• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Evolution~Is not end, Is beginning

Dolar

Member
128
254
64
IMG-20241231-221731

Guys mai ek silent reader hu aur yaha itni mast mast story padhkar mera dil mai bhi ek story likhna ka kar diya mai koi professional writter to nahi hu lekin mai fir bhi aap sabke samne apni ek kaalpanik story rakhna chahta hu es story mai aage kya kya aayega woh sab aapko story padhne se pata chal jayega..

Guys Story ka update 8th update is post niche diye hue link se check kar lena..

👇👇


And kya es platform mai incest story hi zada chalti hai fantasy story nahi? :verysad:
 
Last edited:

Achin_Saha18

Don't trust anyone blindly
Supreme
588
429
63
UPDATE-05
Trust..?

Ab tak..

Ansh ke pass ab last chance tha locket ka test pass karne ke liye agar woh test pass nahi karta to woh kabhi mar jata test dene ke dauraan Ansh ko apni puri zindagi dikhai dene lagti hai kese uske baap aur maa ne usse apnane se inkaar kar diya aur ek jhuthi galti ki wajah se usse itni maar khani padi..

Ab aage..

Ansh apni school ki books aur notes taiyaar kar raha tha, tabhi Nirmala ji wahan aayi….

Nirmila : “Ansh dekho mai tumhare liye naya uniform aur ye naya school bag lekar aayi hu..”

Yeh sun kar Ansh ne us taraf dekha, jahan Nirmala ji ek haath mein uska school uniform aur dusre haath mein ek naya school bag lekar khadi thi…

Nirmala ji ne school bag aage kiya aur pucha..

Ansh : "Zara batayo, kaisa hai ye..?"

Ye sun kar Ansh ne smile karne ki koshish ki aur kaha…

Ansh : "Achcha hai, Dadi, mujhe bahut pasand aaya…."

Par wahin Nirmala ji ki aankhein Ansh ko dekhkar bhar aayi, kyunki Ansh ka smile dekh kar aisa laga jaise usne pehle kabhi smile hi na ki ho…

Wo apne man mein hi boli…

‘Mera Ansh ab to ye smile bhi karna bhool gaya hai. Sach mein Bhagwan ne iske saath bahut anyay kiya hai….’

Fir wo apni soch se bahar aayi aur Ansh ki madad karne lagi. Waise bhi usse jyada books nahin le jaani thi, kyunki wo ek special school hai jahan bacchon ko martial art aur dusri duniya ke aliens se ladne ke liye train kiya jata hai…

Agli subah Ansh taiyaar ho kar apne kamre se bahar nikla. Wo darwaze tak pahunch gaya aur wahan Nirmala ji ka wait karna laga, kyunki Nirmala ji hi use chhodne aane wali thi. Tabhi wahan Aditya, Aarush, Vishakha, Reena aur Ayush aaye. Unke piche piche Sunena aur Rakesh bhi wahan aaye…

Rakesh wahan aaya aur usne Ansh ko ignore kiya. Ansh ne bhi un par koi dhyan nahin diya. Sunena ne ek baar Ansh ki taraf dekha, par wo kuch nahin bol paayi. Tabhi Nirmala ji bhi wahan aay….

Ansh : "Chalo, Ansh beta, chale…"

Wo Ansh ko lekar jaane lagi. Us din ke baad se Nirmala ji ne Rakesh se jyada baat nahin ki thi.

Unke jaane ke baad, Rakesh bola…

Rakesh : "Is manhoos ne meri maa ko bhi mujh se chheen liya…."

Itna bolkar wo bola…

Rakesh : "Chalo, ab tum sab ko bhi school jaana hai na…?"

Itna bolkar, wo bhi baaki sabhi bacchon ko lekar wahan se nikal gaya…

Kuch der baad, Ansh apni class mein baitha tha. Ansh ke hi class mein Vishakha aur Reena bhi thi... Class mein teen line thi Ansh sab se aakhri wali line mein second last bench par betha tha. Wo koi book padh raha tha…

Wahin kuch log Ansh ka mazak uda rahe the, to kuch log aliens aur aise hi alag alag baatein kar rahe the. Tabhi class mein teacher aaye, jisse sabhi students apni apni jagah par baith gaye…

Sabhi ko baitha dekha teacher bole…

Teacher : "Hello students, main hoon aapka Aliens Knowledge ka naya teacher Ashok Sha..."

Ye sun kar sabhi ne clap kiya. Fir Mr. Sha bole…

Mr. Sha : "Aaj main aap sabhi ko aapke naye saathi se milwaana chahta hoon, jisne ishi saal aapki class mein admission liya hai."

Fir unhone kisi ko ishaara kiya, to bahar se ek ladki andar aayi. Wo ladki bhi 7 saali ki thi, par usse dekh kar koi bhi kah sakta hai ki wo badi ho kar bahut sundar hogi. Wo dekhne mein kisi hoor ki pari jaisi lag rahi thi…

Sabhi ka dhyan tab tutta jab Mr. Sha ki aawaz aayi. Ansh ki bhi nazar us ladki par tik gayi thi. Jab teacher ne sab ka dhyan toda tab Ansh ne bhi us taraf dekha. Wo ladki Mr. Sha ke paas jakar khadi ho gayi…

Tab Mr. Sha bole…

Mr. Sha : "Beta, khud ko introduce karo..."

Ye sun wo ladki boli…

Ladki : “Hello friends, mera naam Monika Sharma hai. Mujhe dance aur singing bahut pasand hai, aur main abhi level 3 ke peak par hoon, aur jald hi level 4 par pahunch jaungi…"

Ye sunkar sabhi ne clap karna shuru kar diya. Tabhi sabhi aapas mein kaana phusi bhi karne lage….

"Are yaar, ye wahi Monika Sharma to nahin hai? Sharma parivaar se maine suna hai uski ek aur bahen hai, aur wo bhi bahut talented hai…”

Monika ke baare mein jaankar, wahan sabhi bacche aapas mein hi kaana phusi karne lage tabhi Mr. Sha jor se bole…

Mr. Sha : “Silence, silence!!!!"

Teacher ki awaz sun kar sabhi bacche chup ho gaye…

Mr. Sha phir Monika se bole…

Mr. Sha : “Beta, aisa karo, tum ye beech wali line mein third last bench par jakar baith jao, aur baccho, sabhi Monika ki madad karna…”

Fir Monika sar ki dikhai seat par jakar baith gayi.

Tabhi sar ne apni class lena shuru kar diya. Kuch der baad, class khatam hui, tabhi kuch ladkiyan Monika se baat karne lagi. Fir kuch der baad, dusre teacher class mein aaye, unhone bhi class lena shuru kar diya…

Wahi Ansh bhi class mein dhyan de raha tha, tabhi uske pair ke paas aakar kuch gira. To Ansh ne neeche dekha, to wahan ek eraser thi. Ye dekh kar Ansh ne use uthaya aur aas paas dekha, tab uska dhyan Monika par gaya, jo usse hi dekh rahi thi…

Monika thodi dheere awaaz mein boli..

