parkas
Well-Known Member
- 28,169
- 62,324
- 303
Bahut hi shaandar update diya hai VAJRADHIKARI bhai....Update 100
Raj :- he shaitan ki mahan shaktiyon me raj mahan shaitan ka warish aap sabka aavhan kata hoon aap sabhi mujhe apne malik swaroop swikare aur shaitan ki sari tamsik shaktiya mere dware punah shaitan me sama jaye isi uddeshy se me aap sabko khush karne ke liye me aapko is dharti ke sabhi manusjhyon ke pranon ki bali aapko bhet swaroop deta hu krupaya unka swikaar kare
Raj ke itna kahte hi woh golden portal aur bhi tez roshni ke saath gol gol ghumne laga aur jaise jaise woh ghum raha tha use dekhkar lagta ki woh sabhi mare logon ki aatmaon ko apne andar sama raha ho aur jaise jaise aatma uske andar sama rahe the
Waise waise hi woh portal bhi tezi se ghumne laga tha toh wahi dusri taraf kuch der pahle delhi ke jail ke ek kamre me is waqt ek kaidi ki tarah baitha bhika jo viraj ke kisi ishare ka intezar kar raha tha ki tabhi use koi powerful aura sense hone laga jo usse bahut door tha
lekin phir bhi bhika ke raungte khada karne ke liye kafi tha aur abhi woh is aure ki gutthi me uljha hua tha ki tabhi uske bagal me kaid kaidi aur unki paharedari karte hawaldaar apne aap jamin par gir gaye jo dekhkar bhika turant unke taraf badhne laga tha ki
tabhi woh log khade hone lage lekin jab woh khade hue tab woh koi insaan nahi balki vampire ban gaye the jo ab bhika ke taraf badhne lage the woh apne malik ke aadesh anusaar jo bhi koi vampire nahi bane hai un sabko bhi unhe vampire banana tha
Isiliye woh bhika ko bhi apne tarah banane ke hetu uske taraf badh rahe the lekin unhe nahi pata tha ki unhone kisse panga liya hai isse pahle ki woh bhika ke uper humla karte usse pahle hi bhika ne un sabko apni mayavi shaktiyon me bandh diya
Bhika :- (man me) ye sab ho kya raha hai
Abhi bhika sab ke baare me soch raha tha ki tabhi use apne piche se ek aawaz sunayi dene lagi thi
Aawaj :- ye sab bali prakriya ke bakre hai bhika jinka istemaal kiya ja raha hai apne maksad par pahunchne ke liye
Bhika :- (piche mudkar) Divyamani tum yaha itne din kaha thi tum tumhe pata bhi hai ya kya kya ho raha hai
D. M :- mujhe sab pata hai bhika lekin tumhe nahi pata
Bhika :- ha tumne kaha ki ye bali prakriya koi kar raha hai toh kya viraj
D. M :- viraj mar gaya hai khud shaitaan ne viraj ko aur uske pariwaar ko maar diya hai
Bhika :- lekin shaitaan aur viraj ek hi toh hai toh aise kaise ho sakta hai
D. M :- maine kaha tha na bhika ki tumhe kuch nhi pata
Bhuka :- toh batao mujhe is sab ko kaise roke
D. M :- ye sab samajhne ke liye tumhe sab pahle se janna hoga
*FLASHBACK*
Salon pahle jab pancho gods ne milke shaitan ko harakar kaid kar diya tha tab unhe pata tha ki kabhi na kabhi shaitan aazad hoga aur phir se tabahi machane lagega isiliye unhone shaitan ki 10% shaktiyon ko mere andar daal ke uski aatma ko bhi divyamani ke saath bandh diya tha aur mani ko ye aadesh diya tha ki woh kabhi bhi shaitaan ko jagne na de
Aur ye kaam use bina shaitan ki nazar me aaye karna jiske liye divyamani ne kai salon tak shaitan ko rokte hue kai dhaarakon ko chuna jinke sharir shaitan ki aatma ke liye host ka kaam kare lekin is sab ke bich divyamani khud hi un hosts ko andar hi andar se maar bhi rahi thi
Jisse shaitan ka dusht plan kabhi sach na ho sake aur sab divyamani ke anusaar hi ja raha tha lekin fir aaya woh din jab ek bachhe ne is duniya me saans li jiske paida hote hi shaitan ne use apne uttaradhikari ke roop me chun liya aur wahi se divyamani ki pareshaaniyon ka aarambh hua tha
