mashish
BHARAT
- 8,032
- 25,933
- 218
superb updateUpdate 41
Apni chori pakdi gayi hai ye komal ke dhyan me aa gaya aur wo gardan jhuka kar kuch na bolte huye khadi rahi itne me uski maa aayi aur boli
Sangeeta-abhi ko tumhe ghar chhod kar gaya hai wo ladka kaun tha??..
Komal kuch nahi boli to uske pitaji ne use dobara shanti se pucha par awaj ka tone wahi tha
Sayajirao- suna nahi tumhari maa kya puch rahi hai?
Komal apni sari himmat jama karke boli
Komal-aniket..
Sayajirao-pura naam?
Komal-aniket narayanrao rane
Sayajirao kuch der tak kuch sochne lage, shayad kuch yaad kar rahe the fir bole
Sayajirao-ye wahi hai na, tumhare college ke trustee ka ladka
Komal ne gardan hila kar ha kaha
Sayajirao-tumhara usse kya sambandh ?
Ab komal ke saamne sawal aa gaya tha ki sirf dost hai bol ke baat taal de par agle hi pal dimag me khayal aaya ke aaj na kal ye baat batani hi hhai fir aaj kyu nahi? Par pata nahi kyu wo bol baithi
Komal-dost hai..
Sayajirao-bulao use
Komal ko kuch samajh me nahi aaya
Komal-theek hai bula lungi
Sayajirao-bula lungi nahi abhi bulao
Komal ab darr se tharthar kamp rahi thi aurt kampte hatho se usne aniket ko call lagaya, idhar kya hua hai aniket is baat se bekhabar tha,wo to komal ki khubsurti me hi khoya hua tha wo phone uthate hi bola
Aniket-yes my love, bolo
Komal-aniket tum abhi ke abhi mere ghar aao
Aniket-kyu mere saas sasur baahar gaye hai kya
Aniket apne hi mood me tha
Komal-nahi wo dono yahi hai aur papa ne tumhe ghar par aane ko kaha hai
Aniket-aailasasur ji ne bulaya hai, badhiya, waise bhi main khud unse milne ka soch raha tha..
Komal-aniket baat serious hai jaldi aao
Aniket-don’t worry kau main abhi aaya
Aur aniket se gadi ghuma li aur khud se bola
Aniket-sala baap aur ladki ne ek hi din jhatke dene ka plan banaya hai pehle beti se roop se ghayal kiya ab baap kya karega pata nahi
Aniket se jhat se avinash ko phone lagaya
Aniket-avi main komal ke ghar jar aha hu, uske papa ne bulaya hai tub hi pahuch waha
Avinash-mereko bhi bulaya hai kya
Aniket-hao sab ko bulaya hai meri barat nikalne wali hai, tub hi kamal ki baat karta hai men..
Avinash-fir kyu bulaya hai?
Aniket-abey meko kya malum aura b CID banna band karega, bataya utna kar sawal mat kar aur waha pahuch ke baahar hi rukiyo, komal ka baap pailwaan hai unki beti se lafda yahi shamshan me apne naam ki adhi lakdiya, hath pair tod ke baahar feka to hospital leke jane waha koi hona chahiye na aur aaj tak apna anubhav hai pyaar ke mamle me meri hamesha dhulayi huyi hai wo yash ka matter ho ya suman ka
Avinash-ye bhi hai be, par ek acha hua, is baar maar khane me alag nahi lagega teri net practice huyi hai pehle hi
Aniket-ab baate baad me kar aur jaldi pahuch, main bhi pahuch raha hu
Idhar komal full tension me thi ke ab kya hoga? Ek pal ko lagta ne darr ke mare aniket nahi aaya to? Par usne wo khayal nikal diya, aniket darne walo ne se nahi tha aur wo aayega iska komal ko pura yakin tha aur itne me aniket aaya aur komal ki dhadkane aur badh gayi
Aniket ke aate huye sayajirao ki firing shuru ho gayi
Sayajirao-naam kya hai tera?
Aniket-aniket
Sayajirao-baap ne pura naam nahi sikhaya kya?
Sayajirao ke baat karne ke tarike se aniket samajh gaya tha ke mamla serious hai
Aniket-aniket narayanrao rane
Sayajirao-college ke trustee ka beta hai na tu?
Aniket ne bas ha me gardan hilayi
Sayajirao-tum dono kaha gaye the?
Aniket-tekdi wale Krishna mandir me
Sayajirao-waha kya kaam tha?
Aniket situation normal karne ke liye bola
Aniket-mandir me kyu jayenge kaka, bhagwan ke darshan karne gaye the
Sayajirao gusse ne aniket ki tarav dekh rahe the
Sayajirao-abhi aate waqt darwaje par ka nameplate nahi dekha kya? Pailwan sayajirao patil bolte hai mujhe, sidhe sidhe jawab de nahi to aaya chalk e hai jayega rengte huye
Aniket ne ha me gardar hilayi
Sayajirao-college me yahi sab karne jate ho kya? Yahi sab sikhaya hai maa baap ne? mujhe ache se pata hai amiro ke baccho ke lakshan, bholi bhali ladkiyo ko apne piche lagana, timepaas karna par dhyan me rakhna ye meri beti hai aur aainda iske aaspaas bhi dikha to….
Itna bol ke sayaji rao apne shirt ki bahi uper kar rahe the aur mucho ko taav diya, ab aniket ko bhi thoda gussa aa gaya tha, kyuki use kuch bhi bolo kitni bhi galiya do wo she lega par uske maa baap ko bola hua use sehan nahi hota tha usne man me kuch nishchay kiya aur bola
Aniket-iske aaspaas dikha to kya?
Sayajirao ne ek sansanit thappad aniket ko jad diya aur aniket sidha jamin par gira, komal ki himmat nahi ho rahi thi ek bhi shabd bolne ki, wo gardan jhuka kar ro rahi thi, aur aniket samajh gaya tha ke buddhe ne pailwani jarur chhodi hai par ab bhi hath me bahut jaan hai aur agar ye case hath ke baahar nikal gaya to aaj ek bhi haddi nahi bachegi, wo waise hi pade pade bola
Aniket-maaf karna kaka par aap samajhte ho main waisa nahi hu, yakin na ho to komal ko puch lo
Ab sayajirao komal ki taraf mude
Sayajirao-komal sach sach batana tum sirf dost ho ya kuch aur..aur khabardar agar jhuth bola to
Ab komal ki bari thi, usne man hi man socha ki yahi sahi samay hai, ab nahi bol payi to kabhi nahi bol payegi, usne decide kar liya tha kea b piche nahi hatna hai
Komal-papa hum pyaar karte hai ek dusre se
Sayajirao ne kabhi ladka aur ladki me bhedbhav nahi kiya tha aur aaj bhi nahi kiya ek thappad komal ko bhi laga
Sayajirao-sharam nahi aati baap ke saamne aise baat karte huye
Komal-maaf karna papa par jo sach hai wo yahi hai, hum dono ek dusre se bahut pyaar karte hai
Idhar aniket ko bilkul pasand nahi aaya tha komal ko mara hua
Aniket-kaka job hi jitna bhi maarna hai meko maro par komal ko saja mat do
Sayajirao-ab tu mujhe batayega ki main meri beti se kaise baat karu
Pata nahi kyu par aniket ko is situation me bhi hasi aa gayi aur use hasta dekh sayajirao aur bhadak gaye
Sayajirao-thappad bhul gaya kya jo has raha hai
Aniket ka darr ab nikal gaya tha aur ab jo bhi hoga uske liye wo tayar tha aniket aage bola
Aniket-kal tak wo aapki beti thi, aaj meri jivansathi hai, shadi to main usse hi karunga aapki majri se ya aapki marji ke bagair, ab bhale hi aap mere hath pair tod doya kanyadaan ke liye maan jao
Aniket seena chauda karke sayajirao ke saamne khada tha aur chehre par gajab ka confidence tha darr ka kahi namonishan bhi nahi tha
Sayajirao-abhi ke abhi tere baap ko phone kar
Aniket ne phone lagaya aur uske kuch bolne se pehle hi sayajirao ne phone le liya..aur bole
Sayajirao-main sayajirao patil bol raha hu aur apna ladka jinda chahiye to agle adhe ghante me yaha aao, nahi aaya to tere bete ki body raat ta pahucha dunga
Narayanrao bhi aisi baat sunkar khawal gaye
Narayanrao-aye sayaji…mere bete ke baal ko bhi dhakka laga to khade khade chir dunga..aa raha hu main….
To Be Continued…..
