Update 4
Inspector Khan Farheen ko dekhte huwe kuch soch raha tha….. phir apna mobile phone se sub inspector Rathod ko call kiya aur jo baat cheet huwi sunayi di gayi Faarheen ko jo apne bhai ko hi dekh rahi thi kissi sawaal ke intezaar mein kyun ke woh baat karte waqt bhi Farheen ke chehre par hi dekhte huwe baat kar raha tha,“Han iss waqt Police station mein ho? Hmmm…. kia tumne media walon ko uss jagah ka pata bataya? Nahin to phir weh log keise ponhche wahan? Achah achah helicopter squad walon ka kaam hai, to helicopter se media wale ab safar kar rahe hein khabron ke liye wah kia baat hai…. Achah main tum ko koyi aadhe ghante mein phone karta hoon ek zaroori baat ka pata chala hai abhi…..”
Yeh kehkar Khan apni behen ke kareeb gaya aur poocha, “Farheen mera memory zara refresh karo yeh bata kar ke yeh Vicky tumhare kiss dost ke kareebi friend hai?”
To Farheen ne araam se apne bade bhai se kaha, “Are bhai aap bhi police hokar choti choti batein bhool jate ho, Reshmi ki friend hai yeh dekho Reshmi, Vicky aur Sanjana ke photo ek saath, main ne Reshmi ki mobile se yeh liya hai.”
Khan Farheen ki mobile lekar uss tasveer ko dekhta hai tab tak usski biwi bhi mobile par jhankte huwe kehti hai, “Aap ko yaad hai koyi ek mahine pehle Farheen ne kaha tha ke ek function mein Vicky aur Sanjana aaye the aur yeh kitni khush ho rahi thi uss din?”
Khan khayaalon mein kuch khoye huwe sar hillaya aur Farheen ko mobile lawtate huwe kaha, “iss photo ko mere mobile par send karo zara” Farheen ne mobile lete huwe kaha, apna bluetooth on kijiye bhai…..”
Phir Khan jaldi se utha aur Farheen ka haath pakar kar apne taraf khinchte huwe yeh kehte chalne laga, “Abhi chalo issi waqt uss Reshmi ke yahan mujhe uss se zaroori sawaal karni hai, chalo chalo jaldi…..” Aur Farheen jaane lagi yeh kehte huwe, “Main ussko phone karke bata doon ke hum usske yahah aa rahe hein…” Magar Khan ne mana kiya aur drive karne laga.
Reshmi ke ghar, lounge mein sab baithe the aur sab bilkool khamosh ho gaye Reshmi ke bayaan ke baad. Reshmi apne enkhon se bahe ensoowon ko reh reh kar ponch rahi thi. Reshmi ki papa ne bhi kaha,
“Main bilkool kabhi bhi yakeen nahin kar sakta jo ilzaam lagaya gaya hai Vikram Joshi par. Donon bhai behen hamare Reshmi bitiya ke kitne ache dost the aur hamare yahan aksar aya karti thi Sanjana beti. Kuch baat hoti to humko zaroor pata chalta. Sab afwaein hein aur sarasar jhoota ilzaamaat lagaaye gaye hein, yeh aap ka kaam hai Khan sahab ke jhoot ko saamne laayein kia kar rahe hein aap ke police force bhala? Ek masoom insaan ko faraar hone par majboor kiya aur ab shayad faraar hone ke jurm mein uss par aur bhi sakhti kiya jaega yeh bhi koyi baat huwi!”
Khan ne jaane ki ijazat lete huwe Farheen ko hath se pakre ghar se nikalne ke koshish mein tha yeh jawaab dete huwe Reshmi ke papa ko,
“Mujhe bhi pata hai ke woh bekasoor hai sahab, magar faisla sunana to judge ka kaam hai, aur abhi to provisional charge hai uss par issi liye bina hatkadi ke court le jaya gaya tha aur abhi tak case bana hi nahin tha aur woh faraar ho gaya. Police ne abhi tak puri chaan bin tak nahin kiya hai, forensic lab se sabhi reports abhi tak nahin aaye hein aur doctor ka report bhi ana baaki hai. Kaun sab manipulate kar raha hai yeh koyi nahin samajh paa raha hai…… Jo bayaaan Vicky ne diya tha humko to sahi laga magar uss mein kuch kami hai, kuch baaatein hein jo uss ne hum ko bataya hi nahin magar kyun yeh hum nahin samajh paaye, issi liye uss par bhi shakk kiya jaa raha hai……”
Tab tak apne car ke paas pohonch gaye the Khan aur Farheen phir Khan ne Reshmi se kaha, “Tum kuch der baad police station aa sakti ho please tumhara bayaan lena hai please.” Rehsmi ne kaha ke ajaegi ek ghante ke baaad.
Ghar lautte waqt Khan ne Rathod ko phone kaarke bataya ke Reshmi ayegi wahan aur uss se koyi bhi bayaan nahin lenge jab tak Khan khud wahan nahin ajate aur Rathod se Reshmi ko wait karne ke liye kaaha.
