• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Punnu

Active Member
1,087
2,148
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA KO GOD KE RESURFACE HONE KI KHABAR MILTI HAI WAHIN DUSRI TARAF VAJRA BODHI SANVY KO EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA TECHNIQUES SIKHAANE KE LIYE MAAN JAATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-44

DATE-17TH JUNE

CITY-DEHRADUN

PLACE-BARE KNUCKLE

DHABBB..DHABBBB..DHABBBB....

aaj lagbhagh do mahino ke baad punching bags ko hit kar raha tha ROUNAK...

par aisa karte waqt uske right hand me ek sensation paida ho rahi thi jisse uthe halke par irritating pain ko zabt karte hue continous hit kar raha tha woh punching bag par...

ISSE ACHA HOTA KI TU HAWA ME HI HAATH GHUMA LETA..

DHANG SE PUNCHING BAG TOH HIL NAHI RAHA, KAMSEKAM HAWA KI TOH TERE NAAZUK HAATH RAASTA BADAL PAATE..

kharkhari awaaz me ek kataksh jo ROUNAK ke piche se ubhri thi,usse sun turant palta woh toh paaya ki safedh pathani me ek kareeb 40 ki umar ka kaafi hatta shaksh usse hi dekh raha tha...

gora rang aur kadh ki hi tarah lamba chehra jisme right gaal par ek cut ka nishan tha..

personality tagdi par sabse expressive aankhen jinme kaaiyanpan saaf dekha jaa sakta tha...

wahin dusri taraf ROUNAK tha jisse waise toh itni tagde bande ko dekh kar halka ghabra chahiye the par kadh kaathi ke maamle me kam toh woh bhi nahi tha..

upar se is waqt woh anjaan shaksh khada bhi ROUNAK ke area me tha but most importantly,us shaksh ke taunt ne us taar ko chhed diya tha jisse khud ROUNAK bhi jhunjhlaya hua tha...

lagbhag 2 mahine pehle SANVY ne jo uska haath toda tha,us fracture se abhi abhi hi recover hua tha ROUNAK but puri tarah theek woh ab bhi nahi tha..

isiliye hi punching bag me uske hits ka power bhi kaafi kam tha..

ye drawback khud mehsoos kar raha tha woh jisse taunt me bol ghussa bhadka diya tha us unknown shaksh ne ROUNAK ka...

ROUNAK-kaun hai be tu...!!!!aur sabzi mandi samajha hai kya is jagah ko jo mooh uthaye ghus aaya idhar...

apne gloves nikaal side stall par rakhte hue us unknown shaksh ki taraf badh gaya tha ROUNAK..

DHADDDHHHHH...

tezi se chalte hue us unknown shaksh ke paas pahuncha hi tha ROUNAK ki tabhi ek tez punch pada uske mooh par..

kaan se aage aur gaal ke thida piche jo jabde waala hissa hota tha,wahan maara tha us shaksh ne apna punch..

punch itna zyada tagda tha ki ROUNAK jaisa tagda banda bhi lehrate hue turant zamin par gir chuka tha..

punch ke asar se jabdo ki haddi me ek bhayanak swelling aa chuki thi jiski wajah se ROUNAK ka mooh bhi dhang se khul nahi raha tha..

dard itna zyada hone laga tha usse ki us pain se aankhein bhi bhaari ho chuki thi ROUNAK ki..

wahin punch maar bade araam se ROUNAK ke theek saamne baith gaya woh anjaan shaksh aur..

UNKNOWN-aise maarte hain punch....padne ke asar se sharir me toh jaan barkarar ho par zindagi begaani si lagne lage..

AHHHHH...

ROUNAK ke face ko pakad apni taraf ghumaya tha us shaksh ne jispar jabde ki swelling se uth raha dard aur badh gaya tha ROUNAK ka..

ROUNAK-kkaaaaun hain aaaaaappp...

swelling aane ki wajah se bade mushkil aur ajeeb tarah se pucha tha ye sawal ROUNAK ne..

UNKNOWN-ab ye hui na baat...tu se sidhe aap...dekha,mukka padte hi tehzib bhi lout aayi teri...

ARIF....ARIF REZA naam hai mera...RASHID ka bada bhai hun mai...

jaise hi us unknown ne apna naam aur apni pehchaan batayi, aankhein badi hoti chali gayi ROUNAK ki..

ARIF REZA...jahan RASHID sirf uttarkhand,as in ek state me apni illigal dhandhon ke liye mashoor tha wahin ARIF REZA ka naam
goa,gujarat,maharashtra
,dadra and nager haveli
daman and diu.. matlab ki pure west india territories me gunjta tha...

extortion,money laundering and most importantly,human trafficking ka ek bohot bada naam tha ARIF REZA...

india ke most wanted gangsters me se ek tha ye isiliye apna saara kaam dubai se handle karta tha ARIF REZA...

2 mahine pehle jo uske bhai ke saath hua, uske baad ek pal bhi chain se nahi baith paaya tha woh but kyunki ye baat police bhi jaanti thi ki RASHID ki death ki khabar ko sun ARIF zaroor hindustan aayega, isiliye india ke har international airport aur port me checking badha di gayi thi...

yahi wajah thi ki ARIF ko rookna pada tha...2 hafte pehle hi pahuncha tha woh yahan par uske baad bhi safety measures lete hue khudko underground rakha tha usne..

aur ab jab uske logon ne uski safety confirm kar di toh tab jaakar nikla tha woh apne hide out se...

ARIF-pata hai na tujhe mai kyun aaya hun...!!! mere sources se mujhe pata chala hai ki mere bhai ke murder se pehle woh tujhse mila tha...

bina ghumaye ya pause liye puri kahani bata...

jaisa ARIF ne kaha, ROUNAK ne kiya.. apne suje jabde ke baawjud kisi tarah jo hua tha,puri ram kahani woh sunata chala gaya ARIF ko jisse sun kaafi hairan ho chuka tha ARIF..

ARIF-toh tu ye bol raha hai ki mere bhai ko uske saikdon aadmiyon ke saath ek school me padhne waale pille ne maar diya,woh bhi jaan se...

mukke ka asar dimag par chadh gaya hai kya be...!!!

ROUNAK-mai sach keh raha hun bhai...kaise kiya usne, khud kiya ya karwaya,ye nahi jaanta mai par RASHID bhai ki mout ke piche us ladke ka haath hi hai...

aaj bhi uske mujhse kahe woh aakhri shabd mooh zubani yaad hain mujhe...

"aage aaj jaisi koi harkat mat karna,aisi koi warning nahi dunga mai tujhe...jaanta hai kyun..!!!

naaa.ek hafte baad paper me khud hi padh lena...aur jo padhega,usse apne future me sochi kisi bhi atrangi plan ka anjaam samajh lena"...

yahi bola tha usne bhai...aur ek hafte ke baad paper me RASHID bhai ki death news chappi thi...

ROUNAK ki baat sun ARIF ka dimag hi ghum gaya tha joki laazmi bhi tha.

chota mota gunda toh tha nahi uska bhai..pure uttarakhand me jaana maana naam tha uska..

aise me ek school going student uske bhai ko uski gang ke saath nipta gaya...

ye baat hazam nahi ho rahi thi usse..but main baat ye thi ki mara toh tha uska bhai jiska kaaran woh school going ladka aur saath hi saath woh ladki bhi thi jiski hifazat woh lounda kar raha tha..

jaise hi ye baat click hui ARIF ke dimag me toh...

ARIF-us lounde ki aur us loundiya ki jisse bacha raha tha woh lounda, koi pic hai tere paas...!!!

ROUNAK-hai na bhai...

turant apna mobile nikal gallery me jaa sabse pehle ladki ki photo open kar ARIF ke saamne kar diya apna mobile usne..

wahin jaise hi us ladki ki tasvir aayi ARIF ke nazaron ke saamne,toh aankhein aur patloon dono hi chamak aur thanak gaye the uske..

mobile le liya aRIF ne ROUNAK ke haath se aur zoom kar photo me dikh rahi khubsoorati ki us bemisaal shakshiyat ko dekhne laga..

ARIF-mashallah....kya husn hai...is kacchi umr me bhi aisa noor...2,3 saalon me toh kohinoor bhi sasta bikega iske aage...

us photo ko live girl samajh uspar haath firaane laga tha ARIF..kuch pal yunhi karne ke baad dhyan apna hataya usne pic se aur..

ARIF-aur woh lounda...!!!

ROUNAK-ek baar scroll kijiye na bhai..agli photo ussiki hai..

ROUNAK ke bolte hi ek baar right swipe kiya ARIF ne aur uske aisa karte hi jis ladke ki pic uske aankhon ke saamne thi usse dekh ek baar phir hairan ho gaya tha woh...

ARIF-ye hai woh lounda..!!!!dimag toh kharab nahi ho gaya tera..!!!

ROUNAK-bhai shakal par mat jaao...jitna maasum dikh raha hai ye,chiz utni hi harami hai..

haath aur dimaag, dono hi bhayankar tez chalte hai iske...

ROUNAK ki baat sun kuch pal dekhta raha ARIF us ladke ke pic ko...

BHAI,NIKALNA CHAHIYE...

ye ARIF ka banda tha jo is buliding ke bahar casual hone ke bahane se pehra de raha tha..

koi police petrolling car nikli thi kuch seconds pehle idhar se isiliye turant andar aaya tha woh..

apne bande ki baat sun haan me sir hilaya ARIF ne aur...

ARIF-ye do pics hain...apne phone me le isse aur jitna isse pata hai,in dono ke baare me details le lena...

phir laga apne bando ko aur baaki ki puri janm kundali nikaal in dono ki...

BANDA-ho jaayega bhai..

apne bande ko instructions de bahar ki taraf nikal gaya ARIF par phir aadhe raaste me rook palta woh aur...

ARIF-naam kya bataya tha ladki ka...???

ROUNAK-DIMPLE bhai...DIMPLE BATRA...

ARIF-DIMPLE BATRA.....aur lounde ka...!!!

ROUNAK-SANVEER..SANVEER AHARYA...

DATE-18TH JUNE

PLACE-SIRIUS

YE BAITHA HAI KAMINA.. SAALE,AISA KAUN SA KAAM KAR RAHA THA PICHLE DO HAFTON SE KI APNE SAATH SAATH HAMARE BHI VACATIONS KE AAKHRI 14 DIN KHARAB KAR DIYE TUNE...

apna school bag mere upar fek bhadbhadate hue mere theek saamne aakar khada ho gaya tha NITS..

NITS ke saath mera pura group bhi tha jinhone kaha toh kuch tha nahi but aankhon me un sabke bhi wahi sawal tha..

ANI toh din bhar mere ghar me rehti thi but kyunki mujhse zyada waqt woh MAA ke saath guzaarti thi isiliye ek wahi thi jo chilled out thi...

pichle 14 dino me 144 baar alag alag bakchodi ke liye phone kiya tha in sabne mujhe par har baar taal diya tha maine.

aur jab bhi ghar aate toh soya pada milta tha mai..MAA ne bhi uthaane se mana kiya tha isiliye kuch kar nahi paate the kamine..

ab aise me frustration toh laazmi hi tha...

MAI-abbe zindagi ka asli maza sone me hai...wahi lutf uthaa raha tha..

DHABBBB.....

ek zor ka mukka mere kandhe me jama diya tha NITS ne..

NITS-dekha tha humne tera lutf...saala jab bhi tere ghar aaye hum,shakal se zyada tera hawa me utha hua pichwada hi dekha tha humne..

SONU-kkasam sse bbe...bbohot zzyada ledra hho ggaya hhai ttu..

NAISHA-par aaj janab sabse pehle school aa gaye...abhi toh essembly me bhi 5 minutes baaki hain..

SAM-wahi toh..if i am not mistaken,new session ke first day,kabhi time par school nahi aaya tha tu...

MAI-toh wasooli ho gayi naa aaj..har saal ka late kota aaj pura kar diya...

ab apni apni sadhi shakal ka tokra hatao be mere saamne se...

beta,ab peeta toh pel dunga..

ek baar phir maarne waala tha mujhe NITS par meri dhamki sun haath rook gaye uske..

NITS-darta hun kya be tere se..par tu bhi kya yaad karega,jaa,rehem kiya...

TRRRRRR...

NITS ki baat sun has diye baaki sab par tabhi baji essembly bell jiske baad hum sab uthkar the great hall ki taraf badh gaye..

naye session ke first 20 minutes essembly ke baad hum sab back to the class the..

as said,first day tha isiliye padhayi naa ke barabar ho rahi thi... first recess se pehle ke 3 period bakar karte hue kaise nikal gaye,pata hi nahi chala..

TRINNNNNN...

SONU-bhosdike...

recess ki bell baj chuki thi jiske baad NITS mahoday ne aisi angdayi li maano pichle 3 classes fully focused hokar kitaab me ghusa hua tha...

yahi dekh baki thi SONU ne gaali jispar NITS ke kaano me jun tak na rengi...

NITS-chalo bhai,canteen...14 din gayab raha tu lounde,bill tu hi dega...

DIMPLE-excuse me SANVY,can we talk...

MAI-we are talking...

DIMPLE-akele me..

NITS ki baat par mai kuch kehta ki tabhi new girl mere saamne aakar khadi ho chuki thi jiski baat sun kabhi mujhe toh kabhi usse dekhne lage the NITS aur SONU..

MAI-where...

DIMPLE-hall way...

MAI-sure...

jahan new girl aur uske piche mai aage badh gaya wahin hum dono ko saath saath jaate dekh NITS aur SONU ka shock badh chuka tha..

SONU-yye ddono kkab sse akkele cchhit cchat kkarne llage...

NITS-saala,ye 14 din DIMPLE ki fielding toh nahi kar raha tha...pata wata toh nahi liya bandi ko...

SONU-cchal bbe..kkuch bbhi bbolta hhai...aisa kkuch hhota ttoh bbatata nna SANVY appne kko...

NITS-aisa hi ho toh theek hai..nahi toh khub pelunga harami ko...

wahan NITS alag alag angles laga raha tha aur idhar...

DIMPLE-jo puchun,honestly jawab doge...!!!

MAI- diplomacy sikhi nahi abhi tak maine...

DIMPLE-

soch,aadat, vyaktitv...bhram hain ye shabd jinhe paida bhi dimaag ne kiya hai aur agar chaahe toh khatm bhi dimaag bade araam se kar sakta hai...

par uske liye bhi ek dridh aur sakaratmak soch ki zaroorat hai..aisi sakaratmak soch jo aadat ban jaaye aur phir woh aadat,vyaktitv...

us din monastery me VAJRA BODHI ji ke statement par ye kaha tha tumne...!!!!

kaise sujha tha tumhe ye jawab...???

wakayi curiosity ki ek next level student thi new girl.. do hafte pehle meri kahi gayi baat naa sirf word to word yaad thi usse balki mere thought process ke according uska matlab jaanane ke piche jo jigyasa dikh rahi thi uske face me,woh wakayi appreciative thi...

MAI-kyun..???kya GALATH tha mai...???

DIMPLE-on the contrary,pehli baar GALATH nahi the tum...

MAI-GALATH aur SAHI sirf perception hota hai...aur perception ek partial myth ki tarah hota hai..

DIMPLE-true..par jawab nahi diya tumne...kaise sujha tha tumhe woh jawab...!!!

MAI-mere spinal cord ko kisi ka bhi mujhe confront karna pasand nahi..

jab bhi aisa kuch hota,jawab wahi deta hai...us din bhi aisa hi hua tha..

VAJRA BODHI ji ka achanak aakar gyan dena acha nahi laga tha mere spinal cord ko aur isiliye mere reflexes jawab ke through bahar aaye...

DIMPLE-biological sense of humour.that was new....

MAI- creativity should be at its best..

DIMPLE-are you hurt...???

MAI-no..why do you thought so..??

DIMPLE-day ke start me jab NITS ne tumhare shoulders ko hit kiya tha,pain dikha tha tumhare face par..

......................................................................

LIFTING THE SKY TECHNIQUE IS TOUGH SON..VERY TOUGH...

50 kg ke us gigantic stone ko jab 10 second hold karne ke baad chhod diya tha maine toh kahi thi ye baat VAJRA BODHI ne mujhse...

LIFTING THE SKY...LOHAN HANDS ke defence ka ek aisa shaktishali move jisse bade se bada attack badi asaani se jhela jaa sakta hai..

waise toh MAA ne sikhaya hai mujhe is technique ko par itne heavy aur fast attacks ke saath nahi...

50 kgs ke stone, weight lift,super heavy wooden carts...ye sab rakhe nahi feke the mere upar SHIFU ne jisse kisi gend ki taraf asaani se lapakna tha mujhe...

yahi thi LIFTING THE SKY technique...apne pure sharir ki taakat ko apne dono kandhon ke beech laana taaki kisi bhi bhaar ko badi asaani se hold kiya jaa sake...

jo LIFTING THE SKY technique ko master kar lete hain,woh apne se 6 guna tak ke zyada bhaar ke bande ko bhi uthaate hue badi asaani se dhobi pachhad maar sakte hain..

aaj ek hafta ho gaya tha mujhe saare LOHAN HANDS ke offence aur defence hands ko practice karte hue par sabse zyada dikkat mujhe issi technique me aa rahi thi..

VAJRA BODHI-feel your core strength...apni reedh ki haddi ke andar behte khoon ke bahav ko mehsoos karo..

get all your body strength and more importantly your desperation power to your shoulders and show your grit...

HOLD...

badi asaani se us lagbhag 60 kg ke hard wooden cart ko uthaya VAJRA BODHI ne aur usse upar hawa me uchaalte hue meri taraf fek diya..

AHHHHHH...

kisi tarah catch toh kar liya maine usse par is process me mere dono shoulders ke GLENOHUMERAL LIGAMENTS misplace ho chuke the..

cart neeche giraate hue kisi toote haath waale bande ko tarah neeche gir chuka tha mai...

KDAKKKKK.....

asahaniya dard bardasht na kar paane ki wajah se behosh hone se pehle VAJRA BODHI ko apne dono dislocated shoulders ko ghumkar theek karte hue mehsoos kiya tha maine..

ligaments toh back to place wapas aa chuke the but pain,sujan,inka daur lamba chalne waala tha...

.........................................................................

MAI-gym start kiya hai..!!!wanna join...

DIMPLE-match nahi kar paaoge...

MAI-karna bhi nahi hai...waise bhi aasman kabhi apni lambai aur chowdayi napwata nahi...

aisa koi measuring tape bana hi nahi...

TRRRRRRR....

recess over ho chuka tha isiliye class ki taraf badh gaya mai...

wahin meri baat ka matlab samajh nahi paayi new girl aur isiliye...

DIMPLE-matlab...

MAI-matlab kuch nahi..suna tha kahin ye dialogue.. socha maar lun...

DIMPLE-idiot...

sir shake karte hue mere piche class ki taraf ho li thi new girl...

THE COUNCILING HALL:-

abbe,aaj hi toh session shuru hua hai aur pehle hi din SIRIUS ne koi event rakh liya..???

final period me peon ne humari class ko COUNCILING HALL me jaane ko kaha tha..

PRINCI'S ORDER...

on the way me pucha tha ye sawal NITS ne jispar...

SONU-ttujhe kyun llagta hhai ki kkoi event hhoga...???

NITS-abbe toh kya parents teachers meeting ke liye bulaya hai hume..iski maa ka...ye toh puri baarat idhar hai be..

COUNCILING HALL me ghusse hi the hum ki saamne ka nazara dekh hum sabhi hairan reh gaye the...

B section ke saath sabhi senior classes moujud thi is waqt HALL me...

hum sab bhi jaakar hall ke us block me jahan chairs khaali the,jaakar baith gaye...

NITS-kya lagta hai..!!!kya hoga idhar...

MAI-match hone waala hai kya jo result puch raha hai... PRINCI aayegi toh pata chal hi jaana hai..

AFTERNOON STUDENTS...

abhi maine apni baat ki hi thi ki tabhi kuch teachers ke saath HALL me enter hui hamari PRINCI...

unhe wish karte hue hum sab bhi apni jagah par khade ho chuke the...

PRINCI-PRINCIPAL hone ke saath saath mai ek teacher bhi hun..and as a teacher,meri zimmedari sirf apne students ke educational growth tak hi seemit nahi hai balki unke social thoughts ko nourish karna bhi meri responsibility hai..

aap sab youth hai..the base strength of our country...

aapki soch hi hamare desh ka kal likhne waali hai toh aise me us soch ka strong aur positive hona bohot zaroori hai...

issi aspect par kaam karne ke liye is saal se har saturday aap sabki aakhri class "ATTITUDE" ki lagegi...

ATTITUDE as in drishtikon,nazariya jiska sahi aur sakaratmak hona ek ujle bhavishya ke liye bohot zaroori hai...

but kyunki aaj aapke is session ka first day hai isiliye aapki first ATTITUDE class abhi lagne waali hai...

is class me koi teaching nahi hogi...bas ek topic aap sabke saamne rakha jaayega..

aap sabko ya phir jo bhi vocal hona chaahe,usse given topic me apna perception saamne rakhne ka mouka milega...

agar koi us perception se differ kare toh he or she can give their own thoughts to the topic..

simple...

wakayi simple par kaafi asardaar way chuna tha hamari PRINCI ka students ke samajik aur maansik vikaas ka dayra badhane ka..

jo given topic par bolega ya bolegi, kyunki woh student honge isiliye naa sirf woh point of views baaki students sunenge balki ek hi umr ke hone ki wajah se relate bhi bade araam se kar paayenge..

relate..the first step to acceptance....

brilliant.. wakayi hamari PRINCI ek alag level ki psychological expert thi... bina press kare,she knew how to give her inputs and knowledge to anyone and everyone she wanted...

PRINCI-ready for todays topic...!!!

YES MA'AM..

sabki awaaz me feel ho rahi excitement ye saaf bata rahi thi ki ma'am ke is innovative idea ko kitna pasand kiya tha sabne...

PRINCI-so todays topic is DIVORCE...

saath aksharon ka ek chota sa shabd jiske maayne utne hi bade hain..

it's good,bad, SAHI hain ya GALATH..feel free to give your opinion...

kaun bolega...!!!

as expected,sabse pehle haath upar hua tha new girl ka jisse dekh..

PRINCI-DIMPLE BATRA,common,the floor is yours...

turant PRINCI ke paas jaakar khadi ho gayi thi new girl jiske baad...

DIMPLE-i think divorce me kuch bhi GALATH nahi hai agar reasons SAHI ho...

it's just about choices...

i mean, there was a time jab kisi bhi ladki ko shaadi ke baad apni puri life apne husband ke saath bitaani padti thi...that to iske according..

bhale hi woh andar se us rishte se naakhush ho par samaaj aur dikhawe ke pratha ki diwaar usse apni khawahish, differences saamne laane se rokti thi...

aisa nahi hai ki har baar taklif aur zabardasti ladki ko hi hoti thi..kayi baar ladke ko bhi strict parenting aur society ki wajah se ek hi rishta jisse woh khush nahi tha, zabardasti nibhaana padta tha..

aur indirectly ,ye ek bohot bada reason bhi raha hai hamare desh ka developed nahi balki developing country hone ka..

zabardasti ke bandhe rehne ki soch hume baaki sectors me bhi dominate karne se rokti aayi hai...

itna zyada potential hai hum indians me but sirf us mediaval-period-custom thought process ki wajah se hum lack behind kar rahe the..

saath fere,saath vachan jaise craps bas woh rope tha jisse bandha hua tha humara dimaag..

but thankfully,now we are evolving.. apne decisions hum khud lete hain and divorce is one of them..

if one doesn't feel good in a relationship,agar priorities compromise hone lage toh divorce is the best option.

both for the man and women...

SIRIUS..95 percent bacche aise hi rich background se aate hain jahan decisions lene ki azaadi unhe bachpan se hi mili hoti hai..

yahi reason tha ki jitne logon ka bhi haath shuru me apne view points share karne ke liye uthe the,kyunki woh saare view points new girl speech me cover ho chuke the isiliye un sabke haath neeche the ab..

they all were satisfied with her answer...

wahin new girl ne bhi is cheez ko notice kiya tha isiliye ek bright smile ke saath woh bhi apni place me baithne ke liye badhne lagi..

par is beech ek sarsari nazar sab par daalte hue PRINCI RANJANA MATTHEWS ki aankhein ek jagah par rook gayi..

mujhpar jo sir shake karte hue halka halka smile kar raha tha..

PRINCI-SANVEER AHARYA... it's seems aapki raay kuch aur hai..share karna chaahenge..we are all ears...

jahan PRINCI ki baat sun baaki sabke saath new girl bhi hairan hokar dekhne lagi mujhe wahin meri nazar mili PRINCI se jinhone aankhon se hi haan bola mujhe.

ek lambi saans chhod apni jagah se utha mai aur new girl ke baaju se hota hua PRINCI ke paas jaakar khada ho gaya...

MAI-kisi bhi cheez ki adhuri jaankari zero knowledge se zyada nuksaan day hoti hai..

"saath fere,saath vachan jaise craps bas woh rope tha jisse bandha hua tha humara dimaag"..

yahi bola tha naa tumne... kya hain ye saath fere,agni ko sakshi maan un feron ko lete hue kaun se 7 vachano se bandhte hai dulha dulhan...

new girl jo apni seat par abhi bhi baithi nahi thi,mere is sawal par kuch seconds dekha usne mujhe aur..

DIMPLE-pata nahi.. zaroori laga nahi kabhi isiliye jaanane ki koshish bhi nahi ki..

MAI-now that's perception..khair, divorce ko hindi mai kya bolte hain..!!!

DIMPLE-talaakh...

MAI-GALATH..talaakh ek urdu shabd hai..hindi me divorce ke liye koi shabd bana hi nahi..

aur iska kaaran woh saath vachan hi hain jinhe bolne waale ko uski aatma ki syahi se nibhana padta hai...

pehla vachan dulhan apne dulhe se maangti hai..uski khwahish hoti hai ki kisi bhi dharmik kaarya me uska pati,jeeven saathi HAMESHA usse apne saath lekar jaaye..

dusra vachan me dulhan apne pati se ye kehti hai ki jitne pyaare aur important uske liye uske apne mom dad hain,aaj se HAMESHA ke liye utne hi important us ladke ki nazar me ladki ke mom dad bhi honge..

woh sawal karti hai apne jeeven saathi se ki apne vartmaan ke sambandhon me jhaanke aur uske adhar par bataye ki kya woh is vachan ka paalan kar paayega..???

teesre vachan me dulhan phir apne dulhe se ye sharth rakhti hai ki aap HAMESHA agar mere saath rahenge,mera khayal rakhenge toh mai aapka saath dene ke liye taiyaar hun...

chowthe vachan me dulhan apne dulhe ko ehsaas dilaati hai ki ab woh HAMESHA ke liye uski zimmedari hai aur apne zimmedari se woh bach nahi sakta..

bhavishya me uski saari zarooraton ka zimma dulhe ko hi uthana hai..

DIMPLE-see now that's my point..ladki kyun dependent rahe ladke par...apne needs ke liye kya zaroorat hai usse ladke ki..

aise me toh ladki khud ladke ko apna superior bol rahi hai...

MAI-zaroorat toh coke ya kisi aur drink ki bhi nahi thi..gala tar karne ke liye paani hi kaafi tha..

par pyaas lagne par peeti ho na sabkuch.. anyways,sabse important word par dhyan nahi gaya hai tumhara..

vachan me ladki puchti nahi,sharth rakhti hai.. depend nahi,demand karti hai...

PRINCI-paanchwa vachan kya hai SANVEER...???

ethics bhul chuki hai aaj ki pidhi..mere jawab me unhi ethics ki roots moujud thi jo PRINCI sabhi ko sunana chahti thi..

unki baat par ek second ka pause liya maine aur..

MAI-paanchwa vachan dhyan se sunana new girl..

is vachan me dulhan apne dulhe se demand karti hai ki ab se HAMESHA usse uske har kharch ka hisaab dulhan ko dena hoga..

uski salah leni hogi..aisa kar dulhan khudko ladke ke barabar ka darja deti hai..usse apna superior nahi banati...

meri is aakhri baat ko sun bas ek pal ke liye hi sahi,new girl ki aankhein jhuk gayi thi...

MAI-chhatwa vachan bhi ladki ki respect ke liye liya jaata hai..

isme dulhan apne dulhe se kehti hai ki woh kabhi bhi uske gharwalon,saheliyon aur dusre logon ke beech dulhan ka apmaan nahi karega..

saath hi saath woh juen aur sharab jaisi GALATH chizon se HAMESHA door rahega..

saatve vachan me dulhan ki ye sharth hoti hai ki dulha HAMESHA har parayi naari ko apni maata samjhega aur kabhi bhi kisi aur ko unke rishte ke beech bhaagidaar nahi banayega...

ab mera ek sawal hai..!!!saathon vachan me ek shabd common tha... kya..???

DIMPLE-hamesha...

halke dheeme awaaz me jawab diya tha new girl ne jisse sun halka smile kiya maine aur..

MAI-right..hamesha...shadi ek anant bandhan hai..aur isiliye hindi shabdavali me divorce jaise block ke liye shabd banaya hi nahi gaya...

one more thing...jis mediveal custom aur pratha ko tumne hamare desh ka developing country hone ke reason bataya,woh GALATH hai...

kyunki mediaval times me sone ki chidiya kaha jaata tha hamare desh ko..

us india se agar compare karogi toh aaj ke so called super powers ke mixed currency ki efficiency bhi hamare us daur ke BHARAT ke aas paas nahi pahunchegi...

the thing is ki sirf sarhad hi nahi,angrezon ne hamare values aur tradition ko bhi bheda tha..

us soch ko khokla kiya tha jiski buniyad par hum sone ki chidiya bane the..

compromising priorities..yahi reason diya tha na tumne divorce ke sahi hone ka..

hmmpp.ek waqt tha jab dulha aur dulhan ek dusre ka face sidhe honeymoon bed par dekhte the par phir bhi rishta unka umr bhar chalta tha..

aaj,itni zyada freedom hai...ab toh log shaadi se pehle living relation tak me rehte hain phir bhi relation lamba nahi tik paata....

i mean,bike khareedi hai kya jo ek time ke baad uski speed,sound bore lagne lagti hai..

sensex se lekar har stock market chart ko evaluate karne ka hunar hai..

billions of dollars ki industries jiska future unstable hai,usse predict karna aata hai par jiske saath puri life bitaani hai,us stable partnership ka future chhodo, present tak par bharosa nahi...

wow...

ek umr ke baad jab dimaag aur pair dono rengne ki condition me aa jaate hain,tab satisfaction bank account me show ho rahe paise se nahi milti,paas ke arm chair me baithe apne life partner ki jhurriyon waali smile ko dekh kar milti hai...

kaun sa market kitna upar aur neeche jaayega, discussions is topic par nahi hote, diabetes aur B.P ke pills khaayi ki nahi,us parwah waali daant par hoti hain..

divorce sirf ek shabd nahi hai..woh jail hai jisme sachi khushiyan dum tod deti hain..

ma'am aapne pucha tha ki divorce SAHI hai ya GALATH..in my view,naa ye shabd SAHI hai aur naa GALATH..

it's an illusion..ek bhram hai ye.. par jisse zaroorat mehsoos hoti hai,uske liye sach ban jaata hai.

aur jab bhram sach lagne lag jaaye toh barbaad hona tay hai..

aarthik ya sharirik nahi,maansik tour par...

mere hisaab se ya toh shaadi karna hi nahi chahiye aur agar kar li toh umr bhar nibhaane ka dum hona chahiye...

waise bhi,jab aankhon se zindagi ki roshni juda ho jaaye tab koi hona chahiye un palkon ko band karne waala..

haath pakad aansu bahane waala..mujhse pehle kyun chale gaye,ye shikayat karne waala..ek aakhri baar i love you bolne waala...

CLAP...........

sabse pehle taali hamari PRINCI ne bajayi thi jisse follow kiya tha unke saath khade teachers aur phir saamne khade sabhi students ne..

wahin clap toh new girl bhi kar rahi thi par jab PRINCI ko thanks bol uske baaju se hote hue aage nikla mai toh aise dekhne lagi thi mujhe woh jaise kisi alien ko dekh rahi ho...

NITS-kya baat hai lounde...seena chowda kar diya tune toh aaj...gazab bola be...

SONU-hhaan bbhai...aissa llaga tteen cchaar bbaar kkhud hhi ddivorce kka ddard jjhel kke bbaitha hhai ttu...

MAI-waah bhosdoke..kya taarif kiye ho...

PRINCI-with that brilliant speech and thought, it sums up todays class students...i hope DIMPLE aur SANVEER ke thoughts samajh aaye honge aap sabko..

and you all enjoyed it too because i did...see you tomorrow...

puri baat mujhe bade proudly dekhte hue kahi thi PRINCI ne jiske baad baaki teachers ke saath hall se nikal gayi woh aur aisa hote hi mere sabhi dost lapak pade mujhpar..

aaj baaki classes ke students ke saath B waale bhi mere speech ke liye congrats keh rahe the mujhe..

sabhi the paas mere siway new girl ke..

woh apni hi jagah par khadi bade dhyan se dekh rahi thi mujhe..

ek tarah se dekha jaaye toh is debate me hara diya tha maine usse par naraaz nahi hui thi woh.

impressed thi,bohot impressed..

DIMPLE-who are you SANVY...!!!us din monastery me bhi tumhara jawab extraordinary tha aur aaj bhi tumhare tark undebatable the...

jawab saaf hone ke baad bhi ulajh rahe,jaane ye kaisa SAWAL HAI....???

jo nazar aur soch dono se bacha raha,jaane pehna isne ye kaisa DHAAL HAI...???

dohre charitr ki hadh hai ye ladka...

kabhi lagta pura awaara hai toh kabhi lage ki waah,ye toh KAMAAL HAI....!!!!

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Behtarren update bhidu......kehne ke liye koi shabd nhi hai bhai ... divorce ke baare me jo sanvy ya fir apne bataa wo sach. Hai bhai.....aaj ke jamane me ethics or morals hai india me par dhire-2 kam hote ja rhe hai...gf bf bs naam ke hai unme lust ka rishta rehta hai ...Rashid ka bhai bhi aa gya Arif ye to Rashid se danger lag rha hai ....sanvy ke liye ek new challenge aa gya hai .... dekhte hai aage kya hota hai......again osm fabulous extraordinary update tha bhai.......
 
Rohit1988

Well-Known Member
2,312
7,222
158

Extraordinary update bro
Kya likha hai sath fero ko apne sabdo me bahut khub aaj mujhe bhi yaad aaya fir se vo saath vachan jo mene kiye the

Bahut achi sikh di hai aapne
God bless you bro
 
Rajesh

Well-Known Member
3,576
7,996
158
PART-2

(THE EVENING CONTINOUS)

PLACE-BARE KNUCKLE

AAO,AAO SANVEER AHARYA.... WELCOME....

RASHID ke woh 6 log jinhe mujhe BARE KNUCKLE me laane ke liye kaha gaya tha,unke saath mere yahan pahunchte hi ek lounge type chair me araam se gaand tika baithe ROUNAK ke chehre par khushi saaf dikhne lagi thi..

DEEPESH aur unke saath do aur PRINCE ke ladke bhi the saath uske...

ye unhi ladko me se the jinhe creation ke piche suta tha maine..

jo mere ek haath se aadhi behoshi waale condition me chale gaye the...

us din ki kutayi ka badla lene ke liye hi moujud the abhi woh dono yahan...

ROUNAK-lagta hai khaatirdaari karni padi nahi teri..sirf hool se hi ye log le aaye tujhe idhar....

koi naa,mai karunga tera sahi se swagat aur uske baad ek behatarin live show dekhne waala hai tu...

apne haathon ko rub kar utha ROUNAK aur badhne laga meri taraf...

uske saath hi DEEPESH ko chhod baaki dono bande bhi ho liye the..

DHAKKK..DHAKKK...DHAKKKK.DHAKKKK.DHAKKKK..

abhi kuch kadam hi badhaye the ROUNAK aur uske bando ne ki tabhi sudden break pada un teeno ke pairon ko...

REASON...

woh banda jisse R.D ground me aakhri baar baat ki thi maine,usse chhod uske baaki ke paanchon saathi neeche zamin par gir chuke the..

ab tak mere dar se khamosh the woh sab par ab dard dar par bhaari padh chuka tha...

darasal un sabke huliye theek kar ke le toh aaya tha maine unhe yahan par jo hasr kiya tha maine unka R.D ground me,uske baad unme se ek ke sir par hue dual hit aur ek ke naak se hue accesive bleeding ki wajah se hadh se zyada kamzori chha chuki thi un dono ke andar..

bache teen me se do jinke cheek bones tod diye the maine, behadh mushkil se ab tak khudko sambhala hua tha unhone par ab woh asahaniya pain unke dimag tak pahunch chuka tha isiliye khudko ko khaa nahi rakh paaye woh..

bache aakhri bande ka bhi kuch waisa hi haal tha.. shoulder joint complete dislocate ho chuka tha uska jiske pain ko itne der tak sambhalne ke baad finally body jawab de chuki thi uski...

