If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Dheere dheere aise hi din beetne lage. Ab to Pawan ka Riya ke ghar aana jaana bhi shuru ho gaya tha. Pawan jab bhi jaata to baataon baaton mein Ravi ka jikar ho hi jaaya karta tha kisi na kisi kaaran se. Ab jab Riya ke ghar jaata tha to wahan jaahir si baat hai uski behan se bhi milta hoga. Riya ki behan ke bhi 12th ke exam ho gaye the aur wo achhe numbers se pass bhi ho gayi thi. Umar ke hisaab se to wo Riya se choti thi lekin agar maturity ki baat ki jaye to Riya par 21 hi thi uski choti behan. Isliye ghar wale bhi uski baat nahin taalte the kyunki unhen pata tha ki uski laadli beti kabhi koi galat baat nahin karti.
Kai baar aisa huya jab Riya ki behan paas baithi ho aur Ravi ki tareefon ke pul bandh rahe hote the. Wo soch mein padh jaati thi ki aakhir ek ladke hi ladke mein itne saare gun kaise ho sakte hain. Kya Ravi koi aflatoon hai jo sab kar sakta hai. Kahin wo bewkuf to nahin bana raha inhen. Lekin Pawan ke kehne ke mutabik to wo Ravi ko bachpan se jaanta hai to ye khyaal Riya ki behan ne dimaag se nikal diya. Lekin Ravi se milne ki ichha wo apne dilo-dimaag se nahin nikal pa rahi thi.
Aise hi ek baar Pawan koi jacket pehan kar aaya to Riya aur uski behan us jacket ko dekh kar bahut khus huyi. Unhone kaha ki jacket bahut sunder hai. I sjacket ka colour, design, stitches, cloth sab ek dum badhiya hai. Pawan par bahut suit kar rahi thi aur Pawan kaafi handsome lag raha tha us jacket mein. Dono ne Pawan aur uski jacket ki tareef kya ki Pawan turant bol utha ki ye Jacket to Ravi ki hai. Usne mujhe gift ki hai.
Riya par to koi farak nahin pada lekin uski behan ye sunkar chaunk gayi kyunki jacket kaafi mehangi lagti thi aur aisi jacket asaani se market mein nahin milti thi. Riya ki behan ke poochne par Pawan ne bataya ki aaj hi Ravi ise kharidkar laaya tha aur mujhe dikhayi. Ab jaise tum log iski tareef kar rahe ho waise hi maine bhi ki thi. Bas fir kya tha. Usne turant ye jacket mujhe gift kar di ye kehte huye ki mere dost ko jo cheez pasand aayi hai us par mera koi adhikaar nahin. Mere laakh mana karne ke bavjood usne mujhe jabardasti ye jacket pehna di. Bas aisa hi dildaar hai mera dost. Har koi itna khuskismat nahin hota ki use Ravi jaisa dost mile.
Riya ki behan hairani se saari baatein sun rahi thi. Uski curiousty badhti ja rahi thi Ravi se milne ki. Lekin Ravi kabhi bhi Pawan ke saath nahin aata tha kyunki ek to Jay aur phir Sanju ki story sunne ke baad uska man nahin karta tha in pyaar vyaar ke chakkar mein padne aur kisi bhi roop mein isse judne ka. Isliye Riya ki behan ki kabhi mulakat nahin ho payi thi Ravi se. Lekin ab jab college mein admission ka time ho gaya tha to Riya ki behan ne do karnon se isi college mein admission lene ki ichha jatayi.
• Sabse pehla to ye ki wo apni behan se bahut pyaar karti thi. Dono ek doosre ke bina nahin reh sakti thi. Halanki Riya badi thi lekin dono behne aise rehti thi ki jaise hum-umar ho. Kabhi kisi se koi baat nahin chupani. Seedhe taur par kahen to behan kam friend jyada thi.
• Ravi se milne ki iccha bhi poori ho jayegi aur us group se jismein ye sab jude hain kyunki Ravi ki baton ke saath saath group ki bhi baatein aksar hoti rehti thi.
Riya ki behan ne ye baat apne parents ko batayi ki wo bhi isi college mein admission lena chahti hai. Parents ne bhi koi apatti nahin jatayi balki wo to khus ho gaye ki dono behne ab saath saath college jayengi aur Riya ko bhi akelapan mehsoos nahin hoga. Doosra Riya ki behan mind se sharp aur matured jyada thi Riya ke mukable to Riya ko koi dikkat nahin hogi college mein agar uski behan uske saath rahegi to.
Agle din Riya ne ye khuskhabri Pawan ko sunayi to Pawan bahut khus ho gaya. Aakhir khus kyun nahin hota uski saali jo college mein aa rahi thi padhne. Usne sab doston ko bhi batayi ye baat to sab bahut khus huye kyunki dino-din unka group badhta ja raha tha. Lekin Ravi ne koi khaas dhyaan nahin diya kyunki wo to ab ladkiyon ne door rehne laga tha. Riya se baat kar leta tha lekin ek limit tak. Use koi interest nahin tha ladkiyon se baat karne mein. Halanki wo bhi khus tha sab ko khus dekhkar kyunki dosti hi to uski jindagi ka atoot hissa tha.
Bas isi tarah din katte gaye aur college mein first cut-off list lag gayi jisme pehli hi list mein Riya ki behan ka number aa gaya tha. Uske father ne uska bhi college mein admission kara diya aur dono behne college ke fresher day ka intezaar karne lagi ki kab college start ho aur kab Riya ki behan college mein pehla kadam rakhe. Riya ne sab doston ko sakht hidayat de rakhi thi ki koi uski behan ki ragging nahin karega aur na hi kisi ko karne dega. Sab agree bhi ho gaye is baat ke liye.
Sab dost bhi apne apne exams clear karke 2nd year mein aa gaye the jismein Jay ka bahut bada yogdaan tha. Yogdaan aisa tha ki Jay ne sabki help ki thi exams ke dino mein (Cheating mein nahin important notes banana mein) Jaise jaise din najdeek aa rahe the sab doston mein man mein khushiyan hilore maar rahi thi kyunki unhen is baar ragging karne ka avsar milne wala tha. Pichli baar sabne Mukesh ke haathon apni ragging karwayi thi lekin is baar unki baari thi ki wo sab freshers ki ragging karen. Sabse jyada excited to Ravi tha. Usne kai plan banaye the ki aise ragging karega, waise ragging karega lekin honi ko kuch aur hi manjoor tha.
Noice yeh Riya ki behen ka naam kya hai akhir kyun itna suspence bana rahe ho bata hi dete iss update me hi khair riya ki behen toh ravi ke baare me sunke uski deewani ho rahi hai toh jab woh ravi se milegi toh kya halat hogi uski
Achanak Ravi ke papa ko official tour par sehar se door jana pad gaya kuch dino ke liye aur isi beech gaon se phone aa gaya ki Ravi ke chacha ka accident ho gaya hai aur wo ICU mein bharti hain. Ab Ravi ke papa to available the nahin isliye Ravi ko hi turant nikalna pada. Uski mummy ghar par hi ruk gayi kyunki ghar par to koi rukne wala chahiye hi. Ravi ne apni car nikali aur chal pada gaon ki taraf. (Ab aap log ye kahoge ki kal tak to uske paas motorcycle ke bhi laale the to aaj car kahan se aa gayi to iska jawab ye hai ki is baat ko gujre ek saal ho gaya hai aur ab Ravi ko car, motorcycle sab bahut achhe se chalana aata hai)
Ravi ne Pawan ko bhi inform kar diya ki ab wo do-chaar din college nahin aa payega kyunki ek urgent kaam se gaon jaana pad raha hai. Pawan ne poocha bhi lekin Ravi ne nahin bataya. Ab batata bhi to kya kyunki wo Pawan ko apne saath le jaakar bewajah pareshan nahin karna chahta tha. Ravi drive karke gaon se thodi door bane ek private hospital pahunch gaya jahan uske chachaji ko admit kiya gaya tha.
Wahan jaakar use pata chala ki unka khoon bahut beh gaya hai aur unhen khoon ki sakht jarurat hai lekin hospital walon ke paas stock khatam hai. Ravi ne fauran apna khoon test karwaya to ittefaq se wo match bhi kar gaya aur do bottle khoon do din ke antral mein Ravi ki body se nikal kar uske chachaji ko chada diya gaya.
Isi beech Ravi ke papa ko pata chala is baare mein to unhone phone par sab details maangi. Ravi ne bata diya aur ye bhi bata diya ki khoon ka arrangement ho gaya hai lekin ye nahin bataya ki wo khoon apna de raha hai. Ravi ke papa bhi uski baat se satisfied ho gaye aur apne office ke kaamon par dhyaan lagane lage. Dheere dheere chachaji ki halat mein sudhar aata gaya aur do din mein wo kaafi achhe ho gaye. Aur teesre din unhen hospital se chutti de di gayi. Sabne tahe dil se Ravi ka shukriya ada kiya aur dher saare aashirwaad diye.