woh kabhi bhi ek bache ko nahi maar sakti thi aur na hi woh shaitan ko rok sakti thi toh wahi kaid hote hue bhi shaitan ne apne dushkarm nahi chhode usne us bachhe ko kabil banane ke liye sabse pehle us bachhe ke maa baap ko maar diya aur us bachhe ko aise logon tak le gaya jaha us bachhe ko is duniya ki ek buri aur dardnaak sachhai pata chali
Jisne us masoom bachhe ko kuch hi varshon me ek kroor aur shatir khooni bana diya tha use ek aam aadmi se pure underworld ka boss BLACK DEVIL (RAJ) bana diya tha jiske baad raj waisa hi karne laga jaise shaitan uske dimag me use batata aur dekhte hi dekhte woh din bhi aa gaya
Jis din us bachhe ka yani raj ka ant hona tha aur raj ke ant ke samay bhi shaitan ne use itni pida di ki raj ke andar ki sari achhayi, prem bhavna, daya, karuna sabka ant ho gya aur phir jaise hi usne apne pran chhode aur uske rakt waise hi shaitan ne uski aatma ko apne andar samakar divyamani se ek aise sharir ki khoj karne ke liye kaha jo shaitan ki shaktiyon ko sambhal sake
jisse divyamani ke andar ek ummid ne janam liya aur usne ek aisa sharir dhundha jiske andar achayi aur sachaai bhari hui ho aur aise me use mila ek ladke ka sharir us ladke ka sharir kamjor tha lekin man majboot tha usme achayi daya aur prem ki bhavna saaf saaf dekhi ja sakti thi aur isiliye usne raj ki aatma ko us ladke ke sharir me daal diya
Aur us ladke ka naam tha VIRAJ aur jab raj ki aatma viraj ke sharir me sama rahi thi tabhi divyamani ne chalaki se viraj ki aatma ko bhi usi sharir me kaid kar diya aur ahi woh samay tha jab shaitan ko divyamani ke uper shaq hone laga tha lekin ab woh bhi nahi kar sakta tha jiske baad shaitan ne apni shaktiyaan aur bal ko ek karne ke liye kuch samay ke liye sab kuch divyamani ke hathon chod kar khud antardhyan ho gaya aur divyamani ko bhi yahi ek mauka sahi laga
Aur woh raj ko waise hi istemaal karne lagi jaise woh chahti thi woh raj ki aatma ko pariwaar ka prem, maa ki mamta, dushton ke ant ki bhavna isi sab ke taraf le ja rahi thi jisme uske saath jinn yaskin bhi dene laga lekin divyamani ka control tab dagmagane laga jab satpal ne viraj ke anupasthiti me uske pariwaar par humla kar diya tab viraj, raj aur shaitan kuch pal ke liye ek ho gaye the
jiske baad se raj dheere dheere satpal ki tabahi ka intezaam karne laga lekin phir ek din jab yaskin ko shaitan ka sach pata chala aur usne shaitan ko rokne ke liye divyamani ko maarne ka irada kiya to divyamani ko bhi ye sahi mauka laga ki woh is yuddh ke jariye raj aur viraj ke saath shaitan ko bhi khatam kar degi
Lekin jab divyamani aur yaskin ke bich yuddh ho raha tha (update 40&41) tab shaitan jo antardhyan me tha woh punah jaag gaya Kahi na kahi woh is plan ko samajh gaya tha isiliye usne woh yuddh rokne ke baad black devil yani raj ke saathi bhika ke andar yaskin ki aatma ko aadhi shakti ke saath daal diya (update 46)
aur itna hi nahi balki shaitan ne aage ka plan karte hue apne aur bhi gulamo ko vampire ke roop me dharti par bula liya (update 46) aur jab woh ye sab kar raha tha usi waqt shaitan ki taakat kam ho gayi thi jiske chalte shaitan ki consciousness par viraj havi ho gaya
Aur ye dekhkar divyamani ko ek aur idea aaya lekin philhaal ke liye usne shaitan ka hi saath dene ka naatak kiya lekin tabhi shaitan ne kuch aisa kiya jiska andaja divyamani ko bhi nahi tha usne viraj ki aatma ke saath ek sauda kiya (update 47) jiske chalte ab viraj ke sharir par shaitan ka hi raj tha
Aur jaise hi shaitan ne viraj ke sharir par puri tarah se kabza pa liya tab use ek ajib aura mahsoos hua jo mahsoos karke shaitan ke chehre par bhi muskaan aa gayi aur woh jab us aura ke malik se mila to use pata chala ye koi aur nahi balki kewal ek black orcs king hai