DHAKKK...

bas ek hi banda khada tha jiska sir neeche ho chuka tha par agle hi pal sir ke saath uski body bhi neeche padi thi.

ground me sir uska hi halka fada tha maine jiska daayra badhane ke liye maara ek chop hit uske sir par maine...

maathe ka clotted wound tezi se reopen ho gaya uska aur aisa hote hi kate pedh ki tarah neeche gir behosh ho chuka tha woh..

wahin is scene ko aur us bande ko jo taaza taaza neeche gira tha, aankhein faade dekh rahe the ROUNAK aur use dono saathi par tabhi...

MAI-confused...

ROUNAK-holy shit...

hadbadate hue piche hatne ko hua tha ROUNAK.

darasal us bande aur RASHID ke baaki logon ka hasar dekh hairani se bhar ek pal ke liye piche apne bando ki taraf palta tha ROUNAK par jab sir wapas saamne ghuma uska toh mai khada tha theek uske saamne..

hadbadate hue piche hatne ko hua woh par tabhi uske shirt ko pakad liya maine..

MAI-kya baat hai..mere paas hi toh aa raha tha na tu..ab jab mai kareeb hun toh door hat raha hai..

you are not allowed coward....

DHAKKK.....DHAKKKK..DHAKKKK....

ek tez punch maara tha maine ROUNAK ke mooh par..rokne ke liye defence block try kiya tha usne par speed mere haath ki itni tez thi ki jab tak haath uska uske face ke saamne aata, hit kar chuka tha mai usse..

boxer tha ROUNAK.. boxing me najaane kitne hi punches khaaye the usne par jo impact mere punch ka feel kiya tha usne,woh uske liye once in a life experience tha..

pain itna hua usse ki pura chehra hi numb padh gaya tha uska...

par us ek pal me do aur punches hit hue usse..dusra punch uske stomach me maara tha maine jispar mooh khulte khulte laar hi nikal gayi thi lounde hi..

khair, punch ke pressure se aage ki taraf jhuka woh aur tabhi maara maine ek elbow punch uske mooh par jiske agle hi pal lehrate hue neeche gir pada tha woh...

MAI-wanna play..

uske piche khade dono loundo se kahi thi maine ye baat jispar bina maar khaaye hi aisa dard utha unke dimag me ki turant bhaag nikle woh yahan se..

ab un chuzon ka kya hi peecha karta mai..

zameen me neeche gire tadapte hue ROUNAK ki taraf badha mai...

MAI-pange bohoton ne liye hain mujhse...par jo rang tune dikhaya, uske aage toh kaalapan bhi safedh lage...

sona hai tujhe us new girl ke saath..kyun,kyunki bhaa gayi hai tujhe woh...

madarchod,ladkiyon ko apne lund ki khuraakh samajh baitha hai tu...

tere najayaz baap ki jaagir hai kya be koi ladki jisse apni marzi ke hisaab se apne niche letayega tu...

yaa prasad hai jisse pehle aap chakh lo bolkar dusre ke hawale karne ka socha tune...

itni der se zamin par lete lete meri baat sun man hi man behadh zyada chownka tha ROUNAK..

usse samajh nahi aa raha tha ki mujhe uski planning ke baare me pata kaise chala...???

chehre par dard ke saath saath sawal waala expression naach raha tha uske...

kisi tarah khada hua woh aur...

ROUNAK-how...!!!!pata kaise chala tujhe...!!!

MAI-waise hi jaise us raat club me tera new girl ke drink me drug milaana pata chala tha mujhe..

ROUNAK-par kaise...!!!!

DEEPESH-maine bataya...

peeche khade DEEPESH ne foda tha ye bomb jisse sun kisi tarah sir piche ghuma aankhon me hairat,avishwas aur ghussa liye dekhne laga tha ROUNAK usse..

MAI-pata hai harami lounda hone ka sabse zyada nuksaan kab hota hai...!!!!

mere is sawal par wapas sir meri taraf ghuma dekhne laga mujhe ROUNAK...

MAI-jab baap utna hi imaandaar ho...jaanta hai naa iske dad ko...

CHANDRESH SOLANKI...tumhare hi PRINCE se college division ke profesor hain ye...

CHANDRESH SOLANKI...is naam ko sun ek baar phirse aankhen badi ho gayi thi ROUNAK ki..

one of the most reputative teachers me se the DEEPESH ke dad jinki koi salah aur baat PRINCE ka PRINCI bhi nahi kaattha tha...

MAI-bataya hoga naa isne tujhe pichle saal resort waala kaand...

kabhi strike ki ye baat teri moti buddhi me ke us incident se bach kaise gaya ye..

hume fasane me NAMITH ke saath iska bhi haath tha, ye proof tha humare paas...SAM ke room me drugs isne hi implant kiye the,video tha uska...

commissioner tak ko confidence me le liya tha humne..

phir aise me juvenile kaise nahi gaya ye and more importantly,ek student hone ke baad jo illegal harkat ki thi isne,us tarj par school se resticate ho jaana chahiye tha isse par aisa kuch bhi nahi hua..

kyun..???kabhi pucha isse... aisa iske dad ki wajah se hua tha...woh aaye the mere paas..

us sharif aur dignified aadmi ne haath jod request ki thi mujhse ki koi case na bane unke is kapoot ke khilaaf...

maine accept kar li thi unki request...chhod diya tha isse aur iske sahare NAMITH bhi bach gaya tha..

but ussi moment se ye karzdaar ho chuka tha mera..aur apna karz wasoolna aata hai mujhe...

creation me jab new girl ne maara tha tere bando ko tabhi mujhe andaza ho gaya tha ki chup nahi baithenge tere school ke chutiye..

isiliye ussi shaam gaya tha mai ghar iske..

us din tere campus me jab pela tha maine tere ladko ko toh ye bhi tha wahan par bhaag nikla tha..

agar woh baat bata deta mai iske baap ko toh is baar ghar se hi nikaal deta woh isse...

isiliye chupchaap bina laag lapeth tere baare me aur new girl ke liye teri tucchi khwahish ke baare me sab bata diya tha isne mujhe..

aur us din ke baad se aaj tak iske zariye tu aur tere saare plans open hi the mere liye...

meri saari baat sun ek lambi saans chhodi ROUNAK ne..us din BAMBOOZA me NAMITH ka mera naam sunane bhar se mila reaction, RONIT ka turant back down kar jaana,un sabka matlab ab pratyaksh me samajh aa raha tha usse...

MAI-club me hui hamari convo yaad hai...

ab awaaz meri sakht ho chuki thi jisse sun kuch kehte nahi bana ROUNAK se...

MAI-saale gaand ke beej...jo hidayaten di thi maine tujhe,uska ulta hi kar diya tune...

kya socha tha, role jhaadne ke liye dialogue maara tha maine...

bhosdike, I live by my words...naa mai kabhi apni baat kaaththa hun aur naa kisiko kaatne deta hun..

par tune koshish ki... GALATH koshish ki.... bohot GALATH...

DHAAPPPP......

AHHHHHH....

apni baat bolne ke beech badi tezi se zig zag pattern me ghumi meri body..

ROUNAK ke side se hota hua uske piche taraf sarak sa gaya tha mai par is daav ke beech uska right hand hold karte hue usse jhatak apne haathon me jakad sa liya tha maine...

ussi hold ke saath piche se ek kick maari maine ROUNAK ke back knee roll me jiski wajah se neeche baiththa chala gaya woh..

aisa hote hi ROUNAK ke us right hand ke elbow joints ke theek piche apna left hand rakh us haath ko strech sa kiya maine aur..

MAI-next week se inter district level boxing championship shuru hone waali hai naa..

sorry,tu hissa nahi le paayega...

KHATTT......

AHHHHHHHHHHHHH...

diya ek zor ka jhatka maine us stretched hand ke mid point ko jisse release hue pressure ki wajah se ROUNAK ki elbow bone dislocate ho gayi...

gaand faad chilaaya ROUNAK aur bin paani waale machchli ki tarah zamin me lot poth hone laga...

uski haalath dekh piche khada DEEPESH bhi kaafi dar gaya tha...

DEEPESH-bbhai,mmai jjaun...

MAI-nikal..bas aage bhi kabhi apne baap ka naam aur sir jhukne mat dena...

DEEPESH-kabhi nahi bhai...

turant nou do gyarah ho chuka tha DEEPESH jiske baad neeche apna toota haath pakde tadap rahe ROUNAK ko kuch pal dekh sir shake karte hue palath gaya mai par tabhi..

ROUNAK-SANVEERRRR....mujhse toh nipat liya tu par teri DIMPLE ka kya..!!!

koi school ya college going ladka nahi, RASHID REZA gaya hai usse uthaane...

agar us ladki ki protection ke liye bande rakhe honge tune toh bhi kuch ukhaad nahi paayenge woh sab...

balki khud ukhad jaayenge...thok dega un sabko RASHID BHAI aur teri us DIMPLE ki nath aaj woh utaar kar rahega..

tadapne ke beech bhi apni puri himmat bator bacha hua zeher ugal diya tha ROUNAK ne jispar waise toh mujhe naraaz hona chahiye tha,par usse ulat smile naach uthi mere face..

muskurate hue palta mai ROUNAK ki taraf aur mere jolly facial expression ko dekh phirse hairan ho gaya woh..

MAI-pata hai teri sabse badi bhool kya thi..

agar tu mudda mujhtak rakhta, SANVEER tak rakhta toh baat yahin khatm ho jaati..

par tune ek ladki ki asmat ko,woh bhi us ladki ki jo meri chaahat hai,beech me laakar SANVEER ke saath uske piche lage AHARYA ko bhi chhed diya....

AHARYA woh tufaan hai jisse bacha jaata hai,uska saamna nahi kiya jaata..

teri awaaz me garmi isiliye badhi hai kyunki tujhe pata hai ki kya ho raha hai,par mujhe pata hai ki kya hone waala hai...

aage aaj jaisi koi harkat mat karna,aisi koi warning nahi dunga mai tujhe...jaanta hai kyun..!!!

NAAA.ek hafte baad paper me khud hi padh lena...aur jo padhega,usse apne future me sochi kisi bhi atrangi plan ka anjaam samajh lena...

PLACE-NEHRU PARK

TIME 7.PM

WAKAYI,KUCH ZYADA HI KHUBSOORAT HAIN AAP...!!!!

parallel diving bars,joki final exercise tha,uske do rounds karne ke baad bench par baithi hi thi DIMPLE ke tabhi kuch seconds baad pathani kutra pehne ek haththa kattha shaksh aakar ussi bench par baitha tha..

water bottle se paani ka sip lene ke beech ek baar us anjaan aadmi ko dekhne ke baad saamne dekhne lagi hi thi woh ki tabhi us shaksh ke comment se hairan ho gayi DIMPLE...

DIMPLE-excuse me...

SHAKSH-bande ko RASHID REZA kehte hain...mai toh yahi keh raha tha ki itne husn ke saath ghar se bahar yun akela nikalna sahi nahi hai..

sports wear me thi is waqt DIMPLE .paseene se lathpath uska tarasha hua sharir chipke hue un kapdon me bhi kuch yun numaya kar raha tha khudko jaise heera aadhe band bakse ke beech se bhi apni roshni bahar fekta ho...

bade shiddat aur hawas se bhari nazaron se ghur raha tha RASHID DIMPLE ko jispar pehle toh dimag ghuma uska par phir sir shake kar uthne ko hui woh lekin tabhi..

RASHID-arre kahan chali aap..!!!aapse mukhtasar hone ki chaah kheench laayi hume yahan aur aap hain ki apne sabse bade deewane se yun berukhi dikha rahi hain...

uthne ke baad kuch kadam hi chali thi DIMPLE ki tabhi kul paanch logon ne raasta rok liya uska...

chatte hue gunde lag rahe the shakal se woh log jinhe dekh ek baar piche palti woh jahan RASHID usse hi dekh muskura raha tha...

RASHID-kaha na maine..badi door se aapke deedar-e-husn ki talab liye aaya hun mai..

aise nahi jaa sakti aap...is mulaakat ka rukhsat-e-waqt par sabse zaroori,aapka rukhsat-e-hasr mai tay karunga..

DIMPLE-i don't think so...

DHAPPP....

