bondjamesbond09
Active Member
- 1,613
- 4,380
- 159
ye gutthi to ulajhti hi ja rhi haiUpdate 6
Vicky, Mathur saab ke saath car mein baithe baat karte jaa raha tha. Mathur saab ne uss se kaha,
“Tum kitne dinon tak eise chhupte rahoge? Ek na ek din weh log tumko trace kar lenge beta! Aur tum bahot mashoor figure ho iss liye kahin bhi raho koyi na koyi tumko pehchaan sakta hai…weise apna kaam to hamare sheher mein karna hai na tumko?”
Vicky Uncle ke baton ko sunte huwe kuch soch raha tha aur achanak kaha, “Aap ko Rafiq Hayat yaad hai uncle?”
Mathur: “Rafiq Hayat? Kaun woh drame wale? Han kyun?”
Vicky: “Han wohi, mujhe uss se milna hoga.”
Mathur: “Uss se kyun milna hoga?”
Vicky: “Woh akela insaan hai jo mujhe koyi aur roop de sakta hai. Mujhe bhess badalkar apne sheher mein jana hogaa taake mujhe koyi nahin pehhchaan sake. Aur Rafiq Hayat to apna aadmi hai, jitney ehsaan hum ne kiya hai usske upar woh zaroor mera madad karega aur kissi ko kuch nahin batayega.”
Rafiq Hayat ek make up man hai jo theatre ke liye kaam karta hai aur ekdum mast make up karta hai. Woh itna kaamyaaab hai ke ek baar ussne ek MLA ko ek party mein disguise kiya tha aur MLA public ke beech rehte huwe bhi nahin pehchaane gaye the. Phir bhi Mathur saab ne Vicky se kaha,
“Beta tumhara kad jo hai woh tumko dhoka de jaega. Tum bahot oonche ho, police wale tumko kad se bhi dhundeinguey, bhess badaloge phir bhi tumhare kad ki wajah se tum par shakh kareinguey”
Vicky ne kaha, “Aap fikar na karein main aap ke saamne bhi awun to aap mujhko nahin pehchaanoge uncle, apna bhes main khud select karunga aur jo main banna chahta hoon wohi banwaunga apne aap ko Rafiq ji se.”
Mathur: “To usska number hai?”
Vicky: “Nahin hai woh aap ko mujhe phone karke dena hoga wapas jaaate hi.”
Mathur: “Thik hai, pehla kaam yehi karta hoon iss unregistered sim se tumhare liye.”
Aur Mathur saab Vikram Joshi ko wahin chorr kar wapas chale gaye. Vicky uss 5 lakh rupaye wale bag ko lekar chal diye. Uss ne chand motor cylcle rent karne walon ko contact kiya uss sheher mein jahan woh tha, aur aakhir mein usske passand ka ek bada sa high speed wala 250 cc ka Yamaha hire kiya ek mahine ke liye. Tagda paisa diya iss liye hire karne wale ne bina identity ke de diya. Kuch kapde bhi kharide ussne aur zaroorat ka samaan bhi. Aur Vicky phir uss jangal ke owr badha tez raftaar se chal pada uss motorcycle par. Highway se hokar gaya phir uss taaraf ek kache raaste se gaya jahan se train guzarta hai aur thoda talaash karne ke baad uss jaagah par ponhcha jahan unn logon ne ussko chorra tha. Suraj dhalne wala tha uss kaaran jangal mein andhera sa hone laga tha….Vicky ne uss chotha sa bansuri ko bajaya do teen dafa aur ghodon ke ane ki awaaz sunaayi dene laga ussko aur woh khush ho gaya, usssko laaga ke ghar wapas agaya ho.
Inspector Khan Reshmi ki record ki gayi awaaz ko baar baar sun raha tha kahin kahin tape ko rewind kar kar ke. Ek jagah stop kiya tape ko phir 4 baar rewind karke yeh suna uss ne,
“Vicky ek bahot cool insaan hai. Ussko ghussa ata hi nahin kabhi Sanjana hamesha kehti rehti thi. Woh bahot thande dimaagh ka hai aur pyar bhara dil hai usska. Woh kissi kissam ke lafde mein padna nahin passand karta tha kabhi. Kissi se koyi baat hoti to woh baat ko rafa daffa kar deta tha aksar. Kabhi discussion nahin passand tha usssko. Jhagda to door ki baat hai woh to kissi paar chillata bhi nahin tha kabhi. Aap usske staff walon se pooch kar dekh lijiye ga, sab ussko kitna passand aur pyar karte hein. Han bahot acha director of company hai woh. Dimaagh se bahot kaam kartaa hai aur planning ki strategy mein awwal hai woh.”
