45. Change Of Heart
Update 45
"Ab iska kya matlab hai??" Paheli sunkar tara boli.
"Pata nahi.. kuch samajh nahi aa raha.. ye to kuch tough si lag rahi
hai.." ankit ne letter par likhe shabdo ko ek baar aur padhte huye
kaha.
"Ye naye jeewan ki boond se kya matlab hai??"apne sir pakadte huye
aditya jhallaya "aaahhhhhh... phir ek paheli..."
"Waha koi hai..." achanak avi ke hath se chipakte huye tanisha boli.
Uski awaaj mai dar saaf mehsoos kiya ja sakta tha.
"Kaha??" Avi aditya aur ankit ne ek sath poocha.
"Waha.." door ek red tent ki taraf ishara karte huye tanu boli, "koi
tha waha.. koi bachha shayad.. jaise hi meri nazar us par padi wo teji
se bhagkar tent mai chala gaya.."
"Tumhe pakka yakeen hai??" Avi ne poocha.
"Ha.. waha jarur koi tha.. meri aankhe dhokha nahi kha sakti.." tanu
ne jawab diya.
"Theek hai phir.. chalkar dekhte hai.." avi ne kaha.
"Kya chalkar dekhte hai??" Adi ne avi ki baat sunte hi taunt mara,
"Pagal hai kya?? Hum ye bhi nahi jante ki waha kya hai.. agar ye koi
chaal huyi hume fasane ki to???"
"Mai adi se sehmat hu.. mujhe bhi nahi lagta ki hume waha jana
chahiye.." priya ne adi ki taraf dekhte huye kaha aur phir ek smile
paas kar di. Jawab mai adi bhi ek feeki muskan ke sath muskura diya
par priya ke liye itna bhi bahut tha.
"Aur hum mai se to kisi ne kuch nahi dekha.." adi ne aage apni jehrili
juban kholi.
"To kya mai jhooth bol rahi hu.." aavesh mai aate huye tanu boli. Uski
aankhe ekdum laal ho gayi thi gusse se jise dekhkar adi ne aage kuch
bhi kehna theek nahi samjha.
"Chalo chalte hai..." daant peeskar adi ko ghoorte huye avi bola.
Aage-aage avi aur tanu aur unke peeche-peeche baki log bhi chalne
lage us tent ki taraf.
"Bhaiya mujhe nahi jana us tent mai.." chalte huye rahul harshit se
dheere se bola.
"Mujhe bhi..." paas chal rahi moni bhi turant boli.
"Kuch nahi hoga tum dono ko.. mai hu na sath.." harshit un dono ka ek-
ek hath pakadte huye bola.
"Lekin agar aapko kuch ho gaya to...." moni boli jise sunkar harshit ne
ek pal ke liye use dekha aur phir bola, "Mujhe kuch nahi hoga.. kisi ko
kuch nahi hoga.. hum sab sahi salamat yaha se bahar niklenge.."
"Promise???" Dono ne ek sath poocha.
"Pakka promise.." harshit ne kaha to dono ki tension ek pal mai chhu
ho gayi.
"Aise vaade nahi karne chahiye jinhe nibha na sako...." sannate ko
bhedti huyi ek sarsarati awaaj harshit ke kaano mai padi.
"Tum logo ne ye awaaj suni???" Harshit ne awaaj sunte hi thithakte huye kaha.
"Konsi awaaj??" Uski baat sunkar pooja ne poocha. Uski shakl bata
rahi thi ki usne kuch nahi suna. Usne kya kisi ne bhi kuch nahi suna
tha siway harshit ke.
"Tune nahi suna??" Harshit ne hairani se pooja ko dekhte huye
poocha.
"Kisi ne kuch nahi suna harshitt... tumhe veham hua hai.." pooja ki
jagah ankit ne jawab diya.
"Mujhe koi veham nahi hua hai.. maine sach mai wo awaaj suni thi..
usne kaha ki...." harshit aage bolne ja hi raha tha ki achanak ruk gaya.
Usne ek najar moni aur rahul ko dekha jo utsukta se usi ko dekh rahe
the aur phir bola, "Kuch nahi.. shayad sach mai mujhe veham hua
hoga.."
Use malum tha ki usne kya suna tha lekin agar moni aur rahul ye
sunenge to unki rahi-sahi umeed bhi toot jani thi.
"Waha kya hoga adi???" Chalte huye priya ne adi se poocha.
"Le ja rahe hai na ye dono mahanubhav hume waha.. khud hi dekh
liyo.." adi ne jawab diya.
"Tu itna rude kyu ho gaya hai adi.. sabse aise hi tede tareeke se baat
kar raha hai.. khaskar jab se hume harshit ke papa mile hai tabse..
baat kya hai adi?? Tujhe hua kya hai??" Uska jawab sunkar priya ne
uska hath pakda aur uski aankho mai dekhte huye boli.
Usko aise apni taraf dekhte huye aditya ruk gaya aur uske sath hi priya bhi. Adi priya ki nazro mai nahi dekhna chahta tha isliye idhar- udhar dekh raha tha.
"Mai.. mai aisa hi hu.. hamesha se.. chal ab.. sab log aage badh gaye hai.." nazre churate huye adi bola aur aage badh gaya par priya ne uska hath pakad liya.
"Mera hath chhod priya.. sab log aage nikal jayenge.." adi ne apna
hath chhudane ki koshish karte huye adi bola par priya ne kafi
mazbooti se uska hath pakda hua tha.
"Nahi adi.. ye sach nahi hai.. tum kabhi itne rude nahi the.. tum to
hamesha hasne aur hasane wale the.. kabhi kisi ko bhi tension mai
dekh hi nahi pate the.. kabhi kisi ko sad nahi kar sakte the.. par ab..
tum ab wo nahi rahe jo the.. tum badal gaye ho adi..." kehte huye
priya ki aankhe dabdaba gayi thi. Wo nazre jhukaye khadi thi aur
aankho se apna dard adi ko dikha rahi thi.
Priya ki aankho mai ansoo dekhte hi adi ke dil mai ek tej tees si uthi.
Priya ko rote dekh uske samne wo sare pal ek film ki tarah chalne
lage jo unhone ek sath bitaye the. Kis tarah wo ek sath haste the,
rote the, khate the, khelte the. Aur isi ek pal mai adi ko ye ehsaas
hua ki ye wahi ladki hai jise wo kabhi bhi pareshan ya udaas nahi dekh
sakta. Is ladki ke ek ansoo ke liye wo poori duniya ko aag laga sakta
hai. Yahi wo ladki hai jiske liye wo apne andar panap rahi burayi se
bhi lad sakta tha. Usne apna hath aage kiya aur uski aankho se ansoo
poch diye. Adi ka hath apne chehre par pakar priya ne sir uthakar adi
ko dekha to uski aankhe bhi bheegi huyi thi.
Priya ko apni taraf dekhte pakar usne turant use apni baaho mai bhar
liya aur bola, "Priya.. mai tere se wada karta hu.. ab se mai kisi se bhi nahi ladunga.. kisi ko ulte jawab nahi dunga.. jis adi ko tu dekhna chahti hai wahi tujhe dikhega.."
"Adiii... I love you... please kabhi mujhe na chhodna.. kabhi na badalna.." priya ne rote huye kaha aur isi ke sath adi par apni pakad mazboot karli.
"I love you too priya.. tu bhi mujhe kabhi chhodkar mat jana.. mai toot jaunga tere bina.." adi ne bhi rote huye kaha.
"Ahhemm.. ahhemm.." pooja ke khasne ki awaaj se unka dhyan toota
to unhone dekha sab log unhe gherkar khade hai.
Yeh dekhte hi dono alag ho gaye aur sir jhukakar khade ho gaye.
Dono ke gaal sharam se aise laal ho gaye the mano shareer ka sara
khoon gaalo mai hi ikattha ho gaya hai. Rahul aur moni taaliyan bajate
huye uchhalne lage aur khushi se chilla rahe the, "adi bhaiya priya
didi ki chori pakdi gayi.. pakdi gayi bhai pakdi gayi.."
"Aaye haye dekho to sahi chhori ko.. kaise sharma rahi hai.." pooja
priya ke gaalo ki chikoti katte huye boli.
"Chhore ko to dekh.. chhori se jyada to ye sharma raha hai.." adi ka
chehra upar karte huye harshit bola.
"Sach mai.. itna to hum bhi nahi sharmaye the.. aur inhone to abhi...."
pooja aage kuch kehne ja rahi thi magar khud hi sharma kar ruk gayi.
Ab uske gaal tamaatar huye ja rahe the. Use yaad aaya ki kaise
harshit ne apne izhaar ke sath hi use kiss kiya tha.
"Inhone to kya pooja??" Pooja ko chhedne ke maqsad se harshit ne
poocha. Use achhi tarah malum tha ki pooja kya kehne wali thi.
"Harshit.. mujhe maaf kar de.. I am sorry yaar.. mujhe malum hai
maine tujhse bahut kuch ulta-seedha bola hai.. mujhe to maafi
maangne ka bhi haq nahi hai...." pooja ki kehar barsati nazro se
harshit ko bachate huye adi bola par harshit ne use beech mai hi tok
diya.
"Maar khayega ab agar sorry bola to.. maine teri kisi bhi baat ka bura nahi maana.. par ab tu sorry bola to jarur maan jaunga.." adi ko gale lagate huye harshit bola.
"Ankit.. avinash.. tum log bhi yaaro mere ko maaf kardo.. maine tum logo se bhi kafi kuch bola jo mujhe nahi bolna chahiye tha.. i am really sorry for all of that..." ankit aur avi ki taraf dekhte huye adi bola.
Harshit adi mai is badlaw aur purane adi ko dekhkar khada-khada
muskura raha tha.
"Koi baat nahi dost.. dair aaye durust aaye.." avinash bola.
"Maine bhi maaf kiya.. akhir galtiya insan se hi to hoti hai.." ankit ne
bhi adi ko gale lagate huye kaha.
"Theek hai to ab chale phir.. dekhe kya hai us tent mai.." adi ne tanu
ki taraf dekhte huye kaha jo azeeb nazro se use dekh rahi thi.
"Ha.. ha chalo.. mai to kab se kehna chah rahi thi.." tanu boli.
Sab log wapas tent ki taraf chal diye par is baar sab ke dil mai dar
nahi khushi ka bhaw tha.
"Tu mujhe kab i love you bolegi??" Rahul dheere se moni se bola.
"Mai kyu bolu?? Tu bol na.." moni bhi waise hi dheere se boli.
"Dekha nahi tune pehle ladkiya bolti hai.. priya didi ne bhi to pehle
bola.."
"Mai to nahi bol rahi.. tere ko bolna hai to tu bol de.. waise bhi tu
bahut ganda hai.. mai tere ko i love you nahi bolungi.."
"Mat bol.. mai bhi nahi bolunga.. tu bhi bahut gandi hai.."
"Kyu bhai.. kya baat ho gayi.. dono ek dusre ko ganda kyu keh rahe
ho??" Harshit un dono se bola. Kab unki awaaj uchi hoti chali gayi unhone pata hi nahi chala.
"Kkk...k..Kuch nahi bhaiya.. kuch nahi.." itna kehkar rahul aage ankit aur tara ke paas bhag gaya. Peeche ab harshit, pooja aur priya hi chal rahe the. Unse kuch hi aage moni aur adi chal rahe the. Harshit ne aankho se pooja ko ishara kiya to wo moni aur adi ko lekar aage baki logo ke paas chali gayi. Peeche ab bas harshit aur priya hi chal rahe the.
"Priya.. adi ko kabhi mat khona.. wo seh nahi payega.. aur phir..." harshit priya se bola.
"Tu aise kyu bol raha hai?? Kya hoga use??" Priya ne poocha.
Harshit aas-paas dekhkar phir confirm kiya ki koi aas-paas hai to nahi aur phir priya ke kaan mai bolne laga.
Harshit jab tak bolta raha priya sunn si khadi uski baat sunti rahi aur phir jaise hi harshit ne apni baat khatam ki wo boli, "Aisa kuch nahi hoga.. unhe veham hua hoga.. mera adi kabhi aisa nahi banega.."
"Aisa hi ho priya.. mai bhi yahi chahta hu aisa hi ho.." harshit ne kaha jise sunne ke baad priya aage adi ke paas badh gayi.
"Aap galat the papa.. aap galat the.. log badalte hai.. pyar kisi ko bhi badal sakta hai.. kisi ko bhi.." harshit upar asmaan mai dekhkar budbudaya.
To be continued...