- 1,099
- 1,926
- 159
Update--29
Aegeus: Phr bhi baat wohi hai kon ho ga.
Zeus: Mera Beta jo Insanon main peda ho ga Zaigham.
Zeus ki baat sun k us ki BV aur us ka beta shocked they aur heran bhi k ek God ka beta Insanon main kesay peda ho sakta hai yeh tou na mumkin si baat hai lekin unhey yeh bhi pata tha k ager Zeus ne yeh kaha hai tou koi na koi rasta ho ga hi jis sey yeh sab mumkin ho jaey.
Aegeus: Yeh baat namumkin si hai k koi God ka beta Insanon main peda ho lekin ager aap keh rahey hn tou shaid koi na koi tareeka ho ga hi lekin filhal baat yeh hai k usey Kaid kesey kia jaey jo k muskil hai.
Zeus: Ho jaey ga lekin us sey pehley mein bata doon k abhi jo mein krun ga us sey ghabrana nai hai kiun k jo krney ja raha hn ek wohi tareeka hai aur jo tumhey kaha jaey ga woh lazmi krna.
Ismena: Kon sa tareeka.
Zeus: Mujh se door ja k kharey ho jao.
Ismena aur Aegeus Zeus se door chaley gaey aur Zeus ne aankhein band keen aur us k samney ek white gola bana us k baad aasman se us main Lightning girney lagi aur phr who gola aahista aahista ek Rooh(Soul) ki sakal leney laga jab who Soul ki sakal le chuka tou Zeus ne usey ishara kia aur who Zeus main sama gya jesay hi who Soul Zeus main gya Zeus ko behad takleef honey lagi her traf Aandhi chalney lagi aur Lightning girney lagi.
Zeus dard ki waajah se ghutnon pe aagya aur us k hath zameen pe they achanak us ne aasman ki traf deikha aur hath pheila diey Aasman se ek mukhtalif kism ki Lightning jo k aaj tuk kisi ne bhi nai deikhi thi aur her rang ki who Zeus main janey lagi yeh manzer deikh k tou Ismena aur Aegeus ki aankhein hi herat se khuli hueen theen kch deir yeh chalta raha aur phr band ho gya Zeus doobara ghutnon k bal hath zameen pe rakhey zor zor se saansein le raha tha k achanak who khara ho gya.
Awaz: Hello everyone.
Yahan Diablo k mehal main Diablo ko mehsoos hua k kch bht bara hua hai usey bht hi zyada bari white energy ki Ujra feel ho rahi thi aur who janta tha k yeh Zeus ki tou bilkul bhi nai hai aur yeh energy Zeus se bilkul mukhtalif aur zyada takatwar thi who esi barey main soch raha tha us ne Santan aur us k bhai ko bulwa lia.
Santan: G God aap ne bulaya.
Diablo: Santan mujhey aesa lag raha hai k kch ghalat honey wala hai, kia? mujhey nai maloom mein pata lagat hn tub tuk jo kaam kahey hn who mukamal kr lo lekin ager mujhey kch hota hai ja mera contact tum se tootta hai tou ghabrana nai mein aaun ga wapis lekin jo kaam kahey gaey hn who rukna nai chaiey.
Santan: G Hukam aesa hi ho ga jo aap ne kaha hai.
Diablo wahan se apney kamrey main gya kamra mukamal band kr k Sheild se cover kr lia aur wahan beith gya aur aankhein band kr leen kch deir main us k samney ek talwar(Sword) banney lagi aur kch hi deir main who ban gai.

Jab ban gai tou Diablo k Shareer se kafi matra main Ujra nikli aur us talwar main sama gai jesay hi who Ujra us talwar main gai Talwar shake honey lagi usey ek neeeley rang ki roshni ne usey gheir lia aur jab clear hua tou Talwar main neeley rang ki roshni chamakney lagi.

Us k baad Diablo mazeed kch na kch krta raha aur us k thodi deir k baad phr se us k jism se Ujra nikli aur ghaib ho gai ab who kahan gai who nai maloom lekin ek baat zaroor hui who yeh k Diablo ka right shoulder pe chota sa hissa jo tha who chamakney laga es sey aagey Diablo kch krta who aur us ki Talwar wahan se ghaib ho gai.
Back to Zeus Castle:
Awaz: Hello everyone.