DHAKKK....

agle hi pal kisi rubber ke gudiya ki tarah apne theek saamne khade do bando ke beech se aage ki taraf jump laga gayi thi DIMPLE..

aur uske aisa karte hi jab palte woh dono toh zamin par hi apne dono haathon ka sahara liye piche ki taraf maari do back kick usne..

ye dono bhi hatthe katthe the..laath padne par gire nahi woh par ladhkhadate hue kuch piche zaroor ho gaye..

wahin apne dono saathiyon ko laath padte dekh baaki ke teen bande tezi se badhe the DIMPLE ki taraf par tabhi saamne jo DIVING BARS the,unke beech pahunch chuki thi DIMPLE jiske baad shuru hua circus...

grip bana pehle ek baar ke neeche se nikalte hue ek bande ko laath maari usne aur phir spring lage khilone ki tarah apni body ko 360 degree up down ghumate hue baaki dono bando ke thuddi par jama di apni reebok shoes DIMPLE ne..

teeno hi bande zamin par gir chuke the aur ye dekh ghusse se utha RASHID..

RASHID-ooff.. jungli billi nikli ye toh..laanath hai saalo..ek ladki pel rahi hai tum sabko..

tezi se badha tha RASHID DIMPLE ke taraf par tabhi...

RASHID uske paas pahunchta,usse pehle hi khudko kisi basketball ki tarah zamin par dribble karte hue uske kinaare se piche ki taraf nikal gayi DIMPLE aur agle hi pal uske haathon ki giraft RASHID ke gale me thi..

par ye koi normal move nahi tha..woh giraft bas balance banane ka tarika tha..

uske haathon ko touch hi kiya tha RASHID ne ki tabhi piche se aage ki taraf tezi se ghumi DIMPLE aur agle hi pal uske dono pairon se bani kaichiyan RASHID ke gale me thi..

ek kushal gymnest ki tarah apne pure body ka bhaar RASHID ke gale me dete hue ghum gayi thi DIMPLE jiske agle hi second jahan ek taraf uske pair zamin par the wahin RASHID neeche gir chuka tha...

DIMPLE-kyun uncle..jhooti mardangi ka bhoot utra ki kasar abhi baaki hai...

DHAPPP...

DIMPLE ki baat abhi khatm hi hui thi ki tabhi woh do log jinhe sabse pehle laath padi thi DIMPLE ki,un dono ne jakad liye the uske dono haath par unke aisa karte hi ek smile naach uthi DIMPLE ke face par..

unhi ki taakat ko apne liye istamal kar ek ulta summersault maara DIMPLE ne aur agle hi pal woh un dono ke kandhon par khadi thi...

THAKKKK...

wapas ek summersault maar neeche utarne se pehle apne shoes ke front half pointed part se jama diya tha ek ek football shot DIMPLE ne un dono bando ke gaalon par..

lekin tabhi...

apne piche kuch foot steps feel kiye DIMPLE ne...

ye RASHID ke aur paanch log the jo tezi se ussiki taraf badh rahe the..

ek wanted criminal tha RASHID...issi liye har waqt apne logon ke hujum ke beech hi nikalta tha woh...

aaj bhi uske kul 20 log uske saath hi the...

par kyunki baat sirf ek ladki ko uthane bhar ki thi isiliye apne paanch hi bando ke saath park me ghusa tha woh..

uske baaki saare log park ki edge me khade the par jab un sabne apne saathiyon and most importantly,apne boss ki durgati hote hue dekha toh help ke liye unme se paanch turant lapke the DIMPLE ki taraf...

DIMPLE-bring it on..

khudko taiyar karte hue apne haathon ko jhatka DIMPLE ne aur doud padi un sabke taraf...

jab un paanch bando ke thoda kareeb pahunchi woh toh aage ki journey kisi saanp ki tarah zig zag pattern me flip aur rotation jump maarte hue badhne lagi thi DIMPLE..

uske aise movements ko dekh hadbada gaye the woh paanch aur jab tak woh sambhal paate,2 ke faces par DIMPLE ki kick padh chuki thi...

woh abhi neeche gire hi the ki tabhi teesre bande ke sir par literally chadh chuki thi DIMPLE..

RASHID ki tarah hi apne pair ki kainchi bana usse ghumate hue chowthe bande ki taraf fekh diya tha usne..

is baar bhi apne pairon par khadi hui thi DIMPLE par tabhi us paanchwe bande ne ghuma diya tha apna mukka DIMPLE ke face ki taraf..

but taiyar thi DIMPLE..us mukke ko block kar elbow joint par crack hit karne ke baad ek chest slap diya us bande ko usne..

ek tez jhunjhuni paida karne waala hit tha ye jiske asar se piche ki taraf gira woh banda par tabhi...

DHAGGG....

DIMPLE ke gardan aur chote magaj ke beech waale portion par ek sharp metallic hit hua..

ye RASHID tha jisne apni hatheli par is waqt steel ki ek knuckle fingers grip pehni hui thi..

ussi grip ke half edge nukile bhaag se hit kiya tha usne DIMPLE ke back head area par..

luckily back head par direct impact mahi hua tha isiliye internal damage ka chance nahi tha par kyunki half head aur wahan se gardan ki taraf jaane waale area me pada tha ye punch, isiliye agle hi pal dimag chakra gaya tha DIMPLE ka..

aankhein blur ho chuki thi uski aur ladhkhadate hue neeche zameen me gir chuki thi woh..

RASHID-bohot ucchaal liye saali tune pair...ab failane ki baari..

teri toh woh haalath kar dunga mai aaj ki apne hi jism se ghinn ho jaayegi tujhe....

I DONT THINK SO...

DIMPLE ki taraf badhne ko hua hi tha RASHID ki tabhi uske just piche se ubhri thi ye awaaz jisse sun jab palta woh toh multiple reaction chhaa chuke the uske face par...

pehla reaction toh instant chadha hawas ka hi tha jo us jaise aadmi ke liye laazmi bhi tha..

agar uske saamne zamin par giri ladki EIFFEL TOWER sa ajooba thi toh ab jo uske saamne khadi thi,woh TAJMAHAL se kam naa thi..

aisi vilakshan soundaryata ki devi jiski kalpana bhi naa ki thi usne kabhi..

aur karta bhi kaise...

puri duniya me ek hi toh thi, VERONICA PAUL AHARYA...

peele colour ki ek chust kurti aur neeche jeans pehne bade araam se khadi thi woh...

anyways, hawas ke saath hairan bhi hua tha RASHID aur ye hua woh VERONICA ke piche zamin par behosh pade apne paanchon logon ko dekh..

DIMPLE ki maar ke baad uske saath saath woh paanchon bhi saath hi uthe the par abhi apni apni maiya chuda zamin par behosh pade the woh sab...

teesra aur aakhri expression confusion ka tha kyunki jaise dekh rahi thi VERONICA usse,woh nazar,look kisi shikari ka tha jo apne shikaar ko dekhte waqt hota hai..

DHADHHHH...DHADHHHHH...

kuch kehne ke liye mooh kholne ko hua hi tha RASHID par tabhi aisa feel hua usse jaise koi tez hawa ka jhonka uske kareeb aaya ho.

isse pehle ki woh kuch samajh bhi paata, VERONICA ka knee jo hawa me 6 feet tak uth chuka tha,woh pada uske naak par jiske agle hi pal zamin par tha woh..

dard itna zyada hua usse ki ek hi pal me chehra aur kaan sunn hone lage the uske par is beech bhi bas ek aur hit ki awaaz padi uske kaano me..

aur kuch palon baad jab palath kar dekha usne toh paaya ki uske baaki paanchon saathi bhi zamin par behosh pade hue hain..

par saath hi saath nazar padi uski saamne park ke edge ki taraf jahan se uske baaki ke 10 bande ek saath bhaagte hue uski taraf aa rahe the..

un 10 mese kul 6 bande aise the jinke paas revolver thi..

woh revolvers un 6 logon ke haathon me chamak rahe the jisse sirf VERONICA ko holding position me rakhne ke liye bas uski taraf point karte hue woh doud rahe the..

waise bhi bhale hi is waqt wahan koi moujud nahi tha par tha toh woh ek public park jiske aage ek rich colony basi thi..

bina wajah shooting se create hue awaaz se fas sakte the woh sab...

anyways,apne logon ko dekh smile naach uthi thi uske face par tabhi...

kuch hua jisse aankhein badi ho gayi uski jo har guzarte pal ke saath aur badi hoti chali gayi..

apni kurti ko upar ki taraf halka sa jhatka diya tha VERONICA ne aur uske waise karte hi RASHID ki nazar padi jeans ke upar chipke rare belt par..

rare isiliye kyunki woh belt jeans ko support dene ke liye nahi bani thi balki uske upar bane khaanchon me jo circle banate hue knives the,unki holder thi woh belt...

COLD STEEL CHAOS BOWIE KNIFE...one of the sharpest and the best combat knife...

inhe knives ki ek puri set bandhi thi VERONICA ke belt par..

lekin us pure set ko sirf ek pal hi dekh paaya tha RASHID...

REASON..

aisi speed jisse nangi aakhein sirf ek myth maanengi,unka pradarshan karte hue agle 10 second me 2,2 knives kul teen baar gayab karti chali gayi VERONICA us belt se..

KHACHHHH....

woh 6 bande,jinke haathon me guns thi,aur jo is waqt VERONICA se kareeb 20 metre hi door the,unke gun holding haathon ko pierce karti chali gayi thi woh 6 knives...

revolvers chhut chuka tha unke haathon se aur apne ghayal haathon ko pakde neeche girte chale gaye the woh 6...

is beech do chizen hui...

pehli toh apne saathiyon ki haalath dekh unke saath aage badh rahe baaki 4 ek dum se rook gaye the..

dusri...

hadbadaya aur dara toh RASHID bhi tha par haath uska apne paijame me fase gun ki taraf badh chuka tha..

is waqt VERONICA ki peeth thi uske aage jo benifit tha RASHID ke liye..

nikaal liya tha usne bhi apna gun par tabhi..

KHACHHHH...AHHHHHH

woh trigger daba paata,usse pehle bin dekhe hi ek aur knife nikaal fek chuki thi VERONICA piche jo sidhe ghusi RASHID ke gun holding haath me..

gaand faad zor se chilaaya tha woh...

kuch der pehle jo aurat usse GODDESS OF BEAUTY lag rahi thi,ab ussi wahi anjaan lady me usse MOUT KI DEVI dikhne lagi thi..

dar par usse zyada aisi fighting quality ko dekh aur mehsoos kar hairan ho chuka tha woh..

par ye hairangi waali haalath sirf uski hi nahi thi..

DIMPLE...uski aankhein aur senses jo RASHID ke hit ki wajah se half blur ho gayi thi,still conscious toh thi hi woh..

apni dhundli aakhon ke beech is dauran jo bhi hua th,woh dekha tha usne...

uske liye completely anjaan lady ki speed, fighting style ko bhale hi uski aankhon ne dhundhle tour par dekha tha par dimag jo uska abhi bhi completely active mode me tha,usne mehsoos kar liya tha ki saamne khadi lady ki kaabiliyat beyond imagination tak powerful hai..

uske potential ke aadhe ka aadha bhi nahi hai woh..

is situation me ye kehna sabse sahi hoga ki DIMPLE was in a state of complete awe for VERONICA..

mooh faade piche se dekh rahi thi woh us female version of fighting GOD ko aur ye mooh faadna thoda extra badha.

aur woh isiliye kyunki agle 10 seconds me sirf ek ek hit se behosh kar chuki thi woh lady un bache 4 logon ko...

jo 6 log pehle hi ghayal kar diye the usne,woh toh apne saathiyon aur boss ko chhod pehle hi bhaag chuke the..

khair,un bache chaaron ko behosh kar wapas palti woh RASHID ki taraf jo VERONICA ko apni taraf aata dekh dar ke maare piche hatne laga...

par aisa karte hue apni geedadh waali dhamki dene se piche nahi hata tha woh..

RASHID-eee..tu jaanti nahi hai mujhko...agar mai chaahun toh..

VERONICA-kuch nahi kar sakta tu..sirf maar khaa sakta hai aur abhi ke liye behosh ho sakta hai..jo hone waala hai tu...

KDAKKK.....

RASHID ki mid head ke ek certain point me bilkul sada hua haath pada tha VERONICA ka jiske baad sir bade force se zamin me takraya uska aur vision blur hoti chali gayi uski..

behosh ho chuka tha RASHID jiske baad jaise aayi thi,waise hi jaane ke liye wapas mud gayi VERONICA par tabhi...

DIMPLE-excuse me....thanks...

view abhi bhi thoda clear aur thoda dhundla tha DIMPLE ka.knuckle hit ki wajah se sir bhi kaafi bhaari tha..

aankhon ko continously jhapkaate hue apne vision ko restore karne ki koshish kar rahi thi woh...

VERONICA-cerebellum aur spinal cord joint ke beech hit laga hai tumhe.. your brain stem has been a bit hindered...

but serious damage nahi hai..bas thoda waqt lagega tumhare vision ko clear hone me..

tab tak araam se baitho idhar hi...waise bhi ye sab kamsekam 2 ghante uthne nahi waale.. so you are safe...

DIMPLE-aapka naam...

VERONICA-blank call samajh kar bhool jaao...

ye bol aage badh gayi thi VERONICA par phir dobara rooki woh aur..

VERONICA-ek advice hai..bahaduri aur bewakufi ke beech ek thin line hai... aur aaj tum wahi line cross kar rahi thi..

in sabko ek saath face karne ka faisla karna,it was stupid...jab tak khudko aisa kuch karne ke kaabil bana na lo, khud par ehsaan karna and stay in your limits...

DIMPLE-then make me reach and surpass my limits...teach me...

VERONICA-not possible kid...

DIMPLE-i will pay you..jitna aap kahen...

VERONICA-hahahaha....

you cant afford me...

jahan ye bol aage badh chuki thi VERONICA wahin unki aakhri baat ko sunane ke baad bhi bilkul bura nahi laga tha DIMPLE ko..

aur lagta bhi kyun..!!!aaj dhundli aakhon se hi sahi,par life me pehli baar aisi shakshiyat se saamna hua tha uska jisne naa sirf uski izzat bachayi thi,balki pehli baar aisa hua tha ki DIMPLE BATRA ka sir and most importantly dil, kisike liye samman me jhuk gaya tha...

us blurry image ko khudse door jaate dekhte hue ek lambi saans chhodi DIMPLE ne aur...

DIMPLE-

kya banana hai bohoton ne pucha,asal sawal ye tha ki mujhe KAISA BANANA HAI...

jo apne aap me eklouti ho, shaksiyat mujhe WAISA BANANA HAI...

bas prerna ki kami thi meri kahani me jo aaj puri hui...

aapsa andaz,aapsa nazariya aur aapsa hi vyaktitv,mujhe bilkul aap JAISA BANANA HAI...

AAP KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Shandaar update hai bhai maza aa gaya
 
Kala Nag

Mr. X
4,152
16,161
144
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA KO GOD KE RESURFACE HONE KI KHABAR MILTI HAI WAHIN DUSRI TARAF VAJRA BODHI SANVY KO EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA TECHNIQUES SIKHAANE KE LIYE MAAN JAATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-44

DATE-17TH JUNE

CITY-DEHRADUN

PLACE-BARE KNUCKLE

DHABBB..DHABBBB..DHABBBB....

aaj lagbhagh do mahino ke baad punching bags ko hit kar raha tha ROUNAK...

par aisa karte waqt uske right hand me ek sensation paida ho rahi thi jisse uthe halke par irritating pain ko zabt karte hue continous hit kar raha tha woh punching bag par...

ISSE ACHA HOTA KI TU HAWA ME HI HAATH GHUMA LETA..

DHANG SE PUNCHING BAG TOH HIL NAHI RAHA, KAMSEKAM HAWA KI TOH TERE NAAZUK HAATH RAASTA BADAL PAATE..

kharkhari awaaz me ek kataksh jo ROUNAK ke piche se ubhri thi,usse sun turant palta woh toh paaya ki safedh pathani me ek kareeb 40 ki umar ka kaafi hatta shaksh usse hi dekh raha tha...

gora rang aur kadh ki hi tarah lamba chehra jisme right gaal par ek cut ka nishan tha..

personality tagdi par sabse expressive aankhen jinme kaaiyanpan saaf dekha jaa sakta tha...

wahin dusri taraf ROUNAK tha jisse waise toh itni tagde bande ko dekh kar halka ghabra chahiye the par kadh kaathi ke maamle me kam toh woh bhi nahi tha..

upar se is waqt woh anjaan shaksh khada bhi ROUNAK ke area me tha but most importantly,us shaksh ke taunt ne us taar ko chhed diya tha jisse khud ROUNAK bhi jhunjhlaya hua tha...

lagbhag 2 mahine pehle SANVY ne jo uska haath toda tha,us fracture se abhi abhi hi recover hua tha ROUNAK but puri tarah theek woh ab bhi nahi tha..

isiliye hi punching bag me uske hits ka power bhi kaafi kam tha..

ye drawback khud mehsoos kar raha tha woh jisse taunt me bol ghussa bhadka diya tha us unknown shaksh ne ROUNAK ka...

ROUNAK-kaun hai be tu...!!!!aur sabzi mandi samajha hai kya is jagah ko jo mooh uthaye ghus aaya idhar...

apne gloves nikaal side stall par rakhte hue us unknown shaksh ki taraf badh gaya tha ROUNAK..

DHADDDHHHHH...

tezi se chalte hue us unknown shaksh ke paas pahuncha hi tha ROUNAK ki tabhi ek tez punch pada uske mooh par..

kaan se aage aur gaal ke thida piche jo jabde waala hissa hota tha,wahan maara tha us shaksh ne apna punch..

punch itna zyada tagda tha ki ROUNAK jaisa tagda banda bhi lehrate hue turant zamin par gir chuka tha..

punch ke asar se jabdo ki haddi me ek bhayanak swelling aa chuki thi jiski wajah se ROUNAK ka mooh bhi dhang se khul nahi raha tha..

dard itna zyada hone laga tha usse ki us pain se aankhein bhi bhaari ho chuki thi ROUNAK ki..

wahin punch maar bade araam se ROUNAK ke theek saamne baith gaya woh anjaan shaksh aur..

UNKNOWN-aise maarte hain punch....padne ke asar se sharir me toh jaan barkarar ho par zindagi begaani si lagne lage..

AHHHHH...

ROUNAK ke face ko pakad apni taraf ghumaya tha us shaksh ne jispar jabde ki swelling se uth raha dard aur badh gaya tha ROUNAK ka..

ROUNAK-kkaaaaun hain aaaaaappp...

swelling aane ki wajah se bade mushkil aur ajeeb tarah se pucha tha ye sawal ROUNAK ne..

UNKNOWN-ab ye hui na baat...tu se sidhe aap...dekha,mukka padte hi tehzib bhi lout aayi teri...

ARIF....ARIF REZA naam hai mera...RASHID ka bada bhai hun mai...

jaise hi us unknown ne apna naam aur apni pehchaan batayi, aankhein badi hoti chali gayi ROUNAK ki..

ARIF REZA...jahan RASHID sirf uttarkhand,as in ek state me apni illigal dhandhon ke liye mashoor tha wahin ARIF REZA ka naam
goa,gujarat,maharashtra
,dadra and nager haveli
daman and diu.. matlab ki pure west india territories me gunjta tha...

extortion,money laundering and most importantly,human trafficking ka ek bohot bada naam tha ARIF REZA...

india ke most wanted gangsters me se ek tha ye isiliye apna saara kaam dubai se handle karta tha ARIF REZA...

2 mahine pehle jo uske bhai ke saath hua, uske baad ek pal bhi chain se nahi baith paaya tha woh but kyunki ye baat police bhi jaanti thi ki RASHID ki death ki khabar ko sun ARIF zaroor hindustan aayega, isiliye india ke har international airport aur port me checking badha di gayi thi...

yahi wajah thi ki ARIF ko rookna pada tha...2 hafte pehle hi pahuncha tha woh yahan par uske baad bhi safety measures lete hue khudko underground rakha tha usne..

aur ab jab uske logon ne uski safety confirm kar di toh tab jaakar nikla tha woh apne hide out se...

ARIF-pata hai na tujhe mai kyun aaya hun...!!! mere sources se mujhe pata chala hai ki mere bhai ke murder se pehle woh tujhse mila tha...

bina ghumaye ya pause liye puri kahani bata...

jaisa ARIF ne kaha, ROUNAK ne kiya.. apne suje jabde ke baawjud kisi tarah jo hua tha,puri ram kahani woh sunata chala gaya ARIF ko jisse sun kaafi hairan ho chuka tha ARIF..

ARIF-toh tu ye bol raha hai ki mere bhai ko uske saikdon aadmiyon ke saath ek school me padhne waale pille ne maar diya,woh bhi jaan se...

mukke ka asar dimag par chadh gaya hai kya be...!!!

ROUNAK-mai sach keh raha hun bhai...kaise kiya usne, khud kiya ya karwaya,ye nahi jaanta mai par RASHID bhai ki mout ke piche us ladke ka haath hi hai...

aaj bhi uske mujhse kahe woh aakhri shabd mooh zubani yaad hain mujhe...

"aage aaj jaisi koi harkat mat karna,aisi koi warning nahi dunga mai tujhe...jaanta hai kyun..!!!

naaa.ek hafte baad paper me khud hi padh lena...aur jo padhega,usse apne future me sochi kisi bhi atrangi plan ka anjaam samajh lena"...

yahi bola tha usne bhai...aur ek hafte ke baad paper me RASHID bhai ki death news chappi thi...

ROUNAK ki baat sun ARIF ka dimag hi ghum gaya tha joki laazmi bhi tha.

chota mota gunda toh tha nahi uska bhai..pure uttarakhand me jaana maana naam tha uska..

aise me ek school going student uske bhai ko uski gang ke saath nipta gaya...

ye baat hazam nahi ho rahi thi usse..but main baat ye thi ki mara toh tha uska bhai jiska kaaran woh school going ladka aur saath hi saath woh ladki bhi thi jiski hifazat woh lounda kar raha tha..

jaise hi ye baat click hui ARIF ke dimag me toh...

ARIF-us lounde ki aur us loundiya ki jisse bacha raha tha woh lounda, koi pic hai tere paas...!!!

ROUNAK-hai na bhai...

turant apna mobile nikal gallery me jaa sabse pehle ladki ki photo open kar ARIF ke saamne kar diya apna mobile usne..

wahin jaise hi us ladki ki tasvir aayi ARIF ke nazaron ke saamne,toh aankhein aur patloon dono hi chamak aur thanak gaye the uske..

mobile le liya aRIF ne ROUNAK ke haath se aur zoom kar photo me dikh rahi khubsoorati ki us bemisaal shakshiyat ko dekhne laga..

ARIF-mashallah....kya husn hai...is kacchi umr me bhi aisa noor...2,3 saalon me toh kohinoor bhi sasta bikega iske aage...

us photo ko live girl samajh uspar haath firaane laga tha ARIF..kuch pal yunhi karne ke baad dhyan apna hataya usne pic se aur..

ARIF-aur woh lounda...!!!

ROUNAK-ek baar scroll kijiye na bhai..agli photo ussiki hai..

ROUNAK ke bolte hi ek baar right swipe kiya ARIF ne aur uske aisa karte hi jis ladke ki pic uske aankhon ke saamne thi usse dekh ek baar phir hairan ho gaya tha woh...

ARIF-ye hai woh lounda..!!!!dimag toh kharab nahi ho gaya tera..!!!

ROUNAK-bhai shakal par mat jaao...jitna maasum dikh raha hai ye,chiz utni hi harami hai..

haath aur dimaag, dono hi bhayankar tez chalte hai iske...

ROUNAK ki baat sun kuch pal dekhta raha ARIF us ladke ke pic ko...

BHAI,NIKALNA CHAHIYE...

ye ARIF ka banda tha jo is buliding ke bahar casual hone ke bahane se pehra de raha tha..

koi police petrolling car nikli thi kuch seconds pehle idhar se isiliye turant andar aaya tha woh..

apne bande ki baat sun haan me sir hilaya ARIF ne aur...

ARIF-ye do pics hain...apne phone me le isse aur jitna isse pata hai,in dono ke baare me details le lena...

phir laga apne bando ko aur baaki ki puri janm kundali nikaal in dono ki...

BANDA-ho jaayega bhai..

apne bande ko instructions de bahar ki taraf nikal gaya ARIF par phir aadhe raaste me rook palta woh aur...

ARIF-naam kya bataya tha ladki ka...???

ROUNAK-DIMPLE bhai...DIMPLE BATRA...

ARIF-DIMPLE BATRA.....aur lounde ka...!!!

ROUNAK-SANVEER..SANVEER AHARYA...

