• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Faraar (COMPLETED)

Rahul

Kingkong
60,514
70,679
354
very nice update
 
  • Like
Reactions: Casinar

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,597
259
Update 23
Rathod ne Vicky se kaha ke Inspector Khan uss se baat karna chahta hai to Vicky ne inkaar kiya aur kaha ke ussko police par bharosa nahin hai. Phir bhi Rathod ne kaha ke woh guaranty leta hai ke kuch nahin hoga ek baar baat karke to dekh lein. Vicky ne kaha ussko kia pata ke Khan ne kissi microphone vaghaira ko lagaya hoga kahin apne jism mein aur usski sabhi baatein ko record karega proofs ke tawr par…. Phir bhi Rathod ne majboor kiya Vicky ko ke woh Khan se baat karein….

Vicky: “yes Inspector Khan kia baat hai?”

Khan: “Thanks mujhse baat karne ke liye, sunon Vicky mujhe sirf itna batado kia Jugdish Raghuveer bhi tumhare shikaar mein se hein? Matlab kia woh bhi uss raat tumhare yahan tha ya nahin? Mujhe bus yehi jaanna hai…”

Vicky: Jaan kar kia kar loge Inspector sahab? Ussko giraftaar karoge phir chorrna padega kyun ke woh MLA ka beta hai aur usska chacha aap ka boss!”

Khan: “Issi liye to tumse poocha raha hoon…Vicky ek kaam karo main tumse milna chahta hoon mera vada hai ke I will meet you as a friend not as a police inspector, iss mein tumhara faeda hai yakeen karo mera.”

Vicky: “Kia baat kar rahe ho sahab, main ek faraar mujrim jiss ko aap ko pakarna hai, aur mujhse miloge bina pakre? Yeh keise maan loon main bhala? Abhi bhi aap se baat karte huwe mujhe shak ho raha hai ke iss mein aap ka koyi chaal hai to ap se milna to door ki baat hai phir kabhi bhi baat nahi karna chahunga main….”

Khan: “Suno Vicky, jeise Sanjana tumhari behen hai, weise Farheen meri behen hai aur woH tumhara badi fan hai aur tumse milna chahti thi, tasveer lena chahti thi tumhare saath…… Main Farheen ki kassam kha kar kehta hoon ke main tumko ek dost ki heisiyat se milna chahta hoon aur tumko giraftaar nahin karunga bus kuch bahot important baatein karni hai jo hum phone par nahin kar sakte iss mein khatra hai….”

Vicky: “Farheen? Kaun ? Kia main ussko jaanta hoon?”

Khan: “Han, woh Sanjana ki college ka student hai aur Reshmi ki friend hai… yaad aya?”

Vicky: “Achah han Reshmi ne kaha tha mujhse ke koyi Farheen mere saath photo lena chahti hai…oh! To woh aap ki behen hai?! To aap kia karte agar Farheen ke saath woh huwa hota jo meri Sanjana ke saath huwa??”

Khan: “Are yaar issi silsile mein to milna chahta hoon tumse, kuch to samjha karo Main ne Farheen ki kassam khai hai aur kia karun tumko yakeen dilane ke liye?”

Vicky: “Zara Rathod ko phone dijiye please!”

Rathod: “Han Vikcy bolo”

Vicky: “Baat kia hai? Farheen ko kuch huwa kia? Kia usske saath bhi??”

Rathod: “Nahin nahin eisi koyi baat nahin, magar Khan zuban ka pakka hai agar uss ne kaha ke dost ki tarah milega to wohi hoga fikar mat karo millo ek baar….”

Vicky: Chalo tum keh rahe ho to mil leta hoon magar tum bhi saath mein ana usske okay uss se poochlo manzoor hai ussko ya nahin?”

Aakhir main donon taraf se ussi samundar ke kinare teenon ka milne ka plan banna. Aur Vicky apne sachi bhes mein yane, Vicky ke bhes mein unn logon se milne gaya magar bahot sawdhaani ke saath. Door se khada hokar uss jaga par nazar rakhe huwe the jahan meeting honi thi, sham ka waqt tha aur phir suraj samundar mein doobki lagane wala hi tha…nazara bahot khub surat aur dilchasp tha, kuch muhabat ke diwane idhar udhar apne mehboob ke bahon mein sapnon ki dunya mein khoe huwe the dunya se bekhabar. Thandi hawa chal rahi thi aur samundar ki lehrein araam se saahil se takraate huwe wapas samundar ke paani ke mawjon mein mile jaate the….. uss dilkasht nazare ko nihaarte huwe Vicky unn donon ka intezaar kar rahe the jab ek car ruka kuch door aur Vicky ne dekha Khan aur Rathod normal gharelu kapde mein uss jagah ke taraf chal rahe the jahan meeting fix huwi thi.

10 minutes tak Vicky ne unn donon ko observe kiya tab usske baad dhire dhire unn ke paas gaya.

Baat cheet shuru huwi.

Khan ne kaha,

“Vicky ajeeb lagega tumko agar main kahun ke tum bahot ache kaam kar rahe ho, aur unn daridon ko sahi anjaam de rahe ho aur main khush hoon jo tum ne ab tak kiya hai.”

Vicky: “Ji ajeeb to bilkool lag raha hai ek police inspector ki zubaan se eise baatein sunte huwe magar yakeen nahin ho raha ab bhi!”

Khan: “Vicky agar Jugdish Raghuveer bhi uss raat tumhare ghar mein tha ya kissi tarah se bhi involved tha to main tumhara madad karna chahta hoon aur chahta hoon ke tum ussko maar dalo…..”

Vicky: “Magar mere plan ke motabik to ussko marna nahin hai…woh akela police ko saumpa jaega! Yeh mera plan hai…. Dekhiye inspector sahab jo mera plan hai woh main change bilkool nahin kar sakta aap ke liye… mera plan full proof hai aur issko agar badla to sab bigar jaega… main ne plan bahot mazboot banaya huwa hai…..”

Khan: “Aagar main bhi plan ko jaan leta to shayad tumhara madad kar sakta…..”

Vicky: “Plan to abhi aap ko nahin bataunga Khan sahab. Han plan ko abhi kuch der pehle thoda sa badla jab pata chala aap saath de rahe ho to…. Halka sa badlav laya hai main ne apne plan mein aur iss mein aap ka faeda hai. Mere naye plan ke motabik ab aap ka promotion bhi hoga…. Ghalat aap to kuch nahin karoge, aap ka haath saaf rahega, ghalat main karunga buss aap thoda sa mera support karoge!”

Khan muskuraya Vicky ki baat ko sunkar phir kaha,

“Tum sach mein ek kaabil CEO ho ek badhya administrator ho tabhi to itna kaamyaab business chalaate ho…….”


Vicky: “Sab kuch Mathur sahab se seekha hai Khan sahab. Main to yateem hogaya tha mumy papa ke death ke baad plane crash mein. Mathur sahab jeise log hein jo dusron ka madad karte huwe desh ki tarraki karate hein humare business ke zarye. Aur kuch MLA raghuveer jeise kutte hein jo desh ke naam par kaam karte hein magar desh ko khokla kar rahe hein, dimak ki tarah desh ko chaat chaat kar kha rahe hein… main desh ki tarraki ke liye apni company se kaam karta hoon, rozgaari ko mitata hoon aur yeh kutte brashtachaari sab barbaad karte hein… Aap to nek aur imaandaar ho, desh ke liye kaam kar rahe ho magar kia faeda weh kutte to aap ke kaam mein rukawat paida karte hein nah?... Ek mamooli aadmi ne agar ek dukaan khol liya aur uss mein ek hi mulazim rakh liya to ek berozgaar kum huwa desh mein. Halaan ke kaam uss aadmi ka apna hai phir bhi woh desh ka sewa to kar raha hai apne tarike se…magar yeh sab bade bade politician kia kar rahe hein? Sab barbaad karte hein …… innko to main nahin chorrne wala…..”