Monika : "Wo meri eraser hai, galti se gir gayi..."

Ye sun kar Ansh ke chehre par koi jyada bhav nahin aaye, usne normal expression ke saath..

Ansh : "It's ok..”

Bol kar wo eraser Monika ko wapas de diya…

Wahi kuch ladke ye dekh chuke the, isliye unhein Ansh se jalan ho rahi thi. Tabhi class khatam hui, fir aise hi ek aur class chali, aur fir break ho gaya. Iske baad sabhi ki martial arts ki training thi.

Break hote hi sabhi bacche canteen ki taraf jaane lage. Ansh bhi canteen ki taraf jaane laga, tabhi usse kisi ladki ki awaaz sunai di..

Ladki : "Thank you, mera eraser wapas karne ke liye..."

Ye awaaz kisi aur ki nahin, Monika ki thi, jo Ansh ko uski madad karne ke liye thanks bol rahi thi…

Ansh ne jyada koi react nahin kiya, usne ek baar bhi Monika ki taraf nahin dekha aur..

Ansh : "It's ok..”

Bol kar chala gaya. Wo canteen mein aaya, aur apni khane ki plate lekar khane ke liye jagah khojne laga…

Tab tak Monika bhi wahan aagayi thi, uske saath kuch ladkiyan bhi thi. Wo sab bhi khane ki plate lekar jagah khojne lage. Unhein tabhi kuch jagah khali mili, wo sab wahan jakar baith gayi….

Tabhi Monika ki nazar wahi khade Ansh par padi…

Ansh ko wo dekh hi rahi thi ki tabhi Monika ne dekha ek ladke ne jaan bujhkar Ansh ke raaste mein pair rakh diya jisse Ansh takkarakar gir gaya aur uska saara khana bhi niche gir gaya…

Ye dekh kar wahan baithen sabhi log Ansh par jor jor se hasne lage…

Monika ke paas baithi ek ladki bhi hasne lagi. Ye dekh kar Monika ko achha nahi laga, wo khadi hui aur Ansh ke paas gayi….

Tab tak Ansh bhi khada ho gaya tha, wo apne kapde saaf kar raha tha. Waise bhi school mein uske liye ye sab koi nayi cheez nahi thi, uske saath aisa har baar hota tha…

Wo apni plate utha hi raha tha ki tabhi wahan Monika ko khada dekha, usne us taraf dekha. Tabhi Ansh kuch samajh paata usse pehle Monika us ladke ke saamne jakar khadi hui, jisne Ansh ko giraaya tha. Monika uske aage jakar boli..

Monika : "Tumne aisa kyu kiya..?"

Ye sun kar wo ladka bola…

Ladka : "Maine kya kiya?"

Ye sun kar Monika apni aankhein chhoti karke boli..

Monika : "Mene dekha tumne khud is ladke ko giraaya hai…"

Monika ne Ansh ki taraf ungli karte hue kaha..

Ye sun kar wo ladka aage kuch bolta usse pehle Ansh bola…

Ansh : "Rehne do, is mein meri galti hai..."

Ye sun kar Monika Ansh ko dekh kar boli..

Monika : "Ye kya bakwas kar rahe ho? Maine khud dekha hai isse tumhe giraate hue…”

Yeh sun kar Ansh kuch nahi bol paya…

Ansh dekh sakta tha ki kayi logon ki nazar us par hai, unmein usse apne liye sirf nafrat aur ghirna hi dikhai de rahi thi….

Ansh ne ek baar un sab ko dekha aur phir usne jaldi se Monika ka peechhe se haath pakad liya…

Wo yahan par koi tamasha nahin chahta tha, isliye usne Monika ko peeche kheencha aur kaha..

Ansh : “Rehne do meri galti hai, mere liye ladne ke liye shukriya, par tumhe mere wajah se musibat mein nahi padna chahiye..."

Itna bol kar Ansh Monika ko lekar wahan se duur chala gaya…

Monika bhi uske peechhe peechhe chali gayi. Ansh ne kuch door aakar Monika ka haath chhod diya aur kaha…

Ansh : "Mere liye ladne ke liye thank you, par please aage se mere maamle mein mujhe tumhari koi help nahi chahiye…”

Ye sun kar Monika Ansh ko ghurne lagi, par Ansh apni baat kehkar wahan se chala gaya…

Wahi Monika bhi wapas apne doston ke paas chali gayi. Wo baithi hi thi ki tabhi ek ladki boli..

Ladki : “Monika, tumhe ek baat kahun, tumhe us ladke ke maamle mein nahi padna chahiye..."

Monika ne us taraf confuse hokar us ladki ko dekha, to wo ladki boli…

Ladki : “Darasal uska naam Ansh hai, aur wo hamari school ka sab se kamzor student hai, aur yeh tak ki wo apni power bhi nahi badha sakta hai, isliye sabhi uske saath aise hi pesh aate hain…”

Monika kuch aur hi soch rahi thi. Fir kuch der baad break khatam hota hai, sabhi log apna battle suit pahan kar training area ki taraf jaane lage. Ansh ne bhi apna training suit pahena aur wo bhi us taraf chala gaya…

Jab sabhi aagaye, tab trainer ne sabhi ko apne apne task bataye. Ansh bhi apna task karne laga, par trainer bhi usse pareshan ho gaya tha, aur wo khud Ansh se khaad khaye baitha tha. Isliye trainer Ansh par koi bhi narami nahin barat raha tha…

Jab tak training khatam hui, tab tak Ansh ki haalat poori tarah kharab ho gayi thi. Wahi Monika ka bhi dhyan Ansh par tha, usse bhi pata chal gaya tha ki trainer Ansh ke saath ye sab jaan bujh kar raha hai…

Ansh ke dono haath thode se sujh gaye the, uske pairo mein bhi dard ho raha tha. Sabhi ka ghar jaane ka time ho gaya tha, isliye dheere dheere kar sabhi bacche wahan se ja rahe the….

Tabhi us training area mein Aditya enter karta hai. Darasal Aditya senior class mein tha…

Wo yaha Reena aur Vishakha ko lene aaya tha. Wahi Ansh ek baaju mai betha hua tha, tabhi usse kisi ki uske paas aane ki aawaz sunai di usne mud kar dekha, to uske saamne Monika khadi thi…

Monika ko dekh kar Ansh ne wapas apna chehra ghuma liya, par Monika ne iska bura nahi mana…

Wo Ansh ke saamne gayi aur apna ek haath aage badhaya aur boli…

Monika : "Hello, Ansh kya tum mujh se dosti karo ge..?"

Darasal Monika Ansh se isliye dosti karna chahti thi kyun ki baaki sab usse dosti uske parivaar aur status ki wajah se karte hain, par Ansh usse alag laga, isliye wo Ansh se dosti karna chahti thi…

Wahi Ansh ne jab suna Monika usse dosti karna chahti hai, to use laga jarur Monika uska mazak uda rahi hogi..

Par jab usne uska serious chehra dekha, to usse samajh aaya Monika mazak nahin kar rahi hai…

Par Ansh khada hua aur bola…

Ansh : " Dekho, mere paas tumhari dosti ke laayak kuch nahin hai. Tumhe class mein mujh se bhi behtar dost mil jaayenge…”

Itna bol kar Ansh khada hua aur wahan se jaane laga…

Ansh ke jaane ke baad Monika bhi wahan se chali gayi. Wahi Vishakha aur baaki sab ne ye sab dekha tha. Wo log abhi training area se nikle hi the ki unhe ye sab dikh gaya…

Tabhi Aarush bola…

Aarush : "Ye Monika us Ansh se kyu dosti karna chahti hai? Wo to itni strong hai aur wo Ansh itna kamzor. Kahin ye Monika Ansh ka fayda to nahin uthana chahti…?”

Darasal Ansh padhai mein bahut achha hai…

Vishakha boli…

Vishakha : “Han ho sakta hai, shyd woh usse apne notes bana na chahti ho hume kya? Chalo..”

Itna bol kar wo sab wahan se jaane lage…

Fir aise hi kuch din bit gaye. School mein Monika Ansh se dosti karne ke liye hamesha uske peechhe rehti. Par Ansh jyada to nahi par Monika se in kuch dinon mein uski thodi bahut help aur usse baat karte rehne se thoda ghul mil gaya tha.

Fir bhi Ansh jyada bhi Monika se baat nahin karta tha. Wo uske sawalon ke jawab bas haan ya naa mein deta tha. Wahi kuch ladke Ansh se bahut jalan mehsoos karte the. Wahi Vishakha aur baaki sab bhi ab Ansh ko jyada pareshan nahi kar paate the…

Raat ko haweli mein…

Vishakha aur baaki sabhi log Aditya ke kamre mein baithhe the Aditya bola..

Aditya : "Tum sab yahan kyu aaye..?"

Ye sun kar Aarush aage aaya aur bola..

Aarush : "Bhai, us Monika ke kaaran ab ye Ansh ke bahut par ug aaye hain. Maine aaj usse bulaya, par usne meri ek bhi suni, mujhe ignore kar raha hai..."

Baaki sab : “Han bhai…”

Darasal Ansh ko jab se wo baat pata chali ki Sunena ne uske saath kya kiya, tab se wo ab Vishakha, Aarush aur Aditya se koi matlab rakhna nahin chahta tha….

Isliye usne pehle se unki na sunne ki tay ki thi. Par in logon ne ab jaakar ye notice kiya, aur unhe lagta hai ye sab Monika ke uske thoda close hone se hai…

Tabhi Aditya bola…

Aditya : Waise Monika ka bada bhai meri hi class mein hai, Aaryan Sharma..

Wo ab mera dost bhi hai. Usne bhi mujhe bataya tha ki wo Monika ko Ansh se door karna chahta hai. Wo bhi nahin chahta Monika Ansh ke aas paas bhi rahe. Isliye usne already ek plan banaya hai… “

Ye sun kar sabhi Aditya ki taraf gore se dekhne lage, aur uski aage ki baat sunne lage. Aditya ne sabhi ko paas bulaya, aur phir dheere se unhe Aaryan ka plan batane laga, jisse sun un sabhi ke chehre par muskan aagayi…

Par tabhi Aarush bola…

Aarush : "Par bhai, ismein koi galtii ho gayi to aur kissi ko iske baare mein pata chal gaya to..?"

Ye sun kar Aditya bola…

Aditya : "Mujhe pata hai, par maine pehle hi sabhi cheezon ke baare mein soch liya tha, tab jaakar hi maine Aaryan ka saath dena ke liye haan kaha hai… .

Tabhi Vishakha boli…

Vishakha : “Par bhai, isse papa us par bahut bhadkenge aur agar sab ko pata chal gaya ki Ansh hamara bhai hai to sab hamara mazak udayenge…."

Darasal school mein kisi ko nahi pata tha ki Ansh kis family se hai. Is school mein kai aise bhi bacche hain jo koi government officers ho ya army se jude hue ho to aise bhi bacche yahan hote hain aur kuch ke surname bhi same hote hain…

Isliye kisi ko abhi tak pata nahin tha ki Ansh desh ki sab se badi family Rajvansh family se hai…

Ab aage badhte hain, Aditya Vishakha ki baat par bola…

Aditya : "Mujhe nahi lagta aisa hoga, kyu ki agar papa ko pata chala ki Ansh ne aisa kuch kiya hai to wo kabhi bhi kisi ko pata nahi lagne denge ki Ansh hamare parivaar se hi hai…

Kyunki Dad ko hamari family ki izzat bahut pyari hai, aur mujhe pakka pata hai papa us Ansh ki wajah se parivaar ki izzat kharab nahin hone denge…”

[Jese baat wese sanskaar]

Do din baad Ansh apni class mein betha tha, par aaj class ka mahaul thoda alag tha..

Kyunki aaj seniors ka fight competition tha, jisse poori class excited thi. Sabhi ek dusre se kaun jeetega aur kaun behtar hai, uske baare mein baat kar rahe the…

Wahi Ansh apni jagah par baitha book padh raha tha. Wahi Monika apni friends ke saath baatein kar rahi thi. Tabhi ek teacher class mein aayi aur sabhi bacchon ko kaha ki..

Teacher : “sabhi apne apne student ID card le lein…”

Aur phir sabhi bacchon ko competition wali jagah par le jaane lage…

Jab sabhi bachche nikal gaye the, tabhi teacher ne Ansh ko dekha jo abhi bhi class mein idhar udhar kuch khoj raha tha, yeh dekh kar Teacher bole…

Teacher : "Ansh, tum kya kar rahe ho? Sabhi ja chuke hain…”

Wahi Ansh jo apna ID card khoj raha tha, woh khada hua aur bola…

Ansh : "Sir, pata nahi kyun par mera ID card mil nahi raha hai. Aap jaaiye sir, main aata hoon."

Ye sun kar teacher ne zyada kuch nahi kaha aur usse ID dhoondh kar aane ko kaha. Ye poora school 5 kilometer tak area mein faila hua hai. Pure school ke bahut saare sections hain, par poora school adhiktar modern machines se evolve hai. Aur ho bhi kyun na, yeh school banaya hi gaya hai special bacchon ko train karne ke liye…..

Kuch aam bachchon ko bhi is secret mission ke liye chuna jata hai, par wo bahut kam log hote hain. Aur un bacchon ko isse judne ke liye bhi bahut mehnat karni padti hai…

Ab aage kahani ki taraf badhte hain, Ansh apna ID card dhoondh hi raha tha ki tabhi uski nazar apni aage wali seat ke neeche gayi, jahan uska ID card pada tha….

Usne apna card uthaya aur jaldi se bahar ki taraf daud gaya aur jaldi se bhag kar apni class ke paas pahunch gaya.

Aur kuch der baad sabhi us jagah pahunch gaye jahan competition hai. Wo sabhi apni apni seat par baith gaye. Monika ki seat Ansh ke bagal mein hi thi. Monika ne pucha…

Ansh : "Waise tum kisse support kar rahe ho…?"

