye ummeed nahi tha Sameer.
Mr. Sharma ne ye saari baatein bahut dukhi ho kar kaha tha...Itna keh kar wo chup chaap waapas apne room me chale gaye...Mrs. Sharma kuch nahi bol paa rahi thi...Wo bhi Sameer se kuch kehna chahti thi lekin abhi haalat ko samajhte hue wo bhi Mr. Sharma ke saaath andar chali gayi.
Sameer har pal khud ki najar me hi gir raha tha...Mr. Sharma ki baat uske dil ko andar tak chhot pahuncha raha tha...Wo har pal andar hi andar toot raha tha...Koi nahi tha jise wo apni baat samjha sake...Wo waha par aur khada nahi reh saka....Aur jaldi se apne room me chala gaya.
Wo apne room me pahunch kar sofa me baith gaya...Wo baar baar apni galti ko yaad kar raha tha, apne Papa aur Shruti ki parents ki baat ko yaad kar raha tha aur aage kya karna hai wo soch raha tha...Kuch der aise hi sochne ke baad usko ummeed ka chhota sa roshni najar aaya....Wo kuch decision le usse pehle wo Priya ka intejaar kar raha tha...Kuch der baad Priya bhi room me aa gayi...Jaise hi Priya room me aayi Sameer ne kaha.
Sameer:- Priya...Mujhe tumse kuch kehna hai.
Priya:- Abb kya kehna hai tumhe...Itna kar ke bhi tumhaara dil nahi bhara jo aur pareshaan karna chahte ho mujhe.
Priya ki aawaj se hi uska Sameer ke liye gussa saaf najar aa raha tha...Sameer ne bhi socha abb baat ko jyaada ghumaane se accha hai sidha hi Priya ko bata diya jaaye.
Sameer:- Priya...Tum Karan se ek baar baat karlo...Ho sakta hai wo tumse shaadi karne ke liye maan jaaye...Aur tumhaari saari problem dur ho jaayegi.
Priya ko bhi Sameer ki baat sunne ke baad thoda thoda ummeed najar aane laga....Wo kucch soch hi rahi thi ki Sameer ne Karan ko phone laga diya aur phone ko loudspeaker pe laga diya...Udhar se Karan ne phone uthaa liya..
Karan:- Abb kya kehna chahta hai? Tujhe to mai nahi chhodunga kammeene.
Karan ne phone pick karte hi Sameer pe chillana suru ho gaya.
Priya:- Karan...Mai bol rahi hu...Priya.
Karan:- Oh...To tumne phone kiya hai...Ye jaaane ke liye ki mai abb bhi jinda hu ya mar gaya...Ek baat yaad rakho ki mai tumhaare bina bhi jee sakta hu.
Karan ne bahut hi gusse me Priya se kaha.
Priya:- Karan...Ek baar meri baat to suno...Mai iss shaadi se khush nahi hu...Ye shaadi meri marji ke khilaaf hua hai...Mai to tumse shaadi karna chahti thi aur abb bhi chaahti hu.
Karan:- What? Tumne ye kaise soch liya ki mai tumse shaadi kar lunga...Shaadi tum Sameer ke saath karo, raat uske saath bitaao aur jab wo pasand nahi aaya to abb mujhe fansaawo...Kya mai tumhe itna bewkoof dikhta hu.
Ye sunte hi Priya ko bahut bada jhatka laga...Uske haath se mobile nicche bed par gir gaya...Wo bhi bed par gir gayi aur jor jor se rone lagi...Usko vishwaas hi nahi ho raha tha ki Karan aisa kucch bhi keh sakta hai.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।UPDATE 5
Phone loudspeaker me hone ki vajah se Karan ne jo baat Priya se kaha tha wo saari baat Sameer ne bhi sun liya...Sameer Karan ki baat par bahut gussa ho kar bed se phone uthaa kar sidhe Karan par baras pada.
Sameer:- Kya pyaar nibhaaya hai kutte tune...Agar pyaar karta hiai to nibhaana bhi chaahiye aur pyaar par viswaas bhi hona chahiye...Lekin mai tujh jaise kutta kameena ko ye kyu samjha raha hu....Tu kitna bada kameena hai wo to mai pehle se hi jaanta tha lekin mujhe laga tha ki tu shaayad Priya se sach me pyaar karta hai...Lekin abb pata chala shaayad kutte ka puncch sidha ho sakta hai lekin tujh jaisa kutta kabhi nahi badal sakta...Aur sabse badi baat mujhe ye bata ki tujhe kaise pata chala mera aur Priya ki shaadi ki baat?
Sameer ne phone uthaate hi Karan par apna saara gussa nikaal diya...Usko hairaani bhi ho raha tha ki Karan ko uski shaadi ki baat kaise pata chala...Karan Sameer ka aisa gussa dekh bicch me bolne ki himmat nahi kar paaya...Jab Sameer chup ho gaya to Karan ne bola.
Karan:- Ek to galti teri hai...Upar se mujhpe hi chilla raha hai...Tu hi bataa tu meri jagah me hota to kya karta...Kya tu shaadi karta Priya se jab tujhe pata chalta ki Priya ki shaadi kisi aur se ho chuka hai...Bataa na abb chup kyu hai tu meri jagah me hota to kya karta?
Karan ne ye baat gusse me dheemi aawaj me kaha tha...Wo Sameer ka gussa pehle se hi jaanta tha.
Sameer:- Tu mujhe bhi apne jaisa hi kameena samajhta hai kya? Agar mai teri jagah hota to bina kuch soche Priya se shaadi kar leta...Mujhe koi parwaah nahi hota ki uski shaadi kisi se hua hai yaa nahi mai bas usko khush dekhna chahta...Wo agar mujhse shaadi karna chahti to kar leta...Lekin kya karu abhi tak kisi se pyaar hua hi nahi...Aur tu ye baat chuupane ki koshish mat kar aur jaldi se bataa tujhe hamaare shaadi ki baat kaise pata chala?
Karan:- Mai hi nahi sabhi jaante hai teri shaadi ki baat...Ek baar apna facebook profile kholke dekh aur tujhe khud hi pata chal jaayega tera shaadi ki photos kitna viral ho chuka hai...Kitne congratulations ki comments bhi aa chuka hai tumhaare photos me hamaare college ki students ki taraf se...Sabhi log shocked hai tumhaare iss shaadi se...Aur sabse jyaada to mai hu...Mujhe Priya se to iss baat ki expectations nahi tha ki wo mujhe aise dhokha de degi aur tune bhi accha nahi kiya mujhse mera pyaar cheen kar...Aur ye sab photos upload kiya hai Ramesh ne.
Karan ki ye baat Sameer ke saath saath Priya bhi sun rahi thi...Wo abb rona band karke ekdam chup ho gayi...Usko Karan ne thukraane ki vajah se pehle hi wo bahut dukhi thi abb usko pata chal gaya ki uske sabhi dost iss shaadi ke baare me jaante hai...Abb to wo aur bhi jyaaada dukhi ho gayi...Jaise hi Ramesh ki baat Sameer ne suna...Wo fir se gusse me bola.
Sameer:- What Ramesh ne? Mujhe nahi pata tha ki wo kameena itna girr jaayega...Usko to baad me dekhunga pehle tujhe mai kuch bataana chahunga...Tu Priya ko bilkul bhi deserve nahi karta...Accha hua jo teri assliyat uske saamne aa gaya...Ek din tujhe iss pyaar ki matlab pata chalega lekin bahut der ho jaayega...Ek baat aur kehta hu kabhi bhi mere saamne mat aana...Warna single piece me waapas nahi jaa paayega.
Itna keh kar Sameer ne bina Karan ki baat sune phone kaat diya...Kuch der pehle to wo bahut dukhi tha lekin abb wo dukhi hone ki jagah gusse me tha...Fir bhi apne gussa ko control karte hue Priya ke pass chala gaya...Wo uske kandhe par apna haath rakhkar usko kuch samjhaana chahta tha lekin Priya ne uska haath jhatke se alag kar diya aur fir se rote hue boli.
Priya:- Kyu kiya tumne mere saath aisa Sameer...Tumne ye shaadi karke meri life barbaad kar diya...Tumne mera pyaar cheen liya...Abb sab logo ko bhi pata chal gaya hamaare iss shaadi ke baare me...Tum nahi jaante kitni beizzati huyi hogi meri...Sab mere baare me pata nahi kya kya soch rahe honge...Pehle to tumne mera pyaar cheena aur abb izzat bhi...Lekin mai ye sab tumse kyu keh rahi hu tumhe to mazaa aa raha hoga na mera aisa haal dekh kar...Isse behtar to tum mujhe maar hi daalte...Itna beizzat to mujhe nahi hona padta.
Itna keh kar Priya aur bhi rone lagi...Usko lag raha tha ki uska sab kuch cheen gaya hai aur abb wo ekdam akeli hai...Pehle uske parents ne uski shaadi jabardasti karwa diya, uske baad Karan ne bhi saath chhod diya aur abb uska izzat bhi chala gaya...Wo soch rahi thi uske jindagi kya se kya ho gaya...Kaha wo Karan ke saath aane waali jindagi ki hasin sapne dekh rahi thi aur kaha abb usko kal kya hoga uska bhi pata nahi.
Sameer ne jaise hi Priya ki baat sunna usko thoda hairaani, thoda dukh aur thoda gussa bhi aa raha tha...Usne hairaani se pooncha.
Sameer:- Tumhe abhi bhi bura lag raha hai ki Karan ne tumhaara saath chhod diya...Kyu aise logo ke liye ro rahi ho...Jo tumse kabhi pyaar karta hi nahi tha...Pyaar to wo hota hai jo har mushkil me saath deta hai...Lekin wo to tumhe akela iss musibat me chhod kar chala gaya...Ek baar bhi tumhaara baat nahi suna...Mujhe to tumhe dekh kar hairaani ho raha hai ki kaise tum aise kameene se pyaar karti ho jo tum par yakin bhi nahi karta.
Sameer itna keh kar chup ho gaya....Usko abb Priya pe thoda gussa bhi aane laga tha...Jaise hi wo chup ho gaya Priya ne bolna shuru kar diya.
Priya:- Tum kabhi nahi samjhoge pyaar ko...Tumne kisi se kabhi pyaar kiya hai kya...Agar karte to pata chalta pyaar ka matlab kya hai...Pyaar ke baare me do chaar baatein koi bhi bol sakta hai lekin jo pyaar karte hai na usko hi iss ka matlab pata hota hai...Pyaar me tadapna kisko kehte hai, pyaar me judaai kisko kehte hai aur bewafaai ka matlab kya hota hai sirf ushi ko pata chalta hai...Tum jaise ko nahi jisko pyaar ka matlab bhi pata nahi aur lambe lambe bhaasan dete hai...Tumhe to Shruti ka dil todna aata hai aur meri jindagi barbaad karna aata hai...Isse jyaada kuch kar bhi nahi sakte tum.
Priya ne rote rote ye baat kahi....Uski aawaj me uska dard, uska Sameer ke liye gussa aur nafrat saaf pata chal raha tha.
Sameer ko Priya ki baat sun kar bahut bada jhatka laga...Uska gussa ek hi pal me gaayab ho gaya aur apni galti ke liye usse aatmaglaani bhi hone laga...Wo Priya ko kuch nahi keh paaaya aur jaldi se upar chhat ki taraf chala gaya...Priya bhi bed pat lait kar jor se rone lagi.....
In Shruti's House.
Shruti jab se Sameer ke ghar se aayi thi...Wo kuch bhi nahi boli thi...Bas apne rrom me baith kar aansu baha rahi thi...Usko vishwaas hi nahi ho raha tha Sameer uske saath aisa kar sakta hai aur usne Priya se shaadi kar liya hai...Tabhi uske mobile me phone aata hai...Shruti phone pick kar leti hai.
Shruti:- Hello.
Ladki:- Ye kya ho gaya Shruti...Sameer aisa kaise kar sakta hai...Teri shaadi hone waali thi na usse...Fir usne Priya se kyu shaadi kar liya...Pata hai tujhe unn dono ki shaadi ki photos facebook par viral ho gaya hai.
Dusri taraf se kisi ladki ne shocked hokar phone kiya tha...Shruti uski baat sun kar kuch der tak chup rahi aur fir boli.
Shruti:- Pata hai Neha mujhe...Kuch der pehle hi dekha tha maine...Sab meri hi galti hai.
Neha:- Teri galti...Kya tera aur Sameer ke bich koi ladaayi hui thi jis ke chalte usne Priya se shaadi kar liya..
Shruti:- Nahi...Priya mujhe shuru se hi pasand nahi thi....Maine bahut baar Sameer ke saath milkar usko pareshan kiya tha...Bahut bhadkaaya tha Sameer ko Priya ke khilaaf...Sameer ki mind me uske liye negative images bhar diya tha...Lekin mujhe nahi pata unn dono ne shaadi kaise aur kyu kar liya? 2 months se Sameer gaayab tha.
Neha:- To abb tu kya karegi...Sameer ne to Priya se shaadi kar liya...Mujhe to lagta hai ki Priya ne tujhse badla lene ke liye Sameer se shaadi kiya hai.
Shruti:- Nahi aisa nahi lagta mujhe...Sameer ne to kaha tha ki usne jabardasti Priya se shaadi kiya hai...Abhi to mujhe kuchh pata nahi chala hai...Lekin mai Sameer ko Priya se alag kar dungi...Sameer sirf mera hai.
Itna keh kar Shruti ne call kaat diya...Wo abhi baat karne ki mood me nahi thi.
In Sameer's House.
Sameer apne ghar ki chhat par pahunch chuka tha...Priya ki baat sunkar usko khud par hi gussa aa raha tha...Wo fir se har ek pal khud ko gira hua mehsoos karne laga...Khud pe gussa utaarne ke liye usne do jordaar punch diwaal par maara...Uski haatho se khoon behne laga fir bhi gussa kam na hua...Wo aur punch maarne waala hi tha ki uske mobile pe phone ki aawaj aane laga...Usne bina number dekhe phone pick kiya.
Dusre taraf se ek ladka ka aawaj aaya.
Ladka:- Congratulations yaar...Bina bataaye shaadi kar liya yaar tune to...Koi baat nahi...Shaadi ki bahut bahut badhaayi...Abb ye bata ki party kab dega?
बहुत ही बेहतरीन और जबरदस्त महोदय।UPDATE 6
Jab dusri taraf ki aawaj Sameer ne sunaa to usne phone ki screen ko dekha...Usko pata to chal gaya tha ki phone par kaun hai fir bhi usne confirm kar liya...Screen me Mahesh naam likha tha...Wo Mahesh se baat karne ki mood me bilkul nahi tha...Usne bas itna hi kaha.
Kal shaam 5:00 pm me bus stand ke pass waale park me aaja...Wahi par deta hu tujhe party.
Itna keh kar Sameer ne call kaat diya...Aur apne room me waapas chala gaya...Mahesh ko bhi kuch samajh nahi aa raha tha ki Sameer ne uske saath iss tarah baat kyu kiya aur itna jaldi call kyu kaat diya...Usne socha ki kal wo Sameer se baat karke puchega.
(Mahesh Sameer ka best friend hai...Wo dono school time se friend hai aur saath me bachelor level tak padhe the...MBA padhte vakt dono alag alag college me chale gaye...Fir bhi unn dono ki doshti me koi asar nahi pada...Hamesha ek dusre ke contact me rehte thhe...Holidays par hamesha wo log saath me kahi ghumne jaate aur kuch time spend karte...Wo dono ek dusre se koi bhi baat nahi chupaate...Hamesha ek dusre ki madad karte hai...Yahi vajah tha ki Sameer itne bade tension me hote hue bhi Mahesh ko abhi kuch nahi kaha...Agar Mahesh ki jagah koi aur hota to usse bhagwaan hi bachha paate.)
Sameer apne room me chala gaya...Usne dekha ki Priya bed par baithi hai...Uski peeth Sameer ki taraf tha to usne Sameer ko aata hua nahi dekha...Sameer bhi bina kuch bole sofa par lait gaya aur sochne laga.
Sameer:- (In his mind) Abb kya karu...Abb to sabko pata chal gaya iss shaadi ke baare me...Socha nahi tha ki Ramesh aisi harkat karega...Galti bhi meri hi hai...Pehle iss problem se nikalta hu firr uss kameene ko dekhunga...Usne saari photos viral kar diya...Abb to Mahesh ko bhi pata chal gaya...Maine bhi usko keh diya ki kal mai usko party de dunga....Bas usse chhutkaara paane ke liye keh diya tha...Lekin abb samajh me nahi aa raha kya karu...Usko mera chehra dekh ke pata chal jaayega ki mai pareshaan hu...Kya usko sach bataana sahi hoga ki maine majboori me shaadi kiya tha.
Sameer issi topic par kuch der sochta raha aur fir uska jawaab mil gaya.
Sameer:- (In his mind):- Ha abhi usko bataana hi sahi hoga...Abhi sirf wahi hai jo meri baat samajh paayega...Maa aur Papa to mujhse bahut naaraj hai...Priya to pehle se hi gussa hai aur abb wo shaayad mujhse aur nafrat karne lagi hogi...Meri baat bhi nahi suna...Ha yahi thik rahega...Mai usko kal sab kuch sach bata dunga...Shaayad wo koi idea de mujhe jisse mai apni galti sudhaar bhi saku aur sab kuch thik ho jaaaye.
Sameer abhi yahi sab soch raha tha ki uske door par uski Maa aagayi...Unhone Sameer aur Priya dono se kaha.
Mrs. Sharma:- Dinner ready hai...Tum log aa jaao niche.
Mrs. Sharma itna keh kar chali gayi....Wo Sameer se kuch baat karna chahti thi lekin Priya ke saamne nahi kar paayi...Aur unhe ye bhi samajh me nahi aaya ki Priya se kaise baat kare.
Mrs. Sharma ke jaane ke baad Priya mud kar neeche chalne lagi tabhi wo Sameer ko sofa par laita hua dekh leti hai...Lekin wo kuch bhi react nahi karti aur niche chali jaati hai...Sameer bhi niche chala jaata hai...Wo dono hi bahut bhukhe the...Kal raat se kuch bhi nahi khaaya tha....Subah me bhi bahut saari haalaton se guzarna pada aur khaane ki baat unko yaad tak nahi raha...Abb dono niche pahunch jaate hai...Mrs. Sharma dono ko dinner serve karti hai...Sameer ke saamne Mr. Sharma baithe the aur wo dinner me busy the...Kabhi kabhi Sameer ko ek do baar gusse se dekh lete lekin kuch nahi bole...Wo abhi khaane ke time me koi bhi hangama nahi karna chahte the.
Khaate vakt Priya thoda uneasy feel kar rahi thi...Wo iss naye maahaul me adjust nahi ho paa rahi thi...Ye dekhte hue Mrs. Sharma Priya se kehti hai.
Mrs. Sharma:- Beti koi pareshaani hai kya?
Mrs. Sharma ne Priya ko behad apnatwa ke saath puccha tha...Mrs. Sharma ki moonh se apne liye beti shabd sunke Priya ko thoda aascharya laga...Fir bhi wo normal hokar bas itna hi boli.
Priya:- Nahi.
Mrs. Sharma:- Tumne kal raat se kuch nahi khaaya hai....Galti Sameer ki hai...Uski galti ki sazaa khaane ko mat do...Abhi tum sirf khaane pe dhyaan do...Baad me jo hoga uski tension mat lo...Abhi sirf khud pe dhyaan do.....Baad me koi na koi raashta nikal hi jaayega.
Mrs. Sharma ne Priya ko samjhaate hue kaha...Priya kuch nahi boli aur dinner complete karke apne room me waapas chali gayi...Sameer bhi kuch der me dinner complete karke apne room me chala jaata hai.
Room me baithne ke kucch der baad Priya Sameer se kehti hai...
Priya:- Tumhaare Maa aur Papa to bahut acche insaan hai...Unn logo ne tumhe jarur acche sanskaar diye honge...Unko bahut hi dukh ho raha hoga tumhaare jaise beta paakar...Tum bahut lucky ho jo tumhe aise Maa aur Papa mile jo tum deserve bhi nahi karte.
Priya ki iss baat ne Sameer ko bahut dard diya lekin wo kuch nahi bola...Sameer ka aisa chup rehna dekh Priya bhi kuch nahi boli bas usse gusse se ghoorti rahi.
Mrs. Sharma apni kitchen ke sabhi kaam khatam karke apne room me pahunchi aur bed par laite Mr. Sharma se kuch pucchti hai.
Mrs. Sharma:- Aisa kab tak chalega...Hame kuch na kuch to karna hi chahiye...Aakhir kab tak unhu aise dukhi hote hue dekhenge...Wo dono kuch nahi kar paa rahe hai...Aise me hamaara farz banta hai ki unki pareshaani dur kare...Aap kab tak aise Sameer se naraaj rahenge...Galti to har kisi se ho jaati hai.
Mr. Sharma:- Tumhe ye koi choti galti lagti hai jo itni jaldi sab kuch thik ho jaayega...Galti Sameer ki hai usse hi sab kuch theek karna hoga...Uski har chhoti chhoti galti ko najar andaaz karne ka natija hai ye jo aaj usne itni badi galti kiya hai...Priya ki jindagi se khilwaad kiya hai usne...Abb jo karna hai usse hi karna hoga tab jaake usko pata chalega ki kya galti kiya hai usne.
Mrs. Sharma:- Tab tak kya ham unn dono ko aise hi tadapte hue dekhenge....Maine dekha hai Sameer ko wo kaise pachhta raha hai...Maa hu mai uski...Mujhe bahut dukh hota hai usko aise dekhte hue...Uske saath baat bhi nahi kiya hai kabhi aapki naarajgi dekhte hue to kabhi Priya ki haalat dekhte hue...Mai acche se samajh sakti hu uss par kya beet raha hoga jab koi uska saath nahi de raha...Kahi aisa naa ho ki wo koi galat kadam uthaa le...Meri aapse bas ek hi request hai please iss baar iss samasya ko thik kar dijiye...Nahi dekh sakti mai unn dono ko aise tadapte huye.
Mrs. Sharma ne ye baat rote hue kaha...Unko bahut dukh ho raha tha Sameer aur Priya ki haalat dekhte huye...Mrs. Sharma ko aise rote dekh Mr. Sharma bhi pighal gaye...Abb unhone bhi halke aawaj me baat karna shuru kiya..
Mr. Sharma:- To tumhi bataao...Mai kya karu? Mai Sameer se issliye naaraj hu kyu ki usne Priya ki life ke saath khilwaad kiya hai...Abb mai kaise Sameer ki help kar sakta hu...Agar maine Sameer ka saath diya to mai bhi Priya ka gunehgaar ban jaaunga...Aur Priya ki bhi kaise help kar sakta hu....Nahi mai usko Sameer se divorce lene ki salaah de sakta hu aur naahi Sameer ke saath rehne ko keh sakta hu...Mai bhi majboor hu...Kisi ka paksh nahi le sakta...Issliye mai iss maamle me koi dakhal andaazi nahi kar sakta...Jo bhi karna hai abb unn dono ko hi karna hai
Itna keh kar Mr. Sharma chup ho jaati hai.....Mrs. Sharma bhi unki haalat samajh jaati hai aur kuch nahi kehti hai...Unko bas Sameer aur Priya ki bhavisya ko lekar chinta thi.