Rathod ke enkh bhar aya Viky ke baton ko sunkar aur Khan se kaha,

“kitni sachaayi hai Vicky ke baton mein…..”

Tab Khan Vicky ke haath ko apne donon hathon mein pakar kar kaha,

“Tu apna kaam kar yaar, kar jo bhi karna hai, tu aage badh main nahin rokunga tumhein kyun ke tu sahi kar raha hai, agar tumko paata hai ke kaun kaun hai inn sab ke peeche to tu kar daal jo karna hai….. main manta hoon tujhko aur teri ideology ko….. ab main bhi to dekhun yeh brastachaari kab tak chalta hai police force mein yeh Raghuveer aur usska bhai MLA ne mera jina haraam kar diya hai…shayad upar wale ki marzi se sab ho raha hai ab….. jo bhi hoga thik hi hoga mujhe lagta hai….. tu kar apna kaaam Vicky main nahin rokta tujhe….. kyun ke mujhe pata to chal gaya ke tere ghar mein aur koyi tha aur tu bekasoor hai to kyun giraftaar karun tujhe… unn saalon ko giraftaar hona chahiye tha jab tumko ko giraftaar kiya gaya tha….. sab Raghuveer ne plan kiya tha tujhko phansaane ke liye…. Sab samajh gaya main jab dusri finger prints mila mujhe tere kamre ke bed se….. aur unn ke reports kehte hein ke tere nishaan hein chaaron taraf…. Sanjana ke body par sab ne kaha tere nishaan hai aur baaakiyon ke nahin…. Sab kuch mita dala hai Raghuveer aur company ne…… oh my God!!”


Vicky ne Khan ke kandhe ko thapthapaate huwe kaha,

“Aap mujhe apna private phone number dijiye main aap ko contact karunga zaroorat padne par, aur aap ke police station ka number bhi dijiye mujhe usski to zaroorat paregi hi paregi….. aur aap ko ab baata deta hoon ke 5 log the uss roz mere ghar mein… pancho kutton ne mujhko bandh kar meri behen ki izaat luti aur ussko atmahatiya karne par majboor aur help kiya.. unn mein unn ka leader tha Jugdish Raghuveer…han wohi kutta usske liye main ne kuch khaas plan kiya hai…. Magar aabhi do aur baaki hein…pehle unn donon ko sazaa dena hai tab Jugdish ki baari ayegi aur uss waqt aap ka support chaahiye mujhe kyun ke jo plan main ne kiya hai usss ke liye aap ki zaroorat padegi…… phir Raghuveer brothers ki baari bhi ayegi…sab kuch main plan kar chukka hoon…..baad mein aap ko samjhunga ke unn ke liye kia plan hai pehle mujhe inn donon se nipat jane do…..”

Khan aur Rathod khushi se wahan se laute. Khan uss roz bahot khush nazar araha tha…. Apne ghar mein apni biwi aur Farheen se bahot saare batein kar raha tha aur mazaak kar raha tha, bahot hanss raha tha….bahot sukoon aur araam mila tha Khan ko Vicky se batein karne ke baad……


To be continued…………….
 

Ng_TheViper

Member
336
706
93
I hope Khan Sach hi kah Rahe ho aur Sach m wo sath dene wlaa ho.. waise jab usne farheen ki kasma khai tb hi lagne laga tha ki Sach kah Raha h..


Well I hope us raghuveer ko doubt na hua ho ki ye sab Vicky Kar Raha h..
Vikcy ka planning to acha h but kuch aiaa b Kare ki direct blame Vicky p na aaye..


Let's see Kya plan karke rakhna h Vicky n..
 
  • Like
Reactions: Casinar

Ramakigand

Member
114
137
43
Wah Kya baath hai .....ab ayega maza badle ke saath saath desh ki brasthachaar ko bii Mita:biggboss:
 
  • Like
Reactions: Casinar

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,597
259
I hope Khan Sach hi kah Rahe ho aur Sach m wo sath dene wlaa ho.. waise jab usne farheen ki kasma khai tb hi lagne laga tha ki Sach kah Raha h..


