• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Din Achanak

Mr.X796

Well-Known Member
10,139
6,150
228
Update 58
Ye to bahut kuch ho gaya hai dil kah raha sonali ko daya ki dristi se dekhe lekin phir bhi dimag is bat ko sire se kharich kar raha hai ise hi kahte hai wakt ki mar jo sonali,uske dad ke sath hua hai unhone jai ka mazak udaya tha aur ab wakt ne unhe bhi wahin lakar khada kar diya aur ye last main kya hua lagta hai sanju ka gunahgar raj ke papa munna hai agar yesa hua to phir sanju unhe barbad karega jaroor
 
  • Like
Reactions: Ravi

Mr.X796

Well-Known Member
10,139
6,150
228
Update 59
Sanju ko kuch ummeed mili hai bracelets wale sakhs tak pahuchne ke liye aur ye raj ko bacha kyu liya nikal lene dete use bechare ko:D: mukti mil jati faltu main sonali ko marne gaya tha jo ab uske hi bajah se sahi ho raha hai aur ye har bar last main jhatka dena jaroory hai kya :bat:
 
  • Like
Reactions: Ravi

Mr.X796

Well-Known Member
10,139
6,150
228
Update 60
Ravi bhai ye kya sourav naam ka sakhs kis grah se laye ho jo cycle se kidnapping karne nikla hai :lotpot::lotpot: ye to bc pakka apni hi marwane nikla hai :suicide: iska to sidhe sidhe dukan wale ne chutiya kat diya kidnapping ki request to nahin karne pahuncha hai ye aur ye sonali ko aap phir se readers ki nazron main kyo gira rahe ho aap ye likh sakte the ki raj ab sonali ko chahne laga hai dono ke bich pyar hajam nahin ho raha :verysad::verysad:
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 61

Idhar Sourav kidnapping ka plan bana raha tha to udhar uski har gatividhi par ek aadmi najar rakhe huye tha. Wo aadmi pal pal ki khabar Sinha ko de raha tha. Sihna to pata tha ki ye ladka bevkuf hai aur ye kaam iske bas ki baat nahin hai lekin iski majboori dekhte huye Sinha ne ye kaam ise saunp diya tha lekin saath hi ek aadmi ko ispar najar rakhne ke liye bhi tainat kar diya tha jo mauka dekhkar bigde khel ko sambhal sakta tha aur agar jarurat pade to Sourav ko bhi khatam kar sakta tha.

Usne haalaat ki jaankari Sinha ko di to Sinha ne turant sab action use apne haath mein lene ko kaha. Sinha ko pata tha ki wo jaroor koi na koi gadbad kar dega au raise najuk mauke ko wo itni dheel nahin de sakta tha. Idhar us aadmi yaa yun yun kahiye us tej tarrar ladke ne intezar karma theek samjha taaki jab wo ladkiyan akeli ho Sourav ke saath to wo unka kidnap kar sake. Use Sourav ke upar bhi najar rakh rakhi thi ki kahin wo kuch gadbad na kar de.

Idhar Jawed Jay ko bata raha tha ki kaise ek accident mein uske ammi-abbu mare gaye aur unke upar musibaton ka pahad toot pada. Uski padhai choot gayi, hospital mein ilaaj ke liya paise na rahe ulta karz ho gaya lekin wo apne ammi-abbu ko bacha na saka. Maa-baap ke marte hi sab rishtedaron ne muh mod liya. Sahi kehte hain ki jab tak aapke paas paisa hai aapke dost aur rishtedar bane rahenge lekin jahan paisa khatam wahan dosti, pyaar, rishtedari koi mayne nahin rakhti.

Jawed ke ghar par karzdaron ki line lagne lag gayi, uske paas ka saara saaman bik gaya, ghar girwi chala gaya, raaton ko aksar bhookha hi sona padta tha, sardi mein bina kambal ke thiturte huye raat bitana kaisa lagta hai ye wohi bata sakta hai jo in halation se gujra ho. Khana kabhi mila to kabhi nahin mila, rukhi sukhi jaisi mili kha li. Logon ki galiyan sunna, maar khana uska nitya karma ban gaya tha. Kismat ne bhi kya khel khela tha uske saath. Jo ladka kal tak sab ki help ke liye hamesha tayyar rehta tha aaj usko koi poochne wala bhi nahin tha.

