• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Evolution~Is not end, Is beginning

Dolar

Member
134
259
64
IMG-20241231-221731

Guys mai ek silent reader hu aur yaha itni mast mast story padhkar mera dil mai bhi ek story likhna ka kar diya mai koi professional writter to nahi hu lekin mai fir bhi aap sabke samne apni ek kaalpanik story rakhna chahta hu es story mai aage kya kya aayega woh sab aapko story padhne se pata chal jayega..

Guys Story ka update 8th update is post niche diye hue link se check kar lena..

👇👇


And kya es platform mai incest story hi zada chalti hai fantasy story nahi? :verysad:
 
Last edited:

Harman11

Active Member
985
1,255
139
UPDATE-04
Last Few Second Is Enough To See Our Full Life...

Ab aage...

Ansh jitna jyada wo dard sahen kar raha tha, aur wo energy absorb kar raha tha, uski aatma bhi utni hi takatwar hoti ja rahi thi. Ansh ko apni kamzor aatma mein ek aa saheniye dard mehsoos ho raha tha, par Ansh apne jabade ko kas kar ye dard sahen kar raha tha…

Jab Adhiraj ji ne Ansh ko apni energy dena bandh kiya, tab jaakar Ansh gehri neend mein chala gaya. Agle din subeh Ansh ki chetna jagi, tab usse Karanveer ji aur Adhiraj ji ki baatein sunai di, jisse sun Ansh ko pata chala ki wo phir se apni energy uske andar daalne wale hain…

Ansh ek baar phir se taiyaar ho gaya energy absorb karne ke liye. Thodi der baad Ansh ki aatma phir se vaise hi tadap rahi thi. Aisa hi kuch aur din chala. Aaj 7 din ho gaye the, par aaj jab Ansh ne wo dard saha, tab usse woh dard pehele din se 20% kam laga..

Kyunki itne din wo energy ka dabav jhelne se Ansh ki mental strength aur uski sahen shakti mein izafa hua tha, par wo ye bhi janta tha ki isse uska ab kuch nahin hoga, usse aur dabav chahiye. Par wo ye bhi janta tha ki Adhiraj ji ne abhi tak apni takat ka bas 1% hi istemaal kiya hai. Agar wo apni aadhi ki bhi aadhi takat bhi lagate to uska poora sharir chithdo mein badal jata…

Us din Ansh energy absorb karne ke baad behosh nahin hua tha. Uske baad usne locket wala test diya jisme Ansh apni safalta dekh hairan tha. Ansh is baar poore 1 min 34 second ke liye tik gaya tha. Aise hi karte karte 2 mahine guzar gaye. In do mahino mein Adhiraj ji bhi apni power roz thodi-thodi badha rahe the aur Ansh ne bhi in do mahino mein 10 baar wo trial diya. Ab Ansh 5 minute tak us test mai tikne mai kamyaab tha. Is dauran Ansh ki mental strength bahut improve hui thi.

Ab 6 mahine baad, Ansh ki mental strength aur sahen shakti mein bahut izafa hua tha. Wo ab tak 5 minute tak tikne mein kamiyaab hua tha aur uski mental strength bahut improve hui thi…

Aaj poore 6 mahine bit gaye hain aur jis din Ansh yahaan aaya hai, tab se lekar aaj tak Adhiraj ji ne roz Ansh ko apni energy di hai. Aur in 6 mahino mein Ansh ne bhi bahut safaltaein haasil ki hain. In 6 mahino mein Ansh ne kai baar wo test diya, woh kai baar hara, usne aa saheniya dard sahen karna pada, par Ansh ne haar nahi maani..

Ab Ansh ke paas sirf 2 chance bachey hain…

Ansh : ‘Akhirkaar mein 51 minute tak tikne mein kamiyaab hua, bas ab do chance bachey hain. Mujhe kisi bhi tarah ye test paas karna hi hoga, ye soch kar Ansh phir se dhyan ki mudra mein baith gaya.’

Wo par ab usse Adhiraj ji daali ja rahi energy ab usko koi fayda nahi de rahi thi. Ab usse ye test apne dam par hi paas karna tha. Ansh ne do din tak apne dimaag ko shaant kiya aur phir woh ek baar aur trial mein chala gaya.

Ansh par wahi dabav aagaya jismein Ansh ki aatma ka har ek tukda ho raha tha aur wapas aa raha tha. Ye dard aa sahniye tha, par phir bhi Ansh ne kisi bhi tarah khud ko sambhala aur akhirkaar 55 minute tak tik gaya. Uske baad Ansh behosh ho gaya. Phir Ansh phir se agle din jaga. Ansh ne us poora din dhyan kiya…

Agle din Ansh ne aankhein kholi, uski aankhein ekdam samundar jaisi gehri thi. Uski aankhon mein ek chamak dekhi ja sakti thi…

‘Aaj mere paas bas ek mauka hai, chahe kuch bhi ho jaye, mujhe ye sahan karna hi hoga, chahe kuch bhi ho jaye… “

Ansh ki aankhon mein ek, ek majboot irada dekha ja sakta tha. Main ab 6 mahino se soya hua hoon, ab aur nahin. Maine in 6 mahino mein Angy ko bhi nahin dekha hai. Phir Ansh ne apni aankhein ek baar bandh ki aur ek lambi saans li. Phir wo aankhein khol aage badh gaya aur phir wo us test dene ke liye taiyaar ho gaya.

Kuch der baad Ansh ne test shuru kiya hua aur Ansh ko phir se wahi dard ka ehsaas hua. Phir bhi wo pichhe nahin hata. 10 minute, 20 minute, 30 minute, 40 minute. Ab Ansh ko bahut zada pasina aane laga tha, uski blue aankhein poori laal ho gayi thi. Ansh ne apne daant biche aur apne shareer ko kasa liya.

Aur us dard ko sahan karne ki aur khud ko hosh mein rakhne ki puri koshish kar raha tha. Aise hi 50 minute beet gaye. Ab Ansh ki aankhein dheere-dheere bandh hone lagi thi…

52 minute…

54 minute…

55 minute….

Ab Ansh ki yeh sahan shilta thi, uski aankhein ab adhe se zyada bandh ho gayi thi. Uska poora chehra aur shareer bhi laal ho gaya tha.

Yeh sirf ek aatma thi, agar yeh Ansh ka asli shareer hota to Ansh ab tak kai baar khoon ki ultiyan kar chuka hota. Ab 56 minute ho gaye the..

Ansh ke liye pehle se 55 minute uski seema thi. Ab uske liye ek second bhi dard jhelna bahut mushkil tha. Par Ansh ne haar nahin maani, wo khud ki aatma ko sone se rok raha tha…

58 minute, ab Ansh ke liye yeh sab bahut mushkil ho raha tha. Ansh ki aankhein bandh hone lagi, tabhi usse apne khayaalon mein Ansh ka aur apni dadi ka chehra ka khayal aaya..

‘Main haar nahi sakta, mujhe khud ko jagaana hoga, yeh mera aakhri mauka hai. Maine dadi se vaada kiya hai, main wapas aaunga, main zaroor dadi ke paas wapas jaaunga…”

Ye sab soch kar Ansh ke andar kahaan se jaan aagayi, Ansh ne kisi tarah khud ko jagaaye rakha…

‘Main haar nahin maan sakta.. ‘

Ansh ne apne daant pisse aur dard sahen karne laga, uske daant bhi toot gaye ho aisa lag raha tha usne itni zor se daant pise the…

Ansh ki aankhon ke samne uska pura past ek short film ki tarah dikhai dene lagta hai wese bhi kaha jata hai jab koi insaan apne ant ko dekhle to woh apni puri zindagi bas kuch lamho mai hi dekh leta hai wese hi ab Ansh ke sath ho raha tha..

[Ab story past mai chalegi and mai yeh scene baad mai daalna chahta tha lekin yeh scene yaha rahega to aage confusion nahi hogi.. ]

Rajvansh Family..

Rajvansh family abhi ki sabse taakatvar family hai inka ghar ek artificial jheel ke pass bana hai..

White color ka sang marbal ke patthro se bani ek aalishaan haveli aur uske aas pass 5 kilometre ke andar aur bhi sundar ghar bane hue the..

Aur un sabke bich tha woh Rajvansh haveli darasal bade parivaaro mai ab kahi saare parivaar ke log ek sath rehte hai aur jo main family hoti hai unme se hi kisi ko head chuna jata hai aur agar koi side family mai talented hoto usse apne andar kar leta hai ya family mai koi badi post de dete hai….

To ab baat karte hai Rajvansh parivaar ke baare mai..

Rajendra Rajvansh parivaar ke head aur unki patni Nirmila Rajvansh..

Unke sabse bade bete Rakesh Rajvansh aur unki Patni Sunena Rajvansh..

Rajendra aur Nirmila ke chhote bete Virat Rajvansh aur unki patni Meena Rajvansh…

Rajendra Rajvansh ek demi god hai darasal jo log KYRIOS ke sabhi level ko haasil kar leta hai unhe aur evolve hokar dusre planet par ja sakte hai unhe Celestial kaha jata hai aur fir dusre planet pe woh demi God ban sakte hai..

Rajvansh haveli ke aas paas bahut khubsurat garden bana hua tha jisme tarah tarah ke phul aur ped lage hue the bahar ek dam shanti ka mahol tha par esa hi haveli ke andar ke baare mai nahi kaha ja sakta haveli ke andar Rakesh aur Sunena ke room mai Rakesh Sunena pe chilla raha tha jiski awaaz niche hall tak aa rahi thi..

Wahi hall mai Rajendra ji, Nirmila ji aur baaki sabhi the tabhi Rajendra ji ne ek naukar ko upar jakar Rakesh aur Sunena ko bulane ko kaha to woh naukar upar chala…

Wahi Rakesh abhi bhi Sunena par bhadak raha tha tabhi uske room ke darwaja pe ek knock hui…

Rakesh ne us taraf dekha aur kaha..

Rakesh : “Coming.. “

Tabhi wahi naukar andar aaya aur bola..

Servant : “Maalik-Maalkin bade sahab ne aap dono ko niche bulaya hai.. “

Yeh sun Rakesh ne kaha..

Rakesh :”Thik hai pitaji se kaho hum aa rahe hai…”

Yeh sun woh naukar niche chala gya aur Rajendra ji ko bata diya ji Rakesh ne kaha tha…

Kuch der baad Rakesh aur Sunena bhi niche aa gaye woh sabhi hall mai khade the aur bich wale ek sofe par Rajendra ji bethe the aaj Rajendra ji ki age 80 saal hai fir bhi woh 40-45 saal ke hi lagte hai yeh sab unki strength ki wajah se hai…

Wahi Rakesh aur Sunena bhi Celestial level pe the demi God se ek level niche jese mene pehele bataya tha KYRIOS pe evolve hone ke baad insaan dusre planet jata hai aur waha evolve hokar woh Demi God bante hai..

Isliye Rakesh aur Sunena bhale hi 30 se 35 ke ho fir bhi woh 20 se 25 ke dikhte the Rajendra ji ne undono ko apne samne dekh pucha..

Rajendra : “Kya baat hai tum dono lad kyu rahe ho..?”

Yeh sun Rakesh ji bole..

Rakesh : “Pitaji darasal baat yeh hai ki jab hum apni power level check karne gaye to waha fully body check mai hume pata chala Sunena pregnant hai…”

Yeh sun wahi bethi Nirmila ji khadi hui aur turant Sunena ke pass jakar boli..

Nirmila : “Yeh to bahut acchi baat hai fir tum dono jaghad kyu rahe the.. “

Yeh sun Sunena kuch nahi boli par Rakesh bola..

Rakesh : “Maa woh darasal baat yeh hai ki mujhe aur Sunena ko yeh baccha nahi chaiye…”

Yeh sun Nirmila ji thodi heraan ho gayi aur pucha..

Nirmila : “Woh kyu..?”

To Rakesh bola..

Rakesh : “Maa pitaji mere pehle se hi 2 bete aur ek beti hai aur ab mujhe aur bacche nahi chaiye…”

Yeh sun Nirmila ji ko gussa aa gya aur woh boli..

