बहुत ही बढ़िया।।UPDATE 28
Karan Sameer ki baat sunkar bahut dar gaya...Sir ne bhi keh diya tha ki aage ki punishment principal karenge...Usse to aage kya hoga ye soch kar abhi se dar lag raha tha...Kahi principal usko college se nikaal to nahi denge ye dar bhi ab usko sataa raha tha...Apni iss harkat jab puri class ko pata chalega to kitna beizzati hoga ye sab dar ki vajah se uska chehre ki rang ek dam se badal gaya aur abb wo uss pal ko kosne laga jab usne Sameer ki bag me mobile rakhne ki murkhata kiya tha...Sameer ko fasane ki chakkar me khud hi fass gaya Karan.
Sir:- Ha ye thik rahega...CCTV ki help se pata chal jaayega kisne tumhaara mobile chori kiya tha.
Sir ne Karan ki taraf dekh kar kaha to Karan aur bhi dar gaya...Bas himmat jutaa kar itna hi bol paaya.
Karan:- Sir mujhe yaad aa gaya galti se maine apna mobile Sameer ke bag me rakh diya tha.
Karan himmat jutaa kar darte hue bas itna hi bol paaya...Abb sabhi students Karan ko ghurne lagte hai isse Karan aur bhi ghabra jaata hai.
Sir:- What? Ye kya keh rahe ho abb tum? Kuch der pehle tak to confirm ho kar bol rahe the ki kisi ne tumhaara mobile churaya hai...Lekin abb keh rahe ho ki tumne khud hi apna mobile Sameer ki bag me rakha hai...Tumhe itni si baat bhi yaad nahi? Aur tumne sara class ko disturb kar diya.
Sir ki gusse se bhari aawaj se Karan aur bhi jyada dar gaya...Shaayad jindagi me pehli baar itna dar raha tha wo...Bhagwan se bas ek hi dua kar raha tha ki iss baar bachaalo agli baar se aisa galti nahi karunga.
Karan:- Sir mera aur Sameer ka phone same model ka hai...Mujhe laga Sameer ka mobile class me chhut gaya iss liye maine uska mobile uski bag me rakh diya...Aur Sameer ki baat se yaad aaya ki wo to mera mobile hai...Thoda sa misunderstanding ho gaya...Sorry Sir.
Karan ne kuch soch kar ek idea nikaala bachne ka....Sameer ko uski baat thoda ajeeb lag raha tha lekin wo abhi kuch bolta nahi.
Sir:- Tumhaara ye chhota sa misunderstanding ki vajah se dekho kitna time loss ho gaya lectures ki...Dusro par ungli uthaane se pehle khud acche se confirm ho jaao ki galti dusre ne hi kiya hai...This must be your first and last mistake.
Sir ye baat keh kar fir se padhaane me busy ho gaye...Sabhi students dhire dhire lecture ki taraf focus karne lagte hai Karan, Sameer, Priya, Divya, Rajesh aur Shruti ko chhod kar...Karan ko apna beizzati mehsoos ho raha tha aur uss pal ko kose jaa raha tha aur baaki sabhi Karan ki iss harkat se shocked the...Kisi ne nahi socha tha ki karan aisa kar sakta hai.
Kuch der baad lecture khattam ho jaata hai aur Sameer utth kar Karan ke pass jaata hai aur kehta hai.
Sameer:- College chhuti hone ke baad parking me mujhse milna aur bhaag mat jaana...Tujhse kuch baat karni hai.
Itna keh kar Sameer bina Karan ki baat sunne waapas apni jagah par aakar baith jaata hai...Karan bhi khaamosh ho kar Sameer ki baat suna lekin koi jawaab nahi diya.
Aise hi college ki chhuti bhi ho jaata hai...Sameer, Shruti aur Rajesh parking me pahunch kar Karan ka wait karte hai...Kuch der baad Karan bhi sir jhuka kar aata hai...Saath me Priya aur Divya bhi thi.
Jab Karan Sameer ke saamne jaata hai tab Sameer jor jor se hasta hai aur kisi ko iski vajah samajh me nahi aata...Sab Sameer ko dekh rahe the...Kuch der hasne ke baad Sameer kehta hai.
Sameer:- Aise dekho mat...Mai to iss Karan ki aaj ki harkat par hass raha tha...Ye comedian laghbhag 2 months se shaant tha...Mujhe to pehle se hi laga tha ki ye kuch na kuch jaroor karega...Lekin ye nahi socha tha ki ye aisi baccho waali harkat karega...(Karan ki taraf dekhte huye)" Little knowledge is dangerous" ye to tune suna hoga na lekin samajh nahi paaya iska matlab...Jab tujhe dusro ko fasaane ka idea hi nahi hai to karta hi kyu hai ye sab...Pehle acche se sikh lena fir try karna.
Sameer suru me to thoda hass kar baat karta hai lekin jald hi uski hassi ki jagah gussa le leta hai...Karan kuch nahi bol paa raha tha...Galti khud ka tha to bolta bhi kya.
Kuch der ki khaamoshi ko tod kar Sameer fir se kehta hai.
Sameer:- Aur kameene tu Sir se bhi jhooth bol raha tha...Tera aur mera mobile ka same model hai.
Sameer ki iss baat par sabhi fir se hairaan ho jaate hai aur Karan ko ghurne lagte hai.
Sameer:- Chahta to tujhe wahi fasa sakta tha...Aur ye case Principal tak pahunch jaata to wo pakka tujhe college se nikaal dete...Unhe bahut shaukh hai rusticate karne ki...Waise mai apne dushmano par jyaada daya nahi dikhaata lekin tera career kharab ho jaayega ye soch kar last mauka diya hai.
Sameer itna keh kar apne dosto se waha se nikalne ke liye aage badhta hai tabhi kuch soch kar waapas Karan ki taraf jaaa kar kehta hai.
Sameer:- Dear comedian group...Ek baat kehna chahta hu...Abhi tak mai bas tum logo ki action ko defend kar raha hu...Kabhi maine panga ki suruwaat nahi kiya...Lekin har baar band tum logo ki hi bajti hai...Lekin abb tum log hadd paar kar rahe ho...Agar mai attack karu to bach nahi paaoge...Jeena mushkil kar dunga...Yaad rakhna.
Itna keh kar Sameer style se goggle pehan kar waaha se nikal jaata hai...Karan aur Priya usko bas ghurte reh jaate hai...Shruti apne car se nikalti hai...Karan aur Priya bhi gusse me nikal jaate hai...Divya kuch der ke liye wahi khadi rehti hai...Divya ko aisa akela khada dekh Rajesh ko lagta hai yahi sahi mauka hai Divya se baat karne ka...Aur wo Sameer se kehta hai.
Rajesh:- Sameer mai abhi aata hu.
Itna keh kar Rajesh Divya ki taraf jaata hai...Sameer uska bike me baith kar wait kar raha tha aur jab usne Rajesh ko Divya ki taraf jaate dekha tab mushkuraa kar khud se hi badbadata hai.
Sameer:- (badbadate huye) Ye Rajesh bhi na...Pyaar karne ke liye isko dushman gang ki ladki hi mili...Koi baat nahi Divya baaki ke dono se to acchi hi hai.
सब करण का ही किया धरा था। वो समीर को फंसाना चाहता था लेकिन जब खुद फंसने के डर लग तो उसने मामला ही बदल दिया और शिक्षक से माफी भी मांग ली। समीर उसकी चाल को समझ गया और एक चेतावनी देकर छोड़ दिया।।