AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA KE BANAYE TEENO PLANS ME SE DO KO APPROVAL MIL JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF SAM NATIONAL LEVEL I.Q COMPETITION KE LIYE DELHI KE LIYE NIKAL JAAA HAI..
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-27
DATE- 3RD AUGUST
CITY-DEHRADUN
PLACE-SIRIUS
HAPPY BIRTHDAY MERI JAAN...ABBE TERA MOOH KYUN SUJA HUA HAI...!!!!
campus me andar akele ghum rahe SONU ko baari baari hug kar uske birthday ko wish kiya RAJAT aur EKPREET ne par jab uske ghusse se bhare mooh ko dekha toh pucha EKPREET ne ye sawal jispar...
SONU-unn ddono hharamiyon kki wwajah sse...
RAJAT-kaun..???SANVY aur NITS...!!!
SONU-aur kkaun...!!!
EKPREET-ab kya kar diya hai un dono ne...???
SONU- ddono kkamine kkal rraat 12 bbaje ddhamak ppade mmere gghar mme...
accha kkhasa sso rraha ttha mmai, ppehle mmere ppichwade ppar zzor kki llaath mmaar utaayi ssalon nne, usske bbaad kkambal kkutayi kki sso allag..
bbohot mmara bbhai...
HAHAHAHAHA...
SONU ki baat par zoron se has pade EKPREET aur RAJAT jispar ghur kar dekha SONU ne dono ko aur...
SONU-bbohot mmarunga ssalon hhase ttoh...
gardan hi pakad liya tha SONU ne RAJAT aur EKPREET ka jispar...
RAJAT-arre sorry sorry bhai...par isme naraz hone waali kaun si baat hai..
hum mese har kisi ke birthday par uski kambal kutayi toh hui hai....
SONU-abbe wwahin nnahi rruke ddono hharamkhor... mmere bbaap kko bbhi jjagaya ddono nne..pphir ppata nnahi kkaun ssi ggutthi ppilayi unnhe aur 10000 rrs lle lliye unnse...
EKPREET-hain...!!!sach me..aur saalo ne hume bhi nahi bataya...kamine, kahin akele akele hi party karne ka jugaad toh nahi bhidaye hue hain...
SONU-hhaon lllalchi kkamino...ttum bbhi mmar jjao pparty kke nnaam sse....
ssaalon ittne ppaise wwaale hho pphir bbhi cchain nnahi aata ttum ddono kko..
RAJAT-abbe dost ki jeb khaaskar uske birthday par khaali karwane ka maza hi kuch aur hota hai..
SONU-bbhago llaudon...
ye bol school building ki taraf badhne laga SONU jispar usse pakadte hue..
EKPREET-abbe kahan jaa raha hai...!!! party toh baad me de dena,abhi ke liye canteen me cold rink hi pila de...
SONU-mmoot ppeele mmera ggandu...
RAJAT-abbe bhadakta kyun hai..chal mai pila deta hun cold rink...
ye bol SONU ko apne saath lete hue canteen ki taraf chal pade RAJAT aur EKPREET..
par mooh abhi bhi foola hua hi tha SONU ka jisse dekh..
EKPREET-abbe kya ladkiyon ki tarah mooh fulaye hue hai.. pehli baar toh nahi hai naa ki paise lapete hain un dono ne tujhse...
SONU-abbe wwoh bbaat nnahi hhai...unn ddono hharamkhoron nne ddhamki ddekar sschol timing sse ek gghanta ppehle bbula lliya mmujhe aur kkhud ppata nnahi kkahan ggaand mmarwa rrahe hhain...
uss NNITS cchutiye kka bbhi mmobile bband hhai..
ppichle 40 mminutes sse akkele gghum rraha hhun iddhar gground ppar..
aaye hhi nnahi ddono kkamine...
RAJAT-uncle se hadpe paise lekar kahin ghumne nikal tog nahi gaye dono...!!!
SONU-ggand nna mmaar ddun kkamino kki...
RAJAT-teen coke...
canteen ke counter me ye bol teeno ek jagah par baith gaye par tabhi...
TEE..TEE...TEE.TEE....
message tone baj utha EKPREET ka jispar mobile nikaal jab usse check out kiya usne toh...
EKPREET-shit...guyzz...RASHI ka text hai...shayad kuch lafda hua hai class me....
SONU-kkya...??ssubah subbah...aaur RRASHI sschhol kkab ggayi...???
mmai ttoh mmain ggate kke ppaas hhi kkhada ttha ppichle 40 mminutes sse..mmaine ttoh nnahi ddekha appne ggroup sse kkisi kko...!!!
RAJAT-oh sherlock holmes...kaun kab kidhar se aaya,ye ganith baad me lagayiyo,abhi chal jaldi..
kahin lafda kaand me na badal jaaye...
ae bhai..cold drinks cancel kar...
turant khade ho apni baat bol RAJAT aur uske saath EKPREET SONU bhi class ki taraf nikal chuke the....
HAPPY BIRTHDAY SONU.....
aanan faanan me class ki taraf bhaaga SONU jaise hi apne section me enter kiya toh ek samuhik janmdin bhadhayi ke naare ko sun kadam uske ek jhatke me rook gaye...
is waqt puri class balloons se saji hui thi...lecture desk ko side me kar uski jagah ek bada sa round table pada hua tha jiske upar rakha hua tha ek 5kg ka chocolate cake...
2 numbers shaped candles jal rahe the us cake ke beecho beech...
aur cake ke chaaron taraf khade the class ke lagbhag sabhi students....
girls ne cake ke just piche ka spot hathiyaya hua tha aur mai,NITS sabse aakhir me khade the...
anyways,puri class ko aur apne class fellows ko shock se dekhne ke baad ek baar palat RAJAT aur EKPREET ko bhi dekha SONU ne jo smile karte hue uske just piche hi khade hue the..
sir ko halka shake kiye usne aur phir,subah se pehli baar muskuraya SONU...
SONU-tthank yyou....
EKPREET aur RAJAT ke saath hum sabki taraf and most importantly,cake ki taraf badhte hue kahi thi ye baat SONU ne jispar..
MAI-khush baad me hote rehna be..10 minute hi bache hain assembly me..
pehle cake kaat..bhook lagi hai zoron ki..
SONU-ssaale.ccake ddekhne kke bbaad kkab bbbhuk nnahi llagti ttujhe...
ANJALI-par aaj faayda nahi koi...cake aakhri me hi milega tujhe...
us din SHILPA AUNTY ke birthday me hamara pura cake kha jaana bhule nahi the girls jiska badla abhi lene ka soche hue the woh sab..
hume bilkul cake naa khaane dekar..
MAI-oye..cake mai laaya hun..apne paise se...
SONU-gghanta ttera ppaisa..mmere bbaap sse hhatiyaya hhue ppaise sse aaya hhai yye ccake...
ANJALI-matlab...
ANJALI ke sawal par jo maine aur NITS ne kal raat kiya tha,woh EKPREET ne sabko bata diya jisse sun jahan ek taraf baaki sab hasne lage the wahin dusri taraf girls mujhe aur NITS ko ghurne lage jiske baad..
ANJALI-tum dono akele hi SONU ko wish karne chale gaye...???
MAI-dimag sathiya gaya hai.do log bhala akele kaise jaa sakte hain..???
RASHI-shut up...???ab toh bilkul cake nahi milega tum dono ko..
KHANAK-aa kar dikhao cake ke paas..cake mooh par malne ka bohot shouk hai naa..aaj hum khelenge cake ki holi tumhare saath...
MAI-waah, dialogue...
KHANAK-aapse hi sikh rahe hain janab...
MAI-toh guru ko guru dakshina do.waise toh choti moti chizon se maante nahi hai hum par tumhare liye sirf ye cake bhi chalega...
ANJALI-jo milne nahi waala tumhe.. girls,dhyan dena dono par...cake ke paas bhi naa aane paayen ye...
MAI-chahiye bhi nahi aisa hadpu cake hume...chal NITS,door se hi dekh lenge cake kathtta hua hum...
khaa lene de in bhukmarro ko hamara laaya cake...
jahan ye bol NITS ko le left side se beech ke rows me jaakar baith gaya mai wahin hamari baat sun self respect zara bhi nahi dagmagaya in kambakht ladkiyon ka...
bina hume koi reaction diye SONU ko centre par rakh cake knife pakda diya ANJALI ne uske haath me...
HAPPY BIRTHDAY TO YOU ke ek sur ryhme ke beech cake kaat liya SONU ne jiske baad baari baari sabko thoda thoda cake khilaane laga tha woh...
RAJAT aur EKPREET se shuru karne ke baad chaaron girls ko khilaya usne cake aur phir do bade bade cake slices kaate usne aur ye dekh..
ANJALI-aree,itni badi slices...!!!kiske liye..
SONU-aurr kkiske lliye...???
ANJALI-bilkul nahi.. un dono kamino ko toh cake chhodo,cake ke upar ki cream bhi nahi deni..
SONU-pphir mmere ccake kkaatne kka kkya mmatlab...unn ddono kke bbina mmera bbirthday kke mmaayne hhain hhi nnahi kkoi..
wwaise bbhi,jjaise bbhi hhain,hhain ttoh mmere jjigri hhi...
jahan uski baat sun chaaron girls ke hi faces par smile aa gayi wahin jab un do slices ko le palta SONU toh mooh bada ho gaya uska..
uska hi kya, girls ka bhi same haal tha..
REASON..
mere aur NITS ke saamne pehle hi do kaafi bade cake slices rakhe hue the jinhe hum thoosne me lage hue the..
darasal jab SONU girls ko cake khila raha tha tab unme se kisika bhi dhyan cake par nahi tha..
jab SONU ek chota slice kaat ANJALI ko khilaane ke liye palta toh theek ussi moment me RAJAT aur EKPREET ne do bade slice kaat liye the aur hamari taraf badh gaye the..
MAI-laa bhai...ab kaat liya hai toh de bhi de...
NITS-aur RAJAT,ye bahar B ke kuch bhikari bhi khade hain,unhe bhi de de thoda sa...
kuch B section ke bande jo bas yunhi hamari class ke bahar ghum rahe the,unhe dekh kahi thi NITS se apni baat..
wahin hum dono ko constantly ghoor raha SONU kuch aur seconds hum dono ko ghurta raha jiske baad has pada woh aur humari taraf badh gaya..
MAI-abbe,arraammmm sse bbbbe...
ek saath thus diya tha kamine ne cake hum dono ke mooh me jisse kisi tarah manage kar khaane lage the hum..
aur hamare is mahan adjustment technique ko dekh...
ANJALI-tu kitna bada bhukmarra hai re SANVY...
MAI-jitni badi gadhi hai tu...aur mere khaane me nazar mat daala kar chudail...pet kharab ho gaya toh agli class tere paas hi baithunga mai...
dimag ek jhatke me khul jaayega aur naak band ho jaana hai phir...
ANJALI-chhi...
mooh banate hue piche hi hat gayi ANJALI jispar has pade sab..
SONU-kkitna ppada bbe ccake...???
NITS-saade teen...
SONU-ttoh bbaaki kke 6500 wwapas kkar...
MAI-le le mooh me mera..saale shaam ko party karenge baaki paison se...
SONU-6500 hhazar ki pparty...
NITS-abbe tandoori bite jaayenge...ab jaayenge matlab pura group..aur girls ko toh jaanta hi hai...
khaaye naa khaaye,dishes order zaroor karenge ye sab...5000 toh lagega ich udhar..
SONU-hhaan ttoh bbaaki kke 1500...
MAI-woh pichle saal ke udhaar ka tha...
SONU-kkaahe kka uddhar bbe...
MAI-acha beta,bhul gaya...pichle saal party ke naam par sukh saagar le gaya tha tu...
kya khilaane..thaali.. bhosdike,zindagi me pehli baar birthday par thaali khaayi thi maine..
NITS-abbe humne bol..
MAI-haan wahi humne..tab atak atak ke kya bola tha tu..
bbhai,ttangi cchal rrahi hhai tthodi..is bbaar addust kkar lo..aggle bbaar ddouble kkharch kkar ddunga..
le,ho gaya hisaab barabar..bache 1500 ussike hain..
NITS-abbe tujhe toh khush hona chahiye saale..tera waada bina tujhse mehnet karwaye pura kar diya humne..
MAI-aur nahi toh kya..chal thank you bol...
AUR BUDDY,WHATS UP...!!!!
hamari baat par ghusse se phatne hi waala tha SONU ki tabhi is nayi awaaz ko sun naa sirf chup reh gaya woh balki uske facial expressions bhi turant change ho gaye..
REASON...
EKPREET ke phone me SAM tha video call par jisse dekh..
SAB-hey SAM...
SONU-hhey SSAM...
SAM-hey guyzzz..happy birthday buddy...
MAI-saale,ek ghante me competition hai tera aur tu idhar birthday birthday khel raha hai...
SONU-cchup bbe...
SAM-arre chill yaar..prep puri hai meri...bas apne lounde ko wish karna tha,kar diya...
ANJALI-aur hamari shopping kab karoge...!!!
SAM-ye kya babes..naa hie,na hello... sidhe apne kaam ki baat...
ANJALI-shut up.. morning kar diya jitna hye hello karna tha...
SAM-ye bhi hai..aur relax raho..12 baje tak contest khatm ho jaayega aur return flight toh kal ki hai meri..woh bhi shaam ki...
kar lunga tab tak puri shopping....
MAI-hotel bada sahi allot kiya hai lounde tujhe competition waalon ne..
SAM ke backround ko dekh jahan achi khaasi nakkasiyan, paintings aur karigari ke kayi namune saaf dikh rahe the,kahi thi ye baat maine jispar..
SAM-abbe competition waalo ke nahi mera personal stay hai ye...
mom ka ek ghar idhar delhi me bhi toh hai...yahin thehra hun mai..aur contest site bhi idhar se 6 km hi hai bas..
NITS-beta usse ghar nahi bunglow bolte hain...
SAM-abbe bunglow bhi hota toh ghar hi hai...
MAI-ye grah vivaad baad me milkar nipta liyo...abhi chal,rakh phone aur ready hoke nikal CONTEST ke liye...
SAM-abbe rook rook..main ritual toh dekh lene de..
call off button dabane waala hi tha mai ki tabhi SAM ki baat sun naa sirf rook gaya balki SONU ke piche se aa rahe RAJAT ki taraf bhi tezi se badha mai aur uske dono haath jinme saale ne cake ka cream ghissa hua tha,unhe pakad liye maine...
kamine ko SONU ke face par cake malne se rok liya tha maine jisse dekh..
RAJAT-abbe,ye kya...!!!
RAJAT ke haathon ko dekh SONU bhi thoda piche hat gaya tha..
MAI-abbe chaman, timing toh dekh le thoda... assembly bell bajne waali hai agle 2 minute me...
abhi cake potega toh isse nikaalne me hi 10 minute nikal jaayenge...
NITS-matlab essembly se gol..agar kisi teacher ne pakad liya toh apne hi birthday me wishes ki jagah shudh vaani sunega ye PRINICI se...
SAM-oye teri...iske mooh me cake pothte dekhne ke chakkar me toh mere bhi dhyan se utar gaya tha ki essembly time hai abhi...
MAI-ye mat bhul jaayiyo ki competition hai aaj..
nahi toh PRINCI gober waala cake potegi tere mooh par...
SAM-chup be...ok then guyzz,ab sidhe parso hi mulakat hogi phir..
NITS-trophy ke saath aayiyo nahi toh bas phone pe hi text kar dena ki pahunch gaya hai tu...
SAM-all the best bolte hain aise time me..
MAI-andh shradha jaisa hai beta ye line...
jinke hunar me dum hota hai, luck sirf ek shabd hai unke liye..
SAM-galti ho gayi prabhu...maaf kar dijiye...
apne sir ke paas dono haathon ko jod naatakiya tarike se boli ye baat SAM ne..
GIRLS-dont forget our list SAM...
HAHAHAHA....
haath jodne ke baad call off button ki taraf badh rahi thi SAM ki ungli par tabhi girls ki baat sun ek baar phir haath jod liye the usne aur ye dekh has pade hum..
