Update.......23..
Arin abhi apne bangle pe tha.....usne soch liya tha ke usko aage kya karna hai........
Tabhi Amayra uske pass aayi.....jise dekhke hi saaf pata chal raha tha ke wo thodi disturb hai....use koi baat pareshan kar rahi hai.......lekin wo kehne se hich kicha rahi hai......
Arim uski taraf dekhta hai......aur puchta hai....
Kya baat hai ...tum kuch pareshan lag rahi ho.....kuch kehna hai....
Amayra. Chup rahi....use apni baat wo Arin se kahe samajh nhi paa rhi thi....use dar tha ke kahin jo wo kehne wali hai....usse wo Arin ko kho na de.......
Arin phir se puchta hai.....kya baat hai Amayra....jo bhi baat hai agar mujhse kehna hai to....bina dare bolo.....
Amayra himmat juta ke bolti hai......Arin main tumse kuch kehna chahti hun......
Arin......kya kehna hai....ab bolo bhi......
Amayra .....main tumse pyar karti hun.....
Usne bohot hi himmat juta ke ek hi sans mein bol diya.....
Arin thoda choka....lekin jhat se khud ko sambhal ke usne Amayra ke taraf dekha.....
Lekin Amayra to sar biche kiye huye thi.....
Arin uthke uske pas gaya...aur uska chin pakad ke sar ko upar uthaya aur bola.......dekho meri ankhon mein......tum mere bare mein kuch nhi janti ho......main jaisa dikhta hun waisa hun nhi......sach janne ke baad shayad tumhe mujhse yeh pyar na rahe.....
Amayra....jiske ankhon abhi thodi se nami thi....Arin ke baaton ko sunke.....wo bharrayi huyi awaj mein boli.......mujhe kuch nhi lena dena....ke tum kaun ho...kya ho...
mujhe bas tum chahiye....yeh bolke usne Arin ko gale laga liya.....uske sine mein apne sar ko chipka ke boli......maine bohot intejar kiya hai....aur nhi kar sakti....mujhe tum chahiye aur kuch nhi.....
Arin ne use nhi pakda....wo waise hi jawab deta hai....mere zindagi mein pyar naam ki koi chij nhi hai....main pyar ke liye nhi bana hun.....mere andar hai to sirf Nafrat...
Amayra.....main kuch nhi janti....mujhe bas tum chahiye ab....
Thik hai....mere sath chalo....shayad iske baad tumhare sar se pyar ka bhoot utar jaye......
yeh bolke Arin Amayra ko leke nikal pada.......apne baap ke ghar ke taraf.....kyunki uske pariwar bhi ab shift ho chuke the.......aur uska chacha bhi ab ghar aa chuke the.....
idhar Arin ki so called family ne bohot socha....apne ghar lautne ke bare mein.......wo udhar lautna nhi chahte the.....lekin kisi aur ke ghar wo jyada reh bhi nhi sakte the.....aur unke pas financial condition bhi acha nhi tha ke wo kahin aur jake rahe.......to unko akhir mein apne purane ghar lautna hi para........
Idhar Arin bhi Amayra ke sath pohoch gaya....apne purane ghar.....guard ne bhi fatafat darwaja khol diya....kyunki wo Arin ko pehchan gaya tha.......
Arin ne jake Doorbell bajaya......
Amayra bas Arin ko dekh rahi thi aur samajh ne ki kosish kar rahi thi ke.....wo karna kya chahta hai.......
thodi hi der huyi thi ke.....Neha aake darwaja kholi........wo Arin ko dekhke ekdum shocked......
Arin bina usse kuch bolke andar chala gaya.....piche piche Amayra bhi gayi.....aur Neha bhi...
Jab Arin hall mein aya to dekha ke.......sabhi log udhar hi baithe hai......siwaye uske baap ke....
sabhi log Arin ko dekhke sakte mein aa gaye......kyunke jab bhi wo laut ke aya hai......unko kuch na kuch jhatke hi mile hai......
Arin ne sabke taraf ek njar daudaya.....aur ek buland awaj mein jor se bola......Mr. Shankar Malhotra....jara Hall mein ayiyega....
Udhar Arin ka baap abhi apne room mein baithe huye the....ek chair pe......aur last kuch dino mein huyi baaton ko soch rahe the......
tabhi unko kisiki awaj aayi jo unhe unke naam se bula raha tha.....
idhar jab Arin ne jab apne baap ko naam se bulaya....to uske bade chacha jo wahi baithe huye the....wo jhat se khade ho gaye aur bole........aye ladke kaun hai tu.....aur teri himmat kaise huyi is ghar mein ake dadagiri dikhane ki......
Arin bas thoda sa muskura utha....abhi wo kuch bolta usse pehle hi.......Aksara jo chacha ke pas hi thi........usne dhire se bola.....chacha ji....yeh Aksh hai........
Chacha ji jab yeh sunte hai.....wo thode chowk jate hai.....lekin khud ko sambhal ke.....jhat se ake Arin ka colllar pakad leta hai....aur use bolta hai.....kamine teri himmat kaise huyi yahan ane ki.....teri wajah se yeh sab hua hai.....tune hi hum sab se sab kuch chhina hai.....
Arin to bas muskurate huye....chacha ke hath se apna colllar chudta hai.......aur bolta hai....kya baat hai chacha ji.....yeh sab maine kiya hai.....khud ka kiya....bhul gaye kya.....apne kya kya kiya hai.....chacha ji......
Chacha thoda piche hat gaye.....aur gussail awaj mein hi bole.....kya kehna chahta hai....tune hi hum sab ko road pe lake rakh diya hai....tere wajah se hi.....humara pariwar tut gaya hai.....sahi bhi hai ... hai to tu ek kutta hi na......
udhar jab Arin ka baap apne kamre se bahr nikla to unhe bahar hall mein awajein sunayi di.....to udhar hi aane lage......tabhi unko apne bhai ki baatein sunayi di.....aur uska bhai kise keh rahe hai......yeh bhi dikhayi diya.....wo jor se bole.....wo mera beta hai.....
Arin yeh baat sunke jor jor se hasne laga......haste haste hi bola.....hahahaha beta....main inka beta.....hahahhaa....suna tumne Amayra....main aur inka beta...hahahaha...
idhar sab log muh khole Arin ko dekh rahe the....lekin koi kuch keh nhi paa raha tha......
haste haste hi jhat se Arin ka reaction change ho gaya......aur wo sapat lehje mein bola.....bohot ho gaya aab .....ab jab tak na bolu....koi bhi kuch nhi bolega.....aur sun tu chache....jara shant rehna sikh.....aaj hisab karne aya hun.....khaskar tera.....
A.baap.....beta jo bhi isne kaha...uske taraf se maafi mangta hun.......
wo age kuch bolte.....Arin bol pada.....theher jaiye....mr. Shankar aaj yaha sirf main bolunga....jab tak na kahoon.....koi bhi kuch nhi bolega....
Sabse pehli baat ....main koi apka beta weta nhi hun......main to gulam hun.....kyun sahi kaha na......malik....(apne maa ke taraf dekhte huye) aur malkin....
Aur uske maa baap dono ke sr jhuk gaye.....
acha chaliye chhoriye yeh baatein.....mujhe bas itna bata dijiye ke....yeh achanak main apka beta kabse ban gaya......jab to ap mujhe kutta.....gulam hi kehte the.....
A.baap....ab kya kahe kaise kahe...unhe kuch bhi samajh nhi aa raha tha.....lekin phir bhi wo thodi himmat juta ke bole.....
huamare yaha pe naukar tha.....Keshav.....ekdin maine usko kisise phone pe baat karte sun liya tha......tumhare jane ke baad.....wo yeh keh raha tha....ke....
sab kuch bigad gaya hai.....wo sala kamina bhag gaya hai.....humara sara kiya karaya pe pani fir gaya.....
mujhe uspe thoda shak hua....aur tumhare wajah se main gusse mein bhi tha.....tabhi main use pakad liya.....aur use bohot pita....bohot mara....tab jake usne apna muh khola ke......tumhe manhoos banana unki chal thi.....lekim wo age kuch bolta .....usse pehle hi ek goli ake use lagi aur wo mar gaya........
uske baad maine apne kuch jankaro se bhi pata kiya ke....sachai kya hai....tab mujhe pata laga.....ke jin ghatnao ko. Humne tumhari manhosiyat samajhte the.....wo logo ka kiya hua kand tha.....kisi ne jan bujh ke wo sab karte the.....sab kuch to pata nhi chala tha.....lekin mujhe yeh jaroor realize ho gaya thaa....ke hum andhe ho gaye the.......
yeh bolke wo rone lage.....
lekin Arin to bas expression less tha.....usne apne Maa ki taraf dekhke tanjh bhare awaj mein bola.....maata ji.....i mean....badi malkin ji.....jara aap bhi baatane ki kast karenge ki apko kya pata chala tha......
