• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Suryaa

सुन, हमसे कायदे में रहोंगे, तो फायदे में रहोगे😎।
Banned
3,821
5,379
143
Chill brother
Y Devansh k bhash ki nahi hai
Vo Gandu hai
Phalie Veronica k pati nai
Devansh ki maari thi
Ab
Sanvy maarega
Jo banda
Apne friends
K liye Rohan ki na jaane kitne baar sutai kar sakta hai
Uski maa se panga
...
Mai to use time ka intezaar kar raha hu
Jab Sanvy
Devansh aur Rohan ki ek saath gaand marega
Baap aur beta dono chahihe jetni gaand matka le
...
Sanvy phaade kar rakh dega
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
40,328
189
Chill brother
Y Devansh k bhash ki nahi hai
Vo Gandu hai
Phalie Veronica k pati nai
Devansh ki maari thi
Ab
Sanvy maarega
Jo banda
Apne friends
K liye Rohan ki na jaane kitne baar sutai kar sakta hai
Uski maa se panga
...
Mai to use time ka intezaar kar raha hu
Jab Sanvy
Devansh aur Rohan ki ek saath gaand marega
Baap aur beta dono chahihe jetni gaand matka le
...
Sanvy phaade kar rakh dega
hahaha.. dekhte hain..waise agla update MEGA hai...
 

Suryaa

सुन, हमसे कायदे में रहोंगे, तो फायदे में रहोगे😎।
Banned
3,821
5,379
143

Rudrathakur

Active Member
586
3,384
123
To sirius me sports meet shuru hone wali h kuchh hi waqt me aur uski preparation bhi bdi dhumdhaam se chal rhi h aur usme participate krne wale bhi senkdo ki tadad me h isi ko dekh kr pta chal jata h ki ye event kitna tgda hone wala h...aur media ki involvement bhi bahut jyada rhne wali h isme to jo achha perform krega uska naam sirf sirius aur dehradoon me hi nhi iske bhi bahar tak failne wala h... Aur popularity ke mamle me sam ne yaha bhi rohan ko pacchhad diya...wahi sanvy ki baat bhi sach hi h log sirat se jyada surat pr hi marte h...waise bhi surat wo cheez h jo hme ek dm se aakarshit krti h aur sirat uske liye hme us insaan ko samajhna padta h jisme waqt to lgta hi h aur logbaag itna waqt jaya krne se parhej hi krte h tabhi to unka kat jata h😂😂😂😂😂😂😂🙉
Wahi hmesha ki trha dubey sir aur sanvy ke beech ki conversation mst hi rhti h😂😂😂
aur aaj pardafaas ho hi gya ki aakhir harish ka baap kon h jisne usko veronica ki tabahi ke kaam pr lagaya h..aur wo nikal rohan aur uska baap devansh....rohan to sanvy se thukta hi rhta h wahi devansh bhi apni achhi khasi pant utarwa chuka h veronica, saneel aur sanvy se to dono baap beto ne milkr ye plan bnaya hoga aur lga diya harish ko kaam pr sayd phle se hi jaan pehchan hogi devansh aur harish ki aur isi karan harish ka transfer bhi yhi hua...aur ab tk jo bhi harish ne kiya aur aaj ka jo incident hua usko dekhkr to lgta h ki harish veronica ko ab kabhi bhi hasil kr skta h wo bhi usi ki.marzi se par background ki sachai kuchh aur bhi ho skti h...waise bhi itni kareebi ek aadmi aur aurat me hone pr behkna aasan sa ho jata h control krna mushkil hota h... Aur usi cheez ko harish ne veronica ki hari jhandi samjh liya ...agr itne kareeb aane se veronica mil jaati to aaj tak kitne hi log usko use kr chuke hote...ab wo koi aisa aurat bhi nhi h ki uske kreeb pahuch jao aur usme se ek dam hawas ka sailab uth jayega...khair dekhte h kya hota h aage wo to waqt hi btayega pr agr ye plan successful ho gya to veronica puri trha se tabah to ho hi gyi...aur sanvy ko bhi ye samaj chain se baithne to dega nhi...itna bhi h...
khair ye to waqt hi btayega ki kya hota h kyuki ye dono wo shakshiyat h jinke baare me andaza lgana bahut hi jyada mushkil h...
wahi security guard junaid ek sachha insaan h jo kisi aurat ki ijjat ko bakhubi samjhta h aur agr koi kisi aurat ko apsabd bole to unko sabak sikhana bhi usko aata h aur agr wo aurat ya insaan ne aapke sath kuchh achha kiya h aur aap usko bahut mante h to uske baare me aise kuvachan sunna to bardast hi nhi kr skta aur usi ka natiza tha aaj junaid ne na srf galiyaan di balki un dono gaurds ko thik se pelne ke baad alert bhi kr diya ki agr aage se aisa kuchh hua to unki khair nhi...👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏🗡🗡to ab intzaar h hmko agle update ka brother ftaak post kr dijiye bsss😍😍
 

Ayush2017

Natural beauty is real beauty
6,132
17,036
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA AUR HARISH TEENO INVESTMENT PLANS KE UPAR KAAM KARNA SHURU KAR CHUKE HAN WAHIN DUSRI TARAF PRINCIPAL RANJANA MATTHEWS UNKE SAWAL PAR RAAZ KE NOTE DOWN KIYE JAWAB SE KAAFI IMPRESS HO JAATI HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-25


CITY-DEHRADUN

PLACE-B.O.B BRANCH

DATE-1ST AUGUST




SANVEER AHARYA....WOW, IT'S A STRONG NAME...


apni coffee ka sip lete hue di thi apni raay HARISH ne VERONICA ko..

morning se lagatar un teen plans par continously work karte rehne ke baad mind fresh karne HARISH aur VERONICA bank ke baaju me hi bane coffee house me coffee peene pahunche the..

ab woh dono sirf job associates hi nahi balki dost bhi the isiliye informal baatein bhi common thi unke beech..

par is ek mahine me indirectly ghuma phirakar bas VERONICA ke likes aur dislikes hi pata kiye the HARISH ne...

waise toh VERONICA ab bhi thodi reserved hi rehti thi par phir bhi thoda bohot hi sahi,uske baare me jaanane laga tha HARISH...

aur zyadatar VERONICA ki har pasand aur napasand waali baaton me kahin na kahin woh apne bete SANVY ka zikr kar hi deti thi..

ab SANVY toh pet name hi ho sakta hai isiliye abhi jab HARISH ne SANVY ke full name ka pucha toh bataya VERONICA ne jispar uski pratikriya par muskurate hue...


VERONICA-with an even stronger character...

HARISH-woh toh hoga hi..aakhir tumhara jo beta hai...waise kaun se school me padhta hai tumhara beta...???

VERONICA-SIRIUS INTERNATIONAL SCHOOL...

HARISH-really.. wow..jahan tak mujhe pata hai,SIRIUS toh yahan dehradun ka, infact pure uttarakhand ka sabse bada school hai aur utna hi reputative bhi..

VERONICA-haan...

HARISH-study aur acadamics me toh kaafi strong hoga tumhara beta ya phir he is into sports...!!!

VERONICA-aisa kuch nahi hai..he is an average student...

HARISH-what..!!!par ye kaise possible hai...??i mean mom itni talented aur beta average...


HARISH ki baat par bas smile karte hue kandhe uchka diye VERONICA ne jispar..


HARISH-phir toh kaafi strict rehti hongi aap uspar...!!!

VERONICA-kisliye..kyunki woh ek average student hai..mujhe fark nahi padhta is baat se..

percentage acha ho naa ho, character acha hona chahiye jo mere bete ka hai..he is one of a kind...

naa koi GALATH sangati hai uski aur naa aaj kal ke teenagers ki tarah GALATH shouk..aur mere liye itna hi kaafi hai..

HARISH-ye bhi hai..but uska acha character bhi tumhari hi toh den hain...

VERONICA-zyada taarif nahi kar rahe aaj kal tum meri...

HARISH-arre...ab jo hai so hai...your son is lucky to have a mother like you...

but ek problem khud hi khadi kar di hai tumne apne bete ke saamne...!!!

VERONICA-problem khadi kar di...maine..!!!woh kya...???

HARISH-ab jab bada hoga tumhara beta aur shadi ke liye ladki dekhega toh mujhe nahi lagta ki koi bhi girl pasand aayegi usse..??

VERONICA-kyun nahi aayegi..???

