AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF HARISH VERONICA SE APNI FRIENDSHIP AUR BONDING KAAFI STRONG KAR CHUKA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY AUR ANJALI KI MOM KE BEECH BEHES HO JAATI HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-31
DATE-24TH SEPTEMBER
CITY-DEHRADUN
PLACE-B.O.B
MAA KASAM YAAR...KYA KISMAT PAAYI HAI APNE B.M SAHAB NE...
VERONICA MADAM JAISI MAAL FASA LI BHAI...
ye B.O.B ke 4 mahine pehle hi newly oppointed GUARDS me se ek tha jisne bank hour khatm hone se 15 minute pehle hi apna apna day off kar saamne coffee shop ki taraf jaa rahe VERONICA aur HARISH ko dekhte hue apni baat kahi thi..
wahi guard jisne pichle mahine hawa nikaali thi VERONICA ki scooty se....
anyways,us guard ki baat sun
uske saath hi khada uska dusra saathi guard halke se hasa aur...
GUARD 2-abbe saath kaam karte hain dono..dosti bhi toh ho sakti hai..
GUARD 1-loude ka dosti...in madam ke saath dosti sirf koi chutiya hi rakhna chahega..
inko dekh bhar kar saala murdon ka bhi khada ho jaaye...arsa beet gaya tha jabse ek baar ke baad dusra round naa maara tha apni lugai ke saath maine..
par jabse yahan noukri lagi hai aur in madam par nazar padi hai...
lund saala baans ki tarah akad kar khada hi rehta hai..
tabse najaane kitni baar apni douki ko do se zyada baar ragadne ke baad bhi in madam ko yaad kar muthiya maari hai maine..
kasam se bhai,vaigra se zyada asar hai inke sharir ka..
soch ke hi tantana jaa raha hai mera ki HARISH sir kaise ragadte honge isse..
HAHAHAHAHA..
GUARD 2-saale baira...dimag me hi un dono ka B.F dekhne lag gaya tu toh...
waise HARISH sir bhi kaafi sahi dikhte hain... agar wakayi in dono ke beech chudam chudayi ka khel chaalu ho gaya hoga toh maza madamji bhi khub leti hongi..
aur suna hai ki vidhwa hai ye aur woh bhi bohot saalon se...ab itni khubsoorat aurat jiski jawani abhi bhi ufaan par dikhti hai, sharirik sukh ki zaroorat toh uski bhi hogi hi...
GUARD 1-wahi toh soch raha hun mai bhai ki kaise ucchalti hogi ye sir ki godh me... behenchod,maza hi aa jaata hoga...
DHAKKKKK....
abhi us pehle waale guard ki baat puri hui hi thi ki tabhi uske pichwade par ek tagdi laath padi jiske asar se saamne jahan ek chair rakhi hui thi, usse takrakar tedha hote hue neeche gir pada tha woh...
kul 3 guards the B.O.B ke is branch me jiske teesre ya phir ye kahun ki yahan ke sabse purane security guard JUNAID HUSSAIN the ye jinhone maari thi us pehle guard ko laath aur ye karne ke baad bhi aise ghur rahe the usse jaise gala hi kaat denge uska...
wahin kyunki bank ka ending time chal raha tha isiliye uski entrance me lage kaanch ke glasses ke aage bane shutter ko aadha close kar diya gaya tha jiska matlab tha ki customers ka banking hour khatm ho chuka tha..
sirf employees hi andar apna pending kaam nipta rahe the..
bank ke ird gird walls ka pehra sa tha matlab public attendence lagbhag zero hi tha..
isiliye us guard ko padi laath kisi ne dekhi naa thi..
JUNAID-jitna ganda bolna tha bol diya hai tune...agar ek bhi shabd aur zuban se nikla tere toh kasam KHUDA ki,tere mooh ke andar us zuban ka aakhri lamha hoga woh..
umr ke maamle me kaafi bade the JUNAID HUSSAIN un dono guards se par sharir aur taakat bhi kayi guna zyada thi unki un do guards se...
kareeb 6.2 height aur kaafi tagde sharir ke the JUNAID aur ek wajah ye bhi thi ki 48 paar karne ke baad bhi head guard ki position aaj bhi unhi ki thi...
is waqt apni laal ho chuki aankhon se ghur rahe the JUNAID baaki dono hi guards ko jispar halak halka sukh gaya tha unka..
GUARD 2- JUNAID chacha woh darasal...
CHATAKKKHH..
jisse laath padi thi woh guard uth toh gaya tha par JUNAID ke dar se chup tha par dusre guard ne thodi himmat dikhayi par uski zubaan JUNAID ke is bhaari bharkam thappad ne puri tarah band kar di thi...
JUNAID-saale galich...chacha shabd ek paak rishte ki neev rakhta hai jo tere jaise harami ke mooh se nikle toh gaali hi hai...
aur tu...itna hi acha laga tujhe HARISH sir ka louda toh apni biwi,behen ko baitha de uske upar...
ek paak saaf aurat ke baare me itni neech soch rakhne ki himmat bhi kaise ki tune...madarchod...
DHAKKK..
ek aur laath jad diya tha JUNAID ne us guard ke chest par jispar piche ki taraf ladkhada kar gir gaya woh...
par mooh kholne ka dum naa toh usme tha aur naahi us dusre guard me jo halka sehma hua sa chupchap khada tha...
par dar ke saath saath un dono guards ko badi hairani bhi ho rahi thi..
aur woh isiliye kyunki bhadakte hue toh kayi baar dekha tha unhone JUNAID ko par aaj ye pehli baar tha jab gaali di thi unhone..
gaali bhi sharab ki tarah haraam hi thi unke liye par aaj aisa nahi tha..
isse andaza ho chala tha unko ki VERONICA ko kuch zyada hi maante the JUNAID joki sach bhi tha...
VERONICA...apni zindagi me KHUDA ki bheji farishte si haisiyat rakhti thi woh JUNAID ke liye....
3 saal pehle unke chote bete ka yahan DEHRADUN ke sabse bade engineering college me merit kote se daakhila sirf 1 percent kam hone ki wajah se nahi ho paaya tha..
aur agar fees ke hisaab se admission karne jaayen toh rupay kareeb 5 lakh the per semester jinhe afford karna JUNAID HUSSAIN ke bas ke bahar ki baat thi..
aise waqt me VERONICA ne aage badhkar pehle toh apni guarantee par unke bete ke first semester ka payment loan ke zariye paas karwaya..
woh toh SANVY ke liye bachaye paise use karne waali thi par JUNAID ek gairat mand aur self respect se bhare insaan the jinhone iske liye haath jodkar mana kar diya tha..
student kote se loan karwane ke baad baaki semesters ke liye jo fees lagti,uske liye bhi loan clear karwa diya tha VERONICA ne aur woh bhi "TAKE TODAY,PAY AFTERWARDS"naam ke plan ke antargath jo unke hi idea se implanted hua tha..
student loan scheme tha ye jisme payment return schedule bacche ke degree milne ke baad shuru hota tha..
matlab uske job lagne ke baad....
us ehsaan ko JUNAID bhule nahi the...duty me hone ke baawjud din ke pure paanch baari ke namaazi the JUNAID HUSSAIN aur in beetein teen saalon me aisa koi namaz naa tha jiske aakhir me VERONICA ki khush haali ki dua naa maangi ho unhone...
JUNAID-agar dobara kabhi tum dono me se kisiko bhi VERONICA MADAM ke baare me GALATH bolna toh door,unki taraf buri nazar se dekhta bhi paaya maine toh sirf thappad aur laath me nahi rukunga mai...
baad me mera jo hoga,so hoga par phir dobara hilaane ke liye naa tum dono ke haath rahenge aur naa chalane ke liye pair....
IN THE COFFEE HOUSE:-
MADAM,KAMSEKAM AAJ TOH SIRF COFFEE TAK BAS MAT KIJIYE...
KUCH AUR BHI ORDER KARTE HAIN,ISSI BAHANE IS GAREEB KO AAPKE SAATH GUZAARNE KE LIYE KUCH EXTRA WAQT MIL JAAYEGA...
coffee ka sip lete hue iltaja-e-nazar se dekhte hue kahi thi ye baat HARISH ne VERONICA ko jispar sir shake kar muskurate hue..
VERONICA-ghuma phirakar har baat me kuch zyada hi flirt nahi karne lag gaye ho aaj kal tum...
HARISH-correction..healthy flirt...
kya maine kabhi yun bina permission haath pakda hai tumhara..
apni baat kehte hue hi tezi se VERONICA ka haath pakad liya tha HARISH ne jispar pehle toh ek second ke liye hadbadayi woh par phir jab agle hi pal HARISH ne uska haath chhoda toh..
VERONICA-ye tarika naya tha...
mind nahi kiya tha VERONICA ne HARISH ka yun achanak uska haath pakadna jisse dekh muskura utha HARISH aur..
HARISH-waise agar extra food order waali darkhwaast puri nahi hone waali toh ek dusri request bhi hai mere paas...
VERONICA-aur kya hai woh request...???
HARISH-selfie...
VERONICA-what..!!!
HARISH-yaa,selfie..ab dekho,itna waqt guzar chuka hai hume friends bane hue par 2019 ka favourite friend ritual "SELFIE" toh ek baar bhi kiya hi nahi humne...
HAHAHAHAHA...
jahan ek taraf HARISH ki baat sun khilkhila kar has padi thi VERONICA wahin dusri taraf HARISH us hasi ko razamandi maante hue utha apni jagah se aur dusri taraf jahan VERONICA baithi hui thi,uske baaju me jaakar baith gaya..
HARISH-ready...!!!!
apna mobile nikaal selfie camara on kar haath aage karte hue kahi thi ye baat HARISH ne jispar VERONICA ne apna shining aur smiling face camara ki taraf kar diya...
HARISH-madam...selfie le rahe hain,isse justify toh karo...
VERONICA-matlab...!!!
aage kuch keh nahi paayi VERONICA kyunki HARISH ki ungliyon ne uske hothon ko side se pakadte hue halke pressure ke saath unhe selfie pout ka shape de diya tha...
par aisa karte waqt HARISH zara aur sat gaya tha VERONICA se aur saath hi saath pout banaane ke baad haath ko hataate waqt uske anguthe ne un honton ke neechle bhaag ko halka ghis sa diya tha..
HARISH ke aisa karne par VERONICA ka chehra uski taraf ghuma par aisa hote hi uska aur HARISH ka face ek dum aas paas aa chuka tha..
dono ke honthon ke darmiyan bas do inch kaa hi fark reh gaya tha..
VERONICA ki badi gehri bhuri aankhon me jhaankte hue HARISH ki saansein houle houle uske face se takra rahi thi...
ek second ke pause ke baad un do inch ki doori ko mitaane ke iraade se aage badhne ko hua HARISH jispar..
VERONICA-HARISH... coffee shop me hain hum...
HARISH-aur naa hote toh...
VERONICA ke neeche ho chuki aankhon me dekhne ki koshish karte hue pucha tha ye sawal HARISH ne jispar kuch seconds ke pause ke baad...
VERONICA-wash room se aati hun...
HARISH-pehle jawab do..agar yahan nahi hote toh...
VERONICA-phir kabhi..
HARISH-phir kabhi kya..!!!jawab yaa paas aana...
VERONICA-jo tum samjho...
HARISH ko halke haathon se dhakka dete hue kahi thi ye baat VERONICA ne jispar khush hote hue jagah dedi usne VERONICA ko pass hone ke liye...
HARISH-finally.... aakhirkaar ye doori khatm hone waali hai...
woh selfie jisse HARISH ne uske aur VERONICA ke ek dusre ko behad kareeb se dekhte waqt kheench li thi,usse kisi whatsapp number par send karte hue kahi thi ye baat usne jiske agle hi minute uska phone bajne laga tha...
display me naam dekh ek smile naach uthi HARISH ke face par jiske baad ek baar wash room ke disha ki taraf nazar ghumaya HARISH ne par VERONICA ab bhi uske andar hi thi isiliye call pick kar liya usne..