Rathod ne phone rakhte huwe apne sar ko khujaaya aur ek phone lagaya kissi ko aur ek kone mein jaakar baaat karne laga dhire dhire.
Jangal ke weh jungly log Vicky ka khayaal rakh rahe the, aur Vicky uthkar uss jhompre ke baahar chal phir raha tha uss ke chaaron taraf weh log ghum rahe the ussko upar se niche tak dekhte huwe. Vicky pareshaan aur dukhi dikh raha tha aur ek oonchaayi par baithe woh sardaaarni Vicky ka maansik stithi ko samajhne ki koshish kar rahi thi. Kandhe ka ghav bhar raha tha aur dard kum tha bukhaar bhi utar gaya tha aur Vicky jana chahta tha aur upar sardaarni ko dekhte huwe kaha, “Mujhe wapas jana hai. Mujhe bahot zaroori kaam hai.” Haathon ke ishaare se Vicky samjhate huwe sardaarni se batein kar raha tha aur baaki ke log Vicky ko dekh kar hanss rahe the. Kuch jawaan ladkiyan aur ladke Vicky ke chaaron taraf phir rahe the aur ussko ghurr rahe the. Vicky bahot handsome tha aur ladkiyan ussko pyar bhare nazron se dekh rahe the.
Sardaarni Vicky ka ishara aur batein samajh gayi aur niche utar kar Vicky ko ek ghode par baithne ko kaha aur khud apne ghode par sanwaar huwi aur Vicky ko usse follow karne ka ishara kiya. Kuch door tak weh ladke aur ladkiyan usske ghode ke piche piche dawte aaye aur haath se wave bhi kiya. Magar aur door nikalne ke baad ek mod par Vicky ne chaar pehelwaan mardon ko dekha jo sardaarni ke aaguey jhuke usske guzarne par. Weh pehelwaan zabardast hathyaaron se leys the aur jeise uss teritoty ke security guards ho. Phir kuch aur doorie par aur bhi weise hi pehelwaan bade bade aadmi dikhaayi diye Vicky ko sab hathyaaron se leys the… jungle ke hathyaar, koyi bandook ya goli nahin…
Takriban ek ghante ke ghod dawd ke baad sardaarni ruke aur Vicky ko rukne ka ishara kiya aur ek ajeeb cheekh lagaayi ek jagah pohonchkar. Tab koyi 10 ghod sawaar aaye sardaarni ke paas aur jhuk kaar ussko salaam kiye sab ne. Sardaarni ne unn mein ek ko ishara karte huwe Vicky ke paas aane ko kaha. To woh aadmi apne ghode ko Vicky ke ghode ke paas laakar khada huwa aur Vicky se kaha, “Kaun ho tum aur kahan jaana hai tumhein?”
Vicky uss aadmi ko heyraani se dekhte huwe kaha, “Shukar hai ke koyi to mere jeise bolta hai, main to samajh nahin paa raha tha ke keise sab ko apne baat samjhaun! Mujhe yakeen nahin ho raha ke hamare desh mein eise log bhi rehte hein jangal ke itni gehraayi mein….” Uss aadmi ne kadak awaaz mein phir bola, “Jo tum se poocha gaya usska jawaab do nahin to jaan se maar diye jaoge.”
To Vicky ne kaha, “Main police se bhaga huwa ek mujrim hoon, mujhpar jhoota aarop lagaya gaya hai. Main bahot ameer hoon aur tum logon ko bahot paisa de sakta hoon, tum logon ki madad kar sakta hoon zaroorat ke samaan dilwa sakta hoon. Magar mujhe bahot hi zaroori kaam karna hai please mujhe jane diya jae main wapas aakaar tum logon ko bahot inaam dunga.”
Tab uss aadmi ne sardaarni ko apne zubaan mein baat bataayi jo Vicky ne kaha. Sardaarni muskaayi aur pata nahin kia kaha aur wapas jane lagi. To baaki ke jo log the weh sab Vicky ko escort karne lage jiss taraf se wahan se nikalne ka raasta tha. Aur uss aadmi ne Vicky se kaha, “hum tumko uss jagah tak saath denge jahan se train guzarti hai jangalon ke beech. Wahan se tum akele wapas jaoge ya to train par kud kar ya jeise bhi jaa sako. Wapas to koyi yahan nahin ataa par agar tum ana chaho to aa sakte ho, magar agar police ya kissi aur ke saath aaye to jangal ke andar daakhil hone se pehle hi maar diye jaoge.”