A.maa....jo ab tak chup thi aur roye jaa rahi thi.....unmein kuch kehne ki ab himmat nhi thi.....lekin jab unhone....Arin ke muh se apne liye tanjh bhari baatein sunayi di....to wo aur na sehen na kar ske......aur rote huye hi chillake boli......bas kar beta bas kar.....aur jalil mat kar......mujhmein aur himmat nhi hai yeh sab seh ne ki......main hath jodti hun.....plz jo bhi saaja dena hai ek bar mein de de......
Arin yeh sunke jor jor se hasne laga.......aur roiye.....aur.....aise hi aise hi.... Bilkul aise hi rota tha main.....gid gidata tha.....aur chhod dene ki bheekh mangta tha.....lekin kisi ne meri baat suni........nahi na.....to aaj main kaise chhod dun.....
bohot ho gaya natak....jo janna chahta hun wo boliye.......
Arin ki Maa baap ke ankhon mein....hatasha saaf dikh raha tha.....wo bas sar jhukaye ro rahe the......
tabhi Arin cheekh ke bol utha.....jo janna chahta hun wo boliye....
uski awaj sunke saare dar gaye.....
tab Arin ki Maa rote rote hi boli.......jab ekdin main inke matlab A.baap ke pas ayi.....to yeh pareshan the bohot......jab inse maine karan pucha to unhone tumahre bare mein saab kuch bataya.....lekin mujhe jyada kuch farak nhi pada....lekin....jab uske do din baad jab bade bhai sab(bade chacha) ke pas ja rahi thi.....to ek kisiko phone baat karte sunke eka ek hi main sunne lagi.........
wo shaks tumhare bare mein baat kar raha tha......to mere kaan aur khade ho gaye......jab usne kaise tumhe manhoos bnaya yeh bola to mujhe ab inke(A.baap) ke baat pe puri tarah yakin aa gyai thi.....lekin thodi hi der baad jab kuch aur suni to mujhe meri galti ka ehsas huya......
yeh bolke woh behosh ho gayi.......Aksara ne foran apne maa ko pakda......aur jhat se pani mar ke unhe hosh mein layi.....jab wo hosh mein aayi.....to wo siskiya lete lete hi rone lagi....
Arin ko isse ratti bhar bhi fraak nhi pada.......
Arin phir se bola.....ab yeh bhi bata dijiye....ke wo shaks tha kaun......aur kya baatein suni thi....aap batayenge.....ya main hi kahoon......
lekim A.maa kuch nhi boli.....
Arin...Ok.....fine main hi bata deta hun.....Mr. Shankar jara dhyan se suniyega......aur ap sab bhu usne apne baki ke pariwar ko bhi bola.....
sab Arin ke taraf dekhne lage.....kuch ro rahe the....kuch ke man mein dar tha.....ke age kya hone wala hai....
Arin....wo shaks aut koyi nhi....apke bade bhaiya hi the.....jinhone yeh sab kiya.......
Bade chacha.....kya bakwas hai yeh sab .....nikal ja yahan se isse pehle ki maim police ko bulaon.....
Arin....police jo khud gunhegar hai....jisne khud kitne hi crime kiya hai....wo police ko bulayega....kya majak hai....hahahhaa....jyada jaban mat chala.......
yeh bolke Arin ne ek chutki bajayi.....aut piche se ek banda daudte huye....ek Cd leke aya.....
sab hairani se Arin ko dekh rahe the.....ke aage kya hone wala hai......
Arin....jisko jo bhi janna ho wo sab isme hai.......usse pehle.....
chhoti chachi ke taraf dekhke bola.......
jara call to kariye unhe....aur kehiye bohot natak ho gaya hai.....ab samne aa jaye........
to be continued...........