Udhar Priya aur Sameer chup chaap bina koi baat kiye so jaate hai...Abb jaake unn dono ko aaj ki tanaaw bhara din se chhutkaara mila aur waapas uthne ke baad fir se aise hi tanaaw bhare din se gujarna tha.
बहुत बढ़िया महोदय।।UPDATE 7
Dono hi neend ki aagosh me chale gaye...Yahi wo pal tha jab dono thoda sukoon mehsoos kar rahe the...Iss vakt dono bahut thakaan ki kaaran gehre neend me soo rahe the.
Jab subah ke 7:00 am baja to Priya utth gayi...Usne idhar udhar dekha to Sameer sofe par gehri neend me so raha tha...Picchle raat bhi nahi sone ke kaaran abhi bhi uska neend pura nahi hua tha...Sameer ko aise sote dekh Priya gusse me badbadaati hai.
Priya:- Meri life barbaaad karke kaise chhain se so raha hai...Koi kaise itna gir sakta hai jo dusro ki life ke saath majaak karke apni khushi manaate hai.
Itna kehkar Priya apna mobile on karti hai...Gallery me jaake kuch photos dekhti hai...Apni Maa aur Papa ki photos ko dekhte hue usske chehre me nafrat ki bhaaw aane lagte hai...Jabki Karan aur uska photos dekhkar uski aankhon se aansu girne lagte hai...Usko abhi tak vishwaas nahi tha ki Karan usko iss tarah se chhod sakta hai...Wo to abhi tak yahi maan rahi thi ki Karan usse abhi naaraj hai aur jald hi wo maan jaayega...Mobile me dekhkar Karan ke saath bitaaye pal ko yaad karte hue uski aankhon se aansu aur jyaada girne lagta hai.
Subah ka 9:00 am baj raha tha...Tab jaake Sameer ki neend khulta hai...Wo apne aankhon ko malte hue utthta hai...Saamne jab Priya ko rote hue dekhta hai tab usko fir se apni galti ka ehsaas hota hai...Wo bas Priya se najar hatate hue ceiling ki taraf dekhne lagta hai...Unn dono ke bich koi baatcheet nahi hota hai...Priya ki aankho se aansu gir rahe the to Sameer ki aankho me apni galti ka paschatap najar aa raha tha.
Aise hi dono kuch der me Mrs. Sharma ki bulaane par lunch ke liye kitchen ki taraf nikal jaate hai...Lunch karte samay bhi kitchen me khaamoshi tha...Koi kisi se kuch nahi bol raha tha aur bolne ki himmat bhi nahi tha...Issi tarah Sameer aur Priya apne room me waapas aa jaate hai.
Priya table me pade Sameer ki books uthaakar padhne lagti hai (Sameer aur Priya dono hi MBA ke students the...Issliye subject bhi dono ki same tha)...Priya bas apne ghum ko bhulaane aur time pass ke liye book kholke baithi thi...Fir bhi wo apni aur Sameer ki shaadi waali baat ko yaad karne se nahi rok paati...Udhar Sameer ko bhi samajh me nahi aa raha tha ki kya karna chahiye...Wo bhi Priya ki najar se bachne ke liye youtube me se kuch movies search karke earphone laga kar movie me busy ho jaata hai...Uska bhi dhyaan movie par nahi tha...Baar baar ghadi me 4:00pm ka intejaar kar raha tha taaki wo Mahesh ke saath mile aur usko apni iss haalat ke baare me bataye.
Bahut mushkil ki intejaar ke baad jab 4:00 pm baja to Sameer bina der kiye nikal gaya Mahesh se milne apne bataaye huye jagah par...Traffic ke kuch rukaawat ki baawjood wo apne bataye hue time 5 : 00pm par Park me pahunch gaya...Usne waha dekha ki Mahesh pehle se hi uska intejaar kar raha tha...Mahesh bhi Sameer ko dekh kar jaldi se uske pass jaata hai aur kehta hai.