Ravi ne sar jhukakar sabka abhivadan kiya aur wapas chal pada chaar din ghar se hospital, hospital se ghar chakkar lagane ke baad.(Ghar par matlab apne ghar nahin gaon wala ghar ) Raaste bhar wo bahut khus tha.Aksar aisa hota hai ki jab aap koi achha kaam karte hain to dil ko bada sukun milta hai. Ek ajeeb si shanti cha jaati hai poore dilo-dimaag mein. Wohi haal is samay Ravi ka tha. Wo khus tha ki uske chachaji sahi salamat ghar par wapas aa gaye.
Idhar Riya ki behan ka college mein admission ho gaya tha aur jaisa sab doston ne faisla liya tha ki uski na to ragging karenge aur na kisi ko karne denge to sab doston ne apna wada nibhaya. Halanki uski ragging nahin huyi lekin sab doston se use aise hi nahin choda. Aur kuch nahin to usko canteen ka bill hi thama diya.
Waise sab boys ko bura lag raha tha ki ek ladki se wo bill paid karwa rahe hain lekin fir is baare mein sochna chod diya kyuni Riya ki behan ne poora bill khusi khusi paid kar diya. Riya ki behan ko sab doston se milkar bada achha laga kyunki saare dost ek se badhkar ek the lekin Ravi ko wahan na paakar wo thodi udaas bhi huyi kyunki wo sabse jyada curious to usi se milne ko lekar thi.
Drive karte karte Ravi apne sehar mein aa gaya. Wo drive kar hi raha tha ki usne dekha beech sadak par beedh lagi huyi hai. Ab is wajah se traffic jaam ho gaya tha to use bhi majbooori mein apni car rokni padi. Jab kaafi der ho gai to usne car ka engine band kiya aur chal pada jahan beedh lagi huyi thi. Wahan usne dekha ek aadmi beech sadak par behosh pada hai.
Ravi ko ye dekhkar bahut gussa aaya ki aajkal log kitne khudgarz ho gaye hain. Insaaniyat naam ki to cheez hi nahin rahi kisi ke dil mein. Ek insaan yahan beech sadak par behosh pada hai aur sab majma lagaye huye hain. Ye nahin ki isko lekar hospital jaaye yaa koi upay Karen isko hosh mein lane ka lekin nahin unhen to bas saamne wale ki takleef dekh kar maja karna hai. Aise hi log hote hain jo dusron ka ghar jala kar apni rotiyan sekte hain.
Ravi ne ek do logon se request ki to uski help ke liye school ke ladke hi aage aaye. Aadmiyon mein to jaise sharam hi mar gayi thi. Ravi ne do ladkon ki madad se us aadmi ko aur uske saman ko, jo usi ke paas ek taraf gira pada tha, apni gaadi mein dala aur turant wahan se nikal kar thode khule mein le kar aagaya. Us aadmi ke sadak se hatte hi beedh chatni shuru ho gayi thi aur jaam bhi khul gaya tha isliye jyada time nahin laga.
Ravi ne thoda park jaisi jagah gaadi roki aur us aadmi ke muh par paani ke cheente mare. Do teen baar aisa karne par us aadmi ko hosh aaya aur usne utthe hi sabse pehle apne saaman ki taraf ek najar dali aur phir Ravi ki di huyi paani ki bottle ko khali kiya. Us aadmi ko samajhte der nahin lagi ki is ladke ne uski jaan bachayi hai.
Wahan Ravi ne usne poocha ki aap kaun ho aur kaise behosh ho gaye the to unhone bataya “Main kisi jaroori kaam se gaon gaya tha. Wapas aate aate late ho gaya. Main diabetic hoon isliye hamesha dawai paas mein rakhta hoon lekin is baar galti se le jaana bhool gaya tha. Bus ka intezar kar raha tha lekin kaafi der hone par bhi bus nahin aayi aur dawai ken a hone se kamjori aa gayi aur meinkab behosh ho gaya pata hi nahin chala.
Ravi ko jab ye pata chala ki wo sugar level down hone se behosh ho gaye hain to usne kuch biscuits wagairah jo gaadi mein usne safar ke dauran khaane ke liye rakhe the us aadmi ko de diye. Pehle to us aadmi ne mana kiya lekin Ravi ke jor daalne par usne aakhir biscuits kha hi liye. Kuch meetha kha lene se us aadmi ka sugar level dheere dheere normal aane laga. Jab wo thoda swasth ho gaya to Ravi ne unse uske ghar ka pata poocha taaki wo unhen wahan tak chod sake.