Well I hope us raghuveer ko doubt na hua ho ki ye sab Vicky Kar Raha h..
Vikcy ka planning to acha h but kuch aiaa b Kare ki direct blame Vicky p na aaye..


Let's see Kya plan karke rakhna h Vicky n..
sahi kaha bhai, apni behen ki ksssam khaayi hai to dhoka to nahin dega vicky ko :D
 

Raj142

Well-Known Member
5,125
7,858
188
Awesome one
 
  • Like
Reactions: Casinar

RAAZ

Well-Known Member
2,409
6,376
158
Update 23
Rathod ne Vicky se kaha ke Inspector Khan uss se baat karna chahta hai to Vicky ne inkaar kiya aur kaha ke ussko police par bharosa nahin hai. Phir bhi Rathod ne kaha ke woh guaranty leta hai ke kuch nahin hoga ek baar baat karke to dekh lein. Vicky ne kaha ussko kia pata ke Khan ne kissi microphone vaghaira ko lagaya hoga kahin apne jism mein aur usski sabhi baatein ko record karega proofs ke tawr par…. Phir bhi Rathod ne majboor kiya Vicky ko ke woh Khan se baat karein….

Vicky: “yes Inspector Khan kia baat hai?”

Khan: “Thanks mujhse baat karne ke liye, sunon Vicky mujhe sirf itna batado kia Jugdish Raghuveer bhi tumhare shikaar mein se hein? Matlab kia woh bhi uss raat tumhare yahan tha ya nahin? Mujhe bus yehi jaanna hai…”

Vicky: Jaan kar kia kar loge Inspector sahab? Ussko giraftaar karoge phir chorrna padega kyun ke woh MLA ka beta hai aur usska chacha aap ka boss!”

Khan: “Issi liye to tumse poocha raha hoon…Vicky ek kaam karo main tumse milna chahta hoon mera vada hai ke I will meet you as a friend not as a police inspector, iss mein tumhara faeda hai yakeen karo mera.”

Vicky: “Kia baat kar rahe ho sahab, main ek faraar mujrim jiss ko aap ko pakarna hai, aur mujhse miloge bina pakre? Yeh keise maan loon main bhala? Abhi bhi aap se baat karte huwe mujhe shak ho raha hai ke iss mein aap ka koyi chaal hai to ap se milna to door ki baat hai phir kabhi bhi baat nahi karna chahunga main….”

Khan: “Suno Vicky, jeise Sanjana tumhari behen hai, weise Farheen meri behen hai aur woH tumhara badi fan hai aur tumse milna chahti thi, tasveer lena chahti thi tumhare saath…… Main Farheen ki kassam kha kar kehta hoon ke main tumko ek dost ki heisiyat se milna chahta hoon aur tumko giraftaar nahin karunga bus kuch bahot important baatein karni hai jo hum phone par nahin kar sakte iss mein khatra hai….”

Vicky: “Farheen? Kaun ? Kia main ussko jaanta hoon?”

Khan: “Han, woh Sanjana ki college ka student hai aur Reshmi ki friend hai… yaad aya?”

Vicky: “Achah han Reshmi ne kaha tha mujhse ke koyi Farheen mere saath photo lena chahti hai…oh! To woh aap ki behen hai?! To aap kia karte agar Farheen ke saath woh huwa hota jo meri Sanjana ke saath huwa??”

Khan: “Are yaar issi silsile mein to milna chahta hoon tumse, kuch to samjha karo Main ne Farheen ki kassam khai hai aur kia karun tumko yakeen dilane ke liye?”

Vicky: “Zara Rathod ko phone dijiye please!”

Rathod: “Han Vikcy bolo”

Vicky: “Baat kia hai? Farheen ko kuch huwa kia? Kia usske saath bhi??”

Rathod: “Nahin nahin eisi koyi baat nahin, magar Khan zuban ka pakka hai agar uss ne kaha ke dost ki tarah milega to wohi hoga fikar mat karo millo ek baar….”