Mahesh:- Congratulations yaar...Shaadi ki bahut badhaiyan...Tera hi intejaar kar raha tha yaar...Intejaar hi nahi ho raha tha tujhse milne ke liye...Chal uss bench par baithte hai.
Itna keh kar dono bench tak chale jaate hai...Sameer khaamosh tha aur Mahesh uske saath baat kiye jaa raha tha.
Mahesh:- Itni bhi kya jaldi tha yaar...Shaadi ke liye...Jo mujhe bataaye bina shaadi kar liya...Kahi bhabhi ko bhaga ke to nahi laaya.
Mahesh itna kehkar jor jor se hasne lagta hai...Sameer usko gusse se dekhta hai tab wo chup hota hai...Mahesh ko samajh hi nahi aa raha tha ki Sameer itna khaamosh aur gussa kyu hai...Fir bhi wo apna majaak jaari rakhte hue kehta hai.
Mahesh:- Kya hua bhai....Itna gussa kyu ho raha hai....Kahi bhabhi se peet kar to nahi aaya...Yaar ye acchi baat nahi hai shaadi hue ek hi din me bhabhi se peet jaana...(Sameer ki haath ki plastic ko dekhte hue)...Ye plastic me kya hai.
Sameer ko Mahesh ki baat par gussa to bahut aata hai...Lekin wo kuch bolta nahi...Bas apni haath me jo plastic tha usko hataate hueek beer ki bottle nikaalta hai.
Sameer:- Tune kal mujhse party maanga tha na....Ye pakad beer ki bottle...Yahi hai tere liye party.
Sameer ne halke gusse me ye jawab diya...Mahesh ki iss tarah majaak karne se wo pak gaya tha.
Mahesh:- Abe ye kya majaak kar raha hai...Teri shaadi hui hai bhai koi majaak nahi...Party to tujhe mujhe 5 star hotel me dena padega.
Sameer:- Limited time offer hai...Baad me ye bhi nahi milega...Aur abb tu ye mat kehna ki tu beer nahi peeta.
Sameer ne iss tarah se kaha jaise usko baat karne ka man nahi hai.
Mahesh:- Are peeta hu yaar...Lekin sirf parties me yaa fir koi occasion me...Aise road par sharaabi ki tarah nahi.
Sameer:- Majaaak kar raha tha...Ye beer mai apne liye laaya hu.
Mahesh:- Lekin tu to kabhi nahi peeta hai.
Mahesh kuch samajh paata isse pehle hi Sameer ne beer ki bottle open karke paani ki tarah beer ko peena shuru kar diya.
Mahesh:- Kya kar raha hai Sameer tu?Paagal toh nahi ho gaya...Tujhe aadat nahi hai inn sab ki...Tujhe chadh jaayega yaar...Tu to kabhi nahi peeta tha....Fir aaj kyu bewdaa ki tarah pee raha hai.
Mahesh Sameer ko samjha raha tha...Lekin Sameer bina koi baat sune beer ko paani ki tarah pee raha tha...Mahesh samjhaate hue thak gaya aur ek thappad Sameer ke gaal par laga diya...Sameer ki haath se bottle gir jaata hai aur usko hosh aata hai aur rote hue kehta hai..
Sameer:- Mai beer pehle nahi peeta tha...Lekin mai pehle apni najaron mai giraa bhi toh nahi tha.
Mahesh:- Apni hi najaron me gir gaya...Kya keh raha hai...Jara khul ke bata...Aur tu ye paagalo jaisi harkat kyu kar raha hai?
Mahesh ko Sameer ki aisi haalat dekh kar bahut aascharya ho raha tha...Bahut saal ho gaya jab usne Sameer ko dukhi hote hue dekha tha...Usko samajh hi nahi aa raha tha ki kya vajah ho sakta hai hamesha khush rehne waale Sameer ko aise rona pad raha hai.
(Ab next update se flashback shuru hoga)
FLASHBACK AND PRESENT