• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

lone_hunterr

Titanus Ghidorah
3,848
5,456
159
Bhai mere view se to Sameer ka tarika galat tha. Khud se fight na karke admin ko complaint karni chaiye thi. Karan ki ragging ko enjoy karna bhi galat tha:madno:.
Anyway story to pahle hi complete ho chuki h so ye bate matter nhi karti. But iss story ka plot bhut accha h. Bhut kam stories h jo reality se judi hui hoti h and ye unme se ek lagi:nicethread:.

Waiting for next updates. Please post on regular basis as you have said it's a complete story so you can give lots update daily:derisive:
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
Bhai mere view se to Sameer ka tarika galat tha. Khud se fight na karke admin ko complaint karni chaiye thi. Karan ki ragging ko enjoy karna bhi galat tha:madno:.
Anyway story to pahle hi complete ho chuki h so ye bate matter nhi karti. But iss story ka plot bhut accha h. Bhut kam stories h jo reality se judi hui hoti h and ye unme se ek lagi:nicethread:.

Waiting for next updates. Please post on regular basis as you have said it's a complete story so you can give lots update daily:derisive:

Welcome Lone Hunterr bhai on the story and thanks for your review...Jaan kar accha laga ki aapko story itna pasand aaya...Update daily hi post karne ki koshish rehta hai...Bas kabhi aane ka vakt nahi milta...Aaj 2 updates post karne wala hun...Saath bane rahiye bhai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 25


Issi tarah aaj aur kal ki saari ghatna sochte hue Sameer apna ghar pahunchta hai...Uska mood bahut kharab tha...Wo apne Maa ki sawaalo se bachne ke liye sir dard(headache) ka bahana bana kar apne room me jaata hai.

Shaam me jab Mr. Sharma laut te hai to Mrs. Sharma ke saath Sameer ke room me aa kar Sameer se baat karte hai.

Mr. Sharma:- Tu kabse itna gussa hone laga? Hamesha tujhe haste mushkuraate baat karte dekha hai...Aur aaj to tu kuch alag hi rang me tha?

Mr. Sharma ki aawaj me gussa aur hairaani dono tha.

Sameer:- Kya karu Papa? Baat hi kuch aisa tha jisse gussa aa gaya...Principal sir rusticate ki dhamki de rahe the bina puri baat jaane jabki mera galti usme thaa hi nahi...Galti unn do seniors ka tha...Unke upar koi action nahi aur mujhe rusticate ka dhamki mil raha tha aur wo bhi aapke saamne...Aur Sir ko apne college rule ka bhi ehsaas dilaana tha.

Sameer ki aawaj me abhi bhi gussa tha lekin wo apne Papa ke saamne dhire se bol raha tha.

Mr. Sharma:- Tera baat galat nahi hai...Lekin yahi baat tu unhe acche se samjha bhi to sakta tha na...Ham sab bhi wahi baatein discuss kar rahe the.

Sameer:- Jab wo samjhe tab samjhaaunga na...Wo baat ko samajhne ki koshish hi nahi karte...Kal mai unhe apni baat samjha raha tha lekin unhone aur Khanna sir dono ne ulta mujhe hi gussa dilaa diya...Aur Papa agar mai waha se iss tarah se nahi nikalta to pata nahi gusse me mere mooh se kya kya nikalta...Control nahi kar paa raha tha apne gusse ko...Sorry Papa...Agar aap ko mera harkat accha nahi laga ho to.

Sameer ne pehle ki baat thoda gusse me kaha aur aakhiri ki baat maafi maangte hue.

Mr. Sharma:- Yahi to mujhe samajh nahi aa raha tujhe itna gussa kyu aa raha hai...Pehle to aisa kabhi nahi hua?

Sameer:- Ye baat to mujhe bhi samajh me nahi aa raha...Lekin kal se apna gussa ko control nahi kar paa raha hu...Abb unn logo se dur rehne ki koshish karta hu.....Tab shaayad sab kuch thik ho jaaye...Aur Papa kal se mai college jaa sakta hu yaa nahi.