Vicky: Chalo tum keh rahe ho to mil leta hoon magar tum bhi saath mein ana usske okay uss se poochlo manzoor hai ussko ya nahin?”

Aakhir main donon taraf se ussi samundar ke kinare teenon ka milne ka plan banna. Aur Vicky apne sachi bhes mein yane, Vicky ke bhes mein unn logon se milne gaya magar bahot sawdhaani ke saath. Door se khada hokar uss jaga par nazar rakhe huwe the jahan meeting honi thi, sham ka waqt tha aur phir suraj samundar mein doobki lagane wala hi tha…nazara bahot khub surat aur dilchasp tha, kuch muhabat ke diwane idhar udhar apne mehboob ke bahon mein sapnon ki dunya mein khoe huwe the dunya se bekhabar. Thandi hawa chal rahi thi aur samundar ki lehrein araam se saahil se takraate huwe wapas samundar ke paani ke mawjon mein mile jaate the….. uss dilkasht nazare ko nihaarte huwe Vicky unn donon ka intezaar kar rahe the jab ek car ruka kuch door aur Vicky ne dekha Khan aur Rathod normal gharelu kapde mein uss jagah ke taraf chal rahe the jahan meeting fix huwi thi.

10 minutes tak Vicky ne unn donon ko observe kiya tab usske baad dhire dhire unn ke paas gaya.

Baat cheet shuru huwi.

Khan ne kaha,

“Vicky ajeeb lagega tumko agar main kahun ke tum bahot ache kaam kar rahe ho, aur unn daridon ko sahi anjaam de rahe ho aur main khush hoon jo tum ne ab tak kiya hai.”

Vicky: “Ji ajeeb to bilkool lag raha hai ek police inspector ki zubaan se eise baatein sunte huwe magar yakeen nahin ho raha ab bhi!”

Khan: “Vicky agar Jugdish Raghuveer bhi uss raat tumhare ghar mein tha ya kissi tarah se bhi involved tha to main tumhara madad karna chahta hoon aur chahta hoon ke tum ussko maar dalo…..”

Vicky: “Magar mere plan ke motabik to ussko marna nahin hai…woh akela police ko saumpa jaega! Yeh mera plan hai…. Dekhiye inspector sahab jo mera plan hai woh main change bilkool nahin kar sakta aap ke liye… mera plan full proof hai aur issko agar badla to sab bigar jaega… main ne plan bahot mazboot banaya huwa hai…..”

Khan: “Aagar main bhi plan ko jaan leta to shayad tumhara madad kar sakta…..”

Vicky: “Plan to abhi aap ko nahin bataunga Khan sahab. Han plan ko abhi kuch der pehle thoda sa badla jab pata chala aap saath de rahe ho to…. Halka sa badlav laya hai main ne apne plan mein aur iss mein aap ka faeda hai. Mere naye plan ke motabik ab aap ka promotion bhi hoga…. Ghalat aap to kuch nahin karoge, aap ka haath saaf rahega, ghalat main karunga buss aap thoda sa mera support karoge!”

Khan muskuraya Vicky ki baat ko sunkar phir kaha,

“Tum sach mein ek kaabil CEO ho ek badhya administrator ho tabhi to itna kaamyaab business chalaate ho…….”


Vicky: “Sab kuch Mathur sahab se seekha hai Khan sahab. Main to yateem hogaya tha mumy papa ke death ke baad plane crash mein. Mathur sahab jeise log hein jo dusron ka madad karte huwe desh ki tarraki karate hein humare business ke zarye. Aur kuch MLA raghuveer jeise kutte hein jo desh ke naam par kaam karte hein magar desh ko khokla kar rahe hein, dimak ki tarah desh ko chaat chaat kar kha rahe hein… main desh ki tarraki ke liye apni company se kaam karta hoon, rozgaari ko mitata hoon aur yeh kutte brashtachaari sab barbaad karte hein… Aap to nek aur imaandaar ho, desh ke liye kaam kar rahe ho magar kia faeda weh kutte to aap ke kaam mein rukawat paida karte hein nah?... Ek mamooli aadmi ne agar ek dukaan khol liya aur uss mein ek hi mulazim rakh liya to ek berozgaar kum huwa desh mein. Halaan ke kaam uss aadmi ka apna hai phir bhi woh desh ka sewa to kar raha hai apne tarike se…magar yeh sab bade bade politician kia kar rahe hein? Sab barbaad karte hein …… innko to main nahin chorrne wala…..”

Rathod ke enkh bhar aya Viky ke baton ko sunkar aur Khan se kaha,

“kitni sachaayi hai Vicky ke baton mein…..”

Tab Khan Vicky ke haath ko apne donon hathon mein pakar kar kaha,

“Tu apna kaam kar yaar, kar jo bhi karna hai, tu aage badh main nahin rokunga tumhein kyun ke tu sahi kar raha hai, agar tumko paata hai ke kaun kaun hai inn sab ke peeche to tu kar daal jo karna hai….. main manta hoon tujhko aur teri ideology ko….. ab main bhi to dekhun yeh brastachaari kab tak chalta hai police force mein yeh Raghuveer aur usska bhai MLA ne mera jina haraam kar diya hai…shayad upar wale ki marzi se sab ho raha hai ab….. jo bhi hoga thik hi hoga mujhe lagta hai….. tu kar apna kaaam Vicky main nahin rokta tujhe….. kyun ke mujhe pata to chal gaya ke tere ghar mein aur koyi tha aur tu bekasoor hai to kyun giraftaar karun tujhe… unn saalon ko giraftaar hona chahiye tha jab tumko ko giraftaar kiya gaya tha….. sab Raghuveer ne plan kiya tha tujhko phansaane ke liye…. Sab samajh gaya main jab dusri finger prints mila mujhe tere kamre ke bed se….. aur unn ke reports kehte hein ke tere nishaan hein chaaron taraf…. Sanjana ke body par sab ne kaha tere nishaan hai aur baaakiyon ke nahin…. Sab kuch mita dala hai Raghuveer aur company ne…… oh my God!!”


Vicky ne Khan ke kandhe ko thapthapaate huwe kaha,

“Aap mujhe apna private phone number dijiye main aap ko contact karunga zaroorat padne par, aur aap ke police station ka number bhi dijiye mujhe usski to zaroorat paregi hi paregi….. aur aap ko ab baata deta hoon ke 5 log the uss roz mere ghar mein… pancho kutton ne mujhko bandh kar meri behen ki izaat luti aur ussko atmahatiya karne par majboor aur help kiya.. unn mein unn ka leader tha Jugdish Raghuveer…han wohi kutta usske liye main ne kuch khaas plan kiya hai…. Magar aabhi do aur baaki hein…pehle unn donon ko sazaa dena hai tab Jugdish ki baari ayegi aur uss waqt aap ka support chaahiye mujhe kyun ke jo plan main ne kiya hai usss ke liye aap ki zaroorat padegi…… phir Raghuveer brothers ki baari bhi ayegi…sab kuch main plan kar chukka hoon…..baad mein aap ko samjhunga ke unn ke liye kia plan hai pehle mujhe inn donon se nipat jane do…..”

Khan aur Rathod khushi se wahan se laute. Khan uss roz bahot khush nazar araha tha…. Apne ghar mein apni biwi aur Farheen se bahot saare batein kar raha tha aur mazaak kar raha tha, bahot hanss raha tha….bahot sukoon aur araam mila tha Khan ko Vicky se batein karne ke baad……


To be continued…………….
Bhai dusri site pe story padi thee but beech me break ho gayi thee. Tab se hi yah story minhay pasand thee aur aaj is pe dekh kar dobara shuru kari hain. Bohat hi khatatnak ho ta hain kisi bebas insaan ka bogadna joki vicky ke sath hua aur us ae bhi khatatnaak hota hain ek imandaar wale police wale ka pura samrthan jo k ab khan kar raha hain. Ab dekhna bada intresting hoga ki vicky kaisay bacta hain aur kia karta hain.
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top