HARISH-tumhari wajah se..i mean woh daily tum jaisi khubsoorat shaksiyat ko saamne se dekhta hai toh aise me khubsoorati ka jo parameter uske dimag me hoga, woh toh shuru hi tumse hota hoga..

aise me tumse kam beautiful face toh pasand aayegi nahi usse par tumse zyada chhodo, tumhare aas paas ki bhi koi ladki milne se rahi usse..

HAHAHAHAHA.....


HARISH ke is indirect complement ko sun halke zor se hasi VERONICA jiske baad...


VERONICA-kuch bhi matlab...mere jaisi kya,mujhse behtar milegi mere bete ko..

aur woh sab chhodiye,MR HARISH,bhul rahe hain aap ki friends hain hum..aur friends se yun flirt nahi kiya jaata..

HARISH-GALATH... agar flirt healthy ho toh sabse zyada friends se hi karna chahiye...

VERONICA-baatein banana chhodiye aur coffee complete kijiye... thandi ho rahi hai...nikalna bhi hai phir..waise bhi thoda late ho gaya hai aaj..

SANVY wait kar raha hoga..

HARISH-arre itni jaldi bhi kya hai..!!5.30 hi toh hue hain...and your son is a grown up boy...aur badhte bacche apni hi duniya me mast rehte hain...

VERONICA-mere bacche ka defination nahi hai ye statement...

HARISH-really...

VERONICA-really...chalen...


baaton baaton ne HARISH ne bhi apni coffee khatm kar ki thi isiliye table par coffees ka bill with tip rakhte hue VERONICA uth khadi hui thi aur ye dekh..


HARISH-zaroor jaayenge par pehle ye rakh lo wapas...bill mai de raha hun...


VERONICA ke table par rakhe paise wapas uske haathon me thamate aur issi bahane uske haathon ko halka press ke saath touch karte hue kahi ye baat HARISH ne jispar...


VERONICA-arre,ye kya....

HARISH-relax..out of courtesy nahi balki out of better investment de raha hun mai bill...

VERONICA-aur woh kaise...???

HARISH-simple...coffee bill bhi koi bill hota hai.. isiliye isse mai de raha hun..

aur tum,agar kabhi mujhe lunch ya dinner karwane ka man ho toh us waqt bill tum de dena...


indirectly lunch aur dinner ka puch liya tha HARISH ne VERONICA ko jispar halke se hasi woh aur..


VERONICA-waah,200 ko coffee hai aur lunch 2000 ka hoga..

1800 ka interest kuch zyada nahi hai...

HARISH-ab dosti ki hai toh itna toh karna hi padega par tention na lo tum..

B.M hun toh easy installments service de hi sakta hun..

e.m.i karwa lenge..ab toh khush...

HAHAHAHAHA..


jahan HARISH ke sense of humour par haste hue sir ki shake kar aage badh gayi VERONICA wahin usse piche se checkout karte hue HARISH bhi uske piche ho liya...

bank ki bike parking aage thi aur car ki piche...coffee shop se nikal bank parameters ke andar jaane ke baad ek dusre ko bye bol VERONICA bike parking me apni scooty ki taraf aur HARISH pichli parking me apne car ki taraf badh chale the...


VERONICA-shit...ab ye kya ho gaya...???


apne hand bag ko seat ke andar rakhne ke baad jab scooty par baithne ko hui VERONICA tab unki nazar padi saamne ke tyre par joki puncture hua pada tha..

HARISH-kya hua,abhi tak gayi nahi tum...???


kahin phone laga hi rahi thi VERONICA ki tabhi unke baaju me aakar ruki swift dzire ke kaanch ko neeche kar pucha ye sawal HARISH ne aur phir turant apni car se utar VERONICA ke paas chal pada...


VERONICA-ye tyre puncture ho gayi...

HARISH-oh,bad luck.. commercial zone hai ye..puncture shop toh yahan aas paas hai hi nahi...

VERONICA-i know...mai SANVY ko bol deti hun..woh le aayega kisiko isse banane..

HARISH-arre kahan bacche ko pareshan kar rahi ho...mai guard ko bol deta hun..

woh ye puncture theek kar scooty tumhare ghar chhod dega...and for you, driver toh aapke saamne hi hai..

mai drop kar deta hun tumhe tumhare ghar..

VERONICA-arre nahi nahi..iski zaroorat nahi hai..i will manage...tumhe bhi toh ghar ke liye late ho raha hoga...

HARISH-mujhe koi late nahi ho raha..aur manage kyun karogi tum..mai hun naa..after all..what are friends for...

guard.... idhar aao...


bank main entrance ka bada sa shutter girane ke baad apne manager aur field officer ko door se dekh wahin khada tha ek gaurd jo HARISH ki awaaz sunte hi lapka uski taraf..


GUARD-jee sir...!!!

HARISH-madam ka ghar dekha hai...!!!

GUARD-jee..

HARISH-ye inki scooty ka tyre puncture ho gaya hai..isse banwa kar inke ghar chhod doge..!!!baaki bacha rakh lena..


500 ka ek note nikaal us guard ke haath me thamate hue kahi ye baat HARISH ne...


VERONICA-arre itna zyada dene ki kya zaroorat hai...???


50 ke andar puncture ban jaana tha..450 alag se dena sahi nahi laga tha VERONICA ko..


HARISH-bilkuk zaroorat hai...out of bank, hamare employee nahi hain ye..aise me itna benefit toh milna hi chahiye...

ab ye sab chhodo aur bina if aur but ke baithiye is gareeb ki car me...


passenger door ko kholte hue bade adab se sir halka jhukakar kahi ye baat HARISH ne jispar smile karte hue apni scooty ki chaabi us guard ko dekar car me baith gayi VERONICA...

DHABBBB...

VERONICA ke baithne ke baad door band kar ek vijayi smile face par odhte hue dekha HARISH ne us guard ko jisne bhi muskurate hue halka sa thumps up kiya usse..

REASON...

lunch hours ke baad VERONICA ki scooty ko puncture ussi guard se karwaya tha HARISH ne taaki bank hours ke baad lift dene ke bahane kuch der aur woh uske saath reh sake aur saath hi saath bina bulaye hi sahi,VERONICA ke ghar pahunch jaaye woh...


IN CAR:-


VERONICA-hello..haan theek hai..de do...

RADHASWAMI NAGAR me ghar hai mera...GLOBE CHOWK se right...

HARISH-aur right ke baad central venue building waale round about se left...

akashwaani tower ke baaju se phir right aur aa gaya tumhara RADHASWAMI NAGAR...

jaanta hun mai us colony ke baare me...


kisi ko phone me apni sanshipt baat bol call hangup karne ke baad jab VERONICA ne apna adress batana chaha toh us baat ko beech me hi kaat usse khud pura karte hue apni car right ki taraf turn ki HARISH ne jispar....


VERONICA-arre,yahan kahan mod rahe ho...GLOBE CHOWK toh straight aage tha...

HARISH-pata hai..par shayad tumhe ye nahi pata ki aaj dopahar se hi kisi demand ko pura karne ke liye logon ne us chowk ko pura block kar diya hai aur dharne me baithe hain...

ab udhar se bike nahi nikal sakti toh meri car kahan se niklegi...!!!

VERONICA-oh....

HARISH-fikr mat karo..ek reputated bank manager ke saath ho tum..kidnap nahi karunga tumhe mai...

VERONICA-hahahaha...pata hai..par agar tum kidnapper hote bhi toh fark nahi padta mujhe...

HARISH-acha.. aisa kyun...???

VERONICA-kyunki kidnapping ka matlab hota hai kisi ko chupke se agwa karke le jaana par mere maamle me aisa hoga hi nahi...

HARISH-kyun nahi hoga...???

VERONICA-SANVY...

HARISH-SANVY.. tumhara beta..uska kya lena dena is baat se...

VERONICA-pura ghar hi drop kar rahe ho tum mujhe yaa chowk par hi chhod doge..??

HARISH-ye kya baat hui..?? ofcourse ghar hi drop karunga...

VERONICA-toh khud dekh lena...


ek smile ke saath kahi VERONICA ne ye baat jisse dekh man me..


HARISH-ye toh aise react kar rahi hai jaise koi top hai iska ladka..school going student hi toh hai..

haan,nayi nayi jawani ka khoon hoga toh garam hona laazmi hai par agar zyada ubaal maara toh kar denge usse bhi thanda...


man man hi khudse ye sab bolne ke baad ek aur right liya HARISH ne par is baar VERONICA ne usse toka nahi..

darasal globe chowk se hokar hi bina ghume jaaya ja sakta tha RADHA SWAMI NAGAR..

par agar koi bhi aur route pakda jaaye toh GLOBE CHOWK ke peeche se pura ghumte hue nikalna padta tha jisme waqt kaafi lagta tha..

VERONICA ko pata tha woh pura ghumavdaar route isiliye kuch kaha nahi usne..


HARISH-so, normally sundays ko kya karti ho tum..???apne bete ke saath hi time spend karti ho ya kuch friends bhi hain jinke saath hang out karti ho...

VERONICA-friends hain hi nahi yahan mere...haan kuch pehchaan ke log hain jinke ghar kabhi kabhar aana jaana hota rehta hai..

aur rahi sundays as in holiday ki baat toh woh mujhe bas apne bete ke saath spend karna hi acha lagta hai...

work load aur uske upar continous site tours ki wajah se waqt zyada milta nahi mujhe uske saath isiliye jitna bhi spare time milta hai,usme i like to be with my son..


HARISH-matlab social life zero hai tumhari..

phir itni beautiful hone ka kya matlab hua bhala...!!!

VERONICA-hahahaha..tumhe maalum hai naa ki ye beautiful waala compliment aaj do baar de chuke ho tum...

HARISH-ab jo sach hai so hai..usse ek baar kya hazar baar bolne me bhi kaisi burayi basharte tumhe bura naa laga ho..laga kya..???


VERONICA ki taraf dekhte hue puchi ye baat HARISH ne jispar muskurate hue..


VERONICA-khubsoort shabd koi gaali toh hai nahi ki buri lage.. anyways,ek baat batao,is duniya me sabse khubsurat kya hai...???

HARISH-ye kaisa sawal hua..??itni saari beautiful chizen hain duniya me aise me kisi ek cheez ko sabse upar kaise rakhen..???

VERONICA-bilkul rakh sakte hain...!!!!agar woh chiz nature ho..

nature se khubsurat kuch nahi.. par kya kabhi nature ko apni khubsoorati ka bakhaan karne ke liye shor ke beech khudko adjust karte dekha hai..!!!

nahi naa..kyunki jahan shor hota hai,wahan sabkuch mil sakta hai bas nature nahi...

nazaare wahi sukoon deh aur khubsoorat hote hain jahan shaanti ho,sukoon ho,akelapan hone ke baawjud santushti ho...

apne bete ke saath mujhe wahi sukoon milta hai...chhutiyon me jab saath hote hain toh zyada baatein nahi karte hum..

camping karne hill side ya lake point par jaate hain hum dono..

aur woh bhi meri scooty me...

charcoal waali sigdi le jaate hain saath hum jisme woh wahan mere liye lunch bana deta hai aur mai jab woh ektak nature ko dekhte baitha rehta hai,uske sir ki maalish kar deti hun...

baal halke bade rakhta hai woh jispar alag alag tarah ke hair styles try karti hun mai aur mere waisa karne me mooh ban jaata hai uska..

chidhne ki acting bhi karta hai.. acting isiliye kyunki mana nahi karta kabhi..

aise hi ul julool par shaant aur sukoon bhare palon me kab woh holiday khatm ho jaata hai,pata hi nahi chalta..

prakriti ki us khaamosh khubsoorat godh me hum maa bete khud me magan apni life ka best day enjoy karte hain...

ab isse meri khubsoorati zaaya hoti hai ya nahi,ye toh nahi jaanti mai par haan,woh pura din mera zaroor khubsoorat ban jaata hai aur mere liye wahi kaafi hai...


dhyan se sun rahe VERONICA ki baaton se ab kahin na kahin HARISH SANVY se bina mile hi jalne laga tha..

maa aur bete ke is unheard bonding se usse man hi man taklif hone lagi thi..

uska plan VERONICA ko apne rang me rangna tha par uski duniya me uske bete ki ehmiyat itni zyada thi jo khatak rahi thi usse...

khair,in sabke baawjud dheeth toh tha hi HARISH isiliye indirectly alag alag tarah se healthy flirt karte hue gaadi ausat gati se bhi behadh dheeme chala is drive ko jitna ho sake lamba karne me laga hua tha woh...





OUTSIDE SANEEL'S RESIDENCE:-




HARISH-so,this is your house..nice....


lagbhag aadhe dehradun ka gol chakkar lagate hue lagbhag aadhe ghante baad HARISH ki car finally VERONICA ke ghar ke saamne khadi hui..


VERONICA-yes.. that's my house and more importantly, that's my son...aaiye,milwati hun...


bahar chabutare par hi baitha tha mai jispar muskurakar kahi thi ye baat MAA ne..

wahin apni taraf ka door khol mujhe dekhte hue HARISH bhi badha meri taraf...

ek dubla patla sa aur bhola sa dikhne waala ladka..aakarshak chehra par patle hone ki wajah se woh aakarshan khul ke saamne nahi aa raha...

mujhe dekh mere personality ka aakalan nikalte hue man hi man..


HARISH-ye hai VERONICA ka angrakshak...!!!!chaar thappad me hi behosh ho jaana hai isse toh...


man hi man hasta hua MAA ke piche piche mere pass pahunch chuka tha HARISH jiske baad...


VERONICA-HARISH,meet my son..SANVY...aur SANVY ye hain...

HARISH-mera intro mai hi de deta hun...hie SANVY,myself HARISH KHATRI...


haath meri taraf badhate hue apna intro diya tha HARISH ne jispar halki si smile naach uthi thi mere face par..


REASON..


woh tarika jisse haath aage badhaya tha usne.. sidha nahi tha uske haathon ka line balki usse tedha kar jis wajah se hatheli neeche ki taraf ho gayi thi,rakha tha usne apna haath...

jiska matlab tha ki mujhe usse haath milane ke liye apna haath uske haath ke neeche rakhna padega..

darasal aise haath milana asal me saamne waale ke liye ek message hota hai....message saamne waale par apni superiority dikhane ka...

apni dhaak samjhane ka..isiliye hi smile di thi maine par phir jaisa HARISH chahta tha waisa hi kiya maine..


MAI-SANVEER AHARYA...


neeche se uske hatheli ko pakad apna pura naam bata hand shake kiya maine jispar smile karte hue garmjoshi se mere haath ko apni hatheli me grab sa kar halka zor laga hilate hue...


HARISH-kaafi suna hai tumhari mom se tumhare baare me maine...

bohot lucky ho tum..you have a very loving and caring mother..

MAI-i know...

HARISH-waise tumhari mom bata rahi thi ki bete ke saath saath bodyguard bhi ho tum inke...

VERONICA-woh toh hai ye..aur woh bhi without salary...


hamesha ki tarah mere gaal ko bigaad haste hue kahi thi ye baat MAA ne jispar..


HARISH-well i can feel that.. kaafi strong grip hai tumhare bete ka...

par ek chuk ho gayi aaj...


mera haath jisse abhi bhi waise hi neech rakh thaama hua tha,usse ek baar phirse shake kar usse chhodte hue kahi thi ye baat HARISH ne jisse sun..


VERONICA-kaisi chuk...???

HARISH-arre wahi.. puncture ho gayi thi tumhari scooty aur akeli hi thi tum.. woh toh acha hua ki...

MAI-ye scooty...


us HARISH ki baat beech me kaat apne dusre haath se ghar ki taraf ishara kiya maine jahan dekh mom toh normal hi rahi par HARISH ki aankhein badi ho gayi..

hamari hi scooty rakhi thi ghar ke side me jispar ab se pehle dhyan nahi gaya tha HARISH ka..

OM THAKUR..issi colony se mera ek friend jo laaya tha scooty bank se,mom ko smile de aur mujhe bye bol woh apne ghar ki taraf badh chuka tha..

khair,kuch seconds shock se scooty ko dekh...


HARISH-ye yahan kaise...???ye toh bank ke saamne puncture hokar khadi thi...

MAI-puncture nahi thi ye..bas hawa nikal gaya tha.. puncture hoti toh puri hawa nikal chuki hoti par kuch air points baaki the isme...

HARISH-aur ye tumhe kaise maalum...???

MAI-aapne hi toh kaha naa ki bodyguard hoon mai MAA ka..ab bodyguard toh apni duty karega hi...

HAHAHAHA...


meri baat par mom toh has di par aakhon me sawal liye HARISH mujhe hi dekh raha tha isiliye...