Sameer ne baat ko badal diya.

Mr. Sharma:- Haa jaa sakta hai...Bahut samjhaane ke baad maaana Rakesh...Aur tujh se ek baar aur baat karna chahta hai.

Sameer:- Lekin aap ko kya jarurat tha unhe samjhaane ki...Jo decision lete lene dete...Agar mujhe college se nikaal diya hota to bhi kuch fark nahi padta...Koi bhi college me admission le leta.

Sameer ko ye bilkul bhi accha nahi laga ki Mr. Sharma ne uske liye Principal ko samjhaaya.

Mr. Sharma:- Sameer abhi se itna ghamand aur gussa thik nahi hota...Tumhe kya lagta hai rusticate hona acchi baat hai...Maan lo koi college tumhe agar admission deta bhi hai to uss college me tumhaari image kuch alag hoga...Sab sochenge ki tum undisciplined student ho jisse college se nikaal diya gaya hai...Aur hamaare baare me to socho...Hame kaisa lagega jab hamaare beta ko discipline ki case me college se nikaal diya jaayega...Jab dusro ko ye baat pata chalega tab hamaara izzat ka kya hoga...Bhale hi koi kuch nahi kahe aapas me baat to jarur karenge aur das(10) tarah ki baat karenge.

Mr. Sharma Sameer ko samjha rahe the...Sameer ko bhi Mr. Sharma ki baat abb thik lagne laga...Lekin wo abhi iss baare me kuch baat nahi karna chahta tha...Wo jaan gaya tha ki Mr. Sharma usse naraaj hai.

Sameer:- Sorry Papa...Kal se mai aapko shikaayat ka koi mauka nahi dunga...Abhi aap thak gaye honge jaakar rest kijiye.

Sameer ne abhi iss baat ko khatam karna hi thik samjha...Mr. Sharma Sameer ko abhi bahut kuch samjhaana chahte the lekin Sameer ki iss baat se kuch nahi keh paaye...Wo aur Mrs. Sharma chale gaye apne room mein.

Next day


Sameer aaj thoda normal hai...Subah me usse unn do seniors nahi dikhe aur Dusri taraf Karan aur Priya bhi shaant the...Sameer aaj padhne me pura focus kar raha tha aur aaj kuch accha mehsoos kar raha tha picchle do din se...Kuch der baad lunch break hota hai aur jab Sameer aur Rajesh canteen se lunch karke aate hai to pata chalta hai ki class suru hone me abhi 15 minutes baaki hai...Wo dono park ki taraf chal dete hai.

Park me pahunchte hi Sameer dekhta hai ki Karan, Priya aur Divya ek jagah par baithe hai aur unse kuchh dur par Shruti...Jab Shruti Sameer ko dekhti hai tab haath hilaa kar ishaara karte hue kehti hai.

Shruti:- Hi Sameer...Yaha baitho na...Kuch seats khaali hai yaha.

Shruti ki baat Karan aur Priya bhi sunte hai aur wo dono Sameer ki taraf ghur kar dekhte hai...Sameer bhi ignore karte hue chala jaata hai Shruti ki taraf.

Shruti ke pass pahunchne ke baad.

Sameer:- Hi Shruti...Kaisi ho?

Shruti:- Mai to thik hu....Tum bataao kal principal ne tumhe kya kaha?

Shruti ki baat sunne ke baad Sameer thoda chaunk kar kehta hai.

Sameer:- Tumhe kaise pata ki kal mai Principal ki office me gaya tha.

Shruti:- Kal Principal ne hi to kaha tha ki chhuti ke baad mujhse milna jab tumne seniors ko dhoya tha.

Sameer:- Oh...To ye baat hai.

Shruti:- Lekin tumne bataya nahi kal Principal ne kya kiya...Koi punishment mila kya tumhe?

Sameer Shruti ki iss baat ka jawaab deta isse pehle hi Rajesh bich me bola.

Rajesh:- Tumhe kya lagta hai...Koi Sameer ko punish de sakta hai...Isse baat me aur ladayi me koi nahi jeet sakta...Kal isne seniors ki hi nahi Principal ka bhi band baja diya aur Principal kuch nahi kar paaya.

