• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Evolution~Is not end, Is beginning

Dolar

New Member
58
78
19
IMG-20241231-221731

Guys mai ek silent reader hu aur yaha itni mast mast story padhkar mera dil mai bhi ek story likhna ka kar diya mai koi professional writter to nahi hu lekin mai fir bhi aap sabke samne apni ek kaalpanik story rakhna chahta hu es story mai aage kya kya aayega woh sab aapko story padhne se pata chal jayega..

Guys Story ka update 5th update is post niche diye hue link se check kar lena..

👇👇

And kya es platform mai incest story hi zada chalti hai fantasy story nahi? :verysad:
 
Last edited:

TrueYash

New Member
10
15
3
UPDATE-02
It's Literally A Mysterious Day..

Ab tak..

Ansh ek 7 saal ka ladka jo abhi delhi ke ek town mai ek chai ki dukaan pe kaam kar raha hai ek raat usse samne pahaad pe ek roshni dikahi deti hai apni jigyaasa ke chalte woh us roshni ke pass chala jate hai aage jakar usse pata chalta hai ki woh roshni ek darwaje se aa rahi thi aur kab woh darwaja khulta hai to usme se koi bahut tez udkar samne ki deevar se takra jata hai..

Ab aage..

Ansh ne us taraf dekha jaha se abhi koi us darwaje se udkar bahar aaya tha ki kabhi Ansh ko ek karah ki awaaz sunai di yeh awaaz sun kar Ansh apne man mai kehta hai..

'Yeh to kisi insaan ki awaaz hai kya us darwaje se koi insaan udkar aaya tha.. '

Ansh abhi yeh sab soch hi raha tha ki kabhi usse fisse ek karah ki awaaz sunai di ansh dheere dheere aage badhne laga us insaan ko dekhne ke liye jab Ansh us insaan ke pass pahunch gya to woh heraan ho gya kyuki woh insaan ek aurat thi aur uske hatho mai ek bacchi bhi dekh Ansh heraan ho gya..

Yeh dekh Ansh aage nahi badh paya usne dekha woh aurat pat ke bal niche giri thi aur usne ek safed color ka chhoga bhi pehna hua tha aur us aurat ke sab jagha chhote bhi lagi hui thi aur uske hath mai ek 4 se 5 saal ki ek bacchi bhi hai aur usne ek laal color ka chhoga pehna tha..

Woh aurat dikhne mai kisi apsara se kam nahi hai par ajeeb baat yeh hai ki us aurat ka khoon laal rang ki jagha hare color ka tha Ansh abhi yeh sab dekh kar heraan hi tha ki kabhi usse us aurat ki awaaz sunai di..

Aurat -"tu.. tum ko.. kon ho aur yeh jagha kons.. konsi hai.. "

Us aurat ko itna bolne mai bhi sangharsh karna pad raha tha us aurat ki haalat wakai bahut buri thi Ansh ko usse koi khatra mehsoos nahi hua Ansh dheere se ek kadam aage badha aur bola..

Ansh -"Mera naam Ansh hai aur yeh jagha Delhi ka ek chhote se town ke piche pahaad ki ek gufa hai.. "

Yeh sun woh aurat boli..

Aurat -"ky..kya ye..yehh Fa..Fairy Clou...Cloud nah..nahi ha..hai.. " us aurat ki haalat abhi kharab thi lekin woh dheere dheere ab dhan se bol pa rahi thi..

Us aurat ki baat sunkar Ansh soch mai ghum ho jata hai aur apne man mai sochne lagta hai ki Earth pe esi jagha kaha pe hai woh kuch der soch kar kehta hai...

Ansh -"maaf kijiye lekin mene Earth pe ese kisi island aur jagha ka naam nahi suna hai.. "

Par woh aurat boli..

Aurat -"Earth yeh konsi jagha par hai.. "

Yeh sun Ansh heraan ho gya..

Ansh -"kya aap Earth ke baare mai nahi janti aap abhi jis planet pe hai woh planet Earth hai.. "

Yeh sun woh aurat kuch der soch mai ghum ho gayi aur boli..

Aurat -"kya tumne divine valley ke baare mai suna hai..?"

Par Ansh ne apna sar na mai hila diya..

Yeh dekh aur aurat kuch der soch kar boli..

Aurat -"to tum kis jaati se aate ho?"

To Ansh us aurat ko dekh kar bola..

Ansh -"hume Humans kaha jata hai.."

Woh aurat yeh sun kar sochti rahi par usne Humans naam ki kisi bhi jaati ke baare mai kabhi bhi nahi suna tha aur na hi usse pata tha woh kuch der soch kar khud mai hi badbadati hai..

Aurat -"Kya iska matlab mai kisi aur dimension mai teleport ho gayi hu.."

Kuch der es baare mai sochne ke baad us aurat ne apne hatho mai jo bacchi ko pakad rakha tha usse side mai rakh deti hai aur diwaar se satkar beth gayi us aurat ko bacchi ko side mai rakhne aur bethne ke baad Ansh ne dekha woh aurat bahut gambhir tarah se ghayal hai..

Ansh -"aapko abhi mere sath hospital chalna chaiye aap bahut zada ghayal hai.. "

Yeh sun woh aurat boli..

Aurat -"mai kahi nahi ja sakti wese bhi shyd mai marne wali hu isliye iska koi faida nahi hai tum mujhe ek acche vyakti lagte ho kya tum yaha aa sakte ho mujhe tumhara pakadne do.."

Yeh sun Ansh satark ho gya yeh dekh woh aurat boli..

Aurat -"chinta mat karo mai tumhe koi nuksaan nahi pahunchaungi.. "

Yeh sun Ansh thodi der jijhakta par aakhir mai Ansh us aurat ke pass chala jata hai..

Ansh ke pass aane ke baad us aurat ne Ansh ka ek hath pakad liya fir acchanak Ansh heraan ho gya kyuki us aurat ke hath pakadne ke baad acchanak us aurat ke hath bel ki tarah ho gaye aur Ansh ke hath mai lipat gaye..

Tabhi ansh ko apne hath se lekr apne pure shareer mai ek garam ehsaas mehsoos Ansh ko esa lag raha tha uska pura shareer halka ho gya hai aur uska dimaag bhi puri tarah shant ho gya tha..

Us aurat ke chhune se Ansh ke andar jo energy feel ho rahi thi woh Ansh ko esa mehsoos kara rahi thi jese woh kisi swarg mai ho wahi woh aurat apni aankhen band kari hui thi aur uske hath jo Ansh ke hath pe hare bel ki tarah lipat gaye the unme se kuch roshni aati aur jati hui dikhai de rahi thi jese woh Ansh ke andar se kuch absorb kar rahi ho..

Kuch der baad us aurat ne apni hari bele Ansh ke hath se hata di jisse Ansh ko ji mantrmugdh karne wala ehsaas jo ho raha tha woh acchanak gayab ho gya tab jakr Ansh ko ehsaas hua ki abhi uske sath kya hua tha isliye woh satark hokar 2 kadam piche hat gya aur thoda satark hokar puchta hai..

Ansh -"aakhir aapne abhi abhi mere sath kya kara, batao..sath

Yeh sun woh aurat boli..

Aurat -"tumhara naam Ansh Rajvansh hai....?"

Yeh sun Ansh heraan ho gya kyuki usne apna surname kisi ko bhi nahi bataya tha to es anjaan aurat ko uska surname kese pata chala yeh soch kar Ansh heraan tha..

Tabhi woh aurat firse boli..

Aurat -"Mujhe tumhare naam ke alaava bhi baki sab kuch pata hai ki tum ghar se bhage ho aur kyu bhage ho aur tumhara maksad kya hai.."

Yeh sun Ansh heraan ho gya aur us aurat ko heraani se dekhne lage aur pucha..

Ansh -"aapko mere baare mai yeh sab kese pata chala.."

Yeh sun woh aurat boli..

Aurat -"mene abhi jo tumhara hath pakda tha tab mene tumhare dimaag ki saari yaadein padh li thi.. "

Yeh sun Ansh heraan ho gya kyuki usne kabhi nahi suna tha ki koi ese hi koi mind read kar sakta hai..

[Es duniya mai bhi bahut se log hai jo mind read kar sakte par es tarah itni asaani se nahi kyuki unhe nature ke elements ka use karna padta hai.. ]

Ansh ko itna uljha dekh woh aurat boli..

Aurat -"mai tumhe yeh sab nahi samjha sakti aur na hi tumhe abhi kuch bata sakti hu mene tumhara mind read kara lekin mera koi galat uddeshy nahi tha, mere pass samay bahut kam hai isliye meri baat suno..

Mene tumhaari yaadon se jaan liya hai ki tum koi bure insaan nahi ho isliye ab meri baat dhyan se suno mai apni bacchi hui shaktiyon se tumhe level 2 ke peak pe pahucha dungi par uske badle tumhe meri beti ki raksha karni padegi..."

Yeh sun Ansh heraan ho gya beti aapki tabhi usse us laal chhoge wali ladki ke baare mai yaad aaya Ansh ko us chhoti bacchi ke baare mai to bilkul bhul hi gya tha Ansh ne us taraf dekha par us ladki ka chehra jameen ki taraf tha isliye woh uska chehra nahi dekh paya..

Ansh ki heraani dekh woh aurat boli..

Aurat -"han meri beti jo log mere piche pade the woh kisi bhi tarah hamaari puri prajaati ko nasht karna chahte hai isliye mai tumse vinti karti ho kripya meri beti ka khyal rakhna agar tum esa karte ho to mai puri zindagi tumhari ehsaanmand rahungi..

Mere pati ke hisaab se meri beti ko ek mahaan kaam karna tha par mai ab chahti hu ki tum meri beti ko hamesha surakshit rakho bas mai apni beti ko ek ab ek aam zindagi dena chahti hu..

Mujhe pata hai ki tum taakatvar banna chahta ho lekin mai tumhari bas itni hi madad kar sakti hu aur mere pass tumhe dene ke liye aur kuch bhi nahi hai mai aashaa karti hu ki tum meri es baat ko maan loge.."

Itna bolte bolte us aurat ne Ansh ke samne apne hatho jod liye the..

Yeh sun aur dekh Ansh asmanjas mai phas gya usse kuch samajh mai nahi aa raha tha par level 2 ke peak ki baat sun usse laalach aa raha tha aur Ansh ko us aurat pe daya bhi aa rahi thi Ansh ne ek baar us aurat ko dekha jo kisi bhi vakt mar sakti thi..

Yeh dekh kar Ansh ne apne mai ek faisla kara aur us aurat ku taraf dekh kar kaha..

Ansh : "Mai Ansh kabhi bhi apne vaade se piche nahi hatta mai aapki beti ko apni behen ki tarah rakhunga par mere liye ek mushkil hai, agar kisi ko bhi iske hare khoon ke baare mai pata chal gya to hum dono ke liye hi bahut badi mushibat khadi ho jayegi.."

Yeh sun woh aurat boli..

Aurat : "Tum iski fikar mat karo lekin mujhse ek vaada karo kabhi bhi meri beti ke sath kabhi bura vyavhaar nahi karoge..."

Yeh sun Ansh ne ek dard bhari muskan ke sath kaha..

Ansh : "Aapne pehele hi meri yaadein padh li hai aur mai nahi chahunga jo mene saha woh koi aur bhi sahe fir bhi mai vaada karta hu ki aapki beti ka bahut dhyan se khyaal rakhunga.."

Yeh sun us aurat ne ek raahat ki saas li us aurat ne pehle hi Ansh ki yaadein padh li thi isliye aur usse pata tha Ansh kesa hai isliye woh apni beti ko ek anjaan insaan ko de rahi thi warna ek maa kabhi bhi apni aulaad ko ek anjaan insaan ko kese de sakti hai..

Aurat : "Ansh meri beti ka dhyaan rakhna ab se yeh tumhari jimmedaari hai.."

Ansh : "Ji mai aapki beti ka pura dhyaan rakhunga wese kya mai aapka naam jan sakta hu..."

Yeh sun wih aurat boli..

Aurat : "Mere naam jaankar koi faida nahi hai tum itne taakatvar nahi hi auragar ek din itne taakatvar ho bhi gaye fir bhi shyd tum itne taakatvar na ho.. "

Yeh sun Ansh ko esa laga koi uski taakat ko lekar uska mazaak uda raha hai Ansh ka chehra thoda bigad gya yeh dekh woh aurat boli..

Aurat : "Mere woh matlab nahi hai jesa tum samjh rahe ho mai tumhara mazak nahi uda rahi..

Fir bhi agar tum es duniya mai sabse taakatvar ban kar ubhar paao to Divine Valley ki empress ke tod pe mere naam yaad rakhna.. "

Yeh sun Ansh ne apna sar han mai hilaya aur us aurat ne us laal chhoge wali ladki ko matlab apni beti ko jo jameen ki taraf muh karke leti hui thi usse palta aur uska sar apni taraf ghumaya..

Jab us aurat ne us ladki ko palta to uska chehra dekh Ansh heraan ho gya kyuki us bacchi ka chehra kisi chini mitti ki gudiya jesa tha woh dikhne mai kisi chhoti pari jesi dikh rahi thi par Ansh ki nazaron mai koi bhi esa wesa bhaav nahi tha..

Wahi us aurat ne jab Ansh ki aankhon mai jakha to usse ehsaas hua ki uska faisla ek dam thik hai us aurat ne us bacchi ko sidha kara aur uska sar apni godh mai rakh kar uske maathe ko chhua us aurat ke haatho mai se ek hari rang ki roshni nikli aur us bacchi ke sar mai chali gayi..

Fir 1 minute se bhi kam samay mai us bacchi ne apni aankhen kholi aur apne aas paas andhere dekh woh dar gayi fir apni maa ko dekha jo usse hi dekh rahi thi woh rote hue unke gale lag gayi aur kaha..

Bacchi : "maa yeh sab kya ho raha hai unhone pitaji ko bhi maar woh ab hume bhi maar denge.. "

Yeh sun Ansh ko laga yeh maa beti ho na ho kisi bahut badi mushibat se guzre hai wahi us aurat ne us bacchi lo shant karwana shuru kar diya..

Aurat : "Angy shant ho jao aur meri baat dhyan se suno.."

Yeh sun aur woh bacchi kiska naam Angy tha apni maa ko dekhne lagi us aurat ne apni bacchi ka hath pakada fir Ansh ki taraf dekh kar boli..

Aurat : "Ansh apna hath bhi do.."

Yeh sun Ansh heraan ho gya lekin fir bhi usne apna hath us aurat ke hath mai de diya thodi der mai hi Ansh ko wese hi feel hone laga jab us aurat ne peheli baar uska hath pakda tha..

Wahi us aurat ke dono hath ab hari belo mai change ho gaye the es baar uske un belo se laal rang, hara rang aur ek sunhera rang bhi dikh raha tha kuch der baad us aurat ne apne hath wapas le liye tab Ansh jo ab tak khada tha woh behosh hokar niche gir gya..

Thodi der baad jab Ansh ko hosh aaya to usse apne samne wahi aurat aur bacchi dikhi woh aurat boli..

Aurat : "Tumhari shakti parvaah(veins) wakai puri tarah barbaad hai isliye tum apni shaktiyaan zada nahi badha paoge par mene tumhe level 2 ke pick par pahucha diya hai ab shyd hi tum iske aage kabhi ja paoge..."

Yeh sun Ansh koi zada udaas nahi hua shyd Ansh ne apni es kismat ko maan liya tha fir Ansh ne us bachi ki taraf dekha jo usse hi dekh rahi thi par es baar Ansh ko woh bacchi thodi alag lag rahi thi isliye Ansh us aurat ki taraf dekh kar bola..

Ansh : "Iska naam Angy haina?"

Us aurat ne han kaha fir Ansh bola..

Ansh : "Pehele mene dekha tha to woh.. "

Yeh sunkar woh aurat smjh gayi Ansh kya kehna chahta hai par woh aurat kuch bol pati usse pehele hi woh bacchu matlab Angy boli..

Angy : "Bhai mera naam Angy hai, aur aapko shyd mera chehra alag lag raha hoga kyuki maa ne jab aapka hath pakda tha tab unhone mere khoon ka rang aur mujhe aapki duniya ki kuch jaankari dedi thi aur maa ne mera thoda roop bhi badal diya hai jisse mujhe zada takleef na ho.."

Yeh sun Ansh smjh gya kyuki us aurat ne Ansh ki saari yaadein dekhi thi isliye us aurat ko pata hoga es duniya mai kesi mushkilen hongi isliye usne yeh sab kiya tabhi woh darwaja jo kabse shant tha woh darwaja firse ek baar hilne laga sath mai bahut jor se bhukamp bhi aane lage..

Yeh dekh us aurat ka chehra peela pad gya woh boli..

Aurat : "Beta mere pass zada samay nahi hai mene tumhe jo bataya hai usse hamesha yaad rakhna.. "

Fir Ansh ki taraf dekha jo usse hi asamanjas ki nazaron se dekh raha tha jese puch raha ho yeh sab kya ho raha hai..

Yeh dekh woh aurat kisi tarah khadi hui aur Ansh ki taraf dekh kar boli..

Aurat : "Yeh darwaja antariksh ko jodta hai yeh ek bahut taakatvar khazaana hai mai yaha issi ki madad se aa payi hu par ab jo log mere piche kar rahe the woh log bhi ab yaha aa rahe honge..

Isliye mujhe es darwaja se wapas us jagha jana hoga jaha se mai aayi hu.. "

Yeh sun Ansh bola..

Ansh : "Ese to woh log.. "

Ansh ki baat ki bich mai kaatkar woh aurat boli..

Aurat : "Pata hai mujhe par mere pass aur koi rasta nahi hai kyuki mere yaha aane se es darwaja ka rasta tumhaari duniya se jud gya hai aur jab tak mai yaha se wapas nahi jaungi tab tak yeh rasta ws duniya se juda rahega isliye mujhe jana hi hoga.."

Yeh sun Ansh kuch nahi bol paya wahi Angy jo kabse apne aansu bahaye ja rahi thi woh boli..

Angy : "Maa mat jao.."

Par us aurat ne uske aansu poche aur kaha..

Aurat : "Angy mene jo tumhe bataaya hai usse hamesha yaad rakhna aur Ansh bhai ke sath acche se rehna.. "

Par Angy kuch nahi bol paayi fir woh aurat kisi tarah us darwaje ki taraf jane lagi tabhi usse acchanak kuch yaad aaya aur woh Ansh ki taraf palti..

Woh aurat palti aur apne chhoge mai se ek locket nikala jo dikhne mai ek ring thi aur uske bich mai ek white patthar tha jo us locket ke bich mai ter raha tha us locket ka size ek ungli ke barabar tha aur woh jis rassi se bandha tha woh puri kaali thi..

Us locket ko apne hath mai lekr woh Ansh ki taraf dekh kar boli..

Aurat : "Mere paas tumhare kiye es ehsaan ke liye abhi kuch nahi hai.. "

Yeh sun Ansh bola..

Ansh : "Mujhe kisi bhi chij ki jarurat nahi hai miss mai Angy ka dhyan rakhunga wese bhi mujhe koi esa chaiye tha jo mujhe apna parivaar kahe.. "

Yeh sun us aurat ne ek raahat ki saans li aur boli..

Aurat : "Mujhe pata hai tumhe kuch nahi chaiye Ansh par mere pass ab tumhe dene ke liye yeh locket hai wese bhi ab yeh mere liye bekaar hai.. "

Fir us aurat ne woh locket Ansh ki taraf ucchal diya Ansh ne usse apne ek hath se pakad liya aur uske white stone ko dekhne laga jo locket ki gol ring ke bich mai ter raha tha..

Woh aurat boli..

Aurat : "Mujhe nahi pata yeh locket kya hai jab mai un logo se bach kar bhag rahi thi tab mujhe ek esa grah pe chhupna pada jiske baare mai mene kabhi nahi socha tha aur mujhe waha par ek bikhra hua space portal mila ussi portal mai ek khandar tha jaha sab taraf sab tuta hua tha..

Wahi par yeh ek jagha latka hua mujhe mila tha mujhe nahi pata yeh kya hai par shyd yeh kisi tarah tumhare kaam aa jaye.. "

Itna bol woh palti aur us darwaje ke pass chali gayi aur jakar dheere se apne hath ki ek ungli kaatli fir usne us taraf dekha jaha Ansh aur Angy khade the Angy ko Ansh pakde hue khada tha jo chhutne ki koshish kar rahi thi..

Angy : "Mujhe chhodiye mujhe maa ke pass jana hai..."

Par Ansh usse nahi chhod raha tha woh bas roye ja rahi thi Ansh ko bhi bahut bura lag raha tha tabhi us aurat ne apne hath se ek hari roshni nikali jisne Ansh aur Angy ko dhak liya..

Tabhi us aurat ne apni kati hui ungli ko us darwaje pe rakha jaha se khoon aa raha tha aur uspe ek pattern banane lagi aur kuch der baad woh darwaja dheere dheere khulne laga jisse puri gufa hilne lagi aur upar se patthar girne lage..

Woh darwaja khulte hi acchanak usme se kisi ka hath bahar aata hua dikhai diya yeh dekh us aurat ne apne andar jitni energy thi woh saari bahar nikali aur us hath ko pakad kar us darwaje ke andar jane lagi..

Wahi us pahaad se thoda duur Ramesh chai wala jisne Ansh ko nokri aur rehne ke liye ghar diya tha woh Ansh ka intezar kar raha tha aamtaur pe Ansh 9 ya 10 baje tak ghar aa jata tha par aaj raat ke 1 bajne ko aaye the par Ansh ghar nahi aaya tha isliye woh usse dhundne bahar aaya tha abhi woh Ansh ki dhund hi raha tha ki kabhi ek ruh dehla dene wala dhamaka hua us pahaad par jisse pure us town mai halchal aur afratfari mach gayi..

Sabhi apne gharo se bahar aakar us pahaad ki taraf dekhne lage unhe us pahaad pe bas dhul ki ek bahut badi chaddar hi dikhai de rahi thi...

Wahi Ansh aur Angy dono us dhamake ke bicho bich khade the jaha pehele ek gufa thi ab waha par ab kuch nahi bacha tha sab taraf dhamake se sab tehas mehas ho gya tha 300m gehra gaddha ban gya tha..

Tabhi Ansh aur Angy ke ass pass se hare rang ki jo shield jesi thi woh gayab hone lagi aakhir mai jab woh aurat us darwaje se ja rahi thi tab usne apni jyadatar shaktiyon se Ansh aur Angy ke aas pass ek kavach bana diya tha jisse unhe us dhamake se koi nuksaan na ho..

Ansh ne apne aas pass dekha sab taraf bas dhua hi dhua tha Ansh ne Angy ko uthaaya jo ghutno ke bal bethi ro rahi thi Ansh ne usse uthaaya aur waha se jane lage par Angy jane ka naam hi nahi le rahi thi bas roye ja rahi thi..

Ansh ne usse apni godh mai uthaaya aur waha se duur chala gya Ansh ne duur jakar ek raahat ki saans li aur piche us taraf dekha jaha dhamaka hua tha Ansh ke chehre se thanda paseena tapakne laga....

Ansh : "Mai baal baal bacha yeh kesi power thi itni taaqatvar shyd unhone agar woh shield nahi banayi hoti to aaj hi hum swarg hi padhaar lete.. "

Ansh ne us taraf dekha jaha woh darwaje aur gufa thi lekin ab waha shivaay malbe ke alawa aur kuch nahi bacha tha Ansh ne ek aaahh bhari aur Angy ki taraf dekha jo ab jameen pe abhi bhi subak subak ke ro rahi thi..

Ansh apne ghutno ke bal Angy ke aage beth gya aur apne hath age kar uske aansu ponchne laga Angy ne apni aansuon se bhari aankhon se Ansh ko dekha aur uske gale lag gayi aur rone lagi..

Ansh ne bhi usse nahi roka woh chahta tha ki Angy apna dil puri tarah se halka kar le wese bhi ek maa ka apne samne hi apne bacche ko chhod kar jana woh us maa aur bacche dono ke liye hi bahut mushkil hota hai Ansh ne bhi yeh mehsoos kiya tha par uski baat alag thi..

Angy rote rote hi Ansh ki baho mai so gayi thi yeh dekh Ansh se usse wese hi apni godh mai utha liya aur wapas us town ki taraf jane laga Ansh ko pata tha yaha jo dhamaka hua hai usse pahaad ke aas paas bheed jama ho jayegi isliye Ansh dusre raste se ghum kar apne ghar matlab Ramesh chacha ke ghar gya..

Woh jese hi ghar ke andar gya Ramesh chacha ne usse dekh kar sawaalon ki nadi hi lagadi tabhi unki nazar Ansh ki godh mai so rahi ek chhoti bacchi pe gayi to woh puchne lage..

Ramesh chacha : "Ansh yeh bacchi kon hai...?"

Ansh ne unhe shant rehne ko kaha kyuki unke bolne se Angy ki neend kharab na ho jaye aur usse apne room mai le jakar leta diya..

Ansh wapas bahar aaya aur Ramesh chacha ko dekh kar bola...

Ansh : "Chacha ji woh hamaare sath reh sakti hai mai uske paise bhi de dunga.. "

Yeh sun Ramesh chacha bole..

Ramesh Chacha : "Han tum usse yaha rakh sakte ho par usse pehele yeh batao ki woh ladki kon hai aur usse kaha se le aaye..?

Dekho beta mujhe koi police ka chakkar nahi chaiye.."

Yeh sun Ansh bola..

Ansh : "Arre Chacha ji aap fikr mat kijiye us bacchi ko ek parivaar raste mai chhod kar chala gya tha woh bahut ro rahi thi isliye mai usse apne sath le aaya...

Aur chacha ji mai uska yaha rehne ka rent pay kar dunga... "

Yeh sun Ramesh Chacha bola..

Ramesh Chacha : "Thik hai mujhe kya pareshaani ho sakti hai agar tum paise dene ke liye tayar ho par beta ek salaah du tumhe ese hi kisi ki madad karne ki jarurat nahi hai..

Agar khud ke pass paise na ho to dusro ki madad nahi karni chaiye.. "

Itna bol Ramesh apne kamre mai sone chala gya wahi Ansh bhi kitchen mai kuch khane ka samn lekr room mai gya usne dekha Angy bahut gehri neend mai hai..

Angy ke gaalo mai abhi bhi kuch aansuon ke nishaan dekhe ja sakte the usse dekh Ansh ko apna ateet yaad aa gya aur uski aankhon mai ek nafrat ki lehar aakar gayi Ansh ne apni aankhen kuch der band ki aur kholi ab woh normal tha...

Ansh ne Angy ko dekha aur apne man mai hi ek pakka irada karte hue kaha..

'Mujhe nahi pata tum kon ho ya kaha se aayi tumhara wajood kya hai par ab chahe jo bhi ho tum meri behen ho aur tumhari maa ne mere upar ek ehsaan kara hai jisse shyd mai es duniya mai thik se jee pau..

Aur jab tak mai jinda hu koi bhi meri behen ko kesa bhi nuksaan nahi kar sakta yeh mera vaada hai.. '

Fir Ansh jo apne sath laaya tha usse wahi pass mai rakh diya fir almaari mai se ek kambal nikala aur wahi jameen pe chaddar phela kar so gya kyuki bistar pe kewal ek hi insaan so sakta tha woh bistar chhota tha isliye..

Next Morning..

Jab Angy ki aankhen khuli to usne apne aap ko ek anjaan jagha pe paya isliye woh acchanak gala phaad kar rone lagi jisse Ansh ki nind khul gayi woh jldi se utha aur Angy ke pass gya wahi Angy ke rone ki awaaz itni tez thi ki paas ke room mai Ramesh jo apni dukaan kholne ke liye tayar ho raha tha turant aur Ansh ke kamre mai chala gya..

Ansh ka room zada bada nahi tha usme ek bistar ek almera aur ek chhoti si table thi jispe kuch saman rakha hua tha aur iske baad bhi room mai sirf 3 aadmi hi jameen pe so sake utni hi jagha bachi thi..

Ramesh Ansh ke room mai aaya aur usne apne kaano pe hath hath rakhe hue the aur bola..

Ramesh : "Arre Ansh jldi se es bacchi ko chup karwao warna pura maholla idhar hi ikattha ho jayega.. "

Yeh sun Ansh ne kaha..

Ansh : "Aap jaiye mai isse chup karwata hu.. "

Fir Ansh apne dhake kaan ke sath Angy ke pass gya aur usse shant karne lage Ansh ko dekhkar Angy ko kal raat beeti hui saari baatein yaad aa gayi..

Usne rona band kar diya aur Ansh ko dekhne lagi rone se uske naak aur gaal dono laal ho gaye the jisse Angu bahut cute dikh rahi thi..

Angy ko shant dekhkar Ansh ne ek raahat ki saans li aur bola..

Ansh : "Angy kya hua ro kyu rahi thi kya tumhe tumhari maa ki yaad aa rahi hai?"

Angy ne apna sar han mai hila diya..

Yeh dekh Ansh bola..

Ansh : "Angy to bahut pyari bacchi hai aur strong bhi tumhe yaad hai na tumhari maa ne kya kaha tha isliye ab rona band karo.. "

Fir Ansh ne apna hath aage badhaya Angy ke aansu saaf karne ke liye..

Fir Ansh uske gaal sehlate hue bola..

Ansh : "Tum ek bahadur bacchi hona aur ab se mai tumhara bhai hu.."

Yeh sun Angu ne apni gardan han mai hilai yeh dekh Ansh aage bola..

Ansh : "Ab se tumhe rona nahi hai Angy aur han mai to shyd strong nahi ho sakta par agar tum apni maa ko dhundna chahti ho to tumhe bahut mehnat karni hogi aur strong banna hoga...

Aur strong banne ke baad tum un logo ko saza de paogi.. "

Yeh sun Angy ki aankhon mai chamak aa gayi fir woh apni pyari aur cute si meethi awaaz mai boli..

Angy : "Sach mai Ansh bhai mai esa kar sakti hu... "

Ansh : "Han tum esa kar sakti ho aur jarur karogi tum ek din bahut strong banogi...."

Ange ne han mai apna sar hilaya aur kaha..

Angy : "han mai ek din bahut strong banungi aur un sab bure logo ko saza dungi.. "

Yeh sun Ansh ne Angy ka sar hilaya aur usse kuch baatein batane laga ki usse Ramesh Chacha ke samne kya bolna hai aur kese sabhi se baat karni hai..

Angy ko sab samjhane ke baad Ansh ne Angy ko kuch khane ko diya aur fir woh bhi apne kaamo mai jut gya Ansh ne sabse pehele Ramesh Chacha ki unki dukaan pe madad kari aur fir shaam ko woh Angy ke sath es baar koi alag jagha pe gya jaha aas paas aur koi nahi tha..

Kyuki us dhamake ke baad se us pahaad ke aas pass bahut zada hal chal mach gayi hai kayi saare log us jagha pe talaashi kar rahe the ki yeh dhamaka kese hue police ne bhi waha aas pass kisi ko bhi aane se mana kar diya tha..

Isliye Ansh Angy ko lekar ek khali medaan mai aaya tha jaha aas pass koi nahi tha Ansh aur Angy waha pe training karne lage par Ansh ko Angy ki martial arts bahut ajeeb lagi jab usne pucha to..

Ansh : "yeh konsi martial arts hai?"

Angy ne kaha..

Angy : "yeh hamaari divine valley ki techniques hai par inhe sirf koi divine valley wala hi koi vyakti seekh sakta hai... "

Yeh sun Ansh ne aage kuch nahi pucha kyuki woh smjh gya tha blood se jude hue kuch raaz hote hai jese es duniya ki sabse badi 10 family hi lelo un sab mai bhi esi hi technique hoti hai jinhe sirf us khoon wala vyakti hi seekh sakta hai koi

Aur han koi bahar wala bhi yeh technique seekh sakta hai par woh us power ka istemaal puri tarah nahi kar sakta woh us technique ka sirf 5℅ hi istemaal kar payega kyuki woh technique sirf khoon se jude hue hai khoon jitna sudh taakat utni zada..