Us aadmi ne kaafi mana kiya lekin Ravi nahin maana. Wo aadmi ne prashansha aur sneh ke bhaav se Ravi ki taraf dekha aur apne ghar ka pata bata diya. Ghar jyada door nahin tha isliye pahunchne mein der nahin lagi. Ghar jaakar us aadmi ko Ravi ne dop kiya aur apne ghar ke liye nikal pada kyunki uske ghar se bhi uske parents ka baar baar phone aa raha tha (Gharwalon ne mobile bhi dila diya tha use ). Us aadmi ne kai baar request kari ki beta chai wagairah to peete jao lekin Ravi ne phir kabhi kehkar baat taal di aur apne ghar ke liye nikal pada.
Us aadmi ne ghar par kadam rakha to uski ladki ne uske late aane ki wajah poochi. Us aadmi ne saari baat bata di jise sunkar us ladki ko thodi rahat mili. Lekin jab baat saaman ki aayi to wo aadmi chaunk pada kyunki us aadmi ka saara saaman to Ravi ki gaadi mein hi reh gaya tha. Us aadmi ko jyada pareshan dekhkar uski beti ne poocha to usne bataya ki beta main gaon apni jameen ka sauda karne gaya tha. Sauda ho gaya tha to uska byana mila tha 2 lac. Wo usi bag mein tha.
Wo ladki ye sunte hi bhadak gayi aur boli “Papa us ladke ne jaanbhoojhkar aisa kiya. Usne dekh liya hoga jab aap behosh the ki aapke bag mein paise hain aur mauka milte hi us bag ko lekar rafoochakkar ho gaya.”
“Nahin beti wo bahut sharif ladka hai. Galti se uski gaadi mein reh gaya hoga. Agar use le jaana hota to mujhe hosh mein kyun laata aur ghar tak kyun chodta. Wo to tabhi bag lekar bhaag jaata aur hamein pata bhi nahin chalta ki bag kaun lekar gaya hai”
“Papa aap jaante nahin hain aise ladkon ko. Ho sakta hai tab use nahin pata ho ki bag mein paise hain lekin jab aap ghar aa gaye tab usne dekha ho. Aapko andar chodne ke baad dekha nahin ki kaise jaldi jaane ki jid macha raha tha. Aapne kitni request ki thi ki ek cup chay pi kar jao lekin wo kahan ruka tha. Ek cup chay uska kitna samay le leti. Use bag lekar jaldi nikalna tha to bhaag gaya use lekar. Main to kehti hain ki aap police mein khabar kar do us ladke ko maine acche se dekh liya tha aur police ko use pakadne mein koi dikkat nahin hogi”
“Aapko takleef uthane ki jaroorat nahin hai. Main khud police station chalne ke liye tayyar hoon”
Us aadmi aur uski beti ne chaunk kar darwaze ki taraf dekha to unhen darwaze par Ravi haath mein bag liye khada huya mila. Uncle behad sharminda ho gaye aur unhen apni beti ki nasamjhi par bahut gussa aa raha tha. Lekin ab kya kar sake the kyunki Kaman se nikla teer aur mooh se nikli baat wapas to nahin aa sakti na. Ravi ne andar aate huye kaha “Uncle aap bag check kar lijiye ki sab samaan sahi salamat hai ya nahin. Sorry meri wajah se aapko takleef huyi. Ghar se baar baar phone aa rahe the to jaldbaazi mein gaadi se bag utarna hi bhool gaya tha. Sorry once again”
Ladki ne lappakkar bag le liya aur saaman nikalkar check kar liya. Usmein ek lifafe mein 500-500 ki 4 gaddiyan thi. Ye dekhkar wo ladki jhenp gayi aur sharminda ho gayi ki jis ladke wo itna galat samajh rahi thi usi ne uske pita ki help ki thi aur ab apna sab kaam chodkar sirf ye bag lautane wapas aaya hai.
Ravi ne kaha “Aapne check kar liya hai to theek hai nahin to main ab bhi police station chalne ke liye tayyar hoon”
“Mujhe maaf kar dijiye. Maine aapko galat samjha”
Ravi ne kuch nahin bola aur uncle se wida lete huye turant wahan se nikal gaya. Uncle bheegi palkon se use jaate huye dekhte rahe bas. Aur wo kar bhi kya kar sakte the.
