• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Faraar (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,630
259
Update 6

Vicky, Mathur saab ke saath car mein baithe baat karte jaa raha tha. Mathur saab ne uss se kaha,

“Tum kitne dinon tak eise chhupte rahoge? Ek na ek din weh log tumko trace kar lenge beta! Aur tum bahot mashoor figure ho iss liye kahin bhi raho koyi na koyi tumko pehchaan sakta hai…weise apna kaam to hamare sheher mein karna hai na tumko?”

Vicky Uncle ke baton ko sunte huwe kuch soch raha tha aur achanak kaha, “Aap ko Rafiq Hayat yaad hai uncle?”

Mathur: “Rafiq Hayat? Kaun woh drame wale? Han kyun?”

Vicky: “Han wohi, mujhe uss se milna hoga.”

Mathur: “Uss se kyun milna hoga?”

Vicky: “Woh akela insaan hai jo mujhe koyi aur roop de sakta hai. Mujhe bhess badalkar apne sheher mein jana hogaa taake mujhe koyi nahin pehhchaan sake. Aur Rafiq Hayat to apna aadmi hai, jitney ehsaan hum ne kiya hai usske upar woh zaroor mera madad karega aur kissi ko kuch nahin batayega.”

Rafiq Hayat ek make up man hai jo theatre ke liye kaam karta hai aur ekdum mast make up karta hai. Woh itna kaamyaaab hai ke ek baar ussne ek MLA ko ek party mein disguise kiya tha aur MLA public ke beech rehte huwe bhi nahin pehchaane gaye the. Phir bhi Mathur saab ne Vicky se kaha,

“Beta tumhara kad jo hai woh tumko dhoka de jaega. Tum bahot oonche ho, police wale tumko kad se bhi dhundeinguey, bhess badaloge phir bhi tumhare kad ki wajah se tum par shakh kareinguey”

Vicky ne kaha, “Aap fikar na karein main aap ke saamne bhi awun to aap mujhko nahin pehchaanoge uncle, apna bhes main khud select karunga aur jo main banna chahta hoon wohi banwaunga apne aap ko Rafiq ji se.”

Mathur: “To usska number hai?”

Vicky: “Nahin hai woh aap ko mujhe phone karke dena hoga wapas jaaate hi.”

Mathur: “Thik hai, pehla kaam yehi karta hoon iss unregistered sim se tumhare liye.”

Aur Mathur saab Vikram Joshi ko wahin chorr kar wapas chale gaye. Vicky uss 5 lakh rupaye wale bag ko lekar chal diye. Uss ne chand motor cylcle rent karne walon ko contact kiya uss sheher mein jahan woh tha, aur aakhir mein usske passand ka ek bada sa high speed wala 250 cc ka Yamaha hire kiya ek mahine ke liye. Tagda paisa diya iss liye hire karne wale ne bina identity ke de diya. Kuch kapde bhi kharide ussne aur zaroorat ka samaan bhi. Aur Vicky phir uss jangal ke owr badha tez raftaar se chal pada uss motorcycle par. Highway se hokar gaya phir uss taaraf ek kache raaste se gaya jahan se train guzarta hai aur thoda talaash karne ke baad uss jaagah par ponhcha jahan unn logon ne ussko chorra tha. Suraj dhalne wala tha uss kaaran jangal mein andhera sa hone laga tha….Vicky ne uss chotha sa bansuri ko bajaya do teen dafa aur ghodon ke ane ki awaaz sunaayi dene laga ussko aur woh khush ho gaya, usssko laaga ke ghar wapas agaya ho.


Inspector Khan Reshmi ki record ki gayi awaaz ko baar baar sun raha tha kahin kahin tape ko rewind kar kar ke. Ek jagah stop kiya tape ko phir 4 baar rewind karke yeh suna uss ne,

“Vicky ek bahot cool insaan hai. Ussko ghussa ata hi nahin kabhi Sanjana hamesha kehti rehti thi. Woh bahot thande dimaagh ka hai aur pyar bhara dil hai usska. Woh kissi kissam ke lafde mein padna nahin passand karta tha kabhi. Kissi se koyi baat hoti to woh baat ko rafa daffa kar deta tha aksar. Kabhi discussion nahin passand tha usssko. Jhagda to door ki baat hai woh to kissi paar chillata bhi nahin tha kabhi. Aap usske staff walon se pooch kar dekh lijiye ga, sab ussko kitna passand aur pyar karte hein. Han bahot acha director of company hai woh. Dimaagh se bahot kaam kartaa hai aur planning ki strategy mein awwal hai woh.”

“Dimaagh se bahot kaam kartaa hai aur planning ki strategy mein awwal hai woh.” Iss jumle ko Khan ne baar baar suna, aur sochne laga khud se badbadate huwe, “Aagar planning karne mein awwal hai to woh kuch na kuch to plan kar raha hoga iss waqt! Kia kar raha hoga agar zinda bach gaya ho to? Kahan hoga?” Khan apne dimaagh par zor dete huwe apne lounge mein chal raha tha ke usska phone baja. Phone par Acp Raghuveer ghusse mein uss se poocha,

“Kia aap ka ghar ab police station ban gayi hai janaab? Suna hai ke Kissi ki record ki gayi statement ko aap apne saath legaye hein kyun main jaan sakta hoon?

Khan apne ghusse ko kaabu mein karte huwe jawaab diya, “Sir I am working on it!”

Raghuveer, “Working on it to police station mein bhi ho sakta tha! You bring that damn recorded statement here right now, it’s an Order! You got me Inspector khan?”

Khan ne “Yes Sir” keh kar zor se chillaya, “Isski maa ki to main……. Sala kutta samajhta kia hai apne aap ko yeh bhandwa!! Ghoos dekar ACP bana hai aaj main usske jagah par hota… nikama hai sala kuch ata nahin hai aur mujhko seekhaane chala hai behen chod sala!” Khan ki biwi usske peeche khadi, aur usski behen Farheen darri huwi ek darwaze ke peeche kamp rahi thi.

Jab Khan ghusse mein ata tha to bekabu ho jata tha. Usske garam mizaj ki vajah se ussko police force mein bahot mushkilon ka saamnaa karna pada hai apne career mein. 18 saal se police force mein hein magar usske baad join kiye huwe log aguey badh gaye hein promote hokar; aur woh inspector hi bana raha. Woh bhi ussko kayi baar bina vajah transfer kiya gaya iss station se uss station tak thik jab woh kissi ehem case ko suljhaane mein kaamyaab hote hote rehjaate the. Phir case ki credit kissi aur naye officaron ko diya jata aur promote kiya jata tha. Kayi baar eisa huwa ussske saath. Raghuveer ne to usske saath hi join kiya tha aur ek murder case ko jab Khan suljhaane mein kaamyaad huwa tha, aur report deni thi, uss waqt Raghuveer ne jaldi se kissi MLA se kehlwakar case ko khud le liya tha aur Khan ko uss case se hatta diya tha. Uss case ke baad Raghuveer ka promotion huwa aur Khan ki transfer. Kaam kiya Khan ne aur inaam mila Raghuveer ko. Tab se Khan Raghuveer se nafrat karta hai. Aur Raghuveer jaan bujh kar Khan ko aur bhi nicha dikhata rehta hai jab se Khan usske niche kaam karne aya hai.


Khan ki biwi ussko hawsla dene ke liye aur shant karne ke liye meethi meethi batein kiye uss se aur Farheen bhi darte darte aayi apne bade bhai ke paas aur ussko ghusse ko thukne ke liye kaha. Khan bus unn donon ke liye hi hamesha khamosh ho jata tha aur apne taqdeer kaa likha samajh kar apne career mein huwe naa insaafi ko accept kar liya karta tha.

20 minute ke baad Khan police station mein tha aur Raghuveer jaa chukka tha. Rathod ne Khan se kaha, “Kyun aya tu? Tujhe to pata hai woh sirf tujhko disturb karnee ke liye eisa karta hai. Eisa kayi baar kiya haai ussne. Woh tumko kia kehta jabke ussko pata hai ke tu uss se behtar kaam karta hai? Ussne tumko sirf distract karne ke liye apna rob jamaya tujh par. Tum agar uss recorded voice se kuch pata kar sakte ho to karo, woh to nahin hai yahan eysh karne gaya hoga kissi randi ke saath jeise kaarta rehta hai, kissi beer bar ya kothe mein hoga iss waqt!” Yeh sunkar Khan dant peeste huwe apne desk ke piche gaya aur Rathod ko bulaya.