Ansh yeh sab sochte sochte hi kayi kho gya tha tabhi usse Angy ki awaaz sunai di..

Angy : "Ansh bhai aap kahakho gaye? "

Tab jakar Ansh hosh mai aaya aur kaha..

Ansh : "Chalo apni techniques ki practice karte hai.. "

Angy ke pass martial techniques hai yeh baat to smjh aati hai lekin Ansh ke pass martial arts ki techniques kaha sa aayi hongi? soch kar batana aap sabhi..

Fir ese hi 2 mahine beet gaye the en do mahino ke dauraan Angy ab Ansh ke sath bahut acchi tarah se comfortable ho gayi thi pehele woh jo kuch bhi kahene mai hichkichati thi ab woh bhi khatam ho gayi thi dono sage bhai behen ki tarah reh rahe the Ansh bhi Angy ka apni sagi behen jesa hi khayal rakhta tha..

Dono roj raat ko us khali medaan mai training karne jate en do mahino ke dauraan Ansh ne Angy se un logo ke baare mai aur woh kaha se aayi hai uske baare mai pucha to Angy ne kaha ki uski memories seal kardi hai...

Usse bas itna yaad hai ki kuch bahut taakatvar log the jo unse kisi chij ko haasil karna chahte the aur hamaara parivaar bhi bahut zada taakatvar tha par kuch logo ne sath milkar humla kara tha usme se Angy ko bas ek naam pata tha aur woh naam tha Skye Supreme..

Aur Angy ko bas apni virasat ki techniques yaad thi aur usse kuch yaad nahi tha Angi ki maa ne jane se pehele Angy ki saari memories seal kardi thi aur unhone Ansh ke khoon ki madad se Angy ke khoon ka rang bhi hare se laal kar diya tha..

Unhone jane se pehle Ansh ko bataya tha ki ab yeh khoon 3 saalo ke liye laal hi rahega 3 saal baad Angy ko firse woh process karni hogi jisse Angy ka khoon wapas laal ho jayega..

Ek dopaher Ramesh ke kehne pe Ansh kuch saman lene ke liye Delhi ke main market gya tha..

Usko saman lete lete shaam ho gayi thi Ansh saman lekr market se bahar nikla aur ek bus stop pe beth kar bus ka intezaar karne laga tabhi Ansh ki nazar samne gayi to uski aankhen badi ho gayi aur woh turant uth kar us taraf bhaga wahi rashte par ek Angy ke umar ki bacchi side mai khadi thi aur apne hath mai pehne bracelet ko nikal kar uske samne khade ladke ko dikha rahi thi..

Tabhi us ladke ne us ladki ko dekh hath jhatka jisse woh ladki jo apne hath aage karke khadi thi us par laga aur uske hath mai jo bracelet tha woh uske hath se chhut gya..

Aur rashte mai gol gol ghumkar aage jane laga jisse woh bacchi bhi us bracelet ke piche bhagi aur jab usne woh bracelet pakda tab usne dekha woh rashte ke bich mai hai aur uske samne se ek truck aa raha hai jo bahut speed mai tha yeh dekh us taraf khada lakda jor se cheekhta hai..

Ladka : "Akshita... "

Tabhi kuch duur khade ek aurat aur ek aadmi ki nazar us taraf padi par ab kuch karne mai bahut der ho gayi thi woh truck Akshita se bas 2 feet ki duuri par hi tha ese mai kisi ko bhi kuch na sujhe to yeh bhi ek insaan hi the..

Tabhi woh aurat jor se chillai..

Aurat : "Akshita.... "

[Fuuu....

5.5k+words ka update hai pata nahi kya soch kar 2nd update itna bada likh diya agar aap sabhi ko yeh update psnd aaye to comments and like se es update ke baare mai bata dijiye..

And mai ek new writter hu agar story mai thodi ya kisi word mai thodi galti ho gayi ho to plz bata dena taaki mai aage se uska dhyaan rakhu..

And and and aapne ansh ka pura naam notice kara..

Nahi kara na to jao ek baar pura naam dekho and update 0 ko bhi checkout karo kuch common mil jayega:sad:]
Nice start bro story kamal ki hai let see age kya hota hai.....
 
mistyvixen

mιѕτy τнє мιѕѕιиg lιик 🌠
1,259
2,534
144
Awesome...abhi maine pura padhne ka time toh nhi mila par writing skills badhiya hai.

Keep going on...jaisa ke maine pehle bhi bola hai 10 updates se pehle likes ke baare mein mat sochna...yahan har type ke reader hai...unko kuch toh base chaiye.

Update size apne hisab se rhna. All the best again...reveiw main 5-6 updates ka ek saath hi dete hoon.

Good luck mate 🤞
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Dolar

Dolar

New Member
58
78
19
Awesome...abhi maine pura padhne ka time toh nhi mila par writing skills badhiya hai.
Abhi mujhe apni writing skills mai thoda aur improvement karne ki jarurat hai i think so.
Keep going on...jaisa ke maine pehle bhi bola hai 10 updates se pehle likes ke baare mein mat sochna...
10 update mai mujhe may be 2 ya 3 week lag jayenge kyuki shuru ke 3 updates ko mene pehle se hi likha hua tha and bas un updates ko mene thoda aur acche se present karne ki koshish kari hai maybe update 4 mai mujhe 3 ha 4 days lagenge kyuki woh thoda main hoga..
yahan har type ke reader hai...unko kuch toh base chaiye.
Han base ko update 4 mai hi mil payega..
Update size apne hisab se rhna...
Updates thode long hi rakhne ki koshish karunga may be 5k+ words se zada hi rakhna chahta hu chhote updates mai esa lagta hai shuru hua aur khatm ho gya..
All the best again...reveiw main 5-6 updates ka ek saath hi dete hoon.
Aapke review ka intezar rahega..
Good luck mate 🤞
Thanksss❤❤
 
Dolar

New Member
58
78
19
UPDATE-03
You Have Only 100 chance to pass the test..
Ab tak...

Us darwaje se jo udkar aayi thi woh ek aurat thi jiske sath ek 4 saal ki bacchi bhi thi us bacchi ka naam Angy tha aur us Aurat aur us bacchi ki jaan ke piche kuch log pade hue the woh Aurat ansh ko 2 level ke peak pe pahucha deti hai aur Ansh se apni beti ka dhyan rakhne ke liye kehti hai Ansh bhi Angy ko apni sagi behen ki tarah rakhna ka waada karta hai..

Jane se pehele woh aurat Ansh ko ek locket bhi deti hai jo usse ek space portal ke pass mila tha..

Ese hi ek din Ansh Ramesh chacha ka kuch samn lene delhi ke main market aaya tha kab woh ja raha tha to usse apne samne ek bacchi raste ke bicho bich khadi hui dikhti hai...

Ab aage..

Akshita naam ki ek bacchi rashte ke bicho bich khadi thi aur ab truck usse 2 feet ki duuri pe tha us aurat ki yeh dekh kar ek cheekh nikal gayi aur usne apni aankhen band karli wahi us aadmi ne aage badhne ki koshish kari par woh truck bahut speed mai tha woh us tak pahuchta usse pehele hi woh truck Akshita ko kuchal deta....

Tabhi koi dharam ke sath us truck se takraya aur us truck se takrane se duur ja kar gira uske niche girne ke baad uske aas paas bahut saara khoon phelne laga wahi woh truck bhi ek jhatke se ruk gya aur uske tiers ke ghisne ki awaaz aane lagi tabhi woh ladka jo us ladki matlab Akshita ke sath khada tha...

Woh turant Akshita bolkar ek taraf bhaga wahi Akshita jo road ke side mai giri thi par jor se patthar pe sar lagne se behosh ho gayi thi woh aurat aur woh aadmi bhi us ladki ke pass aaye aur woh aurat us ladki ko apne seene se laga kar rone lagi..

Tabhi woh aurat boli..

Aurat : "Preetam ja kar dekho woh kon tha uska jaldi ilaaj karwao..."

Yeh sun woh aadmi jiska naam Preetam Suryavanshi tha woh jldi us taraf gya aur us bacche ko dekha jisne uski jaan se pyaari bacchi ko bachaya tha..

Yeh aur koi nahi hamaara hero Ansh hi tha jisne us bacchi ko rashte pe ja kar dekha tha isliye woh jldi se us taraf gya aur jab usne dekha ki truck us bacchi ko kuchalne wala hai woh jldi se dauda aur us bacchi ko side mai dhakka dekar side mai phek diya aur khud truck ke aage aa gya..

Preetam ji ne jhuk kar Ansh ki haalat dekhi Ansh ka pura shareer khoon se naha gya tha Preetam ne jldi se Ansh ka hath pakda aur apni energy se uski chhoto ki jaach kari jab unhone uski chhote dekhi to woh khud ek pal ke liye hil gaye Ansh ki saansein bahut gheemi
ho gayi thi yeh dekhkar Preetam ji bahut dar gaye the..

Aakhir kaar Ansh ki yeh haalat unki bacchi ki jaan bachane se hi hui thi Ansh ki bahut si haddiyan tut gayi thi aur woh maut ke aadhe kadam ki duuri par tha par woh shyd marna nahi chahta tha warna girte hi uski maut ho jani chahiye thi..

Tabhi waha Ambulance bhi aa gayi Preetam ji ne apni energy ka kuch hissa Ansh ki body mai bheja jo uski chhoto ko dabane lagi kuch der baar Preetam ji unki patni Priya ji aur unke bacche wahi Akshita jo 5 saal ki hai aur Akshat jo Ansh ki hi umar ka tha matlab 7 ya 8 saal ka..

Woh sabhi log ab ICU ke bahar bethe the aur Andar Ansh ka operation chal raha tha tabhi wahi bethi Priya ji boli..

Priya : "kya aapne uske ghar walo ko inform kar diya aapne..."

Yeh sun Preetam ji bole..

Preetam : "uska koi parivaar nahi hai uski ek behen hai jo pass ke hi town mai rehti hai mene usse yaha bula liya hai aur usse yaha laane ke liye ek car bhi bhej di hai.."

Tabhi Priya ji boli..

Priya : "Kya uska koi nahi hai kya woh anaath hai?"

Preetam ji ne apna sar han mai hila diya aur bole..

Preetam : "es bacche ne hum par aaj ek bahut bada ehsaan kara hai Priya usse yaha aate wakt hi ab tak shyd usse mar jana chaiye tha par woh zinda raha bas apni behen ke kaaran..

Usne behoshi ki haalat mai bhi bas mujhse itna maanga *agar mujhe kuch ho jata hai to hum uski behen ka dhyaan rakhe..* "

Priya ji apni pati ki baat sun kar bahut zada dukhi hui wahi unki godh mai bethi Akshita boli..

Akshita : "maa kya woh bhaiya nahi bachenge..?"

Yeh sun Priya ji ne Akshita ka sar sehlaya aur kaha..

Priya : "usse kuch nahi hoga woh jaldi hi thik ho jayenge.. "

Tabhi unke baaju mai betha Akshit rote hue bola..

Akshit : "Papa maa yeh meri galti hai agar mai Akshita ka bracelet nahi girata to woh lene hi nahi jati aur na hi yeh sab hota... "

Akshat ki yeh baat sunkar uske baaju mai bethe hue Preetam ji usse godh mai lekar beth gaye aur usse samjhane lage ki isme uski koi galti nahi hai tabhi ek bacchi us corridor mai aayi woh bacchi kisi chini gudiya jesi thi woh bhagkar us ICU room ke paas gayi aur boli..

Bacchi : "mera bhai andar hai, unhe kya hua hai driver uncle....?"

Us bacchi ne apne peeche aate hue driver se pucha tabhi Priya ji waha aayi aur us bacchi ko dekh kar thodi heraan ho gayi ki yahi Ansh ki behen hai unhe laga Ansh ki badi behen hogi lekin yeh to unki beti jitni hi chhoti thi...

Unka dil aur beth gya kyuki es bacchi ke pehele se maa baap nahi the aur ek bhai tha woh bhi shyd aaj na rahe woh us bacchi ke aage gayi aur uske dono hatho ko pakad kar boli...

Priya : "beta aapka naam kya..?"

Apne samne kisi anjaan ko dekh kar woh bacchi dar gayi par dheere se boli..

Bacchi : "aunty mere naam Angy hai.. "

Priya ji usse darte dekh boli..

Priya : "Angy beta daro mat aapke bhai na bahut jaldi thik ho jayenge unhe kuch nahi hua hai bas ek chhota sa accident ho gya tha woh aapko dikh rahi hai.. "

Priya ji ne Akshita ki taraf ishaara kiya to Angy ne us taraf dekha fir Priya ji aage boli..

Priya : "Aapke bhai na bahut bahadur hai unhone unki jaan bachayi hai par inme unke chhot lag gayi isliye woh andar hai.. "

Yeh sun Angy jo kabse ro rahi thi woh subakte hue boli..

Angy : "Sach mai aunty bhai thik hai..?"

Priya ji ne han mai sar hilaya aur Angy ko apni godh mai lekar wahi bench par wapas beth gayi..

Abhi woh log operation theatre ke bahar bethe hi the ki kabhi ek nurse bahar aayi to Preetam ji ne turant us nurse ke pass gaye aur pucha..

Preetam :"nurse woh baccha kesa hai..?"

Yeh sun woh nurse jo hadbadi mai kayi ja rahi thi woh Preetam ji ke sawal pe boli..

Nurse : "sir hum abhi aapko kuch nahi keh sakte us bacche ki condition bahut serious hai usko bahut chhote aayi hai agar woh thik ho bhi gya to hum yeh nahi keh sakte ki woh uthega shyd woh coma mai bhi ja sakta hai.."

Yeh sun Priya ji aur Preetam ji bahut zada shock nahi hue par unhe bahut bura laga fir woh nurse waha se chali gayi tabhi preetam ji ke hath mai ek black color ka digital kada tha woh achanak blue light se chamakne laga...

To Preetam ji ne ek baar Priya ji ko dekha jo unhe hi dekh rahi thi unhone ek baad apni palke jhapkai to Preetam ji waha se chale gaye aur ek khali ward dekh kar uske andar chale gaye waha ja kar unhone apne hath mai pehne kade ko ek baar tap kiya..

Jisse acchanak ek blue roshni aayi aur samne ek hologram aa gya Preetam ji ke samne ek budhe aadmi ka hologram nazar aane laga usse dekh Preetam ji ne kaha..

Preetam : "Pitaji aap..!! "

Yeh budha aadmi hai Preetam ji ke pitaji aur duniya ke 6 sabse taakatvar parivaar ke head Karanveer Suryavanshi..

Karanveer ji bole..

Karanveer : "tumhe kab ka aa jana chaiye tha par tum kaha reh gaye abhi tak haveli kyu nahi pahuche.. "

Yeh sun Preetam ji ne unhe rashte mai jo kuch bhi hua woh sab bata diya woh sab sunkar Karanveer ji bole..

Karanveer : "thik ha woh baccha ek baar thik ho jaye to usse haveli le aao agar mere bass mai hua to mai usse coma se jaga dunga warna mai parivaar ke purane buzurgon se kahunga.. "

Yeh sun Preetam ji khush ho gaye aur wapis ussi corridor mai chale gaye..

**Suryavanshi Haveli... **

Wahi Suryavanshi haveli mai Karanveer ji apne study room mai bethe the tabhi unhone kaha..

Karanveer : "Vikrant.... "

Kabhi ek kaale kapde pehna vyakti unke samne aaya usse dekh Karanveer ji bole..

Karanveer : "Hospital mai jis bacche ko Preetam ne admit karwaya hai uski photo aur uski details nikalo.. "

Yeh sun Vikrant turant us room se chala gya aur kuch hi minutes mai Vikrant waha wapas aaya aur kaha..

Vikrant : "Head yeh us ladke ki photo hai.. "

Yeh sun Karanveer ji ne photo li aur dekhne lage wahi Vikrant aage bola..

Vikrant : "Aur head uski baaki details nikalne mai time lagega kyuki uski 8 mahine ki hi details mili hai usse pehle woh kaha tha pata nahi chala.. "

Yeh bol vikrant waha se jane laga abhi vikrant waha se ja hi raha tha ki tabhi Karanveer ji ne usse rok liya aur bole..

Karanveer : "Iski koi jarurat nahi hai ab rehne do aur ho sake to best doctors ki team hospital bhejo us bacche ko kuch nahi hona chaiye.. "

Yeh sun vikrant heraan ho gya Kyuki Karanveer ji thode sakht the woh kabhi kisi aur se matlab nahi rakhte the woh sirf apne pote aur potiyo se hi naram aawaaz mai baat karte the aur apne parivaar ke shivaay woh kabhi kisi aur ke baare mai kabhi nahi sochte the..

Wahi Vikrant ne koi aur sawaal nahi kiya aur waha se chala gya wahi uske jane ke baad Karanveer ji ne Ansh ki photo phir se uthaayi aur kaha Mujhe nahi pata kyu unki aankhon mai ek narmi utar aayi thi..

"Tum bilkul unke jese ho par tumhare yaha aane ke baad hi pata chalega asal mai tum ho kon.. "

Wahi hospital mai kuch hi der mai Karanveer ji ke kehne par duniya ke best doctor ki team ko waha lagaya gya aur Ansh ka treatment shuru hua wahi Preetam ji aur Priya ji bhi heraan the Karanveer ji ke es behavior se..

Ansh ka operation pure 9 ghante chale wahi Angy jo kabse bahar bethi thi woh kuch na hi kha rahi thi aur na hi kuch pii rahi thi Priya ji ne usse kisi tarah khana khilaya aur pass ke hi ek ward mai jakar sula diya wahi unhone Akshat aur Akshita ko bhi ghar bhej diya tha..

Woh dono jana to nahi chahte the par unhe majbooran jana pada wahi jab doctors bahar aaye to Priya ji ne doctors se Ansh ki haalat ke baare mai pucha..

Doctor : "Dekhiye Mr. and Mrs. Suryavanshi woh ladka ab thik hai aur ab woh khatre se bhi bahar hai par.. "

Par kehkar doctor chhup ho gaye to Preetam ji bole..

Preetam : "par kya doctor...?"

To doctor bole..

Doctor : "Mr. Suryavanshi Ansh ab khatre se bahar hai par woh abhi coma mai hai ab woh kab jagega hume nahi pata..."

Yeh sun Preetam ji aur Priya ji shocked to hue lekin fir bhi unhone apne aap ko kisi tarah shant rakha unhone es possibility ke baare mai pehele hi soch liya tha..

Kuch der baad Ansh ko ek VIP ward mai shift kar diya gya Angy Ansh ke pass bethi thi wahi Preetam ji aur Priya ji darwaje ke kaanch se unhe dekh rahe the tabhi Priya ji boli..

Priya : "Mene faisla kar liya hai abse Angy aur Ansh dono hamaare sath rahenge.. "

Yeh sun Preetam ji bole..

Preetam : "Priya chinta mat karo pitaji ne khud Ansh ko waha lane ko bola hai Ansh aur Angy hamaare sath hi rahenge..."

Yeh sun Priya ji ke chehre pe ek smile aa gayi tabhi Preetam ji bole

Preetam : "wese yeh meri galti hai mai ek celestial hu agar mai us time par shanti se aur jaldi kaam karta to mai us truck ko aaram se rok sakta tha isliye isme saari meri galti hai.. "

[Celestial ek rank hai jo log secret mission se jude hue hai unme woh log jab apna 1st evolution ke baad dusre planet jate hai to unhe celestial kaha jata hai aur unki taaqat itni hoti hai ki woh apne ek attack se 1000 se bhi zada 10th level ke insaano ko khatam kar sake..

Yeh shuru ke 10 level warriors level hote hai aur insaan earth pe 10th level se aage nahi ja sakta usse aage jane ke liye unhe dusre planet jana hi hoga aur wahi se unke naye safar ki shuruaat hogi..]

Yeh sun Priya ji boli..

Priya : "Isme aapki koi galti nahi hai agar koi bhi maa baap apne bacche ko khatre mai dekhenge to woh jaldi koi bhi faisla nahi le payenge mai bhi to wahi thi par mai bhi jldi se koi faisla nahi le paayi.. "

Wahi VIP ward ke andar Ansh ke pass Angy bethi hui thi..

Angy : "bhaiya aapko pata hai aapne to mujhe dara hi diya tha aapko pata hai mujhe laga aap bhi mujhe chhod kar chale jaoge.. "

Angy Ansh se baatein kar rahi thi kabhi Angy ko kuch yaad aaya aur usne woh locket nikala jisse uski maa ne uske Ansh bhai ko diya tha..

Woh locket Angy ne nikala aur usse Ansh ko pehna diya woh locket jab Ansh ka accident hua tha tab uske gale mai tha aur uspar bhi khoon lag gya tha par abhi woh ek dam naya jesa lag raha tha uspar khoon ka ek bhi nishaan nahi tha..

Wahi Angy ke ansh ke gale mai woh locket bandhte hi ward ka darwaja khula aur Priya ji Angy ko waha se le gayi par kisi ka bhi dhyan us locket par nahi gya jo Ansh ke gale mai jate hi wapas pura laal ho gya tha aur thoda vibrate bhi ho raha tha..