Ravi sab bhulakar apne ghar pahuncha to use pata chala ki Pawan ghar ke kai chakkar laga chua kai Ravi ko poochne ke liye. Ravi fresh hone ke baad apne parents ko bol kar Pawan ke ghar ke liye chal diya. Gharwalon ne mana kiya ki pehle rest kar lo fir chale jaana lekin Ravi to jid ka pakka tha kahan rukta. Bas chal diya Pawan ke ghar ki taraf. Shayad iska kaaran ek ye bhi tha ki jo dukh use aaj pahuncha tha wo Pawan se baat karke kuch kam kar sake.
Jab wo wahan pahuncha to Pawan usse garamjoshi se mila. Lekin Pawan ne mehsus kiya ki Ravi kahin khoya huya tha. Usne Ravi se majak mein pooca gaon mein koi jaroori kaam pad gaya tha jo do din ki bajay tune chaar din laga diye. Yaa koi mil gayi thi.
Ravi ne use gaon se lekar us aadmi aur uski beti ke shaq karne tak ki saari baat bata di. Pawan sab sunta raha aur jaise jaise ghatnayen badal rahi thi uski chehre ke bhav bhi badalte ja rahe the. Pawan ne bhagwan ka shukar ada kiya uncle ki jaan bachne ke liye aur Ravi ki tareef ki kyunki usne ek nek kaam kiya tha. Lekin use us ladki par gussa bhi aa raha tha ki bagair soche samjhe usne Ravi ko beijjat kar diya.
Uske baad Ravi ne Pawan se poocha ki tumhari saali ne to college join kar liya hai na. Tere to maje ho gaye. Dono haathon mein laddoo hain. Riya to thi hi aur ab Diya bhi. Saali aakhir aadhi gharwali hoti hai. Bas thodi der dono isi tarah hasi majak karte rahe aur Ravi apne ghar chala gaya. Pawan se baat karke uske dil ko badi shanti mili thi.
Agle din Ravi aur Pawan dono college pahunche. Wahan unhone dekha to dono behne unhen kahin dikhai nahin de rahi thi. Pawan ne kaha “Shayad abhi wo dono nahin aayi. Bas aate hi honge.”
Iske thodi der baad hi Riya aur Diya dono college mein aa gayi. Ravi wahin park mein baitha tha aur Pawan unse milne pahunch gaya. Aate hi dono Pawan se mili aur Pawan ne jab bataya ki Ravi aa chuka hai to dono ne usse milne ki ichha jaahir ki. Pawan un dono ko park mein le aaya (Ab aap log ye kahenge ki saara din bahar hi rehte hain, kabhi park mein, kabhi canteen mein to class kab attend karte hain to iska jawab ye hai ki uske liye Jay hai na. Wo sabke liye notes bana deta hai )
Idhar Sourav kidnapping ka plan bana raha tha to udhar uski har gatividhi par ek aadmi najar rakhe huye tha. Wo aadmi pal pal ki khabar Sinha ko de raha tha. Sihna to pata tha ki ye ladka bevkuf hai aur ye kaam iske bas ki baat nahin hai lekin iski majboori dekhte huye Sinha ne ye kaam ise saunp diya tha lekin saath hi ek aadmi ko ispar najar rakhne ke liye bhi tainat kar diya tha jo mauka dekhkar bigde khel ko sambhal sakta tha aur agar jarurat pade to Sourav ko bhi khatam kar sakta tha.
Usne haalaat ki jaankari Sinha ko di to Sinha ne turant sab action use apne haath mein lene ko kaha. Sinha ko pata tha ki wo jaroor koi na koi gadbad kar dega au raise najuk mauke ko wo itni dheel nahin de sakta tha. Idhar us aadmi yaa yun yun kahiye us tej tarrar ladke ne intezar karma theek samjha taaki jab wo ladkiyan akeli ho Sourav ke saath to wo unka kidnap kar sake. Use Sourav ke upar bhi najar rakh rakhi thi ki kahin wo kuch gadbad na kar de.
Idhar Jawed Jay ko bata raha tha ki kaise ek accident mein uske ammi-abbu mare gaye aur unke upar musibaton ka pahad toot pada. Uski padhai choot gayi, hospital mein ilaaj ke liya paise na rahe ulta karz ho gaya lekin wo apne ammi-abbu ko bacha na saka. Maa-baap ke marte hi sab rishtedaron ne muh mod liya. Sahi kehte hain ki jab tak aapke paas paisa hai aapke dost aur rishtedar bane rahenge lekin jahan paisa khatam wahan dosti, pyaar, rishtedari koi mayne nahin rakhti.
Jawed ke ghar par karzdaron ki line lagne lag gayi, uske paas ka saara saaman bik gaya, ghar girwi chala gaya, raaton ko aksar bhookha hi sona padta tha, sardi mein bina kambal ke thiturte huye raat bitana kaisa lagta hai ye wohi bata sakta hai jo in halation se gujra ho. Khana kabhi mila to kabhi nahin mila, rukhi sukhi jaisi mili kha li. Logon ki galiyan sunna, maar khana uska nitya karma ban gaya tha. Kismat ne bhi kya khel khela tha uske saath. Jo ladka kal tak sab ki help ke liye hamesha tayyar rehta tha aaj usko koi poochne wala bhi nahin tha.
Jay ki aankhon se aansu beh rahe the. Usne Jawed ko kaha “To tumne mujhe kyun nahin bataya bhai. Kya mujh par bharosa nahin tha. Kya tumhe lagta tha ki auro ki tarah mein bhi tumse muh pher loonga.”
Jawed: “Yaar kaisi baat kar raha hai. Tum par to mujhe apne aap se bhi jyada bharosa hai. Lekin, bura mat manna, tumhare ghar ki haalat bhi bahut achhi nahin thi aur main nahin chahta tha ki meri wajah se tum par atirikta bojh pade. Doosra main muslim hoon to samaj kya kehta. Milna julna to theek tha lekin ek saath ek hi ghar mein rehna kya sahi tha”
Jay: “Aisa bolkar to aapne mujhe paraya bana diya. Bas itna hi bharosa tha aapko mujh par. Kya main is layak bhi nahin ki aapke ghamon mein aapka saath de sakta. Shayad is layak nahin hun tabhi to pehle mera pyaar mujhe chod kar chala gaya aur ab ek dost jo bhai se bhi badhkar thaw o bhi aisi baatein kar raha hai”
Jawed: “Nahin bhai aisa to main soch bhi nahin sakta. Lekin dheere dheere sab theek ho gaya. Ek Din Achanak jab main bhookha pyaasa kaam ki talash mein bhatak raha tha aur har jagah se dutkaar aur maar kha raha tha to Mr. Sikander Sinha se meri mulakat huyi. Shehar ke chand rahison mein se ek hain wo. Shayad tujhe pata ho ya na ho lekin wohi Sonali ke sasur bhi hain”
Jay: “Haan mujhe pata hai. Main Sinha ke ghar gaya tha aur Sonali se mulakat bhi kit hi maine. Bahut dukh jhel rahi hai wo” Aur itna kehte kehte Jay ka man udas ho gaya.
Jawed: “Sinha sahib ne mujhe sahara diya. Mera saara karz chuka diya. Apne paas kaam diya. Logon ke liye wo kuch bhi mayne rakhte hon lekin mere liye bhagwan se kam nahin hain. Aaj mere paas jo kuch bhi hai sab unki badaulat hai. Lekin is baar main dharm sankat mein hoon”
Jay: “Kyun kya hua?”
Iske baad Jawed ne Sinha dwara ladkiyon ki jasoosi se lekar unka apaharan kiye jaane ki koshish tak ki saari baatein Jay ko bata di. Jay ka khoon khaul utha Sinha ki aisi harkat dekhkar lekin kahin Jawed ko bura na lage isliya usne apne expressions ko jaahir nahin hone diya. Iske baad dono kaafi der tak baatein karte rahe aur dono ne milkar faisla liya ki Sinha ko kidnapping mein kamyaab nahin hone denge lekin use koi aanch bhi nahin aani chahiye ye Jawed ki request thi. Dono ne sab doston ke saath milkar iska raasta nikalne ki sochi aur sabke paas chal diye.
Yahan Raj ko bhi apne pita par shak hone laga tha kyunki roz naye naye ladkon ka jo shakal se gunde type ke lagte the uske ghar uske baap se milne aane lage the. Pehle to Raj ne koi khaas dhyaan nahin diya lekin jab ye jyada ho gaya to uska matha thanka. Usne in ladkon ke aane ka kaaran jaanne pata lagane ki sochi.
Usne ek din chupkar unki baatein sunne ki koshish ki. Baatein sunkar use pata laga ki uska baap jurm ke daldal mein kitna dhansa huya hai. Use apne baap se nafrat hone lagi. Sach kehte hain pyaar insaan ko badal deta hai. Kal tak jo Raj jurm karne se hichakta nahin tha use aaj isse ghin aane lagi thi. Aisa nahin hai ki wo jurm karta tha lekin baap ke paison ki akad, uska rehan sehan, uski parvarish in sab ki jimmedar thi.
Usne ye saari baatein Sonali ko batayi jise sunkar wo shocked ho gayi. Wo dar gayi ki ab kya Karen. Kaise wo dono in haalaton ka saamna kare. Jab tak use pata nahin tha to koi dikkat nahin thi lekin ab wo kaise unka saamna karegi. Shayad Raj bhi yahi sab soch raha tha lekin use pata tha ki uska baap is kadar jurm ki duniya mein ghus chuka hai ki jarurat padne par wo apne bete ka bhi khoon karne se nahin hichkega. Lekin use kuch na kuch to karna hi padega. Aur iska raasta bhi usne dhoond liya tha jise bas amal mein laana tha.
Lekin wo karega kya? Kya Sinha ko sab dost rok payenge? Kya Sourav kidnap kar payega?
Waah kya update diya hai bhai maine toh socha tha pure update padhane ke baad reply kar duga lekin iss update ne rok liya kya darshaya hai ne dosti ko maza aa gaya padh aur jo baat boli hai hindu muslim ki woh toh bahot hi jabarjast hai waiting next
Jab Jawed aur Jay baaki doston ke paas gaye aur Jay ne sabse Jawed ka introduction karwaya to sab chaunk gaye khaskar Ravi aur Pawan kyunki jo image unhone Jay ki kahani sunne ke baad Jawed ki banayi thi wo bilkul usse viprit lag raha tha. Aksar aisa hota hai jab insaan sochta kuch hai aur hota kuch hai. Aakhir sab kuch to hamare haathon mein nahin hota. Kabhi kabhi haalat aur majboori humein wo sab karne par majboor kar dete hain jise hum karne ki kabhi sapne mein bhi nahin soch sakte.
Iske baad Jawed ne sabko Sikander ki mansha (Ichha) batayi aur uske kaale dhandhon ke bare mein bhi bataya. Sab but bane Jawed ko sun rahe the. Kisi ko bhi apne kaanon par vishwaas hi nahin ho raha tha. Shehar ka itna bada aur ijjatdar aadmi aisi ghinoni harkat kar sakta hai kisi ko yakeen nahin ho raha tha. Lekin ye sab sach tha aur sach ko jhutlaya nahin ja sakta. Saare dost chinta mein pad gaye ki kya kiya jaye. Police mein complaint karne se bhi kuch nahin hoga kyunki Sikander ki pahunch upar tak hai. Uske ek ishare par use chuda liya jayega aur wo phir sab ko khatam kar dega.
Sidhe sidhe bhi wo usse takkar nahin le sakte the kyunki na uske paas taakat thi aur na paisa jiske balboote par wo kuch kar sake. Lekin Riya aur Diya ko to bachana hi tha. Aakhir dono ladkiyon ko kaise wo sab dost ek vahsi darinde ke haath saunp sakte the. Khaskar Pawan ki aankhon se to angaare baras rahe the aur ho bhi kyun na aakhir uski Riya ka jo sawaal tha. Jab kabhi bhi kisi ke pyaar par aisi musibat aati hai to koi bhi sachaa pyaar karne wala marne-maarne se peeche nahin hatta.
Jawed ne aage bataya ki ek bengali ladke ko Sikander ne bheja hai in ladkiyon ko kidnap karne ke liye. Waise to wo bahut bewkuf hai aur asani se kisi ki bhi chikni chupdi baaton mein aa jaata hai lekin taakat bahut hai usme aur akele hi 5-6 par bhari pad sakta hai. Jitni uska dimaag kamjor hai utna hi uska sharer majboot. Isliye Sikander ne use apne giroh mein shaamil kar rakha hai. Skander ke ek ishare par wo pata nahin kitne logon ki haddiyan tod chukka hai. Agar kisi tarah hum use apne saath shaamil kar le to aage ke liye bahut asaani ho jayegi. Jawed ki baat sunne par Riya ne kaha ki wo ye kaam us par chod de. Us ladke ko main kisi bhi tarah se mana hi lungi.
To aakhir sabne ek khatarnak khel khelne ki sochi. Halanki isme kaafi risk tha lekin ladkiyon ko bachana hai to unhen ye khatra mol lena hi padega. Sabne plan banaya ki Riya aur Diya us ladke ke saath (Jo ab un logon ke saath shaamil hoga) Sikander ke paas chali jaaye aur wahan baaki dost inka peecha karke kahan le jaaya ja raha hai ye pata lagaye. Phir sabne aapas mein aage ke plan ko discuss kiya aur sabne haath milakar is plan par apni sehmati jatayi.