Ye sun kar Ansh ne usse kaha….

Ansh : "Kisi ko nahin…”

Ye sun kar Monika boli…

Monika : “Tum bade ajeeb ho…."

Par Ansh ne koi react nahin kiya…

Tabhi wahan ground mein ek ek kar sabhi participants aane lage. Jab Aaryan ki entry hui, tab Monika apni seat par khadi hokar use cheers karne lagi. Aise hi sabhi apne apne logon ko support kar rahe the.

Aise hi Aditya ki entry hui, to Vishakha, Reena, Aarush aur Ayush use cheer up karne lage. Kuch der mein fights shuru ho gayi. Sabse pehle Aditya ke class ke do log ladne aaye….

Phir aise hi kuch match chale aur aakhir mein sabhi fight jeet kar aakhir mein final match mein Aaryan aur Aditya bach gaye…

Ek ghante ke rest ke baad Aaryan aur Aditya ke beech fight shuru hui. Dono hi takkar ke the…

Dono hi aadhe ghante tak ladte rahe, par aakhir mein Aaryan ne apni poori taakat ke saath Aditya ke chehre par punch maar diya…

Par Aditya ne last movement par us punch se bacha aur Aaryan ke pet mein Aditya ne jam kar ek kick de maari jisse Aaryan wahi gir gaya….

Aur phir is match ka winner Aditya bana…

Fir sabhi ko unka inaam diya gaya, jo aisa tha..

Aditya first..

Aaryan second…

Arjun Roy third…

Kuch der baad Aditya aur Aaryan ek room mein khade the, unke saath Aarush aur Ayush bhi the. Aditya bola…

Aditya : “Aarush, kaam ho gaya hai na? Tumne Vishakha se poocha hai na..?"

Haan bhai, Aarush bola…

Aarush : “Aap chinta mat lijiye, jaisa plan tha, waisa hi hua hai. Vishakha ne badi chaalaki se Ansh ka ID card aage ki seat par phek diya tha, jisse wo apne card ke kaaran yahaan late hi pahuncha tha…”

Ye sun kar Aaryan ke chehre par smile aagayi. Tabhi Ayush bola…

Aarush : “Par bhai, camera ka kya…?”

Se sun Aaryan bola..

Aaryan : “Camera ki chinta mat karo, darasal maine apne kuch connection ka use kar ke teen din pehle hi us class aur aas paas ke teen char cameraa ko kharaab kar diya tha…”

Aur wo ab tak repair nahin hue hain. Ye sun kar sabhi smile karne lage..

Wahi, jab Ansh aur sabhi class mein wapas aaye, tab Ansh to apni jagah par baitha wapas book padh raha tha. Wahi Monika apne bag mein kuch dhoondh rahi thi…

Jab uski ek friend ne usse pareshan dekha, to pucha..

Friend : "Kya hua Monika, tum pareshan kyu ho..?"

Monika : “Wo darasal mai apni maa ka woh kimti bracelet jo laayi thi, wo mil nahi raha tha….”

Ye sun kar uski dost Sunali boli…

Sunali : “Monika, dhyan se dekho, tumhare bag mein hi hoga…”

Monika : “Maine poora bag check kar liya, nahin mil raha..”

Itna bolkar Monika dar gayi thi, kyun ki wo uski maa ka bracelet tha aur wo bahut mahenga tha.

Wahi, tabhi teacher class mein aaye jisse sabhi khade ho gaye aur unhe greet kiya. Jab sabhi wapas baith gaye, tabhi Monika boli…

Monika : “Sir, mujhe kuch kaam hai…."

Sir : “Haan Monika bola..”

Monika : “sir mera ek keemti bracelet mil nahi mil raha hai….”

Ye sun kar teacher uske paas aaye aur bole..

Sir : "Kya dhyan se dekho, tumhare paas hi hoga…”

Monika : “Sir, nahin hai, maine dekh liya..”

Sir : “To kya tumne kahin rakha hai…??”

Monika : “Nahi sir, maine abhi tak usse bahar hi nahi nikala tha…”

Sir : “Ok, ok um shaant ho jao…”

Darasal sir yeh isliye bol rahe the kyuki Monika ka poora chehra rone jaisa ho gaya tha…

Fir, sir aage gaye aur bole….

Sir : "Yahan baithe sabhi log apne bag check karayenge…”

Sabhi bacchon ne apne bag nikal kar aage rakj diya. Woh teacher Mr. Shah the Mr. Sha ne sabhi ke ek ek kar bag check karne lage. Jab wo Ansh ka bag check kar rahe the, tabhi unhe kitabon ke beech ek bracelet mila jo kitabon ke beech bahut acche se chhupaaya hua tha…

Unhone wo bracelet bahar nikala aur Monika ki taraf badha diya aur pucha…

Mr. Sha : "Monika, dekho zara yahi bracelet hai..?"

Monika ne apne haath mein bracelet liya aur kaha..

Monika : “Haan, sir, yahi hai….”

Wahi, sabhi ye sun kar Ansh ki taraf ajeeb nazar se dekh rahe the…

Wahi, Ansh ne sir ko dekh kar kaha…

Ansh : “Sir maine ye bracelet nahi liya..”

Ansh bhi dar gaya, usse andar se mehsoos ho raha tha ki uske sath kuch bahut bura hone wala hai fir Ansh ne Monika ki taraf dekh kar kaha..

Ansh : “Monika, trust me, maine tumhara bracelet nahi churaya…”

Ye sun kar Monika ne uski taraf dekha, par uski aankhon mein bhi Ansh ke liye gussa tha. Ye dekh kar Ansh Mr. Shah se bola…

Ansh : "Sir, trust me, maine ye nahi churaya…”

Mr. Sha : “To ye bracelet tumhare beg mein apne aap aa gaya…”

Mr. Shah ne taana kaste hue kaha..

Ansh : “Nahin, sir, mujhe nahi pata ye mere beg mein kaise aaya, mujhe sach mein nahin pata..”

Par Mr. Shah ne uski ek nahi suni. Wo usse principal office ki taraf le jaane lage. Ansh Monika aur Mr. Shah dono se kehta raha ki usne chori nahi ki, par koi bhi uski sunne wala nahi tha.

Wahan Mr. Shah ne kaha..

Mr. Sha : "Monika, tum bhi hamare saath chalo.."

Itna bolkar wo Ansh aur Monika ko principal office ki taraf le jaane lage…

Principal office mein Ansh ek kone mein apna sar jhuka kar khada tha, uski aankhon mein aansu bhar aaye the. Wahi Monika wahi rakhe ek sofe par baithi thi aur uske baaju mein Aaryan baitha tha…

Principal ne Rakesh ko phone karke bulaya tha aur usse bhi bataya tha Ansh ne kya kiya hai. Tabhi principal Deshmukh ne Ansh ki tarah dek kar sakht awaaz mein pucha…

Deshmukh : "Ab batao tumne ye kab aur kaise churaya..?"