Shruti:- Wow...How cool...Sameer tumhe pata hai mujhe to sabse bada khushi tab mila jab tumne hamare class ki comedian ka bolti band kar diya...Bahut comedy kar raha tha lekin tumhaari ek hi baat se dar kar chup ho gaya.

Sameer bhi Shruti ki iss baat par muskuraa raha tha lekin uski chehre ki muskuraahat kuch hi pal me gaayab ho gaya jab usne Karan ka jawaab sunaa.

Karan:- Ae ladki...Tu mera majaak udaana band kar aur chup ho jaa samjhi...Tabse teri bakwas sunn raha hu...Agar ek baar aur mere baare me kuch bola na to mujh se buraa koi nahi hoga.

Karan ki baat ne Sameer ki muskuraahat ko gussa me badal diya.

Sameer:- Tu abb mujhse park me bhi pitna chahta hai kya? Agar jyaada bakwas kiya na to tera bhi wahi haal karunga jo kal unn seniors ka kiya tha...(Shruti se thoda aage aakar) Shruti tak pahunchne ke liye mai tere aur Shruti ke bich me deewar hu...Lekin ye deewar tujhe bas rokega nahi dho daalega.

Sameer jo kuch der pehle chup tha abb gusse me garaj uttha...Sameer ka gussa dekh Karan bas itna hi bola.

Karan:- Tujhe to baad me dekhunga?

Itna keh kar Karan chup ho gaya lekin Sameer thoda gusse me unki taraf chal diya.

Karan aur Priya Sameer ko apni taraf aata dekh kuch nahi samajh paa rahe the aur thoda ghabra bhi gaye the.

Sameer Karan aur Priya ke saamne jaakar Priya ke haath se mobile cheen leta hai aur ek selfie leta hai aur waapas mobile Priya ko dekar kehta hai.

Sameer:- Maine tumhaare mobile me ek selfie liya hai...Iss comedian ko whattsapp ya facebook kisi me bhi bhej do...(Karan ki taraf dekhte hue) Aur ha comedian kya kaha tha tune "Mujhe baad me dekhega"...Jab Priya tujhe message bhej degi tab baad me nahi kabhi bhi dekh sakta hai mera photo.

Itna keh kar Sameer waapas apne group ki taraf aata hai to dekhta hai ki Rajesh aur Shruti Sameer ki iss harkat par hass rahe the aur Karan aur Priya gusse me laal ho gaye the lekin kuch bolne ki himmat nahi ho rahi thi...Unki gusse me laal aankho ne Sameer ko sabak sikhaane ka soch liya tha...Aur yaha se shuru hota hai inka
"The Hatred and Revenge Game".
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 26


Karan ka majaak udaane ke baad Sameer haste hue apni team ko join karta hai...Aur kuch der me wo sab apne class ki aur chale jaate hai.

Idhar Karan aur Priya Sameer aur Shruti ko picche se gusse se ghoor rahe the.

Karan:- Kuch jyaada hi hawa me udd raha hai...Lagta hai iska pankh kaatne ka vakt aa gaya hai.

Karan ki aawaj me Sameer ke liye jamaane bhar ka gussa aur nafrat tha.

Priya:- Hmm...Sahi keh rahe ho...Seniors ko pitne ke baad to iska attitide aur bhi badh gaya hai...Jab bhi hamaare saamne aata hai kuch na kuch bol kar chala jaata hai...Kab tak ye bardaasht karte rahenge.

Karan:- Lagta hai badla lene ka time aa gaya hai...Isse aisa sabak sikhaayenge ki jindagi bhar yaad rakhega.

Priya:- Bas Sameer ko hi nahi Shruti ko bhi sabak sikhaana hoga...Ye bhi kuch kam nahi hai...Isne bhi hamaara majaak udaaya hai aur isse ham se kya lena dena jo bich me ghus rahi hai.

Karan:- Sahi keh rahi ho...Kuch plan karte hai jisse ye aage hamse ulajhne ki himmat nahi karenge.

