• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance " Fitoor "

Status
Not open for further replies.

Samurai

Well-Known Member
2,815
2,408
159
Update ~ 41


Rahul muh fulaye apne room me chala gaya aur Dhruva peechhe peechhe jabki Rahul ki mom Natasha ke sath shopping ki planning me busy ho gayi . Dhruva ne jab Rahul yun pareshan dekha to majjaq me bola ,



Dhruva ~ bhai iraadein kya hain aapke ?



Rahul ~ matlab ?



Dhruva ~ aap Delhi mom ko kyu nahi le jaa rahe hain, wo bhi ghoom lengi waise bhi wo Natasha me apna future bhi to dekh rahi hain.( daant nikalte huye )


Rahul ~ mujhe nahi le jana kisi ko sath na hi Natasha ko na hi mom ko :mad:


Dhruva ~ bhai aap ke liye to theek hi rahega yaar Natasha aur mom ek doosre ke sath busy rahengi .



Rahul ~ yaar tu nahi samjh raha hai mere paas itna wakt nahi rahega ki mai in logon ko entertain kar sakoon meeting hai meri .



Dhruva ~ uff bhai isme kya mushkil cancel kar dijiye meeting .


Rahul ~ mar jaunga mai .



Dhruva ~ wow matlab unse mulakat oho oho :jump: ( Dhruva ne uchhalte huye kaha )


Rahul ~ haan use promise kiya hai mai waise bhi mujhe khud usase milni ki jaldi hai .



Dhruva ~ sahi hai bhai , waise to aap bade ho mai chhota hoon par choonki mai jyada tajurbe wala hoon to ek salaah doonga " gift jaroor le lijiyega "


Rahul ~ kya le jaun ?


Dhruva ~ Ring pahna dijiye ;)



Rahul ~ jaisi aagya hujur aur haan jab tak sab final nahi ho jata mom ya Natasha ko iski bhanak nahi lagni chahiye please :pray:



Dhruva ~ mai thodi kuchh batata hoon kisi ko :beee:

Dhruva ne Rahul ko mana liya Natasha aur mom ke sath Delhi jane ko par wo ye nahi dekh saka ki unki baatein Natasha ke kaan me pahunch chuki hai .


Riya ne jee bhar kar shoping ki aaj . Yahi nahi Reveka ke sath beauty spot par bhi kafi time spend kiya usne . Use Rahul ke samne sabse special jo dikhna tha . Dher sara saman lade Riya el ladke se ja bhidi .


Riya ~ mera sara saman gira diya aapne :(


Ladka ~ aap ko dekh kar chalna chahiye tha mam meri kya galti agar aap mujhse khud aa kar bhid gayi to ?



Riya ~ bade badtameej hain aap :mad:


Ladka ~ aur aap chhoti badtameej :beee:


Riya ~ hadd karte ho aap hatiye mai aap jaison ke muhh nahi lagti .


Ladka ~ mere paas bhi time nahi hai :shout:


Riya ~ chilla kyu rahe ho kya loudspeaker nigal liye ho , crocodile kahi ke :mad:



Ladka ~ oye chhipkali abhi tak tumhare ladki hone ka lihaj kar raha tha par meri shakl ko kuchh mat bolna warna



Riya ~ warna kya kar loge aap :mad: mujhe abhi jante nahi ho ki mai kitni khatarnaak hoon .



Ladka ~ mujhe saamp chhipkali ko janane me koi interest bhi nahi hai .

Dono ki lada badastoor jari thi ki tabhi Reveka aa gayi aur ladke ko dekh chaunk gayi . Wo uska best frnd Aarav tha .


Note :- doston kahani me Aarav ki entry kahani ko modd degi .aapka sath mere hausle buland karne ka tonic hai :rose: thodi busy hoon isliye late update aa rahe hain aur reply bhi pending hain par jald hi cover kar loongi .

 

Tahirtahir111

Well-Known Member
5,080
8,980
188
Zabardast update
 
  • Like
Reactions: Samurai

Taimoor

New Member
41
65
18
अपडेट 40

PUBG के लिए गर्लफ्रेंड को ब्लॉक बढ़िया है लड़का आगे जाकर महान gamer बनेगा वैसे डायलॉग्स मस्त बनाए है कृष के लिए राइटर साहिबा ने थोड़ा सा माहौल को हंसाने के लिए।
इधर एक बार और राहुल रिया से किया हुआ वादा तोड़ेगा ना आकर वैसे रिया तो दिल्ली में ही है और राहुल को भी दिल्ली जाना है तब दिक्कत है राहुल को दोनों तो ऐसे भी साथ में। मिलने वाले है खूबसूरत और जानदार अपडेट
 
Last edited:

Taimoor

New Member
41
65
18
par wo ye nahi dekh saka ki unki baatein Natasha ke kaan me pahunch chuki hai .
Nice मजा आएगा आगे जब मिलेंगे दो दुश्मन और एक सनम, राहुल बेचारा रो देगा जब रिया को देख कर भी नहीं मिल पाएगा पर आब देखते है क्या होता है आगे
न्यू कैरेक्टर वाओ मुझे तो ये आरव क्रिश जैसा लग रहा है PUBG दीवाना फनी टाइप, लगता है आगे और मजा आएगा।
शानदार अपडेट रिप्लाई भी दिया कीजिए हमारे कॉमेंट्स का।
 

Blade axel

Active Member
691
943
108
Nice update bro. .
 

Ronnr

Member
437
636
93
Bhai mujhe ek baat clear krvado ye dhruv rahul k saath h ya fir natasha k saath
Jab bhi dhruv ko koi baat batao vo baat natasha tak pahuch hi jaati h
Aur ye naye entry ki kya jarurat h aage hi tension kaam h kya vo ek aur side hero yaa supportimg actor aa rha h

Ye story to same koi tv serial aur fir koi movie me convert ko rhi h
 
Status
Not open for further replies.
Top