“Dimaagh se bahot kaam kartaa hai aur planning ki strategy mein awwal hai woh.” Iss jumle ko Khan ne baar baar suna, aur sochne laga khud se badbadate huwe, “Aagar planning karne mein awwal hai to woh kuch na kuch to plan kar raha hoga iss waqt! Kia kar raha hoga agar zinda bach gaya ho to? Kahan hoga?” Khan apne dimaagh par zor dete huwe apne lounge mein chal raha tha ke usska phone baja. Phone par Acp Raghuveer ghusse mein uss se poocha,
“Kia aap ka ghar ab police station ban gayi hai janaab? Suna hai ke Kissi ki record ki gayi statement ko aap apne saath legaye hein kyun main jaan sakta hoon?
Khan apne ghusse ko kaabu mein karte huwe jawaab diya, “Sir I am working on it!”
Raghuveer, “Working on it to police station mein bhi ho sakta tha! You bring that damn recorded statement here right now, it’s an Order! You got me Inspector khan?”
Khan ne “Yes Sir” keh kar zor se chillaya, “Isski maa ki to main……. Sala kutta samajhta kia hai apne aap ko yeh bhandwa!! Ghoos dekar ACP bana hai aaj main usske jagah par hota… nikama hai sala kuch ata nahin hai aur mujhko seekhaane chala hai behen chod sala!” Khan ki biwi usske peeche khadi, aur usski behen Farheen darri huwi ek darwaze ke peeche kamp rahi thi.
Jab Khan ghusse mein ata tha to bekabu ho jata tha. Usske garam mizaj ki vajah se ussko police force mein bahot mushkilon ka saamnaa karna pada hai apne career mein. 18 saal se police force mein hein magar usske baad join kiye huwe log aguey badh gaye hein promote hokar; aur woh inspector hi bana raha. Woh bhi ussko kayi baar bina vajah transfer kiya gaya iss station se uss station tak thik jab woh kissi ehem case ko suljhaane mein kaamyaab hote hote rehjaate the. Phir case ki credit kissi aur naye officaron ko diya jata aur promote kiya jata tha. Kayi baar eisa huwa ussske saath. Raghuveer ne to usske saath hi join kiya tha aur ek murder case ko jab Khan suljhaane mein kaamyaad huwa tha, aur report deni thi, uss waqt Raghuveer ne jaldi se kissi MLA se kehlwakar case ko khud le liya tha aur Khan ko uss case se hatta diya tha. Uss case ke baad Raghuveer ka promotion huwa aur Khan ki transfer. Kaam kiya Khan ne aur inaam mila Raghuveer ko. Tab se Khan Raghuveer se nafrat karta hai. Aur Raghuveer jaan bujh kar Khan ko aur bhi nicha dikhata rehta hai jab se Khan usske niche kaam karne aya hai.
Khan ki biwi ussko hawsla dene ke liye aur shant karne ke liye meethi meethi batein kiye uss se aur Farheen bhi darte darte aayi apne bade bhai ke paas aur ussko ghusse ko thukne ke liye kaha. Khan bus unn donon ke liye hi hamesha khamosh ho jata tha aur apne taqdeer kaa likha samajh kar apne career mein huwe naa insaafi ko accept kar liya karta tha.
20 minute ke baad Khan police station mein tha aur Raghuveer jaa chukka tha. Rathod ne Khan se kaha, “Kyun aya tu? Tujhe to pata hai woh sirf tujhko disturb karnee ke liye eisa karta hai. Eisa kayi baar kiya haai ussne. Woh tumko kia kehta jabke ussko pata hai ke tu uss se behtar kaam karta hai? Ussne tumko sirf distract karne ke liye apna rob jamaya tujh par. Tum agar uss recorded voice se kuch pata kar sakte ho to karo, woh to nahin hai yahan eysh karne gaya hoga kissi randi ke saath jeise kaarta rehta hai, kissi beer bar ya kothe mein hoga iss waqt!” Yeh sunkar Khan dant peeste huwe apne desk ke piche gaya aur Rathod ko bulaya.
Khan aur Rathod Vicky ki company mein swagat kiya gaya. Bahot aalishaan office tha. Ek dum modern aur hi tech.
Mathur sahib ne donon ko apne office mein receive kiya aur koyi ghante bhar batein huwi aur statement li gayi, phir usske baad Khan ne kayi dusre mulazimon se bhi bayaanaat liye aur record kiye. Rathod tab tak kayi dusre workers ke statement record kar rahe the. Kayi mahilaein bhi the office mein. Unn sab se bhi statement li gayi.
Sab logon ne Vicky ki positive, bahot hi achcha profile diye. Aur jeise Reshmi ne kaha tha weise hi sab ne kaha ke Vicky ko kabhi kissi ne ghussa karte huwe nahin dekha. Woh bahot hanssmukh aur pyara tha. Hamesha cool rehta tha aur usske chehre pe hamesha ek muskaan rehta tha. Bade se bade decision lete waqt bhi Vicky cool rehta tha aur kabhi bhi kissi tarah ka sikanjh usske chehre par nahin dikhta tha. Yeh har ek muilaazim ne kaha.