Divya bahut der se Karan aur Priya ki baat sun rahi thi...Abb usse control nahi hua tab wo kehti hai.

Divya:- Band karo tum dono apna bakwas...Ye kya badla lene ki baat kar rahe ho...Choti Choti par badla lene ka soch rahe ho.

Priya:- Tu chup hi reh...Aur apna logic apne pass rakh...Apna beizzati hote dekhna teri aadat hai mai apna beizzati bilkul bhi bardaast nahi karungi...Sameer ko apna kiye ki sazaa bhugatna hoga.

Divya:- Aur mujhe bataayegi Sameer ne aisa kya kar diya ki tum log usse apna badla lena chahte ho?

Priya:- Tere paas to akal nahi hai iss liye tujhe kuch samajh me nahi aata...Tu to hamaare saath hi rehti hai fir bhi pucch rahi hai ki Sameer ne kya kiya...Tere pass aankh nahi hai kya jo tujhe ye nahi dikhta Sameer kaise hamse jo man me aaya wo keh kar chala jaata hai...Sabke saamne beizzat karta rehta hai.

Priya iss baat ko thoda gussa me baat kar rahi thi....Lekin ye gussa Divya ko shaant karaane ke liye kaafi nahi tha.

Divya:- Mere paas aankh nahi hai iss liye mai dekh nahi paayi...Lekin tumhaare paas to yaadasht (Memory) nahi hai jo tum log yaad nahi kar paa rahe ho ki Sameer ne jab bhi tum logo ka majaak udaaya uss time baat ko tum log hi start karte the...Karan baar baar Sameer ko kuch na kuch kehta aur Sameer aake Karan ko acche se jawaab deta tha.

(Priya se) Aur tujhe accha nahi lag raha ki Sameer sabke saamne tum logo ko apne tarike se reply deta hai....Lekin ye baat yaad kar jab usne indirectly hi sahi lekin tum dono ko ragging se bachaaya tha...Agar Sameer ne senior ko maara nahi hota na to to tujhe tera task karna padta...Abb ye mat kehna ki tujhe kisi ko kiss karne me beizzati mehsoos nahi hota.

Divya ne iss baar gussa me Priya se kaha...Priya ko bhi Divya ki baat thoda thoda sahi lagta hai...Lekin wo abhi bhi maanna nahi chahti thi.

Priya:- Lekin usne to khud ko bachane liye seniors par haath uthaaya na...Iss me hame bachaane ki baat kaha se aa gayi.

Divya:- Tu baat ko samajhna hi nahi chahti...Wo tera dost hai kya jo tera help karega...Dost nahi hai fir bhi indirectly tera help ho gaya...Tujhe wo baat kabhi najar nahi aayega...Tera dil aur dimaag me to Sameer ke liye nafrat bhar gaya hai aur ye sab tu dekhegi kaise...Tu ne ek baar bhi usko thanks bola...Nahi tujhe uss me acchayi dikhti hi nahi aur usne koi bura keh diya to chal padi Sameer se badla lene aur ye bhi bhul jaati hai ki ladayi ka suruwat kisne kiya hai.

Itna keh kar Divya chup ho jaati hai...Priya kuch nahi bolti aur Karan ko Divya ki ek ek baat par gussa aa raha tha...Lekin wo show nahi karta...Iss chuppi ko tod kar fir Divya kehti hai.

Divya:- Abb tum dono badla lene ka soch hi rahe ho to koi baat nahi...Jo marzi wo karo...Lekin mai tum dono ka saath nahi dungi...Aur mujhe nahi lagta Sameer se tum dono itna aasani se badla le paaoge...Kahi tumhaara chaal ulta na pad jaaye.

Divya ka bas itna hi kehna tha ki lunch break bhi khatam hota hai aur sab class me chale jaate hai.

Sameer ko abb baaki ki lectures complete karne me koi mushkil nahi hota...Wo dimaag ko shaant rakh teacher ki saari baat sunta hai aur acche se padhne me dhyan deta hai.