HELLO...WELL DONE.HARISH....MAANANA PADEGA..KAAFI KAM WAQT LAGAYA TUMNE VERONICA KE KAREEB AANE ME...
dusri taraf se kahi gayi is baat ko sun has pada HARISH aur...
HARISH-ye toh hona hi tha sir..bas ek do din aur, phir VERONICA mere bistar par hogi...
"agar aisa ho gaya toh tumhara future shine karega HARISH..."
HARISH-adha shine toh already karne laga hai sir...
is VERONICA ke presentation ki wajah se mai B.O.B ka state division head officer banane waala hun..
aap bas baaki aadhi chamak ka khayal rakhiyega..woh ek crore...
"hahaha...uski fikr bilkul bhi mat karo tum...just remember our deal...
fuck her,film her,degrade har, humiliate her and finally destroy her..
izzat aur ghamand dono utaar us do kaudi ki aurat aur uske ladke ko DEHRADUN se bahar fikwana hai mujhe..
itna kar lo toh ek kya do crore mil jaayega tumhe...
HARISH-done and thank you very much for the upgraded offer MR.......
.....DEVANSH MALHOTRA.....
PLACE-SIRIUS
KUCH BHI BOL BHAI...APNE SIRIUS ME SPORTS WEEK KI ANNOUNCEMENT HUI NAHI KI AISA LAGTA HAI MELA LAGNE WAALA HAI..
SAALA PURA MAHOUL HI BADAL JAATA HAI...
ye NITS tha jisne apni class me,class hi kya bahar floor ke har corridor me ho rahe shor ko sun aur students ke excited faces ko dekh kahi thi apni baat...
SONU-wwo ttoh hhai bbhai...aur ssabse zzyada ssarsi rrehti hhai SSAM ki..
ssaala aisa ttreatment mmmilne llagta hhai ussko jjaise yyahan kka bbhagwan hhai yye...
sach hi kaha tha SONU ne..is waqt bhi lagbhagh sabhi class ke students ne SAM ko ghera hua tha..
kis sports me participate karen woh,raay le rahe the is maamle me sab SAM se..
saath hi saath jin students ne apne sports fix kar liye the,woh apne apne chits jinme unhone apne participate karne waale sports ke naam likhe hue the,woh SAM ko usse hand over kar rahe the...
EKPREET aur RAJAT help kar rahe the SAM ki par students ki bheed kuch zyada hi thi...
same haal B section me bhi tha..ROHAN bhi bohot se students se ghira hua tha..
ab ye scene laazmi bhi tha.. SIRIUS me har saal annual sports meet alag alag calender month me place kiya jaata tha..
aaj morning hi hamari PRINCI ne is saal ki sports meet joki 8th october se shuru hone waali thi,uski official announcement ki thi..
ye meet har saal ki tarah is baar bhi 4 din chalne waali thi jo SIRIUS ke liye kisi festival se kam nahi tha...
SIRIUS ANNUAL SPORTS MEET is the second biggest event of DEHRADUN..
first, INTER SCHOOL LEVEL SPORTS CHAMPIONSHIP hai..
anyways,SIRIUS me toh lagta hi hai, par saath hi saath pure DEHRADUN ki har gali me is sports meet ke bade bade banner lagte hain...
aur toh aur uttarakhand ka har local newspaper aur media house is event ko cover karta hai...
ab itna bada event jisse carnival kehna zyada sahi hoga,iske announcement se shor toh hoga hi naa..
par is shor ki gunj ab kuch zyada hi badhne lagi thi aur iska reason the SAM aur ROHAN..
sports me participate karne ke liye chits banakar pehle se deni padti thi aur wahi ho raha tha is waqt...
school division ke dono champs,SAM aur ROHAN collect kar rahe the woh chits...
chit dene ke saath saath un dono se raay lene lagbhag sabhi students hamare is floor par hujum sa lagaye hue the..
waise toh ye participation chits ikattha karne ka kaam sports teachers ka hota hai par as said before,itna bada event tha ye ki kaafi busy the hamare teeno hi sports teachers..
haan kuch subordinates the un teeno ki jagah par is school me students kuch zyada hi the..
upar se SAM aur ROHAN help bhi karte the students ke sports selection me isiliye sabhi bache un dono ko hi prefer karte the...
par SAM ki taraf bheed ROHAN ke mukaable zyada thi..
NITS-par bhai,is sports meet ka announcement hote hi har saal apna SIRIUS school kam aur bhindi bazar zyada lagne lagta hai...
behenchod,dekh toh in sab jhaantiyon ko..
sports choose karne me aisa excitement dikha rahe hain jaise saare participated events me jeet jaayenge jhaantu log...
SONU-uuppar sse aaj ssaturday hhai... ennvironment cclass bbhi off hhai,ssaalo kko exxtra mmouka mmil ggaya hhai hhudanng mmachane kka...
MAI-sidhe baith jaao be..sir aa rahe hain...
dhamm,dhammm ki awaaz jiska matlab tha ki peeth me pad rahi thi students ke,usse sun ab tak desk par pair rakh kar baitha mai turant sidha ho chuka tha..
ye MAANIKPURI SIR aur DAS SIR the jo corrider me sabhi students jo un dono ke haath lag rahe the,unke peeth par dhol bajate hue hamari hi class ki taraf aa rahe the...
isiliye woh sab shaant hote hue ek taraf hokar khade ho chuke the...
MAANIKPURI-what the hell is happening here...class hai ye ya party hall...!!!!
SAMEER...!!!!
SAM-what should i do sir... students zyada hain aur in sabko aaj hi apne selected sports ki slip deni hai..
and some are confused on what should they select...!!!
MAANIKPURI-thats not your problem.. aur advice leni aur deni hai toh school hour ke baad ground me ya premises se bahar karna...
DAS-B section ka bhi yahi haal hai..100 se zyada bacche hain udhar...
MAI-idhar 200 hain sir...
meri baat sun dono hi sirs aur unke saath SAM ne bhi ghur kar dekha mujhe...
SIR'S ne isiliye kyunki maine indirectly ye bataya tha ki students SAM ko ROHAN ke upar prefer karte hain aur SAM isiliye kyunki mujhe students ka ye bulk number pata tha par help maine nahi ki thi uski..
ab kaun fase is janjaal me....
DAS-ek kaam karte hain...agli do class toh free hi hai.. ROHAN ko bhi yahi bula lete hain..
uske saath aur bhi students hain jo wahan uski help kar rahe hain...
SAM, ROHAN aur inke classmates milkar saare sports chits collect kar lenge...
isse shor bhi nahi matchega aur ye dono guide bhi kar denge confused students ko...
MAANIKPURI-idea toh acha hai par ye A aur B students saath me...!!!
DAS-kuch nahi hoga..beta sun lo beta..agar kisi bhi tarah ka brawl, disturbing slang istemal kiya tum sabne toh class time ke baad bhi ulte latke miloge sab ke sab...
hum sabko ungli dikhate hue warn kiya tha sir ne jispar shaant hi rahe hum sab...
jaante the sab ki agar kuch bolte toh pakka punching bag bana dena tha sir ne hume...
khair,apni baat bol DAS SIR aur unke saath MAANIKPURI SIR claas se nikal gaye jiske kuch hi der baad hamare saamne prakat hue B section se 3 namune...
ROHAN,AMIT aur AJAY..
wahi dono jinhe SONU ke birthday par suta tha maine...
ab bhale hi character se chodu the woh dono par us teesre chodu ROHAN ki tarah sports aur acadamics me kaafi ache bhi the aur isiliye hi idhar the woh bhi.
par class me ghuste hi jab un dono ki nazar mujhpar padi toh halke nervous dikhne lage the woh par phir khudko normal kar liya unhone..
