parkas
Well-Known Member
- 29,506
- 64,331
- 303
Bahut hi shaandar update diya hai VAJRADHIKARI bhai....Update 142
Jaha sabhi log apne apne yuddh me vyast the wahi shaitan THE DEVIL morning star apne manjil tak pahuch gaye the jo tha samadhi lok
Ek aisi jagah jahan kisi ne hazaaron saalon se kadam nahi rakha tha aur jaise hi morning star ke kadam us grah par pade har taraf ka mausam badalne laga
Shant watawaran ab tufani ho gaya tha pure Aasman me bizliyon ki kadkadahat gunz rahi thi aur jab woh samadhi grah ke bich me pahuncha
toh turant Zameen mein se ek laash uthi ji Kisi aur ki nahi balki khud paap ke swami DEVIL ki thi ek purani, asli, daanav roopi laash.
Jo itne salon tak puri tarah se sad chuki thi kewal haddiyon ke dhache ke alawa ab waha kuch nahi tha parantu jaise shaitaan ki atma ne use chua
waise hi haddi haddi, khoon khoon, sab wapas jodne laga. Aur saath hi me Ek shakti ka jwala utha jisne us shaitaan ki aatma par hi waar kiya
"Mujhse daro nahi... mujhe pehchano Main woh hoon jise tumne kabhi samjha nahi... main tumhara asli roop hoon." Jab shaitaan ye sab bol raha tha tab uske aankhon mein ab sirf rakt tha. Na prem, na dukh. Sirf ek shaant, kathor satya ki yeh sansaar ab uske hisaab se chalega har jagah kewal uska raj hoga wahi devta hoga wahi shaitan
Aur jaise hi usne phir se uske sharir ko chua toh achanak se us sharir se se kali aabha nikalne lagi jisne dheere dheere na sirf shaitani aatma balki us pure lok ko apne andar sama liya
aur jab woh aabha woh dhundh gayab ho gayi toh shaitaan ab apne asli roop me tha apne sarva shaktishali aur ajey roop me tha
aur itna hi nahi balki pura grah bhi badal chuka pure grah ke har ek kone se har ek hisse se alag alag rakshas aur daanav Nikal rahe the
Ye dekh kar shaitaan ke chehre par ek ahankari muskaan aa gayi aur tabhi usne apna hath uper uthaya aur uske aisa karte hi waha par jamin se ek sinhasan bahar nikalne laga
jiske nikalte hi shaitaan ke chehre ki muskaan aur bhi gahri ho gayi aur woh bilkul Kisi raja ke tarah chalte hue uske sinhasan par ja baith gaya
Aur uske sinhasan par baithte hi charon taraf shanti cha gayi jor se kadkadahne wali bizliyon ne bhi maun dhaaran kar liya tha
toh wahi shaitan is waqt apne singhasan par baitha tha. Uske haath takht ke handles ko pakde hue the, aur uske baithne ke posture me ek shalinta aur ek rajsi bhav ek rajsi ehsas jhalak raha tha
Aur ye ehsaas ne waha maujood har rakshas aur danav ko apne saamne jhukne par majboor kar diya lekin woh abhi apne is jeet ka jashn mana pata
Ki tabhi usi grah par kisi ke aane ki aahat use mahsoos hone lagi woh aahat use apne taraf khinch rahi thi jaise ki woh use kuch bata rahi ho
jisse chintit hokar woh bhi apne sinhasan par se uthkar uske taraf badhne laga lekin use parchai ke alawa kuch dikhayi nahi de raha tha
Toh wahi jab woh us parchai ke pass pahuncha toh waha use door se dewta apne dev sena ke saath badhte hue dikhe aur abhi woh apne sainikon ko aage badhne ka aadesh de pata ki tabhi
“Bahut dino se nahi mile, Morning star,” maine abhiwaadan kiya. Meri aankhein us par tiki hui thi aur main use ek shant nazar se dekh raha tha, lekin andar se main kuch aur hi mehsoos kar raha tha. Gussa mere dil mein chhup kar baitha tha. Adrenaline meri naso mein daud raha tha. Mera ek hissa chillaa raha tha ki ise maar do, jo dard usne mujhe past mein diya uska badla lo.
Mere andar nafrat bhar chuki thi. Mujhe laga main uspe attack kar doon, usse apni talwar se cheer doon jab vo kaafi kareeb aa gaya. Maine turant apne haath mein talwar summon ki aur apna skill use kiya: (ye sare skills mujhe tabhi mile the jab mene shaitan se sauda kiya tha update 47 me aur saath hi jab woh mere sharir me tha tab bhi mere andar uske shaktiyon ka kuch ansh aa gaya tha)
“Telekinesis!”
Meri invisible power ne uske sharir ko pakad liya, uski movement ko limited kar diya. Uske saath hi maine us par talwar se vaar kiya, ummeed thi ki ek hi strike mein kaam khatam ho jaaye.
Lekin afsos, meri power uske sharir ko completely pakadne se pehle hi vo bach gaya lekin meri gati ka itna toh phayda hua ki uska haath thoda chhil gaya.
Vo turant peeche hatt gaya aur meri range se door jaate hue ruk gaya. Phir woh mere taraf muda aur apna Death stare mere uper chodte hue usne attack posture le liya. Uske haath se khoon nikal raha tha, jiska ghav gehra tha. Uski healing ise turant heal nahi kar pa rahi thi kyunki anant urja astra ke side effect ne uske healing skill ki effectiveness kam kar di thi.
"Toh ye chaal chali hai un panchon ne lekin kahna hoga viraj tumne 1 saal me hi bahut kuch sikh liya lekin ab tumhare ant tay hai aur woh bhi mere hatho" morning star ne mere uper ek dayniy muskaan dete hue kaha
"Woh toh waqt hi batayega shaitan ki kon kiska ant karta hai" mene shanti ke bhav se lekin pure nafrat se bhari aawaj me kaha
Ek dam se hum dono ke beech sannata chha gaya. Dono ki nazrein ek dusre mein ghus gayi thi. Uski smile ab gayab thi aur atmosphere tense ho gaya tha
Ek giant transparent dome ne humein gher liya. Yeh battlefield ki boundary thi jo sabhi devtaon ne lagayi thi kyunki is mukable ka asar bahar jagat me na pade
Waha ka pura watawaran puri tarah se badal gaya tha jaha pahle woh ek mara hua grah tha wahi ab pure aasman ko bhayanak baadlon ne gher liya tha aur bizliyon ki garajne wali awaaz aasman mein goonj rahi thi, aur saath hi saath humare hathiyaaron ke takraane ki awaaz bhi. Abhi me us par phir se humla karta ki usse pahle hi uske pith se pankh nikal aaye aur woh hawame Chala gaya aur uske jate hi woh puri jagah me tezi se black fire jal uthi jo dekhkar mene turant apne vayu tarva ke madad se hawa me udna shuru kiya mujhe us aag se koi pharak nahi pad raha tha
Aur ab is waqt Bijli se bhare hue kaale aasman ke neeche, aur jali hui zameen ke upar, hum dono ek dusre par hamla kar rahe the. Hamare hathiyar takrate rahe. Meri sharir se paseena tapak raha tha, kyunki mujhe uski har move par dhyaan dena pad raha tha. Uske claws ki ek scratch bhi meri maut ke liye kaafi thi.
Luckily, mere paas teleportation skill tha. Iske wajah se main bina chot khaye thoda damage de sakta tha. Par iska matlab yeh nahi tha ki main safe tha. Mere body pe kai ghav dikh rahe the. Uske attack se mere aadhe kapde phat gaye the. Un ghavin se niklti sizzling awaazon se pata chal raha tha ki mera regeneration skill kaam kar raha tha.
Har baar jab unavoidable attack aata, mujhe uska saamne karna padta yaton me apne astra se us attack ko parry kar deta ya phir apne teleportation skill se bach nikalta jisse mujhe us ke pith par kuch ghav de pa raha tha nahi toh ye pura yuddh har tarike se kewal 1 way fight thi
Thodi der baad, hawa ruki aur aasman normal ho gaya. Aag ruk gayi, aur saari kaali aag gayab ho gayi. Iska matlab tha ki lekin ladayi abhi bhi jaari thi.
Ek aur baar humne apne weapons poori taaqat se takraaye. Jaise hi wo takraaye, dono ke sharir peeche ja gaye. Lekin is baar, humne turant recover kar liya.
Hum dono haanp rahe the. Aankhen ab bhi ek dusre ko ghoor rahi thi. Ghavon se sizzling sound aa rahi thi, indicating ki hum healing mein busy the. Dono ki hi Healing aur Regeneration speed same thi. Hum ek dusre ke barabar the.lekin uska yuddh ka anubhav use advantage de raha tha
“Yeh fight boring ho rahi hai. Should we take it seriously now?” usne haanpte hue kaha. Usne apni bohot si taakat already use kar li thi. Maine bhi ki thi. Farq sirf itna tha ki uski power pehle hi kam ho gayi thi uski body pane me
“Why not?” maine pain ko ignore karte hue bola. Mujhe yeh khatam karna hi tha, kyunki ab waha par aur bhi demons aa rahe the. Mujhe nahi pata tha ki devta aur unke sainik unhe kitni der tak rok paayenge. Un sabne Morning star ke subordinates ko khatam kar diya tha
Toh wahi mere jawab ke turant baad uske muh se ek chink nikalti hai aur uska sharir transform hone lagta hai. Jo dekhkar mere chehre par muskaan aa gayi kyunki mujhe ye skill bhi pahle hi mil gayi thi
** Devils form**
Mere haath bade, terrifying claws mein badal gaye. Meri body par kaale kaante aur moti skin aa gayi. Kapde chithar gaye. Kaan elven jaise ho gaye. aur mere talwaar ki blade bhi zahreeli aur bhayankar ho gayi. Mere peeth par do aur pairs ke kaale pankh nikal aaye.
Vo mujhe gusse se dekh raha tha. “Tu bas ek jiddi aur murkh chuja hai jo nahi samajhta ki power aur sab par raj karna kitna sukhad hai” usne gusse mein kaha.
“bilkul. Aur main is baat se khush hoon,” maine bola.
Usne ek dayniy muskaan chhodi. “Tab main tujhe dikhata hoon ki asli power kya hoti hai.”
Uske bolte hi, tennis ball size ke dozens bhar blackk orbs uske aas paas ghoomne lage woh phir se mujhpar Black fire se humla karne wala tha lekin uska attack dekhte hi maine bhi wahi skill activate kiya.
** Fire strom**
Mere aas paas bhi wahi orbs ban gaye. Mujhe khushi thi ki mere pass anant urja astra tha jisme se mujhe lagataar paryapt urja milti ja rahi thi
Hum dono ek dusre ko aankhon mein aankhon daal ke dekh rahe the.
Aur phir, ek second baad humne haath aage badhaaye aur saare orbs se laser fire hone lage aur sare orbs ek dusre se tarane lage jiske parinaam swarup
**Explosion!**
Itna zyada blast hua ki hawa mein tufan aa gaya. Hum aankhen khol ke bhi nahi dekh pa rahe the waha Sirf cheekhne ki awazein, tez hawa, aur ghoonj.
Main battlefield ke kone tak ud gaya. Mere haathon aur shareer pe itna pressure tha jaise kuch andar se mujhe kuchal raha ho. Garmi toh jaise nark se bhi zyada thi.
Maine bachne ke liye 5 layer ka barrier banaya. Ek-ek karke sab tut gaye. Lekin,phir bhi damage ho raha tha.
Jab sab shaant hua, hum dono door khade the. Saans le rahe the. hamare shareer se bhamp nikal rahi thi. Ab bhi humari aankhon mein ek dusre ke khilaaf nafrat, gussa aur ek dusre ke jaan lene ke liye determination tha jo ye saaf saaf bata sakta hai ki yeh ladayi khatam nahi hui balki abhi shuru hui hai
Phir se hum jhapte ladayi jaari rahi Hamare hathiyaar takraate rahe, saath hi hamare black orbs bhi takraate rahe. Haalaanki dhamake ki awaazein aati rahi, lekin pehle ki tulna mein iska asar kuch bhi nahi tha.
Ghante beet gaye, lekin ladai khatam nahi hui thi. Bhale hi hamari urja kam ho rahi thi hamare ghaav kharaab ho rahe the aur hamara regeneration dheema ho raha tha, lekin koi sanket nahi tha ki hum mein se kaun jeetega. Humne har harqat aur hamle par apna poora dhyaan kendrit kiya jaise ki hamari zindagi us par nirbhar karti ho. Khaaskar main, kyunki meri to waqai zindagi us par hi nirbhar thi.
Ek aur jhadap ke baad, jisne humein ek dusre se door dhakel diya, maine maidan ke baahar dekhne ka ek mauka liya. Bas yeh sunischit karne ke liye ki devta aur sainik abhi bhi sab kuch sambhaal pa rahe hain.
‘Accha nahi…’ maine socha. Wahan bahut saare shipahi the. Daivik aur rakshasi sabhi sainik yuddh kar rahe the.
Chuki barrier pehle hi hamare explosion ke prabhav ke kaaran nashth ho chuki thi, Jiska matlab tha ki yeh mere liye buri khabar thi, kyunki uske saathi uski madad karne ka faisla kar sakte the.
Aur abgi me sab kuch soch raha tha ki tabhi Is ladai ko khatam karne ka ek idea mere dimaag mein aaya. Yeh ek jua tha, lekin mujhe jeetne ka koi aur tareeka nahi soojh bhi nahi raha tha
Aur phir ek gehri saans ke baad, main ek baar phir us par toot pada. Maine apna sara gussa sari nafrat jo mene badake rakhi thi use bahar nikali aur jald hi meri beserker skill activate ho gayi jisse mujhe aise laga ki jaise maine apna dhairya aur sanyam kho diya ho. Kisi aise vyakti ka chehra jo jeet ke liye bhooka ho aur yeh aam taur pe ek yoddha ke liye bura hota hai aur jaanlewa bhi lekin mere pass koi aur rasta nahi tha
Mere vipreet, woh shaant lag raha tha aur meri har harqat par dhyaan de raha tha. Woh apni jagah se hila tak nahi. Mujhe pata tha ki woh ek achhe mauke ka intezaar kar raha hai aur main khushi khushi use woh mauka dene ja raha tha.
Maine apni talwar ko upar se neeche ki taraf ghumaya, use beech se kaatne ki koshish ki. Meri andaje ke anusaar, usne apne panjon se talwar ko hata diya. Aur mene bhi plan ke anusar, apni pakad dheeli chhod di. Aur uske humle ke Prabhav se talwar mere haath se fisal gayi aur gir gayi.
Jo dekhkar maine chaukne ka naatak karte hue apne chehre par sabse accha expression dikhaya, jaise mujhe iski umeed nahi thi aur main ghabrahat mein peeche hatne waala tha. Uske chehre par jald hi ek dusht muskaan ubhar aayi. Mujhe maarne ka mauka samajhkar, usne mera peechha kiya aur bina kisi jhijhak ke apna doosra panja mujh par fek diya.
Lekin meri agli harqat ne use hila diya.
**Beserker**
Meri andheri shakti ka ek bada hissa mere haathon ko gher chuka tha aur usne vishaal, transparent panje bana diye. Isse mujhe uske sharir tak pahuchne ka ek sunehra mauka mil gaya, uske panje mujhe chhoone se pehle mera attack us tak pahuch gaya tha jisse woh ruk gaya, kyunki mere ek panje ne uske pet mein chhed kar diya tha, ek bada sa hole ban gaya tha. Uske chehre par uska shock saaf dikh raha tha. Yeh ek pranghatak humla tha, khaaskar ab kyunki woh mere bilkul paas tha. Isliye usne khud ko mujh par gira diya, jisse uska ghaav aur gahra ho gaya.
Uske shock khatam hone se pehle, maine turant apna panja wapas kheench liya. Aur Jaise hi woh dard se cheekha, maine nirdayita se apne doosre panje se uske hath pakad liye aur unhe pakadte hi mere saamne meri purani jindagi aa gayi jaha usne isi hath se meri maa aur bahan ko chua tha unhe maara tha aur ye sab mere saamne aate hi mene puri taakat se uske hathon ko uske dhad se alag kar diye
Jiske baad Use apni healing ka use karne ka mauka diye bina, maine apni poori takat se uski chhaati par laat maari, aur uske sharir ko uske singhasan ki taraf door fek diya.
**“Jaa, bhaad mein jaa!”** maine cheekh kar kaha.
Jaise hi woh patthar ke singhasan pe zor se gira, uska pichhla hissa toot gaya.
Bina ruke, maine apne haath mein anant urja astra ko summon kiya aur seedhe uski taraf fek diya.
Jo seedha uske seene mein ghus gaya aur yeh uske ant ke liye kaafi tha.
Maine dekha uska sharir dheere dheere raakh mein badal raha tha. Woh ab bhi singhasan par baitha tha. Lekin Uske haath takht ke handles ko pakde hue nahi the balki side me ukhde pade hue the uske posture mein na to shaalinta thi, na hi rajsi bhav.
Maine use uske sabse sharmnaak tareeke se maara uske ghamand bhare vyavhaar ka antim pratik bana kar.
Hawa mein mandrate hue, maine apne haath upar uthaye aur apne bhayanak panjon ko ghurna laga. Mere dil mein ek dard tha, ek bojh jise main samajh nahi pa raha tha kyunki main jo kabhi insaan tha, ab aisa shakhs tha jisne shaitaan ko maara tha us shaitaan ko jisne mere pure duniya ko kabristan Bana Diya tha ek pal me mere saamne mere maata pita ke chehre aa gaye jinke samne me apne aap ko asafal mehsoos kar raha tha, jinhone mujhe achhi moral values aur shiksha ke saath ek accha insaan banaya tha humesha gandhi giri sikhayi humesga bataya ki agar koi ek gaal par thappad mare to hume humara dusra gaal bhi aage kar dena chahiye aur is sab ke baad bhi maine yeh raasta chuna.
Dusri taraf, mujhe khushi aur garv bhi mehsoos ho raha tha kyunki main apna badla lene mein safal raha tha, ek rakshas devta ko samapt kar diya tha jo na keval gods ke liye, balki maanav duniya ke liye sampurna sansaar ke liye bhi sabse khatarnak tha.
Dard dheere dheere kam hone laga aur uski jagah ek jeet ki khushi ne le li. Mere muh se ek hansi nikal gayi, jo dheere dheere ek shaitani hansi mein badal gayi aur tez hoti gayi. Mujhe laga main pagal ho gaya hoon.
Nahin… mujhe khush hona chahiye, kyunki **main jeet gaya!**
**‘Raakshas bankar ya devdoot, kisko farq padta hai?’**
Kabhi-kabhi humein bure logon ka leader banna padta hai taaki hum un cheezon ki raksha kar saken jo hamare liye keemti hain ek raja jo unhe sambhaal sake, unhe andhere mein roke taaki main roshni ko bacha sakoon.
Isse farq nahi padta ki mere paas andhera hai ya roshni ki shakti sabse important yeh hai ki **main iska upyog kaise karta hoon.**
Aur mujhe pata tha — duniya ko badalne ke liye **shakti chahiye hoti hai… aur mere paas woh hai.**
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
The End
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nice and lovely update....