Jay ki aankhon se aansu beh rahe the. Usne Jawed ko kaha “To tumne mujhe kyun nahin bataya bhai. Kya mujh par bharosa nahin tha. Kya tumhe lagta tha ki auro ki tarah mein bhi tumse muh pher loonga.”

Jawed: “Yaar kaisi baat kar raha hai. Tum par to mujhe apne aap se bhi jyada bharosa hai. Lekin, bura mat manna, tumhare ghar ki haalat bhi bahut achhi nahin thi aur main nahin chahta tha ki meri wajah se tum par atirikta bojh pade. Doosra main muslim hoon to samaj kya kehta. Milna julna to theek tha lekin ek saath ek hi ghar mein rehna kya sahi tha”

Jay: “Aisa bolkar to aapne mujhe paraya bana diya. Bas itna hi bharosa tha aapko mujh par. Kya main is layak bhi nahin ki aapke ghamon mein aapka saath de sakta. Shayad is layak nahin hun tabhi to pehle mera pyaar mujhe chod kar chala gaya aur ab ek dost jo bhai se bhi badhkar thaw o bhi aisi baatein kar raha hai”

Jawed: “Nahin bhai aisa to main soch bhi nahin sakta. Lekin dheere dheere sab theek ho gaya. Ek Din Achanak jab main bhookha pyaasa kaam ki talash mein bhatak raha tha aur har jagah se dutkaar aur maar kha raha tha to Mr. Sikander Sinha se meri mulakat huyi. Shehar ke chand rahison mein se ek hain wo. Shayad tujhe pata ho ya na ho lekin wohi Sonali ke sasur bhi hain”

Jay: “Haan mujhe pata hai. Main Sinha ke ghar gaya tha aur Sonali se mulakat bhi kit hi maine. Bahut dukh jhel rahi hai wo” Aur itna kehte kehte Jay ka man udas ho gaya.

Jawed: “Sinha sahib ne mujhe sahara diya. Mera saara karz chuka diya. Apne paas kaam diya. Logon ke liye wo kuch bhi mayne rakhte hon lekin mere liye bhagwan se kam nahin hain. Aaj mere paas jo kuch bhi hai sab unki badaulat hai. Lekin is baar main dharm sankat mein hoon”

Jay: “Kyun kya hua?”

Iske baad Jawed ne Sinha dwara ladkiyon ki jasoosi se lekar unka apaharan kiye jaane ki koshish tak ki saari baatein Jay ko bata di. Jay ka khoon khaul utha Sinha ki aisi harkat dekhkar lekin kahin Jawed ko bura na lage isliya usne apne expressions ko jaahir nahin hone diya. Iske baad dono kaafi der tak baatein karte rahe aur dono ne milkar faisla liya ki Sinha ko kidnapping mein kamyaab nahin hone denge lekin use koi aanch bhi nahin aani chahiye ye Jawed ki request thi. Dono ne sab doston ke saath milkar iska raasta nikalne ki sochi aur sabke paas chal diye.

Yahan Raj ko bhi apne pita par shak hone laga tha kyunki roz naye naye ladkon ka jo shakal se gunde type ke lagte the uske ghar uske baap se milne aane lage the. Pehle to Raj ne koi khaas dhyaan nahin diya lekin jab ye jyada ho gaya to uska matha thanka. Usne in ladkon ke aane ka kaaran jaanne pata lagane ki sochi.

Usne ek din chupkar unki baatein sunne ki koshish ki. Baatein sunkar use pata laga ki uska baap jurm ke daldal mein kitna dhansa huya hai. Use apne baap se nafrat hone lagi. Sach kehte hain pyaar insaan ko badal deta hai. Kal tak jo Raj jurm karne se hichakta nahin tha use aaj isse ghin aane lagi thi. Aisa nahin hai ki wo jurm karta tha lekin baap ke paison ki akad, uska rehan sehan, uski parvarish in sab ki jimmedar thi.

Usne ye saari baatein Sonali ko batayi jise sunkar wo shocked ho gayi. Wo dar gayi ki ab kya Karen. Kaise wo dono in haalaton ka saamna kare. Jab tak use pata nahin tha to koi dikkat nahin thi lekin ab wo kaise unka saamna karegi. Shayad Raj bhi yahi sab soch raha tha lekin use pata tha ki uska baap is kadar jurm ki duniya mein ghus chuka hai ki jarurat padne par wo apne bete ka bhi khoon karne se nahin hichkega. Lekin use kuch na kuch to karna hi padega. Aur iska raasta bhi usne dhoond liya tha jise bas amal mein laana tha.

Lekin wo karega kya? Kya Sinha ko sab dost rok payenge? Kya Sourav kidnap kar payega?


To be continued....
 

Mr.X796

Well-Known Member
10,139
6,150
228
Nice n emotional update bro bas kese bhi karke dono ko bacha lena aur jawed ko ab aue dukh mat dena ye request hai aapse :hmm:ye raj kabse sahi raste pe chal pada :?:raj ko thodi saza to milni hi :hit::hit::D
 
  • Like
Reactions: Ravi

mysteryman

Active Member
921
1,510
139
BADIYA UPDATE THA YE JAWED BHI JURM KI DALDAL MAI FAS GYA OR USKA BOSS HAI SINHA JO KI SONALI KA SASUR HAI...

DEKHTE HEIN JAB RAVI AUR BAKIYON KO KIDNAPPING KE BARE MAI PTA CHALEGI TO KYA HOTA HAI...

KOI KAISE REACT KAR SKTA HAI JAB USKI GF OR GF KI BAHAN KA KIDNAP HONE KE BARE MAI USE PATA CHALE...


KYA RAVI AND COMPANY SINHA KO ROK PAYEGI USKE MAKSAD MAI SAFAL HONE SE....

OR JAB RAJ OR SONALI KO SINHA KI ASLIYAT KA PATA LAGA HAI TO UNHONE BHI KUCHH PLAN BANAYA HAI...


LEKIN SAWAL YE HAI KI KYA PLAN BANAYA AUR IS SAWAL KA JAWAB AGLE UPDATE SE MILEGA ....


ISLIYE...

WAITING FOR NEXT
 
  • Like
Reactions: Ravi

Nub_Ag

Well-Known Member
11,212
4,507
229
Update 52

“Main aur Sanjana dono ek dusre ko bahut pyaar karte the. Halanki use manane ke liye mujhe kafi papad belne pade, uske ghar ke kitne hi chakkar lage, ladkon se ladai jhagde bhi huye, ghar, school mein pata nahin kitni baar pitai padi lekin aakhir ek din main uska pyaar pane mein safal ho hi gaya. Hum aksar isi park mein aakar baitha karte the aur ghanton ek doosre ki aankhon mein dekhte huye, ek doosre ki baahon mein samay bitaya karte the. Humne apne haathon se ek chota sa paudha bhi yahan lagaya. Roz yahan jab bhi aate to apni pani ki bootle se pani us paudhe ko jaroor dalte. Hamara pyaar aisa tha jaise do jism ek jaan. Ek pal ko bhi doosre se bichad kar nahin reh sakte the.”

“Lekin pata nahin hamare pyaar ko kiski najar lag gayi” Aur itna kehkar Sanju ka dil bhar aaya aur uski aankhon se aansuon ki dhara behne lagi. Ravi ka dil bhi paseej gaya ki Sanju jo bahar se har dum mast rehta hai, khilkhilata rehta hai, apne seene mein kitna dard chupaye huye hai. Use dekhkar koi nahin keh sakta ki use koi gham bhi hai.

Jab Sanju shaant huya to usne aage bataya “Us din mera janamdin tha aur wo mere liye gift lene gayi thi. Us din wo bahut khus thi aur mere liye ek shirt lene gayi thi market mein. Wahan kisi gunde ne uske saath chedkani ki aur usne use kaskar sabke saamne thappad maar diya.”

“Are wah ye to usne bahut achha kiya” Ravi turant bol pada. Aise gundon ko to beech chaurahe par laakar peetna chahiye.

