- 1,099
- 1,926
- 159
Update--35
Santan: Kiun Aegeus hum se bhaag rahey they.
Awaz: Kis ne kaha k hum bhaag rahey they.
Yeh sun k sab ne Awaz ki traf deikha tou wahan Zaigham khara tha jis ki aankhon main bijli chamak rahi thi yahan yeh deikh k Neelum aur Aegeus khush they waheen Santan aur us k sath aaye huey sathi heran k sath sath shocked bhi they k Zaigham kesay bach gya Santan aur Walied ko yakeen hi nai ho raha tha.
Walied: (shocked) Tum Zinda kesay.
Zaigham: Lambi kahani hai Diablo tumhey btaey ga lekin tum main se ek ko tou marna hi ho ga who kia hai na apni frustration jo nikalni hai.
Zaigham ne apni mutthi ko beench lia jis sey wahan ek cheikh sunai di jo k Apollyon ki thi us ki halat deikh k Santan, Walied aur Abaddon darr gaey they.
Zaigham: Yeh baat sach hai k hamla mein ne hi tum se krwaya hai lekin tum logon ne soch bhi kesay lia k (taiz awaz main) tum mujhey maar saktey ho.
Apollyon ki cheikh taiz honey lagi Santan, Walied aur Abaddon wahan se ghaib ho gaey tabhi Zaigham ne apna hath uper aasman ki traf kia wahan Lightning honey lagi us k baad Zaigham ne Apollyon ki traf ishara kia jis sey aasmani bijli Apollyon k uper girney lagi aur us ki cheikhein her traf sunayee deney lageen kch hi deir main Apollyon rakh k dheir main tabdeel ho gya.
Zaigham ne idher udher deikha tou Neelum ko kch choutein aayee theen aur teen ladkey behosh they Aegeus bilkul theek tha Zaigham Neelum k pass gya aur us k sir pe pyaar se hath rakha jis sey Neelum ki chout ghaib ho gai even khoon jo k us k chehrey aur kapron pe laga hua tha who bhi us k baas Zaigham un teen ladkon k pass gya aur un ko theek kia aur ghaib unhey wahan se ghaib kr k unhey un ki manzil tuk pouncha dia.
A Moment ago……
Santan: Kon ho tum aur yahan kiun aaye ho.
Shaksh: Mein kon hn? Mein God Aegeus hn Son of God Zeus. Update--33
Ismena: (shocked) Aegeus mera bacha.
Zeus: (shocked) Na mumkin.
Ismena: Usey yahan bulayee mujhey us sey milna hai abhi k abhi usey bulayee.
Zeus: Abhi nai abhi who mashroof hai Zaigham usey khud le k aaye ga.
Maria: Kia hua maa aap rou kiun rahi hn.
Ismena: Meri bachi tera bhai zinda hai.
Maria ko kch samjh nai aaye k us ki maa kia keh rahi hai.
Maria: Kia keh rahi ho maa.
Ismena: Aegeus tera bhai zinda hai.
Tabhi wahan pe Zaigham teleport hua.
Ismena: Mera Beta kahan hai.
Zaigham: Yeh raha aap k liey meri traf se ek chota sa gift.
Tabhi whan Aegeus(Salman) bhi aa gya.
Zaigham: (Aegeus se) Aap ka clone mein ne ghar bheijh dia hai aap en se mill k jaldi aa jaiey ga.
Zaigham wahan se ghaib ho gya aur Shumaila ko bhi wahan bheijh dia aur us ka clone bhi ghar main rakh dia udher jab Shumaila wahan pounchi tou shocked thi sath hi Zeus, Ismena aur Maria bhi bhi.
Ismena: Yeh kon hai aur yahan kesay.
Aegeus: Yeh meri BV hai maa wahan Earth pe.
Shumaila: Salman yeh sab kia hai aur mein kahan hn aur yeh log kon hn.
Aegeus: Yeh God Zeus hn Shumaila jis trhah Zaigham en ka beta hai aur God hai usi trhah mein bhi en ka beta hn God Aegeus.
Aegeus ki baat sun k Shumaila aur zyada shocked ho gai aur doosri baat yeh k Salman ne usey es barey main btaya kiun nai k who bhi God hai.
Shumaila: Tou yeh baat tum ne mujh se shupayee kiun.
Aegeus: Kiun k khud mujhey abhi pata chala hai ya yun keh lo k Zaigham ki wajah se abhi mujhey meri yaaddast milli hai.
Maria: Tou yeh meri bhabhi hn.
Somewhere in the Universe……..
Awaz: Kiun lout aaye nakaam ho k.
Abhi abhi Santan, us ka bhai Walied aur Abaddon pounchay they k unhey yeh awaz sunayee di jisey sun k who hulkey se kamp se gaey aur who ghutnon k bal beith k jhuk gaey.
Santan: Hukam hum ne koshish ki lekin who bach gya mujhey abhi tk yeh smjh nai aaya k who Walied k waar se bach kesay gya.
Diablo: Yeh tumhari samjh se bahir hai tum nai samjh pao gey k us ne kesa kheil kheila hai tum logon k sath aur haan ab yaheen pe rehna jab tuk mein na kahun kaheen na jana.
Santan: G jesa aap kahein Hukam.
Diablo: (mann main) Tumhey kia lagta hai Zaigham yeh sab kr k tum mujhey hara do gey mujhey maar do gey tumharey pass sirf white energy hai merey pass white aur Eblis dono mein tum se hazar guna zyada takatwar hn bas thorey din aur tumharey sath sath Zeus aur yeh Duniya mein tabah kr doon ga.
Planet Nowhere…….
Salman: Haan Zaigham mujhey yahan kiun bulaya.
Zaigham: Ek kaam bacha hai aap ka.
Salman: Haan mujhey yaad hai theek hai (Aasman ki traf hath pheila k) Aidennnnnn.
Tabhi Aasman se Aag Aegeus ki traf aaye aur us k ander janey lagi jab sab kch ho gya tou Aegeus ka jism aag ki lapeit main tha.
Aegeus: Bahir aao.
Aiden bahir aa gya us ki Roarrrr 4ron traf pheil gai.
Aegeus: Time aa gya hai Aiden hum dono ka ek doosrey se juda honey ka ab tum Zaigham ko follow karo gey (Zaigham se) Jesay hi mein isey khud se alag krun tum isey apna lena.
Zaigham: Theek hai.
Aegeus: By the name of God I release u.
Zaigham: I Accept.
Zaigham k boltey hi Aiden Zaigham k ander chala gya aur jesay hi gya Zaigham ghutnon k bal aa gya us k dard k marey cheikhein 4ron traf pheil rahi theen us k baad Zaigham waheen dheyaan main beith gya aur kch hi ghanton main us ne aankhein khol deen us ki ek aankh main bijli(Lightning) chamak rahi thi tou doosri aankh main Aag(Fire) aur peeth pe Tattoo.
Last edited: