• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,119
56,356
304
UPDATE 38

Next day at Lunch time


Roj ki tarah aaj bhi lunch karne ke baad Priya, Divya aur Karan park me baithe the...Karan kabhi kabhi najar chura kar Priya ko dekh raha tha...Uske dimaag me kya chal raha hai ye to wohi jaane...Priya aur Divya ek dusre se baat karne me busy the.

Divya:- Priya...Wo Shruti aaj kal kyu tujhse aise behave kar rahi hai? Tune kuch kiya hai kya?

Priya:- Nahi yaar...Mujhe bhi nahi pata wo aise kyu kar rahi hai? Bina kisi vajah ladna chaahti hai...Pata nahi kya chal raha hai uske dimaag me...Aur kya sochti hai apne aap ko...Jo aise attitude dikha rahi hai.

Divya:- Mujhe lagta hai tu Sameer se baat kar le ek baar...Sameer khud keh raha hai ki ham usse dur rahe aur uski dost aakar hamse panga le rahi hai.

Priya:- Usse baat karne ka to koi faaidaa hai hi nahi...Shruti se jyada to wo attitude dikha raha hai...Kal hi maine usse baat kiya tha...Lekin usne ek baat nahi suna...Ulta mujhe hi mera koi plan hai keh diya...Wo apni dost ke baare me kuch sunna nahi chaahta.

Divya:- Mere paas ek idea hai...Ham Sameer ke maamle me koi dakhal nahi denge.

Divya aur bolna chaahti thi lekin Priya ne uski baat kaatte hue kaha.

Priya:- Ye kya keh rahi hai tu? Ham Sameer ke maamle me dakhal nahi denge aur uska wo dost Shruti jo marzi wo karegi aur ham chup baithenge.

Priya ne gusse me Divya se kaha.

Divya:- Pehle puri baat to sunn...Maine kaha ham Sameer ke maamle me koi dakhal andaazi nahi karenge...Lekin jab Shruti hamse bina vajah panga lene aayegi tab to kuch kar sakte hai na.

Jab Shruti hamse panga legi tab ham usse itna jaleel karenge ki wo aage se pange lene se pehle jaroor sochegi...Tab to naa hame Sameer aur naa kisi ki tension lene ki jarurat hogi...Tab Shruti iss baare me Sameer ko kuch keh bhi nahi paayegi jab galti uski hi hogi...Agar keh bhi diya aur Sameer bhi hamse bahas karne aayega tab hamaare paas Sameer ko bhi bahut kuch sunaane ka mauka milega.

Divya ne apna idea bata diya...Priya bhi abb uski idea se sehmat thi...Tabhi bahut der se chup Karan bhi bola.

Karan:- Ha bahut accha idea hai...Sameer ko acche se sunaayenge..

Karan ki iss baat par ek baar Divya aur Priya usse ghurti hai lekin kuch nahi bolti.



Idhar Divya, Priya aur Karan ne apna plan bana liya...Dusri taraf Shruti aur Neha bhi apni baat me busy the.

Neha:- Shruti abb to wo teeno shaant hai na...To fir kyu tu jaan bujh kar unse panga le rahi hai aur ukshaa rahi hai.

Shruti:- Mujhe to unse jaise nafrat hi ho gayi hai...Dimaag kharaab ho jaata hai unhe dekhte hi.

Neha:- Aur mai iska vajah jaan sakti hu?

Shruti:- Kyu ki wo sab Sameer ke picche pade rehte hai...Aur Sameer bhi unhe jyada hi attention deta hai khaas kar Priya ko...Ye baat mujhe bilkul pasand nahi aati.

Neha:- Wo log Sameer se panga lete hai to tujhe usme kya problem hai...Sameer bhi to acche se jawaab deta hai unhe aur har baar unki beizzati kar deta hai.

Shruti:- Ye to sahi kaha tune...Lekin mai nahi chaahti ki Sameer unko koi attention de khaas kar Priya ko.

Neha:- Kahi tujhe Sameer se pyaar to nahi ho gaya aur Priya ko dekh jalan.

Shruti:- Pata nahi yaar...Mujhe Sameer se pyaar hai yaa nahi...Lekin wo bahut accha lagta hai...Uski style, uska baat karne ka andaaz, mujhse dosti, dushmano ka band bajaana, jo dil me aaye wo khul kar bolna...Dil karta hai ki usse baat karta rahu, usse dekhti hi rahu.

Shruti muskuraate hue boli.

Neha:- Bas kar yaar...Aur kitna taarif karegi uski?

Shruti:- Kyu tujhe kya problem hai?

Neha:- Nahi mujhe koi problem nahi hai...Lekin tujhe problem ho jaayegi agar tune Sameer ko jaldi se propose naa kiya to...Wo Priya Sameer ko lekar bhaag jaayegi.

Neha ne haste hue kaha...Shruti ka gussa Priya ka naam sun kar firse bhadak gaya.

Shruti:- Wo Sameer ko leka kya bhaagegi...Agar mujhe aur gussa aaya to usse hi iss duniya se bhaga dungi...Wo ladki kya samajhti hai apne aap ko...Uski aukat hi kya hai?

Aajkal bahut ucchal rahi hai...Aur mera shikayat bhi kar rahi thi Sameer se... Ek warning diya tha lekin wo maan hi nahi rahi...Baar baar mujhse pange le rahi hai...Lagta hai kuch karna padega iska...Tab jaake isse samajh me aayega kisse panga le rahi hai ye.

Bas abb kuch hi din me college ka tour hai...Priya bhi jaroor aayegi...Tab majaa chakhaungi usse...Maine to ek idea soch bhi liya hai.

Itna kehte hue Shruti ki chehre par ek kutil muskaan aa jaata hai.

Neha:- Kya planning kar rahi hai tu? Kuch khatarnaak to nahi hai?

Neha ne thoda darte hue kaha...Usse pata tha ki Shruti badla ke liye kisi bhi hadd tak jaa sakti hai.

Tabhi lunch break over hone ka bell bajta hai.

Shruti:- Wo to ussi vakt pata chalega...Chal abb time bhi khatm ho gaya class ka...Aaj Sameer college nahi aaya hai iss liye tujh se baat kar rahi hu...Aage se dhyan rakhna aur college me mujh se kabhi mat milna...Agar Sameer ne mujhe tere saath baat karte dekh liya to pata nahi wo kya sochega...Mai usse kisi bhi kimat par apna dosti nahi todna chaahti.

Itna keh kar Shruti class me chali jaati hai...Uske chehre par ek kutil muskaan tha aur wo bas tour ka besabri se intejaar kar rahi thi Priya ko nukshan pahunchane ke liye.
बहुत ही बढ़िया महोदय।।

दिव्या को अभी तक समझ मे नहीं आ रहा है कि प्रिया के साथ श्रुति ऐसा क्यों कर रही है। क्यों वो बिना मतलब शांत हुए झगड़े को फिर से बढ़ाने पर तुली हुई है। नेहा से बात करते समय ये लग रहा है कि श्रुति ने प्रिया की बात को अपने अहम पर ले लिया है इसलिए वो ऐसा कर रही है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,119
56,356
304
UPDATE 39


Aise hi kuch din beet raha tha...Sab kuch normal dikh raha tha lekin asal me tha nahi...Shruti besabri se college tour ka intejaar kar rahi thi taaki wo apna pehla target yaani ki Priya se badla le...Priya aur uske dost to apni hi life me busy the...Unhone Shruti ke baare me kuch socha nahi tha...Lekin ek baat tay kar liya tha ki agar Shruti unse badtameezi karegi to wo Shruti ko acche se sabak sikhayegi.

Sameer ne to pehle socha tha ki Priya aur uski team ko sabak sikhaane ka time aa gaya hai aur kuch planning bhi kar raha tha lekin jab usse laga ki Priya aur uski team bilkul shaant pad gayi hai to usne apne iraade badal liya aur apni hi life me khus rehne ka socha.

Sab kuch shaant hi tha Shruti ke shaitaani dimaag ko chhod kar...Bahut jald uska intejaar bhi khatam hua.

Aaj sab log subah hi nikal rahe thhe tour ke liye...Gaadi me chhadhte vakt Shruti ne Priya ko nafrat ke saath aankh dikhaya to Priya ne bhi usse badle me aankh dikha diya...Priya bhi issi pal ka intejaar kar rahi thi ki wo bhi Shruti ko dikha sake ki wo sab kuch seh kar baithne waali nahi hai...Priya ki aankh dikhane se Shruti ko aur bhi gussa aaya lekin filhaal usne apne gusse ko control karke apne plan par focus karne ka socha...Wo kal apne birthday ke din Priya ko sabke saamne beizzat karne ka soch rahi thi.