Khan aur Rathod Vicky ki company mein swagat kiya gaya. Bahot aalishaan office tha. Ek dum modern aur hi tech.


Mathur sahib ne donon ko apne office mein receive kiya aur koyi ghante bhar batein huwi aur statement li gayi, phir usske baad Khan ne kayi dusre mulazimon se bhi bayaanaat liye aur record kiye. Rathod tab tak kayi dusre workers ke statement record kar rahe the. Kayi mahilaein bhi the office mein. Unn sab se bhi statement li gayi.

Sab logon ne Vicky ki positive, bahot hi achcha profile diye. Aur jeise Reshmi ne kaha tha weise hi sab ne kaha ke Vicky ko kabhi kissi ne ghussa karte huwe nahin dekha. Woh bahot hanssmukh aur pyara tha. Hamesha cool rehta tha aur usske chehre pe hamesha ek muskaan rehta tha. Bade se bade decision lete waqt bhi Vicky cool rehta tha aur kabhi bhi kissi tarah ka sikanjh usske chehre par nahin dikhta tha. Yeh har ek muilaazim ne kaha.

Jab Sanjana ke bare mein poocha gaya to kissi ne kaha ke woh kabhi kabhaar aati thi apne bhai se milne college ke baad Reshmi ke saath aur kaafi waqt apne bhai ke office mein guzaarti thi. Kabhi kabhi akeli bhi ati thi aur donon bhai behen saath mein office band hone ke baad ghar jaya karte the.

Unn donon ke rishte ke bare mein Khan ne poocha kayi workers se to sab ne kaha, ke bahot pyar tha donon mein, bilkool bhai behen ka pyar tha, Vicky bahot chahta tha apni behen ko aur jaaan de sakta tha uss ke liye. Jab Khan yeh bayaan le rahe the tab Rathod ruk kar sun raha tha Khan ke chehre mein dekhte huwe aur Rathod ke chehre par gham aur dukh dikh raha tha uss waqt.

Phir Khan ne Mathur sahib se ijazat lekar sabhi mulazimon ko ek room mein ikatha kiya aur sab se collectively kuch sawaal kiye Rathod ki haaziri mein. Tab bhi sab ke jawaab bilkool positive the Vicky ke liye. Aur Khan ne yeh sawaal poocha aur iss sawaal se Rathod ke chehre ka rang badla sa laga…… Khan ne poocha,

“To aap sab log Vicky par lagaye gaye ilzaam ko sarasar jhoot maante ho aur iss ke piche kissi aur vajah ya kissi ka haath hai yeh samajhte ho?” Collectively sab logon ne kaha “Han bilkool yehi baat hai sahib, aap talaash kijiye aap ko sach ka pata zaroor chalega.”

Phir Khan ne aakhri aur ehem sawaal kiya,

“Kia aap mein se kissi ko bhi Vicky ne contact kiya hai case shuru hone ke baad aur faraar hone ke baad? Agar kiya hai to sach sach bataein varna woh bhi mujrim samjha jaega aur case mein usssko bhi shaamil kiya jaega.”

Sab ne kaha nahin, aur kayi logon ne kaha,
“Sahab hum sab to chahte hein ke woh hamein contact karein aur humko pata chale ke woh sahi salaamat hai. Woh hamare liye khuda hai, hum sab usske bande hein. Woh maalik hai hum usske pujari hai. Hum usske badawlat zinda hein aur humko behad khushi hogi ke woh humko contact karein ya apna ek jhalak dikha dein…….” Yeh sunkar Khan ke enkhen nam ho gaye aur Rathod se kaha, “let’s go Rathod.”

Building se nikalte waqt, Khan security guard ke paas rukaa aur poocha,

“Tum ko kia kehna hai Vicky ke bare mein?”

Guard ne kaha,

“Kia kahein Sir ji, bade logon ke bade shawkh hote hein hum kia keh sakte hein? Weise yeh unn ka zaati maaamla hein, Sanjana bahot hot thi Sir ji hehehehehe!!”