Tabhi us locket se ek blue light nikli jo Ansh ke sar mai chali gayi kuch der baad Ansh ne apne aap ko ek andheri jagha par paya yeh dekh Ansh bola..

Ansh : "Kya mai mar gya hu? yeh kya hai yaha itna andhera kyu hai nahi mai itni jaldi nahi mar sakta.. "

Tabhi Ansh ko ek awaaz sunai di yeh awaaz ek budhe aadmi ki thi par es awaaz mai ek alag hi dabaav tha jo kisi ki bhi aatma ko janjor ke rakh de woh budhi awaaz aayi..

Awaaz : "Tum es jagha par aaye ho to iska matlab hai ki tumhara khoon es pareekshan(Trial) dene ke liye thik hai.."

Yeh sun Ansh ne pucha..

Ansh : "aap kon hai aur yeh konsi jagha hai aur mai kaha hu.. "

Tabhi woh awaaz wapas aayi..

Awaaz : "tumhare pass jo locket hai yeh uske andar ki ek duniya hai agar tumhe meri BLOOD REVOLUTION SUTRA chaiye to tumhe meri chunoti paar karni hogi warna tumhe marna hoga.. "

Ansh yeh sunkar heraan tha ki uske locket mai itni badi duniya hai woh bola..

Ansh : "kesi chunoti..?"

To awaaz aayi..

Awaaz : "mai tumhari sehan sakti(endurance) aur dimaag ka pareekshan hoga jab tayar ho jao to bata dena agar tum apne logo se wapas milna chahte ho to isse paar karo..

Warna tum kabhi bhi apne logo ko nahi dekh paoge.. "

Yeh sun Ansh heraan aur thoda dar bhi gya..

Awaaz : "Tumhe bas 100 baar yeh pariksha dene ko milega tumhe kam se kam 1 ghante tak bana rehna hai agar tum esa kar paye to tum es chunoti mai pass kehlaoge aur meri sabse taakatvar technique ke laayak bhi.. "

Ansh ko yeh samajh mai aa gya ki woh abhi bhi zinda hai aur agar woh yeh test pass karta hai to usse shyd kuch acchi chij bhi mil sakti hai jisse uski shakti badh sake yeh sab soch kar uske andar ek josh jaag gya..

Tab woh awaaz firse aayi..

Awaaz : "ab 2 minute mai yeh chunoti shuru hogi.. "

Yeh sun Ansh heraan ho gya woh kuch puch paate usse pehele hi woh awaaz firse sunai di..

Awaaz : "agar tum mujhse kuch puchna chahte ho to pehele es chunoti ko paar karo fir hi tum mujhse baat kar sakte ho.. "

Itna bol woh awaaz gayab ho gayi..

Ansh : "Arre yeh to bata jate ki yeh chunoti kesi hai.. "

Tabhi 2 minute beet gaye aur Ansh ke aas pass jo kala andhere tha woh aur bhi zada ghana ho gya aur puri jagah bhi hilne lagi aur aas paas ka space bhi unstable hone laga yeh dekh Ansh pehle to heraan ho gya ki yeh kya ho raha hai..

Tabhi Ansh ke andar ek dard ki lehar uski puri aatma mai daud gayi..

Ansh ne jaldi se apne ulte hath ko dekha to uske hath ka aadha maans kat gya tha aur ab uski haddiyan dikh rahi thi Ansh ke pure shareer mai ek bahut tez dard ki lehar daud gayi aur woh betasaah chillane lage tabhi uske ek per ka maans bhi uske shareer se kat kar alag ho gya..

Bhale hi yeh Ansh ki aatma ka ek hissa tha par dard wahi tha jo asal mai hota..

Ansh ko us kaali andheri jagah par kuch bhi dikhai nahi de raha tha, par use lagatar dard mehsoos ho raha tha. Jaise koi chaku lekar usse kaat raha ho. Ansh ka poora shareer khoon se dhak gaya tha, uske shareer ka ek bhi aisa hiss nahi tha jahaan chot na lagi ho...

Ansh ko ye dard sahate hue abhi 15 second hi hue the ki uske shareer ne uska saath chhod diya aur wo behosh ho gaya aur uski chetna wapas uske bejaan shareer mein chali gayi. Ansh sab sun aur sab mehsoos kar sakta tha, par wo apne shareer ko hila nahi pa raha tha aur na hi apni aankhein khol pa raha tha...

'Ye kya ho raha hai mere saath? Wo dard, woh dard kya tha? Wo sab kya? Wo sapna tha, nahi? Nahi, wo sapna nahi tha...'

Tabhi use kuch awaazein sunayi di...

'Ye to Angy hai, par uske saath yeh sab kon hai..? '

Wahi Ansh hospital ke bed par leta tha. Uske aas paas abhi Angy, Preetam ji, Priya ji, Akshat aur Akshita khade the. Wo sab Ansh ke baare mein hi baat kar rahe the. Wo sab 1 se 2 ghante ke liye wahi baithe rahe, phir wo sab wahan se chale gaye. Ansh un sab ki baat sun pa raha tha...

Ansh ko Angy ko dukhi dekh bahut bura lag raha tha woh fir ek faisla leta aur ek baar fir se us locket ke baare mai sochta hai....

Tabhi uski chetna wapas us locket mai aa jati hai yeh dekh Ansh smjh gya ki woh apni soch se yaha aa ja sakta hai tabhi woh awaaz firse Ansh ko sunai di..

Awaaz : "Tumne ek baar Test diya hai Survival Time 15 seconds ab dusri baar test dena chahte ho ya nahi..."

Tabhi Ansh ne kaha..

Ansh : "Shuru kijiye.. "

Ansh ne ab jab en sabke baare mai socha tab usse ehsaas hua aage shyd woh es test se kuch na kuch to accha haasil kar sakta hai wese bhi uski esi zindagi ka koi matlab nahi hai yahi sab soch kar Ansh ne es test ko dene ke baare mai socha..

Tabhi Ansh ke han kehte hi kuch der mai test shuru ho gya Ansh ne es baar apne mind ko puri tarah ready kara hua tha fir bhi Ansh es dard ko zada se zada 21 second tak hi jhel paya uske baad woh firse behosh ho gya..

Phir wo jab jaaga, tab 3 ghante beet chuke the. Ansh ne phir se ek baar aur yeh test diya, par is baar Ansh ne khud ko 25 second tak tika ke rakha. Phir wo wapas behosh ho gaya...

Ansh ko ab hospital mein ek hafta ho gaya tha. Ansh ne is hafta mein 5 aur challenges diye the, wo ab kam se kam 32 second tak tik pata tha. Par usse ye bahut kam lag raha tha, kyunki usse 1 ghante tak tike rehna tha, jab ki wo abhi tak ek minute bhi theek se nahi tik pata tha...

Par in sab mein Ansh ko ek fayda ho raha tha, uski mental stats grow ho rahe the, uske vichar aur spasht ho rahe the, aur uski ichha shakti aur mazboot ho rahi thi...

Ussi din Priya ji aur Preetam ji ne Ansh ko hospital mein se Suryavanshi haweli mein shift karne ke bare mein socha tha. Wo subah hi Ansh ko lekar Suryavanshi haweli ke liye nikal gaye the. Ansh bhi unki baatein aur apne aas paas kya ho raha hai woh sab mehsoos kar sakta tha. Usse pata tha ki es ek hafta mein Priya ji ne uska bahut dhyan rakha hai, aur Angy bhi roz aakar usse Preetam uncle aur Priya aunty aur Akshat aur Akshita ke saath ki baatein karti thi...

Ansh ke treatment mein lagne wali saari cheezein pehle hi Suryavanshi haveli mai pahuncha di gayi thi. Jab wo log Ansh ko lekar ghar aaye, tab Ansh ka ghar mein bahut garm joshi se swagat hua. Jyada nahi, par thoda bahut tam jham tha...

Karanveer ji jo kab se Ansh ko hi dekhe ja rahe the, bole..

Karanveer : "Preetam, ab Ansh ko uske room mein leta do, main kal se iske ilaj ki jimmedari lunga..."

Ye sun, Preetam ji ne waisa hi kiya jaisa Karanveer ji ne unse karne ke liye kaha tha....

Preetam ji kuch der mein Ansh ko uske bed par theek se leta kar wapas aagaya. Wahi hall mein bacchon ko chhod kar, Priya ji aur kuch Suryavanshi parivaar ke side parivaar ke buzurg bhi khade the. Wahi ek sofe par Karanveer ji baithe hue the...

Karanveer ji bole...

Karanveer : "Preetam, ghar ke baaki sabhi parivaar ko inform kardo, kal tak wo log wapas aajaye. Hume sab se kuch zaroori baat karni hai. Usse pehle, mujhe tum dono se ek baat karni hai...."

Yee sun, Preetam ji aur Priya ji ek dam sawdhan position mein khade ho gaye. Aakhir Suryavanshi parivaar ek army parivaar hai...

Tabhi Karanveer ji ne kaha...

Karanveer : "Ye baat parivaar se judi hui hai. Pehle tum dono yahaan baitho..."

Unke kahne par, Priya ji aur Preetam ji unke samne wale sofe par baith gaye...

To Karanveer ji ne kuch esa kaha jisse sun kar Priya ji aur Preetam ji dono ke hi hosh ud gaye....

Tabhi Preetam ji khade ho gaye aur kaha..

Preetam : "Par pitaji esa kese ho sakta hai Angy par.."

Preetam ji iske aage kuch nahi bol paye lekin unhone himmat karke aage kaha..

"Ansh aur Angy aur Ansh sach mai.. "

Tabhi Priya ji boli..

Priya : "pitaji mai aapko galat nahi bol rahi par ek baar aur jaanch kar lijiye kahi yeh baat galat to nahi.. "

Yeh sun Karanveer ji bole..

Karanveer : "Yeh baat ek dam 100% thik hai.. "

Aur fir unhone ek paper un dono ke samne kar diya jisme ek 7 saal ke bacche ki photo thi yeh aur koi nahi Ansh hi tha..

Karanveer ji bole..

Karanveer : "Yeh Rajvansh parivaar ne 7-8 mahine pehle jaari ki thi aur maine Ansh ki thodi jaanch bhi karvai. Tab mujhe uske 8 mahino pehele ki hi details mili, par baaki ki jaankari nahi mili. Par us paper mein kahin par bhi ye nahi likha tha ki wo Rajvansh parivaar ne chhapvaya hai. Usmein sirf itna likha tha ki ek bade businessman ka beta kho gaya hai...

Aur isi jaanch ke dauran mujhe pata chala ki Angy Ansh ki sagi behen nahi hai. Par mujhe pata nahi kyun Angy ka koi record hi nahi mila. Wo bacchi Ansh ke saath pichle 3 mahino se hai, lagbhag. Par usse pehle wo kahan thi aur wo kaun hai, mujhe kuch bhi pata nahi chal paya..."