Kuch hi der me sabhi students apni apni jagah par baith gaye aur bus nikal pada tour ke liye...Sameer, Rajesh aur Shruti paas me hi baithe the to Priya, Karan aur Divya bhi ek saath the.

Sameer ki team masti karte hue safar kar rahe the to Priya ki team bilkul khaamosh thi...Priya aur Karan ko to Sameer ki baat bilkul bhi pasand nahi aa raha tha bhale hi Sameer unse related koi bhi baat nahi kar raha tha...Wo dono kisi tarah se khud par control kiye Sameer aur uski team ki baat ko ignore karne ki koshish kar rahe the.

Safar ki dauran Sameer ne Priya aur uski team ki taraf ek baar bhi nahi dekha...Shruti Sameer se najar chura kar kabhi kabhi Priya ko nafrat ki nigaho se dekh leti...Rajesh bhi Shruti ki taraf hi dekh raha tha aur samajhne ki koshish kar raha tha ki aakhir Shruti ke dimaag me kya chal raha hai.

Issi tarah Sameer ke liye ye safar acche se kata to Priya aur uski team ke liye ye safar kaafi boring rahi.

Sabhi students ek pahadi ilaake ki taraf jaa rahe the ghumne ke liye...Wo log jaha ghumne jaa rahe the uss jagah me jungle, nadi, unchi unchi parvat, jharna aur bhi kayi aisi cheeje tha jaha ghum kar wo sabhi nature ko kaafi enjoy kar sakte thhe...Bahut dino ki padhayi ki thakan ki vajah se wo log kuch relax hone ke liye aaye the tour par.

Uss jagah par pahunchte pahunchte shaam ho gaya tha...To teachers ne decide kiya ki wo sab aaj raat hotel me rukenge aur kal subah hi jaayenge uss area ka visit karne.

Raat me sabhi apne apne kamre me the aur thakan ki vajah se rest kar rahe the...Sabhi soch rahe the ki kal kya karna chahiye, kal ki din ko kaise yaadgaar banaaye aur kis tarah se tour ko enjoy kare siwaa Shruti ke...Wo tour ko enjoy karne ki jagah ye soch me busy thi ki kaise wo Priya se apna hisaab barabar kare.

Shruti ko Priya se iss tarah nafrat ho gaya thaa ki wo har haal me Priya ko nukshan pahuchana chaahti thi...Wo nafrat aur badle me iss tarah andhi ho gayi thi ki usse to ye bhi samajh me nahi aa raha tha ki wo kya karne jaa rahi hai...Usse to apna ek bhi galti najar nahi aa raha tha bas ek baat thaan liya tha ki wo har haal me Priya ko sabak sikhayegi.

Aur issi soch ke saath kal jo bhi hone waala hai wo accha to bilkul bhi nahi hone waala hai...Kal Shruti jo bhi karne wali hai uss vajah se Sameer aur Priya ki life me bahut asar padne waala hai.
बहुत ही बढ़िया।।
अब तो सभी टूर पर गए हैं जहां पर श्रुति ने कुछ खतरनाक प्लान किया है। देखना होगा कि वो कहां तक अपने प्लान में कामयाब हो पाती है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,119
56,356
304
UPDATE 40

Next Day


Sabhi students ek hi hotel me ruke the...Baahar ghumne se pehle ye decide hua ki sabhi 3 groups me divide ho kar ghumenge...Tour ke liye bhi 3 teachers ke group the...Students ka number 30 ke kareeb the...Toh decide hua ki 1 group me 1 teacher aur 10 students...Teacher group ka lead kar rahe the aur students ka control bhi jaise students ko apna manmaani nahi karne dena aur kisi bhi jagah se ghumne par rona, Students ke bich agar kisi vajah se fighting hua to unhe rokna aur kisi tarah students ko sahi salaamat waapas hotel tak laana...Aur sabse important cheej ki peacefull environment me bina kisi tamasha student maja kar sake aur tour ka aanand le.

Subah ke kareeb 7:00 am par sabhi groups divide ho kar nikal pade ghumne ke liye...Ek group riverside ghumne gaye, dusre hills ki taraf aur teesra uss shehar ko ghumne...Lekin lunch aur snacks ke time waapas hotel me aana tha...Aur fir dusri jagah ghumna and shaam ko finally hotel me aana.

Jab groups ka divide hua to luckily ya unluckily Sameer ki team aur Priya ki team same group me aa gaye...Iss baat se kisi ko problem nahi tha...Sameer aur Priya ne iss baat ko ignore kar diya...Lekin Shruti ko ye baat bilkul bhi accha nahi laga...Lekin wo kuch nahi kar paayi bas gusse ki ghoont ko peeti rahi.

Sameer aur Priya ka group pehle riverside ki taraf gaye.

Sameer aur Shruti saath saath chal rahe the...Rajesh unse thoda picche tha...Shruti ka Sameer ka itna paas hona Rajesh ko bilkul bhi accha nahi lag raha tha...Rajesh ko pehle se hi Shruti accha nahi lagti thi lekin abb to usse Shruti par shak bhi ho raha tha ki jarur ye ladki koi na koi plan kar rahi hai aur jarur iske dimaag me kuch chal raha hai iss liye wo Sameer ke paas aane ka kisi bhi mauke ko nahi chhodti.

Shruti ke aane se Sameer aur Rajesh ki friendship me kuch khaas asar nahi pada tha...Sameer aaj bhi Rajesh se waise hi baat karta hai jaisa pehle karta tha...Kabhi kabhi Sameer ko bhi lagta tha ki Shruti jabardasti uske paas aane ki koshish kar rahi hai lekin wo dosti samajh kar ignore kar deta.

Aaj bhi Shruti Sameer ko paka rahi thi apni bakwaas baato se...Sameer bechara bhi na chaahte hue sab sun raha tha aur Shruti ko buraa na lage iss liye kabhi kabhi reply bhi kar deta tha.

Shruti ki iss pakaao baato se Sameer hi nahi balki sabhi pakk gaye the...Baaki ke students aur teacher bhi...Lekin kisi ne kuch nahi kaha...Sab yahi chaahte the ki jaldi se wo log nadi kinaare pahunch jaaye aur Shruti ki inn pakaao baato se bach jaaye.

Kuch hi der me sabko raahat mil hi gaya...Sab log nadi ke paas pahunch gaye...Aur sabhi apne apne dosto ke saath shruti se dur jaakar aaram karte hue baat karne lage...Priya, Karan aur Divya bhi Sameer, Shruti aur Rajesh se thoda dur jaa kar apne baato me busy ho gaye.

Rajesh aur Divya ka haal ek jaisa tha...Rajesh Sameer aur Shruti ki bakwaas baato se pareshaan tha to Divya Priya aur Karan ka...Lekin wo log kar bhi kya sakte the unki bakwaas sunne ke alawa.

Sameer aur Shruti baat kar rahe the aur Shruti ki dimaag me ek baat yaad aa gaya aur Priya ki taraf gusse se dekhte hue thoda jor se Sameer se bolti hai taaki uski baat Priya aur uski team sunle.

Shruti:- Sameer kya tumne kisi ko marte hue dekha hai...Khaaskar nadi me dubkar.

Shruti ki iss baat se Priya ki team, Rajesh aur Sameer bhi chaunk gaye.

Sameer:- Shruti ye tum kya puch rahi ho? Yaha kisi ke marne ki baat bich me kaha se aa gaya? Tum bhi baat ko kaha se kaha pahuncha deti ho?

Lekin Shruti to Priya aur Karan ko dekh itna gussa ho gayi thi ki usse ye bhi pata nahi tha ki wo kya bol rahi hai aur baaki me sab kya soch rahe hai...Usne apni baato ko jaari rakhte hue kaha.

Shruti:- Tumhe nahi lagta ki hamaare dushman iss nadi me dub kar mar jaaye.

Shruti ne fir se Priya ki taraf nafrat se dekhte hue kaha.


Priya aur Karan ko Shruti ki iss indirect baat par bahut gussa aaya...Lekin filhaal wo ladne ke mood me nahi the...Unn dono ne aapas me dhire se baat kiya ki Shruti ki bakwas sunne se accha wo hi Shruti se dur chale jaaye.

Bahut dino ke baad life ko enjoy karne ka mila tha iss tour ki vajah se...Warna college ki padhayi aur picchle kuch dino ki Shruti ki baato se unki life ekdam boring ho gaya tha...2 din ke iss tour ko wo log khul kar jeena chaahte the...Iss liye wo teeno hi Shruti se bahas na karte hue Shruti se dur chale gaye.

Unn teeno ke jaate hi Sameer hairaani me Shruti se kehta hai.

Sameer:- Shruti tum ye kaise paagalo waali baat kar rahi thi? Wo hamaare dushman hai iska matlab ye to nahi ki wo marr jaaye...Aur unhone aisa kya kar diya ki hum unki marne ki dua kare...Mujhe tumhaari ye baat bilkul bhi pasand nahi aaya.

Sameer ne hairaani aur gusse ke saath kaha.

Abb Priya aur uski team jaa chuki thi to Shruti ka gussa kam ho gaya...Abb usse samajh me aa gaya ki gusse me usne kya kya keh diya aur uski baat Sameer ko bhi pasand nahi aaya...Usne turant baat ko badal kar firse pehle jaisa hi maahol bana diya...Lekin Rajesh ki shak ko aur badha diya.

Aise hi wo sab baat kar rahe thi ki Shruti me mobile me Phone aata hai aur usse pick karne wo thoda ekaant jagah par jaati hai.

Rajesh ko bhi accha mauka mil gaya Sameer se baat karne ke liye jo wo Shruti ki maujudgi me nahi kar sakta tha.

Rajesh:- Sameer tujhe nahi lagta ye Shruti aajkal kuch jyada hi c
hhidhi hui rehti hai aur ajeeb harkat karne lagi hai.

Rajesh ki iss baat par Sameer bas muskurata hai kuch nahi bolta jisse Rajesh ka gussa aur badh jaata hai.

Rajesh:- Mai kya koi comedy kar raha hu jo tu aise hass raha hai...Jara uski harkat par dhyan dena aur acche se dimaag ka istemaal karke sochna ki wo aisa kyu kar rahi hai?

Rajesh bahut gussa ho gaya tha lekin Sameer muskuraate hue jawaab deta hai.

Sameer:- Tu to bechari ke picche hi padd gaya yaar.

Rajesh:- Tujhe wo bechari lag raha hai...Sameer dekh abhi mera dimaag kharaab hai please abhi majaak mat karna...Itna kuch karne ke baad bhi tujhe wo bechari lag rahi hai.

Rajesh ne gusse me paas pada ek patthar par ek laat jor se maar kar aur apna fraustration nikaala...

Sameer:- Chill yaar...Wo aaj chhiddhi hui hai aur mujhse gussa hai iss liye wo sab aisa kar rahi hai...Aur apna gussa Priya par nikaal diya...Kuch din pehle Shruti ne mujhe bataya tha ki aaj uska birthday hai...Maine usse wish nahi kiya...Issiliye wo gussa hai...Usse aise tadapte dekh majaa aa raha hai.

Lekin bahut jald wish karunga wo bhi alag tarah se...Abhi to ham riverside hai...Lunch ke baad ham shehar me ghumenge...Wahi se mai Shruti ke liye gift kharidunga aur jab snacks ke baad hills me ghumenge...Tab usse alag andaaz se Shruti ko wish karunga.

Sameer ne apni baat bata diya lekin Rajesh ko yakin tha ki Shruti ki aisi harkat ki vajah Sameer ka wish naa karna nahi hai...Jaroor kuch aur baat hai...Usse laga ki abb Sameer se baat karke koi faaidaa nahi kyuki Sameer uski baat nahi samjhega...Iske baad Rajesh chup rehta hai aur kuch der baad Shruti bhi unhe join kar leti hai.

Iske baad sabhi students thodi der ke liye riverside ghumte hai aur lunch ke time me hotel waapas aa jaate hai.

Lunch ke baad wo log Shehar ghumne nikal jaate hai...Sameer Shruti ke liye gift kharidta hai to Shruti bhi tour ki sabhi students ke liye gift kharidti hai Divya, Priya aur Karan ko chhod kar...Aisa karte vakt uske chehre me ek kutil muskaan aa jaata hai...Naa jaane kitne din se wo issi din ka intejaar kar rahi thi aur wo Priya ka beizzati karke apne insults ka badla le sake.

Usse abb bas shaam hone ka intejaar tha...Jab sabke saamne wo Priya ko beizzat karke apna badla le sake.

Priya aur uski team bhi thoda shopping kar lete hai.

Aur fir sabhi waapas snacks ke liye hotel laut jaate hai.

Snacks ke baad wo sab pahadi ilaake ghumne nikal padte hai....Jaha hone wali ek ghatna Priya ki life me bahut bada asar daalne wala tha.


(Note:- Ye wahi time hai tour ka jab Sameer ne Priya ko niche khaai me girne se bachaya tha aur Karan ne Sameer ka ghadi churaaya tha)
बहुत ही बढ़िया महोदय।

अब इसे भाग्य का लेख कहें या श्रुति का दुर्भाग्य की समीर और प्रिया एक ही समूह में आ गए। श्रुति की तो प्रिया के नाम से पहले ही जाली पड़ी थी, लेकिन अब तो वो जलभुनकर राख हो गई है। वो अब अपने प्लान को अंजाम देने की तैयारी कर रही है।।
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,522
150,210
304
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hind section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 25th February tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 1500 Rupees + Award + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 500 Rupees + Award + 2500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 5000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories) + 2 Months Prime Membership
Best Supporting Reader Award + 1000 Likes+ 2 Months Prime Membership
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
15,685
39,506
258
UPDATE 1


Mera Sameer kaha hai...Abhi tak kuch pata nahi chala...2 mahine se jyada ho gaya hai wo abhi tak ghar nahi lauta....Phone bhi nahi lag raha hai...Aakhir kaha chala gaya...College khatm hone ke baad kitna khush ho kar ghar lauta tha...Acchanak kaha gaayab ho gaya...Police bhi abb tak usko dhund nahi paaye hai...Pata nahi kis haal me hoga mera beta....Aap usko jaldi se dhoond kar laaiye.

Ye aawaaj kisi aur ki nahi Sameer ki Maa ki thi...Achanak Sameer ke do mahine se gaayab ho jaane ki vajah se aur koi khabar naa milne ki vajah se uski Maa ki ro rokar haalat bahut kharaab ho chuki thi...Wo apne pati Mr. Sharma ke saamne gidgidaakar ro rahi thi aur apne beta ko dhund kar laane ko keh rahi thi.

Mr. Sharma:- Shaant ho jaao....Aise rone se Sameer aa jaayega kya? Mera bhi beta hai wo...Mujhe bhi uski fikar hai...Jald aa jaayega...Shaayad koi kaam me fanss gaya hoga.

Mr. Sharma ne bass itna hi kaha tha ki Mrs. Sharma ne chillate hue kaha.

Mrs. Sharma:- Aisa kaun saa kaam hai ki wo do mahine tak gaaayab ho jaaye...Kam se kam ek baar to phone karta...Pata nahi kis haal me hoga wo.

Itna keh kar Mrs. Sharma ekdam shaant ho gayi aur nichhe baith kar rone lagi.

Mr. Sharma ke pass bhi abb kuch kehne ki himmat nahi tha.....Unko bhi Sameer ki bahut fikar ho raha tha....Jaise taise khud ko sambhaal ke rakhe the...Unki haalat bhi Mrs. Sharma ke jaise hi ho gayi thi...Bas wo ro nahi rahe the...Kuch der baad wo apni patni ko sambhaalne ke liye kehte hai.

Mr. Sharma:- Kuch nahi hoga hamaare bete ko...Abb wo bada ho gaya hai...Har paristhiti se lad sakta hai...Bas kisi kaam me uljha hoga wo...Dekhna jald laut aayega wo.

Mr. Sharma ne ye keh to dia lekin wo hi jaante the ki kitna himmat jutaa kar unhone ye kaha tha...Mrs. Sharma unki iss baat ka koi jawaab nahi deti...Bas chup chaap ro rahi thi niche baithkar....Ab Mr. Sharma bhi kuch nahi kehte....Wo bhi wahi baith jaate hai aur soch rahe the ki kaise Sameer ko dhundha jaaye....

Wo dono kuch der aise hi baithe the ki tabhi unn ke ghar ke main door par kisi ka knock hota hai...Knock sunte hi Mrs. Sharma ekdam se utth jaati hai aur Mr. Sharma se kehti hai.

Mrs. Sharma:- Sameer hi hai.....Mujhe pata tha wo laut aayega.

Itna keh kar Mrs. Sharma gate kholne chali jaati hai....Mr. Sharma ko nahi lag raha tha ki ye Sameer hoga...Lekin fir bhi Mrs. Sharma ko kuch nahi kaha....Bas wo gate ki taraf dekh rahe the ki raat ka 10:00 baje kaun aaya hai.....

Jaise hi Mrs. Sharma gate kholti hai.....Baahar khade shakhs ko dekhkar bahut khush ho jaati hai aur chilla kar kehti hai.....

Mrs. Sharma:- Aa gaya Sameer tu...Kitne din se gaayab tha....Itne dino baad laut kar aaya hai...Apni Maa ko kitna pareshaan kiya tune...Kyu bina bataye chala gaya tha...

Mrs. Sharma ne Sameer ko dekh kar rote huye kaha lekin agle hi pal Sameer ke saath khadi ladki ko dekh bolti band ho gayi...Unko samajh me hi nahi aa raha tha ki kya kahe.....Jab unnhone Sameer aur uss Ladki ko gaur se dekha toh bahut bada jhatka laga.....Wo achanak se pichhe hatt gayi....Mr. Sharma bhi Sameer ka naam sunkar jaldi gate tak aa pahunche.....Lekin jab unhone bhi Sameer aur uss ladki ko gaur se dekha to wo bhi bahut shocked ho gaye aur pal bhar me unke chehre me pareshaani ki jagah gussa ne le liya.....

Sameer bhi apne maa aur papa ka aisa roop dekh kar dar gaya....Wo bhi darte huye haanth jodd kar maanfi maangte huye bola.....

Sameer:- (Rote hue) Maa aur Papa....Please mujhe maaf kar dijiye.....Bahut majbur ho gaya tha mai.....Meri ek bhool ne mujhe aisa majboor kar diya ki mujhe ye kadam uthaana pada....Please maaf kar dijiye....

Sameer ye kehkar aur rone laga...Mr. Sharma ka gussa Sameer ka aise rone se pighal gaya...Unhone bhi Sameer ki haalat samajhte hue kaha

Mr. Sharma:- Sameer...Tum aur bahu abhi apne room me jaao....Ye vakt baat karne ka nahi hai....Kal iss baare me baat karenge.

Sameer ne ye baat sun kar thoda raahat ki saans liya...Lekin wo bhi jaanta tha ki Papa se bas aaj raat tak hi wo bachega...Kal usko saara sach maa aur papa se kehna padega.....Ye sab sochte hue Sameer aur wo ladki Sameer ke kamre me chale jaate hai....

Sameer ke jaate hi Mrs. Sharma hairaani se Mr. Sharma se kehti hai.

Mrs. Sharma:- Ye sab kya kar dia Sameer ne...Hamse bina bataaye shaadi kar liya...Agar hame bata deta to kya ham manaa karte? Ye Sameer ne accha nahi kiya.

Mrs. Sharma jo kuch der pehle dukhi thi abb uski jagah hairaani ne le liya.

Mr. Sharma:- Iss baare me kal baat karenge....Sameer hi batayega ki usne aisa kyu kiya...Abhi itni raat ko mai ghar me koi hangaama nahi karna chahta....Kal hi iss baare me baat karenge....Abhi sone ke liye chalo......Sahi vakt pe sahi kaam hoga.

Mr. Sharma ki aawaj se hi laga raha tha ki wo kitne gusse me hai...Jaise taise unhone apna gussa par kaabu kiya tha.


In Sameer's Room


Sameer apne room me pahunch kar bistar par gir gaya...Uski aankho se thoda aanso gir rahe the...Wo uss manhoos ghadi ko yaad karke pachta raha tha jis vakt usne ye bhool kiya tha...Jaise hi wo Ladki Sameer ke room me aayi usne chillate hue Sameer se kaha.

Ladki:- Tumne mere saath aisa kyu kiya Sameer....Mai tumse nafrat karti thi aur mai Karan se pyaar karti thi....Tumne mujhse shaadi karke meri jindagi barbaad kar diya...Tum bhi to mujhse nafrat karte the na to mujhse shaadi kyu kiya? Tum mujhse badla lena chahte the...Issliye...Sameer tumne ye accha nahi kiya....Mai tumhe kabhi maanf nahi karungi.
Zabardast update 👍👍
 

JOKER.

But Not clown..
1,718
890
114

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,522
150,210
304
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).


"Chance to win cash prize up to Rs 8000"
Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 15th February ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 5th March 2024 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 4000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees + Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 
Top