DATE-18TH JUNE

PLACE-SIRIUS

YE BAITHA HAI KAMINA.. SAALE,AISA KAUN SA KAAM KAR RAHA THA PICHLE DO HAFTON SE KI APNE SAATH SAATH HAMARE BHI VACATIONS KE AAKHRI 14 DIN KHARAB KAR DIYE TUNE...

apna school bag mere upar fek bhadbhadate hue mere theek saamne aakar khada ho gaya tha NITS..

NITS ke saath mera pura group bhi tha jinhone kaha toh kuch tha nahi but aankhon me un sabke bhi wahi sawal tha..

ANI toh din bhar mere ghar me rehti thi but kyunki mujhse zyada waqt woh MAA ke saath guzaarti thi isiliye ek wahi thi jo chilled out thi...

pichle 14 dino me 144 baar alag alag bakchodi ke liye phone kiya tha in sabne mujhe par har baar taal diya tha maine.

aur jab bhi ghar aate toh soya pada milta tha mai..MAA ne bhi uthaane se mana kiya tha isiliye kuch kar nahi paate the kamine..

ab aise me frustration toh laazmi hi tha...

MAI-abbe zindagi ka asli maza sone me hai...wahi lutf uthaa raha tha..

DHABBBB.....

ek zor ka mukka mere kandhe me jama diya tha NITS ne..

NITS-dekha tha humne tera lutf...saala jab bhi tere ghar aaye hum,shakal se zyada tera hawa me utha hua pichwada hi dekha tha humne..

SONU-kkasam sse bbe...bbohot zzyada ledra hho ggaya hhai ttu..

NAISHA-par aaj janab sabse pehle school aa gaye...abhi toh essembly me bhi 5 minutes baaki hain..

SAM-wahi toh..if i am not mistaken,new session ke first day,kabhi time par school nahi aaya tha tu...

MAI-toh wasooli ho gayi naa aaj..har saal ka late kota aaj pura kar diya...

ab apni apni sadhi shakal ka tokra hatao be mere saamne se...

beta,ab peeta toh pel dunga..

ek baar phir maarne waala tha mujhe NITS par meri dhamki sun haath rook gaye uske..

NITS-darta hun kya be tere se..par tu bhi kya yaad karega,jaa,rehem kiya...

TRRRRRR...

NITS ki baat sun has diye baaki sab par tabhi baji essembly bell jiske baad hum sab uthkar the great hall ki taraf badh gaye..

naye session ke first 20 minutes essembly ke baad hum sab back to the class the..

as said,first day tha isiliye padhayi naa ke barabar ho rahi thi... first recess se pehle ke 3 period bakar karte hue kaise nikal gaye,pata hi nahi chala..

TRINNNNNN...

SONU-bhosdike...

recess ki bell baj chuki thi jiske baad NITS mahoday ne aisi angdayi li maano pichle 3 classes fully focused hokar kitaab me ghusa hua tha...

yahi dekh baki thi SONU ne gaali jispar NITS ke kaano me jun tak na rengi...

NITS-chalo bhai,canteen...14 din gayab raha tu lounde,bill tu hi dega...

DIMPLE-excuse me SANVY,can we talk...

MAI-we are talking...

DIMPLE-akele me..

NITS ki baat par mai kuch kehta ki tabhi new girl mere saamne aakar khadi ho chuki thi jiski baat sun kabhi mujhe toh kabhi usse dekhne lage the NITS aur SONU..

MAI-where...

DIMPLE-hall way...

MAI-sure...

jahan new girl aur uske piche mai aage badh gaya wahin hum dono ko saath saath jaate dekh NITS aur SONU ka shock badh chuka tha..

SONU-yye ddono kkab sse akkele cchhit cchat kkarne llage...

NITS-saala,ye 14 din DIMPLE ki fielding toh nahi kar raha tha...pata wata toh nahi liya bandi ko...

SONU-cchal bbe..kkuch bbhi bbolta hhai...aisa kkuch hhota ttoh bbatata nna SANVY appne kko...

NITS-aisa hi ho toh theek hai..nahi toh khub pelunga harami ko...

wahan NITS alag alag angles laga raha tha aur idhar...

DIMPLE-jo puchun,honestly jawab doge...!!!

MAI- diplomacy sikhi nahi abhi tak maine...

DIMPLE-

soch,aadat, vyaktitv...bhram hain ye shabd jinhe paida bhi dimaag ne kiya hai aur agar chaahe toh khatm bhi dimaag bade araam se kar sakta hai...

par uske liye bhi ek dridh aur sakaratmak soch ki zaroorat hai..aisi sakaratmak soch jo aadat ban jaaye aur phir woh aadat,vyaktitv...

us din monastery me VAJRA BODHI ji ke statement par ye kaha tha tumne...!!!!

kaise sujha tha tumhe ye jawab...???

wakayi curiosity ki ek next level student thi new girl.. do hafte pehle meri kahi gayi baat naa sirf word to word yaad thi usse balki mere thought process ke according uska matlab jaanane ke piche jo jigyasa dikh rahi thi uske face me,woh wakayi appreciative thi...

MAI-kyun..???kya GALATH tha mai...???

DIMPLE-on the contrary,pehli baar GALATH nahi the tum...

MAI-GALATH aur SAHI sirf perception hota hai...aur perception ek partial myth ki tarah hota hai..

DIMPLE-true..par jawab nahi diya tumne...kaise sujha tha tumhe woh jawab...!!!

MAI-mere spinal cord ko kisi ka bhi mujhe confront karna pasand nahi..

jab bhi aisa kuch hota,jawab wahi deta hai...us din bhi aisa hi hua tha..

VAJRA BODHI ji ka achanak aakar gyan dena acha nahi laga tha mere spinal cord ko aur isiliye mere reflexes jawab ke through bahar aaye...

DIMPLE-biological sense of humour.that was new....

MAI- creativity should be at its best..

DIMPLE-are you hurt...???

MAI-no..why do you thought so..??

DIMPLE-day ke start me jab NITS ne tumhare shoulders ko hit kiya tha,pain dikha tha tumhare face par..

......................................................................

LIFTING THE SKY TECHNIQUE IS TOUGH SON..VERY TOUGH...

50 kg ke us gigantic stone ko jab 10 second hold karne ke baad chhod diya tha maine toh kahi thi ye baat VAJRA BODHI ne mujhse...

LIFTING THE SKY...LOHAN HANDS ke defence ka ek aisa shaktishali move jisse bade se bada attack badi asaani se jhela jaa sakta hai..

waise toh MAA ne sikhaya hai mujhe is technique ko par itne heavy aur fast attacks ke saath nahi...

50 kgs ke stone, weight lift,super heavy wooden carts...ye sab rakhe nahi feke the mere upar SHIFU ne jisse kisi gend ki taraf asaani se lapakna tha mujhe...

yahi thi LIFTING THE SKY technique...apne pure sharir ki taakat ko apne dono kandhon ke beech laana taaki kisi bhi bhaar ko badi asaani se hold kiya jaa sake...

jo LIFTING THE SKY technique ko master kar lete hain,woh apne se 6 guna tak ke zyada bhaar ke bande ko bhi uthaate hue badi asaani se dhobi pachhad maar sakte hain..

aaj ek hafta ho gaya tha mujhe saare LOHAN HANDS ke offence aur defence hands ko practice karte hue par sabse zyada dikkat mujhe issi technique me aa rahi thi..

VAJRA BODHI-feel your core strength...apni reedh ki haddi ke andar behte khoon ke bahav ko mehsoos karo..

get all your body strength and more importantly your desperation power to your shoulders and show your grit...

HOLD...

badi asaani se us lagbhag 60 kg ke hard wooden cart ko uthaya VAJRA BODHI ne aur usse upar hawa me uchaalte hue meri taraf fek diya..

AHHHHHH...

kisi tarah catch toh kar liya maine usse par is process me mere dono shoulders ke GLENOHUMERAL LIGAMENTS misplace ho chuke the..

cart neeche giraate hue kisi toote haath waale bande ko tarah neeche gir chuka tha mai...

KDAKKKKK.....

asahaniya dard bardasht na kar paane ki wajah se behosh hone se pehle VAJRA BODHI ko apne dono dislocated shoulders ko ghumkar theek karte hue mehsoos kiya tha maine..

ligaments toh back to place wapas aa chuke the but pain,sujan,inka daur lamba chalne waala tha...

.........................................................................

MAI-gym start kiya hai..!!!wanna join...

DIMPLE-match nahi kar paaoge...

MAI-karna bhi nahi hai...waise bhi aasman kabhi apni lambai aur chowdayi napwata nahi...

aisa koi measuring tape bana hi nahi...

TRRRRRRR....

recess over ho chuka tha isiliye class ki taraf badh gaya mai...

wahin meri baat ka matlab samajh nahi paayi new girl aur isiliye...

DIMPLE-matlab...

MAI-matlab kuch nahi..suna tha kahin ye dialogue.. socha maar lun...

DIMPLE-idiot...

sir shake karte hue mere piche class ki taraf ho li thi new girl...

THE COUNCILING HALL:-

abbe,aaj hi toh session shuru hua hai aur pehle hi din SIRIUS ne koi event rakh liya..???

final period me peon ne humari class ko COUNCILING HALL me jaane ko kaha tha..

PRINCI'S ORDER...

on the way me pucha tha ye sawal NITS ne jispar...

SONU-ttujhe kyun llagta hhai ki kkoi event hhoga...???

NITS-abbe toh kya parents teachers meeting ke liye bulaya hai hume..iski maa ka...ye toh puri baarat idhar hai be..

COUNCILING HALL me ghusse hi the hum ki saamne ka nazara dekh hum sabhi hairan reh gaye the...

B section ke saath sabhi senior classes moujud thi is waqt HALL me...

hum sab bhi jaakar hall ke us block me jahan chairs khaali the,jaakar baith gaye...

NITS-kya lagta hai..!!!kya hoga idhar...

MAI-match hone waala hai kya jo result puch raha hai... PRINCI aayegi toh pata chal hi jaana hai..

AFTERNOON STUDENTS...

abhi maine apni baat ki hi thi ki tabhi kuch teachers ke saath HALL me enter hui hamari PRINCI...

unhe wish karte hue hum sab bhi apni jagah par khade ho chuke the...

PRINCI-PRINCIPAL hone ke saath saath mai ek teacher bhi hun..and as a teacher,meri zimmedari sirf apne students ke educational growth tak hi seemit nahi hai balki unke social thoughts ko nourish karna bhi meri responsibility hai..

aap sab youth hai..the base strength of our country...

aapki soch hi hamare desh ka kal likhne waali hai toh aise me us soch ka strong aur positive hona bohot zaroori hai...

issi aspect par kaam karne ke liye is saal se har saturday aap sabki aakhri class "ATTITUDE" ki lagegi...

ATTITUDE as in drishtikon,nazariya jiska sahi aur sakaratmak hona ek ujle bhavishya ke liye bohot zaroori hai...

but kyunki aaj aapke is session ka first day hai isiliye aapki first ATTITUDE class abhi lagne waali hai...

is class me koi teaching nahi hogi...bas ek topic aap sabke saamne rakha jaayega..

aap sabko ya phir jo bhi vocal hona chaahe,usse given topic me apna perception saamne rakhne ka mouka milega...

agar koi us perception se differ kare toh he or she can give their own thoughts to the topic..

simple...

wakayi simple par kaafi asardaar way chuna tha hamari PRINCI ka students ke samajik aur maansik vikaas ka dayra badhane ka..

jo given topic par bolega ya bolegi, kyunki woh student honge isiliye naa sirf woh point of views baaki students sunenge balki ek hi umr ke hone ki wajah se relate bhi bade araam se kar paayenge..

relate..the first step to acceptance....

brilliant.. wakayi hamari PRINCI ek alag level ki psychological expert thi... bina press kare,she knew how to give her inputs and knowledge to anyone and everyone she wanted...

PRINCI-ready for todays topic...!!!

YES MA'AM..

sabki awaaz me feel ho rahi excitement ye saaf bata rahi thi ki ma'am ke is innovative idea ko kitna pasand kiya tha sabne...

PRINCI-so todays topic is DIVORCE...

saath aksharon ka ek chota sa shabd jiske maayne utne hi bade hain..

it's good,bad, SAHI hain ya GALATH..feel free to give your opinion...

kaun bolega...!!!

as expected,sabse pehle haath upar hua tha new girl ka jisse dekh..

PRINCI-DIMPLE BATRA,common,the floor is yours...

turant PRINCI ke paas jaakar khadi ho gayi thi new girl jiske baad...

DIMPLE-i think divorce me kuch bhi GALATH nahi hai agar reasons SAHI ho...

it's just about choices...

i mean, there was a time jab kisi bhi ladki ko shaadi ke baad apni puri life apne husband ke saath bitaani padti thi...that to iske according..

bhale hi woh andar se us rishte se naakhush ho par samaaj aur dikhawe ke pratha ki diwaar usse apni khawahish, differences saamne laane se rokti thi...

aisa nahi hai ki har baar taklif aur zabardasti ladki ko hi hoti thi..kayi baar ladke ko bhi strict parenting aur society ki wajah se ek hi rishta jisse woh khush nahi tha, zabardasti nibhaana padta tha..

aur indirectly ,ye ek bohot bada reason bhi raha hai hamare desh ka developed nahi balki developing country hone ka..

zabardasti ke bandhe rehne ki soch hume baaki sectors me bhi dominate karne se rokti aayi hai...

itna zyada potential hai hum indians me but sirf us mediaval-period-custom thought process ki wajah se hum lack behind kar rahe the..

saath fere,saath vachan jaise craps bas woh rope tha jisse bandha hua tha humara dimaag..

but thankfully,now we are evolving.. apne decisions hum khud lete hain and divorce is one of them..

if one doesn't feel good in a relationship,agar priorities compromise hone lage toh divorce is the best option.

both for the man and women...

SIRIUS..95 percent bacche aise hi rich background se aate hain jahan decisions lene ki azaadi unhe bachpan se hi mili hoti hai..

yahi reason tha ki jitne logon ka bhi haath shuru me apne view points share karne ke liye uthe the,kyunki woh saare view points new girl speech me cover ho chuke the isiliye un sabke haath neeche the ab..

they all were satisfied with her answer...

wahin new girl ne bhi is cheez ko notice kiya tha isiliye ek bright smile ke saath woh bhi apni place me baithne ke liye badhne lagi..

par is beech ek sarsari nazar sab par daalte hue PRINCI RANJANA MATTHEWS ki aankhein ek jagah par rook gayi..

mujhpar jo sir shake karte hue halka halka smile kar raha tha..

PRINCI-SANVEER AHARYA... it's seems aapki raay kuch aur hai..share karna chaahenge..we are all ears...

jahan PRINCI ki baat sun baaki sabke saath new girl bhi hairan hokar dekhne lagi mujhe wahin meri nazar mili PRINCI se jinhone aankhon se hi haan bola mujhe.

ek lambi saans chhod apni jagah se utha mai aur new girl ke baaju se hota hua PRINCI ke paas jaakar khada ho gaya...

MAI-kisi bhi cheez ki adhuri jaankari zero knowledge se zyada nuksaan day hoti hai..

"saath fere,saath vachan jaise craps bas woh rope tha jisse bandha hua tha humara dimaag"..

yahi bola tha naa tumne... kya hain ye saath fere,agni ko sakshi maan un feron ko lete hue kaun se 7 vachano se bandhte hai dulha dulhan...

new girl jo apni seat par abhi bhi baithi nahi thi,mere is sawal par kuch seconds dekha usne mujhe aur..

DIMPLE-pata nahi.. zaroori laga nahi kabhi isiliye jaanane ki koshish bhi nahi ki..

MAI-now that's perception..khair, divorce ko hindi mai kya bolte hain..!!!

DIMPLE-talaakh...

MAI-GALATH..talaakh ek urdu shabd hai..hindi me divorce ke liye koi shabd bana hi nahi..

aur iska kaaran woh saath vachan hi hain jinhe bolne waale ko uski aatma ki syahi se nibhana padta hai...

pehla vachan dulhan apne dulhe se maangti hai..uski khwahish hoti hai ki kisi bhi dharmik kaarya me uska pati,jeeven saathi HAMESHA usse apne saath lekar jaaye..

dusra vachan me dulhan apne pati se ye kehti hai ki jitne pyaare aur important uske liye uske apne mom dad hain,aaj se HAMESHA ke liye utne hi important us ladke ki nazar me ladki ke mom dad bhi honge..

woh sawal karti hai apne jeeven saathi se ki apne vartmaan ke sambandhon me jhaanke aur uske adhar par bataye ki kya woh is vachan ka paalan kar paayega..???

teesre vachan me dulhan phir apne dulhe se ye sharth rakhti hai ki aap HAMESHA agar mere saath rahenge,mera khayal rakhenge toh mai aapka saath dene ke liye taiyaar hun...

chowthe vachan me dulhan apne dulhe ko ehsaas dilaati hai ki ab woh HAMESHA ke liye uski zimmedari hai aur apne zimmedari se woh bach nahi sakta..

bhavishya me uski saari zarooraton ka zimma dulhe ko hi uthana hai..

DIMPLE-see now that's my point..ladki kyun dependent rahe ladke par...apne needs ke liye kya zaroorat hai usse ladke ki..

aise me toh ladki khud ladke ko apna superior bol rahi hai...

MAI-zaroorat toh coke ya kisi aur drink ki bhi nahi thi..gala tar karne ke liye paani hi kaafi tha..

par pyaas lagne par peeti ho na sabkuch.. anyways,sabse important word par dhyan nahi gaya hai tumhara..

vachan me ladki puchti nahi,sharth rakhti hai.. depend nahi,demand karti hai...

PRINCI-paanchwa vachan kya hai SANVEER...???

ethics bhul chuki hai aaj ki pidhi..mere jawab me unhi ethics ki roots moujud thi jo PRINCI sabhi ko sunana chahti thi..

unki baat par ek second ka pause liya maine aur..

MAI-paanchwa vachan dhyan se sunana new girl..

is vachan me dulhan apne dulhe se demand karti hai ki ab se HAMESHA usse uske har kharch ka hisaab dulhan ko dena hoga..

uski salah leni hogi..aisa kar dulhan khudko ladke ke barabar ka darja deti hai..usse apna superior nahi banati...

meri is aakhri baat ko sun bas ek pal ke liye hi sahi,new girl ki aankhein jhuk gayi thi...

MAI-chhatwa vachan bhi ladki ki respect ke liye liya jaata hai..

isme dulhan apne dulhe se kehti hai ki woh kabhi bhi uske gharwalon,saheliyon aur dusre logon ke beech dulhan ka apmaan nahi karega..

saath hi saath woh juen aur sharab jaisi GALATH chizon se HAMESHA door rahega..

saatve vachan me dulhan ki ye sharth hoti hai ki dulha HAMESHA har parayi naari ko apni maata samjhega aur kabhi bhi kisi aur ko unke rishte ke beech bhaagidaar nahi banayega...

ab mera ek sawal hai..!!!saathon vachan me ek shabd common tha... kya..???

DIMPLE-hamesha...

halke dheeme awaaz me jawab diya tha new girl ne jisse sun halka smile kiya maine aur..

MAI-right..hamesha...shadi ek anant bandhan hai..aur isiliye hindi shabdavali me divorce jaise block ke liye shabd banaya hi nahi gaya...

one more thing...jis mediveal custom aur pratha ko tumne hamare desh ka developing country hone ke reason bataya,woh GALATH hai...

kyunki mediaval times me sone ki chidiya kaha jaata tha hamare desh ko..

us india se agar compare karogi toh aaj ke so called super powers ke mixed currency ki efficiency bhi hamare us daur ke BHARAT ke aas paas nahi pahunchegi...

the thing is ki sirf sarhad hi nahi,angrezon ne hamare values aur tradition ko bhi bheda tha..

us soch ko khokla kiya tha jiski buniyad par hum sone ki chidiya bane the..

compromising priorities..yahi reason diya tha na tumne divorce ke sahi hone ka..

hmmpp.ek waqt tha jab dulha aur dulhan ek dusre ka face sidhe honeymoon bed par dekhte the par phir bhi rishta unka umr bhar chalta tha..

aaj,itni zyada freedom hai...ab toh log shaadi se pehle living relation tak me rehte hain phir bhi relation lamba nahi tik paata....

i mean,bike khareedi hai kya jo ek time ke baad uski speed,sound bore lagne lagti hai..

sensex se lekar har stock market chart ko evaluate karne ka hunar hai..

billions of dollars ki industries jiska future unstable hai,usse predict karna aata hai par jiske saath puri life bitaani hai,us stable partnership ka future chhodo, present tak par bharosa nahi...

wow...

ek umr ke baad jab dimaag aur pair dono rengne ki condition me aa jaate hain,tab satisfaction bank account me show ho rahe paise se nahi milti,paas ke arm chair me baithe apne life partner ki jhurriyon waali smile ko dekh kar milti hai...

kaun sa market kitna upar aur neeche jaayega, discussions is topic par nahi hote, diabetes aur B.P ke pills khaayi ki nahi,us parwah waali daant par hoti hain..

divorce sirf ek shabd nahi hai..woh jail hai jisme sachi khushiyan dum tod deti hain..

ma'am aapne pucha tha ki divorce SAHI hai ya GALATH..in my view,naa ye shabd SAHI hai aur naa GALATH..

it's an illusion..ek bhram hai ye.. par jisse zaroorat mehsoos hoti hai,uske liye sach ban jaata hai.

aur jab bhram sach lagne lag jaaye toh barbaad hona tay hai..

aarthik ya sharirik nahi,maansik tour par...

mere hisaab se ya toh shaadi karna hi nahi chahiye aur agar kar li toh umr bhar nibhaane ka dum hona chahiye...

waise bhi,jab aankhon se zindagi ki roshni juda ho jaaye tab koi hona chahiye un palkon ko band karne waala..

haath pakad aansu bahane waala..mujhse pehle kyun chale gaye,ye shikayat karne waala..ek aakhri baar i love you bolne waala...

CLAP...........

sabse pehle taali hamari PRINCI ne bajayi thi jisse follow kiya tha unke saath khade teachers aur phir saamne khade sabhi students ne..

wahin clap toh new girl bhi kar rahi thi par jab PRINCI ko thanks bol uske baaju se hote hue aage nikla mai toh aise dekhne lagi thi mujhe woh jaise kisi alien ko dekh rahi ho...

NITS-kya baat hai lounde...seena chowda kar diya tune toh aaj...gazab bola be...

SONU-hhaan bbhai...aissa llaga tteen cchaar bbaar kkhud hhi ddivorce kka ddard jjhel kke bbaitha hhai ttu...

MAI-waah bhosdoke..kya taarif kiye ho...

PRINCI-with that brilliant speech and thought, it sums up todays class students...i hope DIMPLE aur SANVEER ke thoughts samajh aaye honge aap sabko..

and you all enjoyed it too because i did...see you tomorrow...

puri baat mujhe bade proudly dekhte hue kahi thi PRINCI ne jiske baad baaki teachers ke saath hall se nikal gayi woh aur aisa hote hi mere sabhi dost lapak pade mujhpar..

aaj baaki classes ke students ke saath B waale bhi mere speech ke liye congrats keh rahe the mujhe..

sabhi the paas mere siway new girl ke..

woh apni hi jagah par khadi bade dhyan se dekh rahi thi mujhe..

ek tarah se dekha jaaye toh is debate me hara diya tha maine usse par naraaz nahi hui thi woh.

impressed thi,bohot impressed..

DIMPLE-who are you SANVY...!!!us din monastery me bhi tumhara jawab extraordinary tha aur aaj bhi tumhare tark undebatable the...

jawab saaf hone ke baad bhi ulajh rahe,jaane ye kaisa SAWAL HAI....???

jo nazar aur soch dono se bacha raha,jaane pehna isne ye kaisa DHAAL HAI...???

dohre charitr ki hadh hai ye ladka...

kabhi lagta pura awaara hai toh kabhi lage ki waah,ye toh KAMAAL HAI....!!!!

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
मैं निशब्द हूँ, लाज़वाब हूँ
विवाह के सात फेरे, सात वचन क्या बात है
अब डिम्पल सानवीर से कितनी प्रभावित है यह मालूम नहीं पर आपकी लेखन के हम कायल थे अब घायल हो गए
 
Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
335
1,186
139
thanks for the wonderful review brother.. yunhi saath bane rahiye
U mst welcome bro❤
ap humare liye poora update likhte ho
hum log to bs kuch words highlight ker
k us ko short me ap tak apni thought
pohancha dete hain itna b na karian phir to ye fair nhi na howa
baki sath dene k liye hi to yahan hu
ap chuku chuku train chalate chalo hum chalte chalian ge sath sath😊
Thanku so much🙏🏻
 
23n24

Member
433
1,544
138

Awesome fantastic wonderful update VJbhai
 
Top