41. Morgue Again..
Update 41
Samne tha hospital ke morgue ka safed adkhula darwaja. Andar gupp
andhera tha jiske karan kisi ke bhi pair aage nahi badh rahe the.
Rahul aur moni to morgue jane ke naam se hi kaap uthe the phir waha sach mai kadam rakhna to bahut door ki baat hai.
"Mai nahi jaunga andar.." aditya ke peeche dubakte huye rahul bola.
"Mai bhi nahi jaungi.." moni ne bhi uska anukaran kiya. Dono lagbhag ro rahe the andar na jane ke liye.
"Kyu bhai.. tum log andar kyu nahi jaoge??" Adi ne poocha.
"Andar bhoot hai.." dono ne ek sath kaha.
"Achha aur agar hamare jane ke baad bahar bhoot aa gaye to..." adi
ne unhe manane ke liye poocha.
"Mummmyyyy...." uski baat sunte hi moni chillate huye rone lagi.
Ye dekhkar harshit ne aditya ko aankh dikhayi aur phir moni ko shant
karte huye bola, "Are moni beta.. adi bhaiya to mazak kar rahe hai..
kyu hai na adiii..."
Harshit ne jab dat peeste huye adi se kaha to wo bhi bola, "Ha moni..
mai to mazak kar raha tha.. chalo andar chalein kuch nahi hoga.. aur
agar kuch hua to harshit bhaiya hai na.. sab samhal lenge.. kyu hai na
harshit.."
Aditya ke is ulte taunt ka harshit koi jawab nahi de paya aur bas itna hi bola, "chalo.. andar chalte hai.."
Harshit use hairani se dekhta hua aage badh raha tha bina aage dekhe isliye ane pita se takra gaya.
"Harshu.. tu ruk abhi.. tum log bhi abhi ruko.. pehle mai jakar dekhta hu.. kahi andar koi khatra to nahi.." Mr Gupta ne usse kaha.
"Nahi.. agar unhone aapke sath kuch kiya to??" Harshit ne unka hath pakadte huye kaha.
"Harshit.. wo mera ab aur jyada kya bigaad sakte hai.." Mr Gupta ne haste huye kaha sur phir andar chale gaye.
Bahar harshit aur baki log besabri se unka intezar kar rahe the. Koi 5 minute baad hi Mr Gupta bahar aaye aur bole, "Andar koi khatra nahi hai.. sab stretchers khali hai.. chalo aa jao sab log.."
Itna kehkar wo wapas andar chale gaye par harshit aur pooja ko chhodkar abhi bhi baki sab ke man mai thoda sankoch tha.
"Chalo aa jao.. chalo.." Mr Gupta wapas bahar aaye aur bole.
Itna kehkar wo phir se andar chale gaye aur is baar baki sab log bhi unke peeche-peeche aa gaye.
Jitna un logo ne socha tha aur jaisa unhone movies mai dekha tha wo
morgue usse kafi bada tha. Kisi hall jitne bade us morgue room mai
poori tarah andhera chhaya hua tha. Roshni ka ekmatra jariya is
samay sirf Mr Gupta the par andar mojoud khatre ko bhapte huye
sabhi logo ne apni torches nikal li thi. Torch ki roshni mai unhone
dekha waha har taraf stretchers hi stretchers the aur sab khali the.
Kam se kam dekhkar to yahi lag raha tha.
"Yaha switch kaha hai??" Idhar-udhar roshni marte huye ankit ne
poocha.
"Dekho wo raha.." priya ne ek taraf switchboard par roshni padte hi
kaha.
Ankit ne fauran switch on kiya aur jaise hi bulb ki roshni waha faili
dar ki ek lehar unke dil se nikalkar poore shareer mai daud gayi.
Poora morgue is waqt surkh laal roshni mai naha chuka tha par isse
bhi jyada darawani baat ye thi ki roshni hote hi wo stretchers ab
khali nahi rahe the. Ye dekhte hi sab log aapas mai ek sath chipak kar khade ho gaye aur un stretchers ko hi ghoorne lage jin par ab chadar ke neeche kisi lash ke hone ka akaar saaf dikh raha tha. Isi ke sath poore morgue mai ek tej durgandh bhi fail gayi jo yakeenan un lasho ki hi thi.
"Ye kaise hua?? Abhi to y.." Harshit apni baat poori nahi keh paya isse pehle hi Mr Gupta bol pade, "Ankit... light off kar do.. jaldi.."
Ankit ne unki awaaj mai ghabrahat dekhkar light turant off kar di.
Roshni jate hi unhone apni torches wapas stretchers par ghumayi to wo stretchers wapas khali ho chuke the aur wo durgandh bhi ja chuki thi. Ye dekhkar unhone chain ki saans li aur ankit bhi wapas unhi logo ke paas aa gaya.
Par ye chain ki saans kuch hi palo ki thi kyuki ankit ke jate hi wo
switch apne aap on ho gaya aur morgue ek baar phir usi laal roshni
aur lasho ki sadi badboo se bhar gaya. Stretchers phir se lasho se
pat chuke the jo shayad unhe jagaye jane ka intezar kar rahi thi.
"Ye kais..." kehte huye ankit wapas board ki taraf lapka aur light off
kardi. Ek baar phir wo lashe aur unki badboo gayab ho gayi. Ankit ne
apna hath abhi board se hataya hi tha ki roshni phir jal uthi aur is
baar board se bijli ki chingariya bhi bhadak uthi aur board jalne laga.
Ye dekhkar ankit apne aap do kadam peeche hat gaya. Us roshni ko
band karne ka ab koi tareeka nahi tha aur na hi un lasho ko bhagane
ka.
"Ye theek nahi hai.. ye theek nahi hai.." Mr Gupta badbada rahe the
aur unke chehre par dar ki lakeerein saaf sekhi ja sakti thi.
"Bhaiya... mujhe bahut dar lag raha hai.." rahul rote huye bola. Uski
awaaj sunte hi ek sath kayi stretchers se charmarane ki awaaj aayi.
"Sshhh.. awaaj neeche.. harshu.. ye achha sanket nahi hai.. tum logo
ko wo heera jaldi se dhoodkar yaha se nikalna hoga.." Mr Gupta ne
bahut hi dheemi awaaj mai kaha.
"Mujhe to lagta hai.. ye hume jaan-boojhkar yaha laye hai.. kyu hai
na.." aditya Mr Gupta ko aankh dikhate huye phusphusaya.
"Bas karo adi.. mujhe nahi lagta inhone aisa kuch kiya hai.. aur behtar
hoga ki tum apna dhyan heera dhoodne mai hi lagao.." apni kamar mai
dabi revolver bahar nikalte huye avinash dheere se bola. Uske hath mai gun dekhkar adi ek baar phir khamosh ho gaya.
Avinash ne us bulb ki taraf nishana lagaya aur jaise hi trigger dabane wala tha ki harshit ne use rok liya.
"Agar nishana chooka ya bulb goli lagne par bhi nahi phoota.. to goli ki
awaaj se ye sab murde jaag jayenge.." harshit ne uska gun wala hath
pakadte huye kaha. Ye sunkar avi ne apni gun neeche karli.
"Par hum use dhoode kaha.. yaha to in stretchers ke alawa kuch hai hi
nahi.." tanisha phusphusate huye boli.
Waha sch mai un stretchers ke alawa kuch naji tha. Bas kone mai ek
table par kuch surgical tools rakhe huye the.
"Inme to nahi hai.." un tools ko khangalte huye ankit bola.
"Itna hi asaan hota to phir baat hi kya thi.." harshit ne kaha.
"Kahi aisa to nahi ki hume.. in.. in stretchers ko.. uhhmm check karna
padega??" Thook gatakte huye tara ne poocha.
"Mujhe bhi yahi lag raha hai.." Mr Gupta ne bas itna hi kaha.
Ye sunkar sabki kapkapi chhut gayi aur pair aise jaam ho gaye mano
pathhar ke bane ho.