NITS-udhar hi neeche baith jaao...bura nahi lagega hume..
HAHAHAHAHA..
KISSE BURA NAHI LAGEGA....???
jahan NITS ki baat sun has di thi puri class wahin uske agle hi pal ROHAN, AJAY aur AMIT ke baaju se hote hue jab NITS ki baat par sawal kiya DUBEY SIR ne toh ek taraf toh class ekdum se shaant ho gayi aur dusri taraf NITS ke saare nikalne waale vachan uske mooh ke raaste wapas andar chale gaye the...
ab DUBEY SIR the hi aise ki faaltu bakarchodi koi naa karta tha unke saamne...
DUBEY SIR-kaun se prashn ka uttar dene hetu ek saath khade hain aap teeno..
koi bhi khaali sthaan grahan kijiye...
DUBEY SIR ki baat sun turant side me rakhe ek khaali bench ko occupy kar liya un teeno ne...
DUBEY-oh,ho,ho,ho,ho....dekho toh zara.. khel,krida me hamare desh ka naam gagan me chamkaane waale bhaavi vijetaon avum shurveeron ki puri toli prastuth hai yahan...
atti uttam...
SAB-thank you sir...
dusri classes ke yahan moujud students se kahi thi ye baat sir ne par face unka itna straight tha ki un sab ko pata nahi chala ki sir unka mazak udaa rahe the..
un sabke thanks ko sun mundi naa me hilayi sir ne aur...
DUBEY SIR-"bhatruhari krtuye neeti shakatam"..(murkh ko sahi baat samjhana asambhav hai)
sanskrit me taarif ki thi un sabki sir ne par jo baat samajh hi naa aaye,usme kaisa bura maanana..
DUBEY SIR-toh chaatron,mai yahan sirf isiliye hun taaki aap sab anushaan me rahen..
ROHAN aur SAMEER..aap aur aapke mitr in sabhi chaatron ka chuna hua khel parcha le le aur jin jin chaatron avum chaatraaon ko maarg darshan dena hai,unhe woh pradan kare kintu anushashan me rehkar..
thodi si bhi anushashanhinta hui agar toh khel ke parche ki tarah aapka bhi parcha bana kaksha se bahar kar dunga...
wahan sir warning de rahe the aur idhar B section ke un teeno ko aur khaaskar ROHAN ko dekh hamare aur yahan moujud dusri class ki kaafi girls bhi thodi excited ho gayi thi..
kuch nazarein toh ROHAN par chipak hi gayi thi jisse dekh sir shake kar muskurane laga tha mai aur..
MAI-"kaash ghante aur minute ke sui ki tarah ishq aur bewakufi ke beech fark batane ka bhi koi tarika hota"...
najaane kyun shor-e-surat-nazar-e-seerat par hamesha bhaari hi rehti hai...!!!
NITS-abbe kya badbad kar raha hai..!!!
MAI-table yaad kar raha hun...
NITS-hain..!!!chal chodu...
DUBEY-wahi mai bolun ki is kaksha ke kendra bindu se ab tak koi jagmagagat kyun nahi hui...
aakhir shaant rehne ke spasht nirdesh ki avhelna karne waale mukya kirdaar bhi toh hamare beech hi moujud hain...
kyun SANVEER...!!!
DUBEY sir ke is taunt ke beech khada ho chuka tha mai jiske baad...
MAI-maananiya shikshak mahodaya,mai toh bas apne mitr se kaun kaun se khel me bhaag liya jaaye,ispar vichar vimarsh kar raha tha..
aur woh bhi nyunatam dhwani me..
DUBEY SIR-arre waah..arthath is baar aap bhi varshik khel mahotsav me hissa lene waale hain..!!!ye toh bohot achi baat hai...
MAI-bas aapka aashirwaad chahiye...
DUBEY-waise kya mai jaan sakta hun ki kaun kaun se khel pasand hai aapko...???
MAI-kho kho,kabbadi aur khaaskar pitthu khelne me bada aanand aata hai guruji...
HAHAHAHA..
jahan mere jawab par has di thi puri class wahin DUBEY sir lage ghurne mujhe aur..
DUBEY SIR-apne shikshak se thitholi achi baat nahi SANVEER...
MAI-aisa karne ka dussahas mai apne swapn me bhi nahi soch sakta guruji...
kshama karen kintu aapke sawal ka ucchit aur upyukt hi uttar diya hai maine..
aapne pucha mere priya khelon ke baare me jinke naam bataye maine...
agar aapne hamare vidyalaya ke varshik khel mahotsav me hone waale khelon ke baare pucha hota toh uttar alag hota mera...
mere jawab ko sun jahan ek baar phir has padi thi puri class wahin DUBEY SIR ne haath maara apne maathe par aur..
DUBEY-vidwaan aur murkh ka adbhudh mishran hain aap SANVEER AHARYA...
MAI-dhanyawaad guruji...
HAHAHAHA...
sabki hasi ke beech sir bhi haste hue ek book jo saath laaye the apne woh,usse khol kar baith gaye jiska matlab tha ki hum sab bhi chupchap apna apna kaam karen...
wahin right se aakhri front row seat jahan SAM, EKPREET aur RAJAT baithe the,unke aage students ki bheed apne apne parche dene me lag gayi thi.
same chiz unke exact opposite direction me baithe ROHAN,AMIT aur AJAY ke saath bhi ho raha tha..
class ke bahar bhi kaafi students the jo andar waalon ke nikalne ka wait kar rahe the..
par kyunki SAM ke paas students zyada the aur apne suggestions woh reasons ke saath de raha tha, isiliye uski aage ki bheed kam hone ka naam hi nahi le rahi thi..
wahin ROHAN aur uske dono dost bas chit collect kar rahe the..
suggestions ke naam par dabi awaaz me bas mazak hi kar rahe the woh teeno jiski wajah se un teeno ka scene kaafi clear tha...
NITS-aaj gyan de dekar gandiya hi fat jaani hai apne loundo ki..
SONU-sschool hhour kkhatm hhone ttak bbaal hhi kkhade hho jjaane hhain SAM ke...
MAI-photo le liyo phir...chudi hui shakal ko capture karne ka maza hi kuch aur hai...
SAM-NIT,SONU SANVY...thoda help kar do bhaiiiii..
MAI-ye saala bol bhai raha hai par sunayi bhosdike kyun de raha hai mujhe..!!!
hume ghur jab halki dabi par gurrati awaaz me bulaya SAM ne toh kahi maine ye baat jispar haste hue..
NITS-ab public place me bhosdike ka synonym bhai hi hoga naa...
MAI-ye bhi hai...nahi gaye toh baad me bohot pelega harami,chalna chahiye bhai...
SONU-kkaun ssa waalla bbhai..assli waalla yya ssynonym wwala...
MAI-asli me synonym waala...
NITS-hahaha..ye naya laaya launde...
SAM-guyzzzz...
ek baar phir hume dekh gurraya tha SAM jiske baad turant uthe hum teeno aur uski taraf chal pade..
unke just peeche ki bench me baithe loundon ko apni seats par bhej diya tha humne...
BHAIYA,MERE NAA PAIR BHALE HI CHOTE HAIN PAR DISPLACEMENT TIMING KAAFI TEZ HAIN DONO KE BEECH KI..
TOH KYA 100 METRE ME PARTICIPATE KARNA CHAAHIYE MUJHE..!!!???
BHAIYA,PICHLE SAAL KE GARBA ME 30 MINUTES KE CONTINOUS BEAT PAR PURA NAACHA THA MAI..
TOH KYA 800 AUR 1500 MTS ME PARTICIPATE KARNA CHAHIYE MUJHE...
SAM se aise aise antarngi sawal puch rahe the sabhi ladke jisse sun has pade mai,NITS aur SONU jispar piche palath ghura hume SAM ne..
madad bhi dhamka kar maang raha tha..chutiya saala...
MAI-taara vina shyam mane eklaadu laage toh bajega nahi tere doudte waqt ki usme khoye khoye bhaagega tu....
LADKA 2-kya SANVY bhaiya...!!!
MAI-abbe kya kya...!!!! kis chiz me ache ho tum,ye koi advice lene waali chiz hai...???
ye toh tum sab hi jaanoge naa...apne apne events select karne ke baad un particular sports me excel karne ka tarika puchoge,tab hi toh ye sahi advice de paayega...
aise confused state me rahoge toh kahin nahi pahunchna tum sabko...
clear your heads,sochon apne strong sports ke baare me,likhon unhe chits par aur pakdao isse..
aur jab un sports ki practice shuru karoge tab puch lena SAM se, routine kaise set karna hai..!!!
baat meri ek baar me ghus gayi thi un sabhi loundon ke magaj me isiliye aage koi sawal nahi kiya unhone aur chupchap apne apne chit fill kar SAM, EKPREET aur RAJAT ko pakdane lage..
DUBEY SIR-yahi toh keh raha tha mai..kabhi maha murkh,kabhi atti vidhwaan...
meri baat suni thi sir ne isiliye muskurakar dheere se apni pratikriya dene ke baad wapas book me nazar gada li thi unhone...
SAM-saala mai kabse samjha raha tha par faaltu logics diye hi jaa rahe the sab ke sab aur teri baat ek baar me samajh gaye ye..
MAI-clearly samjhayega toh sab samajhte hain beta...
ab tumhe hai lime light me rehne ka shouk aur khass kar tab jab baaju me ROHAN jaisa competitor baitha ho...
jab dil bheed maang raha ho tera toh zubaan imaandari se bhagaye kaise logon ko...!!!
SAM-chup be.. kuch bhi bolta hai....bheed ke liye chit ikkatha karne ki zaroorat kabse padh gayi mujhe...
field me utarne bhar ki der hai,pura DEHRADUN ikattha ho jaana hai...
MAI-true...
halka hi sahi par ghamand tha SAM ki baat me par jab maine saralta se "true" kaha toh halka sa hadbada gaya woh aur turant saamne dekh CHITS collect karne laga..
EKPREET aur RAJAT ke saath ab NITS,SONU bhi same kaam kar rahe the..
wahin mai un sabke saath bas bakarchodi kar raha tha jispar kabhi haste woh sab toh kabhi bakne lagte the mujhe..
par in sabke beech guzarte waqt ke saath ROHAN and party ke paas se students ki bheed khatm ho chuki thi lekin SAM ke aage ab bhi kaafi students khade the..
waise toh kaam pura hona sabko acha lagta hai par yahan maamla ulta tha..
bheed popularity ka symbol tha jisme clear winner tha SAM aur isiliye hamari taraf khundak se dekh rahe the ROHAN,AJAY aur AMIT....
AMIT-ROHAN bhai....is baar is saale SAM se CHAMPION ka khitaab chhinana hi hai tujhe...
AJAY-haan yaar..bhale iska intazam school se bahar hi kyun na karna pada hume....
AMIT-abbe intazam toh ab tak 100 se zyada baar kar chuke hote bas agar ye SANVY naam ki diwaar beech me nahi hoti toh...
behenchod ki aise maamlon me haath pair se zyada buddhi chalti hai...
har baar beech me dhamak padta hai kamina aur saare plan ki maa chod deta hai...
saala karen bhi toh kya karen...!!!
ROHAN-is baar hume kuch karne ki zaroorat hi nahi padne waali...!!!
hum sabko dekhte hue ek negetive smile se saath kahi thi ye baat ROHAN ne..
AJAY-matlab...!!!
ROHAN-hone do kaand...sab samajh jaaoge...
abhi ke liye bas itna jaan lo ki...
bohot jald mukammal mera IRAADA HOGA....
khud se jo kiya tha maine,ab woh pura VAADA HOGA....
chot hamare sharir par bohot pahunchayi hai in sabne magar...
meri maar ka asar in sab par, hume mile dard se kahin ZYADA HOGA....
AAJ KE LIYE ITNA HI....
AAPKA APNA V....J....