VERONICA-arre daily 5.15 tak ghar pahunch jaati hun mai...par agar 5 minute bhi upar hua toh ye nikal jaata hai bank ki taraf..

MAI-coffee house me baithe the aap dono isiliye MAA ki scooty ke paas hi khada ho gaya tha mai apne friend ke saath..

VERONICA-tune dekha jab mujhe coffee shop me toh andar kyun nahi aaya...???

MAI-relaxed mood me aakhri baar kab gayi thi aap coffee shop..???3 saal pehle...

isiliye socha scooty ke paas hi wait kar leta hun...


meri baat sun sir shake kiya MAA ne wahin apni baat ko aage badhate hue...


MAI-scooty ke pass pahunchte pahunchte nazar gayi meri uske front tyre par jiski hawa nikli hui thi toh mai aur OM gaye air filling machine lene...

wapas loute toh aap dono car se nikal hi rahe the...

air fill kiya aur guard se call karwa confirmation liya ki scooty le jaa raha hun mai aur nikal gaya...

(NOTE:-ussi guard se baat kar rahi thi VERONICA car me baiththe ke just baad)


VERONICA-aage ki baat mai batati hun...OM ko bol scooty uske haath hi bhijwa di tune yahan aur khud uski bike par hamare piche aane laga...

HARISH-really...???


MAA ki baat sun hairangi se bhar mujhe dekhne laga HARISH..

"kyunki kidnapping ka matlab hota hai kisi ko chupke se agwa karke le jaana par mere maamle me aisa hoga hi nahi..

REASON...SANVY"...


man me HARISH ke is waqt MAA ki kahi mere baare me ye baat ghum rahi thi...


MAI-waise itna ghum kar kyun aaye aap dono...???

VERONICA-woh GLOBE CHOWK me koi dharna tha kya jisse pura raasta jaam ho gaya tha.. isiliye pura ghum kar aana pada hume...

MAI-really..par GLOBE CHOWK toh khaali tha...

HARISH-wwoh dopahar me tha wahan dharna toh mujhe laga abhi bhi chaalu hoga..

ab aise me us taraf se jaane ka risk nahi liya maine...

halka hadbada gaya tha HARISH par kisi tarah khudko normal rakh apni baat boli usne jispar..


MAI-anyways thanks sir MAA ko drop karne ke liye...

HARISH-ahh...don't mention it...ok then,chalta hun mai...see you tomorrow in bank...

VERONICA-ok..bye...


ek formal smile MAA ko dene ke baad HARISH apni car ki taraf mood gaya..

mai bhi ek sea off gesture ke liye uske saath ho liya..

car ke paas pahunch driving door khol meri taraf mooda HARISH jispar...


MAI-waise GLOBE CHOWK me dharna dopahar ko bhi nahi tha..mai nikla tha us waqt wahan se...

kisi ne GALATH info di thi aapko...


meri baat sun man hi man kuch zyada hi hadbada gaya tha HARISH jispar baad smile karte hue..


MAI-anyways,it was nice to meet you sir..


haath aage badhate hue kahi ye baat maine jisse nervousness me turant hold kiya HARISH ne par tabhi meri smile jo thodi aur badh gayi thi,usse dekh nazar uski hamare mile hue haathon par gayi jiske baad man hi man jhunjhla gaya woh...


REASON...

is baar mera haath upar tha aur uska neeche...

power se twist kar apne hatheli ko ghumate hue straight karne ki koshish ki usne par kar nahi paaya woh...


MAI-bye sir...


muskurate hue sea off kiya maine usse aur uska haath chhod apne ghar ki taraf badh gaya mai.

wahin apni kalayi ko ghumate hue mujhe jaata hue dekhta raha HARISH aur...


HARISH-saala hai kya ye chiz...!!! behenchod,tez bhi hai aur dum bhi hai.. beta HARISH,jo bhi karna hai,is saale se bach ke karna hoga verna...




pata nahi saala kab, kahan, kaun sa ganith LAGAYEGA....

us baadal ki tarah laga ye jo bin mousam hi mere upar CHAAYEGA....

isse door rehkar hi kareeb lana hoga iski MAA ko apne warna...

tamasha banaane nikle hain, apna hi tamasha ban JAAYEGA...











AAJ KE LIYE ITNA HI...











AAPKA APNA V...J...
Awesome update bro
 
Top