Jo bahut salon pahle apne rajya se bhaag gaya tha jo abhi sanyog se hi darti lok par usi satpal ka jija ban baitha tha jisse badla lene ke liye hi viraj ne usse sauda kiya tha jiske baad hona Kya tha shaitan ke shaitani khel me woh bhi shaamil ho gaya
Jiske baad usne satpaal aur sunil ke sang unke pure pariwaar ko bhi apne vampire gulamon me shamil kar liya toh wahi is sab ke saath hi shaitan ne bahut pahle se hi apne plan ki niv rakh di thi santosh se business karke jisme woh mayavi kabile aur jungle se mile jadibutiyon se woh medicines and cosmetics banakar bechna shuru kiya tha
Jo sabhi manushyon ke saath khud viraj ko bhi ek normal business plan laga tha lekin iske piche shaitan ki khas planning ki hui thijo woh aage istemaal karne wala tha ab tak sab shaitan ke hi hisaab se chalu tha lekin ek din aaya jisne shaitan ko bhi asamanjas me daal diya tha (update 57)
Jab durjan ko maarne ke liye shaitan apni taakatin ko jagrut kar raha tha tabhi divyamani ne bhi uspar sharir ke andar se hi humla kar diya jisse ab shaitan ke pass do hi raste the ladho ya maro jisme usne obviously ladhna chuna lekin yahi divyamani bhi chahti thi
Jaise hi shaitan ne usse ladhne ke liye antarman me aaya waise hi divyamani ne viraj ki consciousness ko sharir saump diya aur uske itna karte hi shaitan ke sare shaq yakin me badal gaye the aur usne phir mukabla karna aarambh kar diya lekin abhi uske pass kewal apni 10% power thi jiska fayda divyamani achhe se utha rahi thi
lekin woh bhi jyada der tak apne aap ko samhal nahi pati aur shaitan ke saamne usne apne ghutne tek diye lekin haarte haarte bhi usne itna kaam kar diya ki ab shaitan viraj ke sharir par kabu nahi kar paye lekin kahte hai na bura samay chalu ho toh unt par baithe aadmi ko bhi kutta kaat hi leta hai
Aisa hi kuch divyamani ke saath hua shaitan ne use kaid kar ke rakha tha jisse na woh apni shaktiyaan istemaal kar sakti thi na Kisi se sampark kar sakti thi aur na hi woh hil pa rahi thi aur phir shaitan ne kai baar viraj ke sharir par kabu karna chaha
Lekin woh kamyab nahi ho saka aur tabhi woh samay aaya jab kritika ke gundon ne viraj ko pakad liya aur use maarne ka plan karne lage jis karan viraj ne khudko bachaane ke liye jane anjane me divyamani dwaara lagayi huyi seal tod di aur usi ke saath shaitan ne turant uske sharir par kabu pa liya (update 68 & 69)
jiske baad badi hi chalaaki se shaitan ne viraj ko apne shabdon me uljha kar use ye yakin dila diya ki bina uske viraj kuch nahi kar sakta aur ab vira raj (shaitan) ek ho gaye the jo dekhkar divyamani aur chintit ho gayi thi toh wahi dusri taraf shaitan ne apne final plan ke taraf badhna shuru kiya
Jispar woh viraj ke sharir pane se leke ab tak plan karte aa raha tha chahe woh ayurvedic mayavi aushadhi ho ya satpal ko apna gulaam banana ya mamta ko cafe khol ke dena sab kuch shaitan ke isi plan ka hissa tha lekin is plan ke liye use ek chiz ki zarurat thi aur woh the contact
Bhale hi shaitan sabse taakatwar ho lekin apne plan ke liye use kuch aise contact chahiye the pure desh bhar me ho aur uske kismat aise log khud uske pass chalte aaye sabse pahle aaya woh tha raka jo pure desh bhar me drugs ka business karta hai jise bhika ne pahle hi maar diya tha aur uske sabhi aadamiyon ko apne taraf kar liya jisse pure drug ka business bhi uske under aa gaya
Toh wahi dusra tha khud kritika uska brand jo viraj ke tarah hi cosmetics ka tha aur pure desh me famous bhi tha isiliye shaitan ne ab satpal ki tarah hi kritika ko bhi uska gulam banane ke baare me sochne laga lekin kritika ke sucide karne se viraj uska plan dagmaya jaroor
Lekin usne turant dusra plan banakar kritika ke pati ko fasakar sari property indirectly apne naam kara di jiske baad jab kritika ke brand ki demand badhne lagi toh usne waha apne products ko bechna shuru kiya lekin ab ek twist tha (update 77) usne Jay (mayavi kabile ka leader) ko ek chemical diya tha
jo khud shaitan ke khoon se hi bana tha aur yahi chemical usne sneha ko bhi diya tha (mamta ki dost aur viraj ki gulam) jisne us chemical ko khane me milakar sabko khilane lagi jisse sablog dhere us khane ke aadi ho gaye the aur aisa hi usne kuch drugs ke saath bhi kiya
Aur drugs ki demand ko pura karne ke liye usne corrupt police officers ke saath karna chaha lekin isme bhi ek adchan thi aur woh tha bhika shaitan jaanta tha ki woh uske raste me aa sakta hai isiliye shaitan ne pahle hi kuch magical bomb blast shahar ke alag alag konon me kara diya
Jis karan har kahi tension ka mahol hogaya aur isi bich shaitan ne apne baton me fasakar bhika ko bhi jail jane ke liye mana liya (update 83&84) toh in sabse pahle shaitan ke aadesh anusaar satpal ne apne gav me dheere is chemical ko hawa aur pani me mila kar faila raha tha jisse har koi bimar hota aur us bimari ki dawa bhi shaitan hi de raha tha
Usne apne gulamon ko bolke gav me har taraf hospital bana diye the jaha par sabhi ilaaz unhi dawaiyon se hota jo shaitan deta tha aur dheere dheere aise hi bimariyon ne aur shaitan ke hospital ne aur bhi gaon me apna dabdaba banaya
Aur ab haal aisa tha ki ye dawaiyan Koi bhi thik hone ke liye kam aur addiction ke wajah se jyada le rahe the aur aisa hi haal mamta ke cafe ke khane ka bhi tha ya jo drugs viraj bechta unka hota ya uske cosmetics products ka hota sabhi in chijon ke addict hote ja rahe the
Toh wahi kritika ke marne ke baad shaitan ne uske pati ko bhi maar diya jisse woh phir kabhi shaitan ke yojna me adanga na daal paye aur uske plan ka ye hissa pura hote hi woh badh chala agle padav ki taraf jaha use is yojna ko safal banane ki sabse badi lead milne wali thi
jo use sidha uske uddeshy ke karib le jata aur woh hissa tha kalpvruksh Aur ye hissa bhi bina kisi pareshani ke ho gaya jiska pata un panchon gods ko bhi lag gaya jinhone pahle shaitan ko haraya tha ab aap ise dar kaho ya ahankaar lekin woh ye baat maane ko taiyar hi nahi the ki shaitan phir se jaag sakta hai
jiske baad unhone divyamani se bhi sampark karne ka try kiya lekin kuch fayda nhi hua jiske baad unhone apne ek sabse taakatvar yoddha ko dharti lok par bhej diya jiske baad usne alag hi bhasad dharti par macha di toh wahi pihu bhi ab wapas india aa gayi thi
Jiske baare me pata chalte hi raj ne use maarne ka plan banaya shaitan ne use rokna chaha lekin woh nahi mana aur isi kaaran shaitan ko apna plan ko kuch waqt ke liye rok diya kyunki isme uska bhi fayda tha use apni panchguni shakti chahiye thi jiske liye use panch alag alag gunon ki striyon ki bali deni thi
jo the 1) chanchalta (komal) (2) krodh (anika) (3) jidd (mamta) (4) sahas (rupali) (5) nafrat (pihu) yahi he shaitan ki panch gunon wali panchguni shakti
Komal ka ant kuch is tarah hua ki jab pihu police ki gadi leke bhaag rahi thi ki tabhi viraj ne pihu ko jadu se sidha us jagah par teleport kara diya tha aur pihu ke badle gadi me komal ko bitha diya tha jo pahle se hi mari hui thi toh wahi pihu ko maarne ke baad ab raj puri tarah se shaitan ke adhin tha uske jeevan ka ab har maksad pura ho gaya tha
REST YOU ALL KNOW.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj ke liye itna hi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nice and lovely update....