“Tum theek keh rahe ho lekin yahi to shayad sabse badi galti ho gayi thi usse. Khair wo gift lekar aa gayi thi aur usne mujhe bataya lekin main pagal tha jo sab theek ho gaya, usne thappad maar diya aur baat aayi gayi ho gayi, aisa sochkar shaant baith gaya. Mujhe usi samay us gunde ko sabak sikhana chahiye tha.

Agle din mere paas khabar aayi ki meri Sanjana hospital mein jindagi aur maut se jhoojh rahi hai. Mere to pairon se jaise jameen hi nikal gayi thi. Main sab kaam chodkar wahan bhaga bhaga pahuncha. Uske parents se main kai baar mil chuka tha to mujhe dekhte hi bole ki beta tum andar jao. Sanjana baar baar tumhe yaad kar rahi hai. Itna kehte kehte unki aankhen nam ho gayi jise dekhkar mujhe kisi anhoni ki aashanka hone lagi”

“Main andar gaya aur wo meri taraf dekh kar muskura di lekin uski muskurahat use hone wale dard ko chupa nahin saki. Main uske paas baith gaya to usne mujhse bola ki tum aaj park mein nahin gaye us paudhe ko pani dene. Maine kaha mein tumhare bina kabhi gaya hoon. Dono saath saath chalenge. Itna sunkar wo muskura di aur boli ab shayad mein kabhi tumhare saath na ja sakun tumhe akele hi us paudhe ko bada karna hoga jo hamare pyaar ki nishani hai. Mera aks tumhe dikhega usme. Maine kaha tum kya behki behki baatein kar rahi ho. Aur ye halat kaise ho gayi tumhari”

“Usne bataya ki jis ladke ko kal usne thappad mara tha aaj usne apne ek dost ke saath use gher liya tha. Wo dono milkar use jabardasti apni gaadi mein bithana chahte the lekin wo isme safal nahin ho paye. Jab maine chillana shuru kiya to ek ne apne haathon se mera muh daba diya. Maine bhi ek laat uski dono taangon ke beech maari to usne dard aur gusse ke mare mujhe chalte traffic ke beech dhakka de diya. Wahan ek bus chali aa rahi. Usne mujhe bachane ki bahut koshish ki lekin main bus ki chapet mein aa hi gayi aur meri ye halat ho gayi. Wo dono ladke turant wahan se bhag gaye the aur mujhe wahan se PCR ki van hospital mein le aayi thi. Shayad kisi ne police ko phone kar diya tha”

“Wo ladka kaun tha Sanjana. Ye poochte huye Sanju ka khoon khaul raha tha aur uski aankhon se lag raha tha ki agar ise pata chal gaya to ye jaroor koi anarth kar dega. Sanjana ne kaha ki use nahin pata. Usne to us ladke ko kabhi dekha hi nahin. Aur tumhe meri kasam agar tum aaj ke baad ye baat bhi apni dimaag mein lekar aaye. Bhul jao sab sirf mujhe aur hamare pyaar ko yaad rakho. Main tumse bahut pyaar karti hoon aur tumhe hamesha khus dekhna chahti hoon.

Wada karo kabhi royoge nahi mujhe yaad karke. Hamare pyaar ki nishani ke paas din ke ek samay jaroor milne jaoge. Main tumhare paas laut kar jaroor aaungi. Dekhti hoon ki tum mujhe pehchaan paate ho ya nahin. Ab kis ladki ke roop mein aa jaun ye pata nahin. Sab kaam tumhe karna hai. Hamesha yun hi hanste rehna hai aur khilkhilate rehna hai.”

“Achanak Sanjana ki awaaz bolte bolte ruk gayi aur wo tej tej saansein lene lag gayi. Khair ruk ruk kar to pehle bhi bol rahi thi lekin is samay to uski halat bolne ki bhi nahin thi. Usne mera haath apne haathon mein kaskar pakad liya jaise mujhse wada chahti ho. Main uski baat kaise taal sakta tha. Maine apni jaan se pyaar jo bahut karta tha. Waada kar diya. Shayad wo mere ikraar ke intezar mein hi ruki huyi thi. Jaise hi maine wada kiya wo hamesha ke liye mujhse door chali gayi.”