Vicky ne uss aadmi se kaha, “Aap logon ne meri madad ki to main kyun aaap logon ke bare mein kissi ko bataaunga bhala? Weise kia aap log hamesha se yahan rehte hein? Aur sab log kyun hamari zubaan naahin bolte?” To aadmi ne jawaab diya, “Main aur bahot saare log yahan par bhaage huwe quaidi hein. Aur baaki ke log sab yahin ke baashinde hein. Ab jo yahan iss jangal mein paida hoga aur pala posa jaega to woh kia banega? Jungly hi nah? Jiss ne yahan janam liyaa aur kabhi baahar ki dunya nahin dekhi woh keise koyi aur zubaan bolega? Bahot saare log tumhare tarah police se bhaagte huwe yahan aajaate hein aur iss toli mein usska swagat kiya jata hai, phir kitne isssi group mein hokar reh jaate hein. Tum apna vadaa maat bhoolna aagar sach mein ameer ho to. Hum sabko eise madad ka intezaar rehta hai. Sardaarni ne tumko jaane ki chuth issi liye diya ke ussko tum par bharosa aya, ussko laga ke tum nek aur sahi insaan ho varna woh kissi par bharossa nahin karti, jaan se maar daalti hai! Hum sab tumhare saath hai kyun ke sardaarni ka hukm hai. Hum ko kal hi sab khabaar mil gayi thi tumhare ane ke bare mein aur hum sab chawkanda the kal se aur iss intezaar mein the ke kahin tumhare peeche koyi aur na aya ho…. Ab hum ko yakeen hai ke tum kissi haadse se yahan ponhche ho.”
Tab tak rail ki patri nazar aya aur uss aadmi ne Vicky ko ek ajeeb si sookhe bamboo se bani chota sa bansuri jeisi cheez diya aur kaha, “jab bhi kabhi wapas aao to issko zor se bajana eise” …… ussne ussko bajakar Vicky ko bataya aur wapas bajane ko kaha. Uss se ek bahot gehri, aur bahot door tak sunaayi dene wali awaaz aayi jo jangal ke dusre kone tak sunaayi diya hoga… laga ke kissi bade pakshi ki awaaz aa rahi ho…… tab Vicky ne kaha, “dekho main eise bhi seeti baja kar tum logon ko apne aane ki khabar de sakta hoon….” Aur Vicky ne apne ungliyon ko zubaan ke niche karke zor se seeti bajaayi aur weh log hanss pade….
Vicky ne uss chote se bansuri jeisi cheez ko jeb ke andar rakh liya aur unn logon ne usska ghoda apne paas le liya… aur Vicky ate huwe train ke taraf jaane laaga….
Weh log wapas chale gaye jab dekha ke Vicky ne keise bhi karke train par chadh gaya……
12 ghanton ke baad.
Vicky kissi anjan sheher ke ek telephone booth se phone par baat kar raha tha:
-“Maathur sahaab, kia aap ke paaas police aya tha?”
- “Kaun?”
- “Aap dhire se baat kijiye nah, kia police aya tha wahan?”
-“Vicky beta tumhi ho nah? Kaahan ho beta?”
-“Ofo Mathur saab mera naam mat phukaaro mere paas waqt nahin hai, jawaab dijiye kia police aya tha wahan?”
- “Nahin beta, police aya to nahin tha, han Inspector Khan ka phone aya tha aur shayad aaj ya kal woh zaroor ayega idhar.”
- “Mathur saab mere baat ghaur se suniye please aur koyi bhi ghalati mat karna. Jo bhi kahun exactly wohi karna.”
- “Thik hai bolo beta”
- “Kia wahan ka phone calls tap ho rahe hein?”
- “Nahin beta ab tak to nahin magar Khan ke ane ke baad ho bhi sakta hai”
- “Uncle 2 unregistered simcard latest mobile ke saath chahiye mujhe aur 5 lakh rupaye jitni jaldi ho sake.”
- “Ho jaega beta.”
- “Aap mujhko iss address par milna, bahot sawdhaani ke saath nikalna, kahin police ke log aap par nazar na rakh rahe hon to musibat ho jaega aur mera plan fail ho jaega.”
- “Suno beta, main to bilkool honshiyaari se kaam karunga, magar ek baat hai. Jab main uss jaagah par ponchoon jahan tum bula rahe ho, to main car se nikalte waqt apne chasme ko nikaal kar rumaal se pochunga. Tab samajh lena ke koyi problem hai aur tum mujhse mil nahin sakte ho. Aur agar koyi problem nahin hoga to main chasma nahin nikaalunga bilkool. Samajh gaye beta?”
- “Wah Mathur Uncle aaap to bade honshiyaar ho, thik hai main samajh gaya.”
- “Main army mein tha beta kuch to tricks ka pata hai mujhe bhi.”
- “Okay Uncle, main wait karunga thik 3 baje aap pohonchne ki koshish karna please.”
- “Okay thik hai, agar kuch minutes late ya pehle aya to bhi thik samajhna, sab se ehem baat chasme ka nikaalna aur rumaal se ponchna hoga yaad rahe tab sab safe hai.”
- “Okay uncle, thanks, I will impatiently wait for you here.”
- “Magar sunon tum bilkool chhup kar rehna, tumhara haal media walon ne TV aur press mein bahot uchale huwe hein sab ko tumhare tasveer ka pata hai, chehra chupa kar rakhna, 100 kms ki doorie par ho phir bhi wahan ke log bhi to TV dekhte honge nah?”
- “Aap fikar mat karo rakhta hoon see you soon uncle ji bye.”
To be continued…………………….