- 1,099
- 1,926
- 159
Update--30
Zeus(Zaigham): Yeh tou waqt hi btaye ga.
Zeus(Zaigham) ne chutki bjayee Diablo wahan se ghaib ho gya aur us k ghaib hotey hi planet pe jo badal mandla rahey they unho ne barish shuru kr di Zeus(Zaigham) aur Aegeus wahan se ghaib ho gaey aur apney mehal pounch gaey.
Aegeus: Ab aagey kia.
Zeus(Zaigham): Mujhey kch kaam krney hn takeh jab mein peda hn tou koi muskil na ho merey liey.
Aegeus: Baba kehtey hn k itni aasani se cheezein milney lagein tou us main gadbad zaroor hoti hai.
Zeus(Zaigham): Kis ne kaha k aasani se milein gi jab mein chala jaun ga tou hum sab ki Yaaddast chali jaey gi sirf yeh yaad rahey ga k Diablo Kaid hua hai bas.
Us k baad Zeus(Zaigham) wahan pe dheyaan pe beith gya aur jo who Diablo ki sword laya tha who hawa main uthney lagi aur gol gol ghumney lagi us k baad us Sword k aas pass roshni banney lagi aur who Sword ek neeley rang k goley main convert ho gya aur kch deir main wahan se ghaib ho gya Zeus(Zaigham) abhi bhi dheyaan main tha.
Us k baad Zeus(Zaigham) k samney hawa main 6 mukhtalif roshni k goley baney phr Zeus(Zaigham) se lightning nikli jo k un 6 golon main janey lagi us k baad who bhi ghaib ho gaey phr kch deir k baad Zeus(Zaigham) dheyaan se uth gya aur Aegeus ko apney samney aaney ko kaha.
Aegeus: G.
Zeus(Zaigham): Tumhari life source main se chota sa hissa chaiey.
Aegeus: Theek hai.
Aegeus ne apni aankhein band keen aur us k jism se laal rang ki roshni nikli aur Zeus(Zaigham) k pass chali gai Zeus(Zaigham) ne usey goley main badal dia aur us k baad aoney right hand ki index finger ko Aegeus k mathey pe rakha jis sey Aegeus ko hulka sa dard hua lekin khatam ho gya us k baad who gola bhi ghaib ho gya.
Zeus(Zaigham): Acha ab merey janey ka waqt aa gya hai mujhey Peda honey main bht time lagey ga tub tuk k liey jo bhi hua hai who hum sab bhool jaen gey.
Zeus(Zaigham) k itna kehtey hi Zeus(Zaigham) ka jism roshni main naha gya aur jab roshni khatam hui tou Zeus ghutnon k bal tha aur zor zor ki saansein le raha tha jab sahi hua tou uth khada hua jab khada hua tou us k samney 2 chotey se box they Zeus ne usey chua tou us k zehan main ek awaz gunji.
Awaz: Yeh 2 Ring jab Zaigham ki shadi ho gi tub dena usey kehna k apney pehley milan k foran baad khud aur apni biwi ko pehnayee.
In Diablo Castle:
Santan: Lagta hai Hukam k sath kch hua hai.
Walied: Hmmm ab humein who kaam krney hn jo god ne kahey hn jab tuk who nai aa jatey.
Santan: Theek kaha tum ne.
Walied: Mein Apollyon ko khaber pouncha deta hn.
Santan: Theek hai.
Esi trhah Hundred and thousands year beet gaey aur waqt aa Zaigham k duniya main aaney ka Zeus apney mehal main beitha kisi baat ko le k soch raha tha Aegeus aur Ismena us k samney beithey they.
Aegeus: Kia soch rahey hn aap baba.
Zeus: Zaigham k aaney ka waqt aa gya hai lekin ek masla hai soch raha hn usey kesay hal kia jaey.
Aegeus: Kesa masla.
Zeus: Tum jantey ho k hum God hn aur Zaigham bhi ek God ho ga kiun k who mera Ansh hai tou Insani garb usey berdast nai kr paey ga.
Zeus ki baat sun k Aegeus bhi soch main perh gya usey es ka salution pata tha lekin who soch raha tha k us pe amal karey ya nai lekin kch deir main us ne Faisla kr lia.
Aegeus: Yeh tou hai lekin merey pass salution hai.
Zeus: Kia.
Aegeus: Meri Life Sheild.
Ismena: Nai bilkul nai.
Aegeus: Ami yehi rasta hai us k Duniya main aaney k liey Itna sab kia hai tou peechay nai hata ja sakta.
Ismena: Nai mein nai krney doon gi tujhey yeh sab.
Aegeus: Mujhey krna ho ga ami werna duniya hi nai rahey gi.
Ismena ki aankhon se aansu nikalney lagey who roney lagi Zeus bhi dukhi tha lekin aur koi chara bhi nai tha.
Aegeus: Baba ready kro.
Zeus ne aankhein bnd keen aur us k samney hawa main ek gola bana jo k ek ruh main tabdeel hua us k baad Aegeus us k samney zameen pe dheyaan main beith gya aahista aahista us k ander se laal roshni nikalney lagi aur us rooh ko cover krney lagi jab yeh sab ho gya tou wahan bht zyada rosshni pheili k Zeus aur Ismena ko aankhein bnd krni pareen aur jab roshni hati tou wahan sirf who Soul thi jis k aas pass laal roshni se sheild bani hui thi Aegeus wahan se ghaib tha.
Aegeus ko wahan na deikh k Ismena phr se roney lagi Zeus ki aankhein bhi num theen ab Aegeus k janey k baad do kaam huey jab Aegeus k ander se do laal goley nikley ek gya door kisi planet pe aur wahan pe kaid ho gya aur ek gya Earth main aur kisi insaan main sama gya jis wajah se who behosh ho gya Zeus ne us Soul ko wahan se ghaib kia aur Raheela k Garb main pal rahey bachey k ander daal dia.
Raheela ko kch pal k liey dard hua lekin who kch pal k liey hi tha k Zeus ne Raheela ko heal kr dia tha.
Flashback End……
Awaz: Welcome to Torabora Planet Zaigham.
Zaigham: Thanx
Awaz: Tou yahan aa gaey tum apni yaaddast leney.
Zaigham: G.
Awaz: Takleef ho gi.
Zaigham: Manzoor hai.
Tabhi Zaigham main roshni samaney lagi Zaigham ko es sey takleef honey lagi who ghutnon k pal beith gya kch deir k baad roshni khatam hui tou Zaigham uth khara hua us ki Aankhein white roshni main nahayee hui theen aur us k jism k aas pass lightning nikal rahi thi.