Wahi Ansh jiski aankhon mein aansu aaye the, wo bhi samajh gaya tha ye kisi ki sochi samjhi chaal hai. Waise bhi Ansh bahut smart tha, uska dimaag bahut tej chalta tha….

Usse pehle Monika par hi shak tha aur wo bhi samajh gaya tha uska yaha bolne ka koi fayda nahi hai. Wo chahe kuch bhi kyun na bole, par yahan ghuneghaar wahi hai. Ye soch kar Ansh ki aankhon mein aansu ke saath saath gussa bhi bhar gaya…

Principal ke puchhne par bhi Ansh ne koi jawab nahin diya ye dekhkar principal ko bhi gussa aa gaya…

Principal : “Ansh tum pehle se hi kamzor ho, par tumhari family background ke kaaran tumhe is school mein admission mil gaya, par shayad tum iske laayak hi nahi ho….

Jara apne bhai bahan ko dekho, tumhara bhai hi aaj ke competition ka winner hai. Wo apne parivaar ka naam roshan kar raha hai, aur tum apne hi parivaar ka naam dooba rahe ho..”

Wahi, Monika ye sun kar hairaan thi ki Aditya Rajvansh Ansh ka bhai hai. Iska matlab Ansh Rajvansh parivaar se hai….

‘Par maine class mein isse kabhi bhi Vishakha aur Reena ke saath baat karte hue nahin dekha..’

Tabhi principal ke office ka darwaza khula aur Rakesh andar aaya. Usse andar aate dekh kar principal apni jagah se khada hua aur uska swagat kiya….

Fir Rakesh principal ke saamne wali seat par beth gaya aur Ansh ki chori ki baat ki…

Tabhi wahi khade Mr. Shah bhi bole….

Mr. Sha : “Isne chori shayad hum aaj jab arena ki taraf ja rahe the, tab ki hogi. Ye mujhe keh raha tha ki iska ID card khoya hai mil nahin raha. Isliye maine kaha dhoondh kar aa jana. Shayad ussi samay isne chori ki hogi…”

Fir principal ne Rakesh ko bhi kuch baatein sunayi aur aakhir mein kaha…

Deshmukh : "Mr. Rajvansh, main jaanta hoon Ansh aapka beta hai, par phir bhi uski ye harkat dekh kar main usse ab is school mein nahi rakh sakta main Ansh ko aaj hi school se nikaal raha hoon…”

Ye sun kar Ansh to wahi san rahe gaya. Wahi Rakesh jo kab se principal ki baatein sun kar gusse phatne wala tha, wo khada hua aur Ansh ke paas jaakar ek jordar thappad de maara, jisse Ansh ke hont ke kone se khoon aane laga. Par Ansh ne apne munh se "aah" ki bhi awaaz nahin nikaali.

Fir Rakesh ne principal se kaha..

Rakesh : "Principal sahab, aasha karta hoon ki ye baat bahar nahin jayegi. Aur tum yahaan khada kyu ho, jao aur apna bag le aao..."

Ye sun kar Ansh turant wahan se classroom ki taraf chala gaya.

Wo classroom ki taraf ja raha tha, par uske dimaag mein yahi baat chal rahi thi ki Monika ne ye sab jaan bujhkar kiya hai. Ya ye kisi aur ki chaal hai, aur wahan ke camera bhi bandh hai…

Zaroor ye pehle se sochi chaal hai. Ansh jitna uske baare mein sochta, utna hi Ansh ka gussa andar se badh raha tha. Usse to ab apne aas paas chal rahe logon par bhi bharosa nahin ho raha tha…

Ansh apni class mein pahuncha tab sab ussi ko dekh kar baat kar rahe the aur Ansh ka mazak uda rahe the. Ansh ne apna bag lekar jab class ke darwaze ke paas pahuncha, to usne dekha ki sab ussi ko dekh kar has rahe hain…

Tabhi Monika bhi class mein enter kar rahi thi. Ansh ne usse ek baar dekha aur wahan se chala gaya….

Wahi Monika ne bhi usse dekha, par uske liye Ansh ek chor ban gaya tha. Aur Ansn ke liye Monika woh thi jisne shayad use fasane ki saazish rachi hai…

Ansh ka man ab Monika ke prati bahut kharab ho gaya tha. Usne socha ki Monika ne hi usse is mushkil mein daala hai. Wahi Monika bhi Ansh ko ek chor samajh rahi thi. Dono ke beech ab ek ajeeb si duri ban gayi thi…

Ansh abhi Principal room ki taraf ja hi raha tha rashta mai ek washroom tha jab washroom ka darwaza pass aaya to kisi ne acchanak Ansh ko andar ki taraf kheench liya ek pal ke liye to Ansh dar gya lekin baad mai usne khud ko normal kara..

Ansh ne apne samne dekha to woh heraan ho gya..

Ansh ke saamne Aryan khada tha usse dekh kar Ansh apne man mein hi bola..

‘Ab isko kya chahiye mujhse..?’

Tabhi Aryan ki awaaz aayi..

Aryan : "Mujhe pata hai tum kya soch rahe ho, par chinta mat karo. Main tumhe koi nuksan nahi pahunchane wala hoon. Main to bas tumhe yahaan hakikat dikhana chahta hoon..."

Ansh : "Kaisi hakikat..??”

Ansh ka sawal sun kar Aryan thoda hansa aur bola…

Aryan : "Sach mein tum mein kuch to alag baat hai. Itna sab kuch ho gaya, phir bhi tum itne shaant ho, jaise kuch hua hi nahin…”

Ansh : “Tumhe kya chahiye mujhse..?"

Ansh ki baat par Aryan halka hansa aur kaha..

Aryan : "Main bas tumse itna kahunga, tumhari khud ki family mein tumhari koi aukaat nahi hai. Aur tumhe kya lagta hai, meri behen tumhe apna dost banayegi..?"

Ye sun kar Ansh ko kuch samajh to aaya, par usne Aryan se pucha…

Ansh : “Tumhara kya matlab hai…?"

Ye sun kar Aryan bola…

Aryan : “Tum mujhe na-samajh nahin lagte. Tum bhi meri baat ko thoda bahut samajh gaye ho. Tumhare saath jo ho raha hai, ye meri aur Monika ki wajah se hi ho raha hai…”

Ye sun kar Ansh ki aankhon mein gussa bhar gaya, par tabhi Aryan bola…

Aryan : “Par ismein main akela nahin tha. Ye sab planning tumhare hi bhai behenon ne ki hai. Tumhe kya lagta hai, tumara ID card gayab hona, CCTV camera ka kharab hona, ye sab koun kar sakta hai, jis ke paas school mein sabse jyada power ho…?"

Ye sun kar Ansh ki aankhein jo gussa thi, wo kahin gayab hogayi aur ab uski aankhein poori khaali ho gayi thi. Usse ab apne andar hi ek bhaari pan mehsoos ho raha tha…

Aryan ne apni baat aage badhai aur kaha…

Aryan : “Aur tumhi socho, jiske bhai behan hi us insaan ko girana chahte hain, to dusron ki to bhool hi jao..."