TRRRRRR....
essembly bell baj chuki thi jisse shayad SAM ne bhi sun liya tha isiliye turant call off kar girls ki forward speeches se bach gaya woh...
SONU-tthanks bbhai,bbacha lliya ttune...
cake makeup se bachaye jaane ka thanks kaha tha SONU ne jispar..
MAI-anytime buddy.. anytime...
baaki sab ke piche piche ek dusre ke kandhe se kandhe mila mai,SONU aur NITS nikal pade essembly ki taraf...
1ST RECESS....
MAI-ek baare phirse happy birthday mere bhai...
piche se SONU ke pure face par cake malte hue kahi thi ye baat maine jispar puri class has padi..
SONU-saale harami... isiliye uss wwaqt bbachaya mmujhe ttaaki abbhi kkhud hhi ppoth ssake...
aankh kaan,sab jagah cake hi cake laga hua tha SONU ka..dabi hui awaaz me bhadak raha tha woh par tabhi...
happy birthday bhai.. happy birthday buddy... happy birthday SONU...
ek ek kar hamara pura group uske mooh par cake malte hue dobara usse wish karne lage...
is beech shuru me toh bakne ko hua SONU par jab lagatar uska mooh repaint process se guzarne laga toh chup chaap mooh band kar woh is cake ki holi ka shikar banane laga...
is beech mai aur NITS jinhone sabse pehle usse cake pota tha,tissue se apne haath saaf kar chuke the hum...
EKPREET-chal bhai...mai le chalta hun tujhe wash room...
temporary andha ho chuka tha SONU isiliye uske haath ko apne kandhe par rakh wash room le jaane laga EKPREET..
yahan school me har floor ke left ki taraf aakhir me boy/girl dono ke hi wash rooms bane the jiske andar SONU ko chhod turant wapas aa gaya EKPREET..
ab ye zaroori bhi tha kyunki agar rookta woh udhar toh chehra saaf karne ke baad do chaar tagde haath bhi saaf kar deta SONU uspar jo jaanta tha EKPREET isiliye usse washroom ke andar basin ke paas chhod turant wapas aa gaya tha woh...
WASH ROOM:-
HAPPY BIRTHDAY SONU.....
abhi apna mooh clean kar hi raha tha SONU ki tabhi uske kaano me ye awaaz padi jisse sun ek pal ke liye rooka woh par phir bina kuch kahe apne face wash karne me lag gaya woh...
REASON...
AJAY TIWARI ki thi ye awaaz.. wahi ROHAN ka class bestie jo apne ek aur classmate AMIT DAVE ke saath wash room ke muhaane par khada tha.
par jab uske wish par bhi SONU kuch nahi bola toh...
AJAY-ye kya baat hui SONU..jab koi anjaana bhi birthday par wish karta hai toh reply dena chahiye..
aur phir hum toh schoolie hain...
AMIT-arre toh isme iski bhi kya galti yaar...tere wish karne ka tarika hi GALATH tha...
AJAY-acha...phir kaise wish karna chahiye tha mujhe...???
AMIT-hakla ke...hhappy bbirthday SSONU..aisa bolta tu toh apnapan feel hota naa isse..
HAHAHAHA...
ab tak apna mooh saaf kar chuka tha SONU jiske baad apne handkerchief se face pochte hue un dono ki baat sun unki khilli udaane waali hasi ko dekh woh bhi halka muskura diya...
ab ye pehli baar toh tha nahi jab kisine uske stammering par uska mazak udaya ho..
ye toh bachpan se hi uski life ka ek part ban chuka hai jiski aadat ho chuki thi usse..
uske upar SONU ko ye bhi pata tha ki usse provoke karne ki koshish kar rahe the AMIT aur AJAY..
kal SAM ke jaate waqt jo mazak banaya tha SANVY aur NITS ne un dono ka,ussika khunnas nikaal rahe hain woh dono...
isiliye muskurate hue wash room se nikalne ko hua SONU par tabhi uska raasta block sa kar diya AJAY aur AMIT ne jispar..
SONU-kkyun appni ggaand ttudwana cchahte hho bbe...kkhud ppar ehssan kkaro aur hhat jjao ccchup cchap....
AJAY-nahi toh kya be...!!!apne baap us SANVY ko batayega...
SONU-bbhai hhai wwoh mmera..bbaap wwoh ttere jjaiso kka hhai...
aaisa bbaap jjo aggar hhota iiddhar ttoh ddar kke mmaare appna appna llund ekk ddusre kki ggaand mme gghusa cchuke hhote ttum ddono abb ttak..
ppar usski zzaroorat nnahi hhai ffilhal...ttum ddono kke lliye mmai akkela hhi kkaafi hhun...
AMIT-acha...
SONU-hhaan bbacha..hho sakkta hhai kki jjeet naa ppaun mmai ppar hhaalat zzaroor bbigaad ddunga ttum ddono kki..
bbharosa nnahi hhai ttoh aao pphir..bbhid kkar ddekh llo...
AJAY-beta AMIT...nikaal 100 rupay...jeet gaya mai sharth..hai bande me jigra...
AJAY ki baat sun jahan bina kuch kahe muskurate hue AMIT ne uske haath me ek sou ki patti pakadwa di wahin ye sab dekh face par question mark aa chuka tha SONU ke jispar..
AJAY-arre soch mat zyada yaar..mai samjata hun..
darasal maine is AMIT se kaha tha ki daring hai apna SONU par isse lag raha tha ki fattu hai tu..
"THEEK TERE US MARE HUE BHAI KI TARAH"...
ye line...ek aisi line jo SONU ke dil par hi nahi balki uski aatma par bhi chot karne ke liye kaafi thi...
AJAY ki baat sun turant apne mare hue bhai ka face uski aankhon ke saamne aa gaya tha jiske baad ek pal bhi nahi laga tha uski aankhein bharne me...
ek trance jaisi haalath me chala gaya tha SONU..woh saari yaadein jisme uska bhai sharik tha,woh ghum sa gaya tha uski aankhon ke aage..
wahin SONU ki chhalakti aankhon ko dekh ek proud smile naach uthi thi AJAY aur AMIT ke faces par..
aakhir taklif pahuncha jo di thi unhone SONU ko..aisi taklif jo kisi bhi sharirik pain se bohot zyada asardaar thi...
unke hisaab se perfect birthday gift de diya tha unhone SONU ko..
AJAY-abbe ye toh rone laga...
AMIT-bola tha na maine fattu hai ye..chal,wapas kar mere sou...aur apne 100 mila kar de mujhe...
AMIT ki baat par upset hone ki acting karte hue AJAY ne 200 nikaal usse pakda diya jiske baad..
AJAY-kya yaar SONU...harwa diya yaar sharth tune....
chal bhai..chalte hain hum...
jahan ye bol haste hue nikal gaye AMIT aur AJAY wahin SONU ab bhi apni jagah par jad hokar khada hua tha..
ab naajane ye silsila kitni der aur chalta ki tabhi...
TRRRRRR....
recess off hone ki bell baj gayi jiski awaaz se jaise neend se jaaga SONU...
aakhein puri bhari hui thi uski aur gaal par pehle se aa chuke aansu halke sookh chuke the...
khair, handkerchief se apni aankhon ko saaf karte hue classroom ki taraf badh gaya SONU...
IN CLASS:-
RAJAT-abbe itni der kya kar raha tha washroom me..mooh hi dho raha tha ki naha liya pura...
recess off ho chuki thi par kyunki teacher abhi aaye nahi the isiliye apne apne groups ke saath desks par baith masti kar rahe the hum sab..
abhi abhi louta tha SONU jisse dekh kahi thi ye baat RAJAT ne jispar halka sa smile bhar kiya SONU ne aur apni seat ki taraf badhne ko hua par tabhi...
EKPREET-abbe tujhe kya hua...???
cake pothna toh ritual hai apna..
agar uske liye naraz hai tu toh aur poth denge cake tere mooh par...
HAHAHA....
EKPREET ki baat par sab has diye the jiske baad...
ANJALI-ye teri aankhon ko kya hua SONU...???laal dikh rahi hai..
MAI-cake aakhon me chala gaya tha iske..shayad ungli bhi lag gayi thi isiliye laal hui padi hai aankhen...
ANJALI-pakka tera hi ungli laga hoga..
MAI-ungli karne ki aadat tujhe hai aur laga mera hoga...waah...
KHANAK-oh stop it both of you.. SONU,medical room jaakar eyedrop dalwa lo..acha lagega...
MAI-arre... chocolate ko chewingum kaahe banana...ho jaayega theek thodi der me...
APNI APNI SEATS PAR JAAIYE SABHI....
meri baat par koi kuch kehta ki tabhi hamari chemistry teacher MRS RADHIKA CHANDRAVANSHI class me enter hui jiske baad hum sab turant apni apni seats ki taraf badh gaye...
MAI-puchne ke baad hi batana shuru karega kya...???
mujhe aur NITS dono ko SONU ke murjhaye face aur laal aankhon ke piche ki kahani ka andaza tha isiliye jaise hi ma'am ne padhana shuru kiya,pucha apna sawal maine jispar..
SONU-cchhod nnaa yaar....
MAI-bilkul chhodenge par pehle chodenge...ab bina laag lapet bolna shuru kar...
meri baat sun ek gehri saans chhod jo wash room me hua,woh batata chala gaya SONU jisse mai toh bas shaanti se sunta gaya par pehli baar aisa hua tha ki NITS jo kuch na kuch bolta hi rehta hai,woh jabde bheenche bas baitha hua tha..
jis second se SONU ki laal aankhen aur udaas face dekha tha usne,jaanta tha mai ki ussi moment se bomb panap raha tha uske andar jo AJAY aur AMIT ke upar fatne se pehle shaant nahi hoga...
isiliye aaj mai shaant tha...bilkul shaant... puri baat suni SONU ki maine aur phir sir shake kar class me dhyan dene laga...
AFTER SCHOOL:-
AJAY-haash.....saala teachers ke pele din bhar ki bakchodi ke baad ye kash head massage ka kaam karte hain bhai...
marlboro menthol ki ek gehri kash lene ke baad kahi thi ye baat AJAY ne...
school hours ke baad school ke west me moujud old nursery building ki gallery me baithe hue the AMIT aur AJAY...
daily ka kaam tha ye inka...school ke baad yahan baith sutta maarte the ye....
basically bohot kam students aur faculty members ka aana hota hai idhar...aur school hours ke baad toh koi is taraf aata bhi nahi..
MAI-sharir me hone waala dard bhi kam karta hai kya ye...!!!???
AMIT ke haath se cigarette lete hue ek kash AMIT ne bhi lagaya hi tha ki tabhi unke piche se ubhri meri is awaaz ko sun pehle toh ek jhatke me moode woh dono par phir relax ho gaye...
AJAY-aao,aao guyz...pata tha mujhe ki ye SONU rote rote tujhe humari complaint zaroor diya hoga aur tu thehra paagal kutta..
gurraate hue turant aayega hamare paas...apne jigri ka badla lene...
par woh dusra nahi aaya... NITS...khoon thanda ho gaya hai kya uska...
MAI-woh kisi aur ka sharir garm karwane gaya hai...
AMIT-hain...!!!gay hai kya saala...
AJAY-abbe abhi pata chala kya tujhe..???kabhi dekha hai in teeno ko kisi ladki ke saath..
ek dusre ke saath hi lage rehte hain teeno...
MAI-par aaj ek chowtha mil gaya naa..dekh,kadmo ki awaaz bhi aane lagi uski...milwaate hain tumse...
THAAB......
meri baat puri hui hi thi ki tabhi hamare piche waale raaste se kisi ki body neeche zamin par giri jisse dekh turant khade hue AJAY aur AMIT jiske baad....
BHAIYA.....
woh neeche pada banda AJAY TIWARI ka bada bhai aur hamara senior KAMAL TIWARI tha...
aur ye bhi apne chote bhai ki hi tarah maha madarchod tha...
humse toh nahi bhida tha ye abhi tak par ek number ka bully tha ye.. kamzor students ke saath dadagiri karne me aage rehta tha hamesha...
mujhse faththi thi AJAY ki lekin uske baad bhi SONU ke saath jo harkat ki thi isne,iske piche bhi is KAMAL ka hi haath tha..
issine confidence diya tha isse ki bhid jaaye mujhse,woh sambhal lega sab....
junior hain,kya hi ukhaad lenge,yahi soch thi uski..
ab ye soch kitni sach thi,ye thodi der me pata chal jaana tha lounde ko...
anyways,apne bhai ko yun neeche gire dekh AJAY aur uske saath AMIT doud pade uske paas jiske baad...
AJAY-bhaiya...ye sab...!!!!
KAMAL-arre jhooth bola is harami ne mujhe...isne kaha ki maar rahe hain tujhe kuch ladke isiliye douda mai idhar ke liye..
yahan pahunchte hi saale ne piche se maara mere ko...
teri toh madar...
THAAD....
gaali puri hone se pehle hi ek laath maar di NITS ne uske chest par jispar ek baar phirse lehrate hue neeche gira KAMAL...
ye dekh AJAY aur AMIT NITS ko maarne badhe hi the ki...
THABBB...THABBB....
meri aur SONU ki ek ek laath padi un dono ke gaand par jispar KAMAL ke baaju me gire woh dono...
KAMAL-abbe oye....GALATH bhid rahe ho tum sab...beta senior hun mai tum logon ka...
haalath kharab kar dunga tum teeno ki...
MAI-RIZWAN ASHRAFI....teri class ka don hai naa ye... hamari haalath kharab karne se pehle ek baar mera naam bhar bol ke dekhna uske saamne...
meri baat sun aur jis confidence se naam liya tha maine RIZWAN ka, woh banda jisse khub faththi thi KAMAL ki,usse aankhein badi ho gayi thi uski...
AJAY-beta apna naam toh aaj ke baad tu khud theek se nahi le paayega...boyz....come out...
uske classmates joki ab tak gallery ke dusri taraf chhup kar hamara hi wait kar rahe the,unhe awaaz di thi AJAY ne par jab kuch seconds ke baad bhi koi bahar nahi nikla toh...
AJAY-boyzz...
MAI-tere bulaane par nahi aayenge...mai bulaata hun...
feko be bahar sabko...
DHABBBB.DHABBBB....DHABBBB...
mere bolte hi ek ke baad ek B section ke lounde ua gallery ke diwaar se aage aate hue neeche girne lage..
kul 7 ladke the woh sab joki is waqt bilkul kisi bhikaari waali condition me neeche pade hue the aur unki ye haalath dekh AJAY aur AMIT jo abhi tak behadh confident dikh rahe the,unka woh confidence geele feete par lagi chingari ki tarah bujhne laga tha...
wahin un sabke peeche se hamare 12 classmates bahar nikle jinhe dekh hairan ho gaye the AMIT aur AJAY..
kabhi woh apne classmates ko dekhte,kabhi hamare classmates ko jo unhe dekh has rahe the..
kuch seconds yunhi un sabko dekhne ke baad AJAY ki nazar mujhpar aakar tiki aur...
AJAY-how...????
MAI-how...!!!!aaj morning SONU ke cake kaaththe waqt tere section ke lounde hamare class ke bahar ghum rahe the...
yahi the naa woh sab...
aisa pehle kabhi nahi hua tha..gadbad feel kar liya tha maine aur woh shak yakin me tab badla jab EKPREET ko SONU ke face par cake lagane se roka maine..
mere waisa karne par ye sab aise react karne lage jaise purse maar liya ho maine in sabka...
aur jab recess me SONU ke face par cake lag raha tha,toh woh beech me gira pada lounda entrance me hi khade hokar dekh raha tha..
SONU ke face par cake lagte dekh turant bhaaga woh aur obvio tumhe bataya usne..
tumhe pata tha ki wash room jaayega SONU..par ek hurdle tha...
EKPREET ka uske saath hona par SONU ko wahan chhod turant nikal gaya EKPREET jisse tum dono ka SONU ko humiliate karne ka window open ho gaya..
by the way,maine hi bola tha EKPREET ko wapas aane ke liye...
phir tum dono ne wahi kiya,jo plan ka hissa tha tumhara... insult ki SONU ki..
tumhe maalum tha ki SONU hume zaroor batayega jiske baad hum tum dono ke piche aayenge...
class over hone ke baad hamare class ke bahar apna ek banda lagaya hua tha tumne jo ye dekhe ki kitne bande nikle hain tumhari taraf..
par jab apne khabri ke through pata laga tumhe ki sirf hum teen hi aa rahe hain tumhari taraf toh relaxed ho gaye tum dono...
tum dono ko laga ki sab tumhare hisaab se ho raha hai par aisa tha nahi..
jo ho raha tha,woh isiliye ho raha tha kyunki mai waisa hone de raha tha..
balak, jis bhi kisse ka hissa hum rehte hain,usse likhte bhi hum hi hain...
jahan ek taraf meri puri baat sun lund jaisa mooh ho gaya tha AJAY aur AMIT ka jo aur kharab tab hua jab uske sabhi classmates dheere se uth patli gali pakad nikal gaye wahin dusri taraf KAMAL ko bhi samajh nahi aa raha tha ki woh kaise react kare..
par kuch toh bolna hi tha usse isiliye...
KAMAL-dekho..jaane do hume..warna...
NITS-warna kya madarchod...
DHADDHHHH....AHHHHH...
ek hockey stick laaya hua tha NITS jisse aage badh ghuma kar maara KAMAL ko usne...
kandhe par padi thi woh maar jispar dard se dohrata hua neeche gir gaya KAMAL...
AJAY-please..mere bhai ka koi fault nahi hai..usko kuch mat karo...
MAI-SONU ke bhai ka kya fault tha madarchodon... khunnas tumhari humse thi,toh beech me usse kaise le aaye tum.....
KKHHHHH......DHADDDHHHH... DHADDHHHH....DHADHHHHHH..
AJAY aur AMIT.. dono ke hi tounsils me halke jhatke ke saath push kiya maine jisse apna gala pakad tadap se uthe woh dono...
par agle hi pal un dono ke ek ek haath ko pakad moda maine aur unhi haathon se grip banate hue apne dono pairon se laath di maine unke chest par...
haath unke mere haath me the isiliye is move se ek tez jhatka laga un dono ke haathon ke jod aur chest me...
kuch seconds ke liye blood flow rook sa gaya unke sharir me jiski wajah se ek hi moment me extreme pain aur jhunjhuni,saath me hone lagi thi unhe...
wahin is beech lagbhag 15 baar ghum chuka tha NITS ka hockey KAMAL ke body par..
haath pair,pet har jagah marks ban gaye the uske...
dard se tadapta hua neeche pada hua tha woh...
aur jab NITS ko laga ki kota pura ho gaya KAMAL ka toh hockey stick fekne ko hua woh par tabhi...
usse pata bhi nahi chala ki kab uske haathon se hockey stick le li thi maine jiske baad shuru hui AJAY aur AMIT ki sutayi...
DHADDDDHHHH..DHADDDH....
sirf unke fat waale areas me jahan padne par fracture ke chance kam aur asahaniya pain zyada ho, maarne laga tha mai...
badi tezi se ghuma raha tha mai hockey stick jiske har waar par bin paani waale macchli ki tarah tadapne lage the AJAY aur AMIT..
MAI-sharth lagane ka bada shouk hai naa madarchodon...lagao sharth abhi...
kiski gaand pehle faththi hai....
AJAY-bhai,bhai bhai..maaf kar de bhai..
DHADDHHHH...bhai bhai fir kabhi tumhare raaste me nahi aayenge bhai..
DHADDHHHH....
AMIT-ahhhh.... please bhai....bas ek baar maaf kar de bhai.. DHADHHHH...maa kasam saamne dikhenge bhi nahi hum tum logon ko kabhi...DHADDDHHH.. AHHHHHH....
baal pakad liya tha maine un dono ka jispar karah uthe woh..
aansu se bhar chuka tha un dono ka face jisse dekh...
MAI-kya hua..???dukh raha hai..par hai toh sharir ka hi dard naa...maayne kya hain iske..
maayne us dard ke the jo mere bhai ke dil ne mehsoos kiya tha tum dono ki baat ko sun...
aansu uski aankhon se nikle the,par roya dil tha uska...
us ghaav ko kaise bharoge re madarchodon....
ek jhatke me un dono ke baal ko chhod dobara hockey stick utha liya tha maine par ye dekh kisi tarah tezi se rengte hue aage badhe AJAY,AMIT aur turant pair pakad liye un dono ne SONU ke..
AMIT-bhai...maaf kar de bhai....dobara kabhi nahi hoga bhai...
AJAY-please bhai..bacha le yaar...
haath hi jod liye the dono ne jispar..
MAI-lund bachayega tum dono ko...
dono ke ek ek pair ko pakad kheench liya tha maine jiske agle hi pal naa sirf unke pairon ko saath laaya mai balki saath hi saath apne dono pairon ko unke pairon me kuch yun fasa diya maine ki hum teeno ke hi pair ek gaanth ki shakal lete hue jud se gaye...
AHHHHH.....
NITS-nahi SANVY....
mere is daaw se jahan zordar cheekhen nikalne lagi thi AJAY aur AMIT ke mooh se wahin NITS samajh gaya tha ki un dono ke pair todne jaa raha tha mai...
dusre pair se laath maarne ki koshish kar rahe the woh dono mujhe par kuch aisa angle banaya hua tha maine ki unke woh khule pair mujhe hit nahi kar paa rahe the..