Kisi ki himmat nahi ho rahi thi aage badhne ki. Sab kisi murti ki tarah
khade the aur kabhi un stretchers ko to kabhi Mr Gupta ko dekh
rahe the.
"Ye kaam tum logo ko hi karna hoga.. mai khiladi nahi hu.. isliye tumhari isse jyada madad nahi kar sakta.. aur waise bhi us heere ko sirf tumhi log chhu sakte ho.." Mr Gupta ne unki nazro ko bhapte huye kaha.
"Aapko kaise pata??" Harshit ne poocha.
"Usi baune ne bataya tha.. levels clear karne ke liye jin cheezo ko pana hota hai unhe sirf khiladi hi chhu sakte hai.. aur...."
"Aur kaun??"
"Wo bauna khud.. uske alawa khud tashina bhi inhe nahi chhu sakta.."
Mr Gupta ne poori baat batayi aur phir bole, "Ghabrao nahi.. mai hu
na tumhare sath.. kuch nahi hoga.. tum log shuru to karo.."
"Theek hai.. agar aap kehte hai to.." harshit ne kaha aur ek stretcher
ki taraf badhne laga. Uska dil aaj tak kabhi itni tej nahi bhaga tha.
Uska rom-rom khada ho chuka tha aur hath buri tarah kaap rahe the.
"Bas unke chehre par torch ki roshni mat marna.. theek hai..." peeche
se mr gupta bole jisse harshit ki ghabrahat aur badh gayi.
Usne kaapte hatho se us stretcher par se chadar hatayi aur us lash
ko dekhte hi uski cheekh nikalne wali thi par usne turant hi apna hath
muh par rakh liya. Lash bilkul sadi-gali thi aur jagah-jagah se uska
maas gayab tha. Pet aur seene par maas bilkul bhi nahi tha jis karan
uski aantein, fefde, dil wagerah sab dikh rahe the. Laal roshni ki
vajah se wo lash aur bhi jyada darawani lag rahi thi. Wo lash Harshit
se mahaz ek foot ki doori par thi aur usko is waqt itna dar lag raha
tha ki uske hath-pair bilkul thande pad chuke the.
"Dekho uske aas-paas.. heera hai kya.." Mr Gupta bahut hi dheemi
awaaj mai bole taki sirf harshit unhe sun sake na ki wo lash.
Unki baat sunkar harshit ne darte-darte us stretcher aur us lash ke
aas-paas ek sarsari nigah dali. Waha kuch nahi mila to usne thook
gatakte huye uske khule pade seene ke andar jhaanka aur bola,
"N.nn..nn..nahi hai.."
"Theek hai.. wapas dhak do ise.. par dheere se.." Mr Gupta ne kaha to
harshit ne waisa hi kiya aur wapas apni jagah par aa gaya. Us lash se
door aakar use itna achha lag raha tha jitna use kabhi nahi laga tha.
"Dekha.. asaan hai.. chalo ab sab log aisa hi karo.. par poori sawdhani ke sath.. aur ye hamesha dhyan rakhna chahe kuch bhi ho jaye... unke chehre par torch ki roshni mat marna.. samajh gaye.." Mr Gupta ne baki sabse kaha.
Moni, rahul aur tara wahi Mr Gupta ke paas khade rahe aur baki
sabne agle 20 minute mai lagbhag poora morgue chhan mara. Sabhi
lasho ki halat us pehle wali jaisi hi thi. Abhi tak to sab kuch theek hi
chala tha aur kisi bhi lash ne uthne ki jehmat nahi uthayi thi. Ab sirf
do lashe hi bachi thi.
Harshit, ankit aur priya un dono lasho ke paas aaye aur dekhne lage ki
pehle kisko chune. Halaki ab tak in 20 minute mai wo kitne hi
stretchers ko check kar chuke the lekin phir bhi har baar chadar uthane unke hath-pair thande pad jate the. Himmat karke ankit ne ek lash se chadar utha hi diya.
"Yahi hai.. yahi hai.." us lash ko dekhte hi ankit ke muh se ye shabd khud-ba-khud nikal pade.
To be continued...