Nirmila : “Pagal ho gaye ho Rakesh yeh kesi bakwas kar rahe ho baccha nahi chaiye, kya yeh baccha ese hi es duniya mai aayega jab karte waqt sharm nahi aayi aur ab jab baccha paalne ki baat aayi tab sharam aa rahi hai..”

Yeh sun Sunena aur Rakesh ne apna sar niche jhuka liya par tabhi Nirmila ji aa gaye kuch bolti usse pehle piche se Rajendra ji ne unhe rok liya aur phir Rakesh aur Sunena ki taraf dekhkar bole…

Rajendra : "Inhein kuch bhi bolne ka koi fayda nahin hai, ye apna faisla pehle hi kar chuke hain." Ye sun kar Nirmala ji bhi pichhe hat gayi.

Phir Rajendra ji wapas apni jagah par baith gaye aur bole…

Rajendra : "To tum dono kya karna chahte ho..?"

Ye sun kar Rakesh aage aaya aur bola…

Rakesh : "Pitaji maa, mujhe pata hai ye sab galat hai, par aap hi sochiye, abhi Aditya, Arush aur Vishakha bhi chhote hain. Ab Sunena aur main unpar dhyan de ya is bacche par..?"

Rakesh ne apni baat khatam ki aur Rajendra ji ki taraf dekhne laga. Rajendra ji bhi Rakesh ki hi aankhon mein dekh rahe the. Tabhi Rajendra ji bole…

Rajendra : “Main maanta hoon ki ye baccha tumhe nahin chahiye, kyunki tum ab aur bachchon ki jimmedari nahin uthana chahte, par mujhe esa lagta hai ki iske aalawa bhi koi aur kaaran hai….”

Ye sun kar Rakesh ne kuch der socha aur bola..

Rakesh : "Haan papa, darasal main aur Sunena is bachche ko nahin chahte, iska ek aur karan hai..."

To baaki sabhi Rakesh ko dekhne lage ki aisa konsa karan hai ki Rakesh apne hi bachche ko apnaana nahin chahta…

To Rakesh ne sabki aankhon mein sawal dekha to wo dheere se bola…

Rakesh : "Pitaji maa, baat yeh hai ki humein pehle nahin pata tha Sunena pregnant hai. Isliye hum teen din pehle ek alien ko maarne ke mission par gaye the. Par jab hum base ke paas pahunchey hi the ki tabhi aate waqt ek alien ne hum par hamla kar diya aur wo hamla achaanak hua jisse hum sab jaldi sabhal nahin paye…

Humne jaldi baazi mein usse ladna shuru kar diya aur isi chakkar mein us alien ne Sunena ke pet par hamla kar diya. Par hamla jyada tez nahin tha isliye Sunena ko kuch nahi hua par uske pet mein dard shuru ho gaya aur jab humne us alien ko maarkar hum Sunena ko jaldi se base pe le gaye aur wahan jab Sunena ka full body check up hua tab hume pata chala ki Sunena pregnant hai par..

para Doctor ne kaha..

‘Abhi Sunena ko teen mahine ho gaye the pregnant huye aur abhi jo alien ka jo vaar hua tha, uska asar us bacche par hua hai. Agar ye baccha paida ho bhi gaya, fir bhi aphaaij ya kamzor paida hoga. Isliye agar ye baccha hamare parivaar mein raha tha, to humein sirf sharminda hona hoga, baki sabhi bade parivaar hum par hasenge pitaji..

Isliye mene aur Sunena ne yeh tay kiya hai ki is bacche ka janam hote hi hum isse kisi anath ashram chhod aayenge…”

Ye sun kar Nirmala ji ko Rakesh par bahut gussa aaya, isliye wo aage aayi aur unhone Rakesh ke chehre par thapad de maara.

Nirmila : “Ek bachcha tum dono ko bojh lag raha hai, kaise maan baap ho tum dono? Sharam aani chahiye tum dono ko, khaskar Sunena, tum to ek maan ho aur apne hi bachche ko anath ashram chhod ke aane ka bol rahi ho. Arre bacche Bhagwan ka aashirvaad hote hain aur ye baccha is duniya mein koi apni marzi se thodi aa raha hai. Aur in sab mein is bacche ki kya galti hai….?

Tabhi Virat bhi bola (Rakesh ka chhota bhai)..

Virat : "Haan Bhai, mujhe bhi nahi lagta ki hume is bacche ke saath aisa karna chahiye….”

Par tabhi Rajendra ji ne apna haath dikhakar un sabko chup rehne ke liye kaha, jisse vahan sab log ek dam khamosh ho gaye…

Tabhi Rajendra ji ne Rakesh se pucha..

Rajendra : "Tum kya ab bhi apne faisley par adhe ho…?"

Ye sun kar Rakesh ne kaha…

Rakesh : "Haan papa, bhale hi ye ek ginoni harkat hai ya kuch bhi kahe, mujhe sirf apni aur apni parivaar ki izzat pyari hai aur agar ye baccha hamare parivaar mein raha to ye hamesha hamara naam doobaega aur main nahi chahta ki aisa kuch bhi ho…."

Par tabhi Nirmala ji boli…

Nirmila : "Theek hai, tum dono ko jo karna hai karo, par ye baccha is ghar se kahin nahin jaayega. Iske paida hote hi iski jimmedari main lungi, is bachche ka dhyan main rakh lungi…"

Itna bol kar Nirmila ji wahan se apne kamre ki taraf chali jati hai..

Unke jaane ke baad Rakesh Rajendra ji ki taraf dekhne laga aur bola…

Rajendra : "Papa, aap hi sochiye, hamaare parivaar aise hi number one parivaar mein se ek nahin hai. Agar ye baccha yahan raha to hamara naam hi kharab hoga, log hasenge ki hamare parivaar mein shayad ek pagal Ya kamzor paida ho gaya…”

Rakesh ki baat sun kar Rajendra ji bhi soch mein doob gaye. Par Rajendra ji ne apna sar hilaaya aur bole…

Rajendra : "Bhale hi tumhari baatein kitni bhi sach kyu na ho Rakesh, par ab tumhari maa ke faisley ke aage ab hum bhi kuch nahin kar sakte."

Itana bol wo bhi wahan se apne kamre ki taraf chale gaye. Wahin Virat bhi Meena ke saath apne kamre mein chala gaya. Un sab ke jaane ke baad Rakesh bhi gusse mein apne kamre mein chala gaya aur Sunena bhi uske peechhe chali gayi.

Rakesh apne kamre mein gaya aur gusse mein idhar udhar ghumne lagal. Jab Sunena wahan aayi, tab wo bola…

Rakesh : "Kya tum is bacche ko rakhna chahti ho? Agar haan hai to bhool jaana ki main tumhara pati tha aur Vishakha, Arush aur Aditya ko bhi main sambhal lunga. Tum chaho to is bacche ke saath rah sakti ho… “

Ye sun kar Sunena boli..

Sunena : "Ye kaisi baat kar rahe hain aap? Main kahan jaungi aapko chhod kar? Aur rahi baat is bacche ki, jo is duniya mein bhi nahin aaya hai, uske liye main apne baccho ko nahin chhod sakti. Bhale hi Aditya aur Arush mera apna khoon nahin hain, par wo bhi ab mere hi bachche hain…

Maine kabhi bhi unme aur apne baccho ke beech koi bhedbhav nahin kiya hai. Unhein bhi mein apna hi baccha manti hu aur isliye main abhi jo is duniya mein aaya bhi nahi hai, uske liye main apne baccho ko nahin chhodne wali…

Rakesh ne bhi theek hai kaha…

Rakesh : “Agar yahi baat hai to main papa se ek aur baar baat karunga…"

Itna bolkar Rakesh wapas apne room se nikal gaya..

Ab aap log soch rahe honge ki ye sab kya hai, to mai bata du, darasal Rakesh aur Sunena ke 3 bachche hain - Aditya, Arush aur Vishakha, aur chautha jo abhi is duniya mein bhi nahin aaya hai. Par Aditya aur Arush Sunena ke apne bacche nahin hain…

Darasal Sunena Rakesh ki dusri biwi hai. Jab Aditya 2 saal ka aur Arush 1 saal ka tha, tabhi Rakesh ki pehli patni Punam mar gayi thi. Uske baad bacchon ki dekhbhal ke liye Rakesh ne dusri shadi kar li thi. Wo bhi Punam ki hi behen se Punam ki behen Sunena pehle se hi Rakesh ko pasand karti thi, par Punam ki shadi usse hone se usne apni feelings chupa li thi….

Par Punam ke marne ke baad Rakesh ne Sunena se khud shadi ki baat ki thi aur unki shadi ke baad unkii ek beti hui Vishakha aur Virat aur Meena ke bhi do bacche hain - Aayush aur Reena…

Ab kahani ki taraf badhte hain. Uske baad kuch din beet gaye. Is darmiyan Rakesh ne kayi baar Rajendra ji se us bacche ke baare mein baat ki aur is beech Rakesh aur Sunena ke beech bhi bahut jaghde huye….

Ye sab dekh kar sabhi bacchon ko yeh samajh aaya ki ye sab us aane wale bacche ke karan ho raha hai…

Aditya, Arush aur Vishakha ko laga ki unke mom dad ke beech jaghde ki wajah wo baccha hai. Ye sab us bachche ke karan ho raha hai, isliye wo sab us bacche ke paida hone ke pehle hi usse nafrat karne lage…

Is darmiyan Rakesh aur Nirmala ji ke beech bhi bahas hui, jismein Rakesh ne kaha ki uska is bacche se koi lena dena nahin hoga aur ye baccha mere bacchon ke paas bhi nahi aana chahiye.

Nirmala ji ne bhi usse haan kahe diya aur usne Rakesh aur Sunena ko bhi bahut sunaya. Us din Nirmala ji bahut gusse mein thi, jisse unhone Sunena ko maa ke naam par kalank bhi kahe diya…

Fir aise hi din beet gaye, in sab jaghdon ke karan Sunena bhi us bacche se gussa ho gayi thi…

Fiir aise hi wo din bhi aagaya jis din us bacche ka janm hua. Us din hospital mein sab gaye the, sabhi bacche ghar par the, Sunena operation theatre mein thi. Baccha waqt se pehle aane wala tha, jisse maa aur bachche dono ko khatra tha. Isliye operation chal raha tha…

Kuch der baad operation theatre se ek nurse bahar aayi, uske haath mein baccha tha. Wo bahar aayi aur boli….

Nurse : "Badhai ho, ladka hua hai…"

Ye sun kuch logon ko chhod kar koi khush nahin hua. Nirmala ji ne aage badhkar bacche ko apne haath mein liya aur usse dekhne lage. Wahin Rakesh ne bachche ko ek baar bhi nahi dekha.

Kuch der baad doctor us bacche ko apne saath le gaye uski jaanch karne ke liye. Kuch der baad doctor ke cabin mein Rakesh, Rajendra ji, Virat aur Nirmala ji baithe hue the. Rakesh yahan aana to nahin chahta tha, par Rajendra ji ki wajah se wo yahan aagaya. Sab doctor ke bolne ka intzaar kar rahe the.

Kabhi Doctor bole..

Doctor : "Humne bacche ko aur maa ko check kar liya hai maa ek dam theek hai par…”

Doctor bolte bolte ruk gaya, jisse dekh Nirmala ji boli..

Nirmila : "Kya hua doctor, koi problem hai?"

Ye sun kar doctor bola..

Doctor : "Mrs. Nirmala ji, problem to hai. Darasal baat yeh hai ki baccha safe hai, par uske mystic veins mein chot lagne se damage ho gayi hai, isse yeh baccha kitni bhi mehnat kar le, shayad yeh aakhir mein level 5 tak hi pahunch payega, usse aage badhne ka chance bahut kam hai, jab tak koi chamatkaar nahin ho jata hai..."

Yeh sun kar Nirmala ji ko bachche ke liye bahut bura laga, par wo bhi kuch nahin kar sakti thi. Doctor ne kaha..

Doctor : "Hum uske aur kuch test karne ke baad aap usse le ja sakte hain..."

Uske baad kuch der mein hi saare test khatam ho gaye aur Sunena aur Rakesh wahan se nikal gaye…

Sunena ne ek baar bhi apne bacche ke baare mein nahin pucha, aur wo vaise bhi ek celestial level par thi. Iski wajah se uski body pehle se hi strong thi, aur uski recovery speed bhi acchi thi, isliye usse theek hone mein bhi zyada der nahi lagi…

Unke jaane ke baad bacche ke bhi saare test khatam huye aur wo log bhi wahan se nikal gaye..

Haweli ki taraf..

Wahin Rajendra ji ko bhi is bacche se jyada koi lagav nahin tha. Rakesh ke itni baar us bacche ki baat karna aur aaj ka test result dekh kar ab to wo bhi is bacche se juede lagav ko kam karne lage tha..…

Wo to bas Nirmala ji ke kaaran us bacche se jueda hue tha. Nirmala ji ko bhi pata tha ki Rajendra ji ko bhi yeh baccha jyada pasand nahin hai, par wo kuch nahi boli. Nirmala ji ne outer area ke family ke logon ko bacche ka swagat karne ke liye ghar sajane ko bol diya tha.

Jab wo log wahan pahunchey, tab unhen wahan side family ke kuch elders aur kuch log khade dikhai diye un mein se ek ne Nirmala ji jo us bacche ko lekar gate par khadi thi, unhe dekha aur unki aarti utaari..

Aur phir Nirmala ji bacche ko lekar ghar mein enter hui. Uske baad jo log wahan aaye the, unhone bacche ko aashirvaad diya aur khana khakar wahan se chale gaye…

Par wahan na bacche aur na hi Rakesh aur Sunena mein se ek bhi wahan nahin aaya. Wahan sirf Virat, Meena aur Raendra ji aur Nirmala ji hi the..

Jab sab khatam hua, tab Nirmala ji bachche ko lekar apne room mein chali gayi. Wahin Rakesh aur Sunena ke kamre mein Rakesh gusse mein tha, kyunki Sunena ne kuch der pehle us bacche ko apnane ki baat kahi thi…

Rakesh bola…

Rakesh : “Dekho Sunena, agar tum us bacche ko apnana chahti ho to tum uske paas ja sakti ho, main tumhe nahi rokunga, par usse pehle tumhe mujhe divorce dena hoga aur teeno bachche mere paas rahenge…"

Ye sun kar Sunena ke pairon tale jameen khisak gayi. Us din un dono ke beech thoda bahut der tak jagda chala. Aakhir mein Sunena bhi us bacche se door rehne ke liye taiyaar ho gayi.

Wahin un dono ko nahin pata tha ki bahar Aditya khada unki saari baatein sun chuka tha. Usse bahut gussa aa raha tha us bacche par jiske kaaran uske mom dad ke beech jhagda ho raha hai…

Ab in sab ko kaun samjaye ki bichare us bachche ki kya galti in sab mein usne kaun sa paap kiya hai?

Aaditya ne unki saari baatein sun li, vaise celestial level ke sabhi logon ke senses itne strong hote hain ki wo aasani se deevar ke us paar kya chal raha hai wo pata laga sakte hain…

Par abhi Rakesh aur Sunena ka dhyan us baat par tha hi nahi isliye varna wo dono alert hote to Aaditya ke room ke paas pahuchne se pehle hi wo jaan jaate ki kaun hai…

Wahi Aaditya ke man mein us bachhe ko lekar nafrat bhar gayi thi. Phir Aaditya vapas apne kamre mein chala gaya. Phir do din baad Nirmala ji ne bacche ka naamkaran rakha, par wahan sirf Virat, Rajendra ji aur Nirmala ji hi the, aur baaki side family se kuch log aaye the…

Pandit ne bachche ki rashi "A" batayi, to Nirmala ji ne uska naam Ansh rakha. Phir aise hi waqt beet gaya, aur ab Ansh 6 saal ka ho gaya tha…

Rajvansh haweli dopehar ka samay tha, Ansh apne kamre mein baitha dusri duniya KYRIOS jaise planets ke baare mein padh raha tha…

Tabhi Ansh ke kamre ka darwaza khula, jisse Ansh ne bina sar upar uthaye kaha..

Ansh : "Dadi, aap aa gayi…”

Darasal Ansh ko pata tha ki uski dadi ke alawa yahan koi nahi aata, kyunki in 6 saalon mein bahut kuch ho gaya tha.

Jaise ki jab Ansh thoda bada hone laga, tab wo bhi apne bhai bahen ke saath khelna chahta tha, par har baar wo log usse dara kar bhaga dete the. Koi bhi uske saath baat nahin karta tha. In 6 saalon mein na Rakesh ne, na hi Sunena ne kabhi bhi Ansh ki taraf mud kar nahi dekha.

Ansh hamesha akela rehta tha, uski dadi ke alawa ghar mein koi bhi usse baat nahin karta tha. Wo jab 6 saal ka ho gaya, tab wo pehli baar school gaya, par wahan par bhi sabhi ne usse pareshan kiya. Wo log hamesha uska mazak udate ya usse pareshan karte the. Unhone Ansh ke baare mein pure school mein afwahen phaila di thi, jisse koi bhi Ansh se dosti nahin karta tha.

Isliye Ansh hamesha akela hi rehta tha. Haweli mein bhi Ansh kisi bhi festival ya koi bhi function par wo apne kamre se bahar nahin aata tha..

Ek baar jab Diwali mein usne apne bhai behan ko Diwali banate dekha, to usse bhi bahut man hua.

Isliye wo apne room se nikal kar bahar aaya, aur wo kuch phatake lekar bahar jalane gaya…

Par tabhi Vishakha ne Ansh ko dekh liya aur wo bhi uske peeche aa gayi. Aur jab Ansh phuljadi jalakar anar jalane gaya, tab Vishakha ne uska haath pakad liya aur wo usse phuljadi lene lagi.

Par Ansh ne kaha..

Ansh : "Chhodo mujhe, mujhe dard ho raha hai..."

Darasal Ansh ki strength abhi bhi pehle level par hi thi, aur Vishakha ko ek genius kehna galat nahin hoga, uski strength 4 level par pahunch gayi thi is umar mein hi..

Isliye jab usne Ansh ka haath pakada, tab usne apni poori takat laga di thi, jisse Ansh ko dard ho raha tha. Par Vishakha uska haath chhod hi nahin rahi thi, jisse Ansh ki pakad phuljadi par kamzor ho gayi aur wo seedha Vishakha ke kapdon par giri, jisse uske kapdon ne aag pakad li.

Isliye Vishakha ne Ansh ko choda aur jor jor se chilla kar rone lagi. Wahin Rakesh aur baaki sabhi bahar hi aa rahe the. Jab sab ne Vishakha ki awaaz suni, to sab se pehle Rajendra ji turant gayab hokar Vishakha ke paas pahunch gaye.

Aur jab unhone dekha, to Vishakha ke kapdon mein aag lagi hai, to unhone apne haath ke ek ishaare se aag bujha di aur Vishakha ko apni godh mein utha liya...

Tab tak baaki sab bhi turant wahan pahunch gaye the. Sab se pehle Rakesh aur Sunena, phir Meena ji aur baaki sab pahunch gaye…

Jab Rakesh ne dekha Vishakha ke saath kya ho raha hai, to usne Vishakha ko apni godh mein utha liya aur usse shant karne laga. Wahin Ansh darkar apna haath pakde, wahin side mein apna sar jhukaye khada tha…

Rakesh bola..

Rakesh : "Vishakha shant ho jao aur yeh kaise hua? Maine mana kiya tha na, akela koi bhi phatake nahin jalayega…”

Ye sun kar Vishakha thodi shant hui aur boli,

Vishakha : "Papa, maine phatake nahin jalaye the…”

Usne apni ungli ek taraf ishara ki, to sab ki nazren tab jaa kar us taraf gayi jaha Ansh khada tha."

Jab sab ki nazren Ansh par gayi, to usse andar se bahut buri feeling aane lagi aur wo jo soch raha tha, wahi hua…

Vishakha boli..

Vishakha : "Maine jab isse phatake churakar bahar aa kar jalate hue dekha, to mai isse rokne ke liye peeche aa gayi, aur jab main iske haath se phatake le rahi thi, tabhi isne wo phuljhadi mujh par daal di, aur yeh sab hua. Isme meri koi galti nahi hai, papa… “

Vishakha ki baat sun kar Rakesh ka gussa hadd paar ho gaya. Wo utha aur Ansh ke paas gaya, aur usne apni 1% se bhi kam takat lagai aur Ansh ko thappad de mara, jisse Ansh ek taraf jaa kar gir gaya, aur uska gal sujhj gaya. Ansh ke liye Rakesh ki 1% power bhi jhelna namumkin tha…

Ansh ko bahut dard ho raha tha, uske aankhon se aansu behne lage. Wo jaise tese khada hua aur bola..

Ansh : “Maine par..."

Wo kuch bol pata, Rakesh ne usse wahin peetna shuru kar diya. Wahin Nirmala ji jo Ansh ko hi bulane gayi thi, wo wapas aayi, aur jab unhone Rakesh ko Ansh ko peette hue dekha to jaldi se wahan gayi aur Rakesh ko Ansh se duur mar diya…

Ansh : “ye tum kya kar rahe ho Rakesh kya tum Ansh ko marne chahte ho? Aur aap sab bhi kya khade ho kar dekh rahe the….”

Ye sun kar Rakesh bola..

Rakesh : "Maa, aap nahi jaanti isne kya kiya hai, agar main isse jaan se bhi maar du to bhi kam hai."

Wahi Sunena jo Rakesh ko Ansh ko marti dekhi, usse rokna chahti thi, par wo aage hi nahin badh payi. Usse apne dil mein bahut bechaini ho rahi thi, usse Ansh ki chhote dekh kar bahut dukh ho raha tha, par wo uske paas bhi nahi ja sakti thi.

Wahi Nirmala ji ne Rakesh aur sabko duur kar diya, phir Ansh ki haalat check karne lagi. Ansh ki haalat bahut kharab ho gayi thi, Rakesh ne usse bahut pita tha, jisse uske haath aur gal, shareer ka har ang sujh gya tha…

Ansh ki ye halat dekh kar unki aankhon mein paani aa gaya, Sunena ki bhi aankhon mein paani aa gaya tha, lekin usne apne aansu chhupa liye the…

Ansh ki haalat dekh kar Nirmala ji ko bahut gussa aa raha tha, tabhi unhen Ansh ki bahut dheemi aawaz sunai di..

Ansh : "Da..dadi, mujhe bahut dard ho raha hai..."

Ye sun kar unka dil bhar aaya, wo jaldi se khadi hui aur Ansh ko lekar andar chali gayi. Kuch der mein doctor bhi aa gaye..

Ansh ke kamre mein doctor Ansh ko check kar raha tha, ye doctor Rajvansh parivaar ka family doctor tha, isliye usse sab pata tha. Family mein Ansh ki kya position thi, usse aaj Ansh ki haalat dekh kar us par bahut taras aa raha tha…

Doctor ne usse behoshi ka injection diya aur kuch medicine di, aur phir wo Nirmala ji se Ansh ka dhyan rakhne ko bol kar chale gaya…

Doctor ke jaane ke baad Nirmila ji Ansh ke paas gayi, usse firse esa dekh kar unki aankhon mein aansu aa gaye, kyunki Ansh ka poora muh sujh gaya tha, jagha jagha se uski skin fatt gayi thi…

Uski haalat dekh kar unhe Rakesh par bahut gussa aa raha tha. Wo Ansh ko ek baar dekh kar uske room se bahar nikal gayi aur niche hall mein chali gayi….

Wahin hall mein sabhi khade the, jab upar se Nirmila ji aayi to sabne unhe dekha, jaha Nirmala ji niche aa rahi thi, unki aankhe poori laal thi. Ab wahin jaane ki unki aankhe gusse se laal thi ya zyada rone ki wajah se..

Nirmala ji niche aayi aur Rakesh aur Sunena ke aage khadi ho gayi. Koi kuch samajh pata usse pehle, sabhi ko ek joradar thappad ki aawaz pure hall mein gunjh gayi….

Sabhi hairan ho gaye aur sabhi bacche dar gaye. Wahin thappad aur kisi ko nahin, Rakesh ko pada tha, jisse uska chehra ek taraf jhuk gaya aur uske gaal par panch ungliyon ke nishan ban gaye.

Tabhi Rajendra ji aage aaye aur bole..

Rajendra : "Nirmala, ye kya kar rahi hai..?"

Par wo kuch bol pate usse pehle, Nirmila ji ne apna haath dikha kar unko rok diya aur boli..

Nirmila : "Agar aaj aapne Rakesh ki side li to main ghar aaj hi chhod kar chali jaungi…"

Ye sun kar Rajendra ji bole..

Rajendra : "Ye kya bakwas kar rahi hai tum?"

Nirmala ji boli..

Nirmila : "Main koi bakwas nahin kar rahi, agar aaj kisi ne bhi Rakesh ki side li to main Ansh ko lekar is ghar ko chhod dungi..."

Ye sun kar Rajendra ji kuch bolte usse pehle, Nirmala ji boli..

Nirmila : "Aaj aap kuch nahi bolenge, kyunki aaj aapki bhi galti hai mana isne Ansh ko mara, par aapko to rokna chahiye tha. Wo sirf level 1 ka baccha hai, aur ye ek celestial level par hai. Iski 1% power bhi wo baccha nahi jhel sakta hai. Phir bhi aap tamasha dekhte rahe…"

Ye sun kar Rajendra ji ka sar jhuk gaya, kyunki Nirmila ji ne koi bhi baat galat nahi thi…”

Tabhi Rakesh bola..

Rakesh : "Par maa, uski side lene se pehle ye to jaan lijiye, usne kya kiya hai..?"

Par tabhi hall mein ek aur thappad ki aawaz gunjh uthi, Nirmala ji ne Rakesh ko ek aur thappad de mara tha…

Wo boli..

Nirmila : “Agar usne kuch kiya bhi tha, to tum kon hote ho usse saza dene wala..

Aur han agar mai waha waqt par nahi aati to tum to usse maar maar kar jaan se hi maar daalte..”

Yeh sun Rakesh kuch nahi bol paya fir Nirmila ji aage boli..

Nirmila : “Manti hu usne koi galti ki hogi, par usse saza dene ka hak tumhe kisne diya uski maa mai hi usse saza dene ka hak mere hai na ki tumhara….

SAMJHEEE…”

Yeh baat bolte bolte Nirmila ji ki awaaz ucchi ho gayi thi jisse Rakesh kuch nahi bol paya par uske andar Ansh ko lekar jwalamukhi bhadak gya tha…

Fir Nirmila ji boli..

Nirmila : “Mujhe abhi us jagha ki footage dekhni hai….”

Yeh sunte hi waha khade sabhi log unhe dekhne lagte hai aur wahi Vishakha dar gayi thi yeh sunkar kyuki saari galti uski hi thi..

Nirmila ji ne Virat ki taraf dekh kar kaha..

Nirmila : “Virat mujhe abhi waha ki footage dikhao…”

Yeh sun kar Virat turant apne phone se Bahar lage camera ko hall mai mojuud smart television se connect kar deta hai us tv ka size bahut bada tha..

Uske baad Virat remote se us samay ki footage lagane lagta hai jab Ansh aur Vishakha bahar the..

Sabhi footage ko dekhne lagte hai..

Ansh jo phuljhadi se anar jala raha tha uski maasum sir khushi sab dekh pa rahe the..

Vishakha ke aane ke baad waha kya kya hua woh us footage mai saaf capture ho raha tha jisse dekh kar ab Nirmila ji ka gussa bahut zada badh gya tha..

Us footage mai sab saaf dekh pa rahe the ki Vishakha ne Ansh ka hath bahut jod se pakda tha jisse uske hath se woh phuljhadi niche gir gayi aur usse Vishakha ke kapdo mai aag lagi thi..

Lekin Vishakha ne kaha tha ki Ansh ne uske upar phuljhadi pheki thi..

Nirmila ji ne gusse se Rakesh ko dekha aur kaha..

Nirmila : “ab mujhe yeh batao tum iski Vishakha ko kya saza doge..

Kya tum usse bhi Ansh ki tarah maaroge..?”

Yeh sunkar Rakesh kuch nahi bol paya aur chup khada raha…

Nirmila ji ne fir Sunena ki taraf dekh kar kaha..

Nirmila : “Tum to ek maa hona woh tumhara apna baccha hai par tumhe us pal ek baar bhi yeh nahi laga ki Rakesh galat kar raha hai tum Aaditya, Aarush aur Vishakha ki maa to ban gayi lekin uski maa banne se fail ho gayi..

Aur apne baccho ko acchi parvarish dene mai bhi….”

Vishakha ki taraf dekh kar kaha aur fir aage kehne lagi..

Nirmila : “Aur ab shyd bahut der ho chuki hai ek tumhe apni galti ka ehsaas hoga tumhe nahi tum dono ko hoga par us din tumhara beta tumse itna duur ho jayega ki tum chahkar bhi tum usse nahin dekh paogi tab tum sabko pata chalega ki…”

Fir wo boli..

Nirmila : "Rehne do, abhi tum dono ko kuch bhi kahna be maqsad hai…"

Sabhi ko dekh kar boli..

Nirmila : "Aage se Ansh agar koi galti karta hai, to mujhe aakar batana mai nahi chahti ki mere bete kisi ese iljaam ki saza khaye jo usne kabhi kari hi nahi hai jese woh ab tak kha kar aa raha hai..

Aur usse main saza dungi par agar koi aur usse chhuega to main usse nahin chhodungi..."

Itana bol wo wahan se wapis Ansh ke kamre ki taraf chali gayi. Wahin hall mein Rakesh ne apna sar abhi bhi niche kiya hue the..

Aakhir unki beti Vishakha ki wajah se Nirmila ji ne unhe bahut kuch sunaya tha..

Woh bina kisi ki aur dekhe apne room ki taraf chala gaya. Sunena ki aankhon mein bhi Nirmala ji ki baat sun aansh aa gaye the par unhone bhi kisi tarah apne aansu roke aur wo bhi Rakesh ke peeche apne room ki taraf chali gayi.

Wahi Rakesh aur Sunena ke jaane ke baad baki sabhi bhi apne room mai jane lage lekin kisi ne bhi Vishakha se kuch nahi kaha,

Aur rahi baat Diwali ki to vaise bhi poori Diwali kharab ho gayi thi. Wahi sabhi wahan se jaane lage, par kisi ki aankhon mein Ansh ke liye nafrat saaf dikhai de rahi thi, aur wo the Aarush, Aditya, aur Vishakha.

Sabhi ke jaane ke baad, sabhi bacche Aditya ke kamre mein chale gaye..

Wahan sabhi ek ek jagah lekar baith gaye. Aarush bola..

Aarush : "Mujhe us Ansh par bahut gussa aa raha hai, uski wajah se hamari Diwali kharab ho gayi…"

Ye sun kar Vishakha boli..

Vishakha : "Haan bhai, humein use ek sabak toh sikhana hoga, uski wajah se hi aaj papa ko bhi dadi se daat padi..."

Ye sun kar wahi baithi Reena (Virat ki chhoti beti) boli..

Reena : "Par hum kya karenge..?"

Par tabhi sabhi ko Aditya ki aawaz sunai di Aditya bola..

Aditya : "Tum sab uske saath kuch nahi karoge..”

Yeh sunkar sab Aarush bola..

Aarush : “Par kyu bhai..?"

Aarush ne pucha, baaki sab ki aankhon mein bhi yahi sawal tha yeh dekh kar Aditya bola..

Aditya : "Iska koi reason, agar tum sab mujhe bhai maante ho to use pareshan mat karna, main bhi usse keh dunga ki wo hamesha humse door rahe, aur agar usne kuch kiya tab hi hum kuch karenge…”

Fir Aditya ne sab ko unke room mai jaane ko kaha, sabhi ne uski baat maan li thi. Sab apne apne kamre mein chale gaye….

Wahi Nirmala ji Ansh ke baju mein leti, uska sar sehla rahi thi raat ke baare bajne wale the, wahi ab Ansh ko hosh aa raha tha, par tabhi usse Nirmala ji ki baat sunai di, isliye usne apni aankhe bandh hi rakhin…

Wahi Nirmala ji Ansh ka sar sehlal hi rahi thi, ki tabhi wo Bhagwan ko kosne lag gayi..

Nirmila : "Hey Bhagwan, apne is pyare bachche ki zindagi mein hi kyu itne dukh likhe?"

Fir Nirmila ji ne bola..

Nirmila : “Sunena jo Rakesh se apne bacche ke liye hi nahin lad pa rahi hai. Wahi Rakesh bhi kisi ki feelings samajhne ko taiyar hi nahi hai. Aditya aur Aarush Sunena ke apne bachche nahi hain, phir bhi usne unhein ek maa ka pyar diya, kabhi bhi ye mehsoos nahi hone diya ki wo unki asli maa nahi hai.

Par aaj Vishakha, jo Rihaan ki sagi behen aur uski sagi maa hai, usse hi muh mod kar bethi hai..

Bhagwan, main jaanti hoon Sunena ye sab kyu kar rahi hai, par main nahi jaanti iski life mein aise dukh kyu bheje hai aapne. In sab mein is pyare bachche ki kya galti thi, jo wo in sab ka saamna kar raha hai? Mujhe nahi pata, aisa kyu hai, par main chahti hoon Ansh ek acchi zindagi jiye…”

Fir Nirmala ji ne Rihaan ke sar par ek kiss kiya, aur wo wahan se uth kar apne room mai chali gayi..

Wahi unke jaane ke baad, Ansh ne apni aankhein kholi…

Ansh : “Iska matlab tha ki wo unke sage bete nahi hai, phir bhi wo unhein pyar karti hai. Aur mujhe….”

Ye soch soch kar Ansh ke dil mein Rakesh aur Sunena ke liye ek nafrat janm le chuki thi. Aur ye nafrat ek aisi nafrat thi jo mitaye bhi nahin mit sakti thi…

Ansh ne fir apni aankhein bandh kar li aur dawaaiyon ke kaaran jaldi hi woh neend ke aagosh mein chala gaya. Agle kuch din aisa hi rahe…

Ansh hamesha apne kamre mein rehta tha. Wo ab ghar mai kisi se baat karne ki koshish nahi karta tha..

Wo ab thodi bahut bas apni dadi se baat kar leta tha…

Nirmala ji uski medicine aur khane ka achhe se dhyan rakhti thi kuch din baad ab Diwali ki chuttiyan khatam hone ko thi. Ansh ab 7 saal ka ho gaya tha, uska janm din agle hafte hi tha, jisse usne poora din apne kamre mein reh kar nikala tha. Agle din school tha, par Ansh ke chehre par koi khushi nahi thi, kyunki usse pata tha ki school mein uske saath kya kya hoga…”


Continue...

[6.9k+ words..

Mai Ansh ke past ko alag alag scene karke dikhana chahta tha lekin fir thodi bahut confusion ho jati isliye Ansh ke paida hone se dikha raha hu and isme agar koi galti hoti bata dena taaki aage dhyan rakhu..

Iske aage ki story aage ke update mai continue hogi..]
Bahot badhiya
 
  • Like
Reactions: Dolar

A users

🕸 SPIDEY 🕷
123
158
43
IMG-20241231-221731

Guys mai ek silent reader hu aur yaha itni mast mast story padhkar mera dil mai bhi ek story likhna ka kar diya mai koi professional writter to nahi hu lekin mai fir bhi aap sabke samne apni ek kaalpanik story rakhna chahta hu es story mai aage kya kya aayega woh sab aapko story padhne se pata chal jayega..
:congrats: for new and first story.
Aaj se :reading1:read:reading: karna start karuga. :flybye: ✨
Hope stoty end tak jarur jaayegi.
Guys Story ka update 4th update is post niche diye hue link se check kar lena..

And kya es platform mai incest story hi zada chalti hai fantasy story nahi? :verysad:
It depends on how much duration the story take time to complete and your consistency, writing skills.😁👍
 
  • Like
Reactions: Dolar

Dolar

Member
134
259
64
UPDATE-05
Trust..?

Ab tak..

Ansh ke pass ab last chance tha locket ka test pass karne ke liye agar woh test pass nahi karta to woh kabhi mar jata test dene ke dauraan Ansh ko apni puri zindagi dikhai dene lagti hai kese uske baap aur maa ne usse apnane se inkaar kar diya aur ek jhuthi galti ki wajah se usse itni maar khani padi..

Ab aage..

Ansh apni school ki books aur notes taiyaar kar raha tha, tabhi Nirmala ji wahan aayi….

Nirmila : “Ansh dekho mai tumhare liye naya uniform aur ye naya school bag lekar aayi hu..”

Yeh sun kar Ansh ne us taraf dekha, jahan Nirmala ji ek haath mein uska school uniform aur dusre haath mein ek naya school bag lekar khadi thi…

Nirmala ji ne school bag aage kiya aur pucha..

Ansh : "Zara batayo, kaisa hai ye..?"

Ye sun kar Ansh ne smile karne ki koshish ki aur kaha…

Ansh : "Achcha hai, Dadi, mujhe bahut pasand aaya…."

Par wahin Nirmala ji ki aankhein Ansh ko dekhkar bhar aayi, kyunki Ansh ka smile dekh kar aisa laga jaise usne pehle kabhi smile hi na ki ho…

Wo apne man mein hi boli…

‘Mera Ansh ab to ye smile bhi karna bhool gaya hai. Sach mein Bhagwan ne iske saath bahut anyay kiya hai….’

Fir wo apni soch se bahar aayi aur Ansh ki madad karne lagi. Waise bhi usse jyada books nahin le jaani thi, kyunki wo ek special school hai jahan bacchon ko martial art aur dusri duniya ke aliens se ladne ke liye train kiya jata hai…

Agli subah Ansh taiyaar ho kar apne kamre se bahar nikla. Wo darwaze tak pahunch gaya aur wahan Nirmala ji ka wait karna laga, kyunki Nirmala ji hi use chhodne aane wali thi. Tabhi wahan Aditya, Aarush, Vishakha, Reena aur Ayush aaye. Unke piche piche Sunena aur Rakesh bhi wahan aaye…

Rakesh wahan aaya aur usne Ansh ko ignore kiya. Ansh ne bhi un par koi dhyan nahin diya. Sunena ne ek baar Ansh ki taraf dekha, par wo kuch nahin bol paayi. Tabhi Nirmala ji bhi wahan aay….

Ansh : "Chalo, Ansh beta, chale…"

Wo Ansh ko lekar jaane lagi. Us din ke baad se Nirmala ji ne Rakesh se jyada baat nahin ki thi.

Unke jaane ke baad, Rakesh bola…

Rakesh : "Is manhoos ne meri maa ko bhi mujh se chheen liya…."

Itna bolkar wo bola…

Rakesh : "Chalo, ab tum sab ko bhi school jaana hai na…?"

Itna bolkar, wo bhi baaki sabhi bacchon ko lekar wahan se nikal gaya…

Kuch der baad, Ansh apni class mein baitha tha. Ansh ke hi class mein Vishakha aur Reena bhi thi... Class mein teen line thi Ansh sab se aakhri wali line mein second last bench par betha tha. Wo koi book padh raha tha…

Wahin kuch log Ansh ka mazak uda rahe the, to kuch log aliens aur aise hi alag alag baatein kar rahe the. Tabhi class mein teacher aaye, jisse sabhi students apni apni jagah par baith gaye…

Sabhi ko baitha dekha teacher bole…

Teacher : "Hello students, main hoon aapka Aliens Knowledge ka naya teacher Ashok Sha..."

Ye sun kar sabhi ne clap kiya. Fir Mr. Sha bole…

Mr. Sha : "Aaj main aap sabhi ko aapke naye saathi se milwaana chahta hoon, jisne ishi saal aapki class mein admission liya hai."

Fir unhone kisi ko ishaara kiya, to bahar se ek ladki andar aayi. Wo ladki bhi 7 saali ki thi, par usse dekh kar koi bhi kah sakta hai ki wo badi ho kar bahut sundar hogi. Wo dekhne mein kisi hoor ki pari jaisi lag rahi thi…

Sabhi ka dhyan tab tutta jab Mr. Sha ki aawaz aayi. Ansh ki bhi nazar us ladki par tik gayi thi. Jab teacher ne sab ka dhyan toda tab Ansh ne bhi us taraf dekha. Wo ladki Mr. Sha ke paas jakar khadi ho gayi…

Tab Mr. Sha bole…

Mr. Sha : "Beta, khud ko introduce karo..."

Ye sun wo ladki boli…

Ladki : “Hello friends, mera naam Monika Sharma hai. Mujhe dance aur singing bahut pasand hai, aur main abhi level 3 ke peak par hoon, aur jald hi level 4 par pahunch jaungi…"

Ye sunkar sabhi ne clap karna shuru kar diya. Tabhi sabhi aapas mein kaana phusi bhi karne lage….

"Are yaar, ye wahi Monika Sharma to nahin hai? Sharma parivaar se maine suna hai uski ek aur bahen hai, aur wo bhi bahut talented hai…”

Monika ke baare mein jaankar, wahan sabhi bacche aapas mein hi kaana phusi karne lage tabhi Mr. Sha jor se bole…

Mr. Sha : “Silence, silence!!!!"

Teacher ki awaz sun kar sabhi bacche chup ho gaye…

Mr. Sha phir Monika se bole…

Mr. Sha : “Beta, aisa karo, tum ye beech wali line mein third last bench par jakar baith jao, aur baccho, sabhi Monika ki madad karna…”

Fir Monika sar ki dikhai seat par jakar baith gayi.

Tabhi sar ne apni class lena shuru kar diya. Kuch der baad, class khatam hui, tabhi kuch ladkiyan Monika se baat karne lagi. Fir kuch der baad, dusre teacher class mein aaye, unhone bhi class lena shuru kar diya…

Wahi Ansh bhi class mein dhyan de raha tha, tabhi uske pair ke paas aakar kuch gira. To Ansh ne neeche dekha, to wahan ek eraser thi. Ye dekh kar Ansh ne use uthaya aur aas paas dekha, tab uska dhyan Monika par gaya, jo usse hi dekh rahi thi…

Monika thodi dheere awaaz mein boli..

Monika : "Wo meri eraser hai, galti se gir gayi..."

Ye sun kar Ansh ke chehre par koi jyada bhav nahin aaye, usne normal expression ke saath..

Ansh : "It's ok..”

Bol kar wo eraser Monika ko wapas de diya…

Wahi kuch ladke ye dekh chuke the, isliye unhein Ansh se jalan ho rahi thi. Tabhi class khatam hui, fir aise hi ek aur class chali, aur fir break ho gaya. Iske baad sabhi ki martial arts ki training thi.

Break hote hi sabhi bacche canteen ki taraf jaane lage. Ansh bhi canteen ki taraf jaane laga, tabhi usse kisi ladki ki awaaz sunai di..

Ladki : "Thank you, mera eraser wapas karne ke liye..."

Ye awaaz kisi aur ki nahin, Monika ki thi, jo Ansh ko uski madad karne ke liye thanks bol rahi thi…

Ansh ne jyada koi react nahin kiya, usne ek baar bhi Monika ki taraf nahin dekha aur..

Ansh : "It's ok..”

Bol kar chala gaya. Wo canteen mein aaya, aur apni khane ki plate lekar khane ke liye jagah khojne laga…

Tab tak Monika bhi wahan aagayi thi, uske saath kuch ladkiyan bhi thi. Wo sab bhi khane ki plate lekar jagah khojne lage. Unhein tabhi kuch jagah khali mili, wo sab wahan jakar baith gayi….

Tabhi Monika ki nazar wahi khade Ansh par padi…

Ansh ko wo dekh hi rahi thi ki tabhi Monika ne dekha ek ladke ne jaan bujhkar Ansh ke raaste mein pair rakh diya jisse Ansh takkarakar gir gaya aur uska saara khana bhi niche gir gaya…

Ye dekh kar wahan baithen sabhi log Ansh par jor jor se hasne lage…

Monika ke paas baithi ek ladki bhi hasne lagi. Ye dekh kar Monika ko achha nahi laga, wo khadi hui aur Ansh ke paas gayi….

Tab tak Ansh bhi khada ho gaya tha, wo apne kapde saaf kar raha tha. Waise bhi school mein uske liye ye sab koi nayi cheez nahi thi, uske saath aisa har baar hota tha…

Wo apni plate utha hi raha tha ki tabhi wahan Monika ko khada dekha, usne us taraf dekha. Tabhi Ansh kuch samajh paata usse pehle Monika us ladke ke saamne jakar khadi hui, jisne Ansh ko giraaya tha. Monika uske aage jakar boli..

Monika : "Tumne aisa kyu kiya..?"

Ye sun kar wo ladka bola…

Ladka : "Maine kya kiya?"

Ye sun kar Monika apni aankhein chhoti karke boli..

Monika : "Mene dekha tumne khud is ladke ko giraaya hai…"

Monika ne Ansh ki taraf ungli karte hue kaha..

Ye sun kar wo ladka aage kuch bolta usse pehle Ansh bola…

Ansh : "Rehne do, is mein meri galti hai..."

Ye sun kar Monika Ansh ko dekh kar boli..

Monika : "Ye kya bakwas kar rahe ho? Maine khud dekha hai isse tumhe giraate hue…”

Yeh sun kar Ansh kuch nahi bol paya…

Ansh dekh sakta tha ki kayi logon ki nazar us par hai, unmein usse apne liye sirf nafrat aur ghirna hi dikhai de rahi thi….

Ansh ne ek baar un sab ko dekha aur phir usne jaldi se Monika ka peechhe se haath pakad liya…

Wo yahan par koi tamasha nahin chahta tha, isliye usne Monika ko peeche kheencha aur kaha..

Ansh : “Rehne do meri galti hai, mere liye ladne ke liye shukriya, par tumhe mere wajah se musibat mein nahi padna chahiye..."

Itna bol kar Ansh Monika ko lekar wahan se duur chala gaya…

Monika bhi uske peechhe peechhe chali gayi. Ansh ne kuch door aakar Monika ka haath chhod diya aur kaha…

Ansh : "Mere liye ladne ke liye thank you, par please aage se mere maamle mein mujhe tumhari koi help nahi chahiye…”

Ye sun kar Monika Ansh ko ghurne lagi, par Ansh apni baat kehkar wahan se chala gaya…

Wahi Monika bhi wapas apne doston ke paas chali gayi. Wo baithi hi thi ki tabhi ek ladki boli..

Ladki : “Monika, tumhe ek baat kahun, tumhe us ladke ke maamle mein nahi padna chahiye..."

Monika ne us taraf confuse hokar us ladki ko dekha, to wo ladki boli…

Ladki : “Darasal uska naam Ansh hai, aur wo hamari school ka sab se kamzor student hai, aur yeh tak ki wo apni power bhi nahi badha sakta hai, isliye sabhi uske saath aise hi pesh aate hain…”

Monika kuch aur hi soch rahi thi. Fir kuch der baad break khatam hota hai, sabhi log apna battle suit pahan kar training area ki taraf jaane lage. Ansh ne bhi apna training suit pahena aur wo bhi us taraf chala gaya…

Jab sabhi aagaye, tab trainer ne sabhi ko apne apne task bataye. Ansh bhi apna task karne laga, par trainer bhi usse pareshan ho gaya tha, aur wo khud Ansh se khaad khaye baitha tha. Isliye trainer Ansh par koi bhi narami nahin barat raha tha…

Jab tak training khatam hui, tab tak Ansh ki haalat poori tarah kharab ho gayi thi. Wahi Monika ka bhi dhyan Ansh par tha, usse bhi pata chal gaya tha ki trainer Ansh ke saath ye sab jaan bujh kar raha hai…

Ansh ke dono haath thode se sujh gaye the, uske pairo mein bhi dard ho raha tha. Sabhi ka ghar jaane ka time ho gaya tha, isliye dheere dheere kar sabhi bacche wahan se ja rahe the….

Tabhi us training area mein Aditya enter karta hai. Darasal Aditya senior class mein tha…

Wo yaha Reena aur Vishakha ko lene aaya tha. Wahi Ansh ek baaju mai betha hua tha, tabhi usse kisi ki uske paas aane ki aawaz sunai di usne mud kar dekha, to uske saamne Monika khadi thi…

Monika ko dekh kar Ansh ne wapas apna chehra ghuma liya, par Monika ne iska bura nahi mana…

Wo Ansh ke saamne gayi aur apna ek haath aage badhaya aur boli…

Monika : "Hello, Ansh kya tum mujh se dosti karo ge..?"

Darasal Monika Ansh se isliye dosti karna chahti thi kyun ki baaki sab usse dosti uske parivaar aur status ki wajah se karte hain, par Ansh usse alag laga, isliye wo Ansh se dosti karna chahti thi…

Wahi Ansh ne jab suna Monika usse dosti karna chahti hai, to use laga jarur Monika uska mazak uda rahi hogi..

Par jab usne uska serious chehra dekha, to usse samajh aaya Monika mazak nahin kar rahi hai…

Par Ansh khada hua aur bola…

Ansh : " Dekho, mere paas tumhari dosti ke laayak kuch nahin hai. Tumhe class mein mujh se bhi behtar dost mil jaayenge…”

Itna bol kar Ansh khada hua aur wahan se jaane laga…

Ansh ke jaane ke baad Monika bhi wahan se chali gayi. Wahi Vishakha aur baaki sab ne ye sab dekha tha. Wo log abhi training area se nikle hi the ki unhe ye sab dikh gaya…

Tabhi Aarush bola…

Aarush : "Ye Monika us Ansh se kyu dosti karna chahti hai? Wo to itni strong hai aur wo Ansh itna kamzor. Kahin ye Monika Ansh ka fayda to nahin uthana chahti…?”

Darasal Ansh padhai mein bahut achha hai…

Vishakha boli…

Vishakha : “Han ho sakta hai, shyd woh usse apne notes bana na chahti ho hume kya? Chalo..”

Itna bol kar wo sab wahan se jaane lage…

Fir aise hi kuch din bit gaye. School mein Monika Ansh se dosti karne ke liye hamesha uske peechhe rehti. Par Ansh jyada to nahi par Monika se in kuch dinon mein uski thodi bahut help aur usse baat karte rehne se thoda ghul mil gaya tha.

Fir bhi Ansh jyada bhi Monika se baat nahin karta tha. Wo uske sawalon ke jawab bas haan ya naa mein deta tha. Wahi kuch ladke Ansh se bahut jalan mehsoos karte the. Wahi Vishakha aur baaki sab bhi ab Ansh ko jyada pareshan nahi kar paate the…

Raat ko haweli mein…

Vishakha aur baaki sabhi log Aditya ke kamre mein baithhe the Aditya bola..

Aditya : "Tum sab yahan kyu aaye..?"

Ye sun kar Aarush aage aaya aur bola..

Aarush : "Bhai, us Monika ke kaaran ab ye Ansh ke bahut par ug aaye hain. Maine aaj usse bulaya, par usne meri ek bhi suni, mujhe ignore kar raha hai..."

Baaki sab : “Han bhai…”

Darasal Ansh ko jab se wo baat pata chali ki Sunena ne uske saath kya kiya, tab se wo ab Vishakha, Aarush aur Aditya se koi matlab rakhna nahin chahta tha….

Isliye usne pehle se unki na sunne ki tay ki thi. Par in logon ne ab jaakar ye notice kiya, aur unhe lagta hai ye sab Monika ke uske thoda close hone se hai…

Tabhi Aditya bola…

Aditya : Waise Monika ka bada bhai meri hi class mein hai, Aaryan Sharma..

Wo ab mera dost bhi hai. Usne bhi mujhe bataya tha ki wo Monika ko Ansh se door karna chahta hai. Wo bhi nahin chahta Monika Ansh ke aas paas bhi rahe. Isliye usne already ek plan banaya hai… “

Ye sun kar sabhi Aditya ki taraf gore se dekhne lage, aur uski aage ki baat sunne lage. Aditya ne sabhi ko paas bulaya, aur phir dheere se unhe Aaryan ka plan batane laga, jisse sun un sabhi ke chehre par muskan aagayi…

Par tabhi Aarush bola…

Aarush : "Par bhai, ismein koi galtii ho gayi to aur kissi ko iske baare mein pata chal gaya to..?"

Ye sun kar Aditya bola…

Aditya : "Mujhe pata hai, par maine pehle hi sabhi cheezon ke baare mein soch liya tha, tab jaakar hi maine Aaryan ka saath dena ke liye haan kaha hai… .

Tabhi Vishakha boli…

Vishakha : “Par bhai, isse papa us par bahut bhadkenge aur agar sab ko pata chal gaya ki Ansh hamara bhai hai to sab hamara mazak udayenge…."

Darasal school mein kisi ko nahi pata tha ki Ansh kis family se hai. Is school mein kai aise bhi bacche hain jo koi government officers ho ya army se jude hue ho to aise bhi bacche yahan hote hain aur kuch ke surname bhi same hote hain…

Isliye kisi ko abhi tak pata nahin tha ki Ansh desh ki sab se badi family Rajvansh family se hai…

Ab aage badhte hain, Aditya Vishakha ki baat par bola…

Aditya : "Mujhe nahi lagta aisa hoga, kyu ki agar papa ko pata chala ki Ansh ne aisa kuch kiya hai to wo kabhi bhi kisi ko pata nahi lagne denge ki Ansh hamare parivaar se hi hai…

Kyunki Dad ko hamari family ki izzat bahut pyari hai, aur mujhe pakka pata hai papa us Ansh ki wajah se parivaar ki izzat kharab nahin hone denge…”

[Jese baat wese sanskaar]

Do din baad Ansh apni class mein betha tha, par aaj class ka mahaul thoda alag tha..

Kyunki aaj seniors ka fight competition tha, jisse poori class excited thi. Sabhi ek dusre se kaun jeetega aur kaun behtar hai, uske baare mein baat kar rahe the…

Wahi Ansh apni jagah par baitha book padh raha tha. Wahi Monika apni friends ke saath baatein kar rahi thi. Tabhi ek teacher class mein aayi aur sabhi bacchon ko kaha ki..

Teacher : “sabhi apne apne student ID card le lein…”

Aur phir sabhi bacchon ko competition wali jagah par le jaane lage…

Jab sabhi bachche nikal gaye the, tabhi teacher ne Ansh ko dekha jo abhi bhi class mein idhar udhar kuch khoj raha tha, yeh dekh kar Teacher bole…

Teacher : "Ansh, tum kya kar rahe ho? Sabhi ja chuke hain…”

Wahi Ansh jo apna ID card khoj raha tha, woh khada hua aur bola…

Ansh : "Sir, pata nahi kyun par mera ID card mil nahi raha hai. Aap jaaiye sir, main aata hoon."

Ye sun kar teacher ne zyada kuch nahi kaha aur usse ID dhoondh kar aane ko kaha. Ye poora school 5 kilometer tak area mein faila hua hai. Pure school ke bahut saare sections hain, par poora school adhiktar modern machines se evolve hai. Aur ho bhi kyun na, yeh school banaya hi gaya hai special bacchon ko train karne ke liye…..

Kuch aam bachchon ko bhi is secret mission ke liye chuna jata hai, par wo bahut kam log hote hain. Aur un bacchon ko isse judne ke liye bhi bahut mehnat karni padti hai…

Ab aage kahani ki taraf badhte hain, Ansh apna ID card dhoondh hi raha tha ki tabhi uski nazar apni aage wali seat ke neeche gayi, jahan uska ID card pada tha….

Usne apna card uthaya aur jaldi se bahar ki taraf daud gaya aur jaldi se bhag kar apni class ke paas pahunch gaya.

Aur kuch der baad sabhi us jagah pahunch gaye jahan competition hai. Wo sabhi apni apni seat par baith gaye. Monika ki seat Ansh ke bagal mein hi thi. Monika ne pucha…

Ansh : "Waise tum kisse support kar rahe ho…?"

Ye sun kar Ansh ne usse kaha….

Ansh : "Kisi ko nahin…”

Ye sun kar Monika boli…

Monika : “Tum bade ajeeb ho…."

Par Ansh ne koi react nahin kiya…

Tabhi wahan ground mein ek ek kar sabhi participants aane lage. Jab Aaryan ki entry hui, tab Monika apni seat par khadi hokar use cheers karne lagi. Aise hi sabhi apne apne logon ko support kar rahe the.

Aise hi Aditya ki entry hui, to Vishakha, Reena, Aarush aur Ayush use cheer up karne lage. Kuch der mein fights shuru ho gayi. Sabse pehle Aditya ke class ke do log ladne aaye….

Phir aise hi kuch match chale aur aakhir mein sabhi fight jeet kar aakhir mein final match mein Aaryan aur Aditya bach gaye…

Ek ghante ke rest ke baad Aaryan aur Aditya ke beech fight shuru hui. Dono hi takkar ke the…

Dono hi aadhe ghante tak ladte rahe, par aakhir mein Aaryan ne apni poori taakat ke saath Aditya ke chehre par punch maar diya…

Par Aditya ne last movement par us punch se bacha aur Aaryan ke pet mein Aditya ne jam kar ek kick de maari jisse Aaryan wahi gir gaya….

Aur phir is match ka winner Aditya bana…

Fir sabhi ko unka inaam diya gaya, jo aisa tha..

Aditya first..

Aaryan second…

Arjun Roy third…

Kuch der baad Aditya aur Aaryan ek room mein khade the, unke saath Aarush aur Ayush bhi the. Aditya bola…

Aditya : “Aarush, kaam ho gaya hai na? Tumne Vishakha se poocha hai na..?"

Haan bhai, Aarush bola…

Aarush : “Aap chinta mat lijiye, jaisa plan tha, waisa hi hua hai. Vishakha ne badi chaalaki se Ansh ka ID card aage ki seat par phek diya tha, jisse wo apne card ke kaaran yahaan late hi pahuncha tha…”

Ye sun kar Aaryan ke chehre par smile aagayi. Tabhi Ayush bola…

Aarush : “Par bhai, camera ka kya…?”

Se sun Aaryan bola..

Aaryan : “Camera ki chinta mat karo, darasal maine apne kuch connection ka use kar ke teen din pehle hi us class aur aas paas ke teen char cameraa ko kharaab kar diya tha…”

Aur wo ab tak repair nahin hue hain. Ye sun kar sabhi smile karne lage..

Wahi, jab Ansh aur sabhi class mein wapas aaye, tab Ansh to apni jagah par baitha wapas book padh raha tha. Wahi Monika apne bag mein kuch dhoondh rahi thi…

Jab uski ek friend ne usse pareshan dekha, to pucha..

Friend : "Kya hua Monika, tum pareshan kyu ho..?"

Monika : “Wo darasal mai apni maa ka woh kimti bracelet jo laayi thi, wo mil nahi raha tha….”

Ye sun kar uski dost Sunali boli…

Sunali : “Monika, dhyan se dekho, tumhare bag mein hi hoga…”

Monika : “Maine poora bag check kar liya, nahin mil raha..”

Itna bolkar Monika dar gayi thi, kyun ki wo uski maa ka bracelet tha aur wo bahut mahenga tha.

Wahi, tabhi teacher class mein aaye jisse sabhi khade ho gaye aur unhe greet kiya. Jab sabhi wapas baith gaye, tabhi Monika boli…

Monika : “Sir, mujhe kuch kaam hai…."

Sir : “Haan Monika bola..”

Monika : “sir mera ek keemti bracelet mil nahi mil raha hai….”

Ye sun kar teacher uske paas aaye aur bole..

Sir : "Kya dhyan se dekho, tumhare paas hi hoga…”

Monika : “Sir, nahin hai, maine dekh liya..”

Sir : “To kya tumne kahin rakha hai…??”

Monika : “Nahi sir, maine abhi tak usse bahar hi nahi nikala tha…”

Sir : “Ok, ok um shaant ho jao…”

Darasal sir yeh isliye bol rahe the kyuki Monika ka poora chehra rone jaisa ho gaya tha…

Fir, sir aage gaye aur bole….

Sir : "Yahan baithe sabhi log apne bag check karayenge…”

Sabhi bacchon ne apne bag nikal kar aage rakj diya. Woh teacher Mr. Shah the Mr. Sha ne sabhi ke ek ek kar bag check karne lage. Jab wo Ansh ka bag check kar rahe the, tabhi unhe kitabon ke beech ek bracelet mila jo kitabon ke beech bahut acche se chhupaaya hua tha…

Unhone wo bracelet bahar nikala aur Monika ki taraf badha diya aur pucha…

Mr. Sha : "Monika, dekho zara yahi bracelet hai..?"

Monika ne apne haath mein bracelet liya aur kaha..

Monika : “Haan, sir, yahi hai….”

Wahi, sabhi ye sun kar Ansh ki taraf ajeeb nazar se dekh rahe the…

Wahi, Ansh ne sir ko dekh kar kaha…

Ansh : “Sir maine ye bracelet nahi liya..”

Ansh bhi dar gaya, usse andar se mehsoos ho raha tha ki uske sath kuch bahut bura hone wala hai fir Ansh ne Monika ki taraf dekh kar kaha..

Ansh : “Monika, trust me, maine tumhara bracelet nahi churaya…”

Ye sun kar Monika ne uski taraf dekha, par uski aankhon mein bhi Ansh ke liye gussa tha. Ye dekh kar Ansh Mr. Shah se bola…

Ansh : "Sir, trust me, maine ye nahi churaya…”

Mr. Sha : “To ye bracelet tumhare beg mein apne aap aa gaya…”

Mr. Shah ne taana kaste hue kaha..

Ansh : “Nahin, sir, mujhe nahi pata ye mere beg mein kaise aaya, mujhe sach mein nahin pata..”

Par Mr. Shah ne uski ek nahi suni. Wo usse principal office ki taraf le jaane lage. Ansh Monika aur Mr. Shah dono se kehta raha ki usne chori nahi ki, par koi bhi uski sunne wala nahi tha.

Wahan Mr. Shah ne kaha..

Mr. Sha : "Monika, tum bhi hamare saath chalo.."

Itna bolkar wo Ansh aur Monika ko principal office ki taraf le jaane lage…

Principal office mein Ansh ek kone mein apna sar jhuka kar khada tha, uski aankhon mein aansu bhar aaye the. Wahi Monika wahi rakhe ek sofe par baithi thi aur uske baaju mein Aaryan baitha tha…

Principal ne Rakesh ko phone karke bulaya tha aur usse bhi bataya tha Ansh ne kya kiya hai. Tabhi principal Deshmukh ne Ansh ki tarah dek kar sakht awaaz mein pucha…

Deshmukh : "Ab batao tumne ye kab aur kaise churaya..?"

Wahi Ansh jiski aankhon mein aansu aaye the, wo bhi samajh gaya tha ye kisi ki sochi samjhi chaal hai. Waise bhi Ansh bahut smart tha, uska dimaag bahut tej chalta tha….

Usse pehle Monika par hi shak tha aur wo bhi samajh gaya tha uska yaha bolne ka koi fayda nahi hai. Wo chahe kuch bhi kyun na bole, par yahan ghuneghaar wahi hai. Ye soch kar Ansh ki aankhon mein aansu ke saath saath gussa bhi bhar gaya…

Principal ke puchhne par bhi Ansh ne koi jawab nahin diya ye dekhkar principal ko bhi gussa aa gaya…

Principal : “Ansh tum pehle se hi kamzor ho, par tumhari family background ke kaaran tumhe is school mein admission mil gaya, par shayad tum iske laayak hi nahi ho….

Jara apne bhai bahan ko dekho, tumhara bhai hi aaj ke competition ka winner hai. Wo apne parivaar ka naam roshan kar raha hai, aur tum apne hi parivaar ka naam dooba rahe ho..”

Wahi, Monika ye sun kar hairaan thi ki Aditya Rajvansh Ansh ka bhai hai. Iska matlab Ansh Rajvansh parivaar se hai….

‘Par maine class mein isse kabhi bhi Vishakha aur Reena ke saath baat karte hue nahin dekha..’

Tabhi principal ke office ka darwaza khula aur Rakesh andar aaya. Usse andar aate dekh kar principal apni jagah se khada hua aur uska swagat kiya….

Fir Rakesh principal ke saamne wali seat par beth gaya aur Ansh ki chori ki baat ki…

Tabhi wahi khade Mr. Shah bhi bole….

Mr. Sha : “Isne chori shayad hum aaj jab arena ki taraf ja rahe the, tab ki hogi. Ye mujhe keh raha tha ki iska ID card khoya hai mil nahin raha. Isliye maine kaha dhoondh kar aa jana. Shayad ussi samay isne chori ki hogi…”

Fir principal ne Rakesh ko bhi kuch baatein sunayi aur aakhir mein kaha…

Deshmukh : "Mr. Rajvansh, main jaanta hoon Ansh aapka beta hai, par phir bhi uski ye harkat dekh kar main usse ab is school mein nahi rakh sakta main Ansh ko aaj hi school se nikaal raha hoon…”

Ye sun kar Ansh to wahi san rahe gaya. Wahi Rakesh jo kab se principal ki baatein sun kar gusse phatne wala tha, wo khada hua aur Ansh ke paas jaakar ek jordar thappad de maara, jisse Ansh ke hont ke kone se khoon aane laga. Par Ansh ne apne munh se "aah" ki bhi awaaz nahin nikaali.

Fir Rakesh ne principal se kaha..

Rakesh : "Principal sahab, aasha karta hoon ki ye baat bahar nahin jayegi. Aur tum yahaan khada kyu ho, jao aur apna bag le aao..."

Ye sun kar Ansh turant wahan se classroom ki taraf chala gaya.

Wo classroom ki taraf ja raha tha, par uske dimaag mein yahi baat chal rahi thi ki Monika ne ye sab jaan bujhkar kiya hai. Ya ye kisi aur ki chaal hai, aur wahan ke camera bhi bandh hai…

Zaroor ye pehle se sochi chaal hai. Ansh jitna uske baare mein sochta, utna hi Ansh ka gussa andar se badh raha tha. Usse to ab apne aas paas chal rahe logon par bhi bharosa nahin ho raha tha…

Ansh apni class mein pahuncha tab sab ussi ko dekh kar baat kar rahe the aur Ansh ka mazak uda rahe the. Ansh ne apna bag lekar jab class ke darwaze ke paas pahuncha, to usne dekha ki sab ussi ko dekh kar has rahe hain…

Tabhi Monika bhi class mein enter kar rahi thi. Ansh ne usse ek baar dekha aur wahan se chala gaya….

Wahi Monika ne bhi usse dekha, par uske liye Ansh ek chor ban gaya tha. Aur Ansn ke liye Monika woh thi jisne shayad use fasane ki saazish rachi hai…

Ansh ka man ab Monika ke prati bahut kharab ho gaya tha. Usne socha ki Monika ne hi usse is mushkil mein daala hai. Wahi Monika bhi Ansh ko ek chor samajh rahi thi. Dono ke beech ab ek ajeeb si duri ban gayi thi…

Ansh abhi Principal room ki taraf ja hi raha tha rashta mai ek washroom tha jab washroom ka darwaza pass aaya to kisi ne acchanak Ansh ko andar ki taraf kheench liya ek pal ke liye to Ansh dar gya lekin baad mai usne khud ko normal kara..

Ansh ne apne samne dekha to woh heraan ho gya..

Ansh ke saamne Aryan khada tha usse dekh kar Ansh apne man mein hi bola..

‘Ab isko kya chahiye mujhse..?’

Tabhi Aryan ki awaaz aayi..

Aryan : "Mujhe pata hai tum kya soch rahe ho, par chinta mat karo. Main tumhe koi nuksan nahi pahunchane wala hoon. Main to bas tumhe yahaan hakikat dikhana chahta hoon..."

Ansh : "Kaisi hakikat..??”

Ansh ka sawal sun kar Aryan thoda hansa aur bola…

Aryan : "Sach mein tum mein kuch to alag baat hai. Itna sab kuch ho gaya, phir bhi tum itne shaant ho, jaise kuch hua hi nahin…”

Ansh : “Tumhe kya chahiye mujhse..?"

Ansh ki baat par Aryan halka hansa aur kaha..

Aryan : "Main bas tumse itna kahunga, tumhari khud ki family mein tumhari koi aukaat nahi hai. Aur tumhe kya lagta hai, meri behen tumhe apna dost banayegi..?"

Ye sun kar Ansh ko kuch samajh to aaya, par usne Aryan se pucha…

Ansh : “Tumhara kya matlab hai…?"

Ye sun kar Aryan bola…

Aryan : “Tum mujhe na-samajh nahin lagte. Tum bhi meri baat ko thoda bahut samajh gaye ho. Tumhare saath jo ho raha hai, ye meri aur Monika ki wajah se hi ho raha hai…”

Ye sun kar Ansh ki aankhon mein gussa bhar gaya, par tabhi Aryan bola…

Aryan : “Par ismein main akela nahin tha. Ye sab planning tumhare hi bhai behenon ne ki hai. Tumhe kya lagta hai, tumara ID card gayab hona, CCTV camera ka kharab hona, ye sab koun kar sakta hai, jis ke paas school mein sabse jyada power ho…?"

Ye sun kar Ansh ki aankhein jo gussa thi, wo kahin gayab hogayi aur ab uski aankhein poori khaali ho gayi thi. Usse ab apne andar hi ek bhaari pan mehsoos ho raha tha…

Aryan ne apni baat aage badhai aur kaha…

Aryan : “Aur tumhi socho, jiske bhai behan hi us insaan ko girana chahte hain, to dusron ki to bhool hi jao..."

Itna bol kar Aryan hastey hue wahan se Ansh ko side se takkar maarkar chala gaya…

Wahi Ansh wahi kuch der khada raha aur wo bhi apni khaali aankhon ke saath Rakesh ke paas chala gaya….

Jab wo Rakesh ke paas pahuncha, tab usne Ansh ko dekh kar kaha…

Rakesh : “Bag lene mein itni der lagti hai? Kaha mar gaye the…?"

Par Ansh ne koi jawab nahin diya…

Ye dekh kar Rakesh ko gussa aane laga, par Rakesh abhi school mein tha, wo yahan par koi tamasha banana nahin chahta tha. Isliye usne Ansh ko peeche wali seat par bethaya aur wahan se car lekar nikal gaya….

Kuch der mein Rakesh ki car Rajvansh haweli ke samne aakar ruki. Rakesh car se bahar nikla aur andar chala gaya. Ansh bhi car se utara aur wo bhi andar jaane laga…

Jab Rakesh hall mai pahuncha, tab tak sabhi ghar wale wahan aa gaye the. Rakesh jab hall mein aaya, tab Rakesh ne usse kheench kar ek thappad de maara. Par Nirmala ji turant aage aayi aur Ansh ko turant apne peeche kar liya.

Rakesh : "Maa, aap iski side lena bandh kijiye. Isne hamare parivaar ki izzat ka tamasha banakar rakh diya hai…

Aaj tak jo principal mere saamne saans lene se pehle sochta tha, wo aaj mujhe hi suna raha tha. Agar ye baat bahar aa jaati to aapko pata hai maa, hamare parivaar ki izzat ka kya hota. Papa, aap hi Maa ko samjhaiye… “

Par Rajendra ji kuch bol pate usse pehle, Nirmala ji boli…

Nirmila : "Mujhe apni parwarish par poora bharosa hai. Ansh aisa kuch nahin kar sakta…."

Ye sun kar Rakesh bola…

Rakesh : "Par Maa, isne chori ki hai. School mein saare saboot iske khilaf hain…*

Ye sun kar Rajendra ji boli…

Rajendra : "Kya camera mein tumne dekha nahi…?”

Rakesh : “Papa, camera kharab tha. Par aakhir mein iske class ke teacher ne Ansh ko hi andar dekha tha. Uske alawa sabhi bacche wahan se chale gaye the aur uske baad to class mein lock lag gaya tha, jisae teacher ya principal hi open kar sakte hain…”

Ye sun kar Nirmala ji boli…

Nirmila : "Iska matlab ye nahi Ansh ne chori ki hai…”

Par tabhi Ansh ne Nirmala ji ka haath pakad liya, jisse Nirmala ji ne us taraf dekha. Ansh ne kaha..

Ansh : "Dadi, iska koi fayda nahi hai. Sab ki nazron mein main ek chor hoon. To yahi sahi. Waise bhi ab main kitna bhi chillaun, kuch badalne wala nahin hai…”

Ye baat Ansh ne bahut dheere se boli thi, jo sirf Nirmala ji ko sunai di thi. Par 'Celestial Level' aur 'Demi God' level mein senses bahut tej kaam karte hain. Isliye sabhi ko uski baat sunai di gayi thi….

Jisse sun kar Nirmala ji ko Ansh par bahut taras aaya. Us bachche ne ab tak bahut kuch jhela hai. Nirmala ji ne kuch nahin kaha aur Ansh phir apne kamre ki taraf chala gaya…

Wahi, Sunena ko bhi apne bete ke liye bahut bura lag raha tha, par wo aage aakar kuch nahin kar sakti thi. Kyunki wo Rakesh se pyaar karti hai, par aaj apne bete ki yeh haalat dekh kar usse apne faisley par pachhtawa ho raha hai…

Vese to duniya mein sabhi usse bahut taakatvar maante hain. Uska bhi apna ek naam hai, par wo hi jaanti hai ki wo apne bete ke liye bhi nahin lad sakti. Uske itne strong hone ka kya fayda? Vase keh sakte hain Sunena bhi kam nahi…

Ansh ke jaane ke baad, Nirmila Rakesh ki taraf dekh kar boli…

Nirmila : “Rakesh, tum bahut badi galti kar rahe ho. Ek din aisa aayega jab tum apne bete ko paane ke liye taras jaoge, par tumhara beta tumhari taraf mud kar bhi nahi dekhega…”

Itana bol kar wo bhi wahan se chali gayi aur baaki sab bhi apne kamron mein chale gaye…

Shaam ko school mein Aryan, Aditya aur baaki sabhi ek jagha khade the aur Aryan ne bataya ki usne Ansh ko bataya tha ki uske saath ye sab kisne kiya hai…

Jise sun kar Aarush bola..

Aarush : "Par Aryan bhai, usne kisi ko bataya to..?"

Ye sun kar Aryan bola..

Aryan : “Agar usne kisi ko bataya bhi diya to kaun uska bharosa karega? Sabhi usse chor hi maante hain. Mujhe nahin lagta uski baat par koi bharosa karega…”

Vase, Niya tumne bhi accha kaam kiya. Un sabhi ke saath ek aur ladki khadi thi, jisse Aryan ne Niya kehkar bulaya tha. Aur ye wahin ladki thi jo Monika ke saath class mein bhi thi aur uski acchk dost bhi…

Usne hi Monika ko wo bracelet laane ke liye kaha tha, to usne wo Monika ke bag se nikala tha aur Ansh ke bag mein daala tha. Ye sab Aryan ka hi plan tha…

Niya koi bade parivaar se nahin aati thi uske dad government mein thodi unchi position par hain. Aryan ne Niya ko paise ka laalach dekar Monika ka friend banne ke liye kaha tha. Phir aage to sabhi ko pata hi hai…

Fir kuch der baatein karne ke baad wo sabhi wahan se nikal gaye aur apne apne ghar ki taraf nikal gaye…

Haweli pahunch kar Aditya aur baaki sab ko ehsaas hua ki ghar ka mahaul theek nahi hai. Isliye wo sab bhi apne apne kamre mein chale gaye…

Wahi, Ansh ke kamre mein Ansh bed par leta ek tak upar ceiling dekh raha tha. Shaam ko dinner time par sabhi dinner table par baithhe the. Ansh aur Nirmala ji ko chhod kar, Nirmala ji Ansh ko khana dene gayi thi. Kuch der mein wo bhi wahan aayi aur kisi se bhi kuch keh bina khana khane lagi… .

Ye dekh sab samajh gaye Nirmala ji bahut naraaz hain, Rakesh bola…

Rakesh : “Maa, meri baat ko samajhne ki koshish kijiye…”

Ye sun kar Nirmala ji ne kaha…

Nirmila : "Tum meri parwarish par sawaal utha rahe ho, Rakesh… “

Ye sun kar Rakesh bola…

Rakesh : "Nahi, maa, aisa nahi hai. Maine maan bhi liya usne chori nahi ki, par saare saboot uske khilaaf hain…”

Ye sun kar Nirmala ji ne kuch nahi kaha aur apna khana khane lagi…

Ye dekh kar Rakesh ne bhi aage kuch nahin kaha aur wo bhi apna khana khane laga. Wahi, sabhi bacche ne ek dusre ko dekha, tab Aditya ne sabhi ko sab theek hai ka ishaara kiya aur sab apna khana khane lage…

Tabhi Virat ne mahaul ko thoda halka karne ke liye kaha…

Virat : "Vese, Aditya beta, tum to aaj fighting competition mein first aaye ho…”

Ye sun kar sab ka dhyan ab Aditya par chala gaya tha. Nirmala ji ka bhi dhyan Ansh se ab hat gaya tha, wo bhi Aditya se uske competition ke baare mein puchhne lagi…

Tabhi Rakesh ko apne bete par garv mehsoos hua aur woh bola..

Rakesh : "Aditya, tumne aaj competition jeet kar hamare parivaar ka naam roshan kiya hai. Tumhe kya gift chahiye, batao…”

Ye sun kar Rajendra ji bhi bole..

Rajendra : "Haan, beta, batao tumhe kya gift chahiye..?"

Ye sun kar Aditya turant bola…

Aditya : "Papa, mujhe ek cheez chahiye, par abhi nahi..."

Ye sun kar Rakesh ne poocha…

Rakesh : "Kya chahiye tumhe, beta, batao?"

Ye suna Aditya bola…

Aditya : "Papa, main jab KYRIOS planet mein enter karunga, taB mujhe aapki woh Ice Wolf ki Soul chahiye."

Ye sun kar Rakesh ne usse dekha aur kaha..

Rakesh : "Theek hai, tum jab KYRIOS mein enter hoge, tab main tumhare liye tumhare pass woh Devil Soul pahuncha duga."

[Us planet par aliens maarne se hum unki energy consume kar sakte hai aur kuch ese bhi aliens hai jinhe maarne se hume unki soul milti hai jo alag alag chijen mai hum use kar sakte hai jese woh soul koi armor, talvaar, teer kamand, ese purane hathiyaar mai hum unhe use kar sakte hai.. ]

Ye sun kar Aditya khush ho gaya aur baaki sabhi bhi tabhi Vishakha boli..

Vishakha : "Papa, to aap khane ke baad humein woh Soul dikhayenge…?"

Ye sun kar Rakesh ne bhi haan bol diya. Wahi, wo sab khush the aur doosri taraf Ansh jo seedhiyon par khada kab se un sab ko dekh raha tha. Aditya, Vishakha, Arush, Sunena aur Rakesh ko dekh kar uski aankhon mein nafrat bharti ja rahi thi. Wo vapas apne kamre mein chala gaya…

Aise hi raat ho gayi. Ansh ke kamre mein Nirmala ji Ansh ke sar ko sahla rahi thi. Ansh unki godh mein sar rakh kar soya hua tha. Tabhi Nirmala ji jo apne hi soch mein gum thi, tabhi unhein Ansh ki awaaz sunai di…

Ansh : "Dadi, kya aapko bhi lagta hai ki maine chori ki hai…?"

Ye sun Nirmala ji bade pyaar se Ansh ka sar sahlate hue boli…

Nirmila : "Nahin, mujhe mere Ansh par poora bharosa hai. Tum aisa koi bhi kaam nahin kar sakte…”

Ye sun kar Ansh bola..

Ansh : “Dadi, aapko mujh par bharosa to hai na…?Main kabhi aisa koi bhi kaam nahin karunga jisse aapko takleef ho..”

Nirmala ji boli..

Nirmila : "Haan, beta, ab so jaao bahut raat ho gayi hai…”

Apni dadi ki baat sun kar Ansh ne apni aankhen band kar li. Nirmala ji bhi kuch der baad apne kamre mein chali gayi. Unke jaane ke kuch der baad Ansh ne apni aankhen kholi aur bistar se khada ho gaya. Phir usne apni almera ke paas jaakar ek chhota sa bag nikala aur usmein kuch kapde aur kuch paise rakhne laga…

Jab usne apne kapde aur kuch paise apne bag mein rakh diye, tab usne apne school ke bag se ek kaanch ki chhoti si bottle nikali. Usmein ek hare rang ki goli rakhi hui thi. Jise dekh kar Ansh bola….

Ansh : "Achha hua maine pehle se gene shop se yeh aabha chhupaane wali goli kharid li. Varna agar maine yahaan se iske bina jaane ki koshish ki to dadi ya dada ji nahin to baaki side family ke kuch demi god buzurgon ko to pata chal hi jata..."

Phir Ansh ne usmein se goli nikali aur khali bottle ko apne haath mein pakad liya. Ab Ansh ke paas khada koi insaan bhi nahin bata sakta tha kii Ansh uske bajoo mein khada hai….

Gene shops bhi medical shops ki tarah hi hoti hain, bas wahan doosri duniya ke liye medicines milti hain. Aabha chhupaane wali goliyan jyadatar log shuruaat mein aliens ko bina pata chale unke paas jaakar unhein maarne ke liye use karte hai..

Jisse aliens ko unke hone ka sense na ho. Ansh ke goli khati hi uski aabha chhup gayi. Ansh ne apna bag uthaya aur bina awaaz kare niche wale floor par apne dada dadi ke kamre ke aage aaya aur apne man mein bola…

‘Dadi, main bhale hi yahaan se ja raha hoon, par main ab yahan nahin reh sakta kyuki yahan aapke siva mera yahan koi apna nahi hai aur vese bhi main bahut kamzor hoon….

Agar main kisi din shaktishali banne mein kamyab ho paaya to us samey shayad main keh sakta hoon ki main aapka pota hoon tab tak ke liye maaf karna, Dadi…."

Itna bol Ansh ne ek paper kamre ke samne rakha aur usne ek eraser us par rakh diya aur haweli se bahar nikal gaya…

Wo guards ki nazron se bachte hue gate ke bahar nikal gaya. Abhi sabhi taraf andhera tha aur jis jagah par Rajvansh haweli thi, uske aas-paas kuch doori par kuch aur haweli thi par sabhi thodi door door thi.

Ansh gate ke bahar nikal aur ek disha mein chala gaya. Raste par street lights chalu thi. Dhire dhire Ansh ki parchai us roshni se andhere ki taraf jaate hue gayab hoti hui dikhrahi thi….

[Ansh Past is over.. ]

Ansh ne apni 7 saal ki zindagi bas kuch hi lamho mai dekhli thi uski zindagi mai khushi ke naam par bas uski dadi thi..

‘Mene apni dadi se vada kara hai mai wapas jaunga mai jarur wapas jaunga.. ‘

Yeh sab soch kar pata nahi Ansh ke andar pata nahi kaha se jaan aa gayi ki Ansh ne kisi tarah khud ko jagaye rakha..

‘Mai haar nahi maan sakta..

Aaa.. Aaaaa…’

Ansh ne apne daat pishe aur dard sehan karne laga uske daat bhi tut gaye ho esa lag raha tha usne itni jor se apne daat pishe the..

10 second..

9…

8…

7…

6…

5…

4…

3…

2…

1…

Dhammmmmm… ..

Ansh apni jagha par hi gir gya..

Continue~~
[Yeh update 7k+ words ka hai..

Es update ko likhne mai wakai bahut mehnat lagi hai and mujhe es story mai incest add karna chaiye ya nahi ek baar batana..

And mai personally es story mai incest add nahi karna chahta...]
 

Dolar

Member
134
259
64

:congrats: for new and first story.
Thanks brother..
Aaj se :reading1:read:reading: karna start karuga. :flybye: ✨
Read karne se kisne roka hai..
Hope stoty end tak jarur jaayegi.
Han meri puri koshish rahegi..
It depends on how much duration the story take time to complete and your consistency, writing skills.😁👍
Writing skills to abhi new hai and consistency to thik hi chal rahi 5 mai se 4 updates ki length bhi 6k+ words ki hai..

Lekin har din update dene mere liye possible nahi i am a student..

Lekin try rahega ki 2 ya 3 din mai daily update aaye..
 
  • Like
Reactions: A users
Top