SONU-cchhod dde bbhai..pplease....
mere ghussa jisme uske aansuon ke liye taklif saaf dekhi jaa sakti thi,usse mehsoos kar liya tha SONU ne..
mere pairon ko thapthapate hue kahi thi ye baat SONU ne jispar ek pal usse dekhne ke baad azaad kar diya un dono ka pair maine...
aansu ek baar phirse nikalne lage the SONU ki aankhon se jisse dekh tezi se utha mai aur usse uski gardan se pakad...
MAI-jab apni taklif ka dusre tamasha banaane lage toh yaa toh us zakhm par marham laga lo yaa phir us tees maar rahe jagah ko sharir se ukhaad kar fek do...
dard tab bhi hoga,par bas ek baar hi hoga...
meri baat ka matlab samajh raha tha SONU isiliye haan me sir hilaate hue gale lag gaya woh mere..
aansu ab bhi nikal rahe the uski aankhon se par recess ke baad se hi dil me jo tufaan utha hua tha,woh shaant ho chuka tha uska...
NITS-KHANAK....
abhi mai SONU se alag hua hi tha ki tabhi NITS ki baat sun aur jahan woh dekh raha tha,is old nursery building ke entrance ki taraf,jab us taraf dekha maine aur SONU ne toh wahan KHANAK khadi thi...
par hamare ya phir ye kahun ki mere uski taraf dekhti hi hadbada si gayi woh...
shayad dekh liya tha usne mera AMIT aur AJAY ko buri tarah maarna...
unki woh maafi ki fariyaad jisse nazarandaaz kar mera unhe aur maarna...
sab dekh liya tha usne...
ye isiliye keh sakta tha mai kyunki pehli baar mujhe dekhte hue dar nazar aa raha tha uske face par...
barsaat ka waqt chal raha hai...halki halki hawa har waqt chalti rehti hai DEHRADUN me par itne suhavane mousam me bhi ghabrahat ke kaaran paseene nikalne lage the KHANAK ke peshani se..
kuch seconds mujhe yunhi dar kar dekhte rehne ke baad woh tezi se palat nikal gayi aur ye dekh..
NITS-KHANAK,ek minute..
MAI-jaane de usse...
NITS-shit...class ke baad tu sabse pehle nikal gaya toh puch rahi thi woh tere baare me..ye matter niptana tha isiliye zyada dhyan nahi diya maine...
mai hi jaata hun..
MAI-bola na jaane de usse...abhi dari hui hai woh...dimaag shaant ho jaane de uska.. phir dekhte hain...
aur tum sab...arre,gazab....
jab mai,NITS aur SONU KHANAK ko dekh rahe the,us waqt AMIT,AJAY,uska bhai KAMAL kisi tarah uth ghisadte hue bhaag chuke the..
aur unki puri B section waali toli toh pehle hi nou do gyarah ho chuki thi...
sab taraf nazar ghuma apna bag uthaya maine aur uska chain kholte hue ek gift wrap nikaala..
MAI-le bhai...gift tera...bhar le gaand me...
gift wrap dekh itni der me pehli baar muskuraya tha SONU...
NITS-mera waala GIFT shaam ko party me deta hun mai...
sir shake kar NITS ko dekh hasa SONU jispar..
MAI-khol...
SONU-abbhi...
ghura maine usse jispar turant harkat me aaya SONU aur kholne laga wrap..
jaanta tha woh ki akaaran nahi bolta mai usse aisa karne aur uska ye andaza sahi bhi tha..
"THE CURE"...BY DR.FRED SHULTZ...
wrap ke andar yahi book thi...stammering aur stuttering par one of the best book thi ye jiske saath ek ipod bhi tha..
ipod me gaane nahi balki stutterings clear karne ke saikdon audio techniques with self analytical exams bataye gaye the...
zyada mehengi nahi par kaafi rare book thi ye aur utna hi rare woh audio analyser tha.. kaafi time se koshish kar raha tha SONU in dono hi chizon ko kharidne ki..
aur aaj jab finally ye dono hi chizen haathon me thi uske toh yakin hi nahi ho raha tha usse...
kuch pal us book aur iPod ko dekhta raha woh jiske baad...
SONU-tthank yyou bbhai...
MAI-3 saal de raha hun.. complete clear speech nikalni chahiye tere mooh se...
verna wakayi tere gaand me bhar dunga is book aur iPod ko...
SONU-ppakka...
ek baar phirse hug kiya SONU ne mujhe par phir jab alag hua woh toh ek nayi udaasi thi uske face par jisse dekh...
MAI-abbe ab kya hua...!!!kuch aur bhi chahiye kya...???
SONU-bbhai wwoh KKHANAK...kkahin wwoh...!!!tujhe bbaat kkar lleni cchahiye usse..
MAI-agar doston ko bhi apne actions justify karne lag gaya mai toh yaa toh woh mere dost nahi yaa phir mere actions sahi nahi...
waise bhi...kuch bhi sunane ki haalath me nahi hogi woh is waqt..
agar abhi gaya uske paas toh baat aur BIGAD JAAYEGI...
baat yakeen ki hai,waqt ke saath apne aap yaa toh NIKHAR jaayegi yaa phir BIKHAR JAAYEGI....
samjhaana mujhe usse nahi samajhna usne mujhe hai kyunki...
agar mere SAHI hone par DAR gayi hai woh,phir mere GALATH hone par toh MAR JAAYEGI....
AAJ KE LIYE ITNA HI....
AAPKA APNA V...J...