Ye sun, Preetam ji aur Priya ji kuch der ke liye soch mein gum ho gaye. Tabhi Karanveer ji ki awaaz se wo apni soch se bahar aaye...

Karanveer : "Dekho, ye sab baat to kabhi bhi ho sakti hai, par maine tum dono aur in sab ko isliye yahaan bulaya hai kyunki main chahta hoon Preetam aur Priya, tum dono Ansh aur Angy ko godh lelo aur Ansh aur Angy ko wo sab hak milen jo hamare parivaar ke bacchon ke paas hain. Bhale hi Ansh aur Angy hamari secret technique ko poori tarah nahi seekh sakte, phir bhi wo dono baaki technique ki practice kar sakte hain... "

Ye sun, buzurgo mein se kisi ne bhi Karanveer ji ki baaton ke liye mana nahi kiya. Kyun ki Karanveer ji bahut ziddi the, aur dusra wo jab se parivaar ke head hain, tab se lekar aaj tak unhone koi bhi demand nahi ki thi. Ye pehli baar tha jab wo parivaar ke buzurgo ke saath meeting kar rahe the...

Parivaar mein sirf buzurgo aur unke do bete aur pote potiyo ke alawa, kisi ne bhi bahari duniya mein Karanveer ji ko nahi dekha hai. Wo kabhi bhi jyada bahar nahi jaate hain, wo hamesha duniya se duur hi rehte hain. Isliye koi bhi unki vaastavik shakti ke baare mein nahi janta hai...

Kuch der baad, sabhi buzurg bhi chale gaye. Tabhi Karanveer ji ne Priya aur Preetam ko apne peeche aane ko kaha, aur wo teeno study room mein chale gaye. Study room mein aane ke baad, Karanveer ji ne apna haath hilaya, jismein achanak barf jesi hawa ikattha ho gayi...

Karanveer ji ne achanak apna haath ghumaya, aur unke haath mein jo thandi hawa jama hui thi, wo pure kamre mein phail gayi aur ek kavach bana diya, jisse bahar ka koi bhi vyakti unki baat na sun sake...

Tabhi Preetam ji jo kab se Karanveer ji se kuch puchna chahte the, woh bole..

Preetam : "Pitaji, aapne kaha ki Ansh ka ek parivaar hai aur wo usse khoj raha hai, to fir hum use godh kaise le sakte hain?"

Ye sun kar Karanveer ji bole..

Karanveer : "Pata hai mujhe, maine isiliye tum dono ko yahaan bulaya hai. Ab meri baat dhyan se suno. Us paper mein Ansh ko khojne ke liye news dene wala abhi ka sabse takatwar kehlane wala parivaar Rajvansh parivaar hai."

Ye sun kar Priya aur Preetam hairaan ho gaye to Priya ji boli..

Priya : "Par pitaji, usmein to kisi businessman ke baare mai likha hua tha...."

Ye sun kar Karanveer ji bole..

Karanveer : "Mujhe nahi pata Rajvansh parivaar mein kya chal raha hai, par jahaan tak maine pata lagvaya hai, ye 100% sach hai ki Ansh Rajvansh parivaar se hai. Par ye bhi sach hai ki uska pure Rajvansh parivaar se koi bhi naam juda hua nahi hai.. "

Par ye khabar news mein dene wala insaan Rajvansh parivaar ka head hai. Isliye mujhe lagta hai in sab mein bahut bada jhol hai..."

Ye sun kar Preetam ji bole..

Preetam : "To pitaji, kya humein Rajvansh parivaar ko inform karna chahiye..?"

Ye sun kar Priya ji ko bahut dukh hua, kyunki unhein Ansh ko yahaan se nahi jaane dena tha...

Par karanveer ji Preetam ki baat par bole..

Karanveer : "Esa nahi hai mene yeh socha nahi par mujhe en sabme koi saazish lagti hai jisse shyd Ansh ko khatra ho sakta hai, isliye mai chahta hu ki tum Ansh aur Angy ko godh lelo aur yeh baat daba do ki Ansh kaun hai yeh baat hamaare parivaar se bahar nahi jani chaiye.. "

Yeh sun Preetam ji aur Priya ji ne han kaha fir woh dono bahar aa gaye Priya ji ke chehre pe to smile jane ka naam nahi le rahi thi jisse dekh Preetam ji ko thoda bura lag raha tha woh apne man mai bole..

'Priya tum ese hi hamesha khush raho par mai nahi chahta ki kabhi Ansh ke jane se tum dukhi ho jao.. '

Darasal, Preetam ji ko pata tha ki Priya Ansh aur Angy ko godh lena chahti hain, par agar kisi din Ansh unse door jaane ki baat kahega, to wo unke liye bahut dukh bhara hoga...

Fir aise hi kuch din beet gaye. In dinon mein, Ansh ne ek bhi baar wo test nahi diya, Kyunki har waqt uske paas koi na koi hota hi tha, aur wo jab bhi test deta tha, uski dil ki dhadkanen ek dam dheemi ho jati thi. Isliye wo abhi kisi ko darana nahi chahta tha...

Kuch din baad, Karanveer ji ka doosra beta aur Preetam ji ka chhota bhai aur unki patni wapas aagaye. Wo log business mein achhe the, isliye unhe apne bacchon ke saath business se related chijon ke liye kuch din ke liye videsh jaana padta tha.

Karanveer ji ke chhote bete ka naam Ranjit Suryavanshi aur unki patni Meera Suryavanshi. Unke do bachche hain, ek Vineet aur doosri Vanya, dono hi judwaan hain.

Wahi Angy sabhi ghar walon se mil chuki thi aur Karanveer ji to Angy ko aur bhi zada pasand karne lage the, kyunki wo Akshat jitni hi talented thi, wo dono hi level 4 par the. Vanya aur Vineet bhi level 3 par hi the, jab ki Akshita level 3 par thi.

Wahi, kuch din baad Karanveer ji ne sabhi ko hall mein bulaya. Sabhi aagaye wahan Karanveer ji Ansh ko lekar Suryavanshi parivaar ke bade buzurgo ke paas le jane ki baat karne wale the. Ranjit ji aur Meera ko bhi Ansh aur Angy ke baare mein bataya gaya tha. Wo log bhi chahte the ki Ansh aur Angy unke saath hi rahe.

Jab sabhi baith gaye, to Karanveer ji ne kaha..

Karanveer : "Main Ansh ko theek karne ke liye ab bade buzurgo ke paas jaane wala hoon. Wahan main apne element ka bhi theek se upyog kar paunga. Agar kuch gadbad hogi, to pitaji us cheez ko sambhal sakte hain... "

Darasal, is duniya mein element bhi bahut important hai. Jab koi evolve hokar celestial banta hai, tab wo apne andar apne gene art ke hisab se element ki practice kar sakta hai. Par agar kisi ka element uske gene art se mel nahi khata hai, to use wo badalna padta hai. Aur jyadatar parivaaron mein sabhi ke element ek jaise hi hote hain. Wo jyadatar wahi element jagate hain jo unke parivaar mein pehle se chala aa raha hai.

Ye sab khoon Ki wajah se hota hai, par kuch kuch baar koi 2 element bhi awake karta hai, aur kuch baar ek hi parivaar ke hote hue bhi element alag-alag hote hain.

Jab koi celestial level par aata hai, tab wo apne andar element ko mehsoos kar sakta hai aur unhen taakat badhane ke liye upyog kar sakta hai. Par wo log apne element ko apne shareer se bahar nahi nikal sakte hain. Wo tabhi ho sakta hai jab koi insaan demi god level par pahuche.

Demi god level par insaan apne element se hamla bhi kar sakta hai. Suryavanshi parivaar ke paas mind element ki power hai. Family mai baat karne ke baat uske agle din, Karanveer ji Ansh ko ek wheel chair ke saath lekar parivaar ke andhrooni hissein mein le gaye, jahaan sabhi buzurg aur pehle ke mukhiya rehte the.

Karanveer ji Ansh ko ek bade se mahel jaise ghar mein le gaye bahar se wo haweli ek dam purane raja maharaja ke samay ki lag rahi thi. Woh poori haweli bahar se kaale aur brown color se bani thi, jaise kisi bhoot ka ghar ho. Par jab Karanveer ji Ansh ko lekar andar gaye, to andar ka nazara hi kuch aur tha..

Andar har taraf modern machines lagi hui thi wahan beecho bich mein ek fountain tha. Uske peeche ek chamakdar darwaza tha jo kabhi kabhi chamak raha tha, aur usmein se kuch insaan aa ja rahe the. Wo sabhi kuch aadhe budhe log the, aur kuch Preetam ji ke umar ke the...

Jab un sabhi ne Karanveer ji ko aate hue dekha, to sabhi ne apna sar jhuka kar unko greet kiya...

""Vansh Head""

Tabhi wahan ek insaan aaya aur bola..

Insaan : "Vansh Head, aap yahaan.."

Tabhi vansh head matlab Karanveer ji bole..

Karanveer : "haan Jatin, main yahaan pitaji se milne aaya hoon... "

Ye sun us Jatin naam ke insaan ne haan kaha, aur unhein ek lift se hote hue ek room ki taraf le jaane laga. Fir wo ek corridor mein chalte hue ek room ke paas aagaye...

Jatin : "Vansh Head, ye aagaya, aapke pitaji ka room..."

Ye sun Karanveer ji ne haan kaha, aur Jatin wahan se chala gaya. Par Jatin ke jaane se pehle, unhone usse roka aur Ansh ke liye ek room aur uski zaroorat ki saari cheezon ka intzaam karvaya. Uske baad Ansh ko Jatin ko saup kar wo room mein chale gaye...

Ansh aur Jatin ke jaane ke baad, Karanveer ji us darwaze ke andar chale gaye. Andar ka kamra bahut bada tha, wo poora kamra thoda mamuli tha. Ek taraf bed aur ek taraf sofa, sab kuch mamuli jaisa hi tha. Bas ek taraf ek rack thi jismein bahut saare hathiyaar rakhe the. Par ye hathiyaar koi mamuli hathiyaar nahi the, ye sabhi black orb metal se bane the, jinka istemal doosri duniya ke aliens se ladne ke liye hota hai...

Is metal ko koi mamuli aadmi nahi khareed sakta, kyunki is metal ka bana ek mamuli khanjar bhi croro ka hoga. Karanveer ji aage badhe, saamne ek bahut khoobsurat patthar ki table thi. Us par ek budha aadmi baitha hua tha. Jab Karanveer ji ne unhe dekha, to wo unke saamne jhuk gaye aur bole.....

Karanveer : "Pitaji.."

Ye sun woh budha vyakti bola..

Budha vyakti : "ye sab karne ki zaroorat nahi hai. Yahaan aakar betho.. "

Unhone apne saamne ishara karte hue kaha..

To Karanveer ji bhi wahan jakar baith gaye. Unke baithne ke baad, wo budha aadmi jiska naam Adhiraj Suryavanshi tha, unki umar 140 saal hai, par fir bhi ye abhi bhi 50-60 saal ke hi lagte hain...

Aankhon mein ek tej, ek dam baaz ki tarah chehra woh bole..

Adhiraj : "Batao Karanveer, kya pata chala us bachche ke baare mein..?"

Fir Karanveer ji ne Ansh ke baare mein jo kuch unhein pata tha, wo sab Adhiraj ji ko bataya. Jisse sun wo thode gambhir ho gaye....

Karanveer ji ki baat khatam hone ke baad, Adhiraj ji ne apni aankhen band kar li. Kuch der, sochne ke baad, unhone apni aankhen kholi aur kaha...

Adhiraj : "Ansh ko yahaan laao, main uski jaanch karta hoon. Shayad mere mind element ki power uski aatma ko takatvaar bana paye aur jisse usse coma se bahar aane mein madad mile.."

Kuch der baad, Ansh ko Adhiraj ji ke room mein laya gaya. Wo ek hare rang ke jade jaise dikhne wale bistar par leta tha. Adhiraj ji ne Ansh ke shareer ke paas gaye aur uska haath pakad liya. Fir wo gambhir bhav ke saath Karanveer ji ko dekha aur kaha...

Adhiraj : "Maine jitna socha tha, usse zyada mehnat lagegi. Mujhe iski aatma bahut kamzor mehsoos ho rahi hai. Par aisa nahi hona chahiye. Jahaan tak main mehsoos kar sakta hoon, ye pehle se level 2 ka ek yoddha hai..

Bhale hi truck isse zor se takraya tha, fir bhi iski aatma ko itna nuksaan nahi pohchna chahiye tha. Ye jo bhi ho raha hai, usmein kuch gadbad hai...

Theek hai, main ek baar iski aatma ko takatwar banane ki koshish karta hoon..."

Iske baad Adhiraj ji ne phir se Ansh ka haath pakad liya. Is baar unke aas-paas ek thandi hawa baheti hui mehsoos ki ja sakti thi. Unke haath mein safed rang ki roshni jalne lagi jo unke haath se hote hue Ansh ke andar ja rahi thi...

Wahi Ansh ki aatma jo us locket ke andar thi, usse sabhi baatein sunai de rahi thi abhi usse bahut se emotions mehsoos ho rahe the, par wo ye jaanna chahta tha ki ye log uski itni madad kyu kar rahe hain...

Tabhi Ansh jo ye sab hi soch raha tha, usse achanak apni aatma mein kuch garam si energy enter karti hui mehsoos hui, achanak Ansh ki apni aatma mein dard shuru ho gya, par Ansh isse dara ya ghabraya nahi. Ulta, uski aankhon mein ek chamak aagayi aur usne apne man mai kaha..

'Yeh jo bhi ya kisi bhi maksad se meri madad kar rahe ho, par ismein mera hi fayda hai. Jahan tak mujhe pata hai mind element mein aatma ko control karne ki power hoti hai..

Isliye isse main apni aatma ko aur takatwar bana sakta hoon. Par fir bhi ye dard mere liye bahut zada hai. Zaroor ye koi takatwar demi god honge..."

Ansh ko sabhi elements aur unki jaankari thi, usse bahut saari cheezon ke baare mein pata tha jisse insaan element ka istemal kar khud ko aur behtar bana sakta hai...

Itna soch Ansh ne zyada sochne bandh kiya aur wahi par apne per modkar baith gaya aur jo energy Adhiraj ji Ansh ke andar bhej rahe the, usse sokhne laga jisse usse apni aatma mein kai suiyon chubne jitna dard ho raha tha, jaise koi sui se uski aatma mein vaar kar raha ho...

Par fir bhi Ansh wo dard sahen karne ki poori koshish kar raha tha, kyunki ye us dard se kam hi tha jo uski aatma ko hazaron tukdon mein kaat deta tha.

Wahi Adhiraj ji jo Ansh ko energy de rahe the, unki aankhen bandh thi, par achanak unki aankhen khul gayi. Unki aankhen upar ho gayi thi. Fir unhone vaapis aankhen bandh kar li aur apni energy ko fir se Ansh ki andar bhejne lage par kuch der baad woh firse heraan ho gaye aur unhone energy bhi bhejna band kar diya aur gambheerta se Ansh ko dekhne lage..

Wahi Karanveer ji jo kab se Adhiraj ji ko Ansh ko energy dete hue dekh rahe the, wo Adhiraj ji ko ruka dekh kar unse puchte hai..

Karanveer : "Pitaji, kya hua? Aapne energy dena kyu bandh kar diya..?"

Ye sun Adhiraj ji kuch der tak kuch nahi bole. Fir unhone Karanveer ji ki taraf dekha aur kaha..

Adhiraj : "Tum yahaan aao aur isse energy dena shuru karo..."

Ye sun Karanveer ji ko kuch samajh nahi aaya, par unhein pata tha Adhiraj ji aise hi kuch nahi kahenge. Isliye wo aage aaye aur Ansh ka haath pakad liya aur uske andar apni energy bhejne lage. Par kuch der baad wo bhi hairan ho gaye aur apna haath wapis le liya...

Wo Adhiraj ji ko dekhne lage, jisse dekh Adhiraj ji bole...

Adhiraj : "Mujhe pata hai tum kya puchhna chahte ho. Mujhe bhi wahi lag raha hai jo tumhein lag raha hai. Aur shayad wo sab is cheez ki wajah se ho raha hai."

Adhiraj ji ne Ansh ke gale mein latke locket ki taraf ishara karte hue kaha..

Tabhi Karanveer ji bole...

Karanveer : "To aap ko kya lagta hai? Yeh kya hai? Mujhe iske andar se koi bhi energy aati hui nahin dikhai de rahi hai. Aur kisi bhi dusre grah se yahaan koi bhi khazana nahin laya ja sakta hai. Aur koi demi god apna koi bhi relic kisi ko nahin de sakta hai...

Aur de bhi de to us demi god ko aas paas hona chahiye. Phir bhi iske andar se energy bahar nahin aa rahi hai par phir bhi yeh cheez hamari energy ko kheech rahi hai. Mujhe yeh samajh nahin aa raha hai, yeh hai kya...?"

Itna bol Karanveer ji thoda ruk kar aage bole..

Karanveer : "Kya humein iisey Ansh se alag karna chahiye..?"

Ye sun Adhiraj ji ne apna haath Ansh ki chhati par rakha aur phir se energy Ansh ke andar daalne lage..

Par kuch der baad unhone wo haath wapis le liya aur Karanveer ji ki taraf thode asamanjas mein dekhte hue kaha...

Adhiraj : "Humein aisa nahin karna chahiye, pata nahin kyu, par mujhe Ansh ki aatma ke saath is cheez ka koi judaav lag raha hai, par abhi main apni shakti se yeh bhi pata nahi kar pa raha hoon. Iska bas ek matlab ho sakta hai, yeh mujhse bhi kayi guna zada taakatvar hai."

Ye sun Karanveer ji bahut zada hairan ho gaye...

Adhiraj ji aage bole...

Adhiraj : "Aur agar humne aise hi is locket ko Ansh se alag kar diya to mujhe bhi nahin pata kya hoga..."

Karanveer : "To humein kya karna chahiye pitaji? Hum bas Ansh ko roz energy dena ka kaam kar sakte hain. Aur haan, yeh baat yahi seal kar do, yeh baat aur kisi ko bhi batane ki koi zaroorat nahi hai..."

Karanveer : "Haan pitaji.."

Karanveer ji bhi yeh samajhte tha ki kisi demi god ki energy ko rokne ki takat rakhne wali cheez mamuli nahin hogi...

Tabhi Karanveer ji ko kuch yaad aaya aur wo bole..

Karanveer : "Pitaji, mujhe abhi yaad aaya. Darasal Ansh jahaan rehta tha, uske peeche ek pahaad hai jahaan kuch mahine pehle ek bahut takatvaar energy blast hua tha...

Aur yeh koi mamuli energy nahin thi, kyunki jab yeh dhamaaka hua, tab us energy ne bahut takatwar adhruuni takat chhodi thi...

Aur wo itni takatwar adhruuni laher thi ki usne shayad poori aadhi prithvi ko cover kiya hoga... "

Ye sun Adhiraj ji soch mein ghoom ho gaye, par unhein kuch bhi aisa yaad nahin aaya ki itna taakatvar kon ho sakta hai isliye woh bole...

Adhiraj : "Kya yeh koi braze se judi cheez ho sakti hai..?"

Ye sun Karanveer ji ne kaha...

Karanveer : "Nahi pitaji, mujhe nahi lagta ki iske peeche braze ka haath hai. Kyunki jis din yeh sab hua, tab humne poori jaanch ki thi. Space mein koi bhi ajeeb harkat nahin hui thi..."

Adhiraj ji ne kuch der socha...

Adhiraj : "Theek hai, tum jao. Ab hum kal Ansh ko energy denge aur iske baare mein kisi se baat mat karna. Aur Rajvansh parivaar par nazar rakhne ki koshish mat karna, warna us buddhe ko pata lag jayega..."

Ye sun Karanveer ji ne haan mein sar hilaaya aur wahan se chale gaye...

Wahi doosri taraf Ansh jo Adhiraj ji ki energy apne andar sokh raha tha. Wo us energy se apni aatma ko strong banane ki koshish kar raha tha...

Par asliyat mein aisa koi doosra insaan nahin kar sakta, kyunki kisi aur ki element energy ka istemaal apne liye karne ka matlab hai khud ko maarna...

Par Ansh ke liye yeh baat alag thi, kyunki yeh duniya Adhiraj ji aur Karanveer ji ki energy ko sokh kar usse shuddh kar rahi tha, jisse Ansh ko us energy ko sokhne mein koi bhi mushkil nahin ho rahi thi...

Jab Ansh ne woh energy sokhli to usse apni aatma mai ek badlaav mehsoos hua kyuki ab uski aatma usko pehele se thodi jyada taakatvar mehsoos ho rahi thi issi ke sath usse apni soch bhi clear hoti hui mehsoos ho rahi thi...

Continue~~
[Yeh update 6.9k+ words ka hai and isme bahut si chijen hui hai to aaram se aur fursat se padhna aur agar es update mai koi mistake ho to bata dena mai usse correct kar dunga taaki future readers ko problem na ho and aage se mistakes ka dhyan bhi rakhunga..

Aur comments aur likes karke mujhe es update ke baare mai jarur batana baaki ka aap sabhi ko agle update mai milega kab tak ke liye byy.. ]
 
Last edited:

Harman11

Active Member
965
1,231
139

Shandar update bhi
 
Top