Lekin Diya kaafi dari huyi thi. Usne poocha ki agar wo ladka nahin maana to. Itne mein Sanju ne kaha “To kya hua, jaise ki Jawed ne bataya hai ki wo ladka bewkuf hai, use bewkuf bana kar wahan se bhaga denge. Tum chinta mat karo.”
Sanju ki baat sunkar Jawed ne kaha “Nahin aisi galti mat karna. Tumhe kya lagta hai ki Sikander itna bewkuf hai ki aise ladke ko kidnap karne ke liye bhejega. Us ladke ke upar Sikander ka sabse bharose wala aadmi najar rakhe huye hai. Agar Sourav kidnap karne mein kamyaab na huya yaa koi bhi gadbad huyi to wo aage kaam sabhalega. Wo bahut khatarnak aadmi hai aur kuch bhi kar gujarne se hichakta nahin”
Ye sab sunkar saare doston ke maathe par chinta ki laakeeren cha gayi aur sabne ek aasha ke saath Riya ki taraf dekha. Riya ne unhen bharosa dilaya ki wo apni taraf se poori koshish karergi. Iske baad ahanak Sanju ke man mein khyaal aaya ki Jawed to jurm ki duniya se juda hai to ho sakta hai ki usne us bracelet ko kahin dekha ho. Aur usne wo bracelet Jawed ko dikhaya aur usse poocha “Aapne ise kahin dekha hai.”
Jawed ne thod der bracelet ko gaur se dekha aur phir jawab diya “Haan dekha hai. Aisa hi ek bracelet maine us ladke ke paas dekha hai jo us Bengali ladke par najar rakhe huye hai”. Ye sunkar sab chaunk gaye aur sanju ke gusse mein haathon ki mutthiyan kas gayi. Aakhir jis insaan ko itne samay se wo dhoondh raha tha aaj wo uske kaafi najdik tha. Lekin sab jaankar bhi wo kuch nahin kar sakta tha. Usne Jawed ko uska naam batane ko kaha to unhone bataya uska naam Ram hai.
Sab sochne lage ki naam Maryada Purshottam Shri Ram ke upar rakha hai aur kaam Raavan se bhi gaya gujra hai. Aise log dharti par bhoj hote hain. Sab doston ne iske baad plan ko amal mein lane ki tayyari shuru kar di kyunki unke paas jyada samay nahin tha. College bhi khatam hone ko tha. Sab dost alag alag bhagon mein bat gaye aur Diya aur Riya dono college ke gate ki taraf chal diye jahan Sourav apni cycle liye dono ladkiyon ka intezar kar raha tha.

Woow maza aa gaya padh ke riya ka self confidence bahot acha hai an dekho kaise manati hai riya souravh ko aur yeh sanju ko akhirkar woh mill gaya jiski usse itne dino se talash thi ab dekhana yeh hai ki yeh wahi hai ya aise hi braclet aur bhi koi pahenta hai diya ka darna bhi swbhavik hai choti hai na woh usko bhi bahot ache se darshaya hai aal ne aap ki lekhani kabile tarif hai
Waiting next aaj ek aur mill jata toh maza aa jata
Jawed ke sath bahut bura hua jisne use bura banne ya bura kaam karne par majboor kar diya
Par uska dil to vahi hai jo use apne dost ka bura karne se pehle hi sab bata diya
Sanju ko bhi uss bracelet ke owner ke bare me pata chal gaya
Ab pata nhi ye Ram kon hai jisne Ravan wale kaam kiye
Sabhi dosto ne plan to bana liya hai ab dekhna ye hai ki kiska plan kamyaab hota hai
Raj ko bhi apne baap ke kukarmo ke bare me pata chal gaya hai
Ab shayad vo Jay & friends ki madad kare
Superbly written
Keep posting
Waiting for next update
Kya bat hai samay ke sath doston ki toli badhti ja rahi hai ab jawed ne sabko sikandar ke bare main bataya to sabka Vishwas bhi mushkil se hua itna achha rahne wala sakhs yesa ho sakta hain is update main ye bat bhi samajh aa gayi ki sikandar ne sagar ko apne yahan kyo rakha aur bhai sanju ko mauke ki nazakat ko dekhte huye dheeraj banaye rakhna chahiye ye jankar achha laga ki riya is situation se dari nahin balki uska samna karne ke liye khud ko taiyar kiya aur ye dekhna dilchasp rahega riya sourav ko kese apni logo ki madad ke liye razi karti hai