“Mere haath se uska haath neeche jameen par latak gaya jise maine dubara apne haathon mein lene ki koshish ki to dekha ki ek bracelet jis par R akshar likha huya tha uske haath mein fansa huya tha. Main samajh gaya ki ye bracelet jaroor us ladke ka hoga jisne isko dhakka diya kyunki ye ek gents bracelet tha. Main bracelet ko jeb mein dala aur uska haath apne haath mein lekar pagal sa ho gaya. Mujhe hosh to tab aaya jab uske parents ne mujhe jhakjhor kar hataya wahan se.”

“Wahan se nikalkar main bhagta huya us paudhe ke paas pahunch gaya aur uske gale se lag kar bahut der tak rota raha. Iske baad main rojana apne wade ke mutabik us paudhe ke paas jaata aur use paani deta. Mujhe apni jaan ki jhalak usme dikhayi deti thi. Main ghanton uske paas baith kar usse baat kiya karta tha jaise apni Sanjana se baat kar raha hoon.”

Ravi ki aankhon se aansu beh rahe the Sanju ki kahani sun kar aur usne poocha “Yaar iska matlab ye ped wo paudha hi hai kyunki tum isse baat kar rahe the”

Sanju ne kaha “Haan ye wohi paudha hai jo ab hamare pyaar ke badhne ke saath saath ek vishal vriksh ka roop le chuka hai. Jis tarah usse bichadne ke baad bhi mera pyaar kabhi kam nahin huya usi tarah ye ped bhi kabhi nahin murjhaya”

Ravi ne aage poocha “To us bracelet se us ladke ka kuch pata chala ki wo kaun tha aur kahan rehta hai”

Sanju ki aankhen ek pal ke liye angaare jaisi huyi lekin turant hi wo normal ho gaya aur bola “Yaar yehi to pata nahin chal paya hai ab tak. Pehle to maine socha tha ki shayad uske ghar mein se kisi ka hoga to main wahan bhi sabse poocha lekin kisi ka nahin nikla. Jahan uska accident karaya gaya tha wahan jaakar bhi maine kaafi pata kiya lekin kuch pata nahin chala.”

“Aur bas ab to sirf ye ped jo hamare pyaar ka pratik hai mera sab kuch hai. Aaj bhi use har ladki mein dekhta hoon ki kab wok is roop mein mere saamne aa jaye lekin aaj tak wo nahin aayi.

Itna kehkar Sanju jo ab tak kisi tarah se apne upar control kar raha tha aur sab kahani Ravi ko bata raha tha aage bol nahin paya aur uski aankhon se bhi ashru-dhara behne lagi. Pata nahin kitni der wo baitha rota raha. Jab shaant huya to Ravi ne aur Sanjana ke baare mein baat karni shuru ki jaise ki kaise pyaar huya, kahan kahan gaye ghumne etc. taaki Sanju ka udas dil thodi khushi prapt kar sake.

Sanju bhi ab normal ho gaya tha aur usne shuru mein milne se lekar, ladne-jhagadne, pyaar ka ikraar hone, meethi nok-jhonk hone aadi ke baare mein batana shuru kar diya. Beech mein kai waqye aise bhi the jisme dono thahaka lagakar hans bhi rahe the. Jo mahaul do min pehle ghamgin tha ab wo hansi ke fawwaron se bheega huya tha.
Isi tarah samay beetta gaya aur saare dost aise hi ek dusre ke saath hansi majak karte huye samay bitane lage. Sanju aaj bhi Sanjana se kiya huya wada nibha raha tha. Aaj bhi use Sanjana ki talash thi ki wo kab aur kis roop mein uske saamne aa jaye. Udasi se to jaise Sanju ne nata hi tod liya tha, halanki bahut mushkil tha ye uske liye lekin kya kare wada jo kiya tha apni Sanjana se ki halaat chahe jaise bhi ho wo muskurata rahega. Lekin in sab se beech use aaj bhi us bracelet ke maalik ki talash thi. Usne sab doston ko bhi wo bracelet dikha kar pooch liya tha lekin kisi ko iske baare mein kuch pata nahin tha.

End of Episode 4


To be continued....
Noice update Sanju ki kahani sabse alag aur best lagi Kahin yeh bracelet Rider ya raj ka toh nahi:hint:
 
  • Like
Reactions: Ravi
Top