Jab Sanjana ke bare mein poocha gaya to kissi ne kaha ke woh kabhi kabhaar aati thi apne bhai se milne college ke baad Reshmi ke saath aur kaafi waqt apne bhai ke office mein guzaarti thi. Kabhi kabhi akeli bhi ati thi aur donon bhai behen saath mein office band hone ke baad ghar jaya karte the.
Unn donon ke rishte ke bare mein Khan ne poocha kayi workers se to sab ne kaha, ke bahot pyar tha donon mein, bilkool bhai behen ka pyar tha, Vicky bahot chahta tha apni behen ko aur jaaan de sakta tha uss ke liye. Jab Khan yeh bayaan le rahe the tab Rathod ruk kar sun raha tha Khan ke chehre mein dekhte huwe aur Rathod ke chehre par gham aur dukh dikh raha tha uss waqt.
Phir Khan ne Mathur sahib se ijazat lekar sabhi mulazimon ko ek room mein ikatha kiya aur sab se collectively kuch sawaal kiye Rathod ki haaziri mein. Tab bhi sab ke jawaab bilkool positive the Vicky ke liye. Aur Khan ne yeh sawaal poocha aur iss sawaal se Rathod ke chehre ka rang badla sa laga…… Khan ne poocha,
“To aap sab log Vicky par lagaye gaye ilzaam ko sarasar jhoot maante ho aur iss ke piche kissi aur vajah ya kissi ka haath hai yeh samajhte ho?” Collectively sab logon ne kaha “Han bilkool yehi baat hai sahib, aap talaash kijiye aap ko sach ka pata zaroor chalega.”
Phir Khan ne aakhri aur ehem sawaal kiya,
“Kia aap mein se kissi ko bhi Vicky ne contact kiya hai case shuru hone ke baad aur faraar hone ke baad? Agar kiya hai to sach sach bataein varna woh bhi mujrim samjha jaega aur case mein usssko bhi shaamil kiya jaega.”
Sab ne kaha nahin, aur kayi logon ne kaha,
“Sahab hum sab to chahte hein ke woh hamein contact karein aur humko pata chale ke woh sahi salaamat hai. Woh hamare liye khuda hai, hum sab usske bande hein. Woh maalik hai hum usske pujari hai. Hum usske badawlat zinda hein aur humko behad khushi hogi ke woh humko contact karein ya apna ek jhalak dikha dein…….” Yeh sunkar Khan ke enkhen nam ho gaye aur Rathod se kaha, “let’s go Rathod.”
Building se nikalte waqt, Khan security guard ke paas rukaa aur poocha,
“Tum ko kia kehna hai Vicky ke bare mein?”
Guard ne kaha,
“Kia kahein Sir ji, bade logon ke bade shawkh hote hein hum kia keh sakte hein? Weise yeh unn ka zaati maaamla hein, Sanjana bahot hot thi Sir ji hehehehehe!!”
Rathod ne apna haath uthaya uss guard ko maarne ke liye usske iss jawaab par magar Khan ne Rathod ke haath ko roka aur guard se kaha,
“Tum insaan ho ya jaanwar?”
Aur Inspector aur sub inspector wapas police station chale gaye. Apne room mein Khan uss guard ke baat par ghaur kar raha tha. Kyun eisa kaha ussne? Kia ussko kuch pata tha? Kia ussko kuch maloom tha? Kia woh kuch kehna chahta tha? Rathod ne kyun ussko maarna chaha? Rathod kyun itna tarafdaari karta hai Vicky ki? Ya kuch jaanta hai woh magar chhupa raha hai?? Khan apne dimaagh par zor dete huwe uss din ko yaad kiya jab Vicky court se faraar huwa tha. Uss waqt to Rathod hi tha Vicky ke saath…… Khan ko yaad aya ke Rathod ne kaha tha ke ussko ghar se ek call aya tha jiss waqt Vicky gadi se bhaga tha…… Khan ne apne mobile ki battery dead hone ka bahana karte huwe Rathod ki mobile manga ek sms karne
ke liye Farheen ko. Aur apne desk ke niche Rathod ki mobile ko lekar Khan usske call register check karne laga. Rathod samajh raha tha ke woh sms kar raha hai….
Khan ka pasina chuth gaya jab call register mein uss ne dekha ke uss din aur uss waqt jab Call kiya gaya tha to woh usske ghar ko nahin balke kissi unknown/private number ko kiya gaaya tha……. Khan ne ek nazar uthakar Rathod ko dekha, phir ek sms kiya Farheen ko ke usska battery down hai ussko sms na karein……..
Khan ne Rathod ko usska mobile lawtaya ussko ajeeb nazron se dekhte huwe aur soch mein pad gaya ke yeh kia ho raha hai…Rathod ne kyun jhoot bola tha ke uss waqt uss ko ghar se phone aya tha jab ke koyi phone aya nahin tha balke uss ne khud phone kiya tha…magar kissko aur kyun? Number kyun nahin hai? Kyun private likha hai? Kia maajra haai. Khan ab Rathod par bhi shak karne laga…..
To be continued………………………
khan ab kaise ise sulajhayega