College chhuti hone ke baad wo fir Principal office me jaata hai...Baar baar principal office me jaane se wo pareshaan ho gaya tha...Usne soch liya ki wo aaj Principal se baat karke wo saara maamla clear karega aur aage se wo principal office nahi jaayega.

Principal office me jaane ke baad.

Sameer:- Sir aapne Papa se kaha tha ki aap mujhse baat karna chahte hai.

Sameer ne sidha mudde ki baat kiya.

Principal:- Kal tumhaare Papa se baat karne ke baat maine decide kiya ki ek aakhiri mauka deta hu...Abb se tumhaare khilaaf koi complaint nahi aani chahiye.

Sameer:- Ok sir thik hai...Mai complaint ka koi mauka nahi dunga jab tak koi mujhe pareshaan na kare...Agar fir koi mujhe ragging kare to chup nahi baithunga aur sir aap Khanna sir ko bhi samjha dijiye...Jab first day unhone mera complaint kiya tha tab mera galti kya tha? Mai class ko disturb to nahi kar raha tha...Mera mood off tha to lecture ko acche se attend nahi kar paa raha tha...Iss choti si baat ko kheench kar unhone itna bada issue bana diya...Sir aapko yakin ke saath keh sakta hu ki itna to talent hai mujhme ki ek do lecture chhutne ke baad bhi marks par jyaada fark nahi padega...Aur college ko hamaare marks aur result se hi matlab hota hai...Aur mai ek disciplined student hu...Aapne mera jitna bhi complaint suna hai unn complaints me maine kabhi suruwat nahi kiya...Bas acche se jawaab diya hai...Aur mujhe koi afsos bhi nahi hai.

In short mai college padhne ke liye aata hu...Lekin mai majboor ho jaata hu aur aisa kuch aisa kar baithta hu jisse aap apne language me undiscipline kehte hai...Aapse vaada to nahi karunga ki mere khilaaf koi complaint nahi aayega...Lekin itna jarur keh sakta hu ki mai kisi bhi lafde ka suruwaat nahi karunga.

Sameer ne bina dare confidently Principal ki aankh me aankh daal kar keh diya...Principal ko gussa to bahut aaya lekin wo kuch nahi bole...Shaayad bolne ke liye kuch points nahi the aur bas Sameer ki galti ka intejaar kar rahe the.

Principal ko kuch na bolta dekh Sameer pucchta hai.

Sameer:- Sir may I go now?

Sameer ki iss sawaal ka jawaab Principal sir hilaa kar jaane ko kehte hai.

Sameer Principal ke saath iss issue ko temporarily solve karke apne ghar me chala jaata hai...Aur jaate jaate usne kuch dushman bana liya tha (Pratap-Ramesh, Karan-Priya) jo abb Sameer se badla ka intejaar kar rahe the.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 27


Dhire dhire din bitne lage...Sab kuch thik ho raha hai aisa sirf Sameer ko lag raha tha...Seniors aur Karan shaant to the lekin badle ki khayal abhi bhi unke dimaag se nahi gaya tha...Bas sahi mauka ka intejaar kar rahe the.

Sameer ki class me sabse dosti ho gaya tha Karan aur Priya ko chhod kar...Sameer abb unhe puri tarah ignore karne laga tha aur unki taraf koi dhyan bhi nahi deta tha...Bas apne dost aur study me busy rehta tha.

Aise hi kuch mahine baad Sameer, Shruti aur Rajesh canteen me baithe the lunch karte huye...Lunch karte huye Shruti kehti hai.

Shruti:- Sameer tumne notice kiya hai Karan aur uski team aaj kal ek dam shaant ho gaye hai...Lagta hai bolna hi bhul gaye hame dekhne ke baad...Jab bhi hame dekhte hai ek dam se khaamosh ho jaate hai...Accha sabak sikhaaya Sameer tumne.

Rajesh:- Mujhe to ye tufaan se pehle ki shaanti lag rahi hai...Jab bhi wo hame dekhte hai wo chup to rehte hai lekin unki aankhon me hamesha gussa rehta hai...Lagta hai wo koi saazish ki planning kar rahe hai..

Sameer Rajesh aur Shruti ki baat se badhne waali bahas ko rok kar kehta hai.

Sameer:- Cool down guys...Lunch karte vakt ye kaunsa bakwaas topic choose kar liya...Khaane ki time me unke naam lekar mood off mat karo yaar...Unko jo karna hai karne do...Wo jo bhi karenge unka jawaab ham apne tarike se denge jaise abb tak dete aaye hai.

Sameer ka ye kehne ke baad ye fir koi iss topic par baat nahi karta.

Lunch ke baad Sameer aur uska dost fir se class ki taraf jaate hai jaha ek hangaama unka wait kar raha tha.


Class me pahunchne ke baad Sameer aur Rajesh apni jagah par baith jaate hai.

Kuch der baad teacher bhi aakar padhaane lagte hai...Itne me Karan uth kar teacher se kehta hai.

Karan:- Sir kisi ne mera mobile chura liya hai?

Karan ki iss baat par pura class shock ho jaata hai.

Sir:- Tum itna yakin ke saath kaise keh sakte ho ki kisi ne chori kar liya hai? Shaayad tumne hi kahi pe rakha ho aur bhul gaye.

Karan:- Nahi sir canteen jaate vakt maine mobile bag me rakha tha...Lekin abhi nahi mil raha...Acche se check kar liya...Jaroor kisi ne chori kiya hai.

Itna keh kar Karan Sameer ki taraf dekhta hai aur Sameer bhi thoda bahut samajh jaata hai.

Sir:- To fir tumhe kis par shak hai?

Karan:- Sir mujhe kisi par shak nahi hai...L
ekin ek baar sabhi ki bag aur pocket check karna padega.

Sir:- Ok thik hai...(Sabhi students se) Mai aakhiri mauka sabko deta hu...Abhi bhi mauka hai agar kisi ne Karan ka mobile liya hai to usse lauta do...Agar pakde gaye to Principal sir se complain kar dunga aage ki punishment wo karenge.

Lekin koi students reply nahi deta...Sabhi ko pata tha ki kisi ne chori nahi kiya.

Aur uske baad suru hota hai checking ka daur...Aur Karan ka mobile Sameer ki bag me mil jaata hai...Sameer ke saath saath sabhi students and teacher shocked ho gaye the...Yaha tak ki Priya aur Divya bhi.

Karan:- Sameer tumne mera mobile churaaya...Mujhe to yakin nahi ho raha tum itna gir jaaoge ki mera mobie hi churaa loge...Apni dushmani ke liye tumne mera mobile churaaya...Tumse ye umeed nahi tha.

Karan ne bahut innocently kaha...Sameer ko abb sab baat samajh me aa gaya.

Sameer:- Abe Kameene...Band kar apna bakwas acting...Sab jaanta hu mai ye tera hi kaam hai mujhe fasaane ki...Lekin koi baat nahi tera ye plan bhi fail ho jaayega...CCTV footage se pata chal jaayega ki ye kiska kaam hai jisne mere bag me mobile rakha hai.

Sameer ne gussa aur confident se kaha...Sameer ka ye kehne ke baad Karan ki khushi ki chamak achaanak gaayab ho gayi...Abb uske chehre me dar ki bhaaw aane lage.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,157
38,475
259
principal me kuchh jyada hi attitude aur ego hai.....................students mein to aisa chalta rehta hai............. college admin unhein decipkine me rakhta hai......
lekin yahan pricipal biased hai..................... mr sharma ko chahiye tha principal ko request karne aur sameer ko darane ki bajay.........principal ko samjha dete ki agar unke college me aise hi administration ragging ko support karega to wo police mein FIR likhwakar college ko mushkilon me daal deinge...aur FIR ke baad media me college ka nam badnam hoga so alag....chahe case me kuchh bhi na ho....................isse principal resticate karne ki dhamki dena bhool jata

anyway........... ye ek story hai isme sabkuchh kisi wajah se kiya jata hai..............

keep it up
 
Top