Itna bol kar Aryan hastey hue wahan se Ansh ko side se takkar maarkar chala gaya…

Wahi Ansh wahi kuch der khada raha aur wo bhi apni khaali aankhon ke saath Rakesh ke paas chala gaya….

Jab wo Rakesh ke paas pahuncha, tab usne Ansh ko dekh kar kaha…

Rakesh : “Bag lene mein itni der lagti hai? Kaha mar gaye the…?"

Par Ansh ne koi jawab nahin diya…

Ye dekh kar Rakesh ko gussa aane laga, par Rakesh abhi school mein tha, wo yahan par koi tamasha banana nahin chahta tha. Isliye usne Ansh ko peeche wali seat par bethaya aur wahan se car lekar nikal gaya….

Kuch der mein Rakesh ki car Rajvansh haweli ke samne aakar ruki. Rakesh car se bahar nikla aur andar chala gaya. Ansh bhi car se utara aur wo bhi andar jaane laga…

Jab Rakesh hall mai pahuncha, tab tak sabhi ghar wale wahan aa gaye the. Rakesh jab hall mein aaya, tab Rakesh ne usse kheench kar ek thappad de maara. Par Nirmala ji turant aage aayi aur Ansh ko turant apne peeche kar liya.

Rakesh : "Maa, aap iski side lena bandh kijiye. Isne hamare parivaar ki izzat ka tamasha banakar rakh diya hai…

Aaj tak jo principal mere saamne saans lene se pehle sochta tha, wo aaj mujhe hi suna raha tha. Agar ye baat bahar aa jaati to aapko pata hai maa, hamare parivaar ki izzat ka kya hota. Papa, aap hi Maa ko samjhaiye… “

Par Rajendra ji kuch bol pate usse pehle, Nirmala ji boli…

Nirmila : "Mujhe apni parwarish par poora bharosa hai. Ansh aisa kuch nahin kar sakta…."

Ye sun kar Rakesh bola…

Rakesh : "Par Maa, isne chori ki hai. School mein saare saboot iske khilaf hain…*

Ye sun kar Rajendra ji boli…

Rajendra : "Kya camera mein tumne dekha nahi…?”

Rakesh : “Papa, camera kharab tha. Par aakhir mein iske class ke teacher ne Ansh ko hi andar dekha tha. Uske alawa sabhi bacche wahan se chale gaye the aur uske baad to class mein lock lag gaya tha, jisae teacher ya principal hi open kar sakte hain…”

Ye sun kar Nirmala ji boli…

Nirmila : "Iska matlab ye nahi Ansh ne chori ki hai…”

Par tabhi Ansh ne Nirmala ji ka haath pakad liya, jisse Nirmala ji ne us taraf dekha. Ansh ne kaha..

Ansh : "Dadi, iska koi fayda nahi hai. Sab ki nazron mein main ek chor hoon. To yahi sahi. Waise bhi ab main kitna bhi chillaun, kuch badalne wala nahin hai…”

Ye baat Ansh ne bahut dheere se boli thi, jo sirf Nirmala ji ko sunai di thi. Par 'Celestial Level' aur 'Demi God' level mein senses bahut tej kaam karte hain. Isliye sabhi ko uski baat sunai di gayi thi….

Jisse sun kar Nirmala ji ko Ansh par bahut taras aaya. Us bachche ne ab tak bahut kuch jhela hai. Nirmala ji ne kuch nahin kaha aur Ansh phir apne kamre ki taraf chala gaya…

Wahi, Sunena ko bhi apne bete ke liye bahut bura lag raha tha, par wo aage aakar kuch nahin kar sakti thi. Kyunki wo Rakesh se pyaar karti hai, par aaj apne bete ki yeh haalat dekh kar usse apne faisley par pachhtawa ho raha hai…

Vese to duniya mein sabhi usse bahut taakatvar maante hain. Uska bhi apna ek naam hai, par wo hi jaanti hai ki wo apne bete ke liye bhi nahin lad sakti. Uske itne strong hone ka kya fayda? Vase keh sakte hain Sunena bhi kam nahi…

Ansh ke jaane ke baad, Nirmila Rakesh ki taraf dekh kar boli…

Nirmila : “Rakesh, tum bahut badi galti kar rahe ho. Ek din aisa aayega jab tum apne bete ko paane ke liye taras jaoge, par tumhara beta tumhari taraf mud kar bhi nahi dekhega…”

Itana bol kar wo bhi wahan se chali gayi aur baaki sab bhi apne kamron mein chale gaye…

Shaam ko school mein Aryan, Aditya aur baaki sabhi ek jagha khade the aur Aryan ne bataya ki usne Ansh ko bataya tha ki uske saath ye sab kisne kiya hai…

Jise sun kar Aarush bola..

Aarush : "Par Aryan bhai, usne kisi ko bataya to..?"

Ye sun kar Aryan bola..

Aryan : “Agar usne kisi ko bataya bhi diya to kaun uska bharosa karega? Sabhi usse chor hi maante hain. Mujhe nahin lagta uski baat par koi bharosa karega…”

Vase, Niya tumne bhi accha kaam kiya. Un sabhi ke saath ek aur ladki khadi thi, jisse Aryan ne Niya kehkar bulaya tha. Aur ye wahin ladki thi jo Monika ke saath class mein bhi thi aur uski acchk dost bhi…

Usne hi Monika ko wo bracelet laane ke liye kaha tha, to usne wo Monika ke bag se nikala tha aur Ansh ke bag mein daala tha. Ye sab Aryan ka hi plan tha…

Niya koi bade parivaar se nahin aati thi uske dad government mein thodi unchi position par hain. Aryan ne Niya ko paise ka laalach dekar Monika ka friend banne ke liye kaha tha. Phir aage to sabhi ko pata hi hai…

Fir kuch der baatein karne ke baad wo sabhi wahan se nikal gaye aur apne apne ghar ki taraf nikal gaye…

Haweli pahunch kar Aditya aur baaki sab ko ehsaas hua ki ghar ka mahaul theek nahi hai. Isliye wo sab bhi apne apne kamre mein chale gaye…

Wahi, Ansh ke kamre mein Ansh bed par leta ek tak upar ceiling dekh raha tha. Shaam ko dinner time par sabhi dinner table par baithhe the. Ansh aur Nirmala ji ko chhod kar, Nirmala ji Ansh ko khana dene gayi thi. Kuch der mein wo bhi wahan aayi aur kisi se bhi kuch keh bina khana khane lagi… .

Ye dekh sab samajh gaye Nirmala ji bahut naraaz hain, Rakesh bola…

Rakesh : “Maa, meri baat ko samajhne ki koshish kijiye…”

Ye sun kar Nirmala ji ne kaha…

Nirmila : "Tum meri parwarish par sawaal utha rahe ho, Rakesh… “

Ye sun kar Rakesh bola…

Rakesh : "Nahi, maa, aisa nahi hai. Maine maan bhi liya usne chori nahi ki, par saare saboot uske khilaaf hain…”

Ye sun kar Nirmala ji ne kuch nahi kaha aur apna khana khane lagi…

Ye dekh kar Rakesh ne bhi aage kuch nahin kaha aur wo bhi apna khana khane laga. Wahi, sabhi bacche ne ek dusre ko dekha, tab Aditya ne sabhi ko sab theek hai ka ishaara kiya aur sab apna khana khane lage…

Tabhi Virat ne mahaul ko thoda halka karne ke liye kaha…

Virat : "Vese, Aditya beta, tum to aaj fighting competition mein first aaye ho…”

Ye sun kar sab ka dhyan ab Aditya par chala gaya tha. Nirmala ji ka bhi dhyan Ansh se ab hat gaya tha, wo bhi Aditya se uske competition ke baare mein puchhne lagi…

Tabhi Rakesh ko apne bete par garv mehsoos hua aur woh bola..

Rakesh : "Aditya, tumne aaj competition jeet kar hamare parivaar ka naam roshan kiya hai. Tumhe kya gift chahiye, batao…”

Ye sun kar Rajendra ji bhi bole..

Rajendra : "Haan, beta, batao tumhe kya gift chahiye..?"

Ye sun kar Aditya turant bola…

Aditya : "Papa, mujhe ek cheez chahiye, par abhi nahi..."

Ye sun kar Rakesh ne poocha…

Rakesh : "Kya chahiye tumhe, beta, batao?"

Ye suna Aditya bola…

Aditya : "Papa, main jab KYRIOS planet mein enter karunga, taB mujhe aapki woh Ice Wolf ki Soul chahiye."

Ye sun kar Rakesh ne usse dekha aur kaha..

Rakesh : "Theek hai, tum jab KYRIOS mein enter hoge, tab main tumhare liye tumhare pass woh Devil Soul pahuncha duga."

[Us planet par aliens maarne se hum unki energy consume kar sakte hai aur kuch ese bhi aliens hai jinhe maarne se hume unki soul milti hai jo alag alag chijen mai hum use kar sakte hai jese woh soul koi armor, talvaar, teer kamand, ese purane hathiyaar mai hum unhe use kar sakte hai.. ]

Ye sun kar Aditya khush ho gaya aur baaki sabhi bhi tabhi Vishakha boli..

Vishakha : "Papa, to aap khane ke baad humein woh Soul dikhayenge…?"

Ye sun kar Rakesh ne bhi haan bol diya. Wahi, wo sab khush the aur doosri taraf Ansh jo seedhiyon par khada kab se un sab ko dekh raha tha. Aditya, Vishakha, Arush, Sunena aur Rakesh ko dekh kar uski aankhon mein nafrat bharti ja rahi thi. Wo vapas apne kamre mein chala gaya…

Aise hi raat ho gayi. Ansh ke kamre mein Nirmala ji Ansh ke sar ko sahla rahi thi. Ansh unki godh mein sar rakh kar soya hua tha. Tabhi Nirmala ji jo apne hi soch mein gum thi, tabhi unhein Ansh ki awaaz sunai di…

Ansh : "Dadi, kya aapko bhi lagta hai ki maine chori ki hai…?"

Ye sun Nirmala ji bade pyaar se Ansh ka sar sahlate hue boli…

Nirmila : "Nahin, mujhe mere Ansh par poora bharosa hai. Tum aisa koi bhi kaam nahin kar sakte…”

Ye sun kar Ansh bola..

Ansh : “Dadi, aapko mujh par bharosa to hai na…?Main kabhi aisa koi bhi kaam nahin karunga jisse aapko takleef ho..”

Nirmala ji boli..

Nirmila : "Haan, beta, ab so jaao bahut raat ho gayi hai…”

Apni dadi ki baat sun kar Ansh ne apni aankhen band kar li. Nirmala ji bhi kuch der baad apne kamre mein chali gayi. Unke jaane ke kuch der baad Ansh ne apni aankhen kholi aur bistar se khada ho gaya. Phir usne apni almera ke paas jaakar ek chhota sa bag nikala aur usmein kuch kapde aur kuch paise rakhne laga…

Jab usne apne kapde aur kuch paise apne bag mein rakh diye, tab usne apne school ke bag se ek kaanch ki chhoti si bottle nikali. Usmein ek hare rang ki goli rakhi hui thi. Jise dekh kar Ansh bola….

Ansh : "Achha hua maine pehle se gene shop se yeh aabha chhupaane wali goli kharid li. Varna agar maine yahaan se iske bina jaane ki koshish ki to dadi ya dada ji nahin to baaki side family ke kuch demi god buzurgon ko to pata chal hi jata..."

Phir Ansh ne usmein se goli nikali aur khali bottle ko apne haath mein pakad liya. Ab Ansh ke paas khada koi insaan bhi nahin bata sakta tha kii Ansh uske bajoo mein khada hai….

Gene shops bhi medical shops ki tarah hi hoti hain, bas wahan doosri duniya ke liye medicines milti hain. Aabha chhupaane wali goliyan jyadatar log shuruaat mein aliens ko bina pata chale unke paas jaakar unhein maarne ke liye use karte hai..

Jisse aliens ko unke hone ka sense na ho. Ansh ke goli khati hi uski aabha chhup gayi. Ansh ne apna bag uthaya aur bina awaaz kare niche wale floor par apne dada dadi ke kamre ke aage aaya aur apne man mein bola…

‘Dadi, main bhale hi yahaan se ja raha hoon, par main ab yahan nahin reh sakta kyuki yahan aapke siva mera yahan koi apna nahi hai aur vese bhi main bahut kamzor hoon….

Agar main kisi din shaktishali banne mein kamyab ho paaya to us samey shayad main keh sakta hoon ki main aapka pota hoon tab tak ke liye maaf karna, Dadi…."

Itna bol Ansh ne ek paper kamre ke samne rakha aur usne ek eraser us par rakh diya aur haweli se bahar nikal gaya…

Wo guards ki nazron se bachte hue gate ke bahar nikal gaya. Abhi sabhi taraf andhera tha aur jis jagah par Rajvansh haweli thi, uske aas-paas kuch doori par kuch aur haweli thi par sabhi thodi door door thi.

Ansh gate ke bahar nikal aur ek disha mein chala gaya. Raste par street lights chalu thi. Dhire dhire Ansh ki parchai us roshni se andhere ki taraf jaate hue gayab hoti hui dikhrahi thi….

[Ansh Past is over.. ]

Ansh ne apni 7 saal ki zindagi bas kuch hi lamho mai dekhli thi uski zindagi mai khushi ke naam par bas uski dadi thi..

‘Mene apni dadi se vada kara hai mai wapas jaunga mai jarur wapas jaunga.. ‘

Yeh sab soch kar pata nahi Ansh ke andar pata nahi kaha se jaan aa gayi ki Ansh ne kisi tarah khud ko jagaye rakha..

‘Mai haar nahi maan sakta..

Aaa.. Aaaaa…’

Ansh ne apne daat pishe aur dard sehan karne laga uske daat bhi tut gaye ho esa lag raha tha usne itni jor se apne daat pishe the..

10 second..

9…

8…

7…

6…

5…

4…

3…

2…

1…

Dhammmmmm… ..

Ansh apni jagha par hi gir gya..


Continue~~
[Yeh update 7k+ words ka hai..

Es update ko likhne mai wakai bahut mehnat lagi hai and mujhe es story mai incest add karna chaiye ya nahi ek baar batana..

And mai personally es story mai incest add nahi karna chahta...]
Nice update
Waiting for next update
 

Raju0053

Active Member
515
1,256
138
Bro story mast ja rahi hai
Thoda thoda concept bhut story se mill rha hai
Lakin bhai 1 request hai story mein dollar wala seen mat rakhna
ya fir rakhna ho to thoda sa hi lena
Baaki aap ki marzi aap ki story
 
  • Like
Reactions: Dolar

Ali is back

Member
447
1,732
138
Story ab tak bahut shaandar rahi hai , ansh ka character aur Angy ka character development, bahut behtreen dikhaya hai musibate us insaan ko Umar se pahle paripakv kar deta hai
Jo unhe bahut aage le jata hai
Yahi haal ansh ka hai. , Bachpan se hi pyaaar , nafrat ,dhutkar , najarandaaj , jhuth aur sach sab dekh liya aur jaan liya hai ,
Kahani bahut rochak hogi bas aage update dete rahe
 
  • Love
Reactions: Dolar

Dolar

Member
128
254
64
Bro story mast ja rahi hai
Thanks bro..
Thoda thoda concept bhut story se mill rha hai
Lakin bhai 1 request hai story mein dollar wala seen mat rakhna
Story ka base ek novel se hai but abhi tak puri story mai apne usse likh raha hu Ansh ki life ho gayi Angy ho gayi..

And dollar wala mere dimaag mai abhi tak kuch nahi aaya..
ya fir rakhna ho to thoda sa hi lena
Baaki aap ki marzi aap ki story
Abhi ansh sabke samne nahi aa sakta agar Rajvansh family ko ansh ka pata chal gya to problem hogi isliye Ansh mai ansh ko pure samay mask pehnane ki soch raha hu taaki by chance ansh kisi ese se mil bhi gya to koi problem na ho..
 

Dolar

Member
128
254
64
Story ab tak bahut shaandar rahi hai , ansh ka character aur Angy ka character development, bahut behtreen dikhaya hai musibate us insaan ko Umar se pahle paripakv kar deta hai
Jo unhe bahut aage le jata hai
Yahi haal ansh ka hai. ,
Han isliye mene 6 saal se hi Ansh ki life esi rakhi hai aur Angy ki life shuru mai alag thi lekin ab woh bhi bas powerful hone pe dhyan de rahi hai update 6 mai angy pehle hi level 7 pe hai..
Bachpan se hi pyaaar , nafrat ,dhutkar , najarandaaj , jhuth aur sach sab dekh liya aur jaan liya hai ,
Pyaar apni dadi ka, nafrat uske baap ko, dhutkar uski maa ki taraf se, nazarandaaj puri family, jhuth us bhai behen, sach aryan ka sach batana aur dadi ka sach, dosti turns Monika..


Kahani bahut rochak hogi bas aage update dete rahe
Update dene mai thoda time lag jayega aaj update post karunga
 
  • Like
Reactions: Ali is back

A users

🕸 SPIDEY 🕷
123
158
43
Shukriya bhai es story pe pehla itna bada comment karne ke liye...
:welcome1:
Angy ki maa ne ansh se badla lene ke liye nahi kaha tha
Are ha bhul gaya tha.😁
aur na hi ansh ka esa koi irada hai Angy ki maa apni beti ko bas ek normal life dena chahti thi jo us condition mai har ek maa chahegi..

aur unhone ansh ki memory dekhi thi isliye usse pata tha woh kaise hai agar aage chal kar Angy pe koi pareshani aayegi to kab Ansh uske samne khada hoga..
Yes.
Bhai woh dono updates family se related the isliye itne character add karne pade aage bhi character add honge lekin ek sath itne nahi karunga ab mostly aliens and character development pe dhyan rahega KYRIOS ki journey ke baadd
OK
Ansh ki family ne usse ghar se bahar nahi nikala tha ansh ghar chhod kar aa gya tha, lekin ek tarah se dekha jaye to usse koi bhi ghar ka member nahi maanta tha yaha tak bahar ki duniya mai bhi bahut kam log jante hai ki Rakesh ke 4 bacche hai....
Oh.

Yeh locket Ansh ki puri life change kar degi and es skill ko banane wala Angy ki maa se bhi bahut zada powerful hai..

Next update mai iska answer mil jayega..
Intajar rahega:peepwall:
Abhi tak story mai yeh show nahi hue hai ki Rajvansh family and Suryavanshi family rivals hai bas Adhiraj ke muh se Rajvansh family ke kisi buddhe ka jikr hua tha lekin kon yeh nahi jante..

Yeh to aage hi pata chalega..
🆗
Mai yaha bataunga to dhan se smjh nahi aayega lekin kuch updates mai KYRIOS ki journey shuru hone wali hai..
Thik hai
Mene pehele hi decide kar liya tha es story mai Incest nahi hoga...
Good decision :alright3::applause::applause:
Bro heroine hongi and ek se zada hongi lekin abhi heroine add nahi kar sakta kyuki Ansh abhi bas 8 saal ka hai:idk1:

And 18 saal se hone se pehele may be mai ek heroine add karu lekin uske sath
Koi dikkat nahi.:bigboss1:
Romance ka tag bhi chaho to add:online: karlo.:inluv::yo:
koi scene ya esa kuch nahi hoga..
Mujhe jyada esa[S*x] kuch chahiye bhi nahi bas jaha jarurat ho vaha skip mat karna..... Vese Abhi to itni jaldi ho bhi nahi sakta kyoki jo chij aasani se mil jaye to maja bhi nahi aayega.

Ansh ne 18 ke hone ke baad sab kuch milega..
Koi jaldi nahi hai:smoking::smoking:
Next update kal raat ko mil jayega and update 9 ya 10 se KYRIOS ki journey shuru ho sakti hai..
:toohappy::toohappy:
Mai update 7 and 8 en dono update mai sab kuch karna ki soch raha hu..
Agar bada update ho raha ho 1-2 din aur lelo taki 2 update me complete ho jaye.....Akdum short me mat nipta dena varna maja nahi aayega.
And firse thanks itna accha reply karne ke liye..
:welcome1:
 
  • Love
Reactions: Dolar

A users

🕸 SPIDEY 🕷
123
158
43
Today update length is 8.5k+ words.. :what3:

Just abhi ready hua hai bas kuch mistakes and thoda bahut edit karne ke baad raat ko post kar dunga:what2:
a penguin is laying on a pillow with a cell phone and the word waiting behind it
 
  • Like
Reactions: Dolar
Top