Jesay hi yeh awaz gunji Ismena aur Aegeus aankhein pharey Zeus ko deikhney lagey kiun k yeh awaz Zeus ki hi thi aur heran honey ki baat yeh thi k yeh awaz Zeus ki orignal awaz se mukhtalif thi esi liey Ismena au Aegeus herat se Zeus ki traf deikh rahey they aur Zeus bhi un ki halat pe muskura raha tha.
Zeus: Don't look atme like that mein Zeus nai es waqt Zaigham hn.
Ab yeh ek aur bomb phata un dono pe.
Ismena: Kia matlab aur Zeus kahan hn.
Zeus(Zaigham): (Muskura k) Who yaheen hn mein bas Diablo ko kaid krney k liey aaya hn us k baad chala jaun ga.
Aegeus: Tou tum usey kaid kro gey.
Zeus(Zaigham): Haan who baad ki baat hai us sey pehley Let me Assume k merey Peda honey pe kia kia ho sakta hai aur mujhey es waqt kia kia krna chaiey.
Zeus(Zaigham) ne apni aankhein band kr leen aur takreeban ek ghantey k baad us ne apni aakhein khol deen.
Zeus(Zaigham): Hmmm lot of work to do Chalein Aegeus.
Aegeus: Kahan.
Zeus(Zaigham) ne chutki bajayee aur dono wahan se ghaib ho gaey Aegeus apney aap ko ek anjaan aur sunsaan jagah pe deikh k heran ho gya dono abhi space main they door door tuk kch bhi nai tha na planet na kch aur tha tou bas andhera.
Aegeus: Yeh kahan aa gaey hum.
Zeus(Zaigham): Yeh who jagah hai yahan Black power bilkul bhi kaam nai krti chahey who koi si bhi ho Yaheen Diablo ko Kaid krna hai.
Zeus(Zaigham) ne Chutki bajayee tou wahan roshni pheil gai aur kch deir k baad jab roshni hati tou wahan ek planet tha ji k uper kaley badal mandla rahey they Aegeus yeh deikh k heran tha us k baad Zeus(Zaigham) ne phr se chutki bjayee aur un k samney koi tha jo khud heran tha aur idher udher deikh raha tha.
Zeus(Zaigham): Hello Diablo.
Diablo ne Awaz ki traf deikha tou us ki aankhein bari ho gaeen kiun k us k samney Zeus khada tha lekin jo awaz us ne suni thi who us ki nai thi who mukhtalif thi.
Diablo: Zeus? Lekin awaz tou koi aur thi kon ho tum.
Zeus(Zaigham): Who zaroori nai hai zaroori hai k tumhey yahan kiun laya gya hai jantey ho es jagah k barey main.
Jab Diablo ne apney aas pass deikha aur aankhein band keen tou jhat se aankhein khol k shocked ho k Zeus(Zaigham) ko deikhney laga us ne apni Talwar pe hath rakha lekin uss k hath Khali Talwar us k pass thi hi nai.
Zeus(Zaigham): Isey dhoondh rahey ho.
Diablo ne jab Zeus(Zaigham) ki traf deikha tou us ki talwar Zeus(Zaigham) k hath main thi Diablo ko jhatkey pe jhatkey lag rahey they who kabhi apney hathon ki traf deikhta tou kabhi Zeus(Zaigham) ki traf phr achanak Zeus(Zaigham) ghaib hua aur Diablo k bilkul samney khada ho gya itna pass k hath se ek doosrey ko touch kr saktey they Diablo Zeus(Zaigham) ko achanak itne pass deikh k elert ho gya who kch krta k tabhi us ko apney right shoulder pe pain hua lekin kch sec k liey us k baad jab us ne Zeus(Zaigham) ki traf deikha tou who apni jagah ja chuka tha.
Zeus(Zaigham): Tumhey yahaan Kaid krney k liey laya gya hai Diablo aur tum tub tuk Kaid raho gey jab tuk tumhey marney ka tareeka nai mill jata.
Diablo: Mujhey marna namumkin hai mein Amar hn aur kab tuk Kaid rakh pao gey mujhey.
Zeus(Zaigham): Yeh tou waqt hi btaye ga.
Zeus(Zaigham) ne chutki bjayee Diablo wahan se ghaib ho gya aur us k ghaib hotey hi planet pe jo badal mandla rahey they unho ne barish shuru kr di Zeus(Zaigham) aur Aegeus wahan se ghaib ho gaey aur apney mehal pounch gaey.
Last edited: