• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance " Fitoor "

Status
Not open for further replies.

Samurai

Well-Known Member
2,815
2,408
159
Update ~ 40

Ek nayi subah nayi tazgi ke sath baahein failaye , jhoomte huye Riya aur Rahul ka intjaar kar rahi thi . Pahle ishq ki khumari shabaab par thi . Har cheez behad khoobsurat najar aa rahi thi . Aaj phoolon me khushbu kuchh jyada hi lag rahi thi .sard subah muhobbat ki dhoop me sukoon ka gunguna ehsaas de rahi thi . Kohre ki safed chadar badi romantic feel ho rahi thi .

Riya har roj se ulat muskurati huyi uthi thi aaj warna roj to subah subah hi uske muh par barah baj jate the , roj se alag thi uske chehre ki damak . Rah rah kar use kal raat ki baatein yaad aa ja rahi thi . Dil joron se dhadak uthta tha . Baar baar msg padh rahi thi wo . Rahul ki DP wali photo ko dekh sharm se laal ho ja rahi thi . Photo se bhi baatein karni shuru kar di thi usne , Krish ne kafi der tak Riya ki harkatein dekhi par jab raha nahi gaya to wo bola,


Krish ~ Riya dude ek baat poonchhu if you don't mind :hmm:

Riya ~ of course yaar ,


Krish ~ are you mad for some one Riya dude :?:

Riya ~ hain pagal ye kya poonchh rahe ho ?

Krish ~ to kya karu teri harktein defective hain yaar bilkul pyaar me pagal buddy jaisi .

Riya ~ hatt aisa thodi hai kuchh to bhi bolte rahte ho ,

Krish ~ bilkul hai .

Riya ~ tujhe bada pata hai?


Krish ~ Sabke sath tu muh pichkaye rahti hai aur akele me muskurati rahti hai . Tu sabse bhagti hai aur khud se baatein karti hai . Kal tera muh aise sada hua tha jaise tujhe koi pochinki me chhod kar bhag gaya ho aur aaj aise khush hai jaise tujhe chicken dinner mil gaya ho ?


Riya~ uff Krish tu ja pubg khel tujhe ye sab samnh nahi aayega yaar .

Krish ~ kyu nahi aayega dude mai bhi cool hoon :D


Riya ~ dont tell me ki teri bhi koi gf hai ?

Krish ~ hmm thi par abb nahi hai :(

Riya ~ sorry breakup hua tha ?


Krish ~ nahi usne kaha pubg ya usme se ek ko chunu to maine usko block kar diya :shy:

Haste haste Riya ka pet dukhne laga tabhi Rahul ki call aa gayi , Krish ne Rahul ki pic dekhi aur superb bol kar chala gaya . Riya ne call to le li par aaj kuchh bhi bolne me use sharm aa rahi thi doosri taraf Rahul pareshan baar baar hello hello kar raha tha .


Riya ~ hmmm :shy:

Rahul ~ mai aa raha hoon taiyar rahna :D

Riya ~ bilkul nahi Bhopal aakar milungi .

Rahul~ ho nahi sakta mai tumse mile bin rah nahi sakta abb .

Riya ~ mai nahi aaungi :beee: .

Rahul ~ dekhenge waise tumne kal kaha nahi tha aaj kaho .

Riya ~ kya ?

Rahul ~ wahi .

Riya ~ mujhe sharm aati hai .

Rahul ~ uff itni sharm :doh:

Riya ne hihi karte huye mobile rakh dkya par Rahul to hawa me udd raha tha . Use to bas har taraf Riya dikh rahi thi . Rahul ki apaar khushi shayad Natasha se dekhi nah gayi tabhi to uski khushi me 5 - 6 chand lagane Natasha uske paas pahunch chuki thi .


Natasha ~ hiiii baby .

Rahul ~ hadd hai yaar mai tumko baby dikhta hoon , kitni baar bola hai ki mujhe baby taby na bola karo .

Natasha ~ to kya bolu :shy:


Rahul ~ shutup yaar subah subah koi ye sab kaise bol sakta hai ,


Natasha ~ awww to kab bolu ?

Rahul~ Rahul tumko kya Dhruva ne kaat liya hai subah subah :mad:

Natasha ~ use kuchh mat bolna samjhe btw aaj Delhi ki flight tickets book kar liye maine :shy:

Rahul ~ tumne ? Kiski ? Kyu ?


Natasha ~ mujhe pata tha tum bhool jaoge isi liye maine book ki aur haan tumhari yani hamari mom bhi sath chal rahi hain .

Natasha ne baat finish ki aur thumkte huye Rahul ki mom ke pas chal di nayi aag lagane jabki Rahul ka para satwein aasman par chadh chuka tha ,
 

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,777
274
:reading:
 
  • Like
Reactions: Samurai

Tahirtahir111

Well-Known Member
5,080
8,980
188
Nic update
 
  • Like
Reactions: Samurai

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,777
274
Pahle ishq ki khumari shabaab par thi . Har cheez behad khoobsurat najar aa rahi thi . Aaj phoolon me khushbu kuchh jyada hi lag rahi thi .sard subah muhobbat ki dhoop me sukoon ka gunguna ehsaas de rahi thi . Kohre ki safed chadar badi romantic feel ho rahi thi .

Wah wah kya baat hai :flowers:

Riya ~ mujhe sharm aati hai

Hai kya sharm hai :shy: hay main mar javaa.. :hehe:
 

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,777
274
:yo: Awesome update :yourock:
 
  • Like
Reactions: Samurai
Status
Not open for further replies.
Top