Rathod ne apna haath uthaya uss guard ko maarne ke liye usske iss jawaab par magar Khan ne Rathod ke haath ko roka aur guard se kaha,

“Tum insaan ho ya jaanwar?”

Aur Inspector aur sub inspector wapas police station chale gaye. Apne room mein Khan uss guard ke baat par ghaur kar raha tha. Kyun eisa kaha ussne? Kia ussko kuch pata tha? Kia ussko kuch maloom tha? Kia woh kuch kehna chahta tha? Rathod ne kyun ussko maarna chaha? Rathod kyun itna tarafdaari karta hai Vicky ki? Ya kuch jaanta hai woh magar chhupa raha hai?? Khan apne dimaagh par zor dete huwe uss din ko yaad kiya jab Vicky court se faraar huwa tha. Uss waqt to Rathod hi tha Vicky ke saath…… Khan ko yaad aya ke Rathod ne kaha tha ke ussko ghar se ek call aya tha jiss waqt Vicky gadi se bhaga tha…… Khan ne apne mobile ki battery dead hone ka bahana karte huwe Rathod ki mobile manga ek sms karne

ke liye Farheen ko. Aur apne desk ke niche Rathod ki mobile ko lekar Khan usske call register check karne laga. Rathod samajh raha tha ke woh sms kar raha hai….

Khan ka pasina chuth gaya jab call register mein uss ne dekha ke uss din aur uss waqt jab Call kiya gaya tha to woh usske ghar ko nahin balke kissi unknown/private number ko kiya gaaya tha……. Khan ne ek nazar uthakar Rathod ko dekha, phir ek sms kiya Farheen ko ke usska battery down hai ussko sms na karein……..

Khan ne Rathod ko usska mobile lawtaya ussko ajeeb nazron se dekhte huwe aur soch mein pad gaya ke yeh kia ho raha hai…Rathod ne kyun jhoot bola tha ke uss waqt uss ko ghar se phone aya tha jab ke koyi phone aya nahin tha balke uss ne khud phone kiya tha…magar kissko aur kyun? Number kyun nahin hai? Kyun private likha hai? Kia maajra haai. Khan ab Rathod par bhi shak karne laga…..

To be continued………………………
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,630
259
Update 7
Media wale bahot shor macha rahe the baat ko uchaalte huwe aur kahin to weh, log police se bahot aguey badh gaye baat ko lekar. TV channels wale ne Vikcy ke office ke mulazimon se bhi sawaal kiye aur kitnon ke jawaab life broadcast kiya gaya. Sab positive views de rahe the Vicky ko lekar magar jiss tarah se reporters sawaal kar rahe the weh sawaal Vicky ke khilaaf hote the aur uss par charge lagane ki tarah hote the. Office ke security guard ka jawaab TV par bahot baar dikhaya gaya, aur reh reh kar dikhaya jaa raha tha kyun ke usska jawaab bahot controversial tha. Uss ke jawaab ko lekar bahot saare logon ne bina baat ko jaane bujhe apne apne rae banana lage aur kitne log bhi usski tarah sochne lage. Reporters ne Khan aur Rathod se bhi kayi baar sawaal kiye magar donon ne “No coments” kehkar unn logon se door gaye. Magar jab ACP Raghuveer se TV walon ne sawaal kiya to uss ne to lambi statement diya ke police apna kaam kar raha hai aur Vicky jahan bhi hoga ussko apni kiye ka saza zaroor diya jaega aur woh mujrim hai police uss ko bahot jald pakar lega. Ussne Khan ka naam diya aur kaha ke wohi Vicky ko salaakhon ke piche dalega.

Magar reporters ne jab poocha ke Vicky ka to ata pata nahin to kia ussko koyi help kar raha hai ya ameer hone ke naate ussko koyi suvida diya jaa raha hai kissi tarah ki… tab ACP ne ghusse mein kaha ke yeh sab sawaal Khan se kiya jae. Aur kuch reporters to uss jangal ka image dikhate huwe ab tak Vicky ke faraar hone ki baat kar rahe the aur police force ko criticize karte huwe sawaal kiye jaa rahe the ke Vicky gaya kahan aur kyun ussko nahin dhunda jaa raha? Agar woh girr kar mar gaya ho to usski laash ko public ke saamne laane ki maang kar rahe the. Case bahot serious ho gaya tha aur talk of the town ban gaya tha. Vicky ko faraar huwe 4 din ho chuke the aur chaaron taraf hulchul machi huwi thi usski case ko lekar. Koyi bhi aur news nahin bikh rahe the jitna Vicky ki case ka news pichle 6 dinon mein. Sare public har roz paper mein yehi padhna chahte the ke Vicky pakra gaya ke nahin, ke uss par jo ilzaam laga hai sahi hai ya ghalat. Kia uss ne eisa kiya? Kia woh eisa kar sakta hai? Kia iss liye ke woh amir hai to uss ke liye sab jaayiz hai? Kia uss ke liye society ke rules alag aur aam janta ke liye alag se hein? Public eise eise sawaal utha rahe the!

Aur kuch reporters jo Vicky ko pehle se jaante the to weh log Vicky ki positive image dikha rahe the apne channels par. Ab TV channels ke beech ek kisam ka debate chal raha tha jab ek TV channel Vicky ke bare mein sahi baat karte to dusre channels wale negative sawaal aur jawab karte kyun ke forenscic reports Vicky ke khilaaf the aur jo tasveerein uss haadse ke baad prapt huwe the sab Vicky ke khilaaf the, 100% khilaaf the. Issi liye 90 % log Vicky ko doshi maante the. Magar kuch log yeh bi keh rahe the ke forensic aur doctor ke reports ko badla bhi gaya hoga ya kharida bhi gaya hoga Vicky ko phanssne ke liye…..

Khan ghusse mein Rathod ko lekar apna dimaagh khapa raha tha. Uss se raha nahin gaya aur Rathod ko kuch samaye baad apne saath chalne ko kaha. Khan ne hatkadi bhi le liya uss ne thaan liya tha ke Rathod ko shak ke bina par giraftaar bhi kar lega. Magar ussko ek mawka dena chahta apne safaayi dene ke liye, to ussko apne gaadi mein bithakaar door ek samujndar ke kinare legaya aur baat shuru ki.

Khan: “Dekho Rathod tum mere ek ache officer hi nahin balke dost bhi ho. Mere saath itne dinon tak kaam karke tum ne bahot ache results diye hein, magar ab jo ho raha hai mujhe bilkool passand nahin aur main apna duty karte huwe tumko shak ke bina par giraftaar kar sakta hoon… magar dosti ke naate tumko ek chance dena chahta hoon ke tum mujhko sab kuch sach sach batao to shaayad mein tumhari koyi madad bhi kar sakun…..”

Yeh sab kehte Khan, Ratod ke chehre mein dekh raha tha aur ek police inspector to chehra dekh kar hi pehchaan leta hai…to uss waqt Rathod ka chehra itna badal gaya tha ke sab saaf zaahir tha ke ussko kuch ziada pata hai iss Vicky ke case ke bare mein….. Phir bhi khan ne kaha

“First of all give me your cap and revolver Rathod.”

Rathod ne koyi zabardasti nahin kiya aur apne revolver aur cap Khan ko dete huwe poocha, “Tumko keise shak huwa?”

Khan ne kaha, “Tumhare mobile se Rathod. Ab mujhe sab saaf saaf bataao, kia huwa uss din aur uss waqt jab Vicky faraar huwa tha? Mujhe pehle shak huwa ke woh bhaag hi nahin sakta tumhare chungal se…. aur bahot heyraan huwa tha main…. Magar you had not received any bloody calls at that time!!! Kiss ko phone kiya that um ne uss waqt Rathod??”

Uss waqt donon car ke andar hi baithe huwe the front seat par. Sham ka waqt tha aur saamne samundar ki lehron ke saath thandi hawa beh rahe the usske bawajood Rathod ka chera pasine se tarr tha. Apne maathe se pasina ponchte huwe thartharaate zubaan se Rathod ne ek taraf dekhte huwe Khan se kaha,

“Main uss waqt uss aadmi se baat kar raha tha jissko motorcycle se apne girlfriend ko utaarna tha aur Vicky ko ussi motorcycle se bhaagna tha……”

Yeh sunkar Khan ne apne maathe ko teen baar thoka aur baahar samundar ke lehron ko dekha, phir Rathod ke laal chehre ko dekhte huwe bade araam se poocha, “Why? Kyun Rathod? Kyun? Kyun eisa kiya tum ne??” Aur Khan ne Hatkadi nikali aur Rathod ke donon kalayi mein lock kardiya. Khan tab car se baahar nikle aur sar par apne donon haathon ko malte huwe reth par chalte chalte kayi laatein maarta gaya reth ko upar udaate huwe…. Bahot nervous hone laga tha Khan aur ghussa kar raha tha……

Rathod hathon mein hadkadi ke saath uss taraf ke darwaza khol kar ahiste ahiste chal kar Khan ke kareeb ayaa aur dhire se kaha, “I am sorry Khan magar jitna main jaanta hoon Vicky aur Sanjana ke bare mein police force mein koyi bhi nahin jaanta yaar!”

Khan ke ensoo nikal pade jab ussne ghusse mein chilaate huwe pehle Rathod ke gaalon par zor se do tamaache mare aur oonchi awaaz mein kaha,

“Yeh case mere liye kitna important tha tere ilawa kaun jaanta hai re? 3 last case ko nahin solve kar paaye the hum aur woh kutta Raghuveer kitna mazaak udata hai mera mujhko hamesha nicha dikhaa kar tere ilawa kissko pata hai? Aur tu ne mere saath eisa kiya Rathod? Kyun kiya eisa tumne? Kyun? Tum ne mujhe dhoka diya Rathod? Mujhe?? Ab main kia munh dikhaunga sab ko? Ab main keise tere taarif karne wala tumko salaakhon ke piche dalunga aur sabko keise jawaab dunga re?!!” Yeh chilla kar kehte huwe Khan ghutnon ke bal reth par baith gaya aur zoron se rone laga!!

Apne senior ko yun rote huwe dekh kar Rathod bhi ro pada aur dhire se Khan ke paas baith kar apne bandhe haathon se usske sar par thapthapaya, phir donon hathon ko Khan ke sar ke upar karke ussko apne seene se lagaate huwe kaha, “Chal main tumko sab sach sach batata hoon tab bolna ke main kia karta usse faraar karane ke ilawa….”

Khan tab bhi ghusse mein tha aur Rathod ko dhaka dekar aur chillate huwe bola,

“Tere pratigya ka kia huwa? Tum police officer ho, tumko kissi bhi haal mein kissi ko eisa chuth nahin dena hai chahe woh koyi apna hi kyun na ho!”

Is baar Rathoda chilaya aur kaha, “Bhool gaya main pratigya! Bhool gaya ke police officer hoon! Mera dimaagh sun ho gaya tha jab main ne Sanjana ki laash dekhi thi! Paagal ho gaya tha main!”

Khan yeh sunkar ruka aur phir se Rathod ke chehre mein dekhte huwe kaha,

“Mere ghar mein AC nahin hai, ek purana TV hai jo thik se chalti hi nahain, Farheen muhjse do saal se ek mobile phone mang rahi hai jo main nahin de pa raha, apni car ek khatada hai, main koyi naukar ya naukrani nahin rakhta.Meri biwi ko ek naye churidaar ya saree diye huwe zamana beet gaya. Ghar ke telephone bill, electricity bill water bill, aur mahine bhar ke kitchen samaan kharidne ke baad tankhwa mein se kuch bhi nahin bachta. Agar chahta to karoron mein khelta aaj…… Imaandaari ki koyi keemat hi nahin sala!! Yaad hai tujhe woh Rishi Patel wala case? 1 karore de raha tha woh humein case ko rafa dafa karne ko? Yaad hai Rathod? Aur agar main chahta to uss case ko rafa dafa kar sakta tha, magar main ne uss ke 1 crore par laat mara aur case ko aguey legaya magar uss kutte Raghuveer ne 1 crore khaya aur case ko finish hi kar dala. Kia main nahin kar sakta tha woh sab? Aaj imported car hota mere paas bhi, meri biwi ke ache ache kapde hote, meri behen ko latest cell phone deta, ghar mein naya TV aur AC lagwata…. Eise kitne case hein jiss se hum ko karoron milte hein….. sala tu to meri tarah imaandaar tha to kitne mein kharida tujhko uss amirzade Vicky ne yeh bata to mujhe?....”
Donon reth par baith gaye tab tak. Suraj samundar mein doobki laga raha tha aur usske laal kirnein Khan aur Rathod ke chehre ke rang ko bhi laal kar dala tha. Rathod ne Khan se ghoose lene ki ilzam sukar apne sar ko apne bandhe hathon mein zor se dabate huwe ro kar jawaab diya,

“Khan mere bhai main ne ek phuti kawdi nahin liya kissi se bhi; Khan, Sanjana meri hone wali mangitar thi Yaar!!! Hamari ek mahine baad mangni hone wali thi yaar aur usski laash dekh kar kia main paagal nahin hota? Tu hi bata main kia karta yaar? Pichele 5 mahinon se main Sanjana ko chahta hoon aur uss ke ghar jaa chukka tha. Vicky ek bahot acha insaan hai. Woh mujhe bhi bahot chahta hai yaar. Jo ilzam uss par laga hai sab bilkool jhoot, ghalat, be bunyaad hai yaar! Sanjana ko Vicky ne bahot pyar se pala hai, woh ek bhai nahin Sanjana ke baap ki tarah tha yaar. Ussne to mujhse kaha tha ke Sanjana usski beti ki tarah hai mere dost. Woh insaan kuch bhi weisa kar hi nahin sakta Khan. Woh insaan nahin ek masiha hai dusron ke liye, bahot nek aur sacha insaan hai…. Main ne inn 5 mahinon mein jitna ussko jana hai aaj tak koyi bhi insaan usski tarah nahin dekha hai main ne…. uss par lagaye gaye sabhi ilzaam jhoote hein……..” Yeh sab kehte kehte Rathod rote jaa raha tha apne chehre par hathon se ensoowon ko ponchte huwe aur Khan ekdum shocked usske chehre mein dekhte huwe uss ko sun raha tha aur phir khud ro para.

Kuch der tak donon reth par baithe rahe bina kuch kahe sune. Bilkool khamosh, samundar ke lehron ko saahil par mauj maarte huwe sunte rahe. Suraj ko samundar ke dusre kone mein ahiste ahiste doobte huwe dekhte rahe donon. Phir Khan ne apne jeb se hatkadi ki chaabhi nikale aur Rathod ke hatheli ko azaad kar diya. Aur Khan ne kaha,

Achah ab mujhe sab wahan se suna jiss waqt humko Sanjana ki mawt ki phone aayi thi aur hum donon wahan ponche the, thik wahan se bata mujhe….. Mujhe ab flash back mein kuch kuch dikhaayi de raha hai…tum ne Sajana ka haath thaama tha apne haathon mein nah?han! han! mujhe yaad araha hai tere chehre ka rang badal gaya tha, tu bahot nervous dikh raha tha uss waqt? Are han tu mujhse se kuch chupane ki koshish kar raha tha ussi waqt mujhko kyun nahin dikha tha?? Han, main ne tumse ussi waqt poocha tha, ‘are you alright’ aur tum ne sirf sar hilaya tha to main ne uss waqt socha tha ke ek laash saamne padi hai issi liye tu abnormal dikh raha hai…mujhe kia pata tha woh teri girlfriend ki laash hai….. chal ab mujhe sab detail mein bata wahin se… kab tumne Vicky se baat kiya? Kab ussko bhagane ki plan banaya sab bata mujhe……”

To be continued……………
 

Axba

Active Member
1,422
1,532
143
wonderful update kab kahani parat dar parat khulegi kaise kya kab kyun hua waise rathod ne jo kiya sahi kiya khan sahi ho sakta manta hun par itni mahaan hona achcha nahi ki biwi ko gahne bhi na mile :lotpot:
 
  • Like
Reactions: Casinar

Rahul

Kingkong
60,514
70,679
354
very nice update
 
  • Like